Netsplit Manual

Version 1.0.0


Akhri mein anoovad kiya gaya Jayu- () se tarikh 2007-02-02

Asal mein likhwaya gaya Mystro () se tarikh 2000-10-01

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Parichay

Netsplits, ko Network Splits bhi kaha jata hai, durbhagya sey, yeah IRC ka hi eek hissa hai. Jab sey IRC ka istmal Internet per ho raha hai, IRC hai woh Internet key halat key mutabit hota hai. Jab do yaa adhik servers key bich ka jodan kat jata hai (kisi bhi karan sey) tab netsplit banta hai. Yeah dastavez key bhitar meiney bataya hai ki netsplit kyo hota hai, kaisey usko thik kiya jata hai aur netsplit key dauran kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye.

Suchi

1 · Netsplits kya hai

Netsplits tab banta hai jab eek yaa adhik server ka kisi dusarey server key sath jodan tut jata hai (kisi bhi karan sey). Iss vajah sey network do, alag hissey mein butt jata hai. DALnet key pass kafi servers hai, unmein sey kuch hubs hai aur kuch leafs hai. Woh hubs ekk dusarey key sath jodan kiye hotey hai aur web sey bhi. Hubs eek yaa adhik dusarey servers key sath juda hota hai ki jisko aam taur per leafs kaha jata hai. Jab woh sabhi servers ekk dusarey key sath judey hodey hai tab aap network chalu kartey hai jaha per sabhi server ekk dusarey key sath kisi bhi tarah sidhey yaa dusarey key jariye judey hotey hai.

Sachitra dikhey to aap eek bada zad (tree) ki tarah samje ishko. Ekk zad ko kafi shakhaye hoti hai ki jo aapas mein judi hoti hai. Zad ko fal-pan (leafs) bhi hotey hai ki jo nischit sakha sey judey hotey hai. Jab netsplit hota hai, tab lead aur hub ka baki network sey jodan tut jata hai.

Jab aisa banta hai, tab pura network eek nahi raheta: waha per do vibhag ho jatey hai (yaa 'paksha'). Ekk paksha mein kuch servers aur dusarey paksha mein kuch server rah jatey hai ki jo aapas mein kisi bhi tarah sey judey nahi rahtey.

Agar aapko aisey samaj mein nahi aah raha hai to eek zad ko sachey, agar ekk shakha tut gai, tab baki ki teen apas mein abb bhi judi hai aur dusara paksh (ki jo sabhi leafs ki sakha ho) kahi aur hoga. Jabki yeah dono ekk hi network key hissey hai lekin abhi split woh split hai aur woh aapas mein kuch bhi adan-pradan nahi kar saktey hai. Yeah per drastant rakha gaya hai ki jo sayad ishko samaj ney mein madad karey.

Ex. #1

Hub1------------Hub2
 |               |
 |-Leaf1         |-Leaf4
 |-Leaf2         |-Leaf5
 |-Leaf3         |-Leaf6

Yeah drastant mein 2 hubs appas mein judey huve hai aur dono ko 3 dusarey servers bhi hai. Dusarey labzo mein kaha jaye to, waha per 8 servers aapas mein sidhey yaa kisi key jariye judey huve hai aur kisi bhi eek server per kuch bhi banta hai woh baki key sabhi per bhi hota hai.

Ex. #2)

Hub1            Hub2
 |               |
 |-Leaf1         |-Leaf4
 |-Leaf2         |-Leaf5
 |-Leaf3         |-Leaf6

Upar app dekh saktey hai ki hubs aapas mein kisi bhi tarah sey judey nahi hai aur jab woh hubs abhi bhi 3 servers rakhtey hai, lekin woh kuch bhi mahitiya baki key 3 servers per bhej nahi saktey hai.

Ex. #3)

Hub1-----------Hub2
 |              |
 | Leaf1        |-Leaf4
 |-Leaf2        |-Leaf5
 |-Leaf3        |-Leaf6

Yeha per woh dono hubs aapas mein judey hai, phir bhi Hub1 per ekk server chutta huva hai. Yeah server abhi bhi online hai lekin woh hub sey kisi bhi tarah sey juda nahi hai, ishliye sirf waha key users wohi server per jo chal raha hota hai wohi sirf dekh saktey hai.

2 · Users kya dekhtey hai

  • Jab server splits hota hai, split key prtyek taraf waley users dekhtey hai ki dusarey users lupt hu gaye hai. Unka quit message kuch aisa dikhta hoga "server1.xx.xx.dal.net server2.xx.xx.dal.net", jaha per server1 aur server2 woh servers hai ki jo appas mein ekk dusarey sey split huvey hai. Phir bhi, yeah quit message pratyek client per aalag aalag ho sakta hai.

    Ex. #1)

    Mystro (mystro@mystro.canshell.com) Quit (liberty.nj.us.dal.net vader.ny.us.dal.net)

    jaha per Vader woh server hai jaha Mystro user hai aur Liberty woh server hai jis per aap judey huvey hai.

    Phir bhi, Mystro, netsplit ki dusarey taraf sey kuch aisa dekh raha hota hai:

    WhateverNick (someperson@someisp.com) Quit (vader.ny.us.dal.net liberty.nj.us.dal.net)

    jaha per Liberty woh server hota hai jaha per WhateverNick hai aur Vader woh server hai jaha Mystro mojood hai.

    (Sirf nondha key liye, Vader haiwoh DALnet per hub hai aur ishliye woh logo key liye jodan manya nahi rakhta hai, Meiney ishko sirf

    drastant key taur per dikhaney key hetu sey rakha hai).

    Ex. #2)

    Vader----------------Hub2
     |                    |
     |-Liberty            |-Leaf4
     |-Leaf2              |-Leaf5
     |-Leaf3              |-Leaf6
    

    Yeaha per waisey to upar key saman hi hota hai lekin yeah samaj ney mein aasan hai. Liberty per mojood sabhi yeah dekhtey hai agar Vader chala gaya aur Vader per mojood sabhi yeah dekhtey hai ki Liberty unsey kut gaya.

  • Aisey kissey mein network split waha banta hai jaha per 2 yaa adhik hubs split huvey hotey hai, log aisa kuch dekhtey hai agar woh usey hubs key kisi servers per judey hotey hai tab.

    Ex. #1)

    Vader.ny.us.dal.net aur Journey.ca.us.dal.net split. Vader abhi bhi liberty aur journey ko dusarey servers sey banaye rakhta hai.

    Aisey mein quit message kuch aisa ho sakta hai:

    Mystro (mystro@mystro.canshell.com) Quit (vader.ny.us.dal.net journey.ca.us.dal.net)

    aur dusarey taraf ishsey bilkul ulta dikhta hai.

    Ex. #2)

    Saralta sey samaj ney key liye sachitra alekh ankit karna padega:

    Vader           Journey
     |                 |
     |-Liberty         |-Leaf1
                       |-Leaf2
                       |-Leaf3
    

    Yeah alkeh mein aap dekhtey hai ki Vader hai woh Journey sey split huva hai. Jab ki Liberty abhi bhi Vader sey juda huva hai, baki ka network tuta huva hai. Aisey mein mein kuch aisa dekhunga ki Liberty aur Journey split ki bajah Vader aur Journey split huvey hai.

  • Akhir mein, jab servers vapis jodan karta hai, tab aap logo ka bhitar aney kaa flood dekhtey hai aur servers channels per modes ko badaltey hai jissey sabkuch pahele jaisa ho jaye jaisa split mein janey sey pahele tha.

    Ex.

    [16:22] *** user1 (user1@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user2 (user2@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user3 (user3@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user4 (user4@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user5 (user5@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** liberty.nj.us.dal.net sets mode: +ovvv user1 user2 user3 user4

    Yeah dikhata hai ki aap kya dekhogey jab server vapis jodan karega, server ki jo channel per modes badalta hai woh bilkul wohi set karega ki jo network sey split honey sey pahele tha.

3 · Netsplits ko kaisey sulzaye

Yeah masley per jaha IRC operator ko kaam karna hoga. Jitna ho skey utna netsplit banney per, ekk global message IRC server key jariye bheja jaye ki jo bataye ki aisa bana hai, kaunsa server aur kyo (read errors, timeouts adi...) bana hai. Aab, adhik manyata hansil karney ki bajah, IRCops apna karya santi sey samajdari sey kartey hai aur jitna ban sakta hai utna woh netsplits per kaam karna chalu kar detey hai. IRC operators network key baki key do yaa adhik servers ko vapis jodaney ki kosish kartey hai. Agar yeah na kaam raha to, woh koshish kartey hai aur servers ko dusarey hubs sey ki jo C/N lines per likha gaya ho unper jodan karney ki kosish kartey hai (linking line key bina aap server ko aapas mein jod nahi saktey).

4 · Netsplits key darmiyan kya kare aur kyaa naa karey

  • Salamt raasta yeah hai ki netsplit waley server sey nikal yaa baney rahey aur intezar karey servers key vapis jodan kaa.

  • Kisi bhi channels per ops paney key liye split server per KADAPI jodan naa karey. Sabsey pahele bata dey ki aisa karta vyarth hoga kyoki DALnet key IRC server netsplits key darmiyan logo ko channels per ops nahi banatey. Dusarey mein, server vapis judney per split sey pahele jo bhi settings they wohi vapis set karta hai, aisey mein jab net vapis kayam ho jaa ta hai tab jitna mumkin hoga utna jaldi woh aapko deop kardega. Tisra, aap ki tarah waha per kai pagal dusarey log bhi aisa karney ki koshish mein hotey hai, aur kafi logo ko aapka aisa karna pasand nahi ata.

  • Agar aap ney servers badalney kaa socha ho, to wohi server badaley jaha per baki key adhik users mojood ho, jisliye aap jis server per mojood hai wohi server sey judey kisi dusarey server per jodan naa karey. Achey key liye, mein yeah salah deta hoon ki jodan key liye koi dusara nickname istmal karey kyoki agar woh server lagged (pichey) hoga aur waha key hisaab sey aap abhi bhi server per online hogey to muskil ho jayegi. Phir bhi jaisa ki mein pahele bata chuka hoon, aap wohi per baney rahe jab tak saab kuch thik thak naa hoo jaye.

  • Agar aap netsplit dekhey to IRCops ko yeah bhool key liye bataney ki jarurat nahi hai, agar woh mojood hotey hai to woh dekhtey hi hai aur agar woh mojood nahi hotey hai to unko bataney ka koi sawal hi nahi hai.

5 · Visistha

IRC

IRC ko Internet Relay Chat sey rakha gaya hai, ki jo aap jaisey aur muj jaisey hazaro users ko dusarey hazaro users key sath eek sath purey world per baat chit karney ki suvidha deta hai.

IRC operator

IRCop, ko IRC Operator sey bhi jana jata hai ki jinkey pass IRC Server per kuch khas haq-satta hoti hai, woh server ko thik sey chalaney mein madad kartey hai, net splits ko thik kartey hai, burey users ko sambhaltey hai aur aisey kafi kaam kartey hai. IRC operators ko kafi baar bhool sey 'Cops' 'mIRC Cops' yaa aisey kafi naamo sey pukara jata hai. Lekin waha per cops ka koi raasta hi nahi hai. Woh to sirf aapkey jaise insaan hi hai ki jo network ko saralta sey chalaney ka aur logo ko madad karney kaa kaam kartey hai.

Hub aur Leaf

Ek 'hub' woh server hai jo aam taur per 2 yaa adhik servers ko aapas mein web sey jodney kaa kaam kartey hai. Aur leaf ki side sey adhik tar kisso mein 1 sey adhik server ka jodan nahi hota hai, leaf hai woh hub sey judey hotey hai.

6 · Samapan

DALnet yeah koshi mein hai ki IRCers' ho sakey utna anandi rahey. Agar aur jab netsplit banta hai tab administration (IRCops aur Admins) jitna jaldi ho sakta hai utna woh inko thik karney kaa kam chalu kar detey hai taki IRCers' per majey sey baat chit kar sakey. Durbhagysey, aisa koi bhi aisa IRC network nahi hai ki jaha per netsplits naa banta hoo, aur jab bhi netsplit banta hai, hum sirf itna hi kahena chahegey ki sirf kuch dair santi sey intezar karey, aur thodi dair key liye ishper jodan naa karey jab tak yeah pahele ki tarah thik nahi ho jata :)