Mutfariq Mazami Commands ======================== Version 1.1.1 Last translated by Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) and Heroic (Ali_Heroic at Hotmail.com) on 2006-05-09 Last revised by LadyDana (ladydana at dal.net) on 2004-01-12 Originally written by Mystro (mystro at canshell.com) on 2001-01-14 Copyright (C) 2001-2006 by the DALnet IRC Network Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Kisi madad ki !) to docs@dal.net.Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net/. Ta`urf ------ Wesay too IRC main bohat si commands hain or kuch too khas tor per kafi mufeed hain. Yeh dastawizat malomaat rakhtay hain in 5 commands k baray main: "/silence", "/list", "/dccallow", "/watch" or "/who". agar aap in commands ko seekh loo too aap asani say DALnet per reh sako gay. Contents -------- 1 * SILENCE ki command 2 * LIST ki command 2.1 Diyeh gay numbers say oper logo ki tadad wala kamry ki fehrist lena: >Number 2.2 Diyeh gay number say kam logo ki tadad walay kamry ki fehrist lena: Number 2.4 Dee gaie tareekh say pehlay bany huway kamro ki fehrist lena: CNumber 2.6 Diyeh gay number say pehlay tabdeel huway topic k kamro ki fehrist lena: TNumber ---------------------------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /quote list >number" MALOMAAT: ">number" option say ham woh kamry talash karty hain jo k > k saath diyeh gay numbers say ziada logo ki tadad rakhta ho MISAAL: " /quote list >1" iss misaal ko istemal karnay say hamay on kamro ki fehrist milay gi jinmay 1 say ziada loog hongay 2.2 * Diyeh gay number say kam logo ki tadad walay kamry ki fehrist lena: Number -------------------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /quote list C>number" MALOMAAT: C>Number on kamro ki fehrist day ga jo abhi bany huway hon or kuch minute pehlay. MISAAL: " /quote list C>60,>50 " Iss misaal say hamay on kamro ki fehrist milay gi jo pichly 1 ghanty mein bana huwa ho or 50 say ziada loog hon osmy. 2.4 * Dee gaie tareekh say pehlay bany huway kamro ki fehrist lena: C50" is misaal say hamay on kamro ki fehrist milay gi jo 30 minutes say pehlay bany huway ho or onmein 50 say ziada loog hon. 2.5 * Diyeh gay number say purany topic k kamro ki fehrist lena: T>Number ------------------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /quote list T>Number" MALOMAAT: T>Number option say on kamro ki fehrist mily gi jinka topic diyeh gay minutes k numbers kay bad tabdeel huwa ho. MISAAL: " /quote list T>60" iss misaal say on kamro ki fehrist mily gi jinka topic 60 minutes k baad ka tabdeel huwa ho 2.6 * Diyeh gay number say pehlay tabdeel huway topic k kamro ki fehrist lena: T" yeh misaal on logo ki fehrist degi joo aapki DCCallow fehrist main shamil hain: The following users are on your dcc allow list: mystro (mystro@canshell.com) End of DCCALLOW list 'mystro' urfi`naam hay or mystro@canshell.com host hay. 4 * Watch ki command -------------------- Yeh command aap ko batati hay k shakhs online huwa hay yah nahi jo aap ki notify fehrist mein jamah hota hay. naiey mIRC clients versions mein yeh command /notify say istemal ho rahi hay. TAREEQA: " /quote watch [s|l] +/-nickname" MALOMAAT: s or l options khudsey lazmi set hotay hain (i.e. dono ko command main ikhata nahi rakh dakty). Dosri taraf yeh k, command bohat sadah hay: tum urfi`naam ko fehrist main shamil karty ho yeh likh kar "/quote watch +nickname" or khatam karty ho issey -nickname. KHAAS: Watch fehrist khatam ho jati hay jab aap disconnect hoty ho, puss aap ko phirse woh urfi`naam jamah karny hongy jab aap online hongy dobara. MISAAL: " /quote watch +mystro " iss command say mystro urfi`naam fehrist mein shamil hojayga or aap ko kuch aisa jawab milayga. mystro ~mystro canshell.com 0 is online Agar shakhs online hay. Agar nahi hay too aap ko aisa jawab milayga : mystro * * 0 is offline. Agar aap yeh "/quote watch l" karo gay to command ka jawab istarah say milyga: Mystro mystro 216.6.41.104 975299499 is online End of WATCH l jahan 975299499 waqt hay jo k seconds mein hota hay, gina gia hay January 1st, 1970 (agar aap ko yeh mushkil lag raha hay too chorh do isey) Agar aap yeh "/quote watch s" karogay to aap ko jawab yeh milayga: You have 1 and are on 1 WATCH entries mystro End of WATCH s Jesa k lafz wazeh nahi hay, in sab ka matlab yeh hay k aap ki watch fehrist main aik shakhs hay jo aap online ho. 5 * WHO ki command ------------------ agar koi online hay too osko check karny k liyeh "/quote who" ko istemal kia ja sakta hay. yeh commands os waqt kaam nahi karti hay agar shakhs nay +i(nadikhaie dena) set kia huwa hoo to, agar woh shakhs aap k hi kamry main mojood na ho to. "/quote who" , jesa k dosri IRC commands pori wazaht rakhti hain agar onko istemal kia jay too. neechay misaloo main aap ko iss commands ki sari wazaht or Options milaingy. "/who" ka asal mein tareeqa yeh hay: "/QUOTE WHO +/-ACHMNSU ARGS" +/- ko Options kehtay jinkay zariyeh switches ko istemal kia jata hay. kuch options ki ziada wazaht karny ki zarorat hoti hay jo k Options k saath hi dee jaygi. who k jawab main, woh number jo collon k sath hay jiska aap nay dekhna hay. Yaqenan server away hota gat. Agar aap aik hi server per nahi hay too skhakhs :0 k sath jawab milayga, agar aap oss server per jo agat link huwa ho servers say (i.e. twisted > typhoon > jade) issey ziada tadad main hain, twisted ki pehlay misaal main > typhoon > jade linkage, yeh dikhaie denay walay hain yahan yaqenan yeh hain, twisted > typhoon or typhoon > jade. Sirf yeh aik khaas, or ziada options "/quote who" say milaygi, laikin dalaiel aik jesay hi hukam main honay chahiyeh jesay k options k lafz hain. "/quote who +hc *.canshell.com #dalnethelp" kam karegi, "/quote who +hc #dalnethelp *.canshell.com" nahi karegi). Jab aap "/quote who" type karty ho kisi kamry mein yah phir aap nay kisi shakhs ko talash karna hay too iss command k saath nechay diyeh huway nishan bhi istemal karogay yeh nishanat hain: H = yahan hain, "/away" nahi hay G = chala gia, "/away" hay * = Shakhs aik IRC Operator hay + = Shakhs voice hay os kamry main (Kamra pehla hissa hoga who command main) @ = Shakhs aik operator oss kamry main or akhir mein main yehi kahonga k aap " /quote who " istemal karain bijay "/who" k kiyonkay /WHO mIRC client mein built in hota hay kiyonk /WHO client mein hota hay too shayd yeh sahi tarah say kaam na kary. 5.1 * host sey fehrist lena: +/-h --------------------------------- TAREEQA: " /quote who +/-h host" MALOMAAT: +h option ko istemal karny say hamay wohi logo ki fehrist milay gi jinki HOST hamari di huie host say milti ho gi. agar ham -h istemal kartay hain too hamay oss HOST k ilawa dosray logo ki fehrist milaygi. Agar kisi baray channel mein ho yah phir aap sirf " /quote who" type karty hoo baghair kisi channel k, too yeh on logo ki fehrist deyga jinki HOST milti ho yah na KHAAS: aap Wildcards bhi istemal kar sakty ho. agar aap ko sahi tarah say pori hostname yaad nahi hay too aap * istemal karky oss host ki milti huie fehrist hasil kar sakty ho. MISAAL: " /quote +h mystro.canshell.com " is misaal ka jawab kuch istarah say milyga: * Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro mystro.canshell.com End of /WHO list. Dosri misaal, wildcards ko istemal karny say: " /quote who +h *.canshell.com" Too yeh mIRC main nazar aieyga: * Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro *.canshell.com End of /WHO list. Yaqenan aap " /quote who +h *.com" kar sakty ho lekin iska jawab 200 say ziada aiega or aap ko apni talash ko kam karna hoga. Yhan tak yeh kaam karti hay to yeh faida mand nahi hay kiyonk kafi loog .com istemal karty hain. Agar tum nay yeh kia hay "/quote who -h" too yeh istarah say jawab degi jinki host *.canshell.com say na milti ho. 5.2 * Kamry ki Fehrist sey: +c ------------------------------ TAREEQA: " /quote who +c #channel " MALOMAAT: +c iss say aap ko kamro main mojood logo ki fehrist hasil kar sakty hain. KHAS: Aaap yeh *nahi* kar sakty " /quote who -c #channel" or wildcards (*) kamro k naam k lieyh istemal nahi kar sakty. MISAAL: " /quote who +c #DALnetHelp" yeh misaal har kisi ko dekhaigi siway Status (@,+,*) k logo k. jesay k sary loog +i(nadikhaie dena) mode rakhty hain, too server aap ko show nahi karega in logo ki fehrist jab tak aap channel mein na hon. to aap ko yeh command "/quote who +c #DALnetHelp" istemal karny sey pehly kamry mein dakhil hona hoga. 5.3 * Kia shakhs away hay: +/-a ------------------------------- TAREEQA: " /quote who +/-a " MALOMAAT: +/-a option aap ko dikhay gi kon away hy or kon away nahi hay ( yeh too aap k -/+ ko istemal karny say hi hoga) yeh ziada mufeed hay agar aap Operater hon kisi kamry mein or aap ko away or idle logo ka pata lagana ho to. KHAAS: agar aap -/+a istemal nahi karty ho too aap ko G or H sign k saath hi logo ki fehrist dikhaie jaygi. MISAAL: " /quote who +ac #mystro" #Mystro Mystro H@ mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro #Mystro End of /WHO list. Yeh woh sab hain jo #mystro mein hay or jo /away nahi hain, jesa k " /quote who -a+c #mystro" dikhay gi: #Mystro IsraHelp G@ mystro@209.25.158.132 :6 #IsraHelp's bot #Mystro nekoo G neko@sc-24-130-144-74.socal.rr.com :2 Don Hoover Mystro End of /WHO list. nekoo or IsraHelp yeh doo hain jo k away hain os waqt. 5.4 * Usermodes sey fehrist lena: +/-m -------------------------------------- TAREEQA: " /quote who +/-m o|a|A " MALOMAAT: +/-m use karny say yeh pata chalta hay k kamry mein IRC Operater hay yah nahi. Command inmein say aik wazeh mode mangti hay. o = IRCop, A = Admin or a = Services Admin. MISAAL: " /quote who +mc o #operhelp" #operhelp End of /WHO list. Yeh misaal bataygi k #OperHelp mein koi IRCop nahi hay Dosri misaal: " /quote who -m+c o #operhelp" #operhelp Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro Wahan aik shakhs hay jo k IRCop nahi hay 5.5 * Urfi`naam say fehrist lena: +/-n -------------------------------------- TAREEQA: " /quote who +/-n nickname" MALOMAAT: iss options say aap kisi kamry mein kisi shakhs ko urfi`naam say talash kar sakty hooo. KHAS: aap Wildcards (*) istemal kar sakty ho. MISAAL: " /quote who +cn #mystro Mystro" #mystro Mystro H@ mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro #mystro End of /WHO list. Dosri misaal, yeh wildcards k sath hay: " /quote who +cn #mystro *myst*" #mystro Mystro H@ mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro #mystro End of /WHO list. or Akhri, -n k sath: " /quote who +c-n #mystro *myst*" #Mystro nekoo G neko@sc-24-130-144-74.socal.rr.com :3 Don Hoover #Mystro B0T H@ bop@208.46.238.67 :6 http://mirc-egg.net #Mystro End of /WHO list. 5.6 * Server sey fehrist: +s ---------------------------- TAREEQA: " /quote who +s server" MALOMAAT: aap iss command say check kar sakty hain k kon kis server per hay. KHAS: Aap wildcards (*) istemal NAHI kar sakty ho or isi liyeh aap server ka pora naam istemal karain misaal k tor per liberty.nj.us.dal.net) na k liberty.*. MISAAL: " /quote who +cs #mystro liberty.nj.us.dal.net" #Mystro Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 http://windowsirc.hypermart.net #Mystro End of /WHO list. 5.7 * Shakhs k Naam say fehrist lena: +u/-u ------------------------------------------- TAREEQA: " /quote who +/-u username" MALOMAAT: iss option say aap kisi shakhs ko oskay naam say talash kar sakty hain. KHAAS: aap yahan Wildcards istemal kar sakty ho. aap kisi ko oskay poray username say talash kar sakty hain aagar aap ko yad nahi hay too aap Wildcard ko oskay username k kuch hissay k saath istemal kar k talash kar sakty ho. MISAAL: " /quote who +cu #mystro mystro" #Mystro Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 http://windowsirc.hypermart.net #Mystro End of /WHO list. Dosri misal main har os skakhs ko dikhaygi jismei mystro lafz nahi hay username mein: " /quote who +c-u #mystro mystro" #Mystro B0T H@ bop@208.46.238.67 :6 http://mirc-egg.net #Mystro nekoo G neko@sc-24-130-144-74.socal.rr.com :3 Don Hoover #Mystro End of /WHO list. Or Akhir mein, aik wildcard wali misal jo k on logo ko dikhaygi jo 'o' rakhty hain apny username main: " /quote who +cu #mystro *o*" #Mystro B0T H@ bop@208.46.238.67 :6 http://mirc-egg.net #Mystro Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro #Mystro nekoo G neko@sc-24-130-144-74.socal.rr.com :3 Don Hoover #Mystro End of /WHO list. 5.8 * Pehlay dikhaie deny waly kamry mein shaks ko dekhna: +C ------------------------------------------------------------- TAREEQA: " /quote who +C nickname" MALOMAAT: yeh command aap ko pehla dikhaie deny walay kamry ko dikhaygi jo "/who" main hay. MISAAL: "/quote who +C mystro" #mystro Mystro H mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro Mystro End of /WHO list. 5.9 * Shakhs ko daikhna kamry main jiska main rukan hon: +M ----------------------------------------------------------- TAREEQA: " /quote who +Ms|u|h" MALOMAAT: iss command say kisi kamry mein shakhs ka server, username, hostname pata chalta hay azafi options s, u yah h (server, username yah hostname) istemal karny say. MISAAL: "/quote who +Mh *.canshell.com" #mystro |Mystro| H@ mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro #ravenscar |Mystro| H@ mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro *.canshell.com End of /WHO list. Is misaal main +Mh khasosiyat hain or dikhaygi k kesay server tumam kamro ko dikhay ga jahan |Mystro| or Mein hon. 5.10 * Misaal kuch majmoie talash ki ------------------------------------ Jesa k kuch pehli misal main biyan kia gia hay, yeh mumkin hay k aik talash ki bajay ikhatha talash kia jay. Ham aap ko aik dosri misaal detay hain is k liyeh. TAREEQA: " /quote who +ch" MALOMAAT: iss command say aik mutaiyen kamry mein logo ko host say talash kia ja sakta hay. MISAAL: "/quote who +ch #mystro *.canshell.com" #mystro |Mystro| H@ mystro@mystro.canshell.com :0 Mystro End of /WHO list. Is kisam ki talash mufeed hoti hay jab ham aik bot ko karmy main dalty hain jo k har kisi k urfi`naam dey raha hota hay jo os kamry main hota hay jo kamry main ishtehar bazi kar rahy hotay hain. 6 * Nateeja ----------- agar aap k pas sawaal hon jinka aap ko jawab chahiyeh too aap #bahamut mein dakhil ho kar k poch sakty hain., yah phir web per http://www.bahamut.net ko dekhain. Jesa k, agar aap in commands ko khud dekhna chahty hoo to type karo, "/quote who ?" WHO ki madad k liyeh, "/quote list ?" LIST ki madad k liyeh "/dccallow help" DCCallow ki madad k liyeh. WATCH or SILENCE ki madad nahi hay IRC server per. 7 * Shukar`Guzar ---------------- Jab yeh dastawizat likhay gay too kafi logo ko issey bigarh or khoof huwa tha. Meray khiyal say woh thora bohat hi tha. mein kar sakta ho yah onki madad say or toseeq say. Too shukriya jata hay Darkrot /list ki malomat k liyeh, Hammer ko safaie k liyeh, LadyDana ko tumam muharikat k liyeh (or aik heran kun leader ban`ny k liyeh :) or bohat say loog jinko ismein kuch mushkilat mili jab yeh dastawizat likhy ja rahy thay. Or han Mystro ka bhi shukar guzar hain, zindagi ka talib jisnay yeh dastawizat likhay ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)