ChanServ ki Jaankaari

Version 1.3.0


Akhri mein anoovad kiya gaya sps () se tarikh 2018-02-17

Akhri mein likhwaya gaya sps () se tarikh 2018-02-17

Asal mein likhwaya gaya Mystro () se tarikh 2001-04-26

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Parichay

ChanServ ko banane ka mool roop se udesh channel takeovers ko rokhna, channel management ko automate karna, aur cheezen logon ke liye asaan banana tha. Pichle kuch saalon mein kaafi commands ChanServ ka hissa bane. Is dastaavez ke dauran aap in sabhi se rubaroo honge.

ChanServ ko aap access yeh do tariko se kar sakte hain, /chanserv or /msg chanserv@services.dal.net. Is dastavez ke liye hum, /chanserv ke aadhar par jaankari padenge, haalaki kuch IRC clients jaise ki (e.g. BitchX) support nahi karte /chanserv ko aur aapko /msg chanserv@services.dal.net istamal hi karna padega.

Suchi

1 · Channel register karne ki prakriya

Syntax: /chanserv register #channel password description

Jaankari: Yeh REGISTER command se aap apna mann pasand channel register kar sakte hain. (agar woh pehlse se registered nahi hai) sirf ek line ka command dekar. Register karte waqt user ko channel ka naam, ek password aur us channel ki koi choti si description deni hoti hai.

Dhyaan dein: Koi bhi Parinaam dauran, apna password kisi ke saath bhi share na karein. Agar aap aisa karte hain aur woh takeover hojata hai toh hum aapki sahayta nahi kar payenge. Aap apna password shurakshit rakhein, usse aasan rakhein taaki aap usse yaad rakh sakhein par itna aasan bhi nahi ki koi aur usse aaram se pata karle.

Agar aapko pata karna hai ki koi channel registered hai ya nahi, type karein /chanserv info #channel. Yaad rakhein is command to use karte waqt # symbol jaroor istamal karein.

Udharan ke taur pe: /chanserv register #mystro m3dj35 My home online.

Yeh command aap ko #mystro channel register karne dega jiska password m3dj35 hai(ek aisa password joh dusro ke liye dhundhlena mushkil hoga) aur description "My home online."

2 · Channel drop karne ki vidhi

Syntax: /chanserv drop #channel [dropcode]

Jaankari: Yeh command aapko koi bhi channel drop karne dega jiske aap founder hain. Jab aap yeh command istamal karenge toh aapko ek drop code milega joh aap ko istamal karte hue poori tarah channel drop karke de dega.

Dhyaan dein: Aapko channel drop karne se pehle identify karna hoga channel ko nahi toh aapa channel drop nahi kar payenge.

Example: /chanserv drop #mystro

Aap yeh dekhenge apni status window mein jab pehli baar channel drop karne ki koshish karenge:

-ChanServ- Dropping a channel is permanent and cannot be undone!

-ChanServ- To confirm, type: /chanserv DROP #mystro 13151683216

Uske uparant, hum yeh command type karenge /chanserv DROP #mystro 13151683216 taaki drop karne ki prakriya poori ho.

3 · Identify karna channel ko founder ke taur par

Syntax: /chanserv identify #channel password

Jaankari: Yeh command se aap founder ki recognition paate hain aur founder wale commands istemal kar sakte hain. Aap /identify #channel password aur /services identify #channel password jaise commands bhi istemaal kar sakte hain(Yeh command har client par nahi chalte).

4 · Apna password punha prapt kaise karein

Syntax: /chanserv sendpass #channel email

Jaankari: Is sendpass command se channel ka founder apne channel ka password apne us email par mangva sakta hai joh services ke saath associated hain. Yeh command aapko tab kaam aayega kab aap apna channel password bhool jaate hain. Iske liye founder ko channel kop pehle identify karna hoga joh hum upar dekh kar aayein hai.

Dhyaan dein Aap apna email address kisi permanent email id par set karein joh kaafi samay tak change nahi hoga (ISP wala na rakehin, kyunki aksar ISP change bhi hojata hai kaafi baar). Agar aapka email id change hogaya hai aur uska access aapke paas nahi raha toh password punha prapt karna na mumkin hojaata hai.

Adyatan karein: Pehle channel password directly aapke email id par aaja tha. Abh se yeh badal gaya hai. SENDPASS command abh aise kaam karega, niche padein.

1. Aapko ek email aayega authorization code ke saath jise aap istamal karenge. Iski validity 72 ghanton ki hai (3 din).

2. Jab aap yeh code ke saath authorization ki prakriya popori kar lenge, ChanServ ek naya RANDOM password banakar aapko dega jise aap istamal karke identify karein channel ko. Fir uparant iske naya password set kar lein.

5 · Managers - Add karna/Delete karna/Soochi dekhna

Syntax: /chanserv manager #channel add/del/list/wipe nick

Founders abh apne channels mein 5 manager tak add kar sakte hain. Managers ke paas almost *full* control hota hai, sivay channel founder change karne ke.


Channel managers kya kare saktein hain: 
- SOP soochi ka prabandhan (SOPs ko daalna/nikaalna)
- AOP/SOP soochi ko poora ek saath saaf karna
- Channel description ko badalna
- Masskick aur massdeop channel mein karna AOp level tak ke level ke 
- OPGUARD set karna aur setting hatana
- MLOCK set karna aur setting hatana
- IDENT set karna aur setting hatana
- KEEPTOPIC set karna aur setting hatana 
- RESTRICT set karna aur setting hatana 
- URL set karna aur setting hatana 
- VERBOSE set karna aur setting hatana
- TOPICLOCK set karna aur setting hatana (agar founder par lock nahi hai)
- LEAVEOPS set karna aur setting hatana
- PRIVATE set karna aur setting hatana
- MEMO level set karna aur setting hatana (agar founder par lock nahi hai)
- Successor ka nick dekhna ChanServ INFO mein

  
Channel managers nahi kar sakte:
- Channel ka password badalna 
- Channel ka founder badalna 
- Successor set karna aur setting hatana 
- ailblock set karna aur setting hatana 
- Managers ko soochi mein daalna ya hatana 
- UNSECURE set karna aur setting hatana (is samay yeh kaam nahi karta)
- Sendpass ka istamaal karna

6 · SOps ko add karna/nikalna/soochi dehna

Syntax: /chanserv sop #channel add/del/list/wipe [nick]

Jaankari: Yeh command se aap SuperOp add ya delete kar sakte hain. Haalaki list command AOps aur uske upar level waale istamal kar sakte hain.

Dhyaan dein: SOps ke paas kaafi mahatva pooran commands hain istemal ke liye (AOp additions aur removal, akick adittion/removal, etc...) isliye kaafi sambhal ke istemaal karein. Aap 110 se jyada SOps add na kar sakte hain. Wipe command sirf founder hi istemaal kar sakta hain.

Adyatan karein: Founder abh se MANAGER/SOP/AOP/AKICK list ka hissa nahi ban sakte.

7 · Aops ko add karna/nikalna/soochi dekhna

Syntax: /chanserv aop #channel add/del/list/wipe [nick]

Jaankari: Yeh command koi bhi SOp ya founder istemaal kar sakta hai. List wala command AOp aur uske upar waale access log istemaal kar sakte hain.

Dhyaan dein: Jyada se jyada aap 300 AOps add kar payenge. Wipe command sirf Founder hi istemal ka sakta hai.

Adyaatan karein: Founders abh Manager/SOp/AOp/AKICK list ha hissa nahi ban sakte.

8 · Akicks add karna/nikalna/soochi dekhna

Syntax: /chanserv akick #channel add/del/list/wipe [nick/host]

Jaankari: Akicks ya Auto kicks sirf SOp ya Founder dwara add ho sakte hai. Akick list wipe karni ho toh sirf Founder dwara ki jaa sakti jai. Akicks nickname ya hostname dono tariko se add kar sakte hain.

Adyaatan karein: Founders abh se MANAGER/AOP/SOP/AKICK list ka hissa nahi bann sakte.

9 · Logon ko Op ya De-op karna

Syntax: /chanserv op/deop #channel nickname

Jaankari: Yeh command bahut hi assan sa hai, joh aapko op aur deop kisi bhi nickname ko karne deta hai. Aap AOp access level hokar yeh kar sakte hain.

Dhyaan dein: Aap apne se unche access level ko deop nahi kar sakte.

10 · Mass kicking karna channel mein

Syntax: /chanserv mkick #channel

Jaankari: MKick (Mass Kick) command tab use karein jab desync ho (jyada Jaankari aapko Netsplits dastaavez mein milegi) jis case mein channel band karke wapa se reopen karna padta hai. Yeh command se poora channel khaali hojata hai, saarein kick ho jaate hain, ban ho jaate hain *!*@* (saare ke saare), +i set hojata hai (invite only) aur +l 1. Mkick ke dauran, aap apne aapko UNBAN ya INVITE nahi kar sakte. Yeh sirf takeover situation mein istemaal karein.

Dhyaan dein: Masskicks li limit ek ghante ki hoti hain, aur sirf SOP's aur Founders hi istemaal kar sakte hain. Yeh command aap tabhi istemaal kar payenge jab aapse upar wala level channel mein na ho. SOp's tabhi yeh command istemaal kar sakte hai jab founder channel mein upasthit nahi hota hain.

11 · Mass Deoping karna channel mein

Syntax: /chanserv mdeop #channel

Jaankari: MDEOP se aap poore channel ke ops ko deop kar sakte hain. Dhyaan ki baat yeh hai ki SOps hi dusre SOps ko deop kar sakte hain, AOPs ke saath saath. AOps apne level ke logon ko hi deop kar sakte hain.

12 · Channels mein options set karna

SET command ke kaafi pehlu hote hain - FOUNDER, PASSWD, DESC, MLOCK, OPGUARD, KEEPTOPIC, URL, IDENT, RESTRICT and VERBOSE. In sabhi se aap apne channel ko behtar aur surakshit banakar chala sakenge.

Dhyaan dein: Chanserv SET command ke liye jaroori hai aap channel ko identify karlein sabse pehle. (jyada jaankari niche).

12.1 Channels founder ko change kaise karein

Syntax: /chanserv set #channel founder

Jaankari: Founder arguement se aap channel ka naya founder niyukt kar sakte hain.

Dhyaan dein: Naye founder ka nickname registered hona chahiye warna yeh command kaam nahi karega.

12.2 Channel passwords change kaise kar sakte hain

Syntax: /chanserv set #channel passwd oldpassword newpassword

Jaankari: Isse aap apne channel password ko badal sakte hain. Acha hoga aap thode thode dino mein naya password set karlein taaki password pehchaana mushkil ho dusro ke liye. Jayada jaankari Security section mein prapt hohi.

Dhyaan dein: Yeh command istemaal karne se pehle aapko channel identify karna hoga.

Example: /chanserv set #mystro passwd m3dj35 m3dj36

Is command se aap channel password ko 'm3dj35' se ismein badal sakte hain 'm3dj36'

12.3 Channel description ko badalna

Syntax: /chanserv set #channel desc newdescription

Jaankari: Isse aap apne channel ki description ko badal sakte hain kabhi bhi. Uske uparant /chanserv info #channel se dekhlein badlaav theek tarah hua hai ya nahin.

Udharan: /chansev set #mystro desc Mystro's home on the web!

Is command se aap #mystro channel ko description ko 'Mystro's home on the web!' mein tabdeel kar sakte hain.

12.4 Channel modes ko badalna

Syntax: /chanserv set #channel mlock modes

Jaankari: MLOCK command ek mahatvapurn command hai joh channel ko maintain karne mein madat karta hain. Niche di hui soochi aapko sabhi modes se parichit kareyegi:

+R - Sirf registered nicknames ko channel mein aane diya jaeyga. Kaafi mahatvapurn hota hai yeh mode jab aapko clone staacks rokne hote hain, kyu jyada karke unregistered nicknames se hi yeh kiye jaati hain.

+n - No external messages. Isse channel ke bahar ke log channel mein message nahi bhej sakte.

+t - Only ops set topic. Yeh command sirf channel ke operators ko hi topic change karne ki anumati deta hai. Iske alava aur bhi ChanServ settings hai jisse aap yeh nidhaarit kar sakte hain ki sir SOps/AOps hi topic ko badal sakte hain, niche dekhein adhik jaankaro ke liye.

+s and +p - Dono command se channel invisible ho jata hai aur /list command se nahi dikhta, +s wala channel whois mein bhi nahi dikh pata, dono modes se channel mein na chaahne waale users ka pravesh seemit kiya jaa sakta hain.

+i - Yeh option channel ko dusro ki entry ke liye poori tarah band kar deta hai aur sirf ops dwara invitation par hi join kiya jaa sakta hain. (Jyada jaankari Security section mein payein).

+m - Yeh option un logon ko baat nahi karne dega channel mains per jinke paas voice(+v) ya ops (@ ) status nahi hai.

+c - Yeh option koi bhi color codes istemal nahi karne dega channel par (color, bold, underline, reverse). Clone attacks mein kaafi kaam aata hain yeh.

Modes ki jyaada jaankari ke liye niche diye hui link par visit karein. http://docs.dal.net/docs/modes.html

Dhyaan dein: Kuch options ko alag se argument dena padta hai (ie. +l ko ek number, +k ko ek password) issi prakar is order mein diye jaa sakte hain. (ie. +kl password number)

Udharan: /chanserv set #mystro mlock +ntR-s

Yeh command se aap #mystro ko +ntR-s mein set kar sakte hainm, jiska matlab sirf OPS hi topic change kar peynge, no external messages, registered nicks hi channel mein aa payenge aur secret mode set nahi ho payega.

12.5 OPGUARD on aur off set karna

Syntax: /chanserv set #channel opguard on/off

Jaankari: Jab yeh setting ka istamaal karte hain toh, sirf AOps, SOps aur Founder hi channel mein op haasil kar sakte hain. Baaki sab automatically deop ho jayenge.

12.6 KEEPTOPIC on ya off setting

Syntax: /chanserv set #channel keeptopic on/off

Jaankari: Agar koi If a channel khaali hojata hai (aakhri aadmi channel chordeta hai), ChanServ topic ko save kardeta hai agar option ON set kiya hai, taaki jab koi naya aadmi channel mein aaye toh naya topic unke dwara dikhega jab woh set karenge.

12.7 URL ko display karvana channel ki info mein

Syntax: /chanserv set #channel url [URLhere]

Jaankari: Yeh command aapko apne channel ke liye URL set karne deta hai. Aap isko /chanserv info command se dekh saktein hai set karne ke baad. Agar URL nikalna hai toh wahi command firse type karein bina URL ke.

12.8 Ops ko identify karna padega opped hone se pehle wali setting

Syntax: /chanserv set #channel ident on/off

Jaankari: Ident ON ya OFF wali setting se ya nidharit karte hai ki operators ko op lene se pehle aapne nickname ko identify karne ki jarurat hai yanahi. Suraksha hetu yeh setting ko ON rakhna jyada behtaar mana jaata. Idnt arguement yeh bhi nidharit karta hai ki logon ko access list se ops mil sake ya fir identify karna jaroori hai. (Jyada jaankari ke liye niche diye hui link http://docs.dal.net/docs/nickserv.html#5 ko padhein).

12.9 Channel ki entry bahar walon ke liye restrict karna sivayein channel operators ke liye

Syntax: /chanserv set #channel restrict on/off

Jaankari: RESTRICT argument, jab ON set ki jaati hai toh bahar walon ke liye channel mein entry bandh ho jaati hai aur sirf channel OPS ki woh channel join kar sakte hain.

12.10 VERBOSE on ya off karna

Syntax: /chanserv set #channel verbose on/off

Jaankari: VERBOSE argument, jab ON set hoti hai toh koi channel list mein modification ki notification saare ops ko milti hai (ie. aop added/removed, sop added/removed, akick added/removed).

Udharan ke taur par:

-ChanServ:@#mystro- [VERBOSE] Mystro!mystro@sun.2kservices.com => aop #mystro add |Mystro|

12.11 Topic kaun change kar payega wali setting

Syntax: /chanserv set #channel topiclock founder/sop/off

Jaankari: TOPICLOCK command, jab ON set kiya jaata hai, toh setting anusar (SOP/FOUNDER/MANAGER/AOP) usse set kar payenge.

12.12 Users ko ops rehne dena join karne par

Syntax: /chanserv set #channel leaveops on/off

Jaankari: Yeh command deop nahi karega us user ko joh sabse pehle channel join karta hai agar channel khali ho fir chahe woh op ho nahi us channel ka. Agar yeh yeh setting OFF rakhtein hai toh AOp ya upar ke logon ko chorke ChanServ baaki saaron ko deop karega.

12.13 Founder ko identify karne ki jarurat nahi

Syntax: /chanserv set #channel unsecure

Jaankari: Yeh command jab ON hai, toh koi bhi founder ke nick access list mein hone wale ko channel mein changes karne dega. Yeh jyada secure nahi maane jaati par kisi samay kaafi kaam wali sabit hoti hai.

12.14 Channel ko private banana

Syntax: /chanserv set #channel private on/off

Jaankari: Yeh setting jab ON set ho toh, /chanserv invite command use nahi kar payenge. Sirf AOps aur upar ke log channel topic dekh payenge jab woh yeh command istemaal karenge /chanserv info #channelname Sirf woh log channel ko access kar payenge jinko iske baare mein pata hoga.

12.15 Channel-wide memos waali setting

Syntax: /chanserv set #channel memo none/aop/sop/founder

Jaankari: Yeh command founder ko setting karne ka mauka deta hai jisse woh yeh nirdharit kar sakte hain ki channel operators ko kaunse level walein ops memo bhej sakte hain. Fir chahe woh AOp/SOp/Manager/Founder ho. Agar memo level AOp pe set hai toh AOp's aur upar wale level ke ops saare channel ko memo bhej sakte hain. SOp set hai toh SOp's aur upar walein.

12.16 Channel ka vaaris set karna

Syntax: /chanserv set #channel successor nickname / -

Jaankari: Yeh command se aap channel ka vaaris set kar sakte hain. yeh tab kaam aata hai jab Founder ka nickname expire ho jaayein. Jab aisa hota hai toh vaaris naya founder ke taur par woh sab kar sakta hai joh founder ka sakta tha. Agar aap successor nahi set karna chahte toh command ke dauran "-" istemaal karein. Founder ka nickname expire hone par agar successor set ho, toh unhe ek memo milega code ke saath. Woh code successor ko dus din ke andar istemaal karna hota haitaaki ek naya random password generate ho aur woh password istemaal karkar identify karne se founder ban jaata hain. Agar 10 din ke dauran koi bhi action nahi li jaati toh channel normal tarike se expire ho jata hain. Ek user apne aapko successor banane se rok saakta hai NOOP option set karkar apne nickname par. (Yeh link http://docs.dal.net/docs/nickserv.html#6.7 dekhein NOOP ke baare mein jaankari haasil karke ke liye)

12.16.1 ·Apne aap ko Successor ke pad se hatein

Agar aapko apne aap ko successor se hatana hai toh yeh command istemaal karein.

Syntax: /chanserv successor #channel DEL

Dhyaan dein: Aap ko apna nickname identify karna padega iske liye.

Udharan: /chanserv successor #DALnetHelp DEL

Aap is link par jaake dekh saktein hai ki aap kin kin channels mein successor hain http://users.dal.net . Apne username aur password se log in karein, fir select karein - "DAL Channels" aur option "What channels am I Successor in?"

12.16.2 ·Resend kaise karein Authorization Request

Syntax: /chanserv sendauth #channel S

Jaankari: Successor abh re-request kar sakte hain AUTH code ko dubara se send karvane ke liye memo dwara agar pehli request theek se na chali ho toh.

12.17 Mailblock setting option aapke channel ke liye

Syntax: /chanserv set #channel mailblock on/off

Jaankari: Is command se aap channel ke password mangvaane ki prakirya ko rok sakte hain taaki aapko email par yeh naa aye. Isse ON ya OFF karke setting ki jaati hai.

Dhyaan dein: Yaad rakhein ki agar aap isse ON set karte hain aur password bhul jaate hain toh password milna naamumkin hoga aapke liye. Isliye dhyaan se rakhein apne password ko aur bhule nahi.

13 · Apne aap ko channel mein invite karna

Syntax: /chanserv invite #channel

Jaankari: Isse aap apne aap ko kisi bhi +R/+O/+i/+l/+k/+b channel mein ya fir koi channel jisse aap ban hue hain invite kar payenge. Par aap AOp ya upar wale access ke haqdaar hone chahiye.

14 · Kisi bande ke access ko dekhen

Syntax: /chanserv acc/access #channel [nick]

Jaankari: Yeh command se aap kisi ke bhi access ko dekh sakte hain ki woh kis level par hain. Aapko AOp ya use upar hona padega channel mein is command ko istemaal karne ke liye. Access ke numerical definitions is prakar hain:

-2 = Channel is frozen or closed

-1 = AutoKICKed from the channel

0 = basic

10 = AutoOp

20 = SuperOp

30 = User has MANAGER access

40 = Has founder access via a NickServ access list mask

50 = Has founder access via identification to NickServ

60 = Has founder access via identification to ChanServ

Agar USER online nahi hai, toh access 0 hogi.

Dhyaan dein: Aapko AOp ya upar hona padega yeh command istemaal karne ke liye.

Udharan: /chanserv acc #mystro mystro

Aapke yeh reply milega ChanServ se:

-ChanServ- Mystro ACC #mystro 50 (Founder)

15 · Why command kaise istemaal karna hai

Syntax: /chanserv why #channel nick

Jaankari: WHY command wohi karta hai joh ACC/ACCESS command, magar woh status access level ke bina dikhata hain (AOp/SOp/Founder ke roop mein). Aap ko yeh bhi pata chalega ki koi dusra nickname toh nahi us kar raha aur access kis nickname ke tehait hain.

Dhyaan dein: AOp ya upar hona padega aapko yeh check karna hai toh.

Udharan: /chanserv why #docsteam Zappu

Aapko yeh dekhne ko milega ChanServ se

-ChanServ- Zappu has SOP access to #docsteam. Reason: Identification to the nickname Zappu. Channel Frozen: NO

16 · Unban kaise karein aapne aap ko aur dusron ko

Syntax: /chanserv unban #channel [nick/*/nick!user@host]

Jaankari UNBAN command se aap apne aap ko unban kar sakte hain, aur dusro ko bhi. Mask aur nickname istemaal kar kar AOp kisiko bhi unban kar sakte haun. SOp's * istemaal karke sabko unban karne ki shamta rakhte hain.

17 · Count karna AOps/SOps aur Akicks

Syntax: /chanserv count #channel

Jaankari: Yeh command saare AKicks, AOps aur SOps ki ginti dega aapko.

Udharan: /chanserv count #mystro

Kuch istaran se:

-ChanServ- Channel: #mystro - AOP: 27 SOP: 3 AKICK: 9

18 · AOps, SOps, Managers aur Founders ki List dekhna

Syntax: /chanserv listops #channel

Jaankari: Yeh command lists karega saare AOPs, SOPs, managers aur founder kisi bhi channel ke.

Udharan: /chanserv listops #docsteam

Kuch istaran se:

-ChanServ- Founder:

-ChanServ- Fredfred (fredfred@staff.dalnet)

-ChanServ- Manager[s}:

-ChanServ- Sop(s):

-ChanServ- eDdYk0nG (eddykong@118.128.268

-ChanServ- Zappu (zappu@123.345.789)

-ChanServ- Aop(s):

-ChanServ- Uzay (uzay@123.123.123)

19 · Jaankari dhundhna channel ke baarein mein

Syntax: /chanserv info #channel>

Jaankari: Yeh INFO command se aap channel ke baare mein jaankari (chanserv settings, topic, registry date, last op date, etc.) haasil kar sakte hain.

Udharan: /chanserv info #mystro

Jaankari aapko istaran dikhegi:

-ChanServ- Info for #mystro:

-ChanServ- Founder : |Mystro| (mystro@66.38.188.104)

-ChanServ- Mode Lock : +nt-ilk

-ChanServ- Description: My little home on the net.

-ChanServ- Options : Verbose

-ChanServ- Memo Level : AOP

-ChanServ- Registered : Thu 09/30/1999 03:07:00 GMT

-ChanServ- Last opping: Sat 04/21/2001 13:54:14 GMT

-ChanServ- *** End of Info ***

Dikhata hai ki |Mystro| founder hai aur host hai unka mystro@66.38.188.104, channel modes hain +nt-ilk, description hain 'my little home on the net.' etc.

20 · Channel Security

Abh aap sabko ChanServ ke baare mein kaafi kuch pata chal gaya hai. Roz anek ginti mein log #Operhelp join karte hain channel ke issues ko suljhane ke liye. Niche diye gaye upkaran aapko madat kareinge kaise aap channel ko surakshit rakh payenge.

1) Password ko uppercase aur lowercase letters, aur numbers wala banayein. Isse mushkil hogi password ko pehchaan na kisi aur ke liye.

2) KABHI BHI apna password kisi aur ke saath share na karein. DALnet un logon ko madat nahi karta joh apna password share kartein hain dusro ke saath. Isse misue hone ke poore poore chance hote hain.

3) SOps ko bade soch samajh kar add karein. AOps ko bhi pehchaan le fir add karein.

4) Channel ko register karne ke baad , set karein MLOCK +nt-k. Jab password set karna ho entry ke liye toh +k password wala mode set karein. +nt wala mlock hum upar padke aayein hain.

5) Auto identify wali script na banaye. Agar woh kisi ke haath lagi toh aap channel gava denge.

6) Password ko har 2 mahino mein badlein

Bus itna hi abhi ke liye. Passwords dastaavez yaha ( http://docs.dal.net/docs/passwords.html ) pad sakte hain.

21 · Channel ki Expiry ke baare mein

Channel expire tab hota hai jab founder ya koi op us channel ko 30 din tak join nahi karte. Jyada jaankari ke liye yeh dekhein http://docs.dal.net/docs/csaccess.html#4.2 .

Ek common problem joh jyada tar channel founders face karte hain Op dena anjaan logon ko. Secure channel banane ke liye http://docs.dal.net/docs/chandev.html#4 , jaroor padein.

Dhyaan dein: Agar channel abh registered nahi hai aur dusre usse register kar sakte hain. Usse wapas aap tab hi paa sakte ho jab woh expire hi jayein. Adhik Jaankari ke liye #OperHelp join karein.

22 · Nishkarsh

Abh aap ChanServ commands se parichit ho jaye hain. Founder banane ke liye abh poori tarah tayar hain. Hum aapko abh yeh salah denge ki aap NickServ documents ko bhi padlein aur adhik jaankari prapt karlein.

Jyada jaankari AKicks, AOps and SOps ke baarein mein paane ke liye, ChanServ access dastaavez padein http://docs.dal.net/docs/csaccess.html

23 · Credits

Ant mein shukrajuzar hain Dalila ka, joh Documentation Team leader thi aur LadyDana jinhone yeh dastaavez banane ka sujhaav diya sabse pehle. Hum shukragujaar hain Morfeus aur quen ka jin hone uyeh dastaavez ki sameeksha ki.