Translating Manual ================== Version 1.0.1 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi per 2018-08-12 Akhri bar parha giya h (AHFR at Email.com) on 2017-04-30 Asal main likha giya Fredfred (Fredfred at dal.net) or [Mystro] (mystro at wircds.net) per 2004-01-04 Copyright (C) 2004-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Ta'arruf -------- Hello aur DALnet ke liye tarjuma karne mein apni dilchaspi zahir karne ke liye bahut shukriya! Ye Dastawaiz aap ke liye bunyadi iqdamaat ki wazahat karne ke liye banai gai hai jo ke DALnet ki documentation team ke liye tarjuma karne ke liye darkaar hain. Ye Dastawaiz aapko bataye gi ke aap ne konse software ka istemal karna hai aur wo files kahan se hasil ki ja sakti hain jinka aap ne apni zaban mein tarjuma karna hai. Muwaad ------ 1 * Mein Aisa Kyun kar Rahi/Raha Hun? 2 * Jaldbaazi Mat karain 3 * Istemal Hone Walay Software 3.1 The Editor 3.2 Dastawezaat Ko Mehfooz karna 4 * Tarjumay Ki Tayari Karna 4.1 Asal file 5 * Dastawezaat Ka Tarjuma 5.1 Files Main Raddo-0-baddal 6 * Documentation Ke Official Tarjumakaar 7 * Credits 1 * Mein Aisa Kyun kar Rahi/Raha Hun? ------------------------------------- Is se pehle ke aap DALnet ke tarjumakaar ke taur par apne kaam ka aghaz karain, Barae-e-Maherbaani kuch baton ko zahen nasheen kar lain. Tarjuma karne walay amlay ko koi muawzaa nahi diya jata aur na hi kisi qisam ki doosri mara'aat se nawaza jata hai aur na hi ye is baat ki zamanat hai hai ke apko O:line hasil hoga ya phir aapko DALnet mailing ki ma'aarfat hasil hogi ("name@dal.net"). Ab, agar aap ke zahen mein ye sawal uth'ta hai ""Mein Aisa Kyu Kar Rahi/raha Hun?"", Tau barae-e-Maherbani hamari aur apni khatir apna qeemti wakt bachaen aur usko kisi dilchasp kaam main sarf karain :). Hum hargiz bad-ikhlaq ya bad-tehzeeb nahi ho rahay magar documentation team ko sarasar aur mukammal lagan se kaam karne walon ki zarurat hai. Aup ko badle mein kisi cheez ki tawaqa kiye bina hi ye karna hoga, Maswaye us zehni taskeen ke jo aapko kuch alag aur behtar kar ke hasil hogi aur ghaliban is baat ki khushi bhi ke aap ne kuch naye sarfeen ke liye unke DALnet ke safar ko asan banane me madad ki hai,. 2 * Jaldbaazi Mat karain ------------------------ Dastawezaat ka tarjuma aik aisa kaam hai jis ko bahut ahtiat ke sath aur bakhoobi anjaam dene ki zarurat hai. Hum hargiz wo tarjumay qabool nahi karain ge jo ke khudkaar taur par kaam karne walay softwares ke zariye se kiye jayen jaisa ke Babelfish aur agar hamain is baat ka pata chal gaya ke aisa koi tariqakaar istemal kiya hai tarjuma karne ke liye tau hum tamam dastawezaat ko hazaf kar dain ge. 3 * Istemal Hone Walay Software ------------------------------- 3.1 * The Editor ---------------- Editor ghaliban tarjumakaar ki janib se istemal kiya jane wala sab se zaruri software hai. Tarjuma karne ka pura amal (ka tajzia karne ke liye Mehfooz karain, jis par mein baad mein kaam karu ga/gi) isi software, editor ke zariye mukammal kiya jata hai. Is baat ki yaqin dihani karne ke liye ke har koi aap ke tarjuma kiye gaye dastawezaat ko parh sakay, zaruri hai ke aapka editor laazmi UTF-8 ke ta'abay ho aur dastawaiz ko UTF-8 format main hi mehfooz kiya gaya ho. Agar aap ke paas aisa koi editor nahi hai, tau hamare paas aisa aik mukammal editor hai jo hamare tamam dastawezaat ke liye behtareen kaam karta hai. Filhal aap isay yahan se hasil kar sakte hain http://docs.dal.net/stuff/ur204.exe. Aik baar jab aap isay download kar lain ge tau aap dastawezaat ka tarjuma karne ka aaghaz kar sakte hain. 3.2 * Dastawezaat Ko Mehfooz karna ---------------------------------- Jab dastawezaat ko mehfooz kar rahay hon tau darj-zail baton ki yaqin dihani kar lain: 1. "Jis File par aap kaam kar rahay hein uska naam apni zaban ke hisab se tabdeel kar lain. Misal ke taur par, file-1.2.3.xml ko aise likha jaye ga filees-1.2.3.xml, Jabke es mukhtasaran istemal hota hai spanish keliye, isi terha en istemal hota hai english ke liye, ru hai russian ke liye, waghera ..." 2. "Charset Ko UTF-8 Par Qayam karna" 3. "Surrogate Ko ^cu Par" 4 * Tarjumay Ki Tayari Karna ---------------------------- Agar aap aik nai zaban par tarjuma kar rahay hain, tau aapko localisation file ko translate karne ki zarurat ho gi("templates mein paya gaya hai/ folder helpdoc parcer main hai". Aisa karne ke liye File ke English version ko kholain ("ya doosri koi bhi zaban jisko samajhna aap ke liye asaan ho") aur phir har cheez ko tabdeel kar dain jis ko bhi badalne ki zarurat hai. 4.1 * Asal file --------------- Is ke baray mein mazeed maloomat aap yahan hasil kar saktay hain http://docs.dal.net/stuff/original.txt 5 * Dastawezaat Ka Tarjuma -------------------------- Dalnet ke tamam dastawezaat awami taur par dastiab hain. Agar aap aik dastawez ka tarjuma karna chahtay hain tau barae-e-maherbani mulahiza farmaiye http://docs.dal.net/xml yahan aapko hamare tamam dastawezaat ke XML versions mil jaen ge. Har dastawez uske apne naam ke folder main mojood hai aur har folder ke andar aapko mazeed aik folder milay ga tarjuma ki gai har zaban ke liye. Is ke sath sath, mazeed sahoolat ke liye ham ne aik file takhleeq ki hai yahan par http://docs.dal.net/filesdone.htm jis mein wo tamam files mojood hain jo ab tak tarjuma ki ja chuki hain. Agar aap english mein maharat nahi rakhtay, tau aap doosri koi file kisi bhi zaban mein dekh saktay hain jaisa ke sab main aik jaisi hi malumaat hain. 5.1 * Files Main Raddo-0-baddal ------------------------------- Jab tarjuma karein tau apni team ke sarbarah ya doosre kisi mahir rukkan se kahain ke wo aapko iska credit de. Yahan is header ke liye aik misal di gai hai jahan aap: *HATH MAT LAGAEN* bara-e-maherbani dekhiye http://docs.dal.net/stuff/similarity.txt. Mazeed Malumaat ke liye. 6 * Documentation Ke Official Tarjumakaar ----------------------------------------- Yahan bahut saray tarjumakaar hain jiho ne Dalnet ki madad ki hai dastawezaat ka tarjuma karne main. Hum aapko tajweez kartay hain ke aap mulahiza kijye http://docs.dal.net/docstranslators.htm, Ye jan'ne ke liye Dalnet ke guzishta ya mojooda tarjumakaar kon hain. 7 * Credits ----------- - Asli text file likhi gai hai, in ki taraf se "[Mystro]" and "Fredfred" on 2004-01-04. Aap dekh saktay hain http://docs.dal.net/fredonly/transwannabe-1.0.0.txt, purani text file dekhne ke liye. - Ye dastawez murattab ki gai hai, ki taraf se "h" on 2017-04-30. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)