1 · Apny urfi`naam ko kesay darj karain?
Note: DALnet ki urfi`naam ko darj kerny ki kidmat badal di gai hai. ab NickServ urfi`naam REGISTER kerny ki darkhwast se pehly ap se ek sawal poochy ga. Hamari khidmat ka maqsad hai keh koi bhi insan pehly aaye aur apni pasand ka urfi`naam aur kamra(channel) hasil ker le. Pichly kai salon mein, hum ne dekha hai keh ziada tar bots urfi`naam aur kamry(channels) hasil ker lety hain aur unhein pakry rakhty hain, aur kabhi jaany nahi dety. ye kisi bhi oast insan keh liye sahi nahi hai keh koi botnet us se pehly koi urfi`naam hasil ker le. Captcha ek program ke tehat banai gaya ek imtehan hai jisy sirf insan hi pass ker sakty hain koi computer nahi. Sab se ziada aam manzir-namy mein ek tasweer hai, jisy computers nahi parh sakty ap ko us mein poochy gaye haroof ka indraaj kerna hai urfi`naam ki darkhwast ke liye ya rukniyat hasil kerny ke liye. jab ap Nickserv ko normal darkhwast bhejein ge to to ap ko ek aasan sawal poochy ga. ap ko iss ka jawab Nickserv ko bhejna parry ga. ager ap ka jawab darust hua to ap ko ek aam AuTH email bhej di jaye gi aur ap ko sirf email mein di gai hidayat pe amal kerna ho ga. ager ap ka jawab ghalat hua to wo ap se doosra moqa bhi de ga. ye sawalat boht asaan hain aur her hafty naaye daly jaty hain.
urfi`naam kay indraj k liyeh neechay command di gaie hay:
/nickserv register passwordemail
address
Misaal:
/nickserv register PeanuttyButteryPass12 janet@peanutbutter.ca
Saarif ko Nickserv ki janib se ek notice mosool ho ga jis mein us se ek sawal poocha jaye ga.
/nickserv register password email
address answer
Misaal:
/nickserv register PeanuttyButteryPass12 janet@peanutbutter.ca
-NickServ- PeanutButterLover urfi`naam ko hasil kerny se pehly, ap ko iss sawal ka jawab dena ho ga:
-NickServ- Mark ka naam kya hai?
-NickServ- Jawab deny ke liye, likhiye: /msg NickServ@services.dal.net REGISTER PeanuttyButteryPass12 janet@peanutbutter.ca answer_here
-NickServ- Mazeed maloomat ke liye, Baraaye mehrbani dekhein http://www.dal.net/kb/view.php?kb=188 ya inn kamron(channels) mein jaain jo DALnet ki taraf se madad kerny ke liye makhsoos hain #DALnetHelp, #IRCHelp aur #Help
/nickserv register PeanuttyButteryPass12 janet@peanutbutter.ca Mark
jahan PeanuttyButtery12 hay woh password hoga or janet@peanutbutter.ca aik kaam karny wali email adress hogi.
Wesay yahan bohat si chezain hain kay jab aap Password muntakhib kartay hoo too bohat ahtiyat say muntakhib karna chahiyai. or Passwords kay baray main maloomat nechay dee gaie jo iss site http://docs.dal.net/docs/passwordsur.html per mojood hay.
Iskay baad aap ko aik email bheji jaigi jismay urfi`naam ki Registration ko Confirm karnay kay baray main kuch instructions dee jati hain. isi liyai yeh zarori hay kay aap apna sahi email address dein. Meharbani say dekhain His`sa 3 or ziada wazaht k liyeh
2 · Apny urfi`naam ki kesay shanakt karain?
Apnay urfi`naam ko darj karnay kay baad yeh zarori hota hay kay aap apni shanakht bhi karwain kay aap asli urfi`naam k malik ho bhi yah nahi. wesay yahan kafi tareeqay hain urfi`naam ko shanakht karwanay kay. kuch commands yeh hain
/msg nickserv@services.dal.net identify nickpassword
/nickserv identify nickpassword
or haan yeh mumkin hay kay aap kisi bhi urfi`naam ko shanakht karwa saktay hoo chahay aap oswaqt koi dosra urfi`naam istemal kar rahay hoon agar aap mehazz apna urfi`naam hi sirf shanakht karwana chahty ho, too phir nick ko mutaiyen nahi kia jata. Misaalain:
/msg nickserv@services.dal.net identify PeanuttyButteryPass12
/msg nickserv@services.dal.net identify PeanutButterLover PeanuttyButteryPass12
/nickserv identify PeanuttyButteryPass12
/nickserv identify PeanutButterLover PeanuttyButteryPass12
dosray nickserv main shanakht karwany k tareeqay yeh shamil hain:
/quote nickserv identify nickpassword
/identify nickpassword
/services identify nickpassword
Jesa k pichli command main, urfi`naam ko mutaiyen karna a marzi hay aap karo yah na karoo.
KHAAS: agar aap sab commands ko status window main hi likha jay too acha hota hay hifazat kay liyai. agar aap Mirc Client istemal nahi kar rahay too behtar hoga kay in commands ko kamry ki windows per na likha karain. or haan jahan bhi istemal karain (/) command kay shoro main yaad say lazmi lagain nahi too aap ki command sab ko nazar ajaigi.
or haan aik baat ka or khiyal karain. kay aap nickserv ko yaad rakhain. Kuch Lamers(Jhootay) nakli name bana kar Password lelatay hain Misaal k tor per: nickserv ko "mickserv" yah phir or koi Services say milta julta urfi`naam rakh kar aap say Password ko chori kartay hain. Agar aisa huwa too aap apnay urfi`naam say hath dhoo betho gay. isi liyai apnay urfi`naam ki hifazat sirf aap khud hi karain. kisi kay dhokay main na aien. isi liyai bohat ehtiyat sey urfi`naam ko shanakht karwain.. Or Services sirf aik baar hi aap sey urfi`naam shanakht karnay ka kehti hay bar bar nahi. isi baray main or ziada wazaht is site per hay http://docs.dal.net/docs/ircimpsur.html.
Agar aap ka urfi`naam shanakht nahi horaha hay too meharbani say Password ko yaad karain or Password wohi likhain jo aap nay indraj kartay huway diya tha. yahan takk kay aap iss baat ka bhi khiyal karain kay baray or chotay alfaz mukhtalif hain. misaal k tor per "apple", "APPLE" or AppLe" yeh sab mukhtalif passwords hain. Agar aap ka urfi`naam phir bhi shanakht nahi ho raha or nickserv ghalat password ka keh raha hay too aap ko yeh Command SENDPASS istemal karain is command ki wazaht is site per hay http://docs.dal.net/docs/nickservur.html. agar issey bhi aap ko password naa milay too aap ko IrcOP say rabta karna hoga or aap is site ki madad say IrcOP ko talash kar saktay hoo http://docs.dal.net/docs/findoperur.html.
3 · Apny urfi`naam k indraj ki kesay tasdeeq karain
Aik ghante ya is se zayid ke andar, aap ko aik email "DALnet User Registration" ki taraf se aap ke faraham kiye gaye email address par mosool hogi. Is emil mein aapko apne urfi'naam ke andraaj ko mukammal karne ke liye aapka a~uthorization (A~UTH) code a~ur usko istemal karne ka tariqa bataya jaye ga. However, Agar aap indraaj ke amal ko mukammal karna bhool gaye hain, ta~u agli bar jab bhi aap DALnet se connect karain ge, aapko NICKServ ki taraf se aik notification mosool hoga jis me apko bataya jaye ga ke aap ke urfi'naam ke indraaj ka amal abhi tak mukammal nahi hua hai. Yahan aik misaal ke sath wazeh kiya gaya hai ke aapko kaisa peghaam mosool hoga:
-NickServ- Urfi'naam PeanutButter ke liye kiya jane wala indraaj abhi tak naamukammal hai.
-NickServ- Mazeed hidayaat ke liye, bara-e-maherbani apni email dekhiye ya phir mazeed malumaat ke liye mulahiza kijye http://docs.dal.net/docs/nsemail.html#3.
Aap email mein mojood is terha ke link "http://users.dal.net/cgi-bin/verify.cgi?" par seedha click kar ke bhi apne urfi'naam ke indraaj ke amal ko mukamal kar sakte hain doosri soorat mein isko apne browser mein copy a~ur paste kar ke amal ko mukammal kiya ja sakta hai. and pasting it into your browser.
Aik bar jab aap link pe click kar dain ge ta~u aapka urfi'naam mukammal ta~ur pe darj ho jaye ga. Neeche mulahiza kijye:
Kamyabi! Aapka ikhtiaraati code qabool kar liya gaya hai.
Ye urfi'naam MissPeanutButter ab mukammal ta~ur per aap ke naam pe darj kar diya gaya hai.
4 · Aik Ghair Fa'aal Nick Ko Kaisay Hasil Kiya Ja Sakta Hai?
Dalnet Nay Apnay Nizam Main Nickname Ki Miyaad Ki Had Ko Tabdeel Kar Diya Hai, Jo Kay Pehlay 30 Din Par Muheet Thi Aur Ab Uskay Bajaye Woh Ghair Fa'Aal Kay Tor Par Nishaan Zad Kiya Jaye Ga.
Jab Koi Nickname Ghair Fa'Aal Ho Aur Aik Saal Say Ziyada Arsa Beet Gaya Ho Register Huye, Toh Koi Bhi User Us Nickname Ko Hasil Kar Sakta Hai Users.Dal.Net Portal Ko Darkhuwaast Kar Kay.
Jab Aik Nickname Ki Darkhuwaast Ki Jati Hai, Toh Mojooda Nick Owner Ko Itlaa Di Jati Hai Bazariya Email Aur Woh Online Aa Kar Apna Nick Daawa Kar Saktay Hain Apni Shanakht Nickserv Ko Bata Kar.
Agar Nickname Ki Darkhuwaast Nickname Kay Malik Ki Janib Say Daawa Na Kiya Gaya Toh Dalnet Services Us Shakhs Ko Nickname Register Karnay Ka Mouqa Dayn Gaye Jis Nay Darkhuwaast Di Thi.
Agar Aik Say Ziyada Shakhs Nickname Ki Darkhuwaast Karain Toh Dalnet Services Tasaadfi Kay Zariyeh Muntakhib Karti Hai Jissay Dayna Ho.
Q: Main Kitnay Ziyada Nicknames Darkhuwaast Kar Sakta Hoon?
A: Aap Kar Saktay Hain Jitnay Marzi Nicknames Chahain, Nicknames Ki Koi Tekneeki Had Muqarar Nehi Hai, Ta-Ham Doosray Log Jo Aap Nicknames Chahtay Wohi Woh Nicknames Chahtay Hon Toh Aap Ko Ziyada Nicks Asoolan Nehi Darkhuwaast Karna Chahiye, Ek Maqool Had Tak Aap Istemaal Kar Saktay Hain.
Q: Agar Mujhe Delnet Say Email Aaye Aur Us Main Likha Ho Kay " Aap Ki Darkhuwaast Ki Mayaad Khatam " ( Aap Ki Darkhuwaast Ki Mayaad Pehlay Say Khatam Ho Chuki Hai)?
A: Agar Dalnet Services Aap Ka Intekhaab Karain Aur Aap Ko Aik Mouqa Dayen Kay Aap Apna Nickname Register Kar Layen, Toh Aap Ko Do Din Kay Andar Karna Ho Ga Warna Dalnet Services Do Din Kay Baad Yehi Mouqa Kisi Aur User Ko Day Dayen Gaye.
Q: Kiya Mera Nickname Lazmi Aik Saal Kay Liye Registered Ho Ga?
A: Jee Haan, Yeh Aik Zaroorat Hai.
Q: Aap Nickname Jamaa'Kaar/Khancha'Kaaron Ki Madad Kiyon Kar Rehay Hain?
A: Hamesha Say Humara Maqsad Haqeeqi Saarfeen Ki Madad Karna Raha Hai. Aur Humara Mutarif Karaya Hua Naya Nizam Day Ga Asli Sarif Ko Mouqa Kay Woh Khancha'Kaaron Say Larai Kar Kay Nickname Hasil Kar Sakayen. Maazi Main Khancha'Kaar Botnet Kay Zariyeh Nicknames Ko Chase Kiya Kartay Thay Aur Haqeeqi Sarif Koi Mouqa Na Utha Patay Un Nicknames Ko Hasil Karnay Ka.
Q: Munjamid Nicknames Kay Baray Mein Kiya Kehtay Hein?
A: Is Munjamid Nickname Ammal Ko Bhi Aisay Hi Istemaal Kiya Jaye Ga Lekin Munjamid Nickname Sirf 90 se 365 Din Kay andar Ghair Fa'Aal Ho Jaye Ga Bajaye 30 Din Kay. Aur Akhri Nickname Owner Ko Email Kar Kay Mutalla Bhi Na Kiya Jaye Ga.
Q: Jo Nicknames Na Istemaal Ho Sakain Na Registered, Unka Kiya Ho Ga?
A: Is Waqt Naya Nizam E Ammal Un Nicks Ko Mutasir Nehi Karta, Lekin Ho Sakta Hai Kay Hum Apnay Sarfeen Ko Mustaqbil Mein Sahulat Mohaiya Karain Is Kay Saath Saath Un Nicknames Ki Darkhuwaast Day Sakayen.
Q: Main Aik Nickname Chahta Hoon Jo Guzashta 30 Din Say Zair E Istemaal Nehi Lekin /Nickserv Info Nick Zahir Nehi Kar Raha Kay Woh Nick Ghair Fa'Aal Hai. Kiyon?
A: Jo Nickname Munjamid Ho Jata Hai. ( Munjamid Nicknames 90 se 365 Din Kay andar Ghair Fa'Aal Ho Jata Hai) Ya Laqab Mustasna Kiya Jata Hai. Chand Nicknames Mein Kuch Aisee Tarteeb Thi Kay Maazi Mein Un Nicknames Ki Mayaad Khatam Karnay Say Rokta Tha, Woh Nicknames Mustasna Hein Jo Is Nizam Kay Hotay Kabhi Bhi Ghair Fa'Aal Na Hon.
Q: Kiya Main Script Istemaal Kar Sakta Hoon Nickname Ki Darkhuwaast Kay Liye?
A: Nehi, Nizam Sirf Haqeeqi Saarfeen Kay Liye Hai, Scripts Ya Bots Kay Liye Nehi.
Q: Kiya Irc Operator Meri Madad Kar Sakta Hai Nickname Hasil Karnay Mein?
A: Nehi, Ammal Khudkaar Hai Aur Irc Operators Madakhillat Nehi Kar Saktay.
Q: Kiya Aik Irc Operator Mujhe Bata Sakta Hai Kay Kitnay Log Meray Ilawa Is Nickname Kay Liye Darkhuwaast Day Rakhi Hai?
A: Nehi, Ammal Khudkaar Hai Aur Iski Maloomaat Dastiyaab Nehi Hai.
Q: Main Do Maah Kay Liye Chutti Par Tha Aur Mujh Say Woh Email Jis Mein Kisi Nay Mera Nickname Darkhuwaast Kia Hai Kaheen Zaya Ho Gai.. Kiya Main Apna Nickname Wapis Lay Sakta Hoon?
A: Nehi, Aik Ghair Fa'Aal Nickname Kay Malik Kay Paas 7 Din Hotay Hein Apna Nickname Daawa Karnay Kay Liye Agar Kisi Aur Nay Wohi Nickname Hasil Karnay Ki Darkhuwaast Ki Ho Toh. Agar Woh Aisa Nehi Kartay Tab Dalnet Services Woh Nickname Usko Daytay Hein Jo Darkhuwaastguzaar Hota Hai ( Aur Is Ammal Mein Nickname Ki Mayaad Khatam Ho Jati Hai).
Q: Main Nay Aik Nickname Kay Liye Darkhuwaast Di Thi Aik Haftay Kay Baad Mujhe Ik Email Aai Aur Us Main Likha Tha Kay Jo Nickname Aap Chahtay Thay Woh Hai Toh Sehi Lekin Us Nickname Ka Malik Aaya Aur Nick Identify Kara Kay Chala Gaya Qabal Iskay Main Registeration Ka Ammal Mukammal Kar Pata. Kiyon?
A: Nickname Kay Malik Ko 7 Din Diye Jatay Hein Apna Nickname Ka Dawaa Karnay Kay Liye. Lekin Tekneeki Tor Pay (Design Karda Log) Nickname Ka Malik 7 Din Kay Baad Bhi Agar Daawa Karta Hai Aur Woh Nick Kisi Kay Istemaal Mein Nehi ( Ya Jis Nay Darkhuwaast Ki Aur Hasil Kara Dalnet Services Say) Magar Registration Ka Ammal Mukammal Na Kar Saka.
Q: Channel Founder Ka Nickname Agar Ghair Fa'Aal Ho Jaye Tab Channel Ka Kiya Hota Hai?
A: Kuch Bhi Nehi, Jab Aik Nickname Ghair Fa'Aal Ban Jata Hai. Yeh Ab Bhi Tamaam Rasaai Hasil Karnay Kay Laiq Hai ( Samait Channels Ki Foundership Bhi Shamil Hai) Tamaam Rasai Tabhi Khatm Ki Jati Hai Jab Koi User Mukammal Kar Day Darkhuwaast Ka Ammal Aur Nick Hasil Kar Lay. Jin Channels Kay Successor Nehi Hotay Un Channels Ki Mayaad Bhi Khatam Ho Jati Hai. Agar Kisi Aur Nay Nickname Aur Channel Saath Successor Kay Register Kar Liya Tab Successor Ammal Shuru Ho Jaye Ga ( Agar Channel Ka Founder Nehi Hai Tab Tak Successor Founder Wali Mukammal Rasai Aur Ikhtiyaar Rakhay Ga Aur Agar Nehi Toh Channel Ki Mayaad Khatam).
5 · Apny urfi`naam k emailadress badalna
Aap apnay urfi`naam ka majodo set huwa EmailAdress ko tabdeel kar saktay hoo.
asal command emailadress ko tabdeel karny k yeh hay:
/nickserv set email nickpass email address
Misaal k tor per:
/nickserv set email mypass123 janice@delightful.net
Meharbani say yeh yaad rakhain kay Email badalny ki command denay kay baad email tabdeel nahi hoga aap ko isko mukamal karna hoga naie Tasdeeqi Quwaid ki command sey. joo aap ko aik naie email main bheja jaiga. Kiyonkay iskay 2 hissay hay 1) Command denay say email adress ko change karnay ki guzarish karty hain 2) aap kay purany Emailadress per email bheji jaigi jismay yeh tasdeeq hoti hay kay yeh aap nay waqie tabdeel kia hay yah nahi. agar aap nay tabdeel kia hay too aap os email ka koi action na lein. wesay hi rehnay dein. or phir aap ko 72 hours baad naey Email adress jo ap nay tabdeel karkay set kia tha osmay aik naie email aigi os main naie Tasdeeqi Quwaid ki command hogi osko istemal karnay say aap ka email adress ki tabdeeli mukamal hojaigi. AGAR aap nay apnay urfi`naam ka Email adress tabdeel nahi kia too aap ko jo purana email adress per aie thi osmain mojod aik Tasdeeqi Quwaid ki command ko istemal karkay Email Adress tabdeeli ko rokna hoga or is ammal kay liyai aap kay pass 72 hours hotay hain. agar aap nahi karogay too email adress tabdeel hojaiga
aap SET EMAIL command ko baghair kisi mutaiyan miqdar k bhi istemal kar sakty ho jo k yeh dikhaygi k aap k urfi`naam per konsa email set hay is waqt:
/nickserv set email
6 · Emailadress ki setting kio zarori hay?
6.1 Urfi`naam k mukamal indraj ka ikhtiyar
31st October 2000, Dalnet main yeh lazmi hogia tha kay urfi`naam Register karnay kay liyeh sahi Emailadress istemal kia jay. Or Emailadress main bheji gaie tasdeeqi email ki tasdeeq kiyai baghair aap ka urfi`naam 72 ghanto baad khatam hojaiga.
kuch ikhtiyarat jo aap urfi`naam ki tasdeeq karny say pehlay hasil karty ho woh yeh hain:
-
aap istemak karsakty ho identify command
-
aap istemal karty ho set email command
-
aap istemal kar sakty ho drop command
-
aap dakhil ho sakty ho http://users.dal.net
woh ikhtiyarat joo baghair tasdeeq huway urfi`naam ko hasil hotay hain woh yeh hain:
-
Aap memoserv ko memo bhejnay or mosool karny k liyeh istemal nahi kar sakty
-
Aap nickserv access fehrist ki wazhay istemal nahi karskty (the access command)
-
nickserv ki yeh commands aap k liyeh nahi hoti: set enforce, set url, set mailblock, set noop, ghost, recover or release
orr ziada wazaht k liyeh in command k baray main. yahan jain http://docs.dal.net/docs/nickservur.html, likho /nickserv help jab aap DALnet per hon, yah phir http://www.dal.net/services.
6.2 Email k zariyeh password bhaijna
Asal main email adress ka istemal urfi`naam k indraj main yeh hay kay. jab kabhi aap apnay urfi`naam ka password bhool jatay hoo. Too aapko Email sey Password bheja ja sakta hay aap kay email adress per jo aap kay urfi`naam kay liyai set hota hay. Or is ki aik or hifazat yeh hay kay yeh is baat ki nishan dehi karti hay kay aap hi urfi`naam kay asli malik ho. or aap ko os Emailadress per Password bheja ja sakta hay.
Khaas: yeh aap ki zummay dari hay kay aap apny emailadress ko mehfoz banain. or email adress kaa aik mehfooz password istemal karain. agar aap ka email adress chori ho jata hay tooo samjho aap ka urfi`naam bhi aram sey oss chori karny walay kay pass ja sakta hay. isi liyai apnay email adress ki hifazat khud rakhain. is baray main DALnet Zummay daar nahi hoga.
yeh password ko email main bhaijna ka amal kesa hay, 12th july 2001 main DALnet nay yeh Allow kia tha kay loog apnay urfi`naam ak password SENDPASS command kay zariyeh apnay email adress may bhaij saktay hain khud. Jab aap apna password emailadress per send kar rahay hotay hain too aap kay pass urfi`naam ka sahi email adress hona chahiyai. or agar aap ka Founder's urfi`naam hay too kamry ka password bhi ossi urfi`naam kay email adress main bheja jata hay. or SENDPASS Command sirf aik martaba istemal ki jati hay. dosri dafa istemal karnay kay liyai aap ko 72 ghanty intezar karna hoga phir woh SENDPASS istemal karay.
SENDPASS command ko istemal karnay ka tareeqa is site per hay http://docs.dal.net/docs/nickservur.html.
CCSop bhi Password or malikana ki madad kay liyai hazir hotay hain agar aap sey yeh masla hall nahi hota. aap ka email adress IRCop ko zahir nahi horaha hota jab aap SENDPASS istemal karty ho. nickserv email bhejnat k nizaam ko khudkar tareqay say sanbhalta hay
Aik dafa phir, hadayat k IRCop ko kesay talash kiyeh jay woh yaha hain http://docs.dal.net/docs/findoperur.html.
7 · Email address ki razdari
DALnet's email ki razdari k biyanat yahan mojod hain http://www.dal.net/emailinfo.html. yeh biyan karti hay razdari DALnet joo aap k email ki hifazat karti hay. DALnet harr email adresses ki fehrist nahi deta. Agar aao ko email ki razdari ka shooq hay too yeh biyanat parain.
Phir sey, IRC operators nickserv say passwords bhejty hain on logo ko email adress ko nah dekhay.
Aap apnay email adress ko aik raaz bhi rakh saktay hoo. Aap chaho too koi aap ka Email Adress ko dekh sakay yah nahi dekh sakay ( /nickserv info nickname yeh likh kar ). Too Dalnet main iski bhi option hoti hay. jab aap urfi`naam darj kartay hoo yah Email Adress set kartay ho to khud`ba`khud aap ka emailadress undekha hota hay. agar aap chahoo to sab aap k urfi`naam ka email adress dekh sakay /nickserv info nickname lenay per. apna urfi`naam ko shanakht karnay kay baad yeh Command likhain
/nickserv set showemail on
Agar aap is Option ko OFF karna chahtay hoo to yeh command likhain:
/nickserv set showemail off
jesa kay aap ko pehlay hi bataya giya hay kay aap apnay emailAdress ki hifazat kay zummay dar khud hongay. kionkay jab aap SHOWEMAIL option ko ON kartay hoo to iska matlab hay sab aap ka email adress dekh saktay hain. or jab kabhi aap password bhol jatay hoo apnay urfi`naam ka too aap SENDPASS command istemal kartay hain too kuch loog aap ko nakli email bhej detay hai jiski perwi karnay say aap ka urfi`naam ka Password onkay pass chala jata hay. or agar aap nay os emailadress ka password kisi dost ko bataya howa hay to woh aap kay urfi`naam ka password aram sey maloom kar sakta hay.
agar aap apna asal emailadress istemal nahi karna chahty ho, to meharnbani say koi dosra free email accounts istemal karain. Beharhal, yeh behtar hoga k free email accounts istemal na karain kiyo k woh ghair mehfoz hotay hain. or meharbani say apnay email adress ki setting ko pehlay hi jesa rehny dain. DALnet onka zummay dar nahi jo k ghair mehfoz email istemal karty hain
7.1 "Main aapko apna emailadress nahi dena chahta!"
beshak aap sahi ho. beharhaal, ham yeh batana pasand karaingy k DALnet aik free service hay. Yahan or bhi free services hain jo aap say apka email adress ka pochti hay joo aap behtar istemal karty ho.
Woh joo bohat ziada raaz dar hain apnay email adress ki razdari k liyeh, ham hamm yeh bhi manty hain k aap koi sa bhi free email service ko istemal kar sakty ho apnay nik k indraj k liyeh. Jab yeh aik dafa hojay, too aap is account k baray main bhool sakty ho. Behar`haal, apnay yahdasht main rakhain jab aap aesa karogay, too aap ko password dobara bhejnay ki khasiyat khatam.
8 · Nukta cheeni or bar bar pochay jany walay sawalat k jawabat (F.A.Q.)
- Sawaal: Jab main code command istemal karta hoon to nickserv jawab deta hay kay yeh ghalat hay. mujeh ab kia karna chahiye?
-
Jawaab: Aap ko sab sey pehlay yeh tasdeeq karna chahiya kay aap Tasdeeqi Quwaid command jo istemal kar rahay ho oskay Quwaid poray copy kar rahay ho yah nahi yah koi bhool kar rahay hoo quwaid main say. Isi liyai dhiyan say quwaid command ko istemal karain. Or agar aap nay kafi urfi`naam darj kiyai hain too yahan pareshani yeh ho sakti hay kay aap quwaid sahi urfi`naam ko dey rahay hoo yah kisi or urfi`naam ka quwaid koi dosray urfi`naam ko day rahy hoo.
Or han agar aap nay apna urfi`naam ka email adress tabdeel kia hay too aap ko woh quwaid ki command naie email adress main aie huie email adress say dena chahiyai naa kay puranay email adress say puranay quwaid doo.
agar aisa kuch bhi nahi. too phir aap aik new email ki guzarish kar sakty hoo wohi SET EMAIL command ki madad say (His`sa 5). Agar nickserv aap ko batay k yeh aap pehlay say hi istemal kar chuky ho too aap aik jaali email adress set karoo apny real email adress ko wapis lany k liyeh
- Sawaal: Jab main Email adress tabdeel kar raha tha too mujse emailadress ghalat likha giya hay. Ab main kia karo?
-
Jawaab: urfi`naam k indraj kay baad 24 ghanty kay andar andar aap tabdeel kar saktay ho email. aap urfi`naam ko pehlay shanakht kartay ho. (His`sa 2). phir aap SET EMAIL command istemal kar sakty ho. (His`sa 5) sahi email adress set karny k liyeh
meharbani say yaad rakhain agar pehla asli email adress sahi nahi hay, too aap ko AUTH quwaid hasil nahi hongay servises say. jab apko email message aiey sahi adress per too pehlay oper diyeh gay tareeqay ko dekhain.
- Sawaal: Koi mera adha-darj huwa urfi`naam istemal kar raha hay. Main isko kesay hasil karo agar main RECOVER or GHOST command istemal nahi karsakta?
-
Jawaab: apna email adress dekho or tasdeeqi quwaid ko copy/paste karo apnay urfi`naam k indraj ko mukammal karny k liyeh. jab yeh hojay, too RECOVER or GHOST command aap k liyeh hazir hongi.
- Sawaal: Mujeh AUTH quwaid nahi milay. ab main kia karon?
-
Jawaab: yahan bohat si wajohat hain. pehli too yeh wahan kuch likha hoga email. aap tasdeeq kar sakty nickserv k khiyalat ko email adress ko istemal kar k:
/nickserv set email
agar anay wala email ghalat hay, too aap ko sahi email set karna hoga is command say:
/nickserv set email nickpass email address
dosri wajah yeh k shayd email bhejnay main dair ho gaie hoo agar bohat saray loog apnay urfi`namo k emailadress tabdeel karty hain too yeh ho sakta hay k email anay main dair hojay. meharbani say intezar karain kam`az`kam 6 ghanty.
Aap say yeh bhi hota k aap sahi email set nahi karty. aap ko lazmi email adress set karna chahiyeh jo kaam karta ho. agar aap official address istemal nahi karna chahty to, meharbani say koi free email services talash karain. yaad rakhain iss email adress ko chust rakhain kiyon-k bholay huway password inhi per bhejay jaingay. yeh bhi, aik DALnet email address iss kaam k liyeh sahi na hoon. or ziada wazaht k liyeh dekhain His`sa 7.1
- Sawaal: Kisi nay mera urfi`naam or email ka password chori kar lia hay. ab main kia karoo?
-
Jawaab: Password ki hifazat aap ki zummay dari hay
koshish karain apnay password ko SENDPASS k zariyeh lenay ki jo k yahan per biyan hay http://docs.dal.net/docs/nickservur.html. If agar yeh kaam nahi karti, too aap jain #help or intezar karain k koi aapko voice karay joo OP hay kamry main. kisi k pegham ka jawab na dein laikin OP dey sakta hay. yahan kuch madad`gar dastawizat hain agar aap ko kisi IRCop say rabta karna hay too http://docs.dal.net/docs/findoperur.html.
yahan kuch hadayaat hain aik achay password k liyeh:
-
aik aisa password ka intekhab karain jo k lamba hoo or baray chotay alfaaz per mushtamil hoo.
-
kabhi services command ko kamry main na likhain, oski jaaga dosri window istemal karain (misaal k tor per, status window agar aap IRC client per ho).
-
kabhi or naa`hi aisa koi script istemal karain jahan khudkar shanakht ka nizaam ho. or script bhi acha wala istemal karain. kionkay kafi loog script dey kar aap ka password chori kar letay hain
-
agar aap apnay urfi`naam ko cyber cafe main shanakht karty ho to, yah kisi or jagah yeh yaqeen karlain k koi aap ka password dekh too nahi raha or waha koi password chori karny wala script too nahi hay.
-
kisi ko bhi apna password na batain or or khabardar DALnet hi aap ko pegham bhejay ga password k liyeh. isky ilawa jab zaroat paray too CSop madad k liyeh pochta hay Aap aap ko password ki madad hasil hay
-
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.