1 · IRC se kaise judein
DALnet ko connect karne ke liye, aapko ek IRC client ki jaruat hai. Aap koi bhi operating system istemaal kar rahe hon, sabhi ke liye koi na koi IRC client maujood jarur hoga. Kaunse software aap istemaal kar sakte hain DALnet se judne ke liye, iski jyada jaankari niche di gayi hai. http://www.dal.net/software . Agar aap IRC client download nahi kar sakte, toh aap niche diye link se judein http://www.dal.net joh ek java client hai.
Abh aap DALnet apne mobile phone se bhi jud saktein hain. ( Yeh kuch application hai joh aapko DALnet se judne mein madat karengi joh saare mobile operating system ke liye hain. iOS ke liye Appendix A , Android ke liye Appendix B , IRCCLOUD ke kiye Appendix C ).
2 · DALnet ko kya khaas banata hai
DALnet dusre networks se kaafi alag hai kai mayno mein. Sabse mahatva purn antar hai DALnet ki services: NickServ, ChanServ, aur MemoServ. DALnet ke services ki coding, maintainanace aur upgradation unke apne staff hi karte hain. Unhe is prakar banaya gaya hai ki woh aapke baatcheet ka anubhav acha banakar rakh sakein; jyada jaankari ke liye yahan dekhein http://www.dal.net/services .
3 · Buniyaadee IRC Commands
IRC server ko connect karna
/server
server
:port
(Udharan: /server irc.dal.net:7000 )
IRC ko quit karna "message" ke saath
/quit
message
(Udharan: /quit Bye everyone! )
Channel koi join karna
/join
#channel
(Udharan: /join #Help )
Channel ko chorna
/part
#channel
message
(Udharan: /part #DALnetHelp Thanks for the help! )
Apne nickname se harkat karna - * Apka nickname kuch karta hai
/me
action to perform
(Udharan: /me waves to everyone in the channel )
Channel ki soochi kisi vishey par *subject*
/list
*subject*
(Udharan: /list *help* )
Jyadatar commands aap apne IRC client mein type kar ke istemaal kar sakte hain, aur baaki clients mein "popups" ya menu features hote hain. Aapke IRC client ke baare mein madad paane ke liye, uske naam wale channel mein jayein (Udharan: #mIRC mIRC ke liye, #pIRCh pIRCH ke liye) ya fir aap yeh try karein /help apne IRC client mein.
Sabse jyada poocha jaane wala sawal hai, ki nickname ko kaise register karein. Iski jaanakri aapka yahan niche diye hui url pe milegi. http://docs.dal.net/docs/nsemail.html .
4 · Maddat Maangna
DALnet ke pass kaafi help channels uplabh hain alag alag topics ke liye, jaruri nahi woh IRC se hi jude hon. Sabse pehle jaruri hai ki hum apne vishey se jude help channel ko dhundhe
IRC se judi taklifon ke liye, yeh jaanna jaruri hai ki yeh DALnet se juda hua sawal hai ya nahi. Hum dusre networks se judi samasyaan ke jimedaar nahi hain. Yeh kuch channel hai jahan aap madat paa sakenge #DALnetHelp , #IRCHelp ya #Help . Kisi anyaa bhasha mein madat ke liye: #DALnetAide (French), #DALnetHilfe (German), #DALnetAyuda (Portuguese and Spanish), #DALnetYardim (Turkish).
5 · DALnet ke IRC Operator
DALnet ke IRC Operator apne server admin ko server maintenance aur network stability mein madat karte hain. IRCops DALnet ke users ko sahi disha aur network se judi madat ke liye hote hain. Woh teams ka hissa bhi hote hain jinse woh users ko sahi tarike ki services ka labh uthane mein madat karte hain. Yaad rakhein ki DALnet ek non-profit entity hain aur uske staff members koi bhi paise ke haqdaar nahi hote.
Network sambhandit administration ke baare mein jyada jaankari yahan milegi http://www.dal.net/admin .
6 · Channel Operators
Jin logon ke pass @ hota hai apne nickname ke saath woh channel operator keh late hain aur channel ko sahi tarike se barkarar rakhne mein madat karte hain. Agar woh chahein woh woh kisi ko bhi channel se bahar kar sakte hain, jab woh dekhte hain ki koi sahi vartaau nahi kar raha. DALnet ki bhi roop mein channels ki rakhayi mein dakhal nahi deta aur unke ops, founder hi unke asle faisle suna te hain. Agar aapko ki op ke bartaav ke baare mein shikayat karn ho to us channel ke founder se baat karein. Founder yaani ki channel ka asli maalik hota hain. Aap yeh command istemaal karke pata laga sakte hain founder ke baare mein:
/chanserv info
#channel
/quote chanserv info
#channel
/msg chanserv@services.dal.net info
#channel
7 · Suraksha
IRC istemaal karte samay badi hi saavhani se rahein. Kabhi bhi apne nickname ya channelk ke password ko kisi ke saath bhi share na karien. Yeh jaankari jarroor padein http://docs.dal.net/docs/exploits.html Agar aap kisi bhi prakar ke Microsoft Windows software ka istemaal karte hain.
8 · Nishkarsh
DALnet Documentation Team aapko kayi saare dilchasp aur madatgaar vishey ke baare mein jaankari deti hai, aap unhe yaha, http://docs.dal.net adhik jaankari ke liye padd sakte hain.
Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.