Services aur IRCop Impersonators

Version 1.0.2


Akhri mein anoovad kiya gaya Jayu () se tarikh 2005-11-18

Akhri mein likhwaya gaya Fredfred () se tarikh 2005-11-18

Asal mein likhwaya gaya Kzoo (), LadyDana (), or Pyr0s () se tarikh 2001-01-22

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Mulakat

DALnet per naye users kabhi-kabar apne passwords DALnet services jaisi dikhnewale ya nakali IRC Operator ka chalaki se dhong karnewale ko galti se de dete hai. Nakali serivces ka prayog karenewale users DALnet services jis tarah hoti hai ya yun kahe ki dikhti hai, bilkul aisa hi inke saman milte-zulte naam ka istemal karke murkha banane ki koshish karte hai aur nakali IRC Operators banke dhak-dhamaki ka istemal karte hai. Yeah dono tarike woh naye bin anubhavi users per jyadatar karte hai. Kai bar users ko sahi mein madad chahiye hoti hai aur woh galti se unse madad mang betha te hai jo ki vastavik mein IRCop nahi hain. Tab woh galat inshan ko passwords ya aisi hi dusari apni personal mahitiya de dete hai.

Iss dastavez ka hetu DALnet ki vastavik services aur vastavik IRCop ko kaise pahechane yeah samjana hai. Yeah bhi suzav diya gaya hai ki nakali identifying ka sandesh hoga to woh kaise dikhta hoga taki aapko pahechan ne mein ashani ho.

Suchi

1 · Nakali Services

Nickname aur passwords churana chahate hai woh users nakali DALnet Services ka istemal karne ki koshish karte hai aur private mein aapko passwords ke liye puchate hai. Aagar aap apna nickname kho dena nahi chahate ho to waha per kuch aisi bate hai jisi aap apne drashtikon mein bethale.

Sabse pahele, aap aapne DALnet password ka istemal kisi bhi dusare network per na kare aur chahiye ki aap apna password niyamit badalte rahe - bus use bhool mat jana :>

Kai users ne bhootkal mein dusare network per jaa kar waha ki services ko apna password de kar apne nicknames kho diye hai.

Yeah bhi eek acha suzav hai ki aap command apne Status window (agar ho to) per likhe jisse aap bhool se apna passwords kisi khuli huvi channel ya private chat window per naa bhej de.

Aur Dusra, aap nakali Services ko DALnet per kaise pahechane yeah sikhna bahut jaruri hai.

1.1 NickServ ke sath identify karne ke raaste

DALnet Services ke sath identify karne ke liye waha per kai raaste hai; kuch salamat hai, to kuch nahi. chalo dekhate hai ki Nickserv aapko kya karne ke liye sikhata hai.

Agar aap registered nickname ka istemal kar rahe hai to, aap aisa payenge:

-NickServ- This nick is owned by someone else. Please choose another.
-NickServ- If this is your nick, type: /msg NickServ@services.dal.net IDENTIFY password

ENFORCE vikalp aab nickname register karte hi apane app set ho jata hai. Agar aapne ENFORCE vikalp ko ON kiya huva hai to, aap tishari line aisi dekhenge:

-NickServ- Your nick will be changed in 60 seconds if you do not comply.

Ishliye, aapko istemal karna chahiye:

/msg NickServ@services.dal.net IDENTIFY password

Ya iin mein se bhi koi built-in commands ki jo NickServ ke sath identify command ka hi ek hissa hai.

Yeah sab built-in commands hai:

/nickserv IDENTIFY password
/identify password
/services IDENTIFY password

Jo users apne dusare nick ko identfiy karna chahate ho ki jo woh us waqt istemal nahi kar raha hai to, iske liye yeah vibhin commands hai:

/nickserv IDENTIFY nick password
/identify nick password
/services IDENTIFY nick password

Kripaya yeah apne dimag mein bitha le ki aapka IRC client aapko upar diye built-in command ka istemal karne se rok sakate hai. Aise mein, hum aapko /quote upsarg ka istemal karne ka suzav dete hai yeah aapke identification command ko sidha server per bhej dega.

Examples:

/quote nickserv IDENTIFY password
/quote identify password
/quote services IDENTIFY password

Akhir mein, yeah commands yaad rakho aur dusre kisi bhi vibhin commands ka istemal na kare. DALnet kabhi NickServ ka naam badal kar dushra nahi rakhega. Agar aapko iss mein koi sandeh hai to aap humesha DALnet per bani in madad karne wali channels per ja kar puch sakte hai, jaise ki #DALnetHelp, #Help aur #IRCHelp.

1.2 ChanServ ke sath identify karne ke raaste

NickServ ki tarah hi, ChanServ ke sath identify karne ka sahi raasta aisa hoga:

/msg chanserv@services.dal.net IDENTIFY #channel password

Waha per bhi tin built-in commands mojood hai:

/chanserv IDENTIFY #channel password
/identify #channel password
/services IDENTIFY #channel password

Phirse eek baar, agar aapko aapke IRC client ke sath yeah commands istemal karne mein pareshani hai to /quote upsarg ka istemal kare:

/quote chanserv IDENTIFY #channel password
/quote identify #channel password
/quote services IDENTIFY #channel password

Aagar aap kisi chiz mein adhure hai ya sandeh hai to DALnet ki help channels mein ja kar puch sakte hai. #DALnetHelp, #Help ya #IRCHelp jo ki humesha aapke liye hi hai.

1.3 Auto-Identification karne wali Scripts

DALnet, auto-identification karnewali scripts ka istemal karne ka suzav kabhi-bhi-nahi aur protsahan bhi nahi deta. Scripts chalaki ki chiz hai. Waha per kai tarah ke inshan hai jo aise scripts de kar users ke passwords churane ki koshish karte hai aur aisi script jab aap baat-chit ke liye online ho tab unko satat sandesh bhejti raheti hai ki aap kya kar rahe hai.

Jyada mein, aapki us script per jinka kabhu hai unke liye aapka password churana koi badi baat nahi hai. Yeah bhi ho sakta hai ki user naa chahate huve bhi bhool se apni woh script kisi dusare inshan ko dene mein apna nickname aur channel ke passwords bhi de de.

Asalamat script bhi password ko vastavik Services ke badale nakali services ka dhonga karnewalo ko bhej de aisa bhi ho sakta hai.

1.4 'Nakali' DALnet Services ke bahane

Baar-baar, Adham inshan nakali DALnet Services ka istemal karte hai. Isske liye jyadatar sabse pahechana gaya raasta yeah hai ki, vastavik Services se bilkul milta-zulta nickname ka istemal karna. Hum saru kare usse pahele, vastavik Services kaisi dikhati hai yeah aapko achi tarah maloom hona chahiye.

NickServ is service@dal.net * Nick Registration Service
NickServ using services.dal.net DALnet services home base
NickServ End of /WHOIS list.

ChanServ is service@dal.net * Channel Registration Service
ChanServ using services.dal.net DALnet services home base
ChanServ End of /WHOIS list.

Note: Yeah mamoli baat hai ki aap jab /whois ChanServ kare tab aap ChanServ ko humesha alag-alag channels mein dekhe, kyoki yeah satat channels per masskick karne ke liye jata raheta hai. for example:

ChanServ on @#randomchannel #Dragonrealm #chatzone

Nakali Services ka istemal karnewale vastavik Services jaisa nicks aur Real Name ka istemal karte hai, unse bil-kul milta-zulta nick aur Real Name ka istemal karke aapko murkha banane ki koshish karte hai. Niche bahot ache example diya gaya hai:

NickSrve is service@mc-38-214.tm.net.my * Nick Registration Service
NickSrve using twisted.ma.us.dal.net Global NAPs - Quincy, MA
NickSrve End of /WHOIS list.

Kyoki woh chahate hai ki aap aapna password unko de de aur isske liye woh aapko bil-kul aisi notices ya sandesh bhejenge jaise ki vastavik Services aapko bhejti hai:

-NickSeve- This nick is owned by someone else. Please choose another.
-NickSeve- If this is your nick, type: /msg NickSeve IDENTIFY password
-NickSeve- Your nick will be changed in 60 seconds if you do not comply.

Waha per nakali Services ka istemal karnewale harroj aise kai nicks istemal karte hai. Un sabhi ki suchi dena namumkin hai, phirbhi, aapki chahiye ke aap sachet rahe aur agar koi aapko aisa command istemal karne ko kahe ki jo aage diye gaye Vibhag 1.1 mein samil naa ho to istemal naa kare. Dusra acha suzav aise nakali Services ko pahechan ne ka yeah hai ki , yeah note kare ki woh kis server per hai. DALnet ki vastavik Services humesha services.dal.net per hi pai jayenge.

Akhir mein, nakali Services yeah raaste apanayegi ki, woh aapko yeah dava dengi ki agar aapne apne nick aur channel ko unke sath identify nahi kiya to aapka nickname aur channel drop yani bandh ho jayege, aur woh kahete hai ki woh vastavik services ka hi dusra bhag hai yani "back-up" hai. Aap un per dhyan na de. Agar aapko aisa lage ya sandeh ho ki yadi woh jo kah rahe hai woh sach to nahi hai naa, to aap humesha humari help channels per ja kar pakka kar ke nishchint ho sakte hai.

2 · Nakali IRCop

Jyada mein waha aise users bhi hai ki jo nakali Services hone ka dhong karte hai, to waha per kai aise bhi users hai jo nakali IRC Operator hone ka dhong karte hai. Woh dhak-dhamki ka sahara lete hai ("mein tumko klined kardunga" yeah prasidha hai) aur woh dhamka ke aapse aapki jankari ya mahiti aapse chinna chahate hai, nahito unko aap mein koi dilchaspi nahi hai.

2.1 Passwords kahna

Yadi koi aapko sandesh bhej kar aapke password ke bare mein puche to unko kabhi bhi apna password batana nahi. DALnet staff kisi bhi users ko password ke liye sandesh nahi karte. DALnet aapko email bhej kar bhi password ke liye kabhi nahi puchta. Aap achanak aisa koi sandesh paye jis mein aapko aapke password ke bare mein pucha gaya ho, aur aap usey maan le aisa koi karan hi nahi hai.

2.2 IRC Operator ko kaise kahe?

Jab kisi inshan ko IRC Operator banaya jata hai, tab unke access ko khas server ki IRCd mein likha hata hai. IRCd ek aisa program hai jo DALnet per sab dusare server ke sath hota hai, yeah ircd sab server ko chain ki tarah sayukt kardeta hai. Aur ishke aur bhi kai istemal hai per unsabka is dastavez se koi lenadena nahi hai or yaha upyogi bhi nahi hai. Kyoki IRC Operator ke access ko IRCd mein likhe jate hai, ishliye yeah IRC Operator ko pahechan leta hai jab woh IRC Operator ko khas command ka istemal karta hai. Yeah 'opering up' kahlata hai. Jab IRC Operator aise 'opers up' ka istemal karte hai, tab IRCd us inshan ke access ko pahechanta hai aur woh IRC Operator ke /whois. mein ek alag line samil kar deta hai yeah line apne aap hi ajati hai jo batati hai ki,

Heathcliff is an IRC Operator

Jab aap koi inshan IRC Operator hai ya nahi yeah dekhne ke liye usski sabhi mahiti check kar rahe ho tab, yeah kuch aisa dikhega:

Heathcliff is moi@pp326.sometimes.net * Wherever you go, there you are.
Heathcliff using jade.va.us.dal.net Hell hath no fury like a woman scorned for Sega.
Heathcliff has identified for this nick
Heathcliff is an IRC Operator - Services Administrator
Heathcliff End of /WHOIS list.

Agar aap /whois mein apne aap ane wali woh line naa dekhe tab, koi aapko murkh bana raha hai yeah samjlena. Agar aap soch rahe ho ki kadachit woh inshan IRC Operator hoga to, to us inshan ko 'oper up' karne ko kahiye aur baad mein /whois laga kar woh line dekhe jo batati hai ki woh inshan sahi main oper hai. Yadi agar woh line naa dikhe to, jald hi dusare apne kaam karne mein vyast ho jate aur agar woh inshan tab bhi aapko baar-baar pareshan kare to use ignore list mein rakh de.

2.3 'Nakali' IRC Operator ke bahane

Waha per IRC Operator jaisa dikhava karne ki koshish karne ke liye kai raaste hai. Unn meinse ek sabse jyada istemal hone wala raaste yeah hai ki apne nick aur username ke sath 'oper' shabd ka istemal karna. Yaha per kuch example rakhe gaye hai.

OperHelper is IRCop@DL34.really.net * IRC Operator

IRCopper is oper@23673.pretend.net * I'm a IRCop and I'm gonna get you

Dusari chiz, nakali oper apna away message rakh sakte hai ki jisse unke /whois mein woh vastavik 'oper up' mein jo line ati hai unse milti-zulti line dikhe. Example aisa ho sakta hai,

OperMan is MircOper@ppp317.wonderful.net * Your busy IRC Operator
OperMan using jade.va.us.dal.net Hell hath no fury like a woman scorned for Sega.
OperMan is away: IRC Operator - Services Administrator
OperMan has been idle 18mins 12secs, signed on Sat Oct 21 19:12:13
OperMan End of /WHOIS list.

In dono lines mein tafavat dekhe.

Heathcliff is an IRC Operator - Services Administrator (vastavik)

OperMan is away: IRC Operator - Services Administrator (nakali)

'away' ke baad jo : hai usko note kare. Iss inshan ne vastavik oper jaise dikhne ke liye aise away message ki koshish ki hai. Yeah bhi note kare ki user ka nick identified nahi hai. Yeah shambhavit registered hoga bhi nahi. Waha per kuch aise nicks hai jo kai users ke dwara abused yani galat istemal kiya gaya hai aur nakali opers ke liye bhi istemal kiye gaye hai, ishliye aise kai nicks ko registered karne ki izazat nahi di gayi. Aap yeah bhi dekhenge ki wah inshan apne IRC Operator hone ki jitni woh karsakta hai utni badaiya karega. Vastavik opers ko ishki koi jarurat hi nahi hai. woh ekk line hi sab kuch kah deti hai.

2.4 Sankshipt

Waha per kuch aise users hai jo bahut ache nahi hai, jo nakali IRC Operators ka dhong karte hai. Woh kabhi kabar dusaro ko dhamkate ke liye aur kabhi kabar wah user se unke passwords hansil karne ke liye istemal karte hai, jisse woh nicks aur channels chura sake. Users ko yeah maloom hona chahiye ki woh aise bure logo se apne aap ko kaise bachaye.

DALnet khud password ke liye kabhi sandesh nahi dega. Agar aisa lage to, mat dena.

DALnet aapko password ke liye kabhi email bhi nahi bhejega. Agar aisa koi mail aye to, mat dena.

Agar apko koi aisa dava kare ki woh IRC Operator hai to, /whois nick command ka istemal kare.

whois ki mahiti mein, woh alag line dekhe jo batati hai ki So-and-So is an IRC Operator.

Yeah pakka kare ki jo inshan hai woh IRC Operator hi hai, woh line kahi away message naa ho.

Kabhi bhi apna password kisi bhi user ko mat dena.

3 · Baar-Baar puche jane wale sawal

Q: Mein nakali IRCop aur Services ke bare mein suchana kaha du?

A: Aap aise banav ko #OperHelp mai ya khud IRCop ko iss dastavez mein diye gaye anushar dhundha kar use suchana de http://docs.dal.net/docs/findoperhi.html.

Q: Waha per koi aam chiz hai jisse mein nakali Services ko pahechan saku?

A: Haa, agar woh NickServ aur ChanServ ki bajeh dusra nick istemal kar rahe ho to woh vastavik nahi hai. Services humesha services.dal.net server per hi hogi.

Q: Meine apna nick/channel nakali Services ko de ke kho diya hai. kya aap woh muje wapis de sakte hai?

A: Nahi, aap ke dhyan mein rahe ki password ki salamati aapki khud ki jimmedari hai. Jab bhi aap kuch kar rahe hote hai tab waha per kai DALnet ke users aapke uper nazar rakhe hote hai. Hum apni taraf se aapko pure sadhan/ strot deta hai jaise ki, salamati ki suchna, dastavez aur DALnet ki khud ki help channels mein staff. Ishe ek Sabak samje... aap aisi galti dubara nahi karenge.