Nickserv Rasahi ki Fehristain ============================= Version 1.2.2 Akhri bar tarjama kia giya Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) or Heroic (Ali_Heroic at Hotmail.com) per 2006-04-15 Akhri bar parha giya Fredfred (Fredfred at dal.net) on 2005-11-12 Asal main likha giya quen (quen at leafdigital.com) per 1996-02-09 Copyright (C) 1996-2006 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Taa`urf ------- yeh dastawizat tafseel biyaan karty hain k aap apnay urfi`naam ko kesay istemal kar sakty ho or koi kesay aap ka urfi`naam istemal karta hay DALnet per. Istemal say muraad nickserv ki kuch options hay jo ka "rasahi fehrist" hay or shanakht karwana nickserv say roz jab bhi aap online hon. Agar aap nay abhi tak koi intekhab nahi kia or apnay urfi`naam ka indraj nahi kia nickserv main, too aap ko yeh sab karna chahiyeh - parhain Sawaal 1.2 "main apna urfi`naam kesay darj karon?" k sawal jawab ko. Akhirkar, do khulasa jaat hain - jab kabhi main command doo jo kuch aisay hay /nickserv identify Command ko aisey hi likha jay jesa k oper dekhaya gia hay, *siway* oskay joo k command mangti hay yani keh (password hay yahan). Asani k liyeh, di gaie misaal main, agar aap ka password "apple" tha, too aap ko yeh command is tarah likhni chahiyeh /nickserv identify apple jabk command "/nickserv" say shoro hoti hay yah "/chanserv" say, yeh aap k client alias main mojod hoti hay. agar aap ka client isko na samjhay too, too aap command isstarah say bhi shoro kar sakty ho "/quote nickserv", yah phir iskay saath "/msg nickserv@services.dal.net". Muwaad ------ 1 * Aap ko yeh malomaat jannay ki kio zarorat hay? 2 * urfi`naam ki rasahi fehristain kia hain? 3 * aik usernaam or hostnaam rasahi fehrist main kesay shamil kart hain? 4 * urfi`naam ki rasahi fehrist ko kesay tabdeel karain? 5 * ma`moli or hamshakal address masks jagah rakhti hay aap ki rasahi fehrist main 6 * Hostnaam or usernaam ki wazaht hay 6.1 The username 6.2 The hostname 7 * Address masks ki wazaht 7.1 Bilkul Aisey 7.2 Wildcards 7.3 Apny liyeh kesay sahi mask muntakhib karon? 7.4 Agar aap k paas aik mtuaiyan mask hay 7.5 Agar aap k paas badalta huwa adress hay 8 * Nambro walay hostnames 9 * Yaad rakhny ki chezain or hifazat k liyeh nasihat 10 * Khulasa 1 * Aap ko yeh malomaat jannay ki kio zarorat hay? -------------------------------------------------- DALnet aap ko yeh malomaat parhny per zor deta hay kiyon-k: Agar aap say nickserv hamesha hi yeh pochta hay too, too aap isko mutaiyan kar SAKTY ho, orr iski wazaht aisey ki jati hay. Agar aisa nahi hota, yeh mumkin hay k koi aap ka urfi`naam aram say isetmal kar sakta hay. yahan tak aap ko on logo ka itefaq bhi nahi hota jo "aap jessa banty hain", isi ko lekar woh *aap* museebat main daal sakty hain kisi k saath badtamizi kar k. agar aap ka urfi`naam ki rasahi mask bohat ziada choti hay or dosray logo ko ijazat deta hay rasahi istemal karnay ki. to woh logo ko on kamro per oprater rasahi bhi hasil ho jati hay jahan aap AOP, SOP yah Founder hoo. aik khulasa yahan mil sakta hay His`sa 10, jismay yeh bataya giya hay ka aap kesay "sahi" rasahi fehrist bana sakty ho. 2 * urfi`naam ki rasahi fehristain kia hain? -------------------------------------------- aik urfi`naam "rasahi ki fehrist" aik adresses ki fehrist hoti hay jahan say aap ki shanakht hoti hay urfi`naam ka password diyai baghair. Yeh sab tab hoga jab os shakhs ka adress/hostmask/ip bilkul aap ki rasahi fehrist main mojod adress/hostmask/ip sey milta julta ho jo kay aap nay khud rasahi fehrist main shamil ki hay. Yahan kafi rastain jahan say shakhs aik indraj huwa urfi`naam istemal kar sakta hay inki wazaht k liye, yahan aik khulasa k kia hota hay jab aap log on hoty ho, yah urfi`naam tabdeel kart ho. 1. nickserv dekhta hay agar urfi`naam darj shuda hay. agar nahi, too yeh kuch nahi karayga (maslan, aap urfi`naam istemal kar sakty ho). 2. Yah phir agar urfi`naam darj shuda hay to nickserv dekhta hay aap ka naam or hostnaam os urfi`naam ki rasahi fehrist main majood hay. (Usernaam or hostname yeh hay "something@somewhere.com" aik maloomat ka hissa jo aap /whois likhnay say hasil karty ho) agar wahan iska hamshakal hay, too aap ko woh sahi shakhs samjhy ga urfi`naam ka, or nickserv kuch nahi kahega. 3. Or Yah phir aap jab urfi`naam rakhtay ho or nickserv aap ko kehta hay kay apnay urfi`naam ki shanakhr karao too aap yeh istameal karo "/nickserv identify " . iss lamhy per, aap ko memos, channels, AOP ki rasahi nahi hoti 4. Ab too Enforce Option of urfi`naam ki Services ki taraf say pehlay say hi ON hoti hay isi liyai aap ko lazmi urfi`naam shanakht karnay kay liyai 60 secs miltay hain. agar aap nahi karwatay shanakht to urfi`naam tabdee; hojaiga or os urfi`naam ko kabzay main lelay ga or jab tak istemal nahi ho sakta jabtak asal shakhs os urfi`naam ko akar churwata nahi karwata. (ENFORCE k baray main or ziada malomaat k liyeh, dekho Services FAQ sawaal 1.3 "Main dosro ko kesay rok sakta hon mera indraj huwa urfi`naam ko istemal kany say?") 5. agar aap likhty ho "/nickserv identify " command to aap ko poray ikhtiyarat mil jatay hain jesay hi nickserv password ko kabool karta hay. yeh thori see uljhi huie wazaht thi, yahan aik or wazaht mojod hay isko dekhain tyhoray say mukhtil nazariyeh say; agar aik shakh indraj huwa urfi`naam istemal kar raha hay too: 1. onkaa address [usernaam or hostnaam] milna chahiyeh rasahi fehrist main. 2. woh khud say bhejty hain "/nickserv identify " command. 3. urfi`naam ki enforce off hay 4. Enforce on hay [iss mamly main woh 60 secs k liyeh urfi`naam ko istemal kar sakty ho] (sirf 1 or 2 halaat maion shakhs sahi hota hay "sahi malik" urfi`naam ka, memos ki rasahi k saath, urfi`naam ki setting dekhna, or or kisi channel main ikhtiyarat jo os urfinaam ko hasil hotay hain. urfi`naam ki setting k liyeh hamesha password pocha jata hay shanakht karny k liyeh.) 3 * aik usernaam or hostnaam rasahi fehrist main kesay shamil kart hain? ------------------------------------------------------------------------ yahan doo rasty hain jokay ho sakty hain: 1. aap isko khud shamil karty hoo is command say "/nickserv access add " (neechay dekhai) 2. jab aap apny urfi`naam ko darj karty ho too, woh adress jo aap os waqt istemal karty ho woh khud`ba`khud shamil ho jati hay rasahi fehrist main, isko khatam karny k liyeh parhty raho. 4 * urfi`naam ki rasahi fehrist ko kesay tabdeel karain? -------------------------------------------------------- Yahan kuch aisi commands hain jin ki madad say aap apnay rasahi fehrist ko sahi kar saktay hoo. In commands ko istemal karnay kay liyai aap ko sab sey pehlay os urfi`naam ko rakhain or phir osko shanakht karain is command sey ("/nickserv identify ") Jamah or Khatam karny ki commands say pehlay. inn commands ko likhnay k baad aap ko nickserv iskay nataij bhi dega. agar koi jawab nahi ata too, mumkin hay nickserv ahista ho, meharbani say sabar rakhain phir. agar waha kuch aisa pegham ata hay k "nickserv - no such nick/channel" yah "Services is currently down. Please wait a few moments, and then try again." phir nickserv mumkina tor per ghaib hota hay; phir thori dair baad koshish karna. /nickserv access list is command ko likhnay say aap ko pehlay say mojod rasahi ki fehrist dega /nickserv access add iss command ko likhnay say - "mask" lafaz ko tabdeel karain asal mask say - too shamil hogi "address mask" (thori dair bad dekhna) listo k onsay milnay wali host k loog os urfi`naam ko istemal kar sakty hain baghair shanakht karway. /nickserv access del Iagar aik "address mask" sahi nahi hay, hifazti tor per, yah phir aap ko yeh nahi cahiyeh thi, aap isko khatam kar sakty ho is command ko istemal karny k baad. 5 * ma`moli or hamshakal address masks jagah rakhti hay aap ki rasahi fehrist main ---------------------------------------------------------------------------------- yahan aik faida hay k ham rasahi fehrist ko khatam kar sakty hain, jiska matlab k aap hamesha nickserv ko password dena chahty ho. isi liyeh, agar urfi`naam ki hifazat aap k liyeh rahat ka baies hay, too aap ko yeh karna chahiyeh. yeh yaad rakhain k koi dosra aap k urfi`naam ko istemal *kar* rasahi fehrist ki wajah say. lekin phir bhi woh aap k urfi`naam ko khatam yah phir koi tabdeeli nahi kar sakty yeh sab karny k liyeh onhay urfi`naam ki password sey shanakht karana lazmi hota hay. jesa k, agar koi rasahi hasil kar leta iskay zariyeh woh memo or memo ko bhejny k kabil *hongay* aap ka urfi`naam istemal karky, orr isi tarah woh kamry main bhi (AOPs, SOPs, waghera) k ikhtiyarat hasil kar sakty hian. woh kamra bhi darj kara sakty hain aap k urfi`naam say. agar aap nay yeh faisla karlia hay k aap ka urfi`naam mehfoz rahay, too yeh hissa aap ko wazaht dega k aap pani rasahi fehrist ko kesay khatam kar sakty ho. dosri sorat main, aap ko agla hissa dekhan chahiyeh. apnay ufi`naam ki rasahi fehrist ko khatam karny k liyeh: 1. likhain "/nickserv identify " (jahan "password" hay wahan apna password dain ) 2. likhain "/nickserv access wipe" ACCESS WIPE say aap ki rasahi wali host fehrist khatam hojaigi or phir nickserv aap sey urfi`naam ko shanakht karwanay ka pochey ga or aap ko yeh command istemal karni hogi har bar: /nickserv identify kabhi khudkar shanakht karny walay script istemal na karain or kisi bhi mutasir huway computer ko istemal na karain khas toor per jab aap cafe main hotay hain too yeh tasalli karlain k koi aap ka password dekh too nahi raha. or khud kar shanakht karny walay script say parhaiz karain kiyon k insay password chori or koi bhi istemal kar sakta hay aap ka urfi`naam, in sortehal main DALnet aap ki kabhi madad nahi karega. agar aap nay apni rasahi fehrist khatam kardi hay to, too aap koni in dastawizat ko parhny ki zarorat nahi hay kiyonk yeh rasahi fehrist k liyeh hain. 6 * Hostnaam or usernaam ki wazaht hay -------------------------------------- Apnay urfi`naam ki rasahi wali host fehrist main Hostmask/IP/Vhost shamil karnay say pehlay apnay urfi`naam ki online Whois lain iss command sey "/whois" , or phir aap ko neechay diyai gay messege ki tarah messege milayga YourNick is ~user@009-443.provider.com * Your Silly Message [etc] yah phir istarah: *** YourNick is ~user@009-443.provider.com (Your Silly Message) ~user@009-443.provider.com yeh bilkul aisahi nahi hoga main nay aap ko Host user naam ki sorat bataie hay. IP ki jagah aap ki asli IP hogi or ~user ki jagah aap ka HostNaam hoga. Ab main aik aik karky aap ko samjhata ho shoro karny say pehlay: agar aap ka nateeja aisa hay ~user@124.45.230.123 - i.e. 4 numbers or koi laf nahi "hostname" k hissay main - meharbani say dekhain His`sa 8 in this guide. 6.1 * The username ------------------ "shakhs ka naam" too Aap ka naam kuch istrah sa hoga "~user". iskey bhi doo hissay hay 1) "~" yeh is baat ki wazaht karta hay kay aap ka IDENT Server nahi hay. 2) "User" yahan aap ka name bhi hosakta hay joo aap nay rakha hoga Agar aap Unix yah VPs computer walay system istemal kar rahay ho yah university main mojod mukhtalif ISP services ko istemal karty hoo too aap apny user naam ko tabdel kar sakty hooor yaad rakhain IRC client main isko ba haysiyat email adress kaha jata hay Misaal main jo main nay aap ko "~User" bataya hay yeh aik ziada istemal honay wala Hostmask hay. aap ko apnay liyai aik aisa host mask muntakkhib karna hoga joo koi istemal nahi karta. Jab aap apna user name tabdeel kartay hoo too aap ko dobara say Connect karna hoga IRC ko DisConnect karkay. phir "/whois NickName" aap ko apna "usernaam" say sahi mask muntakhib karni hogi. 6.2 * The hostname ------------------ jo main nay aap aap ko "hostname" misaal k tor per diyah hay woh yeh hay "009-443.provider.com". yeh aap ko ISP (Internet Services Provider) ki taraf say dee jati hay. Khaas:- or yeh baat yaad rakhain yeh IP tabdeel hoti rehti hay isi liyai aap ISP ki IP shamil na karain Koi Shell/psyBNC istemal karain rasahi fehrist main shamil karnay kay liyai yeh phir is IP ko aik hi banaya jay. yeh hostname jo keh "badalti" huie hostname hoti hay. badalti huie hostnames k shoro main number shamil hotay hain, jismay yeh hamesha badalty hain jab bhi aap dial karty hain internet shoro karny k liyeh kuch hosnames "aik jesi" hi rehti hain - jo k aap hamesha aik hi rehti hayi har bar nternet ko shoro karny per, aap kay pass phir aik hi hostname hogi. too aik hi jesi hostname k start main number or alfaaz bhi shamil hotay hain or yeh aik jesi hi rehti hain. yahan kuch aik jesi hostname k misalain hain: spelt-lib.demon.co.uk altair.dur.ac.uk quilt.usn.blaze.net.au puree.ugcs.caltech.edu or yahan kuch tabdeel hoti hostname ki misaly hain: ppp96.sagelink.net one-pm30.norwich.net ip022.phx.primenet.com pc38.bgmoess-klu.ac.at Just to confuse, static hostnames can have numbers in them (e.g cm001-13.dur.ac.uk) - if in doubt, though, and it has a number, assume it's dynamic. aap ko yeh jan`ny ki zarorat hay k aap konsi sahi hostname ka intekhab karain. 7 * Address masks ki wazaht --------------------------- Pehlay, yeh baat ko dekhna chahiyai kay kia mask main *nahi* hay. sab nickname ko jamah nahi kartay or oskay hissay ko *! istarah say chor detay hain or ~ bhi username kay shoro main jamah nahii kartay. agar aap aisa kartay hoo to Mask kaam hi nahi karaygi. Adress mask 2 shaklo ki hoti hay: 7.1 * Bilkul Aisey ------------------ Samajhny k liyeh, aik adress mask yeh ho sakti hay: peter@orion.dur.ac.uk yeh mask logo ko yeh batati hay kai bilkul wohi computer or aik hi phoneline istemal karain "orion.dur.ac.uk", or jokay username ("email" mIRC mein) "peter" set tha, urfi`naam ko baghair shanakht karway istemal karny k liyeh. 7.2 * Wildcards --------------- Wildcards * yeh ilamtain hain jo k aap address masks main dekhty ho. aik * ilamat "milti hay" kisi bhi miqdar say chahy woh number ho yah alfaaz. Misaal k tor per: "for*" "forest", "fortune", "for" - or jo kuch "for" say shoro hoga woh milti huie mask hogi. "*st" "forest", "best", "Bucharest" - kisi k akhir main "st" hogi wohi mask hogi phir . "f*st" milaygi "forest", "frost", "fst", "fast" - har woh lafz jo "f" say shoro ho or "st" per khatam. "f*s*t" milay gi "forest", "foresight", "frost" - jo kuch shoro hoga "f" say, khatam hoga "t" say, or "s" darmiyan main kahi ho. agar aap yeh nahi samajhty hoo too pareshan na hoon yeh rasahi mask main shamil karna koi lazmi nahi Wildcard say aik rasahi mask yeh hoti hay: CuteElf@*.netcom.com yeh osko ijazat deti hay jiska username CuteElf ho, or jiski hostname khatam hoti ho ".netcom.com" per, urfi`naam ki rasahi k liyeh. 7.3 * Apny liyeh kesay sahi mask muntakhib karon? ------------------------------------------------- Jab, aap ko apnay username or hostname ka pata chal jata hay or yeh bhi kay adress aik jesi hay yah badalti huie. Phir ? bass jamah kardeun or Phir kia :) agar aap ka hostmaks nambro per hay - yani k 4 nambro ka hissa hay, alfaz ki jagah - too aap ko yeh dekhna chahiyeh His`sa 8, jismain wazeh kia gia hay k kesay is sorteyhaal ko dekha jay - yeh hostname mukhtalif kaam karti hay normel hostname say 7.4 * Agar aap k paas aik mtuaiyan mask hay ------------------------------------------- too mask ka sahi intekhab yeh hoga: username@hostname samajhny k liyeh, main nay aik mutaiyen hostmask ki misaal de hay. jo k sahi hay user@009-443.provider.com 7.5 * Agar aap k paas badalta huwa adress hay --------------------------------------------- Too yahan thora sa uljhao ho jata hay. Too buniyadi toor per hamm username main * istemal karty hain username@*.part-of-hostname-that-doesn't-change samajhny k liyeh, oper dee gaie misaal achi hay: user@*.provider.com Agaar 009 hamesha aik jesa hi rehta hay jab bhi shakhs dial karta hay, or sirf 443 hi badalta hay too yeh behtar mask hogi: user@009-*.provider.com 8 * Nambro walay hostnames -------------------------- kabhi kabhi aisa hota hay kay aap ka Hostname aik naam nahi hota yani kay aisa: username@A56.myprovider.com laikin aik majmoua hota 4 nambro ka: username@154.43.68.56 nambro ka majmoa - ko "IP address" bhi kehty hain - or yeh aik "asal" host address hota hay. yeh joo aap username dekh rahay ho bilkul sadha or parny main asan hota hay. kuch wajohsat hain k jab aap ki hostmask number main ajari hi hay woh server ki susti yah phir aap k services provider k wajah say hoo. Iss haal main, IRC server services provider say koi jawab hasil nahi kar pata hay joo kay "naam ko parh raha hota hay" pass yeh nambro ko isetaml karta hay phir. Ghalti say aik naam hasil karna, agar aap ka hostname khatan hota hay kisi number say, asaan hall yeh hay k aap apna server tabdeel karain yah phir dobara connect karain *ossi* server ko. agar aap aisa server istemal kar rahay ho joo aap k mahall-e-waqoo k bhi nazdeek ho to yeh naa chahty huway bhi "nambar" ajaty hain. agar aap ka hostname hamesha hi numbers k saath ata hay too, orr aap isko apni rasahi fehrist main jamah karna chahty hoo too. nambar wal nambro wali hostnames sadgi say hostmask ki rasahi k mazmon per behas karti hain. agar aap k paas badalti huie hostmask hay too, aap ko iski zarorat hay: /nickserv access add jahan username or shoro k nambar hain wooh /whois lenay say hain, orr akhir nambaro ko * say badla gia hay agar aap ka adress mutaiyen hay, toor saray nambor ko jamah karain bajaey * isko istemal karny k, iski aik misaal yeh hogi: /nickserv access add 9 * Yaad rakhny ki chezain or hifazat k liyeh nasihat ----------------------------------------------------- Agar aap mumkina tor per mehfoz rakhna chahty ho too saray adress masks ko khatam kardoo or yeh istemal karain: /nickserv identify hamesha yehi command day jab aap DALnet per online hon. (Dekhain His`sa 5) Agar aap k pass mutaiyen adress hay agar aap on chand khushkismat logo main say aik hain jinkay paas aik mutaiyen adress hoti hay, aap k paas aik rasahi fehrist honi chahiyeh jo k username@hostname hota hay or kuch nahi. Mask main kabhi * shamil nahi hona chahiyeh. Khatam karday kisi dori mask ko jo fehrist main shamil hay. kiyon-k aap ka adress aik mutiyen adress hay, or koi aisi mask nahi honi chahiyeh jiskay zariyeh rasahi hasil ki jay, phir kahin yeh kuch mehfoz hoga. Agar aap ka paas tabdeel hota adress hay Bohat say hain joo k badalti huie adress mask istemal karty hain. Asal main honay ki aik hi masl honi chahiyeh fehrist main, jo kay "ijazat degi" dosro logo ko istemal karny ki. kisi dosri ko khatam kardo. mask main username lazmi hona chahiyeh, or hostname bhi jesay hoo sakay. samajhny k liyeh,jab main Netcom istemal karta tha, meri pehlay say nickserv main muqarar hoti thi or koi bhi netcom per hota tha woh mera urfi`naam istemal karta tha (diyeh gay username ko woh tabdeel karty thay oss name k saath jo main oswaqt istemal karta tha.) meray hostname main dekhnay say, main nay iss hissay ko dekha. isko main dial up ka hawal deta hon jo main istemal karta tha or tabdeel bhi nahi kia tha. Pas main nay apna hostmask ko fehrist main osko hata k shamil kia, jiska matlab yeh hay k Netcom ko istemal karny walay loog jo k Seattle istemal karty hain, WA dialup point kabile istemal hoga apnay urfi`naam ko istemaal karny k liyeh. jesa k aap dekhty hoo, jab aap k paas ik tabdeel hota IP hay too, access mask kafi logo ko aap ka urfi`naam istemal karny ki ijazat deti hay. agar aap issay tasalli bakhsh nahi hay too, too aap ko chahiyeh k aap rasahi fehrist main mojood sari masks ko khatam kardia jay oor khud hi DALnet say apnay urfi`naam ko shanakht karwain. Agar aap Internet provider ko badalty ho is sortay haal main aap ko naie masks jamah karni chahiyeh, or porani maska ko khatam karna na bholain. Agar aap k paas aik say ziada Internet accounts hain too aap ko kuch ziada masks jamah karny hongay, har oss account ki jisko aap DALnet main istemal karty ho. "wide" ko access masks ki fehrist main jamah na karain kabhi *@* rasahi fehrist main ko jamah na karain, or dosri rasahi wali masks istarah ki *@*.net, *@*.com, *@*.uk, etc, jo k kafi logo ko aap ka urfi`naam istemal karny ki ijazat deta hay. Har mumkin koshish karain k kuch masks rakhain Aap ko aik mask istemal karni chahiyeh aik hi account ki IRC per. ziada mask ko shamil karnay say aap k Urfi`naam ki hifazat main kami ka baiess banti hay. Agar aap ko masla hay k loog aap ka urfi`naam chori karny koshish karty hain kuchdafa, loog aap ka urfi`naam ko chori karny k koshish karty hain too , too aap o CSops ko iss baray main khabar dar karna chahiyeh (sirf woh loog jo urfi`naam or kamro k password wapis la sakty hain) pass yeh onko pata lazmi hona chahiyeh k aap ko kiss kisam ki mushkilat ka samna hay. yeh par matlab kam hi hota hay bass aap ka urfi`naam ka indtraj aik sahi email adress k saath hona chahiyeh. CSops sirf aap k email adresses per hi passwords bhej sakty hain agar abhi tak aap yeh soch rahay ho k aap CSops ko khabar dar kar sakty hoo "nakli" rasahi wali masks bana k, Maslan: ATTENTION@dont.give.out.my.pass.to.anyone or ATTENTION@only.send.my.password.by.email aap ko "nakli" mask bana k khabar dar nahi karna chahiyeh meharbani say asal wali hi mask bhejain joo aap k urfi`naam ko chori karny ki koshish karr raha ho. Agar tum inko shamil karty ho, too saaf zahir hay CSop aap kisi ko password nahi dey sakta hay yahan takk k aap ko bhi Agar aap "sirf password email per bhejain" mask shamil karo, yeh mat bholo k aap ka email adress wohi hona chahiyeh joo aap nay urfi`naam k liyeh rakha tha (dekho "/nickserv help set email" or ziada maloomat k liyeh). 10 * Khulasa ------------ yahan aap ko mukhtasir bataya hay kay kesay jaldi say aap "Sahi" Rasahi Fehrist bana saktay ho 1. Type "/nickserv access list" 2. Type "/nickserv access wipe" 3. Agar aap apna urfi`naam ko ziada "mehfooz" banana chahty hoo, abhi rukk jaao, koi command na doo. aap ko hamesha yeh istemal karna chahiyeh "/nickserv identify " (Khaas: yahan aik asan tareeqa hay iss command ka, "/identify " . 4. likho "/whois YourNick" (YourNick ki jagah apna urfi`naam dein). nateeja aisa hoga: YourNick is youruser@stupidnumber.hostname * Your silly message 5. agar wahan kuch nambar hay @ ilamat kay baad too yeh aik tabdeel hoti Adress hoga isko jamah karnay kay liyai: yeh likhain "/nickserv access add " ( "youruser" ko badlain or "hostname" ko asli matloobat ko pora karain jo k /whois command say hain. agar koi nambar nahi hay too aap k paas aik mutaiyen mask hay too /whois kuch istarah say hogi: YourNick is youruser@hostname is sortay haal main, likhain "/nickserv access add " ("youruser" or "hostname" ko asli matlobat say badlain) 6. bass yeh sab hogia ab. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)