1 · Avashaktaaein
Kuch sadharan avashaktaaein hai jiske pehle koi bhi user MemoServ se memos bhejna shuru karein, woh kuch is prakar hain:
Memo bhejne wala aur receive karne wala dono ke nicknames registered hona jaroori hain. Jab user memo bhejta hai toh uska nickname registered ho. Waise hi jab receiver memo receive karta hai toh uska bhi nickname registered hona chahiye.
Koi bhi message jab memo dwara bheje jaate hain toh woh 255 characters se adhik nahi hona chahiye. Yaad rahe, memo ka matlab ek chota sa note hain. Agar aap lambe message bhejna chahte hain toh Email ka istemaal karein na ki memo ka. Aap apne message ko 2 memo mein bhi baat saktein hain, par sojjhav hai ki email karein toh behtar hoga.
Jyada tar logon ko memo feature pasand hota hai, par kuch aise bhi log hain jinko bar bar memo receive karna pasand nahi hota Is kaaran se DALnet unhe memo OFF karne ka vikalp bhi pradan karta hai, Yeh feature aage jaake visthar mein hum dekhenge niche jaake.
Kuch aur avashaktaaein hai jiske pehle memo bhej saktein hai aap, unhe hum dekhenge kaise woh memo bhejne par prabh daal sakte hain aage jaake.
2 · Memos Bhejna
Memos teen tarike ke hote hain. Personal memos, channel memos aur global memos. Global memos ko MemoServ NEWS bhi bola jaata hai, aur yeh sirf DALnet Administration dwara bheje jaa sakte hain. Iss feature ko hum aage jaake vistaar mein dekhenge is dastaavez mein.
Personal memos sirf kisi ek aadmi ko bheja ja sakta hai, wahi channel memos saare channel ke AOps/SOps/Managers ko bheja jaata hai. Jab channel memo bheja jaata hai toh woh duplicate copy banakar har nickname nickname joh AOp/SOp/Manager list mein usse mil jaata hain.
2.1 Personal
Personal memo is prakar bheja jaata hain:
/MemoServ send
nick
message
Example:
/MemoServ send PeanutButterLover I'm not going to be there tonight, catch you tomorrow!
Where "PeanutButterLover" is the person who I am sending this memo to.
2.2 Channel ops
Channel memos bhi issi sidhant par kaam karta hai. Haali ki har ek aadmi channel memo nahi bhej sakta. Jab channel sabse pehle register hota hai toh default roop se AOp level par set ho hain. Iska arth yeh nikalta hai ki, AOps/SOps/Managers saare channel memo bhej sakte hain. Agar Founder ne channel memo bhejne ki restriction SOp tak set ki hai toh sirf SOp's/Manager's/Founder hi channel memo bhej paygene.
/MemoServ send
#channel
message
Udharan:
/MemoServ send #peanutbutterlovers Hey everyone! I will not be around for the the next 10 days, if there are any problems then talk to one of the sops.
Upar dikhaya hua memo har ek AOp, SOp, Manager joh channel mein darz kiya gaya hai usse milega.
2.3 Channel sops
Agar aap koi memo SOps/Managers/Founder ko bhejna chahte hain yoh yeh karein:
/MemoServ sendsop
#channel
message
Udharan:
/MemoServ sendsop #peanutbutterlovers What does everyone think about aopping PeanutLovingLady? She has been around a lot recently ...
Channel memos bhejne se pehle, achi tarah soch vichar karlein. Agar yeh jyada tar logon ko bura nahi lagta toh aap channel memos bhejein. Aap jyada se jyada 5 memo bhej sakte hain ek vyakti ko. MemoServ aapki aage ki saare memo ko radh kardega bhejne se.
Har ek memo 255 characters se adhik ka na ho. Agar hota hai toh, memoserv aapko warning dega aur kam karne ke liye kehega. Niche dekhe udharan ke taur par jahan hum 288 characters ka memo bhejne ki koshish kar rahe hain, aur memoserv humein 33 characters kam karne ka soojhav de raha hai.
-MemoServ- Memos can be no longer than 255 characters. Your memo was 288 characters long. Please shorten it by 33 characters.
2.4 Ek naya tarika Memo bhejne ka
Yeh ek naya tarika hai chunne hue channel ops ko memo bhejne ka
/MemoServ sendchan
#channel
AOP|SOP|MANAGER|FOUNDER|ALL[+] message
Udharan:
/MemoServ sendchan #peanutbutterlovers MANAGER Yeh memo sabhi channel Managers ko jayega
/MemoServ sendchan #peanutbutterlovers SOP+ Yeh memo sabhi channel SOPs aur managers ko jayega.
Jyada jaankari ke liye /MemoServ HELP yeh command ka istemaal karein
3 · Memos ko padhna
Jab aap pejli baar apna nickname istemaal karenge, MemoServ aapko batayega ki koi memos padene liye hain ya nahi.
-MemoServ- You have 1 new memo. To list them, use: /msg MemoServ@services.dal.net list
Abh hum chalte hain dusre command par. Jaise naam padkar hi pata chalta hai, MemoServ LIST command aapko memos ki soochi dikhata hai. Yeh bhi batata hai kisne memo bheja hai, uska number, samay jab bheja gaya aur uska status (naya, pad liya gaya ya deleted).
/memoserv list
MemoServ LIST command apko pehle 20 memos ki soochi dikhaeyga. Agar aapko aage ke memos padne hai toh, toh kuch memos delete karne honge. Aap STARTPOINT vikalp ka istemaal bhi kar sakte hain apne memos ko padne ke liye. Udharan ke taur par:
/memoserv list 5
Yeh command aapko memos dikhata hai 5 se lekar 20 tak ke. Agar aap kaafi din se bahar the aur online nahi aa paye yeh vikalp kaafi saakar sabit hoga aapke liye.
READ command ka istemaal karenge jab memo ka asal content dekhna ho. Command niche dekhein:
/memoserv read
memo number
Jaise pehle bhi dekh kar aaye hum, memo number dekha jaa sakta hain output mein MEMOSERV LIST ke. Udharan ke taur par:
/memoserv read 1
IAgar aap ko ek se jyada memo receive hue hain aur aap un sab memos ko padna chahte hain toh, toh aap unhe ek saath pad sakte. Udharan dekhein:
/memoserv read 1,2,3
or
/memoserv read 1,3,5
Dhyaan dein: Saare memos apne aap 30 din baad delete ho jaate hain. Fir chahe aap unhe padein nah padein. Ek saath ek nickname 50 memos apne paas sambhal ke rakh sakte hain.
4 · Memos ko delete karna
Ek baar pada hua memo agar rakhna nahi chahte aap toh use delete kar sakte jain. Delete karna kisi bhi memo matlab do steps se gujarna. Pehle woh delete hota hai aur fir purged.
DEL command aapko ek ya ek se jyada memos delete karne deta hain. Deleted memos aapko tab tak dikhenge jab tak aap unhe purge nahi karte. DEL command ka syntax hai:
/memoserv del
memo number(s)
Udharan ke taur par:
/memoserv del 1
/memoserv del 1,2,3
/memoserv del 1,3,5
Yahan agar aao dekhein toh, DEL command ussi tarah kaam karta hai jaise ki READ command. Haala ki DEL command ek aur kaam karta hai joh READ nahi kar pata, aur woh yeh hai:
/memoserv del all
ALL switch istemaal karne pe saare memos ek saath delete aur purge hojaate hain ek saath. Ek baar yeh command chalane par wapas nahi jaya ja sakta, aur memos wapas nahi la sakte. Haalaki aap delete kiye hui memos ko undelete kar sakte hai unke number dekh kar:
/MemoServ undel
memo number(s)
Udharan:
/MemoServ undel 1
/MemoServ undel 1,2,3
/MemoServ undel 1,3,5
Koi bhi memo do tariko se purge hote hain. Saare memo delete aur purge ho jaate hain jab aap apna nick istemaal karna band kar dete hain, ya fir aap command dwara unhe purge kar saktein hain delete ke baad.
/memoserv purge
Ek baar purge chalane par, woh memo firse wapas nahi la sakta koi bhi. Is kaaran ourge bade hi sambhal kar istemaal karein.
5 · Memos ignore karna
Abh users dusre logon ko varjit list mein daalkar unke memo receive karna band kar sakte hain, yeh dekhein
Syntax:
/memoserv ignore
add
nick or mask
/memoserv ignore
del
nick or mask
/memoserv ignore
wipe
/memoserv ignore
list
Pehla command aapko nickname ko ignore list mein daalne ka vikalp deta hai. Aap nickname ke bajaye mask bhi daal sakte hain. Is ke baad woh aapko memo nahi bhej payenge.
Dusra command aapko nicks ya masks nikalne ka vikalp deta hai aapki ignore soochi mein se.
TTeesra command aapko ignore soochi ko poori tarah saaf karne ka vikalp deta hai, fir usmein chahe nickname ya masks ho(ya fir dono hi hon). Iske baad koi bhi aapko memo bhej payega.
Chautha command aapko apni ignore soochi dekhne dega.
Ignore soochi aapko jyada se jyada 50 enteries daalne deta hain. Agar koi apke ignore soochi ka hissa hai aur channel share karta hai aapke saath, toh use bheje hue channel memo bhi aap ko deliver nahi honge.
6 · Memos forward karna
Agar aap ek se jyada nickname rakhte hain, toh memoserv aapko saare memos ek nick par forward karne ka vikalp pradan bhi karta hai. Isse aapko baar baar alag alag nicknames mein login karkar baar baar memos padna nahi padega, aur aape ek primary nickname par saare memos pahunch jayenge. Is karan FORWARD wala vikalp bana gaya hai.
Syntax hai:
/memoserv FORWARD
/memoserv FORWARD
-
/memoserv FORWARD
NICK
anygoodpassword
Pehla command yeh batata hai ki forward vikalp ON hai ya nahi.
Dusra command forwarding off karne ke liye bana hai. (current nickname ki forwarding)
Teesra command forwarding ON karta hai aapke current nick se dusre nick par. Aapko us nickname jispar aap saare memo padna chahte hai uska password pata hona chahiye.
7 · MemoServ ki khabar
MemoServ NEWS articles hote hai joh DALnet administration dwara bheje jaate hai taaki woh users ko jarrori badlavon ke baare mein soochit kar sakein. Unhe global memos bhi bola jaata hai.
Global Memos saare nicknames ko milta hai, fir chahe aapne NOMEMO ON rakha ho ya fir FORWARD. Global Memo in saarein vikalpon ke upar hain.
Aap yeh command istemaal karein /memoserv news koi bhi news article ya global memo ko padne ke liye. Padne ke baad woh apne aap delete ho jaate hain. Agar aap unhe nahi padte ho MemoServ aap ko barbar yaad dilata rehta hai jab tak aap usse pad na lein.
MemoServ NEWS articles kaafi durlabh hote hain aur tabhi bheje jaate hain jab jarrorat ho. Purane articles aap yahan pad saktein hain. http://www.dal.net/news .
8 · NOMEMO Option
Waise toh yeh vikalp memo se juda hai, par NickServ dwara chalaya jaata hai kyunki mana jaata hai ko yeh nickname se juda feature hai aur uska hissa hona chahiye.
Yeh command ke niche dekhein, iske do tarike hain ON and OFF:
/nickserv set nomemo on
/nickserv set nomemo off
Yeh aapko NOMEMO ON aur OFF karne deta hain. Yaad rakein NOMEMO vikalp FORWARD ke upar kaam karta hai.
Jaruri hai ki aap identify karlein apne nickname ko, NOMEMO vikalp ko istemaal karne se pehle. Nickname identify karne ke liye yeh karein. /identify password ya /quote identify password dusre clients par
9 · Ulangna
MemoServ istemaal karna matlab DALnet ke resources ko sahi tarike se istemaal karna. Agar aap koi abhadr bhasha ka istemaal, flooding, advertising, spamming karte hue paye gaye toh parinaam bura ho sakte hai.
Kisi bhi roop mein apne doston aur dushmano ko memo flood se tang karna ya bar bar bhejna, aisa koi bhi kaam nah karein.
Bar bar bheje hue tang karne wale memo DALnet policies ki ulangna maane jayenge. Fir chahe woh dhamki dena, flood karna ya abhadr bhasha ka istemaal karna ho.
Kripa karke MemoServ ka istemaal apne channel ko advertise karne ke liye na istemaal karein. Agar aapko pata hai ki dusre is se tang nahi honge toh hi aap yeh karein.
Upar bataye gaye cheezon ko karne par aap network bans, nickname freeze ho jaana, ISP ko shikayat dena in sabhi ke shikar ho sakte hain.
10 · Ulagna ko darz kaise karvayein
Agar aap kisi bhi services ulanga ke sikhar hai, MemoServ ko ginte hue, toh aap iski shikayat karein kisi bhi CSop (Channel Services Operator) ya SAbuse (Services Abuse) Team ke saath.
Aaj kal logs ko nakli banana aasan baat hai, Isliye hum unpar vishwas kam rakhne lagein hain. Is karan aap shikayat karne ke liye yeh jaroori cheezon ko dhyaan mein jarur rakhein.
Sabse pehle ton aap woh memo delete na karein jismein aapke paas saboot hai.
>Yahan se aapke paas do vikalp hain. Ya toh aap koi CSOp ko dhundkar unhe apni samasya batayein. Ya fir SAbuse team ko likhein is pate par sabuse@dal.net . Yaad rakhein ki aap poori ghatna ki jaankari ache se likhein aur memo ki copy bhi usmein daaldein. SAbuse aapki di hui jaankaari padne ke baad, apke nick ko identify kar kar memo pad sakta hai. Isliye agar aap usmein yeh bhi likh dein ki aap ko koi aapati nahi hogi isse so bahut acha hoga.
Saare CSOps aapko is tarah dikh jaayenge /motd services.* . Kisi bhi IRC Operator ko kaise dhund saktein hai, iski jaankari yahan par padhein http://docs.dal.net/docs/findoper.html .
Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.