1 · Yeah jankari apako maloom kyo honi chahiye
DALnet apako yeah margdarshan padhane ke liye protshahan deta hai kyoki:
-
yadi aapaka chainal durvyavahaar vyavahaar ya ek jaise samasyaon ka saamana karata hai adhigrahan, aur aap vahaan nahin hain, aapako eopee kee aavashyakata hogee aur sambhavatah sops taaki samasya hal ho sakatee hai
-
hamane prabandhakon ko jodane ke tareeke ke baare mein adhik jaanane ke lie, chainal oplist mein mainejar ka upayog joda hai krpaya dekhen http://docs.dal.net/docs/chanserv.html#5.
-
Agar apaki channel badi hai, toh apko ishey sambhalane aur chalane ke liye SOPs chahiye.
-
Galat logo ko AOPs ya SOPs mein dakhil karana, ya galat tariko se AOPs ya SOPs ko dakhil karana, salamati ko kshati/nukshan pahuchane jaisa hoga jissey apake dost ya pahechan wale users na ho woh log channel per duvidha e khadi kar sakate hai, ishliye apako ishkey istmal ke bare mein puri tarah se waqef hona chahiye.
-
Agar apako kisi users per humesha bans jari karana hai, to apako yeah maloom hona chaiye ki AKICKs kaise jari kare.
Sarans yeha Vibhag 9 , per milega, ki jo apako yeah vistar se samazayegi ki apako kaise logo ko SOPs ya AOPs per dakhil karana chahiye aur kaise karana chahiye.
2 · AOPs aur SOPs kya hai
AOPs aur SOPs woh log hai ki jo apake puri tarah se bharoshemand vyakti ho jisko aap apani channel per kuch amuk adhikar pradan karate ho.
SOPs hai woh "uchatar" kaksha hai AOPs ki tulana mein aur AOP ki sabhi adhikaro ki sath kuch aur bhi jyada adhikhar bhi hote hai. FOunder ki tarah se, aap sabse uchatar kaksha per hai aur apake paas SOP aur AOP ke sabhi adhikar hote hai, jyada mein sirf - Founder ke bhi kuch adhikar hote hai. Waha per apako khudko AOP ya SOP per dakhil karane ki koi avashyakta nahi hai.
Yeha per margdarshan mein vistrut adhik karyakshetra hetu yeah madad di gayi hai ki AOPs aur SOPs ke sabhi ChanServ adhikaro ka istmal kaise kare. Jabki, pratyek yogyata/karya ke liye alag-alag mada ke liye command diye gaye hai; ishko IRC per type karane se adhik margdarshan diya jata hai.
AOPs ke paas niche diye gaye adhikar hai:
-
Woh jab channel ke bhitar dakhil hote hai tab unko ops (@) diya jata hai; agar kuch karansar woh ops na bana ho, to woh ops pane ke liye kabhi bhi ChanServ ki sahayta le sakate hai ( /chanserv help op )
-
Woh ChanServ ka istmal karake channel ke kisi bhi dusare users ko ops bana/nikal sakta hai (agar unhone aisa kiya, to ishkey bare mein chanel per rahe dusare logo ko agah karane ke liye suchana bheji jati hai, ishliye yeah gupt na rahe). ( /chanserv help op )
-
Agar woh kisi karansar channel per ban ho to woh khud ko unban kar sakate hai. ( /chanserv help unban )
-
Woh puri 'channel' per bheje gaye memos paa sakate hai. Woh khud bhi puri channel ko memos bhejne ke liye saksham hai; lekin waha per channel ke settings per adharit hai ki kaun channel per memos bhej sakate hai.. AOPs, SOPs ya sirf Founder. ( /chanserv help set memo , /memoserv help send )
-
Channel per topic sirf ops hi badal sake aisa vikalp set karana mumkin hai. (jabki yeah bhi set karana mumkin hai ki topic sirf SOP ya sirf Founder hi badal sake). ( /chanserv help set topiclock )
-
Jab koi channel per kabza jamaye hota hai tab aisi duvidha mein woh MDEOP command ka istmal karake ishko niyantrit kar sakate hai, lekin agar koi SOPs ya Founder channel ke bhitar hoga toh yeah mumkin nahi hoga. ( /chanserv help mdeop )
-
Woh khud ko channel per invite kar sakata hai (jab channel sirf-invite jari kiya huva ho tab kaam ayega) lekin waha per "private" vikalp jari nahi kiya huva hona chahiye. ( /chanserv help invite )
-
Woh channel ke AOP, SOP, aur AKICK suchi ko dekh sakate hai. (dekhiye Vibhag 4 )
SOPs ke paas nichey diye adhikar hote hai:
-
Jab koi channel per kabza jamaye hota hai aise halat mein woh MKICK command ka istmal karake niyantran kar sakata hai, lekin agar Founder channel ke bhitar hoga to yeah mumkin nahi hoga. ( /chanserv help mkick ) (see Vibhag 4 )
-
Woh logo ko AOP adhikar de bhi sakate hai, aur unsey le bhi sakate hai. (see Vibhag 4 )
-
Woh AKICKs (kayami bans) jari kar sakate aur nikal sakate hai. (see Vibhag 7 and Vibhag 8 )
-
Woh ChanServ ka istmal karkey channel per key sabhi bans nikal sakate hai. ( /chanserv help unban )
-
Woh channel SOPs ko bheje gaye memos hansil kar sakate hai. ( /memoserv help sendsop )
3 · AOPs ya SOPs adhikar dene ke liye dhyan mein lene jaisi baate
AOPs aur SOPs woh log hai ko channel per hone wali duvidha per kabu kar sake jaise ki jab aap waha per nahi ho tab waha per flood hona aur channel per kabza karane jaise chize. Agar aap safal channel chalu karana chahate ho, toh yeah apaki jimmedari hai ki yeah puri tarah se pakka kar le ki channel ko sambhale rakhane ke liye jo AOPs aur (khas taur per) SOPs hai woh iss kabil hai ya nahi. Agar channel AOPs ki hazari ke bina hi istmal ho rahi ho, toh aisi sthiti mein flood aur nukshan pahuchana ashan ho jata hai.
Jab aap logo ko AOP ya SOP adhikar dete hai, tab aap unko channel per ke kuch adhikaro ko dete hai, lekin phir bhi unko apako jawab dena padega - aap unko AOP ya SOP adhikar se kisi bhi samay nikal sakate ho.
Jab ki, apako yeah pakka yakin hona chahiye ke aap jinko AOPs ya SOPs de rahe ho woh log apake bharoshe-mand ho jaise ki woh channel ke liye duvidha bhi khadi kar sakate hai. Phir bhi, woh humesha ke liye koi nukshan nahi pahucha sakate hai - unkey jariye kiye gaye kisi bhi badlav ko Founder vapis badal sakata hai - lekin khas taur per jab aap waha per nahi honge toh woh koi gambhir samashya bhi khadi kar sakate hai. Aap jab kisi ko AOP ya SOP adhikar de rahe ho tab yeah sab baate dhyan mein rakhey.
Ishkey saman nondha: Kadapi kabhi bhi kisi ko channel ka password na de. Yeah channel per kabu karane ke saman hi hai - DALnet co-founderships ko aur ishkey saman kisi bhi takraro ko samarthan nahi deta, password ke sath kisi ko bhi channel ke malik key taur per gina jata hai. Agar aap apani channel adhikar kisi aur key sath bantana chahate ho to jin per apko bharosha ho, unko SOPs bana de.
Agar koi dusari alag vyavastha ki iccha rakhate ho, toh aap matadhikar key niyam kar sakate ho (drashtant key taur per, Founder yeah baat ko maan le ki woh kisi bhi vyakti ko dusare abhi haal ke SOPs se baat-chit kiye bina SOPs per dakhil nahi karenge). Jabki, DALnet ka software aur staff yahi manate hai ki channel kaise chal raha hai ishki puri jimmedari sirf Founder ki hi hoti hai. Aur krupiya nondha le ki DALnet kisi ko bhi channel kho dene per kadapi mada nahi karega agar unhoney apana password dusare ke sath sahchar kiya hoga; passwords ko humesha salamat sakhey.
4 · AOPs aur SOPs dakhil karana ya nikalna kaise kare
Channel ka Founder ekk hi aisa vyakti hai jo SOP adhikar kisi ko de bhi sakata hai aur chin bhi sakata hai. SOPs aur Founder yeah dono AOP adhikar kisi ko bhi de sakate hai aur chin sakate hai. Do tarah key list command hai ki jo sirf AOP, ya SOP aur Founder ki liye hi uplabdha hai, lekin kisi aam users ke liye nahi.
4.1 SOPs ya AOPs ki mojuda suchi
/chanserv sop
#channel
list
/chanserv aop
#channel
list
Yeah commands channel per ke sabhi SOPs ya AOPs (anukram sey) ki suchi denge.
Agar apaki channel badi hai, toh aap key liye sirf chuney huve SOPs ya AOPs ki suchi unkey nicknames ya masks key jariye khojna fayedemand rahega:
/chanserv sop
#channel
list
wildcard
/chanserv aop
#channel
list
wildcard
(Drashtant key taur per, /chanserv aop #mychannel list g* hai woh #mychannel ke sabhi AOPs ki jinkey nicknames g sey saru hote hai unki suchi dikhayega.
Aap list command koi bhi istmal kare, pratyek AOP ya SOP ki suchi ek sankhya ke sath ayegi jissey agar jarurat hoo tab unko nikal ney mein asani rahegi (nichey dekhiye).
4.2 SOPs ya AOPs dakhil karana
/chanserv sop
#channel
add
nick ya mask
/chanserv aop
#channel
add
nick ya mask
Yeah commands logo ko SOP ya AOP suchi per dakhil karatey hai. Yeah logo ko SOP ya AOP ko adhikar dene key samkaksha hai.
Aam taur per aap AOPs ya SOPs ko unkey nick (ki jo register kiye huve ho) ke sath dakhil kar sakate ho lekin agar jaruriyat ho to aap unkey mask ke sath bhi kar sakate ho. Masks bilkul aisi hi karya karta hai jaisey ban masks karya karata hai - phir bhi albat yaha per yeah sahi taur per AOP ya SOP adhikar ki manyata deta hai, unko ban nahi karta - aur ishkey bare mein yeah margdarsika per vistaran nahi kiya gaya hai; adhik jankari hetu Ban Guide dekhey.
Agar aap kisi ko SOP banana chahate ho ki jo abhi iswaqt AOP per mojood ho (ya issey viparit), toh apako unko AOP suchi sey nikalne ki jarurat nahi hai, kyoki jab aap unko SOP suchi per dakhil kar rahe ho usi samay Services apane-aap hi unko waha AOP se nikal degi.
kisi ko AOPs dene se pahele apako yeah type karake yakin karna chahiye ki unkey paas register kiya nick hai ya nahi.
dhyaan den: sansthaapakon ko ab managair / aop / sop / akichk soochiyon mein joda nahin ja sakata.
/nickserv info
nick
Aur agar unka nick register kiya nahi hai to register karne ke liye kahe. Agar aap kisi ko AOPs per dakhil karane ki koshish karenge ki jin ka nick register kiya nahi hoga, toh yeah unko mas ke jariye dakil kar degi, ki jo bilkul bhi sahi suzav nahi hai (dekhiye Vibhag 5 ).
Pratyek channel per jyada se jyada 300 AOPs aur 100 SOPs ki simaye hoti hai. Agar aap yeah sima sey jyada dakhil karane ki koshish karenge toh ChanServ apako suchana dega.
Nondha: Users nickname vikalp NOOP jari kar sakate hai ki jiska matlab unko kisi bhi channel per AOP ya SOP suchi per dakhil nahi kiya ja sakata. Jyada jankari ke liye dekhiye /nickserv help set noop
4.3 SOPs ya AOPs ko nikalna
/chanserv sop
#channel
del
number or entry in list
/chanserv aop
#channel
del
number or entry in list
Yeah commands logo ko SOP ya AOP suchi sey nikalane key liye istmal hota hai. SOPs aur AOPs ko gair-jimmedara bartav ki vajah sey ya kisi bhi karansar nikala ja sakata hai. Iskey liye koi niyam nahi hai.
Aap yeah commands dusare bhi tariko se istmal kar sakate hai; sabsey pahele ashan tarika yeah hai ki aap yogya list command ka istmal kare, aur uskey baad aap jisko nikalna chahate ho unkey suchi ke agey ki sankhaya ko de dijiye. Avez vikalp, aap jisko nikalna chahate ho unka sidha nick ya mask bhi de sakate ho; agar aap yeah tarika istmal karana chahate ho toh apako bilkul wohi nick ya mask dakhil karana hoga ki jo suchi per mojood ho.
Agar aap suchi mein di unki sankhaya sey nikalte ho, toh aap sirf ek waqt mein ek hi nikal sakege. Pratyek nikalne jane per suchi ki sankhaya mein fher-badal hogi, ishliye apako vapis list command ka istmal dusare ko nikalne key liye uski sankhaya pata karane ke liye karana padega.
4.4 VERBOSE vikalp
Agar channel ke liye VERBOSE vikalp jari kiya huva hai, toh jab bhi waha per kuch nischit vikalp ko badala jayega (khas taur per, jab koi AOPs/SOPs ya AKICKs dakhil ya nikalega), toh sabhi channel per uss waqt hazar jo ops hoge unko suchana ke jariye mahitgar kiya jayega.
Yeah vikalp jari karane key liye:
/chanserv set
#channel
verbose on
5 · Apake AOP/SOP suchi per address masks istmal karane ke bare mein nasihat
AOP/SOP suchi ke liye, address masks ki bajah, aamtaur per nicknames ka istmal accha rahega. Waha per iskey liye kuch karan bataye gaye hai:
-
Aap humesha sahi bata sakate ho ki AOPs ya SOPs kaun hai.
-
Yeah mumkin nahi hai ki waha per galati nahi hoti aur parinam swaroop jintane logo key liye AOPs dena hota hai unsey kai guna jyada logo ko AOP adhikar mil jata hai (drashtant key taur per, agar apane galat jagah per * rakh diya).
-
Agar apaka samna aisi duvidha se ho ti koi vyakti jo AOP server istmal kar raha hai wohi server istmal karta ho aur AOP ke jaise ops paa le, tab ishko woh AOPs nikalne ki bajah aisey hi sulza sakate ho.
Waha per address masks istmal ka ek fayeda hai:
-
Aap yeah sahi mein bata sakate ho ki kaun sa address masks apane aap ops paya huva hai.
Agar apane address masks key sath AOPs dene ka faisala kar liye hai, toh Ban Guide dekhiye ki jo address masks key bare mein vistar sey batata hai.
Yeah nondha le ki woh margdarsika yeah vistrut karti hai ki unko logo ko ban karane ke liye kaise istmal kare phirbhi jab aap ishko AOP ke liye istmal karoge toh yeah unko ban nahi balki AOPs hi dega.
6 · Galat logo ko AOPs/SOPs meley aisi duvidha
(Nondha: Yeah vibhag AOPs key bare mein yaha per likha gaya hai, lekin yeah sabhi bate SOPs key liye bhi saman lagoo hoti hai.)
Waha per kabhi aisa samay bhi ayega ki apane kisi ko channel ke access suchi per dakhil na bhi kiya ho toh bhi woh channel per access hansil kiya huva ho. Aisa kyo huva iska karan yeah hai, kyoki samil kiye kisi bhi AOP ya SOP's ka hostmask woh op's key NickServ access suchi per match khata hoga.
Log channel per ops hansil kar sakate hai (lekin woh kisi bhi ChanServ AOP commands ka adhikar nahi hansil kar sakega) agar ChanServ hazar nahi hoga aur apaki channel khali hogi jab woh log dakhil hote hai tab. Badnasibi sey, waha per aise halat mein aap kuch nahi kar sakoge, lekin ChanServ sanyog sey sabhi kabar hi ghai-hazar hota hai woh bhi kuch hi pal ke liye.
Kisi bane huve ops ke dwara logo ko ops dene dey bhi log ops hansil kar sakate hey (drashtant key taur per AOP ya SOP). Agar aap aisa hone ki manyata dena nahi chahate hay, toh aap OPGUARD vikalp ka istmal kar sakate ho jiskey bare mein iss vibhag ke ant mein charcha ki gai hai.
6.1 Koi adhikar per kyo hai yeah dekhana/khojna
Channel per koi AOP ya SOP adhikar per kyo hai yeah khojane key liye, aap ChanServ why command ka istmal kar sakate ho:
/chanserv why
#channel
nickname
Yeah command dikhayega ki jo op hai woh AOP ya SOp suchi key kis entry (agar koi hoga toh) sey match hota hai ki jissey woh vyakti op per hai, ishliye agar waha per koi duvidha ho tab woh entry key AOP/SOP koi asthayi taur per nikala ja sakey.
6.2 Access suchi per duvidha
Jab apane apni AOP suchi per logo ko unkey nickname key sath dakhil kiya huva hai, toh iska matlab apake AOPs ke 'access list' sey kisi ka bhi access mil jata hai toh woh channel per AOp adhikar hansil kar sakega.
Agar log channel per AOPs na hote huve bhi ChanServ key jariye op ho jate hai, toh waha per access suchi per masala ho sakata hai. Aap aam-taur per kah sakate ho ki kaun sey AOP ki suchi mein masala hai jiskey karan woh bina-AOP wala user ki jo apakey kisi ek AOPs istmal kar rahe internet suvidha key saman sevaye dene wale ka istmal karkey op paya huva hai (drashtant key taur per, aol.com, netcom.com, iquest.net, adi). Iski prusthi aap why command ka istmal karake kar sakate ho.
Apako woh AOP ka sampark kar key (agar wah abhi mojood nahi ho toh memo ke jariye) unko unkey access suchi ko jyada bahetar banane ya pura nikal dene ka suzav dena chahiye. Aur jab woh DALnet per jodan kare tab woh unkey password ka istmal karakey NickServ sey identify kare. Iss bich, agar aise bina-AOP wale ops se pareshani hoti hai to apako woh AOP ko asthayi taur per nikal dena chahiye.
Agar aap aur woh NickServ access suchi key vivran ko puri tarah sey nahi samaj sakey ho - ki jo apako DALnet per apane nickname ka istmal har baar password dene key bajah aisey hi istmal karane ki sohalat deta hai, lekin agar aap bade internet suvidha dene wale ka istmal kar rahe ho toh yeah apakey nick ki salamati ko kamjor karane ke saman hoga - tab apako NickServ Access key bare mein vistrut sey margdarshan dene wale lekh ko padhaney ki jarurat hai.
Apako aab yeah vastavikta key bare mein samaj aa gayi hogi ki galat AOP iradapurvark wah jaanbuz kar apane access suchi lagayege, drashtant key taur per, sabhi ko channel per ops ki manyata dene key liye. Ishliye yeah ek alag bhi karan hai ki kisi ko AOPs dene sey pahele apako unper bharosha hona chahiye.
Waha per agar access masks key sath duvidha aa rahi hai toh ek asthayi haal bhi hai, ya agar thodi jyada salamati ki jarurat hai, toh aap IDENT vikalp ko channel per jari kar sakate hai. Ishka matlab hai ki ChanServ sirf wohi AOPs ko manyata dega ki jo unkey channel adhikar wale nick ko NickServ key sath identify (unkey nick ke password key sath) karkey access liye huve honge, sath mey ops bhi.
Founder channel key liye IDENT vikalp jari kar sakata hai, iskey istmal sey
/chanserv set
#channel
ident on
Nondh lijiye ki agar apane yeah kiya, toh koi bhi istmal/dakhil kiya masks kisi bhi nicknames per koi ashar nahi karega. Jyada jankari ke liye:
/chanserv help set ident
6.3 Naa-Pasand ops
Jab channel ko ChanServ sambhalta hai iskey bavjood, yeah mumkin hai ki kuch log ki jo AOPs ya SOPs naa hote huve bhi channel ke bhitar ops (@) paa le. Ishka mukhya karan yeah ho sakta hai ki kisi AOP ne unko ops diya hoga.
Agar aap channel Founder hai aur yadi aisa nahi chahate hai to, aap OPGUARD vikalp ko jari kar sakate ho. Jab yeah vikalp jari kiya hoga, tab ChanServ aise logo ko channel per ops (@) ke liye manyata nahi dega (asthayi taur per bhi nahi) ki jab tak AOP ya SOP suchi per ya Founder ke adhikar per naa ho. Agar kisi ney dusare ko ops diya, to ChanServ tatkal unko ops sey nikal dega.
Yeah vikalp jari karane key liye:
/chanserv set
#channel
opguard on
7 · AKICKs kya hai
AKICKs hai woh ChanServ ke jariye channel per ban ke samkaksha hai aur ishka istmal galat users ko channel se nikal ney ke liye hota hai. Woh channel khali ho jane per chali nahi jati hai; jab-tak channel Founder ya SOP unko nikale nahi woh wahi per jami raheti hai.
Aam channel bans key sath thodi duvidha hai (aap ishko payenge jab aap popup menus per 'Ban' vikalp per click karte hai, ya /ban ya /mode #channel +b mask commands type karate hai) ki ekk toh yeah asthayi hai; agar sabhi log channel ko chod dete hai aur channel khali ho jati hai, tab pranali sabhi aise aam bans jo jari kiye hote hai unko 'bhool' jati hai.
Aisey sadharan bans asthayi updrav ko sambhal ne key liye bahetar hai aur tab koi duvidha nahi hai iskey sath. Jabki, kai baar apka aise logo sey bhi samana hoga ki jo channel per baar-baar aakar pareshani khadi karate rahete hai - aise mamalo mein, apako chahiye ki aap unko sada key liye ban kar de.
Aisi paristhiti mein aap AKICKs istmal kar sakate hai, ki jo bans ke saman hi karya karega lekin farak itana hoga ki yeah Services ke jariye sambhala jata hai - jab AKICKs suchi per huve koi bhi user channel mein pravesh karega, tab woh apane-aap ChanServ ke jariye channel se ban aur kick ho jayega. Jaise ki upar bataya gaya hai ki, AKICKs jab tak nikala nahi jaye tabtak woh mitega nahi, bhale hi channel khali ho jaye.
8 · AKICKs ko kaise dakhil kare ya nikale
Sirf channel ke Founders ya SOPs ke paas AKICKs dakhil karane ya nikalne ka adhikar hota hai.
8.1 Abhi key AKICKs ki suchi dekhana
/chanserv akick
#channel
list
Yeah command, ki jo channel ke AOPs ke sath SOPs aur Founder ke jariye istmal hota hai, jissey channel per abhi key jari huve sabhi AKICKs ki suchi dekh sakey.
Pratyek AKICK key sath ek sankhaya judi huvi hogi jiska istmal asani sey AKICKs nikalne ke liye hoga.
8.2 AKICK ko mask ke jariye dakhil karna
/chanserv akick
#channel
add
mask
Yeah command channel per AKICK dakhil karega. Apako user ka mask dena padega, jaise ban karane ke liye dete hai - nickname ! username @ hostname .
Aap jisko ban karane ki koshish kar rahe ho woh user ka /whois mein address yadi user@dialup22-81.provider.com hai aur apaki channel ka naam #frogs hai, toh apako istmal karana hoga /chanserv akick #frogs add *!user@*.provider.com ('AKICK log kisi bhi nickname ke sath, lekin agar unka username "user", aur provider.com ka istmal kar rahe ho')
Bans ke liye address masks ke bare mein adhik jankari ke liye, ki jo channel per AKICKs ke liye bhi saman karya karate hai, toh krupiya Ban Guide padhe.
Aap ek channel ke liye adhik se adhik 200 AKICKs dakhil kar sakate ho.
8.3 Nickname key jariye AKICK dakhil karana
/chanserv akick
#channel
add
nickname
Agar vyakti ke paas register kiya huva nickname hai, toh aap unko unkey nickname ka istmal karakey bhi AKICK per dakhil kar sakate ho. Yeah karyasiddha bhi hai aur nahi bhi, kyoki kisi mamale mein woh asani sey ban ko talane key liye dusare kisi bhi nickname ka istmal karake jodan kar sakega.
Toh agar apako bans ke liye address masks key bare mein samaj nahi hai, tab aap unkey badale yeah istmal kar sakte hai, lekin yeah adhik bharosemand hogi agar apane mask diya hoga toh.
dhyaan den: sansthaapakon ko ab managair / aop / sop / akichk soochiyon mein joda nahin ja sakata.
8.4 AKICKs nikalna
/chanserv akick
#channel
del
number or mask
Aap yeah commands ka istmal do tariko sey kar sakate hai; sabsey asan tarika yeah hoga ki (agar aap ekk hi entry nikalna chahate hai toh) pahele aap list command ka (upar diya gaya hai) istmal kare, aur tab jisko aap nikalna chahate ho unkey agey ki sankhaya yeah command ke sath de de. Avez key taur per, aap jo mask nikalna chahate ho wohi sidha de de; agar aap yeah raasta apanate hai toh apako bilkul wohi mask dena padega ki jo suchi per mojood hoga.
Agar aap suchi per diye unki sankhaya dey AKICKs nikalne ka raasta apanate hai, toh aap ek baar mein ek hi AKICK nikal sakoge. Pratyek entry nickale jane ke baad unki sankhaya mein badalav hota hai, toh dusari AKICK ko nikalne ke liye apako vapis list command ka istmal karke unki sahi sankhaya ke bare mein janna padega.
9 · Samapan
SOPs aur AOPs woh log hai ki jis per apako bharosha hai aur jisko aap apani channel per kuch visesh adhikar dete hai. Ishkey bich ek aur chiz, ishka matlab hai ki jab woh pravesh karte hai toh unko apane-aap ops (@) diya jata hai. SOPs key paas AOPs aur AKICKs (channel per kayami bans) dakhil karane ki aur nikalne ki sakshamta hoti hai, toh jab aap kisi ko SOPs bana rahe ho tab khas taur per savcheti barte.
- Agar waha per apako kisi vyakti per bharosha hai ki woh apaki channel per AOPs ke liye thik hai toh
-
Type /nickserv info nick aur dekhey ki unka nick register kiya huva hai ki nahi - agar nahi hai, toh unko register karane ke liye kahe aur jab woh kar le tab vapis upar bataye mutabit kare. Ek baar apako yakin ho jaye ki nickname register ho gaya hai, tab type kare /chanserv aop #channel add nick .
- Agar apaki channel per kisi karansar SOP chahiye - jaise ki agar yeah bahut badi channel hai aur apako ishey sambhalne key liye madad chahiye jaise AOP ka chayan kiya hai.
-
Yeah pakka kar le ki aap jisey SOP banana chahate unper aap puri tarah sey yakin kar sakate hai ya nahi, aur uska nickname register hai ki nahi woh upar bataye mutabit janch le tab type kare /chanserv sop #channel add nick .
- Agar agey chalate channel suchi se apako AOP ya SOP ko nikalna ho, kyoki woh bharosemand nahi ho, ya IRC chod diya ho, ya aisey kisi karansar.
-
Type kare /chanserv aop or sop #channel list . Jab aap woh suchi sey woh vyakti ki sankhaya paa le, tab apako woh sankhaya kahi nondha karke type kare /chanserv aop or sop #channel del number .
- Agar aap kisi ko kayami ban karana chahate hai
-
Aap (ya channel per sirf SOP; AOPs nahi) unko AKICK suchi per dakhil karne ke liye type kare /chanserv akick #channel add mask , jaha per mask hai woh pareshan karane wale ka aam mask hai. Aap agey chalate AKICKs nikalna chahate ho toh AOPs ya SOPs ke saman hi raata hai. (dekhiye Vibhag 8 .)
Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.