Kamray Ki Intazamaat ke Asool aur Qawaneen

Version 1.0.0


Akhri bar tarjama kia giya PaheLi per 2019-11-22

Asal main likha giya xPsycho () per 2019-11-21

Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.

Ta'aaruf

Ye dastawaiz sarfeen ko Dalnet ke kamron ki intizamaat ke tasawer ko samjhaane ke liye likhi gai hai.

Muwaad

1 · Kamron ka intizam kon sambhalta hai?

DALnet ke kamray, channel operators ki janib se munazzam kiye jatay hain. Aap aik kamray ke sarfeen ki fehrist mein batore-e-operator shanakht karwa saktay hain unke urfi'namo se pehle @prefix ka istemal kar ke.

IRC Operators aam taur par kamray ke intazamaat aur roz marrah ke moamlaat mein mudakhlat nahi kartay.Kamray ke operators kamray ka unwan aur us se mutaliq maloomat murattab kartay hain, kamray ke liye qawaneen murattab kartay hain aur uskay tarz-e-amal ke baray mein faislay kartay hain,aur is baat ka bhi faisla kartay hain ke kis ko kamray me dakhil hone ki ijazat di jaye.

2 · Kamray ke operators ko kon sambhalta hai?

Channel operators police each other as peers. Agar aik kamray ka indraaj nahi karaya gaya hai, tau kamray ke tamam ops ki hesiyat barabar hogi,aisi soorat mein koi bhi aik op ya ops ka aik garoh, kisi bhi wakt kamray mein mazeed ops ko shamil karne ya kharij karne ka faisla kar saktay hain. Agar kamrah indraaj shuda nahi hai, tab wahan kamray ka aik Baani hoga aur mukhtalif darjon ke operators honge, Jin mein Managers, SOps, aur AOps shamil hain. Kamray ke ops khud is darjabandi ka jaiza le saktay hain aur indroon-e-khana is baat ka faisla kar sakte hain ke kamray ke kon se op ko kamray konsa darja diya jaye.Kamray ka Baani naye Managers, SOps, aur AOps ko shamil ya unko kharij kar sakta hai fehrist main se; Managers SOps aur AOps ko shamil ya kharij kar saktay hain; aur SOps AOps ko shamil ya kharij kar saktay hain.

Agar aik kamra indraaj shuda hai, tau aap us ke Baani ka pata laga saktay hain is command ka istemal kar ke /chanserv INFO #channelname. Kamray ke Manager, SOp, aur AOp ki fehrist sirf kamray ke un ops ko zahir ki jaen gi jin ke paas kam az kam AOp ya is se ziada ke ikhtiaraat hasil hon ge.Kamray ke aam sarfeen is baat ka tae'yun nahi kar paen ge ke kisi kamray ke konse op ko us kamray me konsa darja ya ikhtiaraat hasil hain, han magar wo kisi bhi op se puch kar ye maloomat hasil kar saktay hain.

3 · Agar mujhe kisi kamray ke intazamaat pasand na hon?

3.1 Mujhe pasand nahi aata hai kamray me jo bhi baat cheet chal rahi hoti hai.

Kamray ke operators, aik kamray ka maqsad aur uska unwan murattab kar detay hain taa ke is baat ka faisala ho jaye ke kamray mein kis baray me baat karna munasib hoga. DALnet kamray mein ki jane wali kisi bhi qisam ki guftagu ko censor nahi karta. Kuch unwan ko ke chand afraad ke liye ghair munasib ho saktay hain zaruri nahi wo sab ke liye ghair munasib hon.Agar aapko pasand nahi aaraha kamray me jo bhi baat cheet ho rahi, tau aap kamray ke operator ko darkhuast kar saktay hain ke wo is ke baray mein aitadal pasandi se kaam le.Agar kamray ke operator phir bhi is baray mein kuch nahi kar rahay tau hum apko mashwara dain ge ke aap ko kamra chor dain aur koi aur channel dhoond lain.

3.2 Agar mujhe aisa lagay ke kisi channel operator ne mere sath ghair munsifana rawaya ikhtiar kiya hai?

Aisi soorat mein aapko chahiye ke kamray ke kisi doosre operator se baat kijye ya agar channel indraaj shuda hai tau us ke Baani se baat kijye. IRC ke Operators, kisi channel ke operators se mutaliq aise tanaziaat mein amal dakhal nahi kartay.

3.3 Agar mujhe kisi channel se ghair munsifana taur par kicked ya banned kar diya jaye?

Har channel apni marzi ke qawaneen murattab karta hai aur us kamray ke ops ke paas is baat ka ikhtiar hota hai ke wo kisi ko kick ya ban kar sakain,aur wo kisi ko bhi kisi thos waja ke sath ya phir bilawaja bhi kick aur ban kar saktay hain.

Aisi soorathaal me munasib tariqa yehi hoga ke aap us channel ke us op se bara-e-raast baat kar lain jis ne aapko kick ya ban kiya hai.Kick ke sath kiya jane wala msg aur kis ne kick kiya hai, ye ap apni status window mein opar ja kar dekh saktay hain.

Agar apko wahan pata nahi chal paa raha tau is command ke zariye bhi pata lagaya ja sakta hai /mode #channel +b Ye command aapko us kamray ki ban fehrist ko zahir karay gi. Is me apna urfi'naam dhoondain nick!user@host mask haiis ke sath hi us op ka urfi'naam bhi zahir ho jaye ga jis ne apko ban kiya.

Agarcheh kuch channels apni ban ki fehrist bhi posheeda rakhtay hain aam sarfeen se. Aisi soorat mein agar tau channel indraaj shuda hai tau aap seedha us ke Baani se raabta qayam kar saktay hain.Likhiye /chanserv INFO #channel ye aap ke liye kamray ki malumaat bashamool Baani ke naam ke, zahir kar de gi.Aap bara-e-rast Baani ko pegham bhej saktay hain agar wo online hai basoorat-e-deegar agar aapka urfi'naam indraaj shuda hai tau aap unko kisi bhi wakt memo bhej saktay hain.

IRC Operators kisi bhi kamray ke operators ke rawayion se mutaliq tanaziaat me mudakhlat nahi kartay, is me kicks aur bans ke mamlaat bhi shamil hain.