IRC Operator ke Talaash ======================= Version 1.1.3 Akhri bar tarjama kia giya RiCkY-MaRtIn^ (hassanfb at hotmail.com) per 2005-04-24 Akhri bar parha giya Documentations Team (docs at dal.net) on 2017-07-16 Asal main likha giya LadyDana (ladydana at dal.net) per 2000-07-27 Copyright (C) 2000-2017 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Aik Taaruf ---------- "IRCop" say muraad IRC Operator hai. Yeh woh log hein jo haqeeqat mein servers chalaatay hein, nashaaista aur tauheen-aamaiz guftagoo karnay walay logon ko DALnet say alehdaa kertay hein aur network ko aam taur per hamvaar tareekay say chalanay kay zimmadaar hotey hein. Mukhtalif surat-e-haal say mutallik inn say madad lee ja sakti hai Maslan inn mein aik aam si surat-e-haal yeh hai jab aap apna password bhool jaein. Muwaad ------ 1 * Kya aapko wakai mein IRC Operator ke madad darkaar hai? 2 * #OperHelp 3 * Mutabaadil Tareekey 4 * IRCop Tak Kaisay Rasaai Haasil Ke Jaa Sakay? 5 * Ager aapko pehley he madad dainay say Inkaar ker dia gea ho... 6 * Aksar Poochhay Jaanay Walay Sawalaat 1 * Kya aapko wakai mein IRC Operator ke madad darkaar hai? ----------------------------------------------------------- IRC Operator ko talaash karnay say pehley aap achhi tarah itminaan ker lain kay aapko *wakai* mein unn ki madad darkaar hai. DALnet ya DALnet ke Sahooliaath(Services) say mutaalik bohot say sawalaat kay jawaabaat DALnet kay madadgaar channels ka amlaa day sakta hai. Ghalat mashwaray say bachnay kay liey iss baat per zor dia jaata hai kay aap sirf tajveez kiey gaey channels say he madad talab karein. Maslan #DALnetHelp, #IRCHelp and #Help. 2 * #OperHelp ------------- IRC Operator ke nishandahee karnay mein pehla qadam #OperHelp mein shirkat hai. #OperHelp mein IRC Operators din kay mukhtalif auqaat mein amooman maujood rahtay hein taakay woh aapkay sawalaat ka jawaab day sakein. #OperHelp mein jaanay kay baad bara-e-mehrbaani apnay "voice" (nickname ya farzi naam kay saath "+" ka nishaan) keiy jaanay ka intizaar karein aur uss wakt tak Ops( jin kay nickname ya farzi naam naam kay saath @ ka nishaan hota hai) say raabta na karein. Logon ko unkay unkay channel join karnay kay wakt ke tarteeb say voice kya jaata hai. Chunaanchay, channel ko chhorna aur dobaara wapis aana aapkay intizaar ko lamba ker sakta hai. 3 * Mutabaadil Tareekey ----------------------- Ager aap #OperHelp mein IRC Operators ko talaash karna naheen chahtay tou aap mutabaadil tereekon say unhein dhoond saktay hein. Iss kay liey pehlee mouhayya ke gaee command yeh hai: /who 0 o Yeh aapko unn tamaam maujooda IRC Operators ke fehrist mauhayya karey ge jinhoun nay apna mode (kisi nazaam ko baratnay ka tareeqa) +i (invisible mode - tamaam logon kay liey default mode) naheen rakha ho ga . Aik aur mufeed command yeh hai: /stats p Misaal: /stats p shiva.* Ager aap kisi bhi server ka naam naheen laitay to aap apnay server per, jiss per aap abhi maujood hein, STATS P command ka istimaal karein gey. Yeh command aapko unn IRCops ke fehrist mauhayya karey gee jinka mode +h (qaabil-e-madad ya helpful mode) ho ga aur unka idle time ( waqt ka woh hissa jiss mein yeh saakit ya faarigh rehtey hein)secondoun mein dikhaya jaaey ga. Yahan aisee koi command naheen hai jo STATS P ko DALnet kay tamaam servers per zair-e-amal la sakay. 4 * IRCop Tak Kaisay Rasaai Haasil Ke Jaa Sakay? ------------------------------------------------ IRC operators say mulaqaat say pehlay unhein "/whois" ker lein. Ager unhoun nay apnay aap ko "away" rakha hua hai ya unka "idle time" kaafi ziada hai tou iss baat ka kaafi imkaan hai kay abhi woh aapkee maded kay liey maujood naheen hein. Aur iss baat ka bhi khayaal rakhein kay IRC operators say raabta kartay wakt aap shaaista aur ba-adab tareekey say paish aaein. Yeh aap he ke tarah kay log hein aur ager aap inki pooree tavajja ke bajaey in ka mukhtasir sa waqt maangein tou yeh aapkee madad kay liey ziada aamaadgee zahir kartey hein. :) 5 * Ager aapko pehley he madad dainay say Inkaar ker dia gea ho... ------------------------------------------------------------------ Ager koi aik IRC Operator kisi masalay say mutallik aapkay sawaal ko mustarad ker day tou aapko yeh tajveez naheen kya jaey ga kay aap kisi musbat jawaab ke umeed per kisi aur IRC operator say raabta qaaim karein. Iss baat ka itlaaq khaas tor per passwords kay maslay mein hota hai. IRC Operators kay pass bhi rehnuma asool hotay hein jinki woh payrwee kartay hein. Ager kisi aik nay aapko mustarad ker dia hai tou iss baat ka kaafi ziada imkaan hai kay aapko doosray bhi mustarad ker =ddein gay. Bara-e-mehrbaani iss soorat mein doosray IRC Operators tak rasaai haasil ker kay apna aur unka waqt zaaya mut keejiey. 6 * Aksar Poochhay Jaanay Walay Sawalaat ---------------------------------------- Q: DALnet per mamnoo qaraar diey jaanay ke soorat mein main kya karoon? A: Bara-e-mehrbaani http://www.dal.net/admin/contactkline.php3 per on-line humari K-Line team say raabta karein. Bara-e-mehrbaani K-Line team ko koi ittilaa bhaijnay say pehley rahnumaa asool zaroor parh lein. Ager aapkay pass mamnooa qaraar diey jaanay say mutallik koi azaafi maaloomaat hai tou ussay bhi bayaan karein. Aap ka ip/host kaafi mufeed saabit ho ga aur ager aapko iski maaloomaat naheen hai tou sirf apnay ISP (Internet Service Provider yaani jahaan say aap internet ke sahoolat lay rahey hein) ka naam bata dein. Bara-e-mehrbaani asli AutoKill ke waja ke aik copy, taareekh, waqt aur timezone bhi shaamil karein. Q: Mein IRCop ban-na chahtaa hoon. Iskay liey mein kya karoon? A: Bohot say aisay wasaail hein jo iss ki wazahat kartay hein kay IRC Operator ban-nay kay liey kay liey kya kuch zarooree ho sakta hai. Iskay liet behtareen wasaail http://docs.dal.net/docs/operinfour.html , http://help.dal.net/dnh/oper.php hein. Q: Mein kis tarah aik server ka silsalaa ya rabt DALnet kay saath qaim ker sakta hoon ? A: Bara-e-mehrbaani iss mauzoo per mazeed maaloomaat kay liey http://www.dal.net/admin/vote/ dekhiey. Q: Mera channel band ker dia gea hai. Mein isskay baaray mein mazeed maaloomaat kahan say haasil ker sakta hoon? A: Bara-e-mehrbaani apnay channel say muttallik mazeed maaloomaat kay liey closers at dal.net per email keejiey. Q: Mera nick (farzi naam) munjamid ker dia gea hai. Mujhe iss baaray mein kis say baat kerni chahiye A: Bara-e-mehrbaani http://www.dal.net/admin/contactkline.php3 per K-Line team say raabta karein. Rahnuma asool perh lijeay aur phir apni shikaayet bhaijein. Mazeed sawalaat kay liey aap help at dal.net per kisi bhi lamhay email ker saktay hein. Hum tah-e-dil say aapka khair maqdam kartay hein. IRC per aapkee aamad per Mubirkbaad. :o) ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)