NickServ ki Tafsilat ==================== Version 1.1.7 Akhri bar tarjama kia giya Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) per 2007-09-22 Akhri bar parha giya Documentation team (docs at dal.net) on 2018-02-18 Asal main likha giya LadyDana (ladydana at dal.net) per 2000-10-31 Copyright (C) 2000-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Kisi madad ki !) to docs@dal.net.Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net/. Introduction ------------ DALnet is waqt IRC k baray networks main say aik hay. Yeh pehla hi tha jisnay kamyab *****Serv* ki servises di hain apnay istemal karnay walo ko 1994 main. Sabsey ziada acha istemal logo nay kia in services ka *NickServ*, *ChanServ* and *MemoServ*. Yeh dastawizat NickServ ki tafsilat k baray main hain jiska urfi`naam darj ho. Aik pori fehrist DALnet commands kis is site per aap ko milay gi http://www.dal.net/services. Services k bary main or ziada malomaat chahiyeh too aap ko DALnet k apnay madad`gar kamro main jain: #DALnetHelp, #Help or #IRCHelp. Saray dastawizat main, "/nickserv" command istemal hogi NickServ say rabty k liyeh. yeh mumkin ho sakta hay k aap ka IRC client iss command ko na samjy. Agar aisa kuch ho, Phir aap yeh commands istemal karain "/msg nickserv@services.dal.net" yah "/quote nickserv" oski jagah. Muwaad ------ 1 * Requirements, Abilities and Responsibilities 2 * Urfi`Naam ko Shanakht karana 3 * Kisi urfi`naam ki malomaat lena 4 * "Urfi`Naam pehlay say istemal main hay" 4.1 GHOST ki command 4.2 RECOVER ki command 4.3 RELEASE ki command 5 * Rasahi ki Fehrist or Rasahi ko Dekhna 6 * Setting Options 6.1 Apna Password tabdeel karna 6.2 Dosro ko apna urfi`naam istemal karny say bachana 6.3 Aik URL apnay urfi`naam k saath lagana 6.4 E-Mail Address ko dobara tabdeel karna 6.5 Apna E-Mail Address Daikhana 6.6 Memos Band karna 6.7 Op Status na Lena 6.8 SENDPASS ko Band karna 7 * Urfi`naam ko Khatam karna 8 * "Main apna Password bhol giya hon" 9 * NickServ ko Tung karna 1 * Requirements, Abilities and Responsibilities ------------------------------------------------ yeh dastawizat aap ko urfi`naam darj karnay kay baad hi parnay chahiain. or urfi`naam ko darj karny ki wazahat is site per mojood hay http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html. NickServ asal main urfi`naam ko darj karny or os urfi`naam ko dosroo ko istemal karnay say rokta hay. Agar koi istemal kar bhi raha hay too urfi`naam k malik ko ijazat hoti hay keh woh apnay urfi`naam ko Disconnect kar sakta hay jo oswaqt istemal kar raha hota hay. Jo Kay Pehlay 30 Din Par Muheet Thi Aur Ab Uskay Bajaye Woh Ghair Fa'Aal Kay Tor Par Nishaan Zad Kiya Jaye Ga. https://www.dal.net/kb/view.php?kb=291 urfi`naam ko indraj karany may koi pesay denay ki zarorat nahi hoti. meharbani say bohat ziada urfi`naam darj na karain. aik hi urfi`naam ka indraj karain osko sahi tarah say istemal karain. 2 * Urfi`Naam ko Shanakht karana -------------------------------- Main aap ko urfi`naam shanakht kay baray main kuch batata chaloo. woh yeh kay urfi`naam shanakht karany ka matlab hay aap NickServ (Services) ko yeh yaqeen dilana hay kay aap hi asli malik ho urfi`naam kay. ap yeh tab hi karsakogay jab aap ko urfi`naam ka password pata hoga. To ab urfi`naam shanakht karwanay kay tareqay too bohat hain. laikin jo sab sey ziada istemal honay wala or mehfoz hay woh yeh tareqa hay: /nickserv identify [] Misaal: /nickserv identify ILovePeanutButter /nickserv identify PeanutButterLover ILovePeanutButter Yahan or bhi tareeqay hain apnay urfi`naam ko shanakht karwany k: /identify [] /services identify [] /msg nickserv@services.dal.net identify [] Jesa k "/identify" or "/services" DALnet mein pehly say mojod server ki commands hain, yahan kuch client aesay hain jo inko kabol nahi karty. Agar aap ka client isko kabol na kary to, yeh command istemal karni chahiyeh "/quote" command say pehlay: /quote identify [] /quote services identify [] Kabhi kabhi aisa bhi hota hay kay kafi loog command baghair */* kay istemal kartay hain. jiski waja say onka password bhi kisi kay samnay chala ja sakta hay. Isi liyai main yehi mashwara dena chahonga kay jab bhi aap command likhain too mIRC ki Status window per type karain or command likhnay say pehlay */* lagana mat bholain. :) 3 * Kisi urfi`naam ki malomaat lena ----------------------------------- Neechay dee gaie command bohat hi ziada achi or istemal honay wali aam command hay. jiskay zariyai ham kisi bhi urfi`naam ki malomaat hasil kar saktay hain. yeh aap ko yeh bhi bataigi kay malik kis host sey akhri waqt kab aya tha. Tareeqa: /nickserv info Misaal: /nickserv info PeanutButterLover Neechay dee gaie misaal mein NickServ INFO lenay say yeh malomaat aengi: -NickServ- Info for PeanutButterLover: -NickServ- (Currently on IRC) For extra info: /whois PeanutButterLover -NickServ- Last seen address : butter@loving.peanutbutter.ca -NickServ- Memos forward to : PeanutButter -NickServ- Last seen time : Tue 10/24/2000 04:10:58 GMT -NickServ- Time registered : Sun 08/22/1997 10:18:21 GMT -NickServ- Time now : Tue 10/24/2000 04:17:37 GMT -NickServ- URL : http://www.peanutbutter.ca/ -NickServ- Email address : janet@peanutbutter.ca -NickServ- Options: Enforced, NoOp -NickServ- *** End of Info *** 4 * "Urfi`Naam pehlay say istemal main hay" ------------------------------------------- is pegham ki wajah aik yah ho sakti hain, aap ka urfi`naam pehlay say hi istemal ho raha hota hay jab aap isko istemal karnay ki koshish kartay hoo, too yaha 3 mukhtalif commands hay jo istemal hoti hay 4.1 * GHOST ki command ---------------------- yeh mumkin hay kay aap apni ISP (Internet Service Provider) sey disconnected hogay ho, pehli bar logged off huway baghair DALnet server sey, laikin server yehi samajhta hay kay aap online hoo. to phir isi liyai urfi`naam ko disconnect karnay kay liyai GHOST kia jata hay. or han GHOST lafz say ghabrana nahi :p, aap aisa keh saktay hoo kay GHOST aisa connection hota hay joo asal main hota nahi hay. aap isay aik weham keh saktay hoo server ka, Bass phir dair nahi karni. agar aap asli urfi`naam k haqdar ho to aap "ghost". command istemal karkay aap apnay urfi`naam ko disconnect kar saktay hoo. or command yeh hay /nickserv ghost [] Misaal: /nickserv ghost PeanutButterLover /nickserv ghost PeanutButterLover ILovePeanutButter Agar aap kay urfi`naam ki rasahi fehrist hay or aap ki host/ip os rasahi fehrist may mojood host/ip milti hoti hay too aap ko urfi`naam ka password denay ki zarorat nahi or rasahi ki fehrist/shamil karny kay baray main mazeed malomat, yahan hain http://docs.dal.net/docs/nsaccessur.html. or agar aap Ghost command main password istemal kar rahay hoo too ap ko urfi`naam shanakht karwanay ki zarorat nahi hoti. yeh barabar hogi is command kay "/nickserv identify " command. 4.2 * RECOVER ki command ------------------------ Agar aap kay urfi`naam ki ENFORCE option ON nahi hay, yah phir kisi nay bass urfi`naam istemal karna shoro kardiya hay or NickServ ko too pehchany ka koi mo`uqa nahi hota (Yeh his`sa dekhain His`sa 4.3), Aap k pass aik khasiyat yeh hay k kisi ko disconnect karny ki joo aap ka urfi`naam istemal kar raha hon os waqt iss RECOVER command sey. /nickserv recover [] Misaal: /nickserv recover PeanutButterLover /nickserv recover PeanutButterLover ILovePeanutButter yeh bhi GHOST command ki tarah password denay ki zarorat nahi agar aap ki host/ip rasahi fehrist main mojod host/ip say milti hay too. RECOVER command istemal karnay kay baad, aap ka urfi`naam zabt hojaiga or phir aap ko dobara apnay urfi`naam ko RELEASE karwana ho ga jiskay baray main nechay malomaat majood hai. 4.3 * RELEASE ki command ------------------------ Ap ko zara shoro main "enforcer" kay baray main kuch batata chalo woh yeh kay jab aap kay urfi`naam ka ENFORCE option ON hogi to jobhi aap ka urfi`naam istemal karnay ko koshish karega too osko 60 seconds diyai jatay hain kay woh urfi`naam ko shanakht karway agar woh asli malik hay. agar woh 60 seconds main shanakht na karwa sakay too urfi`naam zabt hojaiga ENFORCE ki janib say or urfi`naam tabdeel hojaiga ga kisi bhi GUEST***** urfi`naam say. Phir jo bhi aap ka urfi`naam istemal karega to osko yeh peghamat milaingay PeanutButterLover The nick PeanutButterLover is currently being held by a Services Enforcer. If you are the nicks owner, use /msg NickServ@services.dal.net RELEASE PeanutButterLover password to release the nickname. If thenickname recently expired, please wait patiently and try again later. [PeanutButterLover] Or jab aap asli urfi`naam ka haqdar istemal karna chahay ga too ossay urfi`naam ko release karwana hoga is command say: /nickserv release [] Misaal: /nickserv release PeanutButterLover /nickserv release PeanutButterLover ILovePeanutButter agar yeh RELEASE command aap kay urfi`naam wapis lenay main nakaam hojay too phir aap RECOVER command (His`sa 4.2) istemal karni hogi jab aap ka urfi`naam released hojay too aap ko yeh likh kay "/nick " apna urfi`naam istemal kar sakty ho Jesa k GHOST or RECOVER commands, mein hamesha ki tarah password denay ki zarorat nahi agar rasahi list ki host/ip aap ki host/ip say mill rahi ho too. 5 * Rasahi ki Fehrist or Rasahi ko Dekhna ----------------------------------------- Rasahi fehrist ko samajhnay or istemal karnay kay liya thori bohat preshani hoti hay, khas tor per naey logo kay liyai. isi liyai ham nay rasahi fehrist per dastawizat likhay hain, kay asal main yeh hain kia or kistarah say istemal ki jati hain, or dastawizat is site per hain http://docs.dal.net/docs/nsaccessur.html. Logo kay pass yeh salahiyat hoti hay kay woh check kar sakay kay koi, dosra jo urfi`naam istemal kar raha hay osnay shanakht karwaya hay yah baghair shanakhr karway istemal kar raha hay, command yeh hay. /nickserv acc NickServ aap ko numbers 0 say 3 mein jawab dega. joo k kuch istarah say nazar aiengy: -NickServ- PeanutButterLover ACC 2 har number kay mukhtalif rasahi k darjy hotay hain. jin ki tafseel yeh hay. "ACC 0" Istemal honay wala urfi`naam ka indraj nahi huwa. "ACC 1" Os shakhs nay urfi`naam ko shanakht nahi karwaya. "ACC 2" Os shakhs ki host/ip rasahi fehrist mein mojod hay urfi`naam istemal karny k liyeh. "ACC 3" Shakhs nay urfi`naam ko shanakht karwaya hay. yeh command kafi halaat main istemal karny k liyeh mufeed hay, jesa k kisi chorh ko pakarna, or yeh dekhna k woh shakhs kesay Opped hay AOP/SOP fehrist main, waghera waghera. 6 * Setting Options ------------------- Urfi`naam darj karnay kay baad bohat ziada options hay apnay urfi`naam ki setting kay liyai. or setting karnay say pehlay aap ko apna urfi`naam shanakht karwana lazmi hota hay. Ok ab kuch settings ki command dekhain jo kay darj hain. 6.1 * Apna Password tabdeel karna --------------------------------- apnay password ko tanbdeel karna bohat asaan hay: /nickserv set passwd Aik misaal kuch aisi hogi: /nickserv set passwd ILovePeanutButter ILovePB Oper dee gaie command sat aap ka purana password tabdeel hoga "ILovePeanutButter" say "ILovePB" per. Password ko tabdeel karny k baad, too shakhs ko password tabdeel karny ki tasdeeq k liyeh aik email bheji jaygi. Koi password email main shamil nahi hoga. Bass yeh aik rasta hay jan`ny ka k aap ka password tabdeel ho chuka hay. Agar aap nay yeh tabdeeli nahi ki, aap ko issay jan`na hoga or koi amal karna chahiyeh issay roknay k liyeh. Aik user ab tabdeel huway password ko wapis ley sakta hay. Jab koi "SET PASSWD" ko istemal karta hay, to aap apnay purany password ko 70 ghanto main wapis ley saktyhain. Oskay liyeh aap ko aik email aygi jisay aap purana password wapis ley sakty hain. Yahan 72 ghanty (3 din) ka waqt hota hay SET PASSWD or SET EMAIL command denay k baad. email adress tabdeel honay say aik niya password set nahi ho sakta 72 ghantoo main, or aik email adress ko nahi badla ja sakta agar password tabdeel kia ho pehlay 72 ghanto main. 6.2 * Dosro ko apna urfi`naam istemal karny say bachana ------------------------------------------------------- urfi`naam darj karnay kay baad yeh aik lazmi bat hay kay apnay urfi`naam ko kisi dosrey ko istemal karnay say roka jay. aap online ho yah na hoon. Enforce option ab khub`ba`khud set ho jati hay urfi`naam k mukamal indraj hoty hi. pehlay yeh khasoiyat *KILL* say pehchani jati thi lekin ab iska naam *ENFORCE* option hay. or yeh option ENFORCE ka hay. jisko ON karnay say urfi`naam ko shanakht karwanay kay liyeh 60 seconds diyai jaingay. agar nahi shanakht hota 60 senconds main to urfi`naam khud tabdeel ho jaiga ga GUES***** urfi`naam sey "*" yaha tabdeel hotay numbers hotay hain is mandarja`zeel commands hain. /nickserv set enforce on " mandarja command ON/OFF karnay k lia dastiyab nahi " Purani adat ki wajah say, yahan kafii loog abhi tak KILL command is temal karty hain ENFORCE command cono aik he cheez ko pora kartay hain. is k bawajood hum nay najiz karnay wali command k lia ON /OFF ko tarteeb dene ka rasta tabdeel kardia hay. Is command kay sath kuch bhi karnay k lia DALnet sarfeen kay liya mazeed akhtiyarat nahi hain. ENFORCE command humaray nizam say hata dia gaya hay. woh automatically on ho jata hay aur aap is ko OFF nahi kar saktay ab Jesa k likha hay, Yeh mumkin hay k koi aap k a~urfi`naam istemal kar sakta hay jabky shanakht nahi karwaya hota. rasahi fehrist k baray main malomaat yahan hay http://docs.dal.net/docs/nsaccessur.html. 6.3 * Aik URL apnay urfi`naam k saath lagana -------------------------------------------- yeh mumkin hay kay aap apnayn ufi`naam per apni koi c bhi URL/Site laga saktay hain, or jab bhi koi aap kay urfi`naam ki INFO lega too osko woh URL dekhaie daigi, jo aap nay set ki hoti hay. Command yeh hay Tareeqa: /nickserv set url [] URL main kuch na dena too iska matlab aap URL ko khatam kar rahy ho apny urfi`naam say. Misaal: /nickserv set url /nickserv set url http://www.peanutbutter.ca/ Pehli command say pehlay say mojood URL ko khatam karny k liyeh istemal ki jati hay. dosri iss http://www.peanutbutter.ca/ ko aap k urfi`naam k saath shamil kardega. NOTE:NickServ SET URL command ab https://URLs ke sath bhi istemal ki ja sakti hai. https kya hai? yahan pe dekhein https://techdifferences.com/difference-between-http-and-https.html Misaalein: /nickserv set url /nickserv set url https://www.www.peanutbutter.ca/ 6.4 * E-Mail Address ko dobara tabdeel karna -------------------------------------------- Jab aap urfi`naam darj kartay hoo too saath main apna emailadress bhi detay hoo. or sahi emailadress hi dena chahiyia kio kay aap ko os emaildress per tasdeeqi mail bheji jati hay, agar aap nay ghalti say ghalat email adress dediya hay yah phir wesay hi aap tabdeel karna chahtay ho to email ko dobara say set karna parta hay iski mazeed malomaat yahan milay gi http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html. Too aap apnay urfi`naam ka email SET EMAIL command sey istarah set ki jati hay /nickserv set email [] Oper wali command ko baghair email adress diyen istemal kia jay too aap ko woh email dekhaie jaygi joo pehlay say set hoti hay. Asal main email ko tabdeel karna ossi waqt hota hay jab aap koi ghalat email dediya ho /nickserv set email ILovePeanutButter janet@peanutbutter.ca Yeh pnay zehan main rakhain yeh jab tak muratib nahi hogi jab tak aap iski tasdeeq nahi karty. Tasdeeq wali email aap k naey email adress per bheji jaygi, misaal main, janet@peanutbutter.ca. ko tabdeel karny k liyey yahan doo hissay hain. Jab email tabdeel karny k liyeh kaha jayga too, aik email pehlay aap k mojoda email adress per bheji jaygi. Yeh email wazaht karegi k aik adress tabdeel kia gia hay or agar aap nay tabdeel nahi kia too iss am`mal ko pora karny say os shakhs ko rook dia jay. Agar tabdeeli ko 72 ghanto main na roka gia too, aik tasdeeqi email naey email adress per bhaij dee jaygi, too os shakhs ko email ki tabdeeli ki ijazat dey di jaygi. yehan 72 ghant (3 din) ka waqfa hota hay SET EMAIL or SET PASSWD ki command denay k baad. agar email adress tabdeel kia gia hay pehlay too password tabdeel nahi hosaky ga, or agar password pehlay tabdeel kia jay too email tabdeel nahi hoga. 6.5 * Apna E-Mail Address Daikhana ---------------------------------- Wesay pehlay say jo email adress aap nay set kia hay urfi`naam kay liyai woh email adress urfi`naam ki INFO lenay say kisi ko nazar nahi ata agar aap chahtay hain kai jo koi aap kay urfi`naam ki INFO lay too, osse nazar aiy aap ka urfi`naam kiss email adress per set hay too SHOWEMAIL aik esa option hay jisko OFF or ON karnay say aap kay urfi`naam kay set huwey email adress ko dikhayie dey yah nadikhayie dey, kia ja sakta hay. commands yeh hain. /nickserv set showemail on /nickserv set showemail off Inkaar: DALnet network kisi bhi spam ki zum`may dari nahi leta yani k (Ishteharata) joo aap apnay account main mosool karty ho, jab tum iss option ko enable karty ho to. 6.6 * Memos Band karna ---------------------- NOMEMO aik aisa option jiskay baray main pori malomaat in dastawizat per majood hay http://docs.dal.net/docs/memoservur.html. wesay mukhtasran main batata hoon, keh jab aap NOMEMO Option ko ON kartay hoo to aap ko koi bhi memo kisi ki taraf say nahi milayga. han IRCop aap ko Memo kar sakta hay kisi khas wajah per. Commands bohat asan hain jo kay yeh hain: /nickserv set nomemo on /nickserv set nomemo off Yeh NOMEMO option ko on or off karny k tareeqay hain. Apny zehan main rakhain NOMEMO option MemoServ FORWARD option ko bhi rook deta hay. yeh mumkin ho sakta hay k forwarding memo pehlay say sar`e`fehrist ho agar NOMEMO on hay, laikin memo memo agay nahi bhejay jaingy. 6.7 * Op Status na Lena ----------------------- Jesay mumkin hay kay aap ko koi memo na bhaij sakay isi tarah yeh bhi mumkin hay kay aap ko koi OP (Aop/Sop) shamil na karsakay AOp yah Sop fehrist main kisi bhi kamry ki or inki asan commands yeh hain. /nickserv set noop on /nickserv set noop off Oper dee gaie command say enable or disable kia ja sakta inn options ko. Agar aap AOP or SOP fehrist main shamil hona chaht ho too sab sey pehlay, iss NOOP option ko off karain or jab hojay too dobara say is ko on karlain. 6.8 * SENDPASS ko Band karna ---------------------------- DALnet aap ko is baat ki ijazat deta hy k agar aap password bhool gay ho too aap osko mang sakty ho (Dekhain His`sa 8). Aap iss khud password bhejny wali kabliyat ko band kar sakty hoo MAILBLOCK option ko on karny say. yeh command bohat ahtiyat say istemal karain kiyon-k iskay baad aap ko password k baray main koi madad nahi ki jaygi agar aap isko bhool gay too. /nickserv set mailblock on /nickserv set mailblock off ub aap MailBlock ki Option ko aik dafa ON karletay hoo too aap ko tasdeeqi email bheji jaigi Bilkul wesay hi jesay urfi`naam k indraj ko mukamal karnay kay liyai aap kay pass ati hai too aap ko os email say tasdeeqi code command deni hogi tab jakar yeh MailBlock Option ON/OFF hogi. 7 * Urfi`naam ko Khatam karna ----------------------------- Aap apnay urfi`naam ko khatam kar sakty ho. yeh kaam doo his`so mein khatam hoga. Pehla, aap ko pehlay urfi`naam ko khatam karny k liyeh darkhuwast karni hogi. Dosri, aap ko apna faisla ki tasdeeq karni ho urfi`naam ko khatam karny k liyeh DROP ki command yeh hain: /nickserv drop Misaal: /nickserv drop PeanutButterLover NickServ kuch aisi lines main jawad dega: -NickServ- The request for dropping a nick must be confirmed. Please check your email address for further instructions! Email main bhejay gay ahkamat ko dekhain sahi code numbers denay k liyeh. Copy or Paste karna mufeed hoga yahan. :) /nickserv auth Akhir mein, NickServ tasdeeq karlay ga: -NickServ- The nick PeanutButterLover has been successfully dropped. Urfi`naam ko khatam karny say aap ka (http://home.dal.net/nickname) bhi khatam hojayga or aapka email adress bhi jo DALnet per hota hay (nickname@u.dal.net) 8 * "Main apna Password bhol giya hon" -------------------------------------- Issay pehlay k aap yaqeen karain k aap apna password bhool gay hoo to yeh yaad rakhain keh "Baray or Chotay" lafz bhi hoty hain. iska matlab yeh hay k "STAR" aik hi nahi hay "star" or "StaR" k saath. Pehlay sari koshishain karain k aap password nahi bholy ho. Email adress ko apny urfi`naam k saath lagany ka maksad yehi hota hay k aapko maloomat or passwords email per bheji ja sakain. is command ka tareeqa yeh hay: /nickserv sendpass [] [] Misaal: /nickserv sendpass PeanutButter janet@peanutbutter.ca Email address joo aap nay command main dia hay woh *lazmi* milna chahiyeh joo hamary pas hota hay aap k urfi`naam ka. SENDPASS command band ho sakti hay agar aap nay MAILBLOCK on kar rakhi hay. Dekhain His`sa 6.8. Agar aap password bholny wali museebat ko nahi yaad kar sakt too aap ko IRCop ki madad ki zarorat hay. IRC Operator ko kesay talash ki jay oskay bary main yahan maloomat hay http://docs.dal.net/docs/findoperur.html. UPDATE: Phelay, Nick ka mojooda password barahayrast aap kay email adress per bejha gaya tha. Fori Toor per SENDPASS command mandarjazail kaam karay ga. 1. Aap ko apni darkhwast ki tasdeeq karnay k lia aik aur email moosool hoga jis per aap ko kaam karna paray ga akhtiyar ka code 72 ghantay (3 din) k lia durust hoga 2. Ijazat k toour per ijazat mukamal karnay per naya random password aap kay AUTH command kay jawab k toour per nick kay liya aap ko naya password bataye ga. 9 * NickServ ko Tung karna -------------------------- urfi`naam ko darjkarna Dalnet kay liyai aik keemti zariyah hay. Dalnet Network kisi kisam ka koi ghalat istemal ko bardasht nahi karta jesa kay Loog NickServ say kafi saray urfi`naam ka indraj karkay istemal karty hain or onko ghalat tareeqay say istemal karna waghera. wesay agar aap kay pass 5 urfi`naam darj hain too yeh Kabil-e-Qabool hain agar aap kisi bhi tarah say Dalnet k qanon ko torty hoo too Dalnet ossi wajah asay aap ka urfi`naam khatam, Dalnet say ban karsaktay hain yani kay aap ki ISP ko autokill karsaktay hain isi liyai achay or behtar andaz say istemal karain ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)