Yaksan IRC Connection k Errors ============================== Version 1.0.0 Last translated by Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) and Heroic (Ali_Heroic at Hotmail.com) on 2006-05-12 Originally written by Hammer (hammer at dal.net) and Merlin` (merlin at mishscript.de) on 2005-05-22 Copyright (C) 2005-2006 by the DALnet IRC Network Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Kisi madad ki !) to docs@dal.net.Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net/. Taa`urf ------- Yeh dastawizat is liyeh likhay gay hain k logo ko madad milay apny connection k masaiel ko door karny mein or onka koi hall nikala jay. Madad k liyeh aap ko issay kissay ko samajhna behta hay: JOE aapki mIRC hay, aik IRC Client hay MARY aik IRC server hay (jesa k Jane, Helga or Kyoko hein, yeh sab aik hi jaga (network per kaam karty hain jahan Mary karta hay). THE SWITCHBOARD OPERATOR Jahan Mary bey tarteebi kaam karta hay aik network per (jesa k irc.dal.net). Jesa k hamary tajziyeh k mutabiq, Joe call karny ki koshish kar raha hay Mary ko telephone k zariyeh. Contents -------- 1 * [10049] Can't assign requested address/Matloba adress k sath mansoob nahi ho sakta 2 * [10050] Network is down yah [10051] Network unreachable/Network puhanch main nahi 3 * [10052] Network dropped connection on rese/Network connection ko dobara durast karta hay 4 * [10053] Software cause connection abort/Software ki wajah say server ruk giya 5 * [10054] Connection reset by peer/Hamrutba ka Connection ko dobara durast karna 5.1 Read Error/Parhny mein Ghalti 5.2 Write Error/Likhny mein Ghalti 5.3 Ping Timeout/Ping ka Kharij hojana 5.4 Broken pipe/Pipe ka tot jana 5.5 Mutfariq Mazami 6 * [10055] No buffer space available/Koi Wazeh jagah mojood nahi hay 7 * [10060] Connection timed out/Connection ka Waqt khatam 8 * [10061] Connection refused/Connection ka inkaar 9 * [10065] No route to host Error/Koi tout nahi hay host ki ghalti say 10 * Unable to resolve IRC server/Namumkin hay IRC server say rasahi 11 * Akhri Khulasa 1 * [10049] Can't assign requested address/Matloba adress k sath mansoob nahi ho sakta -------------------------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe call karny ki koshish kar rahay Mary k kaam ki jagah per; woh is bat ka khiyal nahi rakhta k kon baat karyga (Mary, Jane, Helga, Kyoko), puss osnay kafi compniyon k numbers ghumay, jismain (arzi tor per) 9 say tabdeel ho chuka hay. Hall yeh hay, yaqenan, Mary yah (Jane, or Helga, etc.) say hi seedha baat ki jay. Iska matlab yeh hota hay k IRC server kisi ki pohanch main nahi hota hay. Ziada tar admins apnay DNS records ko badal detay hain kisi unjani IP number255.255.255.25 say iski wajah DDoS (Distributed Denial of Service) ka hamla hota hay. Behtar yehi hay k khaas/muqar`ra IRC server say koshish karain os network per yah kisi or network per (Jab woh server ki IP 255.255.255.255 rakhty hain to aap ko yeh error milayga "Can't assign requested address/Matloba adress k sath mansoob nahi ho sakta". Jab woh 127.0.0.1 set karty hain too aap ko yeh error milay ga "Connection refused/Connection Munqita" kiyon-k aap apny aap sayhi connect hony ki koshish karty hay aik server ki tarah. Jab woh address ko hi mukammal hi khatam kardein (kuch nahi rakhty) to aap ko yeh error milayga "Unable to resolve IRC server/IRC server ko hal karny say qasir hay".) 2 * [10050] Network is down yah [10051] Network unreachable/Network puhanch main nahi ------------------------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe aik dial tone hasil kar leta hay laikin Mary k telephone number ko milany say osky phone ki ghanti nahi bajti Yeh errors tab wajood main ata hay jab aik maqsood network down/gardish mein hota hay, yah mumkin hay kay network ka aik hissa jis rasty per hay woh down/gardish mein hain or data packets ko koi rasta nahi milta anay jany ka. 3 * [10052] Network dropped connection on rese/Network connection ko dobara durast karta hay -------------------------------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe aik dial tone hasil kar leta hay lekin Mary ko milany k amal or oska phone bajj raha hay, oska switchboard down/gardish ho jata hay. Server jo k IRC server ko rehnumaie deta hay, yah network on hota hay, tabah hojana, dobara chalna yeh dobara durasti hasil kar lena. To sirf kuch minutes main dobara connect karain. 4 * [10053] Software cause connection abort/Software ki wajah say server ruk giya --------------------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe or Mary apnay cell phones per hain. Joe ki battery pareshan karti hay bohat ziada, or osko sochny per majbor karti hay k jo call Mary ko ki hay woh khatam hogaie puss band kardo. Yeh error client ki taraf say wajood main ata hay kaien ziada wajohat hoti hay. Asal mein, yeh aglay error ki tarah hi error hay (jismein server ka tarfa hay). 5 * [10054] Connection reset by peer/Hamrutba ka Connection ko dobara durast karna ---------------------------------------------------------------------------------- Hamrutba ka Connection ko dobara durast karna aik mushkil hay kiyon-k yeh kafi chezon ki wajah say wajood mein ajata hay. Tumam sorty haal main, keh server inkar kar deta hay k socket or ziada sahi nahi hay or isko apni taraf say band kardo. 5.1 * Read Error/Parhny mein Ghalti ----------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Mary ko yeh samajh nahi ata k Joe kiya keh raha hay, puss woh isko band kardeti hay oskay na samajh pegham ki wajah say. Aik prhny mein ghalti os waqt wajood mein ati hay jab aik server aik shakhs k client say kamiyab tor per kuch parh na sakta ho. Servers malomaat ikhati karty hain client k text , setup, or dosri chezon say. Jab server aik ghalti ko mosol karta hay jab woh aap ki client say parh raha hota hay, tab yeh isko disconnect kardeta hay, or quit pegham read error hota hay. 5.2 * Write Error/Likhny mein Ghalti ------------------------------------ MANZIR`WAR`KHULASA: Mary Joe say baat karny ki koshish kar rahi thi laikin osko kuch samajh nahi araha tha k woh kia hasil kar rahi hay, pass woh band kar deti hay kisi nasamajh pegham ki wajah say. Aik likhnay mein ghalti os waqt hoti hay jab aik server kamyabi say shakhs k client say nahi likh pata. Jab server ko malomaat mosool hoti hain, to yeh aam tor per iss malomaat k sath jawab deta hay k malomaat down/gardin mein hain. Jab server aik ghalti ko mosol karta hay jab woh client mein likh raha hoya hay, tab yeh disconnect ho jata hay, iss quit pegham write error k saath jo bilkul read error ki tarah hota hay. 5.3 * Ping Timeout/Ping ka Kharij hojana ---------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Mary, aik qunba qaim rakhti hay kafi bacho k saath or hamesha matwajjo hoti hay, or pochti rehti hay yeh yaqeen karny k liyeh k Joe abhi tak mojod hay or sun raha hay. Agar woh koi jawab na dey to yeh oskay liyeh bohat hota hay or woh band kardeti hai. Servers khud`ba`khud ping karta hay logo ko aik waqfy k baad. Iski wajah yeh ho sakti hay k client abhi tak connect hay server say. Jab aap "PING? PONG!" ko apni status window mein dekhty ho, iska matlab yeh hota hay k server aap k client ko ping karta hay, or pong ki sorat main yeh hasil karta hay k aap abhi tak connect ho. jab aisa nahi hota hay too server baghair ki ilam k bina per disconnect kar deta hay aapko jab yeh koi jawab mosol nahi karta, to isi wajah say ping timout ka nateeja samny ata hay. Ping timeouts HAR KISI k liyeh marz`e`wajod mein ata hay. 5.4 * Broken pipe/Pipe ka tot jana ---------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Mary aik khulasa leti hay is pegham k saath k osko Joe say kuch zarorat hay lekin kisi tarh say oskay haath or moun say, aik ghalat pegham nikal jata hay. Mary koshish kar rahi hoti Joe say baat karnu ki laikin Joe ko kuch samajh nahi arahi hoti oski, to woh band kar deti hay. Aaik pipe ka tot jany wali ghalti oswaqt hoti hay jab server janta hay k oskay pass aik pegham hay lekin osko zati tor per istemal karny k kabil nahi hota aik deta bahir say mosol karny k liyeh socket say. 5.5 * Mutfariq Mazami --------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Kafi dosri wajohat ki bina per; mumkin hay operator k tot jany or Mary ko pegham mosol hoty hain jo k osko pareshan karty hain aik call k sahi hony per puss woh band kardeti hay. 6 * [10055] No buffer space available/Koi Wazeh jagah mojood nahi hay --------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe Mary ko call karna chahta hay, laikin oskay hath pehlay say hi masroof hain. Iska matlab yeh hay k mIRC aik niya network socket ban`ny mein masla rakhti ha; to yeh aap ka Internet connection istemal nahi ho sakta aik IRC server say connect hony k liyeh. Agar aap kafi saray network istemal kar rahay hoty ho aik hi waqt per, too aap yeh error hasil karty ho. Dosray istemalat ko band karo yah apna Internet connection ko dobara say sahi karo iss masly ko hall karny k liyeh. Yeh error yeh bhai zahir karta aap k system say kuch zaraiyh ki ziadti ko. Yeh aisey wajood mein ata hay agar aap kafi sary istemalat ko chalaty ho (kisi kisam k) aik hi machine per. Agar yeh kafi istemalat ko chalany k baad wajood mein aiey too, lazman istemalat ko sahi tarah say band nahi kia ja saka. To yeh is baat ka bhi ishara karta hay k aap istemalat ko sahi tarah say band nahi kar rahay ho. Agar yeh istarah say, Windows say bahir ana yah apni machine ko dobara say chalana kisi masly ki wajah say. 7 * [10060] Connection timed out/Connection ka Waqt khatam ---------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe Mary ka number ghumata hay, laikin yeh milta nahi hay, yah, yeh mil raha hota hay lekin woh isko kabhi utha nahi rahi hoti. Chezain susti hasil kar sakti hain Internet per. jesa k jab aap aik masroof server per puhanchny ki koshish karty ho too yah jab rabta internet services providers or IRC server k darmiyan tot jay. Yeh tab bhi ho sakta hay k aap aik sahi connection nahi rakhty hoo Internet say yahan tak k aap IRC shoro karny say. Sabar yehan saby acha intekhab hoga. Baad main koshish karain yah kisi or IRC server say connect ho jain. Yahan kuch aisa nahi k aap jadu say sab sahi karlein. Aik rabta yeh bheji gaie darkhuwast nakaam hojay kisi connected party say kuch waqt k liyeh koi jawab mosol nahi hota hay. Sabsey pehlay yeh dekhain: k maqsod address sahi IP address hay. Agar aap aik istemal karty ho, kis yeh sahi address say munsalik hay? Agar hostname resolution aik local host table istemal karay, To yeh mumkin hay aik sahi address ki rehnumaie hasil karna. Or kia tum oss hostname ko ping kar sakty ho? kia aap aik router configured rakhty ho? agar router on hay or chall raha hay (isko dekhty rahain ping kar k, or tab aik ping karain kisi dosray adress ki taraf)?. Apni subnet mask ko check karain. Agar aap k pass sahi subnet mask nahi hay, tumhara network nizam aik local address ko madoh kar sakta hay jesa k aik remote address (Pass yeh addresses ko local subnet per agay bhaijti hay router say, jabky broadcasting aik ARP darkhuwast hoti hay mukami tor per). 8 * [10061] Connection refused/Connection ka inkaar --------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Mary ghar nahi hay. Jane road per koshish karta hay. koi connection ban sakta hay kiyon-k nishana machine isko munkitah kardeti hay. Yeh aam tor per aik service say connect hony ki koshish main hota hay jab aik ghair chust host hoti hay. Jesa k aap aik ghalat host k paas chaly jaty ho, yah server ka istemal jissay aap rabty ki koshish kar rahay ho woh bahir nahi araha. Maqsood address ko dekhain jo aap istemal kar rahay ho. Agar aap host name istemal kar rahy ho, Kiya yeh sahi address say munsaliq hay? Agar host name resolution aik local host table istemal karti hay, Yeh mumkin hay k aap aik puranay address say munsalik ho. Yeh bhi mumkin hay k aap services file mein kuch ghalat port name hain (Jahan tak yeh na Pasand hoty hain). App tasdeeq kar sakty ho k kahin connection ko remote ka nizam radd too nahi kar raha. Dekhain k aap ka network ka nizaam (WinSock implementation) aik afadiyat rakhta hay jo nettwork statistics ko dekha sakay. Yeh aik mutadid bar anay wala error hay or aik behtreen jangjo hay, jabsy yeh aik bohat kam mashkok hay. To yahan kuch hi wajohat hay jo is error ki ho sakti hain: * Aap nay ghalat port say connect hony ki koshish ki. Yeh aik aam masla hay. * Aap nay aik ghalat maqsoda host address sey connect hony ki koshih ki. * Server ka istemal aik maqsood host per nahi chal raha hay. * Server ka istemal sahi port ko nahi janch paa raha. 9 * [10065] No route to host Error/Koi tout nahi hay host ki ghalti say ----------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe oska phone nahi dhond dakta. Iska aam tor per matlab uej k aap sahi Internet say connect nahi ho. Aapki Windows talash nahi kar sakti kesay yah kahan talash kary IRC server ko. Iskay pass kuch nahi hota mIRC yah IRC k sath karny ko! Apna connection dekhain (Dobara connect karain agar aap ko sab kuch sahi lag raha hay to) or baad mein koshish karain. 10 * Unable to resolve IRC server/Namumkin hay IRC server say rasahi -------------------------------------------------------------------- MANZIR`WAR`KHULASA: Joe Mary ko call karny ki koshish kart hay lekin operator ko yeh nahi pata k Mary kon hay. Yeh error tab wajod main ata hay jab DNS records (yeh hostnames ko IP addresses mein tabdeel kardeta hay aik sahi istemal liyeh) badalty rehty hain yah kuch zahir nahi (koi tasdeeq shuda DNS server nahi mil raha). * DNS server hostname k liyeh down/gardish hai. * DNS records domain k liyeh chust nah ihay yah sahi nahi. * Niya DNS records domain k liyeh jismein IPs badalna sahi tarah abhi phela nahi puss woh wohi purany IP address rakhty hotay hain, jismain aik Connection k inkar ka error yah Connection waqt k khatam hony ka error asakta hay. 11 * Akhri Khulasa ------------------ Yahan kuch or errors hain jo mein nay yahan zahir nahi kiyeh hain, inn errors ko is jagah talash kia ja sakta hay http://www.mirc.co.uk/help/servererrors.html. Khaas shukriya to Krejt ka iss dastawizat k liyeh. parhny walo k liyeh, Ham yaqeen karty hain k yeh dastawizat aap ki kuch madad kar sakain. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)