1 · Jmirc kahan se hasil kiya jay
Jmirc hasil kerny ke liye aur usy instal kerny ke liye apny java mobile ke wap browser mein likhainhttp://jmirc.sf.net/jmIrc.jad phir mehfoz ker ke install ker lein. Jab mehfoz karlain to apny mobile ke File Explorer ya File Manager mein jain (Ya phir apny mobile ke lehaz se choose ker lein) Wahan je ker Jmirc client ko select karein to wo khud ba khud install hojay ga.
2 · Jmirc ke connections kaisy set kerty hain?
MIDlet manager per click karein to wahan ap ko Jmirc client mily ga , wahan ap ko Jmirc ki ta`rufi file mil jay gi "JmIRC 0.95" By juhovh". jab ap client ko khol lein wahan ap ko client ki sedhi taraf per Menu ka option mily ga. Menu per click karein to ap ko wahan 4 intekhab milein ge. Profiles, Advanced, HTTP Config, and Connect . Profile ko edit ker ke ap apny nicknames , channels , server , aur port de sakty hain. jab ap sab kuch wahan likh dein to save per click karein iss taranh PEHLA hissa pura hogaya..
Ap Jmirc ki mazeed setting , jaisy keh timestamp, use colours, use mIRC colours waghera iAdvanced ke option se ker sakty hain. Apni marzi ki settings ke baad save pe click karein DOSRA hissa pura hogaya.
HTTP Config ko eidt kerny ki zaroorat nahi keun jaisy hi ap kisi irc server se connect hogay to setting khud ba khud save hojain gi. Ab ap ki sabhi settings puri hogain.
3 · JmIRC ki Commands
Aik IRC server say Connect Hona
Ap ne apna irc server Profiles ake options mein set ker liya tha ab ap ko sirf Connect per click kerny ki zaroorat hai.
NickServ say Identify karna
/msg nickserv@services.dal.net IDENTIFY
password
(Maslan: /msg nickserv@services.dal.net identify docsteamrocks)
ChanServ say Identify karna
/msg chanserv@services.dal.net IDENTIFY #channel
password
(Maslan: /msg chanserv@services.dal.net identify #love-u babyiloveyouthisssssmuch)
Memos ki List Dekhna
/msg memoserv@services.dal.net
list
Jab ap Nickserv , Chanserv , Memoserv , se mutallik koi command dein ge to un ki taraf se jawab ap ke status mein aajay ga ap apny status mein in commands ke shortcuts bhi asani se likh sakty hain , Maslan nick identify kerny ke liye /msg Nickserv@services.dal.net ki jagah ap sirf "identify password" , memo ki list ke liye identify password, read 1, read 2, del 1, ghost nickname waghera istemal ker sakty hain. ye sab services ke shortcuts hain. :)
Apni marzi ka channel join kerna
Jmirc client ki right side per mojood "Menu" per click karein wahan Join per click ker ke jo channel ap join kerna chahty hain wo likhain.
Jmirc irc ke dusry client maslan Mirc se mukhtalif hai.
/join #channel
Ye command Jmirc ke sath kam nahi kary gi balkeh iss ki jagah ***Unknown Command apko nazar ayga
Kisi channel ko chorny ke liye
"Menu" per click karein or kisi channel ko chornay k liyeh close par click karain.
Yahan aik or command hain channel ko chornay k liyeh kisi bhi pegham k sath, likhain
/part #channel
message
(Maslan: /part #docsteam brb)
Apny nick ke sath koi action show kerny ke liye - * YourNick kuch karta hay
/me action to
perform
(Maslan: /me tickles fredfred)
Kisi channel ya user ko CTCP bhejna
/ctcp [channel/nick message]
Kisi user ko kick karna
/kick #channel nickname pegham
(Maslan: /kick #docsteam badass Meharbani say Apna nick Tabdeel Karain!)
Jmirc mein kisi bhi user ko kick kerny ke liye ek aur tareeka bhi hai , Ap right side per mojood Menu mein jain wahan
names ke option ko select karein to us Channel mein mojood sabhi users ki list ap ke samny aajay gi wahan se jis user ko kick kerna hai us per click karein aur kick par click kar dain. Magar ye tareeka thora mushkil hai keun keh ager us Channel mein kafi users houn to ap ko ek ek ker ke us mein se us user ko dhoondhna parry ga jisy ap kick kerna chahty hain :)
Kisi ko message bhejny ke liye
/msg nickname message
(Maslan: /msg Zappu Hello dude.)
Message k sath quit karnay k liyeh
/quit message
(Maslan: /quit do not argue with fools.)
Channel k topic ko badalnay k liyeh
/topic new topic
(Maslan: /topic #docsteam main khushamdeed)
Per topic tabdeel kerny ke liye ap us channel mein mojood hona chahiye
/topic #channel new topic
Ye command Jmirc ke sath kam nahi kerti balkeh iss ki jagah show hoga ***unknown command
Whois a nickname
/whois nickname
(example: /whois FakeID)
JmIRC client sirf dikhata hay Nickname, username, IP address, server name, idle timer /whois list main.
4 · Keyboard kay Options
0 and 8 - Ek line uuper ya neechy dekhny ke liye.
4 and 6 - Agly status ya channel pe jany ke liye.
1 and 7 - Sabse Upar ya Nechay jany ke liye.
3 and 9 - kisi bhi ek page ko uuper ya neechy kerny ke liye.
* - Msg likhnay ke liye ek mukhtasir rasta.
0 - Pasandeda msg menu ka mukhtasir rasta.
# - Status line on-the-fly ko enable ya disable kerny ke liye.
5 and # - 5 aur # ko ek sath ek second dabany se ap keyloack enable ya disable ker sakty hain.
5 · Madad
Ager ap ko Jmirc client ya kisi bhi dusry client ko DALnet ke sath connect kerny ke liye koi bhi mushkil paish aay to ap hamary offical help channels join ker sakty hain #IRChelp, #DALnethelp, and #Help aur iss ke ilawa kuch aur channels bhi hain jahan ap ko madad mil sakti hai #mIRChelp, #new2irc, #newbiehelp, #ircnewbies Jahan Sawalo ka Jawab Muskaraht k sath diya jata hay :)
6 · Nateeja
Ye achi bat hai keh hum aisi cheez ke bary mein jaan lein jisy hum ne pehly kabhi use nahi kiya tha ya hum usy use nahi ker sakty they. Jmirc takreeb Mirc aur dusry clients se milta julta hai bus iss ki commands , choti screen , chota keyboard aur typign isy dusry clients se alag kerti hain. Mager ye aur bhi acha hoga ager hum irc ke dusry clients ke bary mein bhi kuch jaan sakein. Jmirc ki ye help file ap ko The DALnet Documentation Team ki taraf se mili hai aur hum umeed kerty hain keh ap ko aagy barrhny mein madad de gi. Khobsurat Online Net :) Dekhain http://docs.dal.net Mazeed Malomaat k liyeh.
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.