Windows ko trojans se surakshit karna ===================================== Version 1.1.3 Akhri mein anoovad kiya gaya Jayu (atikrur at yahoo.com) se tarikh 2005-08-11 Akhri mein likhwaya gaya h (AHFR at Email.com) se tarikh 2017-04-30 Asal mein likhwaya gaya Jim-mm (jim-mm at dal.net) se tarikh 2000-08-25 Prakashit (C) 2000-2017DALnet Irc Network ki taraf se Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net. DALnet Kline Team se ek sandesh ------------------------------- Adhik-tez aur kayam rahanewale internet jodan nukshan bhi karsakta hai, agar iska galat istemal ho tab. Krupa karke aap hum ko sahayata kare ki hum DALnet per aapke anubhav ko anand se bharpur banane mein aapki sahayata kare. Thoda sa samay le kar yeah pakka karle ki aapka computer machine dusaro ko pareshan ya nuksaan to nahi pohancha raha hai. Kline Team: http://kline.dal.net/contact/ Suchi ----- 1 * Trojans kya hai 2 * Kyo aapko careful rehana chahiye 3 * 10 Minute ke liye machine ki salamati ki janch 4 * Virus/Trojan/Security Mahiti ka library 1 * Trojans kya hai ------------------- "Trojans"Trojan ek tareeke ke programs hai jo computer istemal karnewale ki jankari ke bina uske computer per chalta hai, aur yeah kuch aise pravesh-hak dushare user ko deta hai ki jisse woh dushara inshan computer ko bahar se bhi chala sake ya istamal kar sake. Jab ki yeah viruses nahi hai, per inko isi kaksha mein rakha jata hai ki jo ek galat drushtha programs hote hai jo computer istemal karnewale ki sahmati ke bina hi uske computer per chalu ho sakte hai. Waha bahut tarah ke Trojans hai, lakshanik taurpe wah sab dusharo ko internet ke jariye dusharo ko computer istemal karne dete hai: computer per yeh programs chalu yani aapke computer ki hard-disk mein rakhi gai sab mahiti/data per dusaro ka kabu ya hak. 2 * Kyo aapko careful rehana chahiye ------------------------------------ Cable aur DSL jaise tantra ya program computer ko adhik-tez, kayam rahnewale internet jodan dete hai. Yeah Cable/DSL ka adhik-tez aur kayami jodan drushtha-adham insan ko akarshit karte hai. Agar jo aap sachet (careful) nahi honge, to woh aapke machine per kabu kar sakte hai, aapki mahiti/data chura sakte hai aur waise bhi aapke computer ka sanchalan karke woh dushare machino per aakraman karake nuksan pahuncha sakte hai - yeh sab aapki jankaari ke bina kar sakte hai. Aapke pass Cable ya DSL jodan nahi bhi ho phirbhi, aapke computer per agar jo koi Trojans ho to woh aapke computer se files churane mein istemal honge itna hi nahi yeh aapko dusare kayi tarah se pareshan kar sakte hai. DALnet Kline Team ko iis tarah ki 'choriya' harroj dekhne ko milti hai. Jaise ki, pranali aur machine ko nuksan pahuchana, users ke Nicknames, Password aur dusari unki angat/vyaktigat mahiti churana aur unki bandwith aadi ko akraman karke kamjor karna adi. Aisa roj-baroj aur bar-bar hota hai to durbhagyasali user ke ISPs ko yeah yakin ho jata hai ki yeah user ka machine pareshan karnewala aur nukshan karnewala hai aur iis wajah se woh kathor hokar us nirdosh user ka jodan bandha kar deta hai aur apni seva se bedakhal kar deta hai. DALnet ki team aisi samasya per kabu karane ke liye sakyatah: koshish kar rahi hai, per unko aapki madad ki bhi jarurat hai. Sabhi trojans se ashar paye huve computer per internet per aakraman karne ke liye sambhavit pravesh-dwar hota hai, drushtha-adham nitiwale inshan ishkta bar-bar istamal pareshan karne ke liye aur dusari aisi kai chizo ke liye karte hai. Aakraman ki saruat kamjor machine se hoti hai, inki sahi utapati kaha se hui hai yeah janana bahut kathin hai, per team ke liye inko dundhana namumkin nahi hai. Phirbhi, aise kai Trojans ko dhund ke apne computer se nikal na asaan aur fast hai. Ishke liye kya karna chahiye is bare mein niche kuch mahitiya rakhi gai hai, aur aise software ki suchi di gai hai jo upayogi hai. Kripaya is baare main apko sahayata karne ke liye aap thodi hume sahayata kare, kuch pal ya samay aap apne machine ko janch ne ke liye nikale. Yeah bura hoga, ki aapki 10 minutes kharab hogi, per isse yeah acha hoga ki aap apne apko sardard aur aise machine se honewali pareshani se bacha lenge. 3 * 10 Minute ke liye machine ki salamati ki janch -------------------------------------------------- * Sabse pehle, yeah pakka karle ki aapki machine saaf ho. Trojans ko pakadnewala software download kare aur chalaye - yeah kisi bhi windows machine se trojans pakadkar use nikal dega. Yeh software mufat nahi hai per yeah 30 din ke liye pura upyogi hai, yeah software http://www.moosoft.com se mil sakta hai aur yeah sambhavit sabse adhik istemal mein liye janewala software hai. * Isske bad, aapke viruses pakadnewala software agar up-to-date na ho to pahle usko update kare, aur phir iska istemal karke pure machine ko janch le. Viruses pakadnewala software bhi kayi tarah ke trojans pakad kar use machine per chalne se rok sakte hai. Albat yeah aapke machine ko kai ashankhya viruses se bhi bachata hai jo aapke computer mein ittefaq se agaye honge. Yeah bharosemand chale is ke liye unko up to date karate rehna chahiye aur iske liye yeah software bananewali company ki website ko visit karke use humesha update karte rahe. Yeha per kuch aise viruses pakade aise software bananewalo ki website ki suchi di gai hai: McAfee, http://www.mcafee.com Norton, http://www.norton.com Trend Micro, http://www.antivirus.com * Aab agar koi 'open doors' yani khule darwaje ho to use bandha kare. Apke machine ko janch ne ke liye http://www.grc.com per mulakat (visit) le. Aap sambhavit waha *netbios* port ko khula pa sakte hai, ki jiska istemal computer per aakraman karne ke liye kar sakte hai. Woh website per aise open port doors ko kaise bandha kare iska margadarshan diya gaya hai. * * Akhir mein, desktop Firewall istemal karne per dhyan de. Yeah dushare insaan ko aapki izazat ke bina internet ke jariye aapke machine per kabhu pane se rokega, aur aapke computer mein trojans dalne se bhi rokega. Waha per Firewall ki suchi hai jo samiksha bhi hai ki yeah kya hai, yeah kaise karya karte hai aur unmein se kaun se ache, bure aur vyartha hai, to is website ko visit kare http://grc.com/su-firewalls.htm. Windows users apne computer ko safe mode mein chalu kare yeah salah di jati hai. Jyadatar jab computer safe mode per hota hai tab viruses aur trojans karya nahi kar rahe hote hai.. yani chalu nahi hote, tab unko pakadna asaan hota hai. ZoneAlarm, http://www.zonelabs.com, yeah vyaktigat istemal ke liye yeah ashan hai aur mufat hai. * Aapki machine per aab Trojans aur viruses ka astitva nahi hai, aur aapki machine aisi hi rahe aise asha hai. 4 * Virus/Trojan/Security Mahiti ka library ------------------------------------------- 1) http://www.nohack.net (#NoHack's Website jismein trojan aur viruses ke baare mein dastawez aur mahiti diya gaya hai). 2) https://www.dal.net/kline/ (DDOS attacks pe mahiti) ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)