Managing Annoyances on IRC

Version 1.2.0


Akhri mein anoovad kiya gaya Rythm () se tarikh 2004-11-11

Akhri mein likhwaya gaya Documentation Team () se tarikh 2017-11-03

Asal mein likhwaya gaya Kzoo () or LadyDana () se tarikh 2001-01-24

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Mulakat

Koi bhi jo apna waqt IRC pe gujarta hai use dusre users ki taraf se parishani zhelni padati hai, jo user dusre ke taraf Prasannata aur namrata puravak bertav karne mein yakin nahi karta. Is Dastavez ka yahi lakshya hai Dusre users ki taraf se anewali pareshani pe pabandi lagana, Jiske wajah se woh apke ko pareshan na kar sake. Dhyan mein rakhiya apke hato mein aise bahut sare commands hai jo kafi asardar sabit ho sakte hai. Aise aur bhi chize hai jinke sahare apko madat mil sakti hai in behisab users ki taraf se. Puri ki puri nahi par thodisi, Pareshaniya Ap IRcop khabar kar sakte hai.

Kripaya kuch dusre datstavez pe bhi najar dale http://docs.dal.net/docs/findoper.html IRc operator ko sampark (Contact) kane ke liye. Is Dastavezo mein Niche Diye huwe vishayo ( Topic ) ke bare mein jankari uplabdh hai.

Suchi

1 · Command Jo Apke Hatho mein hai jise ap istemal kar sakte hai.

Dalnet pe kai logo ke pass do shaktishali commands hai. Sabse pehle hai woh mIRC istemal karne wale logo ke liye, Jo hai

/ignore nick 3.

agar ap kisi user ki taraf se ap koi sandesh (message) nahi pana chahte , to ap yeh typege

/ignore HotChique 3.

Yeh command apko ek vishisht user@host ignore karne mein madat karegi, Koi baat nahi is waqt woh kon sa nick use kar rahe ho.Yeh kuch apasi ( Private ) ban ki taraha hai. Jab tak user apna hostmask nahi change karta tab tak woh apko sata nahi payega. Ap Yeh Command bhi istemal kar sakte hai /ignore mIRC ke kai dusre tarike hai . App #mIRC mein puch sakte hai ya type /help ignore apke status screen mein.

Ignore remove karne ke liye command hai,

/ignore -r nick.

Yeh /ignore command waise ki waise hi rahegi jab tak use mIRC Client ki taraf se nikala nahi jata.

Usi tarah dusri command hai /silence,Woh kuch parameters se followed ki gayi hai. Pehli wali jo hai woh bahut vishishta hai aur jo last hai woh bade tarike se pareshan karne wale users ke sath bahut sare users ko affect kar sakti hai. App Pareshan Karnewale user(annoying user) ka user@host yeh type karke dhund sakte hai:

/whois nick

Jaise ki , Agar HotChique apko pareshan kar rahi hai aur apko yeh /silence command istelaml karna chahte haim To ap pehle yeh typege:

/whois HotChique

Aap kuch is taraha ka kuch dekh Payenge :

HotChique is ~doogs@modem03.spamcity.com * Hot
HotChique is on twisted.ma.us.dal.net
End of /WHOIS list.

Yeh jankari kai tariko se istelmal ki ja sakti hai, Apki jarurat ke anusar /silence. Jaise niche ullekh kiya gaya hai aur kis tarah ap istelmal karna chate hai yeh bhi likha gaya hai

/silence +HotChique!~doogs@modem03.spamcity.com silences woh sab nick jo nickname HotChique ke address ko match karte hai ~doogs@modem03.spamcity.com.

/silence +*!*@modem03.spamcity.com silences woh sabhi nick ke liye jo is address se hai.

/silence +*!*spamcity.com silences woh sabhi log jo is ISP se ho.

Jab +/- reh gaya ho to, + yeh assume kiya jata hai .

Silence is tarah nikala ja sakta hai

/silence -JO bhi pehle parameter set kiye gaye ho.

Iska matlab . agar *!*@modem03.spamcity.com This means, if the parameter was *!*@modem03.spamcity.com, you would type:

/silence -*!*@modem03.spamcity.com

Just /silence type karne se ap apki silence setting dekh sakhte hai. Is tarah app dekh sakte hai ki kya parameters set kiya gaye the. App Parameter nikalne ke liye ya adjust karne ke liye cut and paste kar sakte hai

Yeh /silence IRCD ke kaam ka hissa hai , isilye jab app DALnet se logoff karte hai, Woh sabhi setting jo /silence se talluqat rakhti hai woh nikal di jati hai. Ahri mein, Kuch aur vistar purvak jankari is feature ke bare mein idher mil sakti hai: http://docs.dal.net/docs/misc.html.

Jaise ki /ignore aur /silence usi tarike se host ka istemal karte hai jis taraha channel bans kiye jate hai, Ap ek najar idher dekh sakte hai ban ke marga darshika ke liye: http://docs.dal.net/docs/banguide.html ki user ke address( User host aur user mask ke nam se bhi jane jate hai) kaise kam karte hai.

Yeh command apki surksha ki peheli line hai IRC mein parishan karne walo ke khilaf.

2 · any /ignore paitarn

irch mein jaaduee /ignore kamaand ka upayog karane ke kaee tareeke hain nimnalikhit vibhinn anadekhee sanyogon kee ek soochee hai aur ve kya kavar karate hain.

/ignore HotChique

yah paitarn *keval* HotChique ke nik ko anadekha karega, bhale hee kya aaeepee / host vah upayog kar raha hai: HotChique!*@*

/ignore HotChique 2

is paitarn HotChique ke poorn mejabaan kee anadekhee karega, chaahe vah kya prachalit naam ka upayog kar raha hai: *!*@31.203.9.51

/ignore HotChique 3

yah paitarn ek vishesh *usair@host.* kee anadekhee karega, chaahe ve jo samay par upayog karate hain, ve koee bhee baat nahin: *!*doogs@31.203.9.*

/ignore HotChique 4

yah paitarn ek vishesh *!*@host.* ko anadekha kar dega, koee bhee baat nahin hai jo us samay upayogakarta ka upayog karate hain: *!*@31.203.9.*

/ignore HotChique 5

yah paitarn ek vishesh nik! upayogakarta@host ko anadekha karega, tab aap aisa kuchh dekhenge jo dikhata hai: HotChique! doogs@31.203.9.51

/ignore HotChique 6

yah paitarn ek vishesh nik kee anadekhee karega!*upayogakarta@host, to aap aisa kuchh dekhenge jo dikhata hai: HotChique!*doogs@31.203.9.51

/ignore HotChique 7

yah paitarn ek vishesh nik kee anadekhee karega! @ @ mejabaan, to aap kuchh aisa dikhenge jo dikhata hai: HotChique!*@31.203.9.51

/ignore HotChique 8

yah paitarn ek vishesh nik kee anadekhee karega : nick!*user@host.*, tab aap aisa kuchh dekhenge jo dikhata hai: HotChique!*doogs@31.203.9.*

/ignore HotChique 9

yah paitarn ek vishesh nick!*@host.* ko anadekha karega, tab aap aisa kuchh dekhenge jo dikhata hai: HotChique!*@31.203.9.*

/ignore HotChique 10

yah paitarn kisee vishesh *!*usair@host ko anadekha kar dega, koee baat nahin jo ve samay par upayog hone vaalee hotee hain: *!doogs@31.203.9.51

3 · Spam ke bare mein jankari

Spam ya Bina chahe huwe advertisements , Apke IRC time ko tang karne wali cheeje hai. Spam kai tariko mein hote hai jaise ki Website advertisement , channel advertisement ya kisi script ki advertisement. Kai User is bat ki bilkul fikar nahi karte.

Agar apko koi har bar spam kar raha ho to sabse pehla kaam apka woh hoga /ignore ya /silence command. App yeh kisi bhi tarike se istemal kar sakte hai narrowly ya broadly. sirf yeh bat dhyan mein rakhiya agar appne ne bahut broadly istemal kiya to app similar user@host walo ki taraf se message receive nahi kar sakte.

Kai User spam ke bare mein IRC operator ko khabar dena chahte hai. Agar IRC Operator ko Waqt hoga to woh channel mein ajayega jidher spamming chalu hai aur usko woh sambhal lenge.Sirf IRC Operator ko yeh batana ki koi muze spamming message bar bar bhej raha hai . Yeh tarika jyada kam nahi karega jab tak IRC operator khud message nah dekh le. Kyonki zuthe Spamming message tayar karna koi mushkil bat nahi hai. Yeh baat bahut jaruri hai ki IRC Operator khud woh cheej ko deke.

Udher hamesh bahut sari channel ki advertising aur inviting rahegi. Yeh bhi DALnet ke niyamo ki khilaf hai. DALnet unke khilaf jarur kadam uthayega jo invite karte hai, Jo spam ka dusra roop hai. Yeh bhi ho sakta hai ki usi channel ke staff member ke khilaf action li gayi ho jo inviting kar raha ho.

Kuch bar spammer channel mein nah rehkar bhi channel mein anewale har ek ko message bhejege isiko Relay Spamming kehete hai.Yeh kuch is taraha kam karta hai , Channel mein ek bot rakha jata hai so bahar wale spamming bot ko har ek channel mein ane wale nick ki jankari bhejta hai aur spamming bot usee message karta hai.Kai bar dono bot ek hi ip ke hote hai. DALnet ki IRcd apko is tarah ke vishishta address dhundane ki suwidha deta hai. Adhik jankari ke liye ki yeh kaise kam karta hai Dekhiye : http://docs.dal.net/docs/misc.html#5.10 for details on how to do this.

Agar ap kisi ek channel ke spam ko dekhke pareshan ho gaye hai , To us spam ki copy sambhal ke rakhiye. App use cut aur paste kar ke notepad ya kisi dusre jagah pe jidher ap chahe udher save kijiye. Apke mouse ka right button pakad kar rakhiye aur woh message ko select kijiye. uske bat left-click karke copy kijiye jidher apko save karna hai udher apka cursur leke jayiye, fir se lift-click kijiye , aur paste kijiye. Agar ap mIRC istemal kar rahe ho to sirf message ko highlight kijiye so sidha apne ap message copy karega. aur ap sidhe notemad mein paste kar sakte hai.

Kuch log sab cheeje log karte hai. Log karna matlab woh har cheeze ka record rakhne jo channel mein ho gayi hai ya kiske ke sath baat karte waqt. Kai Client jaise ki mIRC aur Pirch mein yeh pehle se suwidha hoti hai har cheez ka log rakhne ki. agar apane spam window band ki hai (agar woh message kuch is tarah ho to /msg ) ap abhi bhi spam message dhund sakte hai apke logs mein. Is feature ko kaise activate kare yeh janane ke liye Yeh #mIRC or #pIRCh channel join kijiye. Agar ap in dono client ko chodke koi dusra client use kar raha ho to apne client ko support karne wale channel mein koshish kijiye. Kuch bar apko khud us client ke bananewale ko email karna padega.

Spamming ke bare mein massads team ko khabar karna Sabse jyada asardar rasta hai. Virii ke parinam se jo website par likhe huwe email addresses scan karta hai, Massads team sirf online report swikar karte hai. App yeh report is form ko bhar kar bhej sakte hai http://www.dal.net/admin/contactmassad.php3. Usmein logs aur spammer / advertiser/ inviter/ ka /whois dalna mat bhuliyega

Appki Jankari Kuch is tarah dikhegi:

Time: 11:28 AM
Timezone: US Eastern Standard
Date: May 13, 2000

Join #TeenPleasurePalace and you will get ops!

HotChique is ~doogs@modem03.spamcity.com * Hot
HotChique is on twisted.ma.us.dal.net
End of /WHOIS list.

Explaination ( Adhik Jankari) : Ek ops kisi channel mein spam kar raha tha ... here is his /whois. It matches the spammer's host.

BullyOp is ~op@modem03.spamcity.com * Hmm
BullyOp is on @#TeenPleasurePalace
BullyOp is on avana.ga.us.dal.net
End of /WHOIS list.

Yeh information se kya hoga ? Ise pehle MassAds Team Sadyasa se assign kiya jayega.Bad mein yeh person ki tehkikat hogi ki woh ops list mein se hai ya founder hai jis channel ki advertisement ho rahi hai. Agar yeh bat pata chali to kaam aur bhi asan ho jayega. Agar spammer sahi mein channel ka op hai , to woh channel ke khilaf kuch action li ja sakti hai. Agar kisi channel se spamming hamesh chal rahi hai , to woh close be ho sakta hai.

Agar spam kisi script ki advertisement kar raha ho to, woh script ko DALnet ki taraf se rokh lagaya ja sakta hai.

Agar spamming kisi website or kisi dusre cheeje ke bare mein ki ja rahi hai , to woh admi ka ISP kuch der ke liye DALnet se nikal diyajayega. Bar bar Advertisemnt ISP ko hamesh ke liye DALnet se nikal diya jayega. Aur ISp ko is bare mein khabar kar di jayegi aur aur jo host advertisement kar raha tha uske bare mein bhi khabar di jayegi. Bahut bar ISP walo ko yeh bat acchi nahi lagegi ki unki suwidha koi apne website advertisement ke liye istelmal kar raha ho.

Saransh (Summery) : Yeh ek accha tarika hai ki pareshan karne wale user ko /ignore ya /silence kar diya jaye. Agar app chahte hai ki IRC operator is bare mein kuch kare , To unhe batiye ki spamming ho rahi hai. Kai IRC Operator Second Hand Spam ke sath apki madat nahi kar payenge . Par apka sabse achha Bachav hoga ki Spammer ka /whois kijiye, Aur woh sab jankari form mein yaha http://www.dal.net/admin/contactmassad.php3 De dijiye. Apko is turant jawab to nahi milegi par DALnet Massads team ko janch karne ki aur uspe action lene ki sandhi jarur milegi.

DALnet ki Advertising Policy pe adhik jankari ke liye, Kripaya yaha dekhiye http://kline.dal.net/massads/mup.htm.

4 · Vyaktit Suraksha Aur Julm (Harassment)

Kuch Bure Users ko dusre ke ke uper julm karna aur unke sath bura bartaw karna pasand hota hai,Taki unko darakar unse Vyaktit Jankari nikal sake. Sabse pehle bat apko dhyan mein rakhni chahiye ki IRC pe kisi ko bhi apni Vyaktit Jankari (Personal Information) Na de, Jab tak app usko jan na le aur uspe puri tarah vishwas na kar le . Apne Vyaktit jankari ( Personal Information ) IRC pe dena apke liye bahut asurkshit hai aur uske parinam se kuch buri bate ho sakti hai. Jin logo ne apni Personal Information ( Vyaktit Jankari) De di unke bare mein khabre puri kahani ke sath uplabdh hai. Yeh sthiti kuch commanplace nahi hai jaise ki woh dikhti hai, Ya aise bhi nahi hai ke woh kabhi kabhi dekhi jati hai. DALnet kisi bhi prakar ki janakari ki Jimmedari nahi leta , Jo do users ke bich mein adan pradan ho rahi ho. Appko apni khud ki acchi Kalpana (Judgement )se kaam lena hoga. Dhyan mein Rakhiye , Apki Suraksha yeh Apki Jimmedari hai.

Ap apni Vyaktit JAnkari ( Personal Information) Kisi aise computer par mat rakhiye jiska koi dusra bhi istelmal karta ho. Dusre logo ko yeh bilkul mat batyi ga ki App kon se Shehar mein rehte hai , App kon si School mein jate ho, App School mein kya karte ho Agar app kisiko IRC pe bahut dino se pehchanate hai aur uspe pura vishwas rakhte hai to yeh ap par jata hai ki app use share karna chahate hai ya nahi.

Aise bahut se channel hai jo apke computer ki surksha mein apki sahayatage. Kripaya Apna thoda waqt yaha bitaye aur jankari ke liye #NoHack or #Windows95.Yeh Channel Windows ke Sabhi pareshaniyo se nipatate hai aur yeh Samnya Takniki madat bhi karta hai.

Agar app kisi user se pareshan hai , TO app us waqt ke sabhi activity ke log sambhal kar rakhiye. Aur appko us user ka /whois nikal kar sambhal kar rakhna chahiye. Users ko Pareshan karna Bahut sare Internet Provider ke Acceptable policy ke khilaf hai. Jab apke pass sab jankari ho to , use abuse@their.isp pe bhej de. If you are being stalked or harassed by a user, you should keep logs of this activity. You also need to know the /whois of the user. Stalking and harassing is against the Acceptable Use Policy of most Example: Agar ap kisi user ke julm se pareshan hai aur uska usermask kuch aisa hai nasty@PP22.supernet.net .To app apna mail Timestamp ke sath aur apke time zone ke sath idher emailge abuse@supernet.net.

IRCop ke liye yeh mushkil bat hai ki woh harrasment ( jUlm) hote waqt bich mein aye. Kyonki Zuth logs banana bahut asan kaam hai. Kuch IRCop Pareshan karne wale user ke sath discuss kar na pasand karte hai.But samanya Niyamo ke anusar Harrasment ke bare mein kaam karna user ke uper depend hota hai.Apka sabse accha upay hoga us Harrasment ke log record karke rakhiye. Agar Yeh sirf pareshani hai to yeh command /ignore aur /silence use kijiye.

5 · "Nukes" Aur dusre Denial of Service Attacks

Kai users ko lagta hai ki Yeh cheeje IRC ki wajah se hoti hai jahan yeh sab cheeje DALnet Server ke bahari taraf se ki jai hai. DALnet iski liye jimmedar nahi ho sakta. Yeh user ki khudki jimmedari hai ki woh is tarah ke bahari attack se khudki suraksha kare aur Nuker ke bare mein jaruri jankari aur software le le. IRCop nuker ke uper track nahi kar sakti kyonki zuth logs badi asani se banaye ja sakte hai.

Adhik Jankari ke liye ki US aur Canadian Sarkar Denial of Service Attacks ke bare mein kya kehte hai yeh janane ke liye , Kripaya yahi jayiye http://m.dal.net/#NoHack.

Kisi users ko firewall Istemal karna accha lagta hai jo har woh buri cheeze ko apke computer tak ane se rokta hai. EK shareware programe hai jo apka yahi mil sakta hai http://www.zonelabs.com. pe kharidi ja sakti hai. Aise aur bhi bahut se firewall hai Jo Web Khoj (search) pe mil sakte hai, Apne aju baju mein puchiye ki bahut se log kya istemal karte hai

Woh sabhi Dos attacks par ki jankari yaha http://www.denialinfo.com mil sakti hai http://www.denialinfo.com.

6 · Clones aur Flooding

Flooding yeh bar bar usi shabdo ko badi gati se istemal karna hai, Symbols, Ctcp commands ya dusre koi command jo user ko Disconnect hone par majbur kar ta hai. Isiko Flooding bolte hai. Yeh pareshan hi nahi karta balki DALNet Server ke kamkaj mein badha bhi lata hai

Clones yeh bahut sare connections ka ikkatha rup hota hai jise DALnet se joda jata hai, is liye bahut sare software istemal kiye jate hai. Clones bahut bar flooding karne ka ek yantra yeh rup mein bhi istemal kiya jata hai.

Flooding aur Cloning ke case turant IRC Operator ko batane chahiye kyonki woh DALnet server ke kaam kaj mein badh dalte hai. App IRC Operator ko Dhund ke use yeh bare mein aur woh konse channel mein ho raha hai iske bare mein bhi batana chahiye. DALnet operations. RC Operator channel mein ake clones aur flooders ko sambhal lege.

AGar app usi channel ke Op hai to app yeh command /mode #channel +R ( JO sirf Panjikrit ( Registered ) aur Pehchana ( Identified ) nick ko hi channel join karne deta hai) istemal karke clones pe rokh lagata hai, Randomely istemal honewale nick waise registered nahi hote. App channel ko Morderate bhi kar sakti hai is command /mode #channel +ml 2 (Jo channel ko morderate karke sirf Op Or Voice ko dikha sakega aur limit 2 jo clones ke channel joining pe rokh laga dega) App ko fir Cloner/flooder pe jaruri jankari pane ke liye waqt milega .

Kai channel MloCk'D hote hai jisase apko unko istemal nahi kar sakte. Aise waqt mein, Yahi achha hoga ki app channel ke founder ke sath baat kare aur use Mlock badalane ke liye use sath bat kijiye aur use Achhi Flood Suraksha Script istemal karne ke liye puchiye. Modes aur Mode lock ke liye adhik jankari ke liye yaha dekhiye http://docs.dal.net/docs/modes.html.

Agar app Channel ke op nahi hai aur app mIRC istemal kar raha hai to app yeh command /ignore nick 2 istemal kar sakte hai, Jo appko Flooding CLones se Suraksha de bhi sakti ya nahi bhi de sakti. Agar Flooding kisi ek user se ho rahi hai to yeh command kamm kar sakti hai. Agar clones apke Private Messagw window mein aye to , Kripya yeh type kare /close -m jo sabhi query/windows band kar degi jo app istemal kar rahe ho.

7 · Virus and Other Bad Stuff

Appko kai user milent jo apko file bhejne ki koshish karege jo file sahi mein Viruses aur trojan se infected ho. Ismein se kuch file kuch aise hogi Movie.avi.pif, Pretty Park, DMSetup, Links.vbs and Aur isi taraha dusri. Yeh bhi malicious device hote hai jaise ki 'Backdoor' jo dusre ko apke computer mein ane ki ijajat dete hai. Woh jo kuch bhi ho , Woh apke computer ko kharab kar sakte hai aur woh jarurge.

Is file ke prakshepan ( Transmission ) ko rokne ke liye yahi upay hai ki app Hamesha Apna DCC get preference ignore set kijiye. Is raste se ap DCC tabhi chalu rakhenge jab apko koi file receive karni ho. Kabhi bhi koi bhi file kisi se mat lijiye ya usko run kijiye ga jis ko ap janate nahi ho.

Agar app sochate hai ki app infecte hai to turant sabhi channels band kijiye . Isase Virus Failne pe rok lagegi. Aur turant #NoHack mein jayiye. Yeh Dalnet ka channel hai jidher virus ke problem sulzhaye jate hai. Agar kisine yaha nahi jane ki than li ho to , Kripaya IRC Operator ko dhunde aur unhe yeh bat bata dijiye ki woh user kis channel se virus bhej raha hai.

DALnet ne ek Surksha pranali banayi hai jisi DCCALLOW kehte hai , Samanya rup se woh sab files block karti hai jis tarah ke file extension virus failate hai. Kai logo ko yeh baat malum nahi hoti ki woh virus bhej rahe hai. Agar ap kuch kar sakte hai to, Unse sampark sadhiye aur unhe #nohack mein le ayiye ya unke computer virus se scan kijiye. Baki DCCALLOW ki jankari yaha upalabdh hai http://docs.dal.net/docs/misc.html

Virus pe aur jyada jankari ke liye aur links ke liye , yaha miliye http://docs.dal.net/docs/exploits.html yaha apko kuch sujhav mil sakte hai jo apke liye upyogi ho sakte hai.

8 · Saransh (Summary)

/ignore Aur /silence command sikhiye aur usse istemal kijiye

Spam aur Invite ki khabre apne logs ke sath yaha dijiye http://www.dal.net/admin/contactmassad.php3

Yeh apki khud ki jimmedari hai ke ap apne vaiyaktit surksha pe dhyan de. Apni Vaiyaktit jankari kisiko mat batayiye ga, jab tak ap uspe vishwas na karle

Danial of Service (DoS) attacks se Suraksha pane ke liye Firewall aur NukeNabber ya usase mel khate program istemal kijiye jisase Nuking karne wale ke bare mein jankari mil sak sake. Nuker ke bare mein uske Internet Service Provider ke sath Sampark kijiye. Provider. Jab tak jawab nahi milta tab tak ap ISP ko khabar kijiye

Clones aur Flood ke bare mein IRC Operator ko khabar dijiye. App is tarah ki taklifo se bachne ke liye kai command istemal kar sakte hai.

Agar apke pass virus ho ya app aise kisi ko jante ho jo virus faila raha hai to , Kripaya #nohack mein jayiye ya woh Vyakti ko udher bhejiye. Virus pe pabandi lagane ke liye , Kisi se bhi Koi aisi file sweekar mat kijiye jise ap janate nahi ho.

Sab tarah ki jankari se waqif hone ke liye is dastavezo mein di huwi link ko jarur miliye use visit dijiye.