1 · Zaruriaat
Yahan kuch bunyadi zaruriaat puri karni hoti hain, is se pehle ke aik sarif DALnet ki MemoSev ka istemal kartay huye memos bhejne aur wasool karne ke qabil ho sakay. Yahan us mein se jo sab se ziada zaruri hain unki fehrist yahan pesh ki ja rahi hai:
Memo bhejne walay aur wasool karne walay dono ke hi urfi'naam darj shuda hone chahiyen. Memo bhejte wakt bhejne walay sarif ko darjshuda urfi'naam ka hi istemal karna hoga. Wasool karne wala sirf uswakt hi memo parhne ke qabil hoga jab wo usi darj shuda urfi'naam ka istemal kar raha hoga, jis par memo bheja gaya hai
Memo ke zariye bheja jane wala pegham 255 huroof se ziada nahi hona chahiye. Ye yaad rahay ke memo bhejne ka maqsad kisi ke liye aik fauri aur mukhtasar pegham chorna hai. Agar aap kisi ko lambay lambay msgs bhejna chahtay hain tau hum aapko tajweez kartay hain ke aap us shakhs ka email address le lain take mustaqbil me bazariya email aap un se rabta qayam kar sakain. Yaqinan, ye mumkin ke ke aap kai memos ke zariye apna pura pegham agay bhej saktay hain. Taham, 2 se ziada memo karne parain tau behtar hai ke iske bajaye email bheji jaye.
Agarchay, memo ka nizam aik kaaramad khasoosiyat hai jis se bahut sarfeen faida utha saktay hain, phir bhi hum samajhtay hain ke kuch aise sarfeen bhi hain jo har wakt memos ki waja se tang nahi hona chahtay. Isliye,DALnet ke paas aik option hai jo ke malik(sarif) ko ikhtiar deta hai ke wo memo wasool karne ki sahoolat ko turn off kar sakay, bataye gaye urfi'naam ke liye. Agar kisi urfi'naam par ye ikhtiar ON kiya gaya hai, tau aap usko memo bhejne ke qabil nahi hone. Is feature ka baad mein isi dastawez mein tafseel se ihaata kiya gaya hai.
Memo bhejne ke liye yahan kuch aur zaruriaat bhi hain, taham, wo ziada tar kuch makhsoos commands ke liye hi hain, isliye unko sirf un commands mein hi cover kiya jaye ga jo is se mutasir hongi.
2 · Memos Bhejna
Yahan 3 terha ke memos hain, Zaati memos, channel memos aur Global memos. Global msgs ka hawala MemoServ NEWS ke taur par bhi diya jata hai aur DALnet intizamia ki taraf se bheje jane wale memos ke taur par bhi. Ye feature mazeed aagay isi dastawez me cover kiya jaye ga.
Zaati memos sirf aap ko bheje jatay hain, jabke channel ko bheje jane walay memos bataye gaye channel mein mojood Ops or SOps ko bheje jatay hain, Jab aik channel ko memo bheja jata hai tau memo ki naqal khudkaar tariqay se kamray mein mojood tamam AOp/SOp/Manager ko bhej di jaye gi
2.1 Zaati
Zaati memo darz zail command ke zariye bheja jata hai
/MemoServ send
urfi'naam
pegham
Example:
/MemoServ send PeanutButterLover Main aaj raat nahi aa paoun ga/gi, Kal
miltay hain!
Jabke "PeanutButterLover" wo shakhs hai jisko memo bheja ja raha hai.
2.2 Kamray Ke ops
Channel memos usi asool par kaam kartay hain. Taham, har koi channel memo nahi bhej sakta. Jab aik channel ka indraaj karwaya jata hai tau pehle se murattab shuda tarteeb ki waja se rasaai ka ikhtiar tamam AOPs ko hasil hota hai. Iska matlab hai ke sirf A)ps, SOps, Managers aur kamray ka Baani hi channel memos bhej saktay hain. Taaham, bahut se halaat mein, Baani ye ikhtiar sirf apne tak ya phir kamray ke SOps tak mehdood kar sakta hai. Aisi soorat haal mein sirf kamray ke SOps ya Baani hi channel memos bhej saktay hain.
/MemoServ send
#kamra
pegham
Misaal Ke Taur Par:
/MemoServ send #peanutbutterlovers Sab ko Hello! Main agle 10 din tak
muyassar nahi hu ga/gi, Kisi qisam ki mushkil darpesh aane ki soorat mein
kisi bhi SOps se rabta qayam karain.
Upar di gai misaal ke hisab se memo kamay ke Baani aur AOp, SOp and Managers ki fehrist mein mojood darj shuda urfi'namo walay tamam sarfeen ko bheja jaye ga.
2.3 Kamray Ke Sops
Agar aap memo kamray ke SOps/Managers/Founder ko bhejna chahtay hein tau aapko laazmi darj zail command ka istemal karna hoga
/MemoServ sendsop
#Kamra
Pegham
Example:
/MemoServ sendsop #peanutbutterlovers PeanutLovingLady ko op
banane ke baray mein sab ka kya khayal hai? wo kafi arsay se baaqaidgi
se nazar aarhi hain channel mein ...
Channel memos bhejne se pehle achay se soch lain. Agar kuch aisi baat hai jo sab se taluq nahi rakhti tau behtar he ke aap sirf muta'aliqa logo ko hi memo bhejain. Ye bhi yaad rahay ke har koi memos wasool karna pasand nahi karta khas taur par jab bheji jane wali information un ke liye bekaar ho. Aap ke shakhs ko 5 memos hi bhej saktay hain. MemoServ 5 se zayid memo bhejne ki koshishon ko mustarad karta rahay ga jab tak ke wasool karne wala apne pichle kuch memos ko hazaf nahi kar deta.
Bheja jane wala har memo 255 huroof se ziada nahi hona chahiye. Agar ap is hadd se tajawaz kar jaen ge tau MemoServ jawab mein aapko bataye ga ke aapko kitne harf kam karne ki zarurat hai. Neeche aik misaal di gai hai agar mein kisi ko 288 huroof par mushtamil memo bhejti hun tau ye mujhe bataye ga ke ye memo kamyabi se bhejne ke liye mujhe 33 huroof kam karne ki zaroorat hai.
-MemoServ- Memos 255 huroof se ziada nahi ho sakte. Aap ka memo
288 huroof par mushtamil hai Bara-e-Maherbani is mein se 33 huroof kam
kar dein
2.4 Memos Bhejne Ka Aik aur Namoona
Yahan aik aur tareeqa bayan kiya gaya hai mutaeyana OPs ko memo bhejne ke liye
/MemoServ sendchan
#Kamra
HOP|AOP|SOP|MANAGER|FOUNDER|ALL[+] message
Misalain:
/MemoServ sendchan #peanutbutterlovers MANAGER Ye memo channel
ke tamam Managers ko bhejne ke liye hai
/MemoServ sendchan #peanutbutterlovers SOP+ Ye memo channel ke
tamam SOPs aur Managers ko bhejne ke liye hai
Bar-e-Maherbani Mazeed maloomat ke liye dekhiye /MemoServ MADAD
3 · Memos Ko Parhna
Jab aap pehli bar apna urfi'naam istemal karte hain tau MemoServ aapko bataye ga agar aap ke liye koi memos honge tau.
-MemoServ- Aap ke paas aik memo he. dekhne ke liye, istemal karain: /msg MemoServ@services.dal.net list
Ye hamain barah-e-raast agli command pe le jati hai. Jaisa ke naam se zahir hai, MemoServ LIST command aap ko ijazat deti hai ke aap apne urfi'naam per wasool hone walay memos ko parh sakain. aur ye aapko ijazat deti hai ke aap bhejne walay ka naam dekh sakain, memo ka silsila number, wo wakt jis per memo bheja gaya, memo ka mojooda status (naya hai, parha ja chuka hai, ya phir hazaf kar diye jane wale memos ke taur par mark kiya gaya hai).
/MemoServ list
MemoServ LIST sirf pehle 20 memos hi zahir karay gi. Agar aap baqi ke memos bhi dekhna chahtay hain tau aapko pehle kuch memos hazaf karne parain ge baqi ke memos dekhne k liye. Aap STARTPOINT option ka bhi istemal kar sakte hain baqi ke memos parhne ke liye. Misaal ke taur par, Agar aap number 5 se agay tak ke memos parhna chahte hain tau aap is ka istemal karain ge:
/MemoServ list 5
Ye command number 5 se 25 tak ke memos ki fehrist ko zahir karay gi. STARTPOINT ka option kaaramad hai agar aap kuch arsa ke liye door hain aur bahut sare memos wasool kartay hain.
READ ki command dar-asal aik memo ka mawad dekhne ke liye hai. syntax ye hai:
/MemoServ read memo number
Jaisa ke pehle bataya ja chuka hai ke memo ka silsilawaar number MemoServ LIST kioutput mein dekha ja sakta hai. Misaal:
/MemoServ read 1
Agar aap ne aik se ziada memos wasool kiye hain, tau ye mumkin hai ke aik hi wakt mein unka number bhi dekha ja sakay. Misaal ke taur par:
/MemoServ read 1,2,3
ya
/MemoServ read 1,3,5
/MemoServ read NEW
When the word NEW is given as memo number, the first 10 new memos are shown. You can use the same command to show the next 10 new memos, and so on.
Note: Tamam memos 30 din ke baad hazaf kar diye jatay hain, is baat e qata'a nazar ke unko abhi parha ja chuka hai ya nahi. Aik wakt mein aik urfi'naam ke liye kul mila kar 50 memos hi mehfooz kiye ja saktay hain.
4 · Memos Ko Hazaf Karna
Jab aap aik memo parh laitay hain aur ab aapko mazeed iski zarurat nahi hai, tau aap isko hazaf kar saktay hain. Memo ko hazaf karne ka amal filhal 2 steps par moheet hai. Pehle isko hazaf karne walay memos ke taur par mark karna aur phir doosre step mein isko mitana/saaf karna.s
DEL ki command apko ijazat deti hai ke aap aik ya aik se ziada memos ko hazaf karne ke liye mark kar sakain. Memo ko hazaf karne ke liye mark karne ke baad bhi aap memo ko dekh saktay hain jab tak ke usay mita nahi diya jata. DEL command ka syntax ye hai:
/MemoServ del
memo ka number(s)
Misal Ke Taur Par:
/MemoServ del 1
/MemoServ del 1,2,3
/MemoServ del 1,3,5
Jaisa ke aap dekh sakte hain DEL ki command taqriban READ command ki terha hi kaam karti hai. Ye mazeed aik option bhi rakhti hai jo ke READ command ke paas nahi hai:
/MemoServ del all
ALL ka switch tamam memos ko hazaf karne ke liye mark kar de ga aur unko mita bhi de ga. Aik bar jab aap ye command istemal kar lain ge tau is ko wapis laine ka koi tariqa nahi hoga. Is ke baad memos kahin bhi mehfooz nahi rahain ge. Agarchey aap un memos ko undelete kar saktay hain jin ko aap ne aik number ke sath hazaf kiya hai:
/MemoServ undel
memo number(s)
Misaal Ke taur Par:
/MemoServ undel 1
/MemoServ undel 1,2,3
/MemoServ undel 1,3,5
Aik memo mazeed 2 aur tareeqon se bhi mitaya ja sakta hai. Tamam hazaf kiye jane walay memos mita diye jaen ge jab aap apna urfi'naam istemal karna band kar dein ge. Aap khud se bhi MemoServ ko bata sakte hain ke wo aap ke hazaf kiye gaye memos ko mita de PURGE command ka istemal karte huye.
/MemoServ purge
Aik baar phir, jab aik memo mita diya jaye, tau wo dobara dastiab nahi hoga. Isliye bara-e-maherbani is command ka istemal bahut ahtiat se karain.
5 · Memos ko nazar andaz kerna
ab se ap kisi bhi makhsoos user/mask ko rok sakty hain ap ko memo bhejny se
Commands istamal kerny ka tareeqa ye hai:
/memoserv ignore addnick or mask
/memoserv ignore delnick or mask
/memoserv ignore wipe
/memoserv ignore list
Pehli command ap ko kisi nick ya mask ko ap ki memo nazar-andaz fehrist(ignore list)mein shamil kerny ki ijazat deti hai. Aur phir wo user ap ko phir se koi memo nahi bhej saky ga.
Doosri command ap ko ijazat deti hai kisi nick ya masks ko apni nazar-andar fehrist(ignore list) se khatam kerny ki.
Teesri command ap ko ijazat deti hai nazar-andaz fehrist(ignore list) ko mukammal tor per saaf kerny ki. Sabhi nicks aur masks bilkul saaf ho jain ge aur sab log ap ko phir se memo bhej sakein ge.
chothi command sarfeen ko nazar andaz ki fahrist kay indaraj ko check karnay ki ijazat deta hay.
Ap nazar-andaz fehrist(ignore list) mein 50 nicks ya maska add ker sakty hain, Kamry ki taraf se bhejy jany waly memos bhi nazar-andaz ker diye jaain ge, ager wo shakhs jo ap ko memo bhej raha hai aur wo ap ki memo nazar-andaz fehrist(ignore list) mein hai to.
6 · Memos Ko Dosry Urfi'Naam Per Wasool Karna
Agar aap kay pass aapka koi dosra register Urfi'Naam hay. tab yeh mumkin hay kay aap apnay pehlay Urfi'Naam par mosool honay walay memo os dosrey Register Urfi'Naam per bhi mosool kar Saktay hain. jiskay liyai FORWARD Option istemal ki jati hai. jiski command yeh hai:
Tareeqa yeh hay:
/memoserv forward
/memoserv forward -
/memoserv forward nickpassword
agar aap nay pehlay say hi koi Urfi'Naam Forward Option per set kia hay to Pehli Command aap ko show kardegi. Agar aap nay Forward Option pehlay say hi ON kar rakhi hay too aap osko OFF Karsaktay hoo Dosri command ko use kartay huway.
Teesri Command Forward option ko ON karnay or Forwadr Urfi'Naam ko Set karnay kay liyai istemal ki jati hay. For Example:
/memoserv forward ILovePeanutButter MyPeanuttyPassword321
Oper wali command use karnay say Memo ILovePeanutButte ki taraf Forward hongay. or "MyPeanuttyPassword321" aap kay pehlay Urfi'Naam ka password hay jiskay saray memo aap ILovePeanutButte Urfi'Naam per Forward karna chahtay hoo.
7 · MemoServ Ba'toor Khabrain
MemoServ Ba'toor Khabrain wala memo DALnet walo ki taraf say aap ko maloomat bhejnay k liyeh istemal hota hay jo k services main Ahham tabdeeliyo k baray main hota hay, inko Global Memos bhi kehtay hain.
jessa k iskay naam say hi pata chalta hay, Global memos sirf registered Urfi'Naam per hi bhejay jatay hain yeh or baat hay aap nay FORWARD or NOMEMO On kia huwa ho. is ki yeh khasiyat hain.
aap yeh istemal kar sakty ho /memoserv news command naie maloomat k liyeh.isko parhny k baad yeh memo khud'ba'khud khatam hojayga. agar aap read nahi karty too yeh aap ko tang karta rahayga or aap ko issey parhna hi parega :P
iski wajah say, yeh memo sirf khaas ashaat per hi bheja jata hay purani ashaat is per mojood hay https://www.dal.net/news.
8 · Memo Wasool Na Karna
Memo ki yeh Option MemoServ k zariyeh set nahi ki jati. yeh option NickServ kay zariyeh set ki jati hai. jiski Command yeh hay:
/nickserv set nomemo on
/nickserv set nomemo off
Jab aap NOMEMO Option ko ON kartay hoo too aap ko koi memo nahi mosool hoga or na hi koi aap ko memo bhaij sakay ga. Or haan aap nay agar koi Forward Urfi'Naam set kia huwa hay Memos kay liyai too phir bhi aap ko memo mosool nahi hoga. Memo agay nahi jaiga.
yeh zarori hay k iss option ko on karny k liyeh apnay Urfi'Naam ki shanakht lazmi karain nahi to yeh set nahi hongi aap apna Urfi'Naam shanakht karwa sakty ho issey/identify password or /quote identify password.
9 · BadSaloki
MemoServ ka Possitive use karay issey kisi kisam ki Harassing/Pareshani, flooding/hamly yeh flooding ko Dalnet ijazat nahi deta hay
aik hi memo ko bar bar bhaijna yani kay memo ko bar bar bhejna MemoServ kay saath flood/hamla karna or aik hi messege memo main send karna bhi DaLnet ijazat nahi deta. yeh sab Dalnet k Aienz kay khilaf hay
Aap MemoServ ko apnay Kamry(Channel), websites yah phir Script ki advertising Memo send karnay kay zariyai bhi Dalnet ki Policies kay khilaf hay Agar aap aisa karogay to aap ko warning, yah phir ban Network say yah phir aap ka Urfi'Naam bhi freez kia ja sakta hay or aap ki IPS ko bhi Auto Kill kia ja sakta hay. Bass aap Network ki policies ko apnain. Thanks.
10 · Badd'Salooki ki Khabar dena
agar aap ko koi MemoServ k zariyeh tang kar raha hay too aap report kar sakty ho CSOPs (Channel Services Operator) or SAbuse (Services Abuse) Team ko.
Sabsey pehlay, k aap nay Memo's ko khatam na kia hoo. or yaad rakhain agar aap nay memo ko khatam karny k liyeh muntakhib kia huwa hay too jab aap agli dafa Urfi'Naam istemal karogay too woh bhi khatam ho jayngay.
yahan say, aap k paas do rasty hain.aap SABuse Team say contact karoo or apny pareshani onko batao yah phir khudse koi CSop dekho. SAbuse Team say aap iss addres say contact kar sakty ho sabuse@dal.net. orr mail main sari tafseel honi chahiyeh or onn memo ki copy bhi hoo jinko aap nay recieve kia hay. orr yadd rakhain memo aap k paas honay chahiyeh or aap nay onko khatam na kia hoo. istarah SABuse Team is kaa pata lagaygi or shayd aap ka Urfi'Naam bhi use karay osko pakarny k liyeh. isiliyeh, aap naraz na hona k woh aap ka Urfi'Naam use kar rahi hain or na hi pareshan hona.
agar aap CSops ko talash karna chahty ho too /motd services.* say saray CSops ki Fehrist hasil kar sakty ho. or ziada tafsilaat k liyeh IRC operator k baray main aap jain http://docs.dal.net/docs/findoperur.html.
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.