Netsplit ka Dastor`e`Amal

Version 1.0.0


Akhri bar tarjama kia giya Leo`King () or Heroic () per 2006-05-10

Asal main likha giya Mystro () per 2000-10-01

Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.

Taa`urf

Netsplits, ko Network k juda hojana say bhi jana jata hay, Bad naseebi say, yeh aik hissa hain IRC ka. Jabsey IRC Internet per istemal ho rahi hay, IRC ka daro midar Internet k honay per hota hay kisi bhi nukty per. Jab aik connection 2 yah issey ziada servers ka toot jata hay (kisi bhi wajah say) too tabb netsplit wajod main ata hay. Inn dastawizat mein Mein wazaht karonga k kiyoo netsplit hota hay, or kesay inko hall kia jata hay or kia karna hota hay or kia nahi karna hota netsplit k doran.

Muwaad

1 · Netsplits Kiya hain?

Netsplits jab hota hay jab aik say ziada servers ka connection toot jata hay kisi dosray server k saath (kisi bhi wajah say). Network 2 hisso main butt jata hay. DALnet kafi servers rakhta hay, kuch jo k hubs say hain or kuch leafs hotay hain. Jo hubs connected hoty hain aik dosrey say or aik web say. Aik hub aik say ziada server say jura hota hay jinko aam toor per leafs kehty hain. Jab sary server appas main juray hoty hain too aap seedhay connect hotay ho aik dosry k saath.

Iski achi roshni yeh hay k aap aik baray darakht ki baat kar rahy ho. Aik darakht jiski kafi sari shakhain hay jo k apas main juray hoti hain. Aik darakht k pattay bhi hotay hain jo har kisi shakh say jury hotay hain. Jab aik netsplit hota hay, aik leaf yah hub network say juda ho jata hay.

Jab yeh hota hay, too network pora nahi hotahay: yaha isky do hissay hain. Aik hissa servers k saath or dosra jo k dosray servers k sath jo apasa main connected nahi hotay hain kisi bhi sorat main. way.

Agar yeh darakh aap ko samajh nahi araha, agar aik shaakh gir jay, too darakht k baki hissay abb bhi baki hotay hain or ikhaty hoty hain or dosra hissa (Jo k aik shaakh ho sakty hai tumam leafs ki) kisi or jagah hota hay. jabky aik hissay jo apas main juda hay orr nahi mil sakty. Yahan aik misaal hay jo k isko dekhnay main asaan banati hay.

Ex. #1

Hub1------------Hub2
 |               |
 |-Leaf1         |-Leaf4
 |-Leaf2         |-Leaf5
 |-Leaf3         |-Leaf6

Is misaal main 2 hubs hain jo k apas main connected hain or har aik hubs rakhta hay 3 dosray servers. Dosray lafzo main, 8 servers baray raast yah bey wasta conbnected hoty hain aik dosray say or har woh cheez jon in server per hoti hay.

Ex. #2)

Hub1            Hub2
 |               |
 |-Leaf1         |-Leaf4
 |-Leaf2         |-Leaf5
 |-Leaf3         |-Leaf6

Oper aap dekh sakty hain k hub jo k apas main juray huway nahi hay or jabky aik hub 3 servers rakhta hay, too yeh server malomaat dosry 3 server ko ko nahi bhaij sakty hain.

Ex. #3)

Hub1-----------Hub2
 |              |
 | Leaf1        |-Leaf4
 |-Leaf2        |-Leaf5
 |-Leaf3        |-Leaf6

Yahan dono hubs apas mein connected hain, barhaal Hub#1 mein aik server ghaib hay. Yeh server online hota hay laikin yeh hub say connected nahi hoty hain, sirf on logo ko hi pata chal sakta hay k server mein kia ho raha hay jo oss server par mojod hoty hain. on.

2 · Logo Ko kia Dekhna hay?

  • jab aik server juda hota hay too, Loog dekhaingay joo on server per hotay hain jo juda horahy hotay hain k loog ghaib ho rahay hain. Onka jany ka pegham kuch aisa hoga "server1.xx.xx.dal.net server2.xx.xx.dal.net", jahan server1 or server2 hain yeh woh server hay jo apas main juda huway hain. Baharhal, quit pegham mukhtalif hota hay har client per.

    Misaal. #1)

    Mystro (mystro@mystro.canshell.com) Quit (liberty.nj.us.dal.net vader.ny.us.dal.net)

    where Vader is the server Mystro is on and liberty is the server you are connected to.

    However, Mystro, on the other side of the netsplit would see something like this:

    WhateverNick (someperson@someisp.com) Quit (vader.ny.us.dal.net liberty.nj.us.dal.net)

    jahan liberty server hay is per aap ho or Vader server per Mystro hay.

    (Bass aik khaas, Vader aik hub hay DALnet per or logo ko connection nahi det ahay, Main isko dalail k liyeh hi istemal karta hon

    ).

    Misaal. #2)

    Vader----------------Hub2
     |                    |
     |-Liberty            |-Leaf4
     |-Leaf2              |-Leaf5
     |-Leaf3              |-Leaf6
    

    Yeh woh sab wohi hay laikin asaan hay samajhny k liyeh. Jobhi liberty per hay woh dekhay ga agar Vader onko chorhta hay or jo bhi Vader per woh dekhaingy k Liberty onko chorhta hay.

  • Network split honay ki wajah main yahan 2 yah ziada hubs juda hotay hain, Loog dekhaingy joo os server per hotay hain.

    Misaal. #1)

    Vader.ny.us.dal.net or Journey.ca.us.dal.netsplit. Vader abhi sirf liberty rakhta hay or Journey kafi servers ko thamy huway hay.

    Quit pegham kuch aisa hoga dekhny main:

    Mystro (mystro@mystro.canshell.com) Quit (vader.ny.us.dal.net journey.ca.us.dal.net)

    or wohi dosri jagah say hota hay.

    Misaal. #2)

    Aik Asaan rasta is diagram ko samajhny say:

    Vader           Journey
     |                 |
     |-Liberty         |-Leaf1
                       |-Leaf2
                       |-Leaf3
    

    Is Tashreeh mein tum dekho gay k Vader juda ho chuka hay Journey say. jabky Liberty abhi bhi Vader say connect hay, kafi servers ja chukay hain. Is sortay haal main Vader or Journey ikhaty juda hotay hain Liberty or Journey ki nisbat.

  • Akhir mein, jab servers dobara connect hotay hain, too aap aik bahao dekhtay ho logo k any ka or servers modes ko tabdeel karta hay kamro main har cheez wesay hi ho jati hay joo juda honay say pehlay hotay hain

    Misaal.

    [16:22] *** user1 (user1@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user2 (user2@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user3 (user3@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user4 (user4@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** user5 (user5@blah.com) has joined #blah

    [16:22] *** liberty.nj.us.dal.net sets mode: +ovvv user1 user2 user3 user4

    Yeh kuch aisa jo tum dekhtay hoo jab Server dobara connect hotay hain, server jiss kamry main modes badalta hay yeh sab wesay hi hotay hain jab network chorhta hay or dobara connect hota hay.

3 · Netsplits kesay Hall hotay hain?

Yeh IRC operator hi hotay hain jo yeh sab karty hain. unti hi jaldi jesay hi netsplit hotahay, aik aam pegham aik IRC server say bheja jata hay joo yeh kehta hay yeh wajood main aya hay, konsa server server or kiyoo (read errors, timeouts waghera...). Abb, aik khaas yaqeen ka aks, IRCops apna kaam karty hain achi tareeqay say or netspilts ko sahi karny per kaam karty hain jitna jaldi ho sakt. IRC operators hamesha masroof hotay hain dobara connect karnu ki koshish main 2 yah issey ziada servers ko network k saath sabko. yeh nakam ho sakta hay, woh koshish karaingy or dobara servers jorhay gain onky hubs say jo kay C/N lines rakhti hain (aik line joo mill rahi hoti hay jiskay baghair aap connect nahi ho sakty aik server say dosray server k saath) os server k liyeh.

4 · Karna or Na`Karna netsplit k duraan.

  • Aik mehfoz rasta hay yeh hay k wahin rahain jahan aap ho or dobara servers k connect honay ka intezar karain.

  • Kabhi kisi split server say connect honay ki koshish NAHI karain kisi dosray kamro main OP hasil karny k liyeh. Sab sey pehlay yeh yaqeen ho jayga k jab net split hota hay or kamro main OP hasil karna aik bey nateeja baat hoti hay kiyon k DALnet's IRC servers yeh honay nahi detay. Dosra yeh kay, servers dobara sey sab set karty hon jo netsplit say pehlay tha, isi sortay haal main yeh onko deop kardetay hain joo OP hasil karty hain netsplit k doran. Teesra, yeh sab logo k liyeh dhoka amaiz hota hay jo aap ko zahir karty hain, or koi bhi yeh pasand nahi karta.

  • Agar aap nay fesla karlia hay server badalny ka, yaqeen karlain k os server per ja rahy hoo jahan kafi loog hon, jesa k woh server nahi jo k mojoda server say milay hotay hon jisper aap mojod hon. Jesa k, mein yeh mashwara donga k woh aik mukhtalif urfi`naam jo server k slow honay ka sabab hota hay or abhi tak server per mojod hota hay. Agarcha jesa k mein nay kaha tha, yeh behtar hay k aap wahin rahain jahan aap os waqt hotay hoo.

  • IRCops say bheek na mango agar aap netsplit dekhty hao, agar woh chust hain woh daikh laingy agar woh nahi hain too woh sahi jagah nahi hay mangny ki.

5 · Shar`rah

IRC

IRC ko Internet Relay Chat kehtay hain, yeh hazaro logo ko ijazat deti hay jesa k main or aap apass main baat kar sakain dosray hazaroo logo say joo duniya main mojod hotay hain.

IRC operator

IRCop, ko bhi IRC Operator say jana jata hay yeh aik shakhs hota hay jo k aik khaas rasahi rakhta hota hay IRC Server per, yeh server ko chalany main madad karta hay, net splits ko sahi karta hay, tang karny waly logo say takarty hain or bohat ziada say. IRC operators kuch dafa 'Cops' 'mIRC Cops' or bohat dosri chezain samjha jata hay. yeh koi cops nahi hain. Yeh aap k ham palla loog hi hotay hain jo network koo aap k liyeh khush aiend banaty hain.

Hub or Leaf

A 'hub' aik server hay jo aam tor per 2 yah issey ziada servers say connect hota hay. Aik 'leaf' dosri taraf aik say ziada server say nahi connect ho sakta or dosri sortat haal main, or leaf connect hota hay aik hub say.

6 · Nateeja

DALnet kisi IRCers ko banay ki koshish karta hay' k woh khush rahay jesay bhi mumkin ho. agar or jab netsplit hota hay administration (IRCops and Admins) kaam main lag jaty hainiskoo sahi mumkina tor per sahi banany k liyeh takay IRCers' aik tafree hasil kar sakain chat say Bad naseebi say, koi IRC network iss netsplit ki adat say paak nahi hay. or jab aik netsplit hota hay, ham aap sab sey yeh mutalba karaingy k sabar karain, is sahi karny or wesay hi lany per jesa k pehlay tha :)