Am`mal Karn k Liyeh Aam DALnet/IRC k Mashwary

Version 1.0.0


Akhri bar tarjama kia giya Leo`King () or Heroic () per 2006-03-28

Asal main likha giya Wuher () or Mystro () per 2000-10-22

Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.

Taa`urf

Yeh Documents Dalnet IRC Network kay qanoon keh baray main malomaat rakhtay hain. Or ismain kuch Aaam IRC k Mashwary bhi mojood hain. Khastor per na`ay Shakhs kay liyeh..

Muwaad

1 · Aam DALnet ka Tarz`e`Amal

Ziada Mushtahir Karna

Ziada Mushtahir, woh peghamat hain jiskay zariyeh loog or Kamra apnay Kamry/websites/Other Networks ki ishtehar bazi kartay hain. Jo yeh karta ho woh ziada tar Kill kardia jaata hay. agar woh isko jari rakhta hay too osko NetWork Sey BAN kardia jata hay. agar tum chahtay ho kay loog aap kay Kamry mein dakhil hon, koi dosra tareqa dhondey jesay koi acha sa Topic set karain, or apnay friends ko kahain kay woh aap ka Kamry mein dakhil hon

Ziada Muhtahir k Tarz`Amal ki ziada malomat k liyeh yeh dekhain http://kline.dal.net/massads/mup.htm.

Ham`Tarz

Ham`Tarz ka matlab hay kay aik hi IP/Computer/Hostname say ziada connections ko kehtay hain. Kuch servers nay istrah kay connection ki limit 2 set ki hay. Aik sey Ziada Client connect karnay say pehlay aap ko MOTD ( Messege of the Day,) ko zaror read karain Server ko use karnay sey pehlay. Thori bohat Ham`Tarz ki SAZA Just KILL hoti hay. agar aap Ziada karogay too aap ko Network say BAN kardia jayga.

Pareshan Karnat

IRCops or dosray loog Dalnet Staff k jinko preshan karnay say aap ko kill hosakti hay or shayed BAN bhi kia ja sakta hay. Agar aap ko koi preshan kar raha hay too aap osko Kamry say BAN yah phir /Ignore kar saktay hoo. Agar woh aap ko Musalsal Preshan kar raha hay too aap #OperHelp per Report Kar Saktay ho. Or ziada Wazaht k liyeh ttp://docs.dal.net/docs/netiquetteUR.html

Naa`ib Kholna

Kuch tima zarorat parnay per Naa`ib Kholna se istemal ki ja sakti hay. Nahi Too Naa`ib Kholna k zariyeh istemal karny ki ijazat nahi hay kay aap Naa`ib say kisi ko preshan karoo or Server koo tungg karoo. Wesay bhi DalNet kay pass aik WinGate BOT hay jissey woh Tumhari Mirc Clients main istemal honay wali Ports ki jaanch karta hay agar koi bhi Naa`ib Kholi hui mill jay too aap ka Connection nahi hoga or ziada wazaht k liyeh http://kline.dal.net/proxy/index.html

Services Ko Tungg Karna

Services ko Tung karnay main bohat c cheezain ajati hain. jesay kay bohat saray nicks ko register karna or yah phir ChanServ yah NickServ kay sath Commands ka bohat ziada istelam say tungg karna. Agar aap kay pass koi bhi aisa question jo kay Services Tung karnay waly ka hay rabta karain isper sabuse@dal.net.

Mukhtalif Mushkilat

Nuking or Packeting say server per hamla karna.or yah phir koi bhi aisi wesi cheez ka istemal karna jiska Dalnet sey koi Rabta hi nahi. yah phir kisi bhi Nick Kamry ko hack karnay ki koashish karna too aap ko Kill hojaigi for more info yeh dekhain http://www.nohack.net.

2 · Server ka Tarz`e`Amal

Bots

jesay kay Servers yeh mutayin kartay hai MOTD messege per kay konsay bot ki ijazat hay or konsay nahi hain. laikin saray server nahi batatay hain kay konsa BOT ki ijazat hay or konsa ki nahi hay.or kuch server ijazat hi nahi detay. agar aap koi bot istemal bhi kar rahay hoo to yeh maloom hona chahiyai kay woh Bot Ishtehar Bazi/Hamlay/Ham`Tarz too nahi kar raha.

Agar aap nay nahi dekha MOTD ka to yeh likhain /MOTD or dekhain kay Bots ki ijazat hain yah nahi. agar hain too kis kisam kay Bots ki ijazat hay Agar tum Server ko use karna chahtay ho aik bot ki tarah apnay kamry k liyeh too likhain /admin or Administrator say baat karain. agar koi aisa BOT server per nazar ajay jiski ijazat nahi ho woh Klined hojay ga. BOTs k tarz`e`amal k liyeh server main iski fehrist yahan mojon hayhttp://help.dal.net/faqs/Botsallowed.txt. or aap yeh bhi parh sakty ho http://docs.dal.net/docs/botfaqur.html.

3 · Aam Kamry ki Dhandliyan

Chagh`Yani

Chagh`Yani ka matlab yeh hay kay aap bohat saray messeges thoray say time main Kamry main bhaijtay hoo. yah phir koi copy karkay paste kardetay hoo yah phir koi Chagh`Yani karny walay BOT banatay hoo jo Coding kay zariyeh Chagh`Yani karta hay ossko Flood kehtay hain. is Flood say bachnay kay liyeh kafi Kamrys main Scripts or BOTs hotay hoo Chagh`Yani karnay walay ko Kic-Ban kartay hain or Chagh`Yani ko roktay hain. isi liyeh aap kay liyeh yehi TIP hay kay apnay messege ko koshish karain aik hi line per complete karain or woh line ziada lambi bhi na hoo. or os line main 350 words aap type kar saktay hoon kamsey kam.

Duh`Rana

Duh`Rana ka matlab yeh kay aap aik hi line ko bar bar Duh`Raya hoo yah apnay messege ko bar bar send kartay hoo Kamry main woh bhi thoray say hi time main too osko Duh`Rana kehtay hain. Too is Duh`Ranay ko bhi roknay kay liyeh kuch Kamrys kay pass Script or Bots hotay hain joo iss Chugh`Yani ko roktay hain

Op Mangna

Tumhay kabhi bhi kisi Kamry per yeh nahi pochna chahiyai hay kay aap ko onkay Kamry per OP chahiyai. agar aap nahi rukty hoo too aap ko Kamry say Kick/Ban kardia jaiga. aap ko OP bannay kay liyeh onkay Kamry per Baqaida ana jana chahiyai or aap ko commands ka kuch pata hona chahiyah. or wahan kay users say aap kay releations Achay honay chahiyai.

4 · Nateeja

jitnay bhi qanon yahan likhay gaie hay inper Pehra`e`Amal karna bohat asan hay. sirf scohain. Also, jabb bhi aap server say connect hon MOTD lazmi parna chaiyeh. Kamry mein jab aap dakhil hotay ho too Kamry kay Topic or onki jamah huie URLS ko dekha karain. agaar aap iss "netiquette" k baray main pareshan hain too, hamary dastiwazat dekhain or woh yeh hain http://docs.dal.net/docs/netiquetteur.html.