IRC Operators ============= Version 1.1.4 Akhri mein anoovad kiya gaya sps (sps at dal.net) se tarikh 2018-03-03 Akhri mein likhwaya gaya h (AHFR at Email.com) se tarikh 2017-06-29 Asal mein likhwaya gaya LadyDana (ladydana at dal.net) or curve (curve at dal.net) se tarikh 2000-12-17 Prakashit (C) 2000-2018DALnet Irc Network ki taraf se Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net. Parichay -------- IRC Operators ke baare mein kaafi kalpanik aur galatfaymiyaan logon ke dimag mein reh chuki hai, joh unki jimmedariyon aur unke pass commands ke access ko lekar hain. Yeh dastaavez IRC Operators ki jimmedariyon ke baare mein batata hain, evam woh kya kar sakte hai kya nahi kar sakte. Aapko DALnet ke adminstration ki sarachna ke baare mein bhi pata chalega is dauraan. Agar aapko IRC Operator se sahayta ki zarurat hai toh yeh padhein http://docs.dal.net/docs/findoperhi.html . Suchi ----- 1 * IRCop kya hota hai? 2 * IRCop ke zimmedarian kya hai? 3 * Ek IRCop kya *nahi* karta? 4 * Opering kaise kaam karti hai? 5 * IRCops ke bhinn prakar kya hain? 5.1 Local Operator 5.2 Global Operator 5.3 Services Administator 5.4 Server Administrator 5.5 Channel Services Operator 5.6 Services Root Administrator 6 * DALnet par kaun kaunsi alag teams hain? 6.1 Main K-Line 6.2 Help Committee 6.3 Postmaster 6.4 Independent Groups and Teams 7 * IRC Operator kaise ban sakte hain? 7.1 General Information 7.2 Sachayi 7.3 Soojhaav 7.4 Bilkiul bhi na karein. 7.5 Anya links 8 * Shikayat kaise karein kisi bhi IRCop ki? 1 * IRCop kya hota hai? ----------------------- Yeh alfaaz "IRCop" ka sidha matlab hota hai IRC Operator se -- na ki IRC Cop ya mIRC Cop joh kuch log sochte hain (jaroori hai ki hum IRC aur mIRC ke baare mein antar samjhein. mIRC ek client hai IRC par chalne ke liye, mIRC jaise anya clients hain joh IRC se judne mein sahayta karte hain). Unhe kabhi kabhi "oper" bhi kaha jaata hai. IRCops woh users hote hain jinke paas access hoti hai un commands ki jisse woh apne server aur network ki dekh rekh kar sakein. Jyadatar unhe IRC aur DALnet par jyada anubhav hota hai dusre users ke mukable, joh une samasyaon ka samadhan karne mein yogya banata hain. Dhyaan rahe ki unhe yeh sab karne ke liye koi bhi paise nahi milte, woh sirf volunteers hote hain. 2 * IRCop ke zimmedarian kya hai? --------------------------------- Mool roop se IRCop ki zimmedari hai ki woh apne server aur network ka dhyaan rakhein taaki woh sahi tarike se chalein. Uska hissa hai clones ko hatana, flooders aor mass advertisers (spammers) ko rokna aur disconnect karke reconnect karna servers ko taaki koi bhi lag ya netsplits na rahe (netsplits ke baare mein adhik jaankari yaha milegi http://docs.dal.net/docs/netsplitshi.html ). Ek IRCop apni marzi se kisi ki madat karkar bhi samay gujar sakta hai. Udharan ke taur par sabse mool karan IRCop se madat maangna matlab ki aap apna password bhul gaye hain. Dhyaan rahe ki waise toh IRCop ko madat karna users ki jaroori nahi hai par DALnet administration dwara yeh manya aur protsahit hain. Ek server administrator samay samay par apne opers se users ki madat karne ke liye kuch samay nikalne ko keh sakte hain apne opers ko, par yeh hamesha jaroori nahi hain. IRCop madat ke liye mana nahi kar sakte hain nizi karno se. Dhyaan rahe ki woh hamesha kuch na kuch server ya network se sambhandit karya mein vyast hote hain ya fir nizi zindagi mein. 3 * Ek IRCop kya *nahi* karta? ------------------------------ IRCops apni mann marzi nahi kar sakte. Unhe chunna jaata hai logon ki madat karne aur server aadi network ko sahi banaye rakhne ke liye. Is ke chalte une rules ka paalan karna aavashak hota hai aur zimmedari se rehna padta hai. IRCops nickname chura ya drop nahi kar sakte apne maze ke liye. Sab kuch log kiya jaata hai aur agar woh kuch bhi galat kriya karte paaye gaye, toh action ke shikar ho sakte hain. Iska yeh matlab nahi ki IRCop spammers, cloners, Services abusers aor anya troublemakers ko thikane na lagayein. Bhram hai kuch logon ke mann mein ki woh dusro ke private message bhi pad sakte hain, par yeh galatfaymi ke alawa aur kuch nahi. DALnet par aisa mumkin nahi hai, dusre networks par ho sakta hain. Iska arth yeh hai ki IRCop koi nickname ya channel ko drop nahi kar sakte joh expire hone ki kagaar par hai. Services outages ke dauraan, aapko apne channel mein op karna unke liye hamesha aasan baat nahi hogi kunki aap hi ho iska bharosa services ke na rehne par mushkil hain. Agar cloning ya flooding ki samasya hai toh aap unse madat jaroor le sakte hain. Yeh baat dimag mein ache se daal lein ki channels ko chalane ki taakat aur jimmedari us channel ke ops ki hoti hai, aur ismein IRCop kuch bhi nahi kar sakte. Channel ops apne hisab se apna channel chala sakte hain, agar aapko kisiki koi baat theek na lagti ho toh dusra channel dhundle, bahut saare mil jayenge. IRCops ko bhi channels ki samasyaon ka samadhaan dhunde le liye bichmein nahi padenge. Agar aapko kisi bhi op ki shikayat karni ho toh us channel ke founder se baat karein. DALnet ke rules ke khilaf agar koi kaam us channel dwara hota hai, toh IRCop us par karwayi karenge. 4 * Opering kaise kaam karti hai? --------------------------------- Ek O:line (capital 'O') ka matlab hai "global operator" . Ek "local operator" ki access ko o:line kehte hain (lower-case 'o'). Takniki shabdon mein, O:line ek line hai code ki joh IRC server ki configuration file mein hoti hai(jisse IRCd bhi kehte hain). O:line ek IRCop ki jaankaari jaise ki host, nickname aur password se bana hota hai. Woh yeh bhi batata hai ki kis level ke command ek IRCop chala payega aur use kaunse flags diye gaye hain jab woh /oper command istemaal karega. Adhik jaankari ke liye niche dekhein http://docs.dal.net/docs/modeshi.html . Jab koi server administrator kisi ko IRCop banane ke liye chunta hai, toh woh unke liye O:line add karte hain configuration file mein. Yeh karne ke baad, /oper command ke istemaal se woh IRCop us server par ban sakte hain. Us IRCop ko hamesha ussi server ko connect karna padega oper banane ke liye jis par unka O:line add kiya gaya hai, warna woh /oper nahi kar payenge. Isliye, ek IRCop hamesha ek server se hi juda rehta hai jisse (aksar bola jaata hai "primary" ). Haala ki, woh dusre servers par bhi /oper kar sakte hain, jise aksar kaha jaata hai "backups" . 5 * IRCops ke bhinn prakar kya hain? ------------------------------------ Alag IRCops ke paas alag power hoti hain. Unki alag alag shreni hoti hai aur alag access hoti hai commands ke liye. Aam taur par, ek category joh jo niche se upar jaati hai, uske paas niche wali category commands chalane ke access bhi hote hain (sivay server admins wale). Jaise jaise category upar ki taraf badti hai, unki jimmedarian bhi badti chali chalti hain. Yeh aap ko ek andaaz dega hum baat karne ko koshi kar rahe hain yahan. 5.1 * Local Operator -------------------- Ek local IRCop ki jaankari aapko tab dikhegi jab woh oper ussi server par hain jispar aap bhi connected ho. Unke paas k:lines set karne ki access hoti hai (local server bans), apne server ko network se wapas jodne ki, users ko disconnect karane ki apne server se, kaunse users +i set hain aur kuch anya seemit shamtayen. Aam taur par, local opers sirf ussi server par yeh sab kar sakte hai jis par woh oper hai, naa ki baaki ke network par. 5.2 * Global Operator --------------------- Ek global IRCop hamesha oper ki tarah ki dikhta hai, fir chahe woh koi bhi server par kyun na ho. Woh users ko network se disconnect karne ki shamta rakhte hain, aur ChanServ access lists (aop/sop/count) dekhne ki, ityadi. Global opers poore network ko prabhavit kar sakte hain apni actions se joh local opers nahi kar paate. 5.3 * Services Administator --------------------------- Services Administator ko kabhi kabhi SA bhi bola jaata hai (user mode +a). Woh network-wide bans karna, masskick karna channels mein, NickServ access lists dekhna, channel modes badalna jab ko bhi op na ho, ityadi yeh sabh kar sakte hain. 5.4 * Server Administrator -------------------------- Server Administrator matlab (user mode +A) joh ek administrator hota hai DALnet server ka. Unki mukh jimmedari hoti hai unke opers ki aur server theek se dekh rekh ki. Agar woh chahein toh assistant server administrator bhi rakh sakte hain. 5.5 * Channel Services Operator ------------------------------- Channel Services Operators ko jyadatar CSops bhi kaha jaata hai. Woh password khojna and bhejna, nickname freeze karna, channel freeze karna, channel ko band kardena, ityadi kar sakte hain. Aksar passwords se judi madat karte payenge aap inhe, isliye se sabse jyada pooche jaane waale oper hote hain. Aam taur par dekhne par pata nahi laga payenge aap, ki kaun CSOp hai aur kaun nahi. CSops ki soochi le liye yeh karein. "/motd services.*" . 5.6 * Services Root Administrator --------------------------------- DALnet par kuch SRA's hai jinko Services ke taeh tak ki access hoti hai. Kuch Services coders hain, kuch Administrative Oversight Board (Executive Board ke naam se jaana jaata tha pehle) ke member hai, ityaadi. Yehi log hain joh, Services ko maintain rakhte hai aur agar koi bugs milein toh usse theek karte hain. IRCops bhi inse salah lete hain. 6 * DALnet par kaun kaunsi alag teams hain? ------------------------------------------- DALnet par kaafi saari teams hain. Saare ki saari opers se bhari nahi hai, par jyada karke opers wali hain. Sabka koi na koi udesh hai, jaise ki mass advertising ko track karna, mailing lists manage karna, webpages ko maintain karna, ityadi. Kuch aisi bhi teams hai joh kisi teams ka hissa hain aur sub-teams kehlaati hain. Udharan ke taur par, MassAds team ek sub-team hain K-Line ki. Ek poori soochi teams ki aur unke members ki yahan dekhein http://www.dal.net/admin/teams.php3 . 6.1 * Main K-Line ----------------- K-line Main team DALnet ki sabse badi team hai joh network bans se sambhit karya karne ke liye jaani jaati hai. Woh, ISP's ke saath baatchit karna, sambhandit jagahon se kitna abuse aarah hai dekhna aur pratikriya karna, ityadi ke liye jaani jaati hain. Main K-Line's subteams mein yeh sab aati hai: Clones, MassAds, Closers, CyberCafe, Exploits, Open Proxy/Wingate and Services Abuse. Please visit http://kline.dal.net/ for further information. 6.2 * Help Committee -------------------- Help Committee bhi ek main team aur sub-teams se bani hui hai, jiska mool roop se udesh DALnet ke users ko madat dena hai. Mukh roopse help channels se sambhandit, unke apporvals dena ya naye sujhaav par gaur karna, ityadi hain. Uski subteams hain: User Documentation, Events, HelpDesk and WebTeam. Jyada jaankari ke liye http://help.dal.net/ yahan dekhein. 6.3 * Postmaster ---------------- Postmasters hote hain mailing lists ke managers aur opers ke email aliases ko dekh-rekh aur sambhalne waale. Unki subteam hai, moderators joh mailing lists par dhyaan rakhti hai taaki saaf sutri vartalap hoti rahe wahan par. 6.4 * Independent Groups and Teams ---------------------------------- Kuch independent Groups aur Team bhi hai joh kisi team ka hissa nahi hain. Woh hain Web Team, Coders, Security Team, Routing Team, Oper Training Team, Services Root Administrators, Administrative Oversight Board, etc. 7 * IRC Operator kaise ban sakte hain? -------------------------------------- Aap IRCop ke pad ke liye aavedan pesh nahi kar sate. Yeh, Server Administrators dwara di jaati hain jinhe woh kaafi saalon tak jaante hain IRC, ya fir real life dwara. Isliye, agar IRCop banana aapka udesh hai koh nirash mat hona. IRCop banana ek job hai naaki koi status symbol. Aapko yeh isliye diya jaata hai taaki aap network par madat kar sakein users ki. Agar aap logon ko kill karne mein ruchi rakhte hain ya cool dikhna chahte hain toh yeh pad aapke liye bilkul bhi nahi hain. 7.1 * General Information ------------------------- Aasan sa sawal iska yeh hai ki aap agar kisi se yeh maang karte hain ki woh aapko IRCop bana dein, toh aap ke IRCop banane ke chance aur bhi kamm ho jaate hain, Yeh cheez maangi nahi jaati balki kamayi jaati hain. Isliye dhyaan rahe ki agar aap IRCop banana chahte hain toh ya toh koi server link karein DALnet ke saath jo aasan nahi hota sab ke liye ya fir intezaar karein kisike dwaara pooche jaane ke liye. IRCop banane ke baad aapko kaafi kaam karna padta hai joh aapko shayad pasand bhi na aaye. Yeh aapka real life kuch ghaante kamm bhi kar sakte hai, jahan aap pehle enjoy kiya karte the abh aap aapko yehi samay network ke liye dena padega. Dhyaan rahe aap koi masiha nahi ban jayenge IRCop banane ke baad aur nahi kanoon ko haath mein lene waale koi hero. Isliye aapne aap se poochne mein kya chahtu hun. Hamari yeh sujhaav hai ki aap koi official ya unofficial help channel mein madat karein. Isse aapko mann ki shaanti bhi milegi aur sookun bhi. 7.2 * Sachayi ------------- Pehle dino mein, kuch asie channels the jahan kaafi IRCop raha karte the. Isse dekh kaafi log wahan par jaane lage, aur maauka prast bankar IRCop banane lage bina koi technical skills ke. Jaise hi dheere dheere logon ko yeh pata chala, tabse IRCop banana mooshkil ho gaya. #DALnetHelp, #Help, #mIRC, aur ityadi help channels, hamesha aise logon ko dhundti rehte hain jinki niyat sahi hai aur dusron ki madat karna chahte hain bina O:line paaye. Aap apna kaafi samay logon ke wahi sawalon ka baar baar uttar dete hui nikalenge. Aapse yeh apeksha nahi hogi ki aap sab visheyon ke maahir hon, par keval unhe sahi disha dikhana aapka farz hai. Aap users ko yeh nahi keh sakte ki woh kahi aur jaake poochein. Kahi aur jaana matlab, IRCop ke paas jaana. IRCop channel ke ban/kick ke maamlon mein dakhal nahi dete, isliye aapko yeh pata ho ki yeh soojhav sahi nahi hoga, balki yeh batayein ki channel operators se hi unhe baat karni hoi unban ke liye. Kaafi samay aapko alag alag naam diye jayenge, tang kiya jayega, aapka shell account hack karne ki koshish bhi ki jaayegi, ya fir malbombs aayegein aapko. Aapko bina chidhe aur gussa hue apna kaam karte rehna hoga. 7.3 * Soojhaav -------------- * Agar, yeh sabke baad bhi aap IRCop banana chahte hain, toh yeh padhein. * 1.- Alag alag IRC clients ko jaane. Sirf mIRC nahi, balki dusre clients kaise kaam karte hai aur unhe kaise chalaya jaata hain. 2.- Services ko kaise chalana hai, yeh bhi achi tarah seekh lein. Unke command syntax - ChanServ, NickServ, MemoServ ko achi tarah seekhein. Hum bhagyashaali hai ki jhumare paas aise achi services hain, isliye hum iska acha istemaal karein. 3.- User modes, channel modes, masks (nick!user@host) bahut hi mahatvapooran hai, inhe achi tarah jaanlein. 4.- Users ko achi madat dein, fir chahe koi IRCop aapko dekhe ya nahi dekhe. 5.- Aap agar IRCop banana chahte hain, toh mehnat karein. Sirf status ke liye banana chahte hain toh, yeh dikh kar aajayega aaj na kal. 6.- Hamesha courteous, kind aur maanavtayi rahein. Interpersonal skills ek IRCop banane ke liye kaafi jaroori hain, in par gaur karein. 7.- Koshish karein ko na koi recommended help channels mein madat karne ki. Aap turant op ya pehchane toh nahi jayenge par jaroor prashansa paayege. 8.- Basic raw IRC commands ko jaane. Dhyaan rahe: Har ek joh yeh sab karta hai, IRC Operator banane ke liye poocha jayega aisa bilkul nahi hai. Agar aap IRC op nahi bante ko nirash na hoyein. 7.4 * Bilkiul bhi na karein. ---------------------------- * Yeh cheezein na karein agar IRCop banana chahte hain * 1.- Anek anek server aur help channels mein idle karna, aapna wajood dikhane ke liye ya O:line paane ke liye. 2.- IRCops aur server admins ko tang karna O:line paane ke liye. 3.- Users ko madat karna kisi bhi Admin ki nazar mein aane ke liye. Madat karein madat karne ke liye. 4.- Oper banane ke liye mang karna, yeh aapko bhikari banata hai sirf. Yeh kuch soojhav the joh aapko sahayta karenge. 7.5 * Anya links ---------------- Anya vishes jaankari IRC Operator banane ke liye, yahan prapt karein http://help.dal.net/dnh/oper.php . Aur bhi jaankari prapt karein Internet par padhkar. Yaad rakhein har network DALnet ki tarah nahi hai. 8 * Shikayat kaise karein kisi bhi IRCop ki? -------------------------------------------- Humne abh IRCop ko dhunde ka tarika badal diya hai (yeh karein "/Whois opername" ). Ya fir DALnet ki website par dekhein. Koi bhi shikayat karne ke liye, us IRCop ke server administrator se baat karein. Server administrators ki soochi http://www.dal.net/servers/ yahan par milegi. Aap ko DALnet ke saari teams aur unke staff ke baare mein yahan pata chal sakega http://www.dal.net/admin/teams.php3 yeh jyadatar IRCop ki soochi dega, par poori nahi. Aap server admin se baat karne ke liye *admin-nick@dal.net* par likhein. Agar admin nickname hai "whatever" toh fir unka email hoga whatever@dal.net. Agar koi admin ke baare mein shikayat karni ho toh, AOB ko likhein aob at dal.net . Aakhri rasta hai, abuse at dal.net jahan par par email bhejkar samasya batayein. Complaint likhte samein, polite rahein, samasya ko achi tarah darshayein aur visthaar mein samjhayein. Agar, aap samadhaan chahte hain, toh dusro par ilzaam na lagayein. DALnet aisi shikayaton ko bahut gambhirta se leti hain. Isliye bahut sabhal kar likhein aur sambhal kar apni baat rakhein. Hamesha, aap sirf complaints hi *nahi* bhejein Server Administrator ke paas. Kabhi kabhi IRCop(s) ki prashansa bhi karein agar aapko woh kuch acha kaam karte hue dikhein. ;) ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)