1 · Aap ko Yeh Sab Maloomat jan`ne Ki Kya Zaroorat Hay?
DALnet iss liyeh in dastawizat ko parny ko kehta hay kiyo-k:
-
Agar Ap ka chane Dushwari ka muqabla karta hay jesay badsuluki or buray rawayyah or ap wha mojud nahi hain to ap ko Sop or mumkina tor par SoP/Manager ki zarurat hogi takeh masail ka hal kia ja sakey.
-
Hum channel list may Managers kay Ikhtiyarat shamil kar chukay hain channel kay OP list may. Managers ko kesay shamil karein ya jannay kay lia hamari website par visit karein http://docs.dal.net/docs/chanservur.html#11.17.
-
Agar aap ka Kamra Bara hay too aap ko SOPs ki madad chahiyeh jo aapkay Kamry ka ah`tmam karain Ghalat logo ko HOps/AOps/SOps/Managers add karna bohat ghalat rasta hay, kionkay kuch loog jo aap kay dost nahi hotay or aap onko HOps/AOps/SOps/Managers detay hoo to woh khud hi museebat ban saktay hain aap kay Kamry kay liyeh. Bass aap ko AOPs/SOPs trusted dosto ko hi shamil karain.
-
agar aap ko kisi ko hamesha k lieyh Ban/Kick out rakhna hay Kamry say. too aap ko onhay Akick main jamah karnay ki zarorat hay.
aap ko aik khulasa milaga ismein His`sa 9, jismay bataya gia hay k aap ko kessey aop or sop main shamil karna chahiyeh
2 · HOPs/AOPs/SOPs aur Managers Kon Hain
HOPs / AOPs / SOPs aur Managers woh log hotay hain jinko aap Kamry main aik taqat detay ho aam shakhs ki nisbat or onper yaqeen kartay hoo.
Managers, tamam channel ops(@) mein "buland tareen" maqam par hotay hain. Un ke paas channel ka taqriban mukammal ikhtiar hota hai maaswaye channel ki milkiyat ko badalne ke. Bara-e-maherbani mazeed malumaat ke liye dekhiye http://docs.dal.net/docs/chanserv.htmlur#5.
SOPs kay pass "ziada" access/rasahi hoti hay aik AOP ki taqat say. jesay kay aap FOunder hoo too aap kay pass Kamry main sabsey ziada taqat hoti hay. or SOPs/AOPs aap kay muhtaht hotay hain or aap ko apnay founder urfi`naam ko SOP/AOP Fehrist main shamil karny ki zarorat nahi.HOPs ko channel mein rasaai ka sab se kam darja hasil hota hai
yeh sab aap ko madad dey ga k aap in chanserv ki dei gaie AOPs or SOPs ki taqto ko kesay istemal karna hay. jesa-k, DALnet mein aap help command k zariyeh in ki mazeed maloomat ley sakty ho
HOPs Ke Paas Darj-Zail Ikhtiaraat Hain
-
Unko channel mein shamil hotay sath hi ops (%) de di jaye gi; agar kisi waja se wo bina ops mojood hain channel mein tau wo khud Chanserv ke zariye kisi bhi wakt khud ko ops kar saktay hain(/chanserv help op)
-
Wo doosre sarfeen ko channel se bahar kar saktay hain
-
Wo channel ka mozo'u tabdeel kar saktay hain.
AOPs Ke Paas Darj-Zai Ikhtiaraat Hain
-
Jab yeh Kamry main dakhil hotay hain too inko khud`ba`khud @Op ka darja miljata hay chanserv ki taraf say. agar yeh Kamry main hain or @OP nahi hain too yeh chanserv sey @OP ban saktay hain iss command say /chanserv OP #channel nick) or ziada tafseel k liyah likhain (/chanserv help op)
-
Agar yeh Kamry say ban hain too apnay aapko Kamry say Unban Kar saktay hain. /chanserv unban #channel) or ziada malomat k liyeh likhain (/chanserv help unban)
-
Inko Memo Bhi mosol hotay hain jab koi porey Kamry ko Memo karta hay. or yeh porey Kamry ko Memo bhi kar saktay hain. (/chanserv help set memo, /memoserv help send)
-
Yeh mumkin hay k kamry ka topic sirf OPs hi tabdeel kar sakain. Bahar`hal, yeh bhi mumkin hay k kamry ka topic Sirf SOP yah Founder hi tabdeel karay. iskay baray main malomat k liyeh yeh likhain (/chanserv help set topiclock)
-
AOPs MDEOP or Kick/Ban istemal kar saktay hain jab kabhi Kamry main koi museebat paida hoti hay. laikin Agar Kamry main KOi SOP/FOUNDER betha hay too yeh MDEOP Command istemal nahi kar sakta. (/chanserv help mdeop)
-
Yeh apnay aapko Kamry main Invite kar saktay hain. agar Kamry "Private/Nijji" yah +i (Dawat sirf) per set hoo or haan yeh kisi dosray ko bhi dawat dey saktay hain Kamry main (/chanserv help invite)
-
Yeh Kamry ki AOP, SOP or Akick Fehrists dekh saktay hain. (dekhain His`sa 4)
SOPs Ke Paas Darj-Zai Ikhtiaraat Hain
-
Agar Kamry main koi take over/chin`nay wali sortayhal paida hojay yah phir hamla ho too MKICK kar saktay hain /chanserv mkick #channel) (dekhain His`sa 4)
-
Yeh kisi ko AOP fehrist main shamil or nikal saktay hain. (dekhian His`sa 4)
-
Yeh kisi ko AKICK main shamil or nikaal saktay hain. (dekhain His`sa 7 or His`sa 8)
-
Yeh Kamry say SUB ko aik saath unban kar saktay hain. (/chanserv help unban)
-
Yeh woh memo mosool kar saktay ho joo sirf SOPs ko bhejay jatay hain (/memoserv help sendsop)
Managers Ke Deegar Ikhtiaraat Darj-Zail Hain:
Channel ke Managers: - SOp fehrist ko munazzam kartay hain (add/remove SOps) - WEBPASSWD Ko Tabdeel Kar Saktay Hain - Wipe kar saktay hain VOp/AOp/SOp ki Fehriston ko - Channel ke unwan ko tabdeel kar saktay hain - Channel ko Masskick aur massdeop kar sakte hain aur bashamool AOp access level - Set/unset OPGUARD - Set/unset VOICEGUARD - Set/unset HOPGUARD - Set/unset MLOCK - Set/unset IDENT - Set/unset KEEPTOPIC - Set/unset RESTRICT - Set/unset URL - Set/unset VERBOSE - Set/unset TOPICLOCK (Ba-shart ye ke, ye ikhtiar sirf Baani tak mehdud na kiya gaya ho) - Set/unset LEAVEOPS - Set/unset PRIVATE - Set/unset MEMO level (Ba-shart ye ke, ye ikhtiar sirf Baani tak mehdud na kiya gaya ho) - See successor's nick with ChanServ INFO Channel Managers can *NOT*: - Change channel password - Change founder - Set/unset successor - Set/unset mailblock - Add/remove karna doosre Managers ko - Set/unset UNSECURE (Filhal ye option ghair fa'aal hai) - Use sendpass
3 · Kuch Chezain Jin Pe Ghor Karna Chahiye Kisi Ko Op(@, %) ka Ikhtiyar Dene Se Pehle
AOPs or SOPs woh loog hain joo Kamry k masaiel ko hal kartay hain jesay kay Hamlay/SabkoInvite/Tunga karna, agar Founder online nahi hay. Yeh aap ki Zummay Dari hay kay kisko SOPs or kisko AOPs deni hain jo kay Kamry ko sanbhal bhi sakay or bharosay walay dost hon.
Jab aap kisi ko Kamry main kisi ko SOP/AOP detay hoo to aap osko kuch Kamry ka ikhtiyarat detay ho. laikin aap onko jamah/khatam karsaktay ho.
Baharhal, aap ko yaqeen kar lena chahiyeh k SOPs/AOPs bharosay waly hain yah anhi Jistarah woh mushkilat peda kar SAKTAY hain. Wesay bhi, woh Kamry ko mukamal kharab nahi kar sakty, aap jesay online hon orr apko koi aisi wesi khabar milay too aap onko khatam kar sakty ho.
Kabhi kisi ko Apnay Kamry ka Password na dein. or Dalnet main aik kamry k 2 Founder ka koi tasawwar nahi. agar aap nay password dedia too aap ka Kamra aap ka nahi rahega. agar aap nay kisi ko taqat deni hay Kamry main too osko SOP dedain. (bass or tussi Achar Dalna hay :p heheh)
Agar dosra dilchasp intezam hay keh, Founder ko kabhi SOP ikhitiyar nahi dena chahiyeh kisi mashwary k baghair. agar aap ka Kamra aap say khoo gia hay too DALnet aapko kabhi madad nahi karega. kiyo-k yeh aap kay password batny ki wajah say huwa hay.
4 · Managers/SOps/AOps and HOPs Ko Shamil Karna aur Nikaalnaa
Sirf Kamry ka Founder aur Managers hi kisi ko SOP dey sakta hay. SOP or Founder kisi ko AOP de saktay hain. yahan 2 fehrist mojod hain Aops ki or SOPs ki
4.1 Mojoda Managers SOPs aur AOPs ki Fehrist Lena
/chanserv Manager #channel add nick Reason
/chanserv SOp #channel add nick or mask Reason
/chanserv AOp #channel add nick or mask Reason
/chanserv HOp #channel add nick or mask [reason]
Yeh commands aap ko Kamry kay Managers SOPs/AOPs dekha deingi
or Agar aap ka Kamra bara hay or SOPs/AOPs kis Fehrist bari hay too aap yeh command istemal kar saktay hoo
/chanserv Manager
#channel
list
wildcard
/chanserv SOp
#channel
list
wildcard
/chanserv AOp
#channel
list
wildcard
/chanserv HOp
#channel
list
(Misaal k tor per /chanserv aop #mychannel list g* jo urfi`naam 'g' say shoro hotay hain) or AOP fehrist main hain onki fehrist ajaigi)
Jo bhi list command aap istemal karain, har aik AOp/SOp ya Manager adad o shumar ke sath darj hota hai, jo ke is baat ko aasan banata hai ke zarurat parne par unhe ba-aasani kharij kiya ja sakay (neeche dekhiye).
4.2 Apne Channel Ke Amlay Ki Xlisting Karna
/chanserv Manager
#channel
xlist
/chanserv SOp
#channel
xlist
/chanserv AOp
#channel
xlist
/chanserv HOp
#channel
xlist
/chanserv VOp
#channel
xlist
Yeh command aap ke channel ke amlay ke baray mein wasee'h malumaat zahir karta hai, jaisa ke wo kab aur kis ki taraf se shamil kiye gaye thay, Mazeed, aap waja bhi jaan saktay hain ke wo channel mein kyun shamil kiye gaye thay.
NOTE: Sirf AOp aur is se upar walay he Xlist command janch sakte hain
Command ko Jari Karne Ki Misaal:
/msg ChanServ@services.dal.net VOp #Docsteam XLIST
-ChanServ- VOp list for #docsteam
1) h (h@2607:f8f8:790:5::1234)
Added by Fredfred!fredfred@dalnet on Mon 26-Nov-2018 09:38:15 GMT
Last Op Time: Mon 26-Nov-2018 10:21:26 GMT
Reason: Documentation Team Arabic Translator
End of list.
VOps ke baray mein mazeed malumaat jan'ne ke liye please dekhiye http://docs.dal.net/docs/chanservur.html.
4.3 Adding Channel Access
/chanserv manager #channel add nick
/chanserv sop #channel add nick or mask
/chanserv aop #channel add nick or mask
/chanserv hop #channel add nick or mask
in commands say loog SOP or AOP k ikhtiyarat diyeh jatay hain or Fehrist main shamil kia jata hay.
Note: Founder ab AOP/SOP/MANAGER/AKICK list may shamil nahi kar sakta hay.
Amoman, aap on urfi`namo ko sirf jamah kar saktay hoo jo kay darj hay. or dosri baat yeh kay aap unko unki Hostmask/IP say bhi jamah kar saktay hain agar zarorat paray to.
Agar onka Urfi`Naam darj nahi too onko kahoo kay apna Urfi`Naam ko darj karain pehlay. agar koi Urfi`Naam darj nahi hay or aap phir bhi onko AOP Fehrist main jamah karna chahtay hoo too onko onki IP/HOstmask say jamah kardein
aap ko dekh lena chahiyeh k onka Urfi`Naam darj hay yah nahi iss command say:
/nickserv info nick
Agar onka Urfi`Naam darj nahi too onko kahoo kay apna Urfi`Naam ko darj karain pehlay. agar koi Urfi`Naam darj nahi hay or aap phir bhi onko AOP fehrist main shamil karna chahtay hoo too onko onki IP/HOstmask say jamah kardein (dekhain His`sa 5).
Har Kamry main 300 AOPs or 100 SOPs jamah ho saktay hain. Agar aap issey ziada jamah karogay too chanserv aap ko khabrdar kardega.
Khaas: Loog NOOP set karsakty hain apna urfi`naam keh onko OP ki koi zarorat nahi. yeh dekhain /nickserv help set noop or ziada malomat k liyeh.
4.4 Channel Access ko Kharij Karna
/chanserv sop #channel del number or entry in list
/chanserv aop #channel del number or entry in list
/chanserv HOp #channel del number or entry in list
In commands say ham SOPs/AOPs ko khatam kar saktay hain. Or SOPs/AOPs apnay aap ko bhi inhi commands say SOPs/AOPs fehrist say khatam kar saktay hain.
Agar aap onky andraj ki bunyad per onkay Urfi`Naam fehrist ki tarteeb kay saath khatam kar rahay hain. tau SOPs/AOPs Fehrist kay numbers tabdeel hojatay hain aik SOP/AOP ko khatam karnay say. Is liyeh dosray AOP/SOP ko khatam karny k liyeh aap ko dobara say fehrist lena hogi.
4.5 VERBOSE ki Turz
Agar Verbose Option Kamry ki ON hay too agar aap kisi ko AKick/SOP/AOP main Jamah/khatam karty hoo tau Kamry kay tumam logo ko nazar ati hay or aap is Option ko iss command sey ON/OFF kar saktay hoo
Is Khsosiyt ko ON karny k liyeh
/chanserv set #channel verbose on
5 · Apni rasaai ki fehrist(access list)mein Adress Mask ko istemal krny ki Nasihat
Aam taur par op(@, %)ki rasaai ki fehrriston mein, urfi'naamo ka istemal behtar hota hai banisbat address masks ke, iski kai wajoohat hain:.
-
Aap hamesha jan saktay hoo kay kon HOP/AOp/SOp or Manager ki rasaai rakhta hay Kamry main.
-
Laikin yeh mumkin nahi koi ghalti karoo or sab logo ko AOP dena. ( misal k tor per agar aap nay * mask main kahin ghalat jagah add kardia ho.
-
Agar Kamry main koi aisi problem hoo kay koi aik jesi host/server use karkay aapkay Kamry main @OP ban jata hay AOP k ikhtiyrat say. yeh mushkilat aik asal shakhs k AOPs ko khatam kiyeh baghair bhi hal bhi hosakta hay.
yahan bas adress mask use karnay ka aik faida hay
-
kay aap aik sahi host mask ko shamil karkay OP khud`ba`khud ley saktay ho.
agar aap onko AOP host mask jamah karkay dena hi chahtay hoo to, too Ban Guide main adress mask ki tafseelat dekhain'
6 · Ghalat Logo Ko Access Dene Ke Masaail
(khaas: yeh hissa AOPs k baray main likha hay, laikin yeh sab SOP k liyeh bhi hay)
kuch martaba aisa bhi hota hay kay koi aap kay Kamry main ikhtiyar rakhta hay jabkay woh urfi`naam/mask kisi (AOP/SOP) ki rasaie fehrist main jamah nahi. iski wajah yeh bhi ho sakti hay kahin AOP yah SOP ki hostmask say oski hostmask mill rahi ho jokay nickserv ki rasaie fehrist main jamah ho.
Loog aap kay Kamry main OP hasil kar saktay hain. agar chanserv ghaib hay or Kamry aap ka empty hay too woh user jesay hi join karay ga too @OP banjay ga. kiyonkay chanserv DOWN hota hay isi liyeh kuch nahi hota.
Kuch log aisey bhi @OP hotay hain jo kisi dosrey AOP/SOP nay osko OP bana diya hoo wesay hi. Agar aap aisa nahi chahtay too OPGUARD option on Rakhain apnay Kamry ki phir koi bhi kisi ko bghair OP fehrist main shamil kiyeh nahi dey saktay.
6.1 Pata Lagana k Kisi kay Paas Ikhtiyarat Kyu Hain
agar aap dekhna chahtay hoo kay kisi Kamry main kisi ke paas HOp/AOp/SOp or Manager ke ikhtiaraat kyun hain tau aap ChanServ ki is command ke zariye ye jan saktay hain why:
/chanserv why
#channel
nickname
yeh aap ko wazaht dey gi k oskay paas ikhtiyarat kio hain. agar koi mushkil ho to aap osko arzi tor per khatam kar sakty ho.
6.2 Access/Rasahi Fehrist Main Masaiel
jab aap apnay Kamry main logo ko onkay Urfi`Naam say AOP/SOP jamah kar rahay hoo to. aur kuch Urfi`Naam jo aap kay Urfi`Naam may @OP banay bethay hain or jabkay woh AOP/SOP nahi asal main. too phir aisa ho sakta hay kay jo Urfi`Naam AOP/SOP jamah hay aap kay Kamry main oski Urfi`NaamServ ACCESS/Rasahi Fehrist main jamah hoie hostmask/ip oskay hostmask/ip say mill rahi hoti hay jiski wajah say woh @OP hota hay
too phir aap ko on AOPs/SOPs say rabta karna chahiyeh onko Memo karain (Agar woh online nahi) or kahoo kay apni ACCESS/Rasahi fehrist ko khatam karay. or jab bhi online hoey Password say apnay Urfi`Naam ko shanakht karway. aik arzi Hal yeh hay access/rasahi mask maslay kay liyeh woh yeh kay aap apnay Kamry ki IDENT option ko ON rakhain. takay jo bhi @OP Kamry main enter hoo to osko pehlay apnay Urfi`Naam ko identify karna hoga Kamry main acecss lenay kay liyeh.
Founder iss command say IDENT ko oN kar sakta hay.
/chanserv set #channel ident on
aap ko pata hona chahiyeh jab aap is option ko ON karty ho too jo adress masks jamah hain rasahi fehrist main woh kaam nahi karaingi.
/chanserv help set ident
Agar aap ko samajh nahi arahi k yeh nickserv ACCESS/Rasahi fehrist kia hay or kesay urfi naam ko baghair shanakht karay ikhtiyarat hasil kiyeh jatay hain too aap ko nickserv ACCESS/RAsahi k dastawizat parhny ki zarorat hay.
6.3 Napasandeeda OPs
Agarchey ChanServ aik kamray ka intizam sambhalta hai, tab bhi ye mumkin hai ke kuch log jo ke HOPs, AOps ya SOps nahi hain, channel mein ops(@,%) hasil kar lain. Aam taur pe aisa tab hota hai jab aik AOp unhe OPs kar de tau.
Agar aap bahesiyat channel ke Baani ya phir Manager aisa nahi hone dena chahtay tau aapko OPGUARD ke option ko ON rakhna hoga. Jab ye khasoosiyat ON pe qayam hoti hai, ChanServ logo ko ijazat nahi de ga ke wo aap ke kamray mein ops (@,%) hasil kar sakain (aarzi taur par bhi nahi) jab tak ke wo HOp/AOp/SOp/Manager main se na hon ya phir khud Baani bhi na ho. Agar kisi aur ne Ops de bhi di tau ChanServ usay foran ata de ga.
Isko ON karny k liyeh:
/chanserv set #channel opguard on
7 · AKICKs kiya hain
AKICK aik chanserv ki Option hay jo Kamry say tang karny walay logo ko Kick or ban rakhti hay. Woh jab tak Kamry main dakhil nahi ho saktay jab tak SOP yah Kamra founder onko akick say khatam na kardey.
Jab aap kici ko MIRC CLient kay Controle Bar say BAN kartay ho yeh /BAN yah phir /mode #channel +b mask type karkay kisi ko ban kartay ho to. in BANs ko arzi bans kehtay hain kionkay jab Kamra khali hota hay too yeh bans sab khatam hojati hain.
aam tor per Bans sirf arzi tor per mushkilat ko hal karnay kay liyeh set ki jati hay. agar koi shaks aap ko har bar tang karr raha hay Kamry main dakhil honay k baad. phir aap ko ossey hamesha k liyeh ban karna chahiyai
Iss sortayhal main aap AKICKs istemal karain takay Services os shakhs koo hamesha kay liyeh Kamrys say ban rakhay. agar woh dakhil honay ki koshish bhi karega too chanserv osko kick/ban kardega or chanel say BAHIR or han agar Kamra khali bhi hojay too yah BAN khatam nahi hoti.
8 · AKICKs Mein Kesay Shamil Ya Kharij kia Jaye
Sirf Kamry k FOUNDERs or SOPs kay pass taqat hoti hay kay woh Kamry main Akick jamah/khatam kar sakain, iss command say:
/chanserv akick
#channel
add
nickname [reason]
8.1 Mojoda AKICKs ki Fehrist lena
/chanserv akick #channel list
iss command say Kamry main mojod AKICKs ki fehrist ajaigi. or AKICK ki fehrist sirf AOP, SOP or FOunder dekh saktay hain. Akick ki fehrist Urfi`Naams or Numbers say ati hay taky asani say khatam kia jasakay.
8.2 AKICK ko Mask say Jamah Karna
/chanserv akick #channel add mask
Iss comman say AKICK main shamil karnay k liyeh aapko username hostname lazmi dena hay nickname!username@hostname.
iss command say ham Kamry main akick add kartay hain. aap ko user ki hostmask lazmi deni hoti hay. Misaal tor per: main nay kisi ko oski hostmask samait akick main shamil karna hay too main oss Urfi`Naam ki /whois longa phir Misaal k Tor per: meray pass yeh hostmask ati hay user@dialup22-81.provider.com or Kamra ka name #frogs hay too main isko add karnay kay liyeh Type karonga /chanserv akick #frogs add *!user@*.provider.com
Address masks par ban ke liye mazeed malumaat ke liye (jo ke bilkul usi terha kaam karta hai jaise ke channel mein AKICKs) bara-e-maherbani dekhiye Ban Guide
NOTE: Ye aapki marzi hai ke aap AKICKs karne ki waja bataen.
Yahan misal ke sath bataya gaya hai ke Peanutbutter ko kya dikhay ga ab use aik waja ke sath akick mein shamil kiya jaye ga tau:
* PeanutButter was kicked by ChanServ (User has been autokicked from the channel (Yahan mazeed aapko khush aamdeed nahi kaha jaye ga)
istrah say too ziada say ziada 200 akicks jamah kar saktay ho aik Kamry main
8.3 AKICK mein Urfi`Naam ko Jamah karna
/chanserv akick #channel add nickname
Agar kisi user ka Urfi`Naam darj hay too aap osko oskey Urfi`Naam say AKICK main add kar saktay ho. laikin yeh ziada behtar nahi rahay gi kiyonkay woh agar Urfi`Naam change karkay Kamra join kar sakta hay.
Agaar aap ko adress mask ki sahi tarah nahi samajh ati too aap kisi ko oskay Urfi`Naam say hi jamah karain AKICK fehrist main.
NOTE: Ye aapki marzi par muhasir hai ke aap akick ki waja batana chahtay hain ya nahi.
Misal mein bataya gaya haii ke Peanutbutter ko akick karne par kya dikhay ga:
* PeanutButter was kicked by ChanServ (User has been autokicked from the channel (aap ko mazeed yahan khush-aamdeed nahi kaha jaye ga))
Note: Founder ab AOP/SOP/MANAGER/AKICK list may shamil nahi kar sakta hay.
8.4 AKICK ko Khatam Karna
/chanserv akick #channel del number or mask
iss command kay zariyeh aap AKICK Ko khatam kar saktay hoo. Pehlay AKICK fehrist lain phir udhar say Hosmask ko dekhain yah phir number dekha karain or phir command main wohi number yah hostmask dekar khatam karain.
Agar aap onky andraj ki bunyad per onkay Urfi`Naam fehrist ki tarteeb kay saath khatam kar rahay hain. too AKICK ki fehrist kay numbers tabdeel hojatay hain aik Akick ko khatam karnay say. is liyeh dosray AOP/SOP ko khatam karny k liyeh aap ko dobara say fehrist lena hogi.
9 · Khulaasa
Managers/SOps and AOps woh log hotay hain jin par aap aitbaar kartay ain aur unhe kamray mein kuch ikhtiaraat dete hain. Doosri cheezon ke illawa iska ye bhi matlab hai ke unhe kamray mein dakhil hotay sath hi ops (@,%) de di jaye gi. Managers kamray ki kuch tartebaat mein raddo badal kar sakte hain, SOps/AOps/HOps and AKICKs ko shamil aur kharij kar sakte hain (sirf qabil e aitbaar sarfeen ko hi ye ikhtiaar hasil hona chahiye). SOps ke paas bhi AOps, hOps and AKICKs ko shamil aur kharij karne ka ikhtiar hota hai(hamesha ke liye kisi ko kamray se ban karna bhi), isliye aapko bahut ahtiat ke sath kisi ko bhi SOps ya koi bhi ikhtiaraat dene chahiyen.
- Agar aap ko kisi per Bharosa hay or Aap Chahty ho k Woh Aap k Kamry ka OP ho
-
Likhain /nickserv info nick issey aap check karty ho k os shakhs ka Urfi`naam darj hay yah nahi agar nahi too osko karny ko kahain. jab aap ko yaqeen hojain too likhain. /chanserv aop #channel add nick.
- Agar aap ko SOP ki zarorat ha, or Aap ka Channek Bara hay Or aap ko Kamry ko chalany k liyeh AOPs ka intekhab karny wala chahiyeh
-
aap ko bari chan been or soch samajh k SOP deni chahiyeh. or oska Urfi`Naam darj hona chahiyeh, phir yeh likhain /chanserv sop #channel add nick.
- Baad azaa'n agar kabhi aapko apne kamray se kisi HOp, AOp, SOp or Manager ko nikalne ki zarurat paray, is waja se ke unho ne aapka aitbar taur diya ya IRC chor ke chalay gaye ya kisi bhi waja se
-
Likhain /chanserv HOp or AOp or SOp or Manager #channel list . Jab aapko us shaksh ki entry pata chal jaye tau aap number note kar lain aur type karain /chanserv HOp or AOp or SOp or Manager #channel del number .
- Agar aap nay kisi ko hamesha k liyeh ban karna hay
-
Aap (yan aik SOP nahh k AOPs) AKICK fehrist main logo ko jamah kar sakty hain /chanserv akick #channel add mask , Jahan mask aik umda ban mask hay kisi tung karny walay k liyeh. aap kisi ko AKICK say khatam kar sakty hain badd main bilkul AOPs or SOPs ki tarah. (dekhain His`sa 8 .)
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.