Windows ko Trojans say Bachana ============================== Version 1.2.0 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi (sarahthewarrior at mail.com) per 2018-12-21 Akhri bar parha giya cJs (aumer24 at hotmail.com) on 2017-04-05 Asal main likha giya Jim-mm (jim-mm at dal.net) per 2000-08-25 Copyright (C) 2000-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Aik Pegham DALnet Kline Team ki Taraf say ----------------------------------------- Network connections par High-speed tabah kun ho sakti hai agar is ka ghalat istemal (abuse) kiya jaye IRC par ya kahin bhi. Bahare-e-maherbani, Dalnet par aap ke safar ko khushgawar banane ke liye aapki madad karne mein hamari madad kijye is baat ko yaquini bana kar ke aapka computer system kabhi bhi doosro ko abuse karne ke liye istemal na kiya ja sake. Kline team se rabtay ke liye: https://users.dal.net/karnaf/new.php/ Muwaad ------ 1 * Trojans kia hota hay? 2 * Aap ko Muht`aat kio hona chahiyeh? 3 * 10 Minute System Hifazati Iqdaam 4 * Maloomati Zara`ey 1 * Trojans kia hota hay? ------------------------- "Trojans" aisey program hotay hain jo aap ki marzi k baghair yah aap ko pata nahi hota computer mein install hojatay hain or kisi dosrey shakhs ko aap k computer mein rasahi deta hay. Jab k yeh koi viruse nahi hota, yeh aisey programs mein install hotay hain jo aap ki ijazat k baghair kam kar rahay hotay hain. Wesay too bohat kisam k Trojans hotay hain. jo dosrey user ko aap k computer mein access detay hain Network k zariyeh jesa k: Computer per kuch programs ko chalana or data ko jamahkarnay ki rasahi detay hain. 2 * Aap ko Muht`aat kio hona chahiyeh? -------------------------------------- DSL or Cable net hamesha aik home pc ko 24 ghanty net connection or ziada speed denay mein bemisal hain. yeh ziada speed or 24 ghanty computer ka NET sey connect rehna choor ko pora mo`uqa deti hain aap k computer per hamla karnay ko. Agar aap muht`aat or hifazat nahi rakhaingay too woh aap k computer ko asani say control kar saktay hain. Istrah say woh aap k computer ka data or keemti malomaat asani say chori kar saktay hain. Isi liyeh aap ko sab sey acha Firewal, Antiviruse or dosri kisam ki hifazat apnay computer mein rakhain. Yahan tak k agar aap k paas DSL connection nahi hay too, aik trojan aap k computer say files hasil kar sakta hay. DALnet Kline Team "chori karny" k bohat kisam k nateejay dekh chuki hay. Jab aik shakhs ka urfi`naam, Password or onka zati data chori hota hay too system ki bandwidh bohat koshish karti hay k hamlay ko bahir nikala jay. laikin kuch ISPs k log yeh samajhty hain k yeh ISP ki mushkil hay or woh oss ISP ko istemal nahi kartay phir. Team DALnet ki mushkilat ko khatam kar rahi jo woh kar sakti hay. lekin onhay aap ki madad chahiyeh aik mutasir huwa PC aik acha rasta hota hay hamla karnay k liyeh network per. or yeh sab computer ki apni marzi say hota hay or Team k liyeh bohat mushkil hota hay asal wajah ko talash karna. Bar`hal, yeh bohat asan or jaldi hota hay aik shakhs k liyeh trojans ko talash karna or onko khatam karna. Neechay bataya gia hay k kesay kia jay. or kuch software k packages download karnay k liyeh links diyeh huway hain. 3 * 10 Minute System Hifazati Iqdaam ------------------------------------ * Sab se pehle, yaqin dihani kar lijye ke system saaf hai. Phir aik Trojan Scanner download kar ke run karain - ye aap ke windows system mein mojood tamam Trojans ko dhoond kar khatam kar de ga https://www.avast.com/c-trojan * Agay, apna scanner hamesha update rakhain, agar yeh update nahi hay to pora scan karain. Virus scanner bhi kafi Trojans ko talash karta hay or onko rokta hay install honay say or yeh dosrey bohat say viruses ko bhi talash karta hay or khatam bhi karta hay. Yeh kuch viruse scanners k sites hain: McAfee, http://www.mcafee.com Norton, http://www.norton.com Trend Micro, http://www.antivirus.com * AB, apnay PC say open door ko close kardein. meharbani say yeh dekhain http://www.grc.com or apnay system ko dekhain. aap ko lazman *netbios* ki khuli huie ports talash karna chahiyeh jo k aap k PC per hamla karny k liyeh istemal ho sakty hain. Website per aapko bataya gia hay k aap kesay in chezoo say bach sakty ho * wesay aik or tareeqa yeh hay k jab aap apni windows ko safe mode mein chalatay hoo to aap bohat say trojans ko pakar saktay hoo kiyo-k woh kaam nahi kar rahay hotay hain. * Akhir mein, aik desktop firewal bhi install rakhain. yeh chori karny wala~u ko rokta hay aap k computer main rasahi hasil karnay say aap ki ijazat k baghair. yahan kuch firewalls ki fehrist hay is link per http://grc.com/su-firewalls.htm. Aap ZoneAlarm, yahan se https://www.zonealarm.com, hasil kar sakte hain zaati istemal ke liye a~ur is ka istemal bhi nihayat aasan hai. ZoneAlarm ko hasil kar sakty ho, yahan say http://www.zonelabs.com, yeh bohat asan bhi hay istemal karny main * Ab aap ka computer trojans or viruses say azaad hona shahiyeh, orr yaqenan aisa hi hi rehna chahiyeh isi rasty main. 4 * Maloomati Zara`ey --------------------- 1) 1) #NoHack (Aik channel hai jis mein trojan a~ur viruses ke baray mein dastaweezat a~ur malumat hasil ki ja saki hain). 2) https://www.dal.net/kline/ (DDOS k hamlay k baray main maloomat) ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)