Channel and User Modes

Version 1.4.0


Akhri mein anoovad kiya gaya Jayu () se tarikh 2005-09-23

Akhri mein likhwaya gaya sps () se tarikh 2018-08-22

Asal mein likhwaya gaya LadyDana () se tarikh 2000-10-28

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Parichay

Iss dastavez per DALnet IRCD (Internet Relay Chat Daemon) se sambandhit sabhi user aur channel modes ke bare mein sahayta di gayi hai. DALnet ki IRCD ka naam Bahamut hai. Bahamut ke bare mein adhik jankari http://bahamut.dal.net aur #bahamut per prapt ho sakati hai.

Prtyek mode ke liye yaha per vyakhya di gayi hai aur kuch kisso mein, drastant bhi diye gaye hai. Jo ki kisi bhi sthiti mein, humesha modes sudharne/badalne ka kaam /mode command ke jariye hi hoga.

Syntax:

/mode nickname +/- mode(s)
/mode #channelname +/- mode(s) parameters

Aap kewal khud ke hi user modes sudhar/badal sakate ho. Sirf channel ke operators (@) ke pass hi channel ke modes badalne ka adhikar hai.

Suchi

1 · Modes ki suchi

Jab paheli baar DALnet per jodan karte ho, tab aap jis server per jodan karte ho uss per se kai mahitiya payenge. User aur channel modes ki suchi bhi ishi mahiti mein kahi chupi hogi.

Welcome to the DALnet IRC Network Jayu!Jayu@61.1.35.102
Your host is mesra.kl.my.dal.net, running version bahamut-1.8(02)
This server was created Sun Sep 19 2004 at 13:07:39 MYT
mesra.kl.my.dal.net bahamut-1.8(02) aAbcdefFghiIjkKmnoOrRswxXy bceiIjklLmMnoOprRstv
NETWORK=DALnet SAFELIST MAXBANS=100 MAXCHANNELS=20 CHANNELLEN=32 KICKLEN=307 NICKLEN=30 TOPICLEN=307 MODES=6 CHANTYPES=# CHANLIMIT=#:20 PREFIX=(ov)@+ STATUSMSG=@+ are available on this server

Upar diye drastant yeah batata hai ki jab aap paheli baar jodan karte ho to kya dekhate ho. Hum chothi line per ircd version ke baad jo to hisso mein kuch aksharo ka samuh hai usmein dilchaspi lete hai. aAbcdefFghiIjkKmnoOrRswxXy aur bceiIjklLmMnoOprRstv .

IRCD ke iss version ke liye, aAbcdefFghiIjkKmnoOrRswxXy jo hai wah user modes hai aur bceiIjklLmMnoOprRstv channel modes hai. Pratyek akshar nick ya channel ke vikalp per pratinidhitva karta hai. Krupiya nondha le ke yeah dastavez sirf yahi drastant per adharit nahi hai.

2 · Channel ke Modes

Channel ke modes sirf channel ke operators ke dwara hi badale jaa sakate hai, ki jiske nickname ke age @ nishan ho wah. Kisi bhi channel modes ko apane sahi vyakhya ke sath sath atirik vikalp ki bhi jaruriyat hoti hai, dusaro ko nahi hoti.

Yeah sakya hai ki ek hi command mein amuk modes ka misran bhi karake badala jaa sakata hai, sirf apko anukram se unke yogya vikalp ko jodana hoga. Bahamut ke sath, ek hi baarmein 6 mode ko badala ja sakta hai.

Syntax:

/mode #channelname +/- mode(s) parameters

Examples:

/mode #peanutbutter +nt
/mode #peanutbutter -ps
/mode #peanutbutter +nt-R
/mode #peanutbutter +ntv-obb MissPeanut BadTastingPeanut *!*@loving.peanutbutter.ca *!*@singing.in.moonlight.net

2.1 +b

Channel per bans aur channel operator ko kisi vyakti ko (ya logo ke samuh ko) channel per aane se rokne ki manyata dene ke liye +b jari kiya gaya hai. Jab koi bhi channel per ho use ban kar diya gaya hoga, to wah baat-chit nahi kar sakega. Yeah atirik vikalap +bquiet mode se jana jata hai, yadhyapi vastav mein mode to sirf +b hi hai. Jab ki, yadi unke nick per expect mode +e hoga to bhi yeah ashar nahi karega isskey bare mein niche charcha ki gai hai.

Syntax:

/mode #channelname +/-b [ hosts ]

Example:

/mode #peanutbutter +b-bb *!*@annoying.pest.com *!*@*.ca *!~@*.moonlight.net

Agar apane koi bhi host nischit nahi kiya, to yeah apko channel ke bans ki suchi dikhayega, nisandesh roop se agar app channel se bahar hoge to bhi.

Ban ke bare mein adhik jankari http://docs.dal.net/docs/banguidehi.html per uplabdha hai.

2.2 +c

+c mode colourbina ke liye rakha gaya hai. Yeah naya mode hai aur DALnet per yeah abhi vishesh mode hai.

Agar colour codes (IRC client adhiktar samrthan dete ho wah) misrit sandesh ya control codes (jismey samil hai bold, underline, reverse, adi) ko channel per bheja gaya hoga, to sandesh rok diya jayega jaise ki wah vyakti ke liye channel per sandesh bhej ne ki rok lagai gai ho.

2.3 +e

+e mode except ke liye hai jo channel ke banlist mein hostmask jiska milta ho lekin wah vyakti agar except user ke liye set kiya gaya ho to wah channel per dakhil ho sakega. Jab hostmask except suchi per set ho, tab mode +e wah user ke milte hostmask ke ban per kabhu kar lega.

Syntax:

/mode #channelname +/-e [ hosts ]

Example:

/mode #peanutbutter +e Jayu!*@*.in

Upar diye drastant mein, kaha jaye to waha per *!*@*.in hostmask ko ban kiya gaya hai. Jayu ka hostmask Jayu!jayu@sampurn.gujarat.in hai. Toh Jayu #peanutbutter per dakhil ho sakega kyoki uskey pass vishesh exception mask Jayu!*@*.in set huva hai.

Nondha: krpaya dhyaan den ki yah mod chainal mein set oto kiks ovararaid nahin karata hai.

2.4 +i

Channel ko sirf invite set karata hai jisse sirf wohi log channel ke bhiter dakhil ho sakte hai ki jisko channel per invite (bulaya) kiya gaya ho ( /invite command ke sath ya channel ke invite suchi per ho woh).

2.5 +I

Yeah mode channel operator ko woh users ki suchi set karane ki manyata deta hai ki jinko +i (sirf invite) channel mein dakhil hone ki izazat dena chahate ho.

Syntax:

/mode #channelname +/-I [ hosts ]

Example:

/mode #peanutbutter +I Jayu!*@*.in

Upar diye drastant mein, Jayu channel mein dakhil ho sakega bhale hi channel +i set ho lekin hostmask Jayu!jayu@sampurn.gujarat.in invite suchi se milne se yeah usko dakhil hone ki manyata dega.

Nondha: Krupiya yeah nondha le ki yeah mode channel mein set bans per kabu nahi kar sakata aur uss per koi asar bhi nahi dal sakata hai.

2.6 +j

+j mode channel per ekdum se adhik dakhil hone walo per rok lagane ke liye istmal hota hai. Amuk N sankhya jitane hi users amuk S seconds mein dakhil ho sake aise maryada set karata hai jo join flood per kabu rakhta hai.

Syntax:

/mode #channelname +/-j N:S

Example:

/mode #peanutbutter +j 4:5

Upar diye drastant mein, #peanutbutter per +j ke liye 4 users 5 seconds mein dakhil ho sakane ki maryada set ki gai hai. Pahele mulya ke liye bahamut 2.0.7. or baad ke version mein 2 se kum set nahi kiya ja sakata hai.

2.7 +k

key channel ke liye ek shabda hai, jab aap channel mein dakhil hona chahate ho to dakhil hone ke /join command ke sath ishey likhana jaruri hoga. Agar key galat dakhil ki hogi ya key hi nahi di hogi to aap channel ke liye asvikar honge aur channel per dakhil nahi ho sakoge.

Syntax:

/mode #channelname +/-k key

Example:

/mode #peanutbutter +k indian

Kisiko bhi channel ke bhitar dakhil hone ke liye /join #channelname key command ka istmal karana hoga. Apane drastant ke kisse mein, yeah hoga /join #peanutbutter indian .

2.8 +l

channel limit (maryada) aapko yeah set karane ke suvidha dega ki ek hi samay mein channel per jyada se jyada kitane users rahe sakate hai. Ek baar yeah shankhya paar ho gai, to koi bhi vyakti ki jo channel per dakhil hone ki koshish kar raha hoga woh error sandesh payega ki channel bhari (full) hui hai.

Syntax:

/mode #channelname +/-l number

Example:

/mode #peanutbutter +l 25

2.9 +L

+L mode ka abhi DALnet per kuch bhi istmal nahi hai. Yadhyapi ishko haal ki nayi bahar aei Bahamut ki IRCD per samil kiya gaya hai. +L hai wah /list per sayam karta hai. Agar ishko chalu kiya gaya ho, to /list per sirf +L channels hi dikhegi. +L mode bhavishya ke liye rakha gaya hai.

2.10 +m

moderated channel sirf Ops(@) aur Voices(+) ko channel per sandesh bhejne ke manyata deta hai. Baki sabhi ke sandesh ko rokega.

Aur yeah Koi bhi user ki jo moderated channel per mojood hoga aur woh waha per Op ya Voice per nahi hoga to usko unkey nickname badalne se bhi rokega. Yani moderated channel per nonop aur devoice user apane nick bhi nahi badal sakate.

2.11 +M

+M ko sirf register kiye nicks hi baat-chit kar sake uskey liye rakah gaya hai. +R mode se milta-zulta jiska matalab sirf wohi log ki jo abhi apane nickname ko identify karake istmal kar rahe hai (dusare shabda mein, woh ki jis per umode +r set hova ho) wohi channel mein dakhil ho sakate hai, yeah per +M ke liye wohi log channel per baat-chit kar sakate hai. +M ke baad channel per jo unregister nicks honge woh log jabtak umode +r nahi palete tabtak channel per baat-chit karane ki aur channel per sandesh bhejne ki shakshamta kho dege. Vibhag 3.5 vibhad dekhe.

2.12 +n

+n ko bahar se sandesh nahi ke liye rakha gaya hai. Agar +n channel per set nahi hoga to shakya hai ki koi bhi channel ke bhitar naa hote huve bhi bahar se channel per sandesh (shakyatah pareshan karanewale sandesh) bhej sakega.

2.13 +o

channel operator ko unkey nick se pahele @ nishan ke jariye pahechana jata hai. Yeah @ nishan +o mode dene aur nikalne ki kriya anushar badalta hai. Kuch IRC clients @ nishan ki jagah per dusare nishan ka istmal channel ops ke liye karate hai, phir bhi aise client bahut kum hai yaa pahoch se dur hai abhi. ;)

Syntax:

/mode #channelname +/-o nickname(s)

Example:

/mode #peanutbutter +oo-o MissPeanut PeanutButterLover CheekyBrat

Channel operator ke pass logo ko channel mein se kick/ban karane ka adhikar hota hai. Jyada mein yahi ek hi hai jo channel ke liye channel modes badal ya set kar sakata hai.

2.14 +O

+O mode ko sirf oper ke liye rakha gaya hai. Mulbhoot, yeah sirf unko hi channel mein dakhil hone ki izazat dega ki jo umode +o (IRC Operator) ke sath ho. Yeah mode sirf IRC Operator ke jariye hi set ho sakata hai.

2.15 +p

private (vyakatigat) channel user ke WHOIS per nahi dikhegi, per yadi woh vyakati ki jisane user ka WHOIS lagaya hoga woh bhi usi channel per hoga jis mein woh whois wala user bhi mojood hoga to dekhegi.

2.16 +P

+P mode default taur par OFF hota hai jab aap channel register karte hain. Iska matlab aapka channel automatically spammers se surakshit hain. Agar isse ON set karte hain, toh fir koi bhi spam filter protection channel ke liye ublabh nahi hogi. Jyada jaankari ke liye dekhein https://www.dal.net/kb/view.php?kb=411.

2.17 +r

+r mode sirf Services khud ke dwara hi set hota hai aur dikhata hai ki channel hai woh ChanServ ke sath register kiya huva hai. Yeah mode dikhane ke liye nikal diya hai.

2.18 +R

+R ko sirf register nicknames ke liye rakha gaya hai. Jaise iska name dikh raha hai, sirf wohi log ki jo abhi apane nickname identify karake istmal kar rahe ho (dusare shabdo mein, woh jis per umode +r set ho) woh hi channel ke bhitar dakhil ho sakege. Umode +r ke bare mein adhik jankari ke liye vibhag Vibhag 3.5 dekhe.

2.19 +s

secret (gupt) channel user ke WHOIS per nahi dikhegi, per yadi woh vyakati ki jisane user ka WHOIS lagaya hoga woh bhi usi channel per hoga jis mein woh whois wala user bhi mojood hoga to dekhegi. Jyada mein yeah hai ki, secret yani gupt channel hai woh channel LIST darkhast per bhi nahi dikhegi.

Waha per agar apane pahele se hi +s set kiya huva hai to +p mode set karane ki koi avashyakta nahi hai, sirf bina kaam ka yeah mode atirikta karega aur kuch nahi. Vibhag 2.15 vibhag dekhe.

2.20 +S

jab chainal ko +S par set kiya jaata hai, to keval un upayogakartaon ko yoomod +S ko is chainal mein pravesh karane kee anumati hai. jab aap ek surakshit kanekshan, esesel ka upayog karate hain to umod +S set hota hai.

2.21 +t

Jab +t set hoga, sirf channel ke Ops hi topic badal sakege.

2.22 +v

Jaise ki hum pahele bhi bata chukey hai, jab channel moderate hogi (+m, dekhiye Vibhag 2.10 ), tab sirf channel ke ops aur channel ke voices hi channel ko sandesh bhej sakege. Sirf channel ke ops hi voices de sakate hai aur nikal sakate hai.

Syntax:

/mode #channelname +/-v nickname(s)

Example:

/mode #peanutbutter +vv-v MissPeanut PeanutButterLover CheekyBrat

Yeah kai jagah per nondhaniy hai ki, voice per huve users ko ops ke dosto mein gina jata hai aur baar baar ops siksha pa raha hota hai aisa bhi mana jata hai. Yeah baat, jabki, sabhi channel ke liye sahi/thik nahi hai kyoki kai channel mein sirf madad ke liye users ko voice diya jata hai aur kahi per aise hi sabhi users ko voices de diya jata hai.

3 · User Modes

User ke modes jab aap IRC per hote ho to kuch chizo ko set karane ki manyata dete hai. Aap iska istmal dusare log aapko asani se pahechan sake aur dhoondh sake, ki tarah ki mahiti aap per IRC server bhejate hai yeah bhi, adi. Woh sab aam taur per umodes se jane jate hai.

Modes vyapak taur se /mode command ke jariye set hote hai.

/mode nickname +/- mode(s)

Examples:

/mode PeanutButterLover +iws
/mode PeanutButterLover -k
/mode PeanutButterLover +i-s

Aap sirf apane hi user modes set kar sakate ho ya badal sakate ho: isliye, nickname ki jagah per humesh wohi nick ayega ki jo aap yeah command istmal karate samay istmal kar rahe hote ho.

3.1 +C

jab upayogakarta ne +C mod set kiya hai, to vah keval un upayogakartaon se sandesh praapt kar sakata hai jo ek hee chainal mein hain.

3.2 +H

Yeh Usermode user's ke hostname ko chupa ta hain; jiska sidha matlab ke user apne IP ko security karno ke liye dusro se varjit kar sakta hain. Kripeya /whois nickname ka istemaal karein yeh dekhne ke liye:

MissPeanut is janice@77880b4eab7bbf7f42d610b290cf3edf698fa4.110.83.ip * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is actually janice@83.110.194.2 [83.110.194.2]
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on koala.vc.au.dal.net Micron21, Australia
MissPeanut has identified for this nick
MissPeanut is using a secure connection (SSL)

Dhyaan dein:+H mode default taur par "ON" set hota hain jab aap DALnet par connect hote hain.

Aap isse UNSET kar sakte hain yeh type karke: (/mode nickname -H).

3.3 +i

+i ko bhi invisible (gopniya) mode se jana jata hai. Jabki yeah vastav mein aapko IRC per gayab nahi rakhata hai, yeah sirf kisi ke dwara apko talaas ne ki kriya ko thoda kathin banata hai. Shankshep mein rakha jaye to, invisible mode logo ko apko talaas karane se rokega halaki agar woh apka sahi nickname janta ho ya woh bhi wohi channel per ho jis channel per aap ho tab to woh asani se talaas lega. Krupiya yeah nondh le ki jyadatar server niyat taur per aap jab un per jodan karate ho tab apane-aap hi +i mode set kar dete hai.

Jab +i set nahi kiya hoga, tab apaka sathi user apako /who ya /names #channelname command ke jariye talaas lega (sirf apake host/ip se hi). IRC Operators ko bhi yeah adhikar hai ki woh dekh sakate hai ki kisi ne invisible lagaya huva hai yaa achet rahekar nahi lagaya.

3.4 +P

+P mode default taur par OFF set hua hota hain jab aap nick register karte hain. Iska matlab aap DALnet ke spam filter system dwara surakshit hain. Agar aap yeh nahi chahte hain, toh iss setting ko "ON" kardein. Adhik jaankari ke liye, dekhein https://www.dal.net/kb/view.php?kb=411.

3.5 +r

+r mode sirf services khud ke dwara hi set hota hai aur yeah dikhata hai ki aap register huve nickname ko identify karake istmal kar rahe ho.

Jab koi bhi user ki jin per +r set ho unn per /whois command lagaya jayega tab, ek atirik line unke WHOIS natize dikhegi, jo dikhati hogi ki woh register huve nickname ko identify karake istmal kar rahe hai.

Example:

MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut has identified for this nick

3.6 +R

+R mode ko koi bhi jodan kiye huve sabhi clients set kar sakate hai aur yeah umode +r naho ho aise user ke dwara bheje gaye sandesh ko rokta hai. Vibhag 3.5 vibhag dekhe. Ismey vyaktigat sandesh aur CTCPs ka samavesh bhi hota hai. +R client hai woh +o clients se sandesh pa sakege. dekhiye vibhag Vibhag 4.1 .

3.7 +s

Khud per +s set karane se server ko yeah darkhast ki jati hai ki server se lagate sabhi sandesh aur oper kills ke bare mein mahiti user ko bheji jaye, yeah thoda flood haisa ho sakata hai isliye dhyan rakhake yeah mode ka istmal kare.

3.8 +S

yah mod set hota hai jab aap ek surakshit kanekshan (ssl) ka upayog karate hain isaka keval sarvar dvaara set kiya gaya ek naee lain /whois output:

MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator - Server Administator
MissPeanut has identified for this nick
MissPeanut is using a secure connection (SSL)

3.9 +w

Wallops yani dur dur tab ek dusare ko IRC Operators ke jariye network per bheje janewale sandesh. Koibhi user ki jisane +w set kiya ho woh yeah vartalap dekhne ke liye shaksham hoga. Wallops abhi DALnet per lupt huva hai aur bhejna bhi kadachit!!.

4 · User Modes (sirf IRCops ke liye)

Abhi bache modes sirf IRC Operators ke liye rakhe gaye hai.

4.1 +o

+o mode koi IRC Operator hai ya nahi yeah dono ko nirdisth karta hai aur sirf yahi ek mode hai jo /mode command ke jariye nahi paya ja sakata hai.

Manya IRC Operator ko "oper up" hone ke liye command yeah hai:

/oper nickname oper password

Jabki +o mode alag command ke jariye paya jata hai, lekin "deoper" hone ke liye wohi /mode command ka hi istmal kiya jata hai, dusare shabdo mein kaha jaye to IRC Operator ke visheshadhikar se nikalne ke liye.

Syntax:

/mode nickname -o

Ek baar apane -o kar diye to phir se "oper up" hone ke liye wohi pahele wala command istmal karanga hoga. Jab oper hoga, IRCop ke WHOIS ke natize mein unki sthiti paravartit hoti hai. Kuch servers ne apane server pe ishkta ferfar kar ke khas sandesh mein yeah natize ko badal diya hai, phir bhi, yeah abhi yaha per prtyex ha.

Example:

MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator
MissPeanut has identified for this nick

Oper ke passwords kaise set kiye jate hai ya "manya" IRC Operator hone ke liye kya jaruriyate hai yeah vyakhya wah vishleshan dena iss dastavez ke vistar se pare hai. Kahane ke liye kafi hai ki koi bhi "oper up" nahi kar sakata hai.

4.2 +O

kya ek sthaaneey IRC oparetar hai.

4.3 +a

Yeah /samode command istmal karane ki manyata deta hai jab IRC Operator ke WHOIS ke natize mein yeah ek line judegi, ki jo unko Services Administrator ke adhikar dikhati hogi.

Example:

MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator - Services Administrator
MissPeanut has identified for this nick

4.4 +A

Yeah IRC Operator ke WHOIS ke natize mein ek line jodega, jo unko Server Administrator ke adhikar dikhati hogi. Server Administrator ke pass +s (gupt) aur +p (vyaktigat) channels dekhane ki shakshamta hoti hai. Server Administrator ko apane-aap +a set ho jayega.

Example:

MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator - Server Administrator
MissPeanut has identified for this nick

4.5 +b

IRC Operators ko oper ke chatop sandesh dekhane ki manyata deta hai.

4.6 +c

+c mode IRC Operators ko yeah adhikar deta hai ki woh jis server per ho us server per jodan karane wale ua jodan se bahar nikalne wale sabhi logo ki suchana prapt kar sake. Badi shankhya mein DALnet per users ate hai ishkey wajah se, yeah mode ka istmal hitavah nahi hai abhi ke dino mein yeah bade flood ka nimit ban sakata hai.

4.7 +d

Debug (khami) ke sandesho ko dekhane ki shakshamta deta hai.

4.8 +e

+e khas taur per DCCALLOW vikalp se sambandha rakhata hai aur yeah kisi bhi prakar ki file ke her-fer ya sthanantar ko dikhata hai jisko server ke star wah niyam ke hishab se roka ja sake.

4.9 +f

+F woh mode hai jo IRC Operator ko unke server per koi bhi vyakti flood pata hai yaa excess flood ki wajah se unke server se unka jodan kat jata hai ishkey bare mein har samay agaah karta hai. Channels ki jo andaruni vikalp se flood ke samane suraksha ke setting rakhe huve hote hai aur phir waha per bhi flood hota hai to yeah bhi nondha hoti hai, yani iskey bare mein suchana oper ko pahuch jati hai.

4.10 +F

Yeah ircd ki recvq uprodhi ko aap tak pahuchata hai.

4.11 +g

IRC Operator ko oper ke globop (samuhop) sandesh dekhane ki manyata deta hai. Yeah mode vastav mein aam user ke dwara bhi set kiya jaa sakata hai lekin yeah unkey liye kuch bhi kaam nahi ayega. Mulbhoot taur per, +g sabhi ke global (samuh) sandesh ke liye istmal hota tha. Phir bhi, Bahamut ke agaman ke sath, ishko badal kar globalops (sirf oper ke samuh sandesh ke liye) vikalp ke liye rakha gaya

4.12 +h

+h bhi "helpful" mode ka nirdesh karta hai. Jab yeah set hoga, tab IRC Operator unkey server per /stats p darkhast lagane se unkey idle samay ke sath dikhai dega.

Example:

MissPeanut (janice@peanutty.yummy.com) Idle: 30555
PeanutButterLover (butter@loving.peanutbutter.ca) Idle: 46
2 OPERs
End of /STATS report.

4.13 +I

+I mode server ki mahiti ko chupata hai. Iska matlab ke server wala bhag unkey /whois ke natize per dikhai nahi dega.

4.14 +j

Khud per +j set karane se server ko asvikar kiye gaye drone jodan ki suchana bhene ki darkhas karta hai.

4.15 +k

+k ko KILL sandesh ke liye rakha gaya hai aur yeah server ko batata hai ki server ke sabhi kill sandesh aapko bheje. Yadyapi, yeah chokkas hi flood ka nimit ban sakata hai.

4.16 +K

Khud per +K set karane se U:lined servers ke kill ki suchana aapko bhejane ki server ko darkhast karta hai.

4.17 +n

Ek bar +n set kiya, to IRC Operator server ke routing ko dekhane ki shakshamta payega.

4.18 +x/X

+x/X muh bandh karane aur khamosh karane ke liye istmal hota hai. User ke sanchar ko rokega, drastant ke taur per yeah unke PRIVMSG (vyaktigat sandesh) ko rokega. Sirf U:lined servers per hi set kiya jaa sakata hai.

4.19 +y

+y mode IRC Operator ko user ya dusare IRCop ke jariye bheje gaye nischit command ko dekhane ki shakshamta deta hai. Adhikansh dhyam mien liya jaye to, stats/links/admin ki darkhast agar koi user karata hai to yeah suchana dikhata hai.

5 · Antim Shabda

Ant mein, yeah nondha lene jaisa hai ki inn dino waha per alag-alag kai IRCDs uplabdha hai. Jabki waha per jyadatar adhikansh IRCDs per kai modes saman hi hote hai, phir bhi waha per aur bhi vividh user aur channel modes ka network se network alag-alag istmal aur karya hota hai.

Yeah ullekh DALnet IRCD ke liye likha gaya hai, Bahamut version 1.8.* ko dhyan mein rakh kar, aur dusari IRCDs ke liye prayogik nahi hai.