NickServ ke Vikalp

Version 1.1.7


Last revised by sps () on 2018-02-18

Originally written by LadyDana () on 2000-10-31

Please direct any comments or feedback about this document (only! no help requests!) to docs@dal.net. If you need help on issues not covered in this document, please see the information at http://help.dal.net.

Parichay

DALnet aaj sabse bade IRC networkon mein se ek hai joh apni services ke liye maana jaata hain. Duniya mein sabse pehle ****Serv services implement kiya apne users ke liye san 1994 mein. Sabse jyada istemaal hone waali services hain NickServ , ChanServ and MemoServ . Yeh dastaavez aapko NickServ ke vibhin vikalpo se rubaroo karvayega jab aapke paas ek poori tarah se registered nickname hoga.

Poori soochi DALnet Services commands ki aapko yahan prapt hogi. http://www.dal.net/services . Iske paschataap agar koi savaal ho toh kripa in channelon ka sahare lein sakte hain. Yeh DALnet ke apne manayta diye hue help channels hain. #DALnetHelp , #Help ya fir #IRCHelp .

Poore dastaavez ke dauran, yeh command /nickserv isteemal NickServ ke saath baatcheet ke liye upyog kiya gaya hai. Aise bhi ho sakta hai ki aapka IRC client /nickserv sveekar na karein. Toh aap fir yeh istemaal kar saktein hain /msg nickserv@services.dal.net ya fir /quote nickserv bajayein /nickserv ke.

Contents

1 · Aavashtakon, Shamtayein aur Jimmedarian

Yeh dastaavez mein yeh maan kar chala ja raha hain ki, aapne aapna nickname safalta purvak poori tarah register kar liya hai aur uske baarein mein kya kadam uthane hai iske baarein mein hum charcha yahan nahi karenge. Nickname registeration ki prakriya ki jaankari prapt karne ke liye yahan dekhein http://docs.dal.net/docs/nsemail.html .

NickServ permit karta hai users ko nickname "register" karne ke liye, par dusro ko aapne nick ko istemaal karne se rokta bhi hain. Agar koi user aisa nickname istemaal karne ki koshish karta hai joh uska nahi hai, toh us nickname ka maalik u user ko disconnect karva sakta hain. Yaad rakhein ki koi nickname agar 30 din tak nahi istemaal hota, toh woh Inactive ho jata hain. Iske uparant kitne bhi user is nickname ko request kar sakte hain users.dal.net portal ke dwara. Request submit hone par, ek email current owner ko trigger hota hai jispar use 7 dino mein karwayi karni hoti hai. Aisa na karne par woh nickname random request karne waale user ka ho jata hai. Yaad rakhein request tabhi ho payegi jab aapke paas koi bhi nickname 365 dino se jyada wala hon.

Jab aap DALnet par nickname register kar rahe hain, toh aap ek free service ka fayda utha rahe hain. Kripa karke jyada ginti mein nicknames register na karein joh aap istemaal bhi nahi kar sakenge, ya fir isliye bhi register ka karein taaki koi aur woh nickname le na sakein.

2 · Nickname ko Identify kaise karein

Nickname ko identify karne ke ek se jyada tarike hain. Aap kisi aise nickname ko bhi identify kar sakte hain joh aap is waqt istemaal nahi kar rahe. Mool roop se identify karein:

/nickserv identify [ nickname ] password

Udharan:

/nickserv identify ILovePeanutButter
/nickserv identify PeanutButterLover ILovePeanutButter

aur bhi tarike hain nickname ko identify karne ke:

/identify [ nickname ] password
/services identify [ nickname ] password
/msg nickserv@services.dal.net identify [ nickname ] password

Dekha jaye toh /identify aur /services dono DALnet ke built-in server commands hain, haala ki kuch aise clients hain joh inhe sweekar nahi karte. Agar aapka IRC client unmein se ek hai toh, aap yeh command dein /quote prefix:

/quote identify [ nickname ] password
/quote services identify [ nickname ] password

Kaafi samay yeh bhi dekha gaya hai ki users ne apne password khule aap channels mein type kardiye aur nickname gava baithe kyunki woh / command character dena bhool gaye. Isliye hum aapko poori sehajta ke saath yeh command istemaal karne ka soojhav dete hain. Sabse acha tarika hai ki aap yeh command apne Status window mein hi type karein.

3 · Nickname ki jaankari kaise prapt karein

Yeh command aapko koi bhi nickname ki jaankari dega joh registered ho. Aap isse idea le payenge ki owner ka host kya tha, aakhri baar kab nickname online dikha tha, kaunse vikalp set kiye hai nickname ke liye, aadi.

Syntax:

/nickserv info nickname

Udharan:

/nickserv info PeanutButterLover

Niche diya gaya udharan batata hai ki kaise NickServ info ke jaankari aapko dikhegi:

-NickServ- Info for PeanutButterLover:
-NickServ- (Currently on IRC) For extra info: /whois PeanutButterLover
-NickServ- Last seen address : butter@loving.peanutbutter.ca
-NickServ- Memos forward to : PeanutButter
-NickServ- Last seen time : Tue 10/24/2000 04:10:58 GMT
-NickServ- Time registered : Sun 08/22/1997 10:18:21 GMT
-NickServ- Time now : Tue 10/24/2000 04:17:37 GMT
-NickServ- URL : http://www.peanutbutter.ca/
-NickServ- Email address : janet@peanutbutter.ca
-NickServ- Options: Enforced, NoOp
-NickServ- *** End of Info ***

4 · "Nickname is samay istemaal mein hain"

Kaafi baar aise ho sakta hain ki, aap nickname istemaal mein ho ya dikhe par aap use istemaal nahi kar rahe ho. Aise samay mein aap, teen alag alag command ko chun sakte hain halat anusaar.

4.1 Sabse pehla: GHOST command

Ho sakta hai ki aap apne ISP(Internet Service Provider) dwara disconnect hogaya hon bina DALnet se logoff kiye. Aise mein nicknames kabhi kabhi online hi reh jaate hain, aise halat mein usse kehtein hain ghost .

Dusre shabdon mein, ghost ek aisa connection hain joh asal mein exist nahi karta. par server ko iski jaankari nahi hoti. Waise toh ghost kuch minton mein apne aap disconnect ho jata hai par agar aap rukhna na chahein, toh aap ghost se pala chudaha sakte hain, yeh kar kar:

/nickserv ghost nickname [ password ]

Udharan:

/nickserv ghost PeanutButterLover
/nickserv ghost PeanutButterLover ILovePeanutButter

Agar aa[ke access list ki entry is samay match kar rahi hai toh, aapko password dena avashak nahi hai command mein. Jyada jaankari acccess lists pe aapko yahan mil jayegi http://docs.dal.net/docs/nsaccess.html .

Agar aap password istemaal karte hain ghost command mein toh iska matlab aap ussi samay identify bhi hojate hain nickname ke saath aur Services ko lagta hai ki aapne yeh command chala diya hain /nickserv identify nickname password command.

4.2 RECOVER command ka istemaal

Agar aapka Nickname ka ENFORCE option ON hain, ya fir kisine aapka nickname istemaal karne ki koshish ki hain. aur NickServ ne unhein GUEST nahi banaya abh tak (section dekhein section 4.3 ), toh aap yeh RECOVER command ke saath us user ko disconnect kar sakte hain, aise command istemaal karein.

/nickserv recover nickname [ password ]

Udharan:

/nickserv recover PeanutButterLover
/nickserv recover PeanutButterLover ILovePeanutButter

RECOVER command GHOST command ki tarah password nahi mangta, agar apki access list entry mil rahi hai toh yeh kaafi hai.

RECOVER command istemaal karne ke uparant, aapka nick held ho jata hai. Apne nickname ko wapas paane ke liye, RELEASE command ko istemaal karein joh hum niche abh dekhne ja rahe hain.

4.3 RELEASE command ka istemaal

Ek enforcer temporary tarike se aapka nicknamne pakad kar rakhta hai 60 seconds ke liye(ENFORCE option ON hona chahiye, default abh saarein nickname ENFORCE ON hi hote hain). Uss user ka nickname Guest***** mein badal jaata hai aur woh nickname held ho jaata hain. Nickname joh is tarah held hote hain woh istemaal nahi kiye jaa sakte aur unhe yeh error msg dikhta hai:

PeanutButterLover The nick PeanutButterLover is currently being held by a Services Enforcer. If you are the nicks owner, use /msg NickServ@services.dal.net RELEASE PeanutButterLover password to release the nickname. If thenickname recently expired, please wait patiently and try again later. [PeanutButterLover]

Nickname ko release aur usse istemaal karne ke liye, yeh command ka upyog karein:

/nickserv release nickname [ password ]

Example:

/nickserv release PeanutButterLover
/nickserv release PeanutButterLover ILovePeanutButter

Agar release command nahi kaam karta, toh pehle recover command ko istemaal karein (joh section 4.2 command hum upar dekhkar aaye hain) aur fir release command ko firse istemaal karein. Aise karne ke uparant abh, aap apna nickname isteemal kar sakte hain yeh command dekar: /nick yournickname .

GHOST aur RECOVER commands ke saath hamesha password dena jaroori nahi hota. Agar access list entry match kar jaati hai toh woh kaafi hota hain.

5 · Access Lists ko dekhna aur Access check karna

Access list to istemaal karna ek naye user ke liye thoda bhramak ho sakta hai. Is karan se humne ek dastaavez alag se likha hai access lists par, aur ismein yeh bhi bata hai ki iske kya fayde aur nuksaan hain. Is dasataave ko aap yahan prapt kar saktein hain http://docs.dal.net/docs/nsaccess.html .

Users ke paas yeh shamta hai ki woh apni aur dusron ki access dekh saktein hain. Isse se ve yeh pata laga sakte jain ki woh insaan joh nick use kar raha hai woh identified hai ya nahi. Yeh dekhne ke liye command hain:

/nickserv acc nickname

NickServ aapko ek number dega joh 0 aur 3 ke beech hoga, jo istarah kuch dikhega:

-NickServ- PeanutButterLover ACC 2

Har ek number ka kuch arth hai access level se joh batata hai ki user kis access level dauran nickname ka upyog kar raha hai.

0

The nickname used is not registered.

1

The user has not identified to the nickname.

2

The user matches an access list entry for the nickname.

3

The user has identified to the nickname.

Yeh command kaafi jagah kaam aata hai, jaise ki ptata lagana ki koi impersonation kar raha hai ya nahi, kyu kio op nahi ban pa raha jabki woh AOp/SOp soochi mein darz hain.

6 · Vikalpon ko set karna

Ek registered nickname ke liye kaafi vikalp upladh hai set karne ke liye. Kisi bhi vikalp chunne se pehle, aapka apne nickname ko identify karna hota hain. Jyada tar commands nahi chalenge agar aap identified nahi hon.

6.1 Password ko badalna

Password ko badalna bada hi aasan hain:

/nickserv set passwd oldpassword newpassword

Udharan ke taur par:

/nickserv set passwd ILovePeanutButter ILovePB

Upar wale command ne aapka purana password "ILovePeanutButter" change karke naya password "ILovePB" bana diya. Jab aapka password successfully change ho jata hai, toh appko ek confirmation email aata hai registered email id par jismein sirf yeh likha hota hai ki aapka password change hogaya hai aur aapko aage kuch nahi karna(bina password ke). Agar aapne password change nahi kiya hai toh aapko diye hue authorization code ki madat se aap 72hrs mein password rollback kar sakte hain. Agar aapne password abhi abhi change kiya hai toh agle 72 ghanton tak aap nickname ka email id change nahi kar payenge. Waise hi email id badalne par aap naya password 72 ghanton ka nahi badal sakenge.

6.2 Dusron ko aapka nickname istemaal karne se rokna

Sabse bada fayda registered nickname ka yeh hai ki aap dusron ko aapka nickname istemaal karne se rok sakte hain, fir chahe aap online ho ya na ho.

Enforce Option abse hamesha ON set kiya gaya hai default sabhi nicknames ke liye jaise hi woh register hote hain ya pehle se hi register hue hain, aur abh is feature ko band nahi kiya ja sakta. Pehle yeh is naam se jaana jaata tha KILL par baadmein yeh vikalp rename hokar ENFORCE vikalp ban gaya.

Jab koi "enforced" nick istemaal karta hai, toh unhe 60 seconds diye jaata hain identify karne ke liye. Nahi toh, unka nick jabran "Guest*****" bana diya jaata hai jahan * ek random number hota hain.

/nickserv set enforce on

Yeh command abh aapko ON/OFF vikalpon se khelne nahi deta.

Purani aadat dauran, kuch log abhi bhi KILL command istemaal karte hain bajaye ENFORCE ke. Dono wahi kaam karte hain. ENFORCE abh system se nikala ja chuka hai DALnet ke aur hamesha ON hi rahega har nickname ke liye fir chahe woh naya nickname ho joh abhi register kiya gaya hai ya fir koi purana. OFF karna ENFORCE vikalp ko abh mumkin nahi raha.

Dhyaan dein, mumkin hain yeh ki aap koi nickname ko istemaal kar sakte hain bina identify kiye, access lists dwara. Jyada jaankari ke liye yahan dekhein http://docs.dal.net/docs/nsaccess.html .

6.3 Apne nickname ko URL kaise jodein

Abh aap apne nickname ke saath URL jod payenge. Jab bhi koi aapke nickname INFO ko check karega toh URL bhi dikh jaayega. Jyada karke, log aone homepage ko URL mein dala karte hain.

Syntax:

/nickserv set url [ URL ]

Agar aap url ki jagah par kuch nahi dalte toh system usse blank bana kar URL ko hata deta hain.

Udharan:

/nickserv set url
/nickserv set url http://www.peanutbutter.ca/

Pehla command upar URL hatane ka kaam karta hain. Dusra command URL aapke nickname ke saath URL jodta hain.

Dhyaan dein: NickServ SET URL command abh https://URLs. ko bhi support karta hain. Kya hain https? Dekhein https://techdifferences.com/difference-between-http-and-https.html

Udharan:

/nickserv set url
/nickserv set url https://www.www.peanutbutter.ca/

6.4 Email address ko badalna

Jab aap pehli baar nickname register karte hain, toh email address dete hain taaki aap nickname poori tarah register karlein. Yeh jyada detail mein is link par dekha jaa sakta hain http://docs.dal.net/docs/nsemail.html .

Email id ko badalne ke liye yeh SET EMAIL command ka upyog karein.

/nickserv set email Password [ email address ]

Is command ko agar hum bina email id ke type karein toh woh hamara is samay set kiya hua email batata hain. Asal mein naya email id set karna hai toh ek valid email id dena padta hai upar waale command mein. Udharan dekhein niche

/nickserv set email ILovePeanutButter janet@peanutbutter.ca

Yaad rakhein ki aapko authorization poora karna hota hai yeh prakriya ko sampann karne ke liye. Aapke naye email address joh ki janet@peanutbutter.ca hai ispar aayega. Password change karna ek two-stage-process hai. Jab aap email change karne wala command type karte hain toh ek email aapke purane email address par jaata jai joh aapko jaankari deta hai ki aapka email address change hone ja raha hai. Agar aapne yeh nahi chaha hai toh 72 ghanton ke andar usse cancel karein link istemaal karke joh email mein diya hai ya fir code ke tahit bhi. Agar aap kuch bhi mnahi karte in 3 dino mein (72 ghante) toh fir uske abaad naye email address ka nickname set ho jata hai.

Kaafi email addresses nahi istemaal kiye jaa sakte nickname registeration ke liye. Yeh sirf abuse kaaran hai. Aap @u.dal.net address nahi istemaal kar payenga registeration ke liye.

6.5 Apna email address display karwana

Default tarike se sabhi nicknames ke email id invisible hote hain. Par agar aapko email address kiski dikhana hai toh, SHOWEMAIL vikalp ka istemaal karein kuch is tarah se

/nickserv set showemail on
/nickserv set showemail off

Pehla command aapka email address NickServ INFO ke dauran dikhane lagega. Dusra command aapke email ko dusro ko dikhana band kar deta hain.

Assveekaran: DALnet kiski prakar se bhi aapko mile spam ke zimmedar nahi honge agar aap apna email address ko dusro ko dikhata hain is vikalp ki madat se.

6.6 Memos ko disable karna

NOMEMO vikalp sidhi tarah se MemoServ se juda hua hai, aur MemoServ ki jyada jaankari aapko yahan milegi http://docs.dal.net/docs/memoserv.html . Yeh vikalp dusro ko aapke nickname ke pass memo bhejne se rokta hai. Haalaki aap global memos receive kar payenga. IRC Operator chahein toh aapko memo jabran bhej sakte hain jo ahem taur se jaroori hon.

Yeh command ko yaad rakha bada hi aasan hain, Iske do vikalp hai:

/nickserv set nomemo on
/nickserv set nomemo off

Yeh aapko memo bhejne ya na bhejne ke liye fayde mand sabit hone waale command hain. Agar aapne koi dusre nickname se aapke main nickname pe memo forward option ko set kiya hai, toh is dauran bhi aapko memos nahi aayenge aur block ho jayenge.

6.7 Op banane se rokna swayam ko

Aap NOOP command istemaal karke apne aap ko koi bhi AOP/SOP soochi ka hissa banane se rok sakte hain. Yeh dekhein vikalp

/nickserv set noop on
/nickserv set noop off

Inse aap NOOP ko ON aur OFF set kar sakte hain. Agar aap chahte hain ki aapko koi AOP/SOP ki soochi mein firse shaamil karein toh aapko NOOP OFF vikalp chunna padega.

6.8 SENDPASS ko rokna

DALnet ne aapko apne khoye hue password ko mangvane ke liye pravadhan kiya hain. Aap yeh SENDPASS dwara kar sakenge. (Dekhein section 8 ). Aap is self-send password ka vikalp hamesha ke liye band bhi kar sakte hain, MAILBLOCK istemaal karke. Yaad rakhein ek baar MAILBLOCK ON karne par aap apna password fir kabhi mangva nahi payenge. Vikalp niche hain

/nickserv set mailblock on
/nickserv set mailblock off

MAILBLOCK off karne ke baad aap apna password mangva sakte hain. MAILBLOCK ki setting ke loye authorization ki jarurat hoti hai. Email par yeh code dekhein aur istemaal karein.

7 · Nickname drop karne ki prakriya

Aap apne nickname ko unregister kar sakte hain. Yeh do bhag mein bata hua hain. Pehle, aap nickname ko drop karne ke liye request karein aur fir code confirm karein.

Pehla padaav aise hai:

/nickserv drop nickname

Udharan:

/nickserv drop PeanutButterLover

NickServ ko kuch aisa jawab dega:

-NickServ- The request for dropping a nick must be confirmed. Please check your email address for further instructions!

Anudesh diye gaye aapke email dwara palan karein jismein exact auth code hoga. Copy aure Paste karein usse poora karne ke liye. :)

/nickserv auth nickname authorization code

Akhir mein, NickServ aapko confirm karega ki nickname drop ho chuka hai:

-NickServ- The nick PeanutButterLover has been successfully dropped.

Nickname drop karna matlab sidha sidha automatic webpage ko hatana (http://home.dal.net/nickname) aur aapka email address DALnet se bhi (nickname@u.dal.net)

8 · "Mein apna password bhul gaya/gayi"

Iske pehle ki aap ghabrana shuru karein apne bhule hue password kaaran, yaad rakhein passwords CaSe SeNsItIvE hote hain. Iska matlab "STAR" aur "star" ya "StaR" ek samaan nahi hain. Saare combination try karein apne password ke liye, kya pata yeh tarika chal jayein. :)

Apne nickname ko ek email address attach karke aap apne nickname ko surakshit bana sakte hain, taaki jab aap password bhool jayein toh usse mangvalein. Niche dekhein:

/nickserv sendpass [ nick ] [ email address ]

Udharan:

/nickserv sendpass PeanutButter janet@peanutbutter.ca

Yeh command ke dauran email address joh aap dete hain match karna chahiye woh email address ko jisse aapne apne nickname ke saath jod rakha hain SENDPASS command usi waqt chalta hai jab MAILBLOCK OFF set kiya ho. Dekhein section 6.8 .

Agar kisi karan aap swayam yeh samasya se bahar nahi nikal paa rahein hain, toh IRCop ki madat lein.

IRCop ko dhundne ki jaankari http://docs.dal.net/docs/findoper.html .

Adyatan karein: Pehle password sidhe sidhe email address par bheje jaate the. Abh se SENDPASS aise kaam karega:

1. Aapko authorization code ke saath ek EMAIL milega, jis par aapne karvayi karni hogi 72 ghanton mein(3 din) joh uski validity bhi hai.

2. Karvayi ke baad, NickServ ek naya random password banakar dega joh aapko apne AUTH command ke response mein milega. Uske uparant aap naya password set karlein.

9 · NickServ ka galat istemaal

Jyada nicknames register karke rakhna yeh DALnet ki services ka galat istemaal karna mana jaata hain. Nicknames ko register karke dusro ko istemaal karne na dena, yeh achi baat nahi maani jaati. Isliye utne hi nicknames register karein jitne jarrori hai aur istemaal mein aayein. Aap aam taur par 5 nicknames register kar sakte hain, par unka dur upyog na karein.

Ispe nirbhar karta hai ki upar diye hui guidlines ke tahit; aapko warnings, network bans, nickname freeze, nickname drop ya ISP ko email karke aapki harkat batakar yeh sabhi sehne pad sakte hain.

DALnet Administration ke paas poora haq hai aapne nicknames ko zapt karne ka ya drop karne ka agar DALnet ki policies ke virudh kaam karte hain. Udharan ke taur par: services ya oper ka impersonation karna, baar baar autokill se bachna, baar baar mass advertising karna, aadi.