DALnet k Adab`o`Zawabit ======================= Version 1.0.1 Last translated by Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) and Heroic (Ali_Heroic at Hotmail.com) on 2006-05-13 Last revised by FredFred (fredfred at dal.net) on 2003-03-30 Originally written by Kzoo (kzoo at dal.net) on 2000-10-22 Copyright (C) 2000-2006 by the DALnet IRC Network Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Kisi madad ki !) to docs@dal.net.Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net/. DALnet k Adab`o`Zawabit ----------------------- Yeh paish roh aapko aik khulasa deti hay k kesay aik kamyaab chatter ban sakty hain DALnet per. yahan dosray dastawizat bhi mojod hain jo iss topic ki gehraie tak jaty hain. In dastawizat ka pata aap ko bataie jaygi takay aap ka ilam barhay. Sirf aik phir, yeh aisi chezain hain jab aap DALnet per hon too nahi karni chahiyeh. Jinmein flooding, sabsey ziada ishteharat(sab ko aik kamry mein aik sath bulana bhi shamil hay), flooding, open proxy say tang karna, virus phailana, cloning, or services ko tang karna sab shamil hay. in chezon per or ziada malomaat k liyeh, meharbani say parhain http://docs.dal.net/docs/generalur.html. IRC (Internet Relay Chat) aik bohat bara museebat hay, har kisi k liyeh khul hay aik internet connection k sath. yahan kuch chezain jo aik shakh k liyeh museebat aik khushi or baghair daray logo say net per batain karna ban sakti hay. Har kaam apnay kuch adab`e`majlis rakhta hay, or IRC ko chorha nahi ja sakta. Contents -------- 1 * Apka Urfi`Naam 2 * Aik Kamry mein Dakhil hona 3 * Kamry ki Guftago 4 * DCC 5 * Kamry k Operators 6 * Madad`Gar Kamry 7 * Tashweesh/Akarna 8 * IRC Operators 1 * Apka Urfi`Naam ------------------ Jab aap IRC per baat karty ho, aap aik urfi`naam letay ho takay aap ko dosrey jan sakain. Aap ka nick apka naqsh hota hay jinsey aap milty ho, or isko akal mandi sey muntakhib karna chahiyeh. Urfi`naam jo ghalat lafz rakhty hain (Ham janty hain k woh *koon* hain) yah munsaliq hoti hay sar`garmi say yah koi khiyal k konsa behtar hay zati tor per rakhny k liyeh, Matwajo ho sakta hay aik na munasib kuch kamro main.. Yeh behtar hoga k aisa intekhab karay jo aap sko zahir karay jesa k urfi`naam aisa ho joo aap ki shakhsiyat ko biyan karay. Spaces or ghalat alfaz istemal na karain apny urfi`naam mein. DALnet per, yeh mumkin hay k aik urfi`naam ko darj kia ja sakta hay aik password k saath or mehfoz rakha ja sakta hay dosro k istemal karny say. Meharbani say k urfi`naam ko kesay darj karain iss site per jain http://docs.dal.net/docs/nickservur.html. Aap DALnet ki madad`gar kamro main bhi ja sakty ho, jesa k #DALnetHelp, #Help, or #IRChelp madad k liyeh. 2 * Aik Kamry mein Dakhil hona ------------------------------ DALnet sey connect hony k baad, aap aik kamry mein dakhil ho sakty ho likh kar "/join <#channelname>" (#channelname ki jagah woh naam do jis kamry mein aap jana chahty ho. Misaal k tor per, Agar aap , #DALnetHelp, main jana chahty ho too aap ko yeh likhna hoga "/join <#DALnetHelp>" Agar waha koi topic hay kamry k liyeh, hamesha osko parhain. Topic mein diyeh gay kamry k qawanin ko lazmi dekhna chahiyeh. Kafi dafa aap dekhain k aik kamru mein boot aap ko kuch acha batata hay. Aap ko kamry k qawaid dhondny chahiyeh os msg mein. yeh hamesha behtar hoga k hamesha 'Assalam-o-Alaikum' kahain or pata lagain k kamra kesa hay sari guftago say os kamry ki. Apny peghamat mukhtasir rakhain. Aik guftago bas guftago hi rahay, beshak yeh IRC per ho yah kisi shakhs ki ho, or mudakhlat koi achi baat nahi hoti hai. Kabhi kamry mein koi bura kaam na karo jo na mumkin nateejo ka bais ban sakti hay jesa k kamry say ban hojana. Kamry k intekhab k liyeh or ziada malomat, Meharbani say dekhain "Aik kamra talash karna" jo k yahan mil sakta hay http://docs.dal.net/docs/channels.html. 3 * Kamry ki Guftago -------------------- Yaad rakhian k loog apny khiyalat aap k bary mein aap k amal or bato say banaty hain, puss socho pehlay k aap koi msg likho yah bhejo. Aik dafa bhej dia jay too osko wapis nahi lia ja sakta.. Topic or guftago ka andaz har kamry mein badalta rehta hay. yeh behtar hay k thora kaho or pata laga k kamry mein kia batain ho rahi hain. Apna guftago ka andaz aisa hi apnao jo wahan ho or, agar aap kamry mein os behas ko pasang nahi karty ho, to dosra talash kar lein. Kamry k zaban per hi baat karain. Agar kamra English zaban ka hay, to aap English istemal karain. Agar guftago Portugese mein ho rahi hay, too Portugese istemal karo. Apni zaban ko os per mat dhabo jo aam tor per istemal ho rahi hoti hay. Dosray logo k spelling or likhny ki maharat ko nazar andaz rakhain, koi aik dam sahi nahi ho sakta. Bay naam k liyeh IRC aik azeem jagah hay, or kuch loog aisey hi rehna pasand karty hain. Kabhi ossey zati sawalat na pochien or na hi tasveer liyeh jab tak aap oskay saath mukhlis nahi ho jaty os kamry mein. Kuch kamry chalany mein or sunnay ko pasand karty hain, jesa k wavs yah mpx ganay, jabky dosrey nahi karty. Intezar karain or dekhain k kamry k arkaan kia karty hain issey pehlay k aap kuch karo. Onki gany k files ko dekhain jo woh os waqt chala rahy hotay hain. Agar aap k pas kuch ghalat yah onsey mutaliq files hay, to aap ko yaqenan onko wahan kuhd`kar chalany waly mein istemal nahi karna chahiyeh jab tak aap dekh na lo k woh kabil`e`manzor bhi hay yah nahi kamry mein. ASCII fun aik dilchasp cheez hay, khas to prt naey IRC clients k sath jo rango ki ijazat deytay hain. kamry ko dekhain issey pehlay aap onko kuch dikhain. Agar aap ko yaqeen nahi hay, to poch lain pehlay. Kuch kamry rang nahi mangty hain. Kuch loog guftago /msg say karna pasand karty hain or kuch nahi. Nazar andaz kardein aik guftago ki shoro honay ki taraf say kisi k sath agar aap nahi janty. Logo k saath batein karo pehlay or onkay kamry k baray main jan kari lein. 4 * DCC ------- Kafi loog DCC k mawad ko pasand karty hain logo ki taraf say jinko woh janty na hon. *Puss Apni DCC options ko set karain jissey aap khud`ba`khud files mosol na karain.* Viruses jo k aap k data ko barbad kar sakty hain aap k computer per, yah kisi ko rasahi detay hain aap k computer per aap say ijazat liyeh baghair, jo k DCC sey bhejay ja sakty hain. Bajay sari DCC ko ikhata off kar dia jay yah isko kisi battan per click kar k set kia jay.. Mehrabani say apny clien ki hadayat ko dekhain yah yahan jain #mIRC yah woh kamra jo aap k client k bary main ho. Agar aap ko lagta hay k aap k paas virus hay, Meharbani say madad k liyeh #Nohack per jain. DALnet aik nizam rakhta hay k aap ko virus ki files say bachaya jay. Agar aap koi file chahty ho, or yah osko nahi chahiyeh ho, aap likh sakty ho "/dccallow +" jo k ijazat dega k aap ko file bheji jay. Viruses per or ziada malomat k liyeh, jain #nohack yah http://docs.dal.net/docs/exploitsur.html. Aap malomat bhi hasil kar sakty hain http://www.nohack.org/ per. 5 * Kamry k Operators --------------------- Kamry k operators kamry mein oski fehrist k sabsey oper hotay hain, or @ ka nishan rakhty hain apny urfi`naam k samny. Yeh loog zummay dar hoty hain kamry koo seedha or aram say chalany k liyeh or iak 'Makhsos Maza' rakhty hain kamry mein. Kuch kamro mein ops kuch chezain lohay k hath say chalaty hai or salahiyat rakhty hain k wahan kia ho raha hay. Agar aapko kisi ijazat k pata nahi hay kamry mein, too sabsey pehlay pochain. Agar koi kharabi kar raha ho kamry mein to operators k paas options hoti hain osko kamry sahi bahir nikalny k. Or woh kick mein koi wajah dey yah na dey kuch farq nahi, woh kisi kick ki wajah denay k liyeh nahi hotay hain, wesay ziada tar saath dey bhi jati hay. agar aap aisa rawiya jari rakho gay, to aap kamry say bann bhi ho sakty ho. Dobara, woh aap ko wajah dey yah na ban karny ki. Kafi kamro per, kamry ka operater ban`na aik ikhtiyar hay jo aap ko diya jata hay. Kisi kamry mein jana or op k liyeh kehty ho too yeh aik jahil pan hay. Bar bar pochna aik acha rasta k k kisi ko majbor karna k woh aap ko apnay kamry mein na chahy. Agar aap wahan k baqaida rukan ho, or aik achay chatter ho jesa k kamry ki intezamiya janti ho, to aap ko os kamry mein op bana ja *sakta* hay kuch arsy baad. Kafi madad`gar kamry aap say sawalo ka tabadla karty hain or yah koi khas traning karty hain aik operator ban`ny ki. Operators jo DALnet k madad gar kamro mein hoty hain woh apnay aap ko kamry ki intezamiya k masaiel main dakhal andazi nahi karty hain. Kabhi bhi IRC Operator nahi karty hain. yeh intezami masaiel kafi behtar kaam karty hain infardi tor per ko karmo mein di jati hay or jo na itefaqi hoty hain. Agar aap kick yah ban ho gay ho kamry say, aap ko zarorat hay kamry k opertare say rabta karny ki k aap ko kio kia gia. Agar aap ko koi jawab nahi milta, too aap ban hi reh sakty ho kuch dair k liyeh. Or ziada malomaat k liyeh kamry ki bans per, meharbani dey dekhain http://docs.dal.net/docs/banguideur.html 6 * Madad`Gar Kamry ------------------- Yahan kafi manzor shuda kamry mojod hay DALnet per. Jinki fehrist http://help.dal.net/ yaha mojoda hay. Aap dekho gay k waha mukhtalif zabano k madad k liyeh kamry hain, jesa k Spanish or German k liyeh #DALnetHelp aik English zaban ka kamra hay. Yahan ghair manzor shuda kamry bhi hain, laikin bohat achay hain. aap dekh sakty ho onki khasosiyat onkay namo say, #mIRChelp, #HTML-helpdesk, #ircle, #newbies, waghera. Agar aap ko koi mushkil hay, too aap ko pata hona chahiyeh k aap ko kahan jana hay madad k liyeh orr ap ko kiss kisam ki madad chahiyeh. Agar aap kisi ghalat kamry mein chaly jaty ho too aap ko ap k sawal k mutabik sahi kamry mein bhaij diya jay ga. Jab aap aik madad`gar kamry mein dakhil hotay ho, to pay dar pay sawal pochna mat shoro karain. kisi aik madad karny waly ko waqt dein jo darmiyan kisi k saath kaam kar raha hota ha, or kisi or dosra shakhs jo woh mang raha hota hay too woh osko ko pareshan karni ki wajah ban sakti hay. Agar wahan kafi log hain jinki madad chahiyeh, or yah kuch hi operators kaam per hain, aap ko lazman intezar karna chahiyeh k koi aap k sath ho. Aap ko yaqeen hona chahiyeh k aap ka sawal kia hay, or woh os kamry k liyeh sahi hay jis kamry mein aap ho. jesa k #OperHelp mein jana or mIRC k scripts ki madad mangna to woh kamry main k liyeh sahi nahi hay. aap ko #mIRC mein jany ki zaorat hay. kuch dafa, #macintosh mein jana or aik pegham k bary mein pochna jo MemoServ ki taraf say ho to woh kamra sahi nahi hay jo aap ko kuch batay. #OperHelp aik mua`tdil kamra hay. Iska matlab hay k aap intezar karain jab tak koi OP aap ko voice nahi deta. Peghamat ki kamry k OP ko na bhejo. Agar aap jari rakhty ho peghamat ko bhejn k amal ko, too aap ko kamry say bahir nikala ja sakta hay. Baghair ilmi sawalo k darmiyan waqfa rkhny k siway or aik jawad hasil karna. Kafi dafa jawab operators ka services ko dekhny k mutabik hota hay. Kiyo aik jaldi ansar hasil na karnu ka matlab yeh nahi k koi aap ko bhool raha hay. Apny sawal ko bar bar duhrana or aik sawal pochna too yeh aap aik pareshani ka sabab banty hoo na ky aap oskay jawab denay ki raftar taiz hogi. Or ziada malomaat k liyeh #OperHelp per, meharbani say jain http://help.dal.net or click karain * #OperHelp* k link per page k oper. Aap ossi page per dosray kamro ki malomat bhi hasil kar sakty ho. Kisi madad`gar kamry mein bethan aik acha rasta hay seekhny ka, barhal aik baqaida chat wahan thori bohat rakhi jay. kuch kamry waqt ko mehdod karty hain jo aap dekh sakty ho. #OperHelp kamry mein bethnay ki ijazat bilkul nahi deta. Kuch kamro mein madad karna koi ijazat nahi ho sakti. Hamesha topic parhna chahiyeh jab kisi kamry mein dakhil hoty hain, jesa k wahan qawaid ki fehrist hoti hay. 7 * Tashweesh/Akarna -------------------- Akarna aik shakhs ki taraf say kamry say kamry tak hota hay, yah tashweesh main dalnat kisi /msg yah kisi dosri na pasandida tawajoo ka baies hota hay. Agar aap ko koi takleef dey rahay hay, or tum mIRC istemal karty ho, on ko is per rakhdo "/ignore 3". yeh os shakhs ko ignore kardega jab tak woh apna urfi`naam nahi badal leta. Agar infaradi tabdeeli oski connection ki na ho, aap ko aik niya ignore karna chahiyeh "/ignore 3" ki jagah mein. Aap yeh bhi istemal kar sakty ho "/silence " Yeh bhi aik mutasir kun hay kisi tang karny waly ko khatam karny k liyeh. agar aap mehsos karty ho k tashweesh barh rahi hay, too aram say Internet Service Provider (ISP) say rabta karain zati tor per. Aap oski ISP ka pata laga sakty hainyeh liknay say: "/whois ". agar aap sab numbers dekho, yeh karo "/dns " yeh aap ko ISP ka bata deygi. aik Copy ko bheja jay jo k tashweesh ki or os shakhs ki malomaat is per *abuse@user.net* bheji jain. Agar aap dekho k tashweesh ziada hay too aap ko muqami qanoni quwwat say rabta karna chahiyeh madad k liyeh. 8 * IRC Operators ----------------- IRC operators zummay dar hotay hain zati servers ki kar kardgi ko behtar rakhny k liyeh or puray DALnet network ki. Kisi khaas khiyal ka aks, woh koi 'police' DALnet ki police nahi hopti, barhal woh action letay hain jab koi zati tor per kuch dhamiko jo network k chalny mein mudakhlat karain. IRCops zummay dar hotay hain aap k connect honay k rasty k, or links ko behtar banaty hay takay saray kaam aik saath hon. Kuch IRC Operator password k masaiel ki madad kar sakty hain. aap onko #OperHelp mein talash kar sakty hain. Yeh mumkin nahi hay k aap IRC Operator ban`ny ki 'darkhuwast' karo DALnet per. Meharbani say likho " /motd " qawaid ko dekho IRC Operator k status ko hasil karny k liyeh. IRC Operator ban`ny ki bheek mangna DALnet per aap ka name 60,000 say ziada DALnet k logo k darmiyan lana hay. IRC Operators per or ziada malomaat k liyeh, dekhain http://help.dal.net/dnh/oper.php yah http://ahnberg.pp.se/ircop.html . Agar aap kisi IRC Operator ko dhondny k bary main parhna chahty ho, Meharbani say dekhain http://docs.dal.net/docs/findoperur.html ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)