ChanServ Ke Baray Mein Malumaat =============================== Version 1.5.0 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi (sarahthewarrior at mail.com) per 2019-01-10 Akhri bar parha giya Fredfred (Fredfred at dal.net) or h (AHFR at Email.com) on 2022-08-16 Asal main likha giya Mystro (mystro at canshell.com) per 2001-04-26 Copyright (C) 2001-2022 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Kisi madad ki !) to docs@dal.net.Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net/. Ta'aruf ------- Chanserv asal main Kamry(channel) par kabza jama laine se bachne ke liye aur khudkar tariqon se kamray ke intizam ko sambhalne ke liye aur aam alfaz mein sarfeen ke liye aasani peda karne ke liye banaya gaya tha. Guzartay saalo'n ke sath kai commands ChanServ mein shamil hoti gain. Yeh commands is dastawaiz mein bayan ki gai hain. ChanServ tak rasaai ya tau /chanserv ya phir /msg chanserv@services.dal.net ke zariye hasil ki ja sakti hai.Is dastawaiz ke maqsad ke tahet hum /ChanServ bataur aik command ke istemal karain ge, Taaham, kuch IRC clients(e.g. BitchX) ChanServ ki himayat nahi kartay, is soorat mein aapko /msg chanserv@services.dal.net ka istemal karna hoga. Muwaad ------ 1 * Kamry(channel) Ka Indraaj Karna 2 * Kamry(channel) Ko Khatam Karna 3 * Kamray Ke Baani Ki Hesiyat Se Kamray Ki Shanakht Karana 4 * Password Phir Se Hasil karna 5 * Managers Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena 6 * SOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena 7 * AOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena 8 * VOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena 9 * HOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena 10 * Akicks Mein Shamil Karna/Nikalna aur Fehrist Lena 11 * Logo'n ko Oping/Deoping karna 12 * Logo'n ko Voicing/Devoicing Karna 13 * Logo'n Ko Half-oping/Half-deoping Karna 14 * Kamray Se Sabko Aik Sath kick Karna (Mass Kicking) 15 * Kamray Mein Sab Ko Aik Sath Deop Karna (Mass Deoping) 16 * Kamry Mein Mukhtalif Options Qayam Karna 16.1 Kamray Ke Baani Ko Tabdeel Karna 16.2 Kamray Ka Passwords Tabdeel Karna 16.3 Kamray Ke Tafseeli Bayan(description) Ko Badalna 16.4 Kamray Ke Modes Tabdeel Karna 16.5 OPGUARD Ki Tarteeb ko ON/OFF Karna 16.6 VOICEGUARD ki Tarteeb ko ON/OFF Karna 16.7 KEEPTOPIC Ki Tarteeb Ko ON/OFF Karna 16.8 Info Mein URL Ko Zahir Karna 16.9 OPs Ka Kamray Mein OP Hasil Karnay Se Pehle Shanakht Karwana 16.10 Kamray Ko HOps aur Is Se Upar Walon Tak Mehdood Karna 16.11 VERBOSE ON/OFF Karna 16.12 Is Baat Ka Tae'yun Karna Ke Kon Kamray Ka Unwan Badal Sakta Hai 16.13 Ijazat Dena Sarfeen Jo Opped Rehne Ke Liye Join Kartay Hain 16.14 Making the channel private 16.15 Tae'yun Karna Ke Kon Channel-Wide Memos Bhej Sakta Hay 16.16 Kamry ke Janasheen ko Muqarrar Karna 16.17 Kamray Ke Liye MAILBLOCK Ke Option Ko Tarteeb Dena 17 * Khud Ko Kamray Main Madou Karna/Bulana 18 * Kisi Shakhs ki Rasaai(access) Dekhna 19 * Ye Dekhna Ke Koi shakhs OP Kyun Hay 20 * Khud Ko aur Doosro'n Ko Unban Karna 21 * Kamray Ki Enteries Gin`na 22 * Kamray ki Rasaai Ki Fehristain Dikhana. 23 * Kisi Kamray Ki Tafseelaat Dekhna 24 * Kamray Ki Hifazat 25 * Kamray Ki Meyaad Khatam Hone Ki Muddat 26 * Nateeja 1 * Kamry(channel) Ka Indraaj Karna ----------------------------------- TAREEQA: " /ChanServ REGISTER <#ChannelName> " WAZAHAT: Register command say aap Kamry(channel) ka andraj/register karty ho (bashart Kamry(channel) register na ho pehlay say) or command ko aik hi line main likhian. aik Kamry(channel) register karty waqt, Command main jahan #Kamry(channel)Name hay wahan Kamry(channel) ka naam likho or jahan AnyPassword wahan Password likhian or jahan description likha hay wahan aap apnay Kamry(channel) k baray mein likhay. KHAAS: Under NO Kamry(channel) Andraj/Register karnay kay baad kisi ko apna password na dein. kionkay Kamry(channel) ka password denay say aap ka Kamry(channel) cheena ja sakta hay. aur DalNet aap ki koi Help nahi karega. Or haan Kamry(channel) register karnay say pehlay aap ko pata hona chahiya kay jo aap Kamry(channel) register karna chahtay hoo Regsiter too nahi pehlay sey. aap check kar saktay hain is Command sey /ChanServ INFO #ChannelName or haan apnay Kamry(channel) name kay saath "#" Sing lagana lazmi hay. MISAAL: "/ChanServ REGISTER #mystro 123456 We have Good Poetry and Poets." Iss command sey Kamra(channel) #mystro Register hojaiga or oska Password 123456 hoga or "We have Good Poetry and Poets" yeh Kamry(channel) ki Description hoti hay. Kamry(channel) ki Decription per aap kuch bhi likh saktay hoo apnay Kamry(channel) kay baray main. 2 * Kamry(channel) Ko Khatam Karna ---------------------------------- TAREEQA: " /chanserv drop <#channel> <[dropcode]> " WAZAHT: Is COmmand say aap ka Kamry(channel) khatam hojaiga or Kamry(channel) ko khatam sirf Kamry(channel) Founder hi kar sakta hay. Command denay kay baad aap ko aik Kamry(channel) DROP Code milayga. or aap ko woh code Command kay saath type karna hoga. KHAAS: Kamry(channel) ko lazmi shanakht karain pehlay. MISAAL: " /ChanServ DROP #mystro " iss command ko enter karnay kay baad aap ko aisa kuch hasil hoga. aap ki Status Window main: " -ChanServ- Dropping a channel is permanent and cannot be undone! " " -ChanServ- To confirm, type: /chanserv DROP #mystro 13151683216 " Oskay baad Kamry(channel) ko mukamal khatam karnay kay liyeh yeh type karna hoga "/ChanServ DROP #mystro 13151683216" 3 * Kamray Ke Baani Ki Hesiyat Se Kamray Ki Shanakht Karana ----------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv identify <#channel> " WAZAHT: Identify command say aap Kamry(channel) ki shanakht karwarty ho k aap Kamry(channel) k Baani ho. Aap yeh bhi istemal kar sakty ho /Identify #ChannelName PAssword 4 * Password Phir Se Hasil karna -------------------------------- TAREEQA: " /chanserv sendpass <#channel> " WAZAHT: Jab aap Kamry(channel) ka password bhol jatay hoo too "SENDPASS" COmmand sey aap ko Kamry(channel) ka Password ap kay Email Adress per bhaijdia jata hay. or yeh Command sirf Founders hi use kar saktay hain woh bhi onko apnay Urfi`Naam ko shanakht karwanay kay baad. KHAAS: yeh aik mashwara he keh aap nay email adress aik hi set kia huwa hay yani keh aik Permanent Email adress bar bar change na kia hoo. Agar aap nay Urfi`Naam ka Email adress bar bar change kia hay too aap Kamry(channel) ka Password phirse hasil nahi kar saktay. 5 * Managers Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena ------------------------------------------------ SYNTAX: " /chanserv manager <#channel> add " SYNTAX: " /chanserv manager <#channel> del " Founder ab se 5 Managers apny kamry(channel) mein shamil ker sakty hain. Manager ko takreeban kamry(channel) per mukammal aboor hasil ho ga. siwaye kamry(channel) ki malkiyat badalny ke. Kamry (channel) Ke Managers Darj-Zail Kaam Ker Sakty Hain: - SOP list mein tabdeeli (shamil/nikalna SOPs ko) - VOP/HOP/AOP/SOP lists ko mitana/saaf kerna - kamry(channel) ka unwan(description) badalna - Kamray ko Masskick aur massdeop karna, bashamool AOp access level ke - OPGUARD ko lagana aur hatana (set/unset) - VOICEGUARD ko lagana aur hatana (set/unset) - MLOCK ko lagana aur hatana - IDENT ko lagana aur hatana - KEEPTOPIC ko lagana aur hatana - RESTRICT ko lagana aur hatana - URL ko lagana aur hatana - VERBOSE ko lagana aur hatana - TOPICLOCK ko lagana aur hatana (bashart ye ke founder ne lock na kiya ho) - LEAVEOPS ko lagana aur hatana - PRIVATE ko lagana aur hatana - MEMO lvl 1 ko lagana aur hatana (bashart ye ke founder ne lock na kiya ho) - ChanServ INFO mein successor ka urfi`naam dekhny ki sahoolat Wo Kaam Jo Channel Managers Nahi Ker Sakty: - kamry(channel) ka password nahi badal sakty - founder nahi badal sakty - successor ko laga ya hata nahi sakty - mailblock ko laga ya hata nahi sakty - doosry managers ko shamil ya nikal nahi ker sakty - UNSECURE ko laga ya hata nahi sakty (filhal ye command ghair fa'aal hai aur istamal nahi ki ja sakti) - sendpass ko istamal nahi ker sakty 6 * SOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena -------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv sop <#channel> <[nick]>" WAZAHT: Sops ka matlab hota hay Kamry(channel) kay Super Oprators Jo Kamry(channel) main Access Jama or khatam kar saktay hain. aik Kamry(channel) Founder SOPs ko Jama or khatam kar sakta hay or Founder/SOPs/AOPs Kamry(channel) main kitnay sops/aops/akiks jama hain oski fehrist bhi dekh saktay hain. abhi too ham aap ko yeh btatay hain kay aik Founder Kamry(channel) main SOPs kesay Jama or khatam kar sakta hay, kesay Kamry(channel) SOPs ki fehrist ko wipe/khatam kar sakta hay or ham Kesay Kamry(channel) SOPs ki fehrist ley saktay hain. KHAAS: SOPs kay pass yeh Access/ikhtiyar hoti hay keh woh AOPs ko Add/Delet/List wipe kar sakta hay or users ko tang karny walo ko Akick main add/delet list wipe kar sakta hay. iss liyeh SOPs ko bohat Daikh bhaal kar chose karain add karnay kay liyeh. Or aap Sirf aik Kamry(channel) main 100 SOPs add kar saktay ho issey ziada nahi. UPDATE: Founders ko ab se AOP/SOP/AKICK ki fehriston mein shamil nahi kiya ja sakta 7 * AOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena -------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv aop <#channel> <[nick]>" WAZAHT: AOPs ka matlab hota hay Kamry(channel) kay Auto Oprators Jo Kamry(channel) ko sanbhalty hain. aik Kamry(channel) Founder/SOPs AOPs ko jamah or khatam kar sakta hay or Founder/SOPs/AOPs Kamry(channel) main kitnay sops/aops/akiks jamah hain oski List bhi check kar saktay hain. ab ham aap ko yeh btatay hain kay aik Founder/SOPs Kamry(channel) main AOPs kesay jama or khatam kar sakta hay, kesay Kamry(channel) AOPs ki fehrist ko khatam kar sakta hay or ham Kesay Kamry(channel) AOPs ki fehrist ley saktay hain. KHAAS: Kamry(channel) main 300 AOps hi add ho sakty hain or List sirf Founder hi remove kkar sakta hay. UPDATE: Founders ko ab se AOP/SOP/AKICK ki fehriston mein shamil nahi kiya ja sakta 8 * VOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena -------------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv vop <#channel> <[nick] ya [mask]> " INFORMATION: Ye command kisi bhi SOP/Manager ya phir Baani ko is baat ki ijazat deti hai ke wo channel mein VOps ko shamil ya kharij kar sakay. LIST command ka istemal sirf AOps ya is se upar ke ikhtiar rakhne walay sarif hi kar sakte hain NOTE: VOP ki fehrist 300 indrajaat tak mehdood hai. Albata, WIPE ka istemal sirf manager ya Baani hi kar sakte hain 9 * HOps Ko Shamil Karna/Hatana Fehrist Lena -------------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv hop <#channel> <[nick] or [mask]> <[reason]> " INFORMATION: Half-ops (Hops) un sarfeen ko kamray se bahar nikalne ke qabil hone jo opped (+o) na hon ya voiced (+v)na hon, wo kamray ka unwan(topic) bhi tabdeel kar sakte hain is baat se qata-nazar ke wo (+t) par hi kyun na qayam ho. Channel modes ke mutaliq mazeed malumaat ke liye, bara-e-maherbani dekhiye http://docs.dal.net/docs/modes.html. NOTE: HOP ki fehrist 300 indrajaat tak mehdood hai. Albata, WIPE ka istemal sirf manager ya Baani hi kar sakte hain 10 * Akicks Mein Shamil Karna/Nikalna aur Fehrist Lena ------------------------------------------------------ TAREEQA: " /chanserv akick <#channel> <[nick] or [mask]> <[reason]> " WAZAHT: AKick ka matlab hota hay Kamry(channel) kay Auto Kick Karna kisi User ko ChanServ ki taraf say. Jo Kamry(channel) main Tang/Charaho/Dawat detay hain. aik Kamry(channel) Founder/SOPs Akicks ko jama or khatam kar sakta hay or Founder/SOPs/AOPs Kamry(channel) main kitnay sops/aops/akiks jama hain oski fehrist bhi dekhi ja sakti hain. ab ham aap ko yeh btatay hain kay aik Founder/SOPs Kamry(channel) main Akicks kesay jama or khatam kar sakta hay, kesay Kamry(channel) Akicks ki list ko khatam kar sakta hay or ham Kesay Kamry(channel) AKicks ki fehrist ley saktay hain. UPDATE: Founders ko ab se AOP/SOP/AKICK ki fehriston mein shamil nahi kiya ja sakta 11 * Logo'n ko Oping/Deoping karna ---------------------------------- TAREEQA: " /chanserv op/deop <#channel> " WAZAHT: Iss commands say ham kisi shakhs ko channel main OP/DEOP kar saktay hain. Chahy woh use AOP/SOP hay yah nahi laikin Shart yeh kay Kamry(channel) ki option OFF ho. tabhi aap kisi User ko OP kar saktay ho. Or kisi user ko OP/DEOP karnay kay liyeh aap kam-az-kam AOP hon oss Kamry(channel) main. KHAAS: aap apnay sey higher access SOP/FOUNDER ko Deop nahi kar saktay. 12 * Logo'n ko Voicing/Devoicing Karna -------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv voice/devoice <#channel> " INFORMATION: Ye command channel mein mazkoora urfi'naam ko voice kar de gi. Agar voiceguard ka option pehle se fa'aal hoga aur sarif ke paas VOp access nahi hogi tau ye command kaam nahi karay gi. Is command ka istemal karne ke liye aap ke paas kam az kam AOp ya is se upar ke ikhtiaraat ka hona zaruri hai. 13 * Logo'n Ko Half-oping/Half-deoping Karna -------------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv halfop/dehalfop <#channel> " INFORMATION: Yeh command kamray mein mazkoora urfi'naam ko halfop bana de gi. Agar opguard ka option pehle se fa'aal hoga aur sarif ke paas HOp access nahi hogi tau ye command kaam nahi karay gi. Is command ka istemal karne ke liye aap ke paas kam az kam AOp ya is se upar ke ikhtiaraat ka hona zaruri hai. 14 * Kamray Se Sabko Aik Sath kick Karna (Mass Kicking) ------------------------------------------------------- TAREEQA: "/chanserv mkick <#channel>" WAZAHT: Sabko kick ka matlab kay Kamry(channel) ko aik min kay liyeh CLose/band karna or phir Open. Sabko kick karnay say saray Kamry(channel) main logon ko aik saath kick hojatay hain or Kamry(channel) khali hojata hay. or Kamry(channel) 1min kay liyeh band hojata hay. KHAAS: Sabko kick (MKICK) sirf SOP/MANAGER/FOUNDER hi istemal kar saktay hain. woh bhi 1 ghanty main aik martaba. Agar Founder Kamry(channel) main mojood hay too SOP Mkick nahi kar sakta. 15 * Kamray Mein Sab Ko Aik Sath Deop Karna (Mass Deoping) ---------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv mdeop <#channel> " WAZAHT: MDEOP command Kamry(channel) main jitny bhi OPs hotay hain onko aik saath deop kkar deti hay. 16 * Kamry Mein Mukhtalif Options Qayam Karna --------------------------------------------- Kamry(channel) ki Setting "SET" command say hoti hay or ham Kamry(channel) main kia kuch "SET" command say set kar saktay hain onki list takreban yeh hay. FOUNDER, PASSWD, DESC, MLOCK, OPGUARD, VOICEGUARD, KEEPTOPIC, URL, IDENT, RESTRICT and VERBOSE. Ye sari commands is baat ka taeyun karain gi ke ChanServ kaise kaam karay ga aap ke kamray mein. Aapko kuch wakt chahiye in commands se aashna hone main taa ke aap inka istemal kar ke apne kamry ko mazeed mehfooz bana sakain. KHAAS: Settings (SET COmmand) kay liyeh aap ko Kamry(channel) Lazmi shanakht karwana hoga as Founder. baki Commands ki wazaht tarteeb say yeh hay. 16.1 * Kamray Ke Baani Ko Tabdeel Karna --------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> founder " WAZAHT: is command say ham apna koi dosra Urfi`Naam as FOunder of Kamry(channel) Set kar saktay hain KHAAS: Or woh Urfi`Naam Register hona chahiyeyh. Orr apko woh Urfi`Naam rakhna hoga pehlay phir command Type/likhna hogi. or yaad rakhain yeh sab karnay say pehlay Kamry(channel) ko shanakht lamzi karwain. 16.2 * Kamray Ka Passwords Tabdeel Karna ---------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> passwd < oldpassword> < newpassword> " WAZAHT: iss command say aap apnay Kamry(channel) ka password tabdeel kar sakty ho. yeh acha hay k aap apnay Kamry(channel)s k password kuch mahinoun main tabdeel kartay rehna chahiyhe. KHAAS: yeh command istemal karnay say pehlay Kamry(channel) ko shanakht lamzi karwain. MISAAL: "/ChanServ SET #mystro PASSWD 123456 147258" iss command sey Kamry(channel) ka password 123456 say tabdeel hokar 147258 hojaiga. 16.3 * Kamray Ke Tafseeli Bayan(description) Ko Badalna ------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> desc < newdescription> " WAZAHT: Iss command say aap apnay Kamry(channel) ki Description tabdeel kar saktay hoo jo kay /ChanServ INFO #CHannelName tafsilat main Nazar ati hay. MISAAL: "/ChanServ SET #mystro DESC We have Good Poetry and Poets" Iss command say #mystro ki Description "We have Good Poetry and Poets" Set hojaigi. 16.4 * Kamray Ke Modes Tabdeel Karna ------------------------------------ TAREEQA: " /chanserv set <#channel> mlock " WAZAHT: iss command say ham apnay Kamry(channel) kau Modes ko tabdeel kar saktay hain or Modes ko Hamesha kay liyeh Kamry(channel) main set kar saktay. Kuch Modes Neechay darj hain. +R - Sirf registered Urfi`Naams join karskty hain jab yeh mode set hoga. yeh faida`mand hay agar koi clones say hamla karta hay Kamry(channel) per. kiyo-k clones ziada tar un-register hi hotay hain. +N - yeh mode, bahir bethay logoon k message ko roka hay Kamry(channel) main anay say. +T - iss mode ko set karny say sirf Kamry(channel) k OPs hi topic set kar sakaingy. or CChanServ ki setting say isko SOPs/Founder per lock kia ja sakta hay. +S AND +P - yeh dono modes Kamry(channel) ko /list Kamry(channel)s main ghaib kardeti hain, +s set karny say jo whois lega osko Kamry(channel) nazar nahi aiga ap k Urfi`Naam whois list mein. +I - Iss mode say Kamry(channel) main wohi loog aa sakty hain jinko ChanServ invite karay or OPs jinko invite karay. +M - iss mode say sirf Voice/OPs hi Kamry(channel) ki window per chat kar sakty hain or koi nahi. +C - iss mode say control codes (color, bold, underline, reverse) walay message kko roka jata hay. Oor Ziada Wazaht k liyeh http://docs.dal.net/docs/modesur.html KHAAS: kuch modes ko Wajohaat ki bina per set kiyeh jaty hian jesa k +k mode ko aik password chahiyeh hota hay or +l k liyeh numbers chahiyeh hotay hain. Missal. /mode #mystro +lk 4:5 Hello MISAAL: "/ChanServ SET #mystro MLOCK +ntR-s " Is command say #mystro main +ntR-s Modes lock hojaingay. or +ntR ko koi khatam nahi kar sakta or +s mode koi Set nahi kar sakta. 16.5 * OPGUARD Ki Tarteeb ko ON/OFF Karna ----------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv <#channel> opguard " MALUMAAT: iss command say ham OPGUARD ko ON/OFF kar saktay hain. Jab ham OPGURD option ko ON kartay hain. too koi bhi Operator Kamry(channel) main kisi DOsrey user ko OP nahi kar sakta jo kay HOP/AOP/SOP/Manager main add hi na hoo. agar karega bhi too ChanServ osko Automaticaly DEOP kardega. 16.6 * VOICEGUARD ki Tarteeb ko ON/OFF Karna -------------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv <#channel> voiceguard " MALOOMAT: Jab ye tarteeb ON pe qayam hogi, tau sirf wo sarfeen jinko VOP rasaai hasil hai, unko hi channel mein VOICE hasil karne ki ijazat hogi. 16.7 * KEEPTOPIC Ki Tarteeb Ko ON/OFF Karna ------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> keeptopic " WAZAHT: Jab ham Kamry(channel) main KEEPTOPIC Option ko ON kartay hain. too jab kabhi Kamry(channel) khali hota hay, too ChanServ Kamry(channel) ka akhri TOPIC ko mehfoz karlega or jab kabhi koi join karega too Kamry(channel) ossi topic ko SET kardega. 16.8 * Info Mein URL Ko Zahir Karna ----------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> url <[URLhere]> " WAZAHT: Iss Command sey aap apnay Kamry(channel) kay liyeh URL yah WebSite set kar saktay hoo jab kabhi koi aap kay Kamry(channel) ki Info (/ChanServ INFO #ChannelName)lega osko aap kay Kamry(channel) ki information main Web Site nazar aiygi jo aap nay set ki hogi. 16.9 * OPs Ka Kamray Mein OP Hasil Karnay Se Pehle Shanakht Karwana ------------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> ident " WAZAHT: Agar IDENT ko ON kia jayga too koi bhi AOP/SOP baghair Urfi`Naam ko shanakht karway OP Status Kamry(channel) main nahi hasil kar sakta, (Meharbani say http://docs.dal.net/docs/nickservur.html#5 ko kholain aap ko achi wazaht milaygi). 16.10 * Kamray Ko HOps aur Is Se Upar Walon Tak Mehdood Karna ------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> restrict " WAZAHT: Jab RESTRICT Option ko ON kia jata hay, too koi aam shakhs Kamry(channel) mein nahi aa sakta sirf AOP/SOP/FOUNDER hi join kar saktay hain. agar koi dosra join bhi karega too woh khud`ba`khud kick out hojaiga CHanServ ki janib say. 16.11 * VERBOSE ON/OFF Karna ---------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> verbose " WAZAHT: Jab VERBOSE option ON hoti hay too, Kamry(channel) may jitnay shakhs hotay hain onko aik Via Notice jaiga kay Kiss SOP/FOUNDER nay kisi ko Akick/AOP main add kia hay or FOUNDER kia Settings kar raha hay yeh sab Porey Kamry(channel) ko aik Via Notice kay zariyeh pata chalta hay jab VERBOSE Option ON Hoti hay Kamry(channel) ki. misaal k tor per yeh aiega: " -ChanServ:@#mystro- [VERBOSE] |Mystro|!mystro@66.38.188.104 => aop #mystro add |Mystro| " 16.12 * Is Baat Ka Tae'yun Karna Ke Kon Kamray Ka Unwan Badal Sakta Hai ----------------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> topiclock " WAZAHT: TOPICLOCK command ko jab ON karty hay too ham yeh faisla karty hain k kon Kamry(channel) ka topic tabdeel kar sakta hay. Founder/SOP/AOP yah phir koi or. 16.13 * Ijazat Dena Sarfeen Jo Opped Rehne Ke Liye Join Kartay Hain ------------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> leaveops " WAZAHT: jab LEAVEOPS option ON hoti hay too, Chanserv pehlay Kamry(channel) main anay walay shakhs ko DEOP nahi karega. Beshak woh OP add hay yah nahi. Ager yeh Option OFF rahay (jesa k yeh hoti hay) too pehla Kamry(channel) mein anay wala OP nahi ban sakta agar oskay pass AOP/SOP access nahi hay. For Kamry(channel) Security Isko OFF hi rehnay dain. 16.14 * Making the channel private ---------------------------------- SYNTAX: " /chanserv set <#channel> private " INFORMATION: When this option is ON, only those who know about the channel will have access to it and it will be hidden from the users.dal.net channel list. Also, when this option is turned on, the /msg chanserv@services.dal.net INVITE option is disabled. 16.15 * Tae'yun Karna Ke Kon Channel-Wide Memos Bhej Sakta Hay -------------------------------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv set <#channel> memo " MALUMAAT: Yeh command Baani ko is baat ki ijazat deti hai ke wo intizam kar sakay ke kom channel memos bhej sakta hai. jab memo ka option none pe qayam hoga tau koi bhi memo nahi bhej sakay ga; Jab option HOp pe qayam hoga tau chanserv ki rasaai ki fehrist mein mein mojood tamam log memo bhej sakain ge, Jab memo ka ikhtiar SOp pe qayam hoga tau sirf SOp he memo bhej sakain ge aur jab sirf Baani pe set hoga tau sirf kamray ka Baani he memo bhej sakay ga. 16.16 * Kamry ke Janasheen ko Muqarrar Karna -------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> successor " WAZAHT: ss command say Founder aik Successor(Mut`Ba`Dal) set karta hay Urfi`Naam ko kay agar kabhi oska apna Urfi`Naam (Founder) Expire/Zaya hojay too Kamry(channel) ka Next/agly Founder Mut`Ba`Dal Urfi`Naam kay pass FOunder ki access chali jati hay. jab kabhi istarah hota hay too Mut`Ba`Dal Urfi`Naam ko aik memo send kia jata hay. Jismein Authrization COde hota hay jisko apply karnay say woh Kamry(channel) ka Founder Access hasil karleta hay. or osko Authrization Code ko apply karnay kay liyeh 10 din hotay hain. agar woh 10 days main koi reply (COde Apply) nahi karta too Kamry(channel) bhi Expire/khatam hojata hay. agar aap kay Kamry(channel) main pehlay say hi Mur`Ba`Dal jama hay too aap (-) command main istemal kark khatam kar sakty ho(wazaht k liyeh http://docs.dal.net/docs/nickservur.html#6.7) 16.16.1 * Khud Ko Janasheen Ke Ohday Say Hatana agar aap janasheen ke ohday sey hatana chahtay hoo to yeh command istemal karain: TAREEQA: " /chanserv successor <#channel> DEL " NOTE: Aapko usi urfi'naam ka istemal karna ho ga jo janasheen ke taur par listed hoga aur us urfi'naam ki bataur jansheen shanakht karwai ja chuki ho. EXAMPLE: " /chanserv successor <#Help> DEL " Aap pata laga saktay hoo kay aap kaha or kiss Kamry(channel) main janasheen ke taur par muqarrar ho-> is ke zaiye. http://users.dal.net/ apne darj-shuda urfi-naam aur passward ka istemal kartay huye logg-in karain aur phir "DAL Channels" me ya kar is option ka intekhab karain "Mein Kin Channels Mein Janasheen Muqarrar Hoon?" 16.16.2 * Authorization Dobara Say Mangwana TAREEQA: "/chanserv sendauth <#channel> S" WAZAHT: Mut`Ba`Dal Urfi`Naam say agar aap woh memo ghalti say Delet kardetay hoo jismay aap ka Authrization COde hota hay. Jiskay zariyeh aap FOunder ki access hasil kartay ho. too oper dee gaie command kay zariyeh aap dobara New Authrization COde mangwa saktay ho. 16.17 * Kamray Ke Liye MAILBLOCK Ke Option Ko Tarteeb Dena ---------------------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv set <#channel> mailblock " WAZAHT: Iss command say ham Kamry(channel) ki Mail Block option ko ON/OFF kar saktay hain. Note:- agar is Option ko ON kardia jay too, FOUNDER agar Kamry(channel) ka Password bhol jata hay too woh Kamry(channel) ka Passwod SENDPASS command kay zariyeh Email main nahi mangwa sakta hay. Bass phir woh Kamry(channel) bhi bhool jay. isi liyeh iss option ko tab hi on kia jay kay founder apnay Kamry(channel) ka password yaad rakh sakay. KHAAS: MAILBLOCK ko ON karny say Founder Kamry(channel) ka password bholnay per wapis nahi hasil kar sakta. iss liyeh Founder jab bhi yeh Option on karay too sooch k kahin woh password bhol na jay 17 * Khud Ko Kamray Main Madou Karna/Bulana ------------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv invite <#channel> " WAZAHT: Iss command say aap Invite ho saktay ho yah kar saktay hoo invite kisi ko Kamry main. agar Kamry par +R/+O/+i/+l/+k/+b modes hain too phir bhi invite kia ja sakta hay. Or yah phir aap agar Kamry say ban hoo to aap yah koi or Kamry join kar sakta hay invite karnay per. or yeh command istemal karny kay liyeh aap kam az kam VOP lazmi hon Kamry(channel) main. 18 * Kisi Shakhs ki Rasaai(access) Dekhna ----------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv acc/access <#channel> <[nick]> " WAZAHT: iss command say AOP/Higher kisi Urfi`Naam ki access daikh sakty hay, keh woh Kamry(channel) main konsi Rasaie(access( rakhta hay, jinki wazaht neechay darj hay. -2 = Kamry(channel) Close ho gia hay -1 = Kamry(channel) ki AutoKick main hona 0 = bunyadi/aam 5 = AutoVoice 8 = Halfop 10 = AutoOp 20 = SuperOp 30 = iskay pass manager Rasaie(access) hay 40 = iskay pass founder Rasaie(access) hay nickserv ki access list say 50 = iskay pass Founder Rasaie(access) hay NickServ say shanakht karwany sa 60 = Iskay pass founder Rasaie(access) hay ChanServ say shanakht karwany say Agar User online nahi hay too aap ko 0 number show hoga. yeh tumam Info aap ko Numbers main de jati hay. or konsa number kis kay barabar hay woh oper tafseel mojod hay numbers kay saath. KHAAS: aap k paas AOp or higher access honi chahiye command istemal karny k liyeh. MISAAL: "/ChanServ ACC #mystro |Mystro| " Neechay ChanServ yeh Reply karega: "-ChanServ- |Mystro| ACC #mystro 50 (Founder)" 19 * Ye Dekhna Ke Koi shakhs OP Kyun Hay ---------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv why " WAZAHT: WHY command bhi ACC/ACCESS command ki tarah same hi wazaht deti hay. iss command sey aap ko Status Window main bataya jaiga kay Urfi`Naam konsi Rasaie(access) rakhta hay agar woh Urfi`Naam jama nahi hota AOP/SOP/FOUNDER fehrist main to woh yeh bhi bataiga kay yeh Urfi`Naam kis Urfi`Naam ko shanakht karwa kar oski Rasaie(access) istemal kar raha hay KHAAS: Iss command ka istemal karnay kay liyeh, aapka channel list mein mojood hona zaruri hai. MISAAL: " /ChanServ WHY #mystro |Mystro| " Yeh ChanServ ka Jawab Aiga. "-ChanServ- |Mystro| has SOP access to #mystro. Reason: Identification to |Mystro| with the Nick password. Channel Frozen: NO" 20 * Khud Ko aur Doosro'n Ko Unban Karna ---------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv unban <#channel> <[nick/*/nick!user@host]> " WAZAHT Is comamnd kay zariyeh aik AOP Kamry(channel) main kisi Ban Urfi`Naam/hostname ko unaban kar sakta hay Chahay AOP Kamry(channel) main na hoo woh yeh Kamry(channel) Say Bahir reh kar bhi kar sakta hay. Or aik SOP tumam Ban USers ko Unban Kar sakta aik hi command say laikin Urfi`Naam ki jagah ( * ) wildmask lagany say. 21 * Kamray Ki Enteries Gin`na ------------------------------ TAREEQA: " /chanserv count <#channel> " MALUMAAT: Iss command say ham kamray ke tamam akicks, Halfops, VOps , AOps , SOps and Managers ko ginn saktay hain jawab aik adad ki soorat me diya jaye ga. MISAAL: " /ChanServ COUNT #mystro " Yeh Reply aiga: "-ChanServ- Channel: #mystro - VOP: 35 HOP:1 AOP: 27 SOP: 3 MANAGER: 1 AKICK: 9" 22 * Kamray ki Rasaai Ki Fehristain Dikhana. -------------------------------------------- SYNTAX: " /chanserv listops <#channel> " MALOOMAT: Ye command ap ko kamry(channel) ke tamam VOPs, HOPs, AOPs, SOPs, managers and founder ki fehrist dikhati hai. Ye mehdood hai AutoOps ya us se uper walon ke liye. MISAAL: " /chanserv listops #docsteam " Ye kuch iss taranh se nazar aaye ga: "-ChanServ- Founder:" "-ChanServ- Fredfred (fredfred@staff.dalnet)" "-ChanServ- Manager[s}:" "-ChanServ- Sop(s):" "-ChanServ- eDdYk0nG (eddykong@118.128.268" "-ChanServ- Zappu (zappu@123.345.789)" "-ChanServ- Aop(s):" "-ChanServ- Uzay (uzay@123.123.123)" "-ChanServ- Ufo (ufo@ip25.ip-167-114-218.net)" "-ChanServ- Hop(s):" "-ChanServ- Phoenix (h@2607:f8f8:790:5::1234)" 23 * Kisi Kamray Ki Tafseelaat Dekhna ------------------------------------- TAREEQA: " /chanserv info <#channel>> " WAZAHT: kisi Kamry(channel) ki information hasil karnay kay liyeh oper dee huie command use kia jati hay. Wazaht is baray mein (chanserv settings, topic, registry date, last op date, waghera.) MISAAL: " /chanserv info #mystro" iss command say aisi wazaht aiegi "-ChanServ- Info for #mystro:" "-ChanServ- Founder : |Mystro| (mystro@66.38.188.104)" "-ChanServ- Mode Lock : +nt-ilk " "-ChanServ- Description: My little home on the net." "-ChanServ- Options : Verbose" "-ChanServ- Memo Level : AOP" "-ChanServ- Registered : Thu 09/30/1999 03:07:00 GMT" "-ChanServ- Last opping: Sat 04/21/2001 13:54:14 GMT" "-ChanServ- *** End of Info ***" yeh bataygi k |Mystro|founder hy iss host mystro@66.38.188.104 k sath, Kamry(channel) k modes hain +nt-ilk, the description hay 'my little home on the net.' waghera. 24 * Kamray Ki Hifazat ---------------------- ab aap ko sab ChanServ ki COmmands kay baray main bata diya giya hay. ab aap ko aik ahh`am Topic "Channel Security" kay baray main kuch achay mashwry detay hain. kionkay kafi users atay hain kamro(channels) main yani #operhelp main yehi Sawalat pochtay hain kay onka Kamry(channel) Chinn`giya yah phir Kamry(channel) ka password bhol gay hain. Too apnay Kamry(channel) ko mehfoz banany kay liyeh yahan kuch mashwry hain. 1) Apna Kamry(channel) ka password rakhnay ko Uppercase or lowercase Words main rakhain or numbersper. istarah say aap kay Kamry(channel) ka password ko guess karna mushkil hojayga. 2) KABHI BHI apnay Passwords kisi bhi dost ko ko na dein beshak woh kita hi Trusted kioo na hoo DALnet kabhi madad NAHI karta hay aap nay Password dia tha or ab aap ka Kamry(channel) chinn giya hay :/ 3) Sops/Aops ko bohat hi Carefuly add karain. agar aap kisi ko jantay nahi too phir aap osko Kamry(channel) main add na karain. 4)Jab aik kamra(channel) registered hota hay too, ChanServ +nt-k MLOCK k sath set kar deta hay. Pass agar aap apnay kamry ka password rakhna chahty ho too aap ko -k ko khatam karna hon MLOCK say or +nt ko wesay ka wesay rehny dain kamray channel ki hifazat k liye. Tareeqa MLOCK say kisi mode ko khatam karny ka woh yeh hay k: /chanserv set #channelname mlock +nt 5) khudkar shanakht karnay walay koi bhi Script use na karain, agar kartay bhi hoo to kisi ko apna script na dein, 6) Apna Kamry(channel)/Urfi`Naam kay password har mahinay baad change kartay rahain. App password k baray may mazeed tafseel (http://docs.dal.net/docs/passwordsur.html) site per hasil kar skty ho. 25 * Kamray Ki Meyaad Khatam Hone Ki Muddat ------------------------------------------- aik channel khatam ho jata hay jab koi operator yan baani 30 din k ander ander nahi join karta. apna channel taweel waqt tak register takhnay k liye aap ko fuaal rakhnay k lia aap ko kam az kam aik bar apnay channel main shamil honay ki zurort hay. is k ilawa aap ko channel k qayam ko barqarar rakhnay k liya manager / sop yan aop shammil karnay ki zurort agar aap masroof hain yan kisi bhi waja say DALnet say munsalik nahi rah saktay hain. http://docs.dal.net/docs/csaccessur.html ya link dekhain. aik mushtarqa masla hay kay sab say zaida channel baani ko samna hota hay opping namloom afraf. apna channel tayar aur mehfooz rakhnay k liya bara e meharbani link dekhain http://docs.dal.net/docs/chandevur.html mazeed maloomat k liye agar channel registerd nahi raha aur kisi aur user nay register karlia tu aap wapis hasil nahi kr saktay 30 din ghair fuaal honay k baad khatam na ho jaye mazed maloomat kay liya #Operhelp main shamoliyat akhtiyar karain. 26 * Nateeja ------------ Aaap ko ChanServ ki COmmands or aik Founder ki Kamry(channel) main zummay`dari ka pata hona chahiyai is dastawizat ko parnay kay baad AKicks, AOps and SOps ki or ziada tafseel k liyeh, meharbani say Chanserv Access/rasaie k dastawizat yahan hain http://docs.dal.net/docs/csaccessur.html ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)