Kamry(Channel)s ki Fehrist Lena =============================== Version 1.3.0 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi (sarahthewarrior at mail.com) per 2019-01-08 Akhri bar parha giya Fredfred (Fredfred at dal.net) or h (AHFR at Email.com) on 2018-12-29 Asal main likha giya Help WebTeam (help-www at dal.net) per 2000-06-01 Copyright (C) 2000-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Kamry(Channel) ko Talash karna ------------------------------ ab aap IRC per atay ho too pehla sawal yehi hota hay k kahan jaein? Sab say asan rasta Kamry(Channel) talash karnay ka yeh hay type "/list" command. Issay aap ko Hazaroo Kamry(Channel)s k name aik Fehrist main ajaingay. abb aap chahty ho aap wohi Kamry(Channel)s ki Fehrist hasil karain jinmain aap ki dilchapsi hay. oska Tareeqa yeh hay /list <*subject*> Farz kartay hain k hamnay aisa Kamry(Channel) search karna hay jo hourses k baray main ho aap type karogay: /list *horse* issey aap ko on Kamry(Channel)s ki Fehrist milay gi jinmain "hourse" name hay (misaal k tor per, #horselovers, #ILoveHorses, waghera). agar aap chahtay ho k koi Kamry(Channel) ko register karna chahty ho to aap iss site per ChanServ ki tafsilat dekh sakty ho http://docs.dal.net/docs/chanservur.html. "/list" command ki mazeed tafseelat k liyeh, aap parh sakty ho http://docs.dal.net/docs/miscur.html#2. Rahnumaai Ke Liye Official Channel ---------------------------------- DALnet intazamia aur Help Committee ne faisala kiya hai ke hamare teen official madad ke liye banaye janay walay channels (#DALnetHelp, #IRCHelp and #Help) ko aik channel #Help mein zamm kar diya jaye. Wo log jo shamil hon ge "#DALnethelp + #IRCHelp" khud bakhud agay muntaqil kar diye jaen ge yahan"#Help". #Help ----- Aap amoomi IRC sawalaat aur deegar mozuaat ke baray mein rahnumai hasil kar sakte hain. Hamara amla aur tamam madadgaar aapki rahnumaai kar ke bahut khushi mehsoos karain ge. #Operhelp --------- IRC Operator rahnumaai ka kamra, agar aapko apne nick/channel passwords ke silsile mein koi masla darpesh hai tau bara-e-maherbani /join #Operhelp Muwaad ------ 1 * Imdadi Kamry 2 * Ham`Qoom Kamry(Channel)s 3 * Khail Kay Kamry(Channel)s 4 * DALnet ko connect kerta hai webchat kay through 5 * References 1 * Imdadi Kamry ---------------- Mundarja zail mukhtalif imdadi kamry aur wo tamam mozuaat hain jinka wo ihata kartay hain. #Aide *French zaban mein madad* #DALnetAyuda *Spanish zaban mein madad* #DALnetYardim *Turkish zaban mein madad* #ArabHelp *Arabi zaban mein madad* #HelpDesk *Bot/Script ke baray mein madad* #ItaliaHelp *Italian zaban mein madad* #Hjelp *Scandinavian madad ke kamray* #Macintosh *Mac Help* #NoHack *Virus/Trojan ki safaai ke silsile mein rahnumai* #NixHelp *Unix aur Linux Operating System ke baray mein madad* #JmIRChelp *jmIrc client ke baray mein madad* #DALnetyardim *Turkish zaban mein madad* #DALnetUrdu *Urdu zaban mein madad* #HTML *Web Help* 2 * Ham`Qoom Kamry(Channel)s ---------------------------- English k ilawa dosri zabanoun main Kamry(Channel)s ki Fehrist, yaad rakhain yeh sirf bunyadi Kamry(Channel)s k name oor bhi hazaroo Kamry(Channel)s hay mukhtalif zabano k. #brasil *Portuguese* #finland *Finnish* #iceland *Icelandic* #india *Indian* #israel *Hebrew* #italia *Italian* #malaysia *Mandarin, Cantonese, Malay* #manila *Tagalog, English* #france and #quebec *French* #norway *Norwegian* #mexico and #spain *Spanish* #pakistan *Pakistani* #poland *Polish* #russia *Russian* #sweden *Swedish* #arab *Arabic* 3 * Khail Kay Kamry(Channel)s ----------------------------- The mundarja zail muktalif khail kay kamry ki list hai. #Uno *UNO! Khailo cards online* #Trivialand *Trivia game kaseer khasosiyat kay sath* 4 * DALnet ko connect kerta hai webchat kay through --------------------------------------------------- Aap DALnet ko connect ker saktay ho by *kiwi webclient* aur ya DALnet webclient kay "Kiwi ki taruf say:" http://m.dal.net/#channel-name Aap channel kay naam ko badal saktay ho opper wali list say Misal kay toor per: http://m.dal.net/#help "Aap is per apnay khayalat day saktay hain dalnet webchat kay through" https://www.dal.net/webchat/ doosray mobile client kay lia aap yeh site visit ker saktay hain http://docs.dal.net/docs/newbieur.html#1 ur malommat kay lia. 5 * References -------------- Neechay diyeh gay URL shayd aap ki Dilchaspi k mutabik hon. 1) http://help.dal.net/HelpCommittee/ - Maloomat or darkhawast karna Kamry(Channel) manzori k liyeh. 2) http://docs.dal.net/docs/chandevur.html - Kamry(Channel) ki hifazat or osko barahny k liyeh ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)