General DALnet/IRC Tips to Follow ================================= Version 1.0.0 Akhri mein anoovad kiya gaya Jayu (atikrur at yahoo.com) se tarikh 2005-11-11 Asal mein likhwaya gaya Wuher (Wuher at swrpg.net) or Mystro (mystro at canshell.com) se tarikh 2000-10-22 Prakashit (C) 2000-2005DALnet Irc Network ki taraf se Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net. Parichay -------- Yeah dastavez DALnet IRC Network ke kuch niyam/siddhanto ka ek anopacharik dhanga se varnan karta hai. In mein kuch aam IRC tips yani margdarshan ka kaise anusaran kare yeah samil kiya gaya hai, ki jo aapko sahahroop hoga, khas taur per yadi aap IRC ke liye naye user hai. Suchi ----- 1 * DALnet ke samanya siddhant 2 * Server ke siddhant 3 * Channel ke bare mein margdarshan 4 * Samapan 1 * DALnet ke samanya siddhant ------------------------------ Mass Advertising Mass advertising yani kisi channels ya users ko baar-baar sandesh bhejte rehna, khas taur per wah kisi channel ke bare mein ya kisi website ke bare mein advertising karne ke liye karte hai. Mass Advertising karne ka parinam aam taur per kill hai per jab wah baar-baar lagatar aisa karte hai to unko network se bahar nikal diya jata hai yani network se ban kar diya jata hai, jisse wah phir network per aa nahi sakta. Agar aap chahte hai ki jyadatar log aapki channel mein aye, to ishke liye koi dusra rasta dhundhe. Logo ko aapki channel mein lane ke liye sab se acha suzav yeah hai ki aap apne channel per akarshak topic set kare, aur dusra apne dosto ko apki channel join karne ke liye kahe. Mass Advertising ke siddhant ke bare mein adhik jankari ke liye http://kline.dal.net/massads/mup.htm per jaye. Cloning Eek hi computer (host) se eek se adhik network join karne ko cloning gina jata hai. Kuch server do jodan manya rakhate hai, jab ki dusare eek hi manya rakhate hai. Aise eek se adhik jodan karne ke bare mein yadi aap soch rahe hai to sab se pahele us server ke MOTD (yani Message Of The Day, ki jo /motd command se dikhega) ko padh le. Thode ya gaun cloning ka parinam sirf kill hai aur adhik cloning ka parinam pakka hi network se ban hai. Kisi tantra ke jariye eek se adhik hosts ka istemal karke network per aana bhi cloning hi hai iss ke parinam swaroop server ya network se ban bhi kiya ja sakta hai. Harassment IRCops ya kisi DALnet ke sadashya ko satane ke parinam mein bhi kill ya sambhavit network se ban ho sakta hai, jo satane ki prakriya per adhar rakhta hai. Yadi aap kisi dusare user ke dwara pareshan ho rahe ho to shakyatah: aap ban karne ki koshish kare (yadi mumkin ho to) aur/ya us pareshan karne wale user ko ignore kar de yani uski avgan na kardo. Agar jo aapke lakh koshish ke bavajud bhi aap pareshan karne wale user ko rok naa sake to, aap #OperHelp mein ja kar sahay ke liye pooch sakte hai. Jyada jankari ke liye http://docs.dal.net/docs/netiquette.html per mulakat le. Open Proxies Kuch babato mein yeah jaroori hai ki, open proxy se jodan karne walo ko DALnet per manyata nahi di jati kyoki aam taur per yeah nukshan pahuchane wale users istmal karte hai. Pratyek DALnet ke servers wingate bot chalate hai jo pratyek jodan karne wale users ke 23 aur 1080 ports ko janchate hai. Agar scanner inmein se koi port per open proxy ko payega to aap server ke bahar ho jayege. Jyada jankari ke liye, krupiya http://kline.dal.net/proxy/index.html per jaye. Services Abuse Services Abuse yani services ko nukshan pahochana. Services Abuse ke liye kai babato ka samavesh hota hai, jismein adhik nicks ko register karna bhi samil ho jata hai. Abuse samanya tarah se gatana-pe-gatana per nirdhar karta hai, lekin aap apni saral soch ka istamal karke chale to aap pakke taur per thik thak hai. Agar aap ko Services Abuse ke bare mein koi sawal hai to sabuse@dal.net ko email kare. Vividh Yadi network ya IRC se sambandhit masale naa ho to, DALnet ke dwara dusari services ke akraman (i.g. "nuking" ya packeting) aur ports scanning per koi action/amal kiya nahi jata. Jab ki agar aap yeah koshish kisi IRCop per kar rahe ho to, aap chokkas /kill honge. Yadi aapko lag raha hai ya sanka hai ki aap per koi DOS dwara hamla kar raha hai ya koi aapka port scan kar raha hai to, http://www.nohack.net per mulakat jarur le. 2 * Server ke siddhant ---------------------- Bots Jyadatar DALnet ke servers apne MOTD per yeah ankit karte hai ki wah bots (Robot jaisa kuch, idle rahne wala clients jo server per rah kar commands ka istamal apne-aap karta hai) ko manya rakhate hai ya nahi. Aur, jyadatar (sabhi nahi) servers nirnay karate hai ki wah kaise bots ko manya rakhate hai. Phir bhi, kuch servers bots manya nahi rakhate hai aise mein, aapako chahiye ki aap koi nukshan karak hostile bots nahi chalaye (user ko pareshan, clones, mass advertising, channel/nick ko chinane ki koshish aur dusare user ko internet/IRC se bahar nikal ne kati hai, aise bots ko hostile bot kahate hai). Yadi aap kisi server ke MOTD (/motd server.dal.net ka istmal karke dekhe) per yeah naa dekhe ki wah server bot ko manya rakhate hai ya nahi, tab aapko chahiye ki aap waha per apni bot naa chalaye. Yadi aap apni bot ko us server per chalana hi chahate ho to pahele, /admin command ka istmal kare aur server ke administrator yani sanchalak se baat kare. Yadi kisi server per aise bots apye gaye, ki jis server per bots manya nahi kiye jate to unko klined kar diya jayega. Servers pe bot ke siddhant ki suchi ke liye, http://help.dal.net/faqs/Botsallowed.txt dekhe. Aur, aap DALnet ke BotFAQ per bhi mulakat le sakate hai http://docs.dal.net/docs/botfaq.html. 3 * Channel ke bare mein margdarshan ------------------------------------ Flooding IRC channels per flooding uchatar madhyam se ayogya aur avyavastha khadi karta hai. Iss mein channel per kuch hi samay mein adhik matra mein sandesh bhejna ko bhi channel flooding mein samavesh kiya ja sakata hai. Kai channels per aise flooding ko rokane ke liye channel ke ops kuch scripts aur bots ka istmal karte hai, jo aise flooding ko rok sake (jaise ki, istane samay mein itani amuk hi lines ko manya karna adi.) aur aise flood karne wale user ko channel se ban kar de. Pratyek channels flooding ke liye apane khud ke siddhant/niyam sthayi yani set kar sakate hai. Aise flood se bachane ke liye 10 seconds mein 3-5 lines ya iss se bhi adhik lines ka sandesh ata ho usse door rahe. Channel per flooding ke parinam swaroop banned hone se bachane ke liye ek suzav yeah hai ki ek sandesh bhejne ke liye alag-alag adhik lines likhane ke bajah ek line mein adhik aksharo ka sandesh bhejane ki koshish kare. Ek line mein adhik aksharo ka istmal karne se bhi aapko channel per flooding ke parinam swaroop banned kar sakate hai. Ek line mein 350 aksharo se kam istmal ek acha suzav hai. Repeating IRC ke bare mein ek achi baat yeah hai ki is mein sab likhavat se hota hai naa to sunane-sunane se. Log andhe nahi hai, wah dekh sakate hai ki aap kya kahena chahate hai aur apne apko doharane se kuch fayeda nahi hai. Phir bhi, doharana dusare logo ko pareshan karta hai. Agar aap ke pass koi sawal hai ya koi nivedan hai to use ek baar kahe - doharane ki jarurat nahi hai - jald hi ya thodi der baad koi aapko utar dega. Floogin ke sath, jyadatar channels per repeats ke liye bhi sambhavit ban set karte hai. Yeah ek acha suzav hai ki agar ek line ko doharana ki jarurat pade to aap wah kuch minutes ke baad doharaye; after all, logo ko type karane ke liye kuch samay to chahiye hoga naa! Op begging Kisi bhi channel per Op banane ke liye kabhi bhi nahi kahena chahiye, iska anzam channel se humesha ke liye kicked/banned ho sakta hai aur bhavishya mein aapke waha per op banane ke chance ko bhi nastha kardega. Agar aap kisi channel ke siddhant aur margadarshan se lage raho ge aur channel per humesha sakriya raho ge to, ant mein aapko waha per op bana diya jaa sakta hai. Iss ka matalab yeah bhi nahi hai ki op banane ke liye yeah ek sachot raasta hai, pratyek channel ko op dene ke liye apne kuch siddhant aur kuch karya padhatiya hoti hai, ko jo apni loksahi niti se kisi bhi tarah ki ho sakati hai. 4 * Samapan ----------- Sab suzav jo yaha per diye gaye hai aur sab siddhant jo yaha per bataye gaye hai us per chalana kathin nahi hai, bahot asan hai, Agar aap ko koi bhi sandeh ho ki jiske bare mein yaha per samavesh nahi kiya gaya ho to, jara apni tark shakti or soch ka istmal kare. Aur, server per jodan karte hi, MOTD lagake uss server ke niti niyamo ke bare mein avashya hi jaan le - aise hi kisi channel mein dakhil hote hi, waha ka topic padh kar channel ke rules ki suchi (ya rules ke bare mein koi URL diya gaya ho to wah) ko jaan ne ki koshish kare phir waha per chat kare. Agar aap "netiquette" ke bare mein janne ke liye sokh rakhate hai to, humara dastavez http://docs.dal.net/docs/netiquette.html dekhe. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)