Kamry ki Nashonuma or Hifazat ============================= Version 1.2.0 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi (sarahthewarrior at mail.com) per 2018-10-23 Akhri bar parha giya h (AHFR at Email.com) on 2018-10-09 Asal main likha giya PJKevin (kevinram_2002 at hotmail.com) per 2004-03-02 Copyright (C) 2004-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Taa`urf ------- In dastawizat ka maqsad kamry k operators khas tor per founder ko batana hay k woh kesay apnay kamry ko barah or mehfoz bana sakty hain. Is mein yeh bhi shamil hay k kesay network ki AUP kamry k kamo or intezamat per asar andaz hoti hay. Muwaad ------ 1 * Kamra kiya hay? 2 * Banana or Darj karna aik Kamry ko 3 * Mein apnay kamry ko kesay barha sakta hon? 4 * XFLAG hai kya aur isay kaise fa'aal kya jaye? 5 * Kamry ki Hifazat or Masaiel 5.1 ChanServ k Hifazti Options 5.2 Kamry k Operator ka Intekhab 5.3 Flooding 5.4 Spam 5.5 Channel Desynch 5.6 Kamry ka Chin`na or Mutfariqat 6 * Kamry or DALnet ki AUP 6.1 Sabko Aik Sath Bulana 6.2 Services say Badsaloki 7 * Khulasa 8 * Shukarguzar 1 * Kamra kiya hay? ------------------- Aik kamra aisi *jagah* hay jahan loog dosry logo say milty hain or mukhtalif mozoat per baat cheet karty hain. Aik kamra ka indraj or koi bhi lay sakta hay. Shakhs jo kamry ko darj karta hay ChanServ k sath osko founder kehty hain. ChanServ DALnet ki kamry darj karny wali service hay jo k muft hay har kisi k liyeh jo apna kamra kholna or chalana chahta hay. Kamro ko barqrar kamry k operators rakhty hay yeh yaqeen dilanay k liyeh k kamra sahi janib ja raha hay. Woh is qabil hay k kisi ko kick or ban kar sakty hain baghair kisi wajah k, isi lia yeh channel ki mudat aik mah mein khatum nai ho ge. Iska inhesar is per hay k har kamra mukhtalif qawanin or osko chalany k rasty rakhta hay. Kamry k qawanin ki setting or qawaid kamry ki intezamiya ka faisla hota hay. 2 * Banana or Darj karna aik Kamry ko ------------------------------------- Aik kamry ko banana or darj karna asan or aram dey kaam hay. Aik dafa aap ka kamra darj ho jay, too aap k pass pora ikhtiyar hay k woh kamry ko kesay chalay or iska intezam kary. Aik kamry ko darj karny say pehlay, aap k pass aik mukammal darj huwa urfi`naam hona chahiyeh oskay liyeh meharbani say parhain http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html. Aik dafa aap urfi`naam ko darj kar letay ho, too aap koi bhi kamra bhi darj kar sakty ho. Pehlay, aik kamry ko banany k liyeh, aik kamry ka itekhab karain or likhain "/join <#channelname>". Maslan, agar aap #FleetStreet ka intekhab kiya hay, to aap likho gay "/join #fleetstreet". Or yaqeen karlain k aap k urfi`naam k saath Ops (@) ka nishan ho. Or yeh bhi yaqeen karlain k kamra pehlay say too darj nahi ho, oskay liyeh istemal karain "/chanserv INFO <#channelname>" Yaha is misal main, aap istemal karogay "/chanserv info <#fleetstreet>". yeh yaad rakhain k aap ko kamry k naam sey pehlay # ka nishan lazmi dalain. or agar aap yeh hasil karo k: -ChanServ- The channel #fleetstreet is not registered. Iska matlab yeh hay k kamry ko aap darj kar sakty ho, aap istemal kar sakty ho "/chanserv REGISTER <#channelname> [] []". Is misaal mein, ham #FleetStreet ko darh karain ToRnAdO ko password k tor per istemal karty huwy or A Cool Chat Channel jesa k iski pehchan yah tareef hay. Puss, aap likho gay: " /chanserv register <#FleetStreet ToRnAdO A Cool Chat Channel >." Meharbani say yaad rakhain k passwords k utar churaho mainey rakhta hay. Maslan, STAR or star aik jesay nahi hain. Agar apny kamry ka password bhol jaty ho, too aap ko yeh istemal karna chahiyeh "/chanserv SENDPASS <#channelname> []". Meharbani say yaad rakhain k aap nay MAILBLOCK on na kar rakhi ho agar hay, too aap kamry k password ko hasil nahi kar sakty. Yeh bhi yaad rakhain k apnay kamry k password ko badalty rehna chahiyeh or password k intekhan k liyeh, meharbani say yahan jain, http://docs.dal.net/docs/passwordsur.html. Aik dafa hojay, to aap jawabi peghamat hasil karo gay ChanServ say aap ko batany k liyeh k yeh kamyaab raha or kuch zarori malomaat jo k lazman parhni chahiyeh. Or ziada malomat k liyeh ChanServ ki commands k bary mein, too aap yahan ja sakty hain http://docs.dal.net/docs/chanservur.html. 3 * Mein apnay kamry ko kesay barha sakta hon? ---------------------------------------------- yeh sab say aam sawal hay kamry k founders k aik kamry ko darj karany k baad. Aham cheez kamry ki kamyabi k liyeh woh hay sabar. Aik niya kamra rato raat barah nahi ho sakta or yahan kafi chezain hain jinkay bary mein aap ko jan`na lazmi hay kamy ko agay barahny say pehlay. Aik saath sabko invite karna DALner k qawaid k khilaf hay or yeh aap k kamry ko band karwa sakti hain. Aap ko yeh parhna chahiyeh His`sa 6.1 aik saath bulaway per or ziada malomaat k liyeh. Apnay aap say pochain k jo kamra hasil kia jata logo k liyeh. Aik mozo ko set karain jo k dilchasp hona chahiyeh logo k liyeh. Logo per zor zabardasti na karain. Jab aik shakhs kamry mein dakhil hota hay too Woh sabsey pehlay kamry ka mozo dekhtay hain or achay founder janty hain k onkay loog kesay oskay kamry mein anna passand karaingy. Or yaqeen karlein k koi aisi cheez nahi honi chahiyeh jissay log pasand na karain or aap ka kamra chorh dein. yahan aik khiyal hay *Logo k sath aisa salok karain jesa k woh chahty hain*. Jab kamry k qawanin ko set kia jay, to yaqen karlain k woh sab logo k liyeh acha or sahi ho. Do tarfa koi bhi pasand nahi karta. Kick or ban insaf say karain jab iski zarorat ho. Sab ko ban karna kuch na hony k barabar hay laikin kamra khali ho sakta hay. Aik acha ikhlaq rakhain or acha salon karain har kisi k sath jesa k aap ko karna chahiyeh. Sab sey aam kamro ka qanon yeh hay k flooding na hoo, ishtehar bazi na ho, inviting na or OPs k liyeh bheek na mangi jay. Aram aap k liyeh behtar sabit hoga or kamry ki intezamiya k liyeh bhi. yahan kafi rast hain kamry ko mashoor karny k liyeh. Jinmain game bot, yah kamry ka mahool acha ho, wahan kuch aisa hona chahiyeh jo logo ki kashish ka baies banay. Aik kamry ki website honi chahiyeh or or apni kamry ki kuch malomaat osper rakhi jain jo k logo ki dilchaspi ka baies ban sakti hay. Yeh kabile kabol na hoga kay aik kamra dosray kamry k khilaf banaya jay. maslan, #optraining or #trainingop. Is say logo ko khiyal ata hay k kuch na kuch khilaf hay aik dosray k. Kamra aik saaf or achay mahoool maqasid k liyeh banana chahiyeh. 4 * XFLAG hai kya aur isay kaise fa'aal kya jaye? ------------------------------------------------- XFLAG aik nai command hai jis ke zariye aap apne channel ko floodbots se mehfooz rakh sakte hain, isko fa'aal karne ke liye aap ko pehle se teh shuda tarteeb (recommended option)ko qayam karna hoga. SYNTAX: " /ChanServ XFLAG <#channel> RECOMMENDED " XFLAG ke baray mein mazeed malumaat jan'ne ke liye bara-e-maherbani is d http://docs.dal.net/docs/chanflags.html 5 * Kamry ki Hifazat or Masaiel ------------------------------- Aik cheez ko logo ko jan`ni chahiyeh k kesay apnay kamry ko mehfoz banaya ja sakta hay. Is hissay main, Ham yahan behsa krain gay on masaiel k bary mein joo aam tor per kamry ki intezamia ko paish aty hain. 5.1 * ChanServ k Hifazti Options -------------------------------- Aik aam masla yeh hay k kamry k founder unjan logo ko OP kar dety hain SOP or AOP sey, Yeh aik khatarnak hay kamry ki hifazat k rasty mein. Iss liyeh, DALnet ki Services OPGUARD option ko bana rakha hay ChanServ per. Jab yeh option on hoti hay, too sirf wohi log op ho sakty hain jo kamry ki rasahi fehrist mein mojod hotay hain or woj OP hasil kar leingay ChanServ say. Dosra option yeh hay k IDENT option ko rakhna. Kiyonky NickServ ki rasahi fehrist(NickServ ACC 2) kuch nuqsanat rakhti hay khas torp er badalty huway addresses k liyeh, aik shaks k OP urfi`naam ki rasahi list mein kisi ka address mil giya too woh kamry mein op hasil karleyga ChanServ sey. Or ziada malomaat k liyeh NickServ ki rasahi fehrist k baray mein, meharbani say yeh parhain http://docs.dal.net/docs/nsaccessur.html. Jab IDENT Option on hoti hay, too logo ko apna urfi`naam lazmi shanakht karwana hota hay NickServ sey (NickServ ACC 3) iss pehlay k woh OP hasil karain ChanServ say kamry k liyeh. OPGUARD or IDENT options kamry ki hifazat key liyeh zaroti hay. Jab aap kamry ko darj karty ho, aap k kamry ki MLOCK (mode lock) mein +nt-k khud`ba`khud set hoti hay. yeh lazmi hay k kamry ko +nt per chora jay. +n bahir say anay waly peghamat say bachati hay or +t jo kamry ka operator nahi hay osko topic set karny say rokti hay. Yeh qabol nahi hay k LEAVEOPs or UNSECURE option ko istemal karain. Jab aap LEAVOPS ko on karty ho, Pehla OP jo kamry mein dakhil hotah hay woh deop nahi hoga ChanServ ki janib say. Agar UNSECURE option on hay too kamry k founder ko apny urfi`naam ko shanakht karany ki koi zarorat nahi hoti kamry ki setting ko badalny k liyeh. Meharbani say yaad rakhain jo k faida to rakhti hay laikin hifazat k liyeh khata hay. LEAVEOPs option aik khali kamry ki hifazat nahi karti or masaiel peda kar sakti hay. Jab UNSECURE on hoti hay, kisi nay bhi founder ka urfi`naam shanakht karwaya howa hay yah phir uski urfi`naam ki rasahi fehrist k address say milta hay too osko koi zarorat nahi kamry ko shanakht karany k kamry ki setting ko tabdeel karny k liyeh. Yeh dono option ko na istemal kia jay too behtar hay. 5.2 * Kamry k Operator ka Intekhab ---------------------------------- Yeh bohat lazmi faisla hay kamry ki itezamiya k liyeh or jahan tak hifazat k liyeh bhi. Kamy k operators wohi aik hain jo founder per hay kamry ko chalany k liyeh oski ghair mojodgi mein. Yeh woh hay jo kamry ki yaqeeni or kuch bhi hath say na jany dein. Yahan kamry k operators ki 2 iqsaam hain or mukhtalif rasahi rakhty hain aik dosry say. Woh SOP or AOP hain. SOps yah SuperOperators kamry k operator hain jo k founder say kam rasahi rakhty hotay hay. inkay pass ikhtiyar hota hay Akicks ko jamah or khatam karnay ka or AOPs (AutoOperators)ka. Bunyadi tor per, in OPs ka intekhab bohat ahtiyat say hona chahiyeh. Yeh qabile qabol hay k osko jamah karna jo k IRC ko janta ho, DALnet Services or Hifazat k baray mein bhi. . AOPs yah AutoOperators aik mehdod rasahi rakhty hain or kamry ki rasahi fehrist nahi bana sakty. Inko IRC ki bunyadi command ka pata hona chahiyeh or DALnet Services ka or iski Mehfozat ka. Kamry k operators ka intekhab *Mein aap ko rasahi deta hon aap mujeh do* istarah nahi hona chahiyeh. Yeh aik aam ghalti hoti hay jo Ops karty hain or dono kamry ki intezamia k liyeh masla banty hain. Apna imtiyaz ka istemal karo jab koi ghor karta hay aik operator k liyeh, Oskay saath kaam katain kamry mein or oski qabliyar or ilam ko dekhain. 5.3 * Flooding -------------- Aik kamra ka flood sirf intehshat paida karna hi nahi balky aik dhamki or chezon ko kamzor karna hota hay. Flooding aik text, notice, ctcp yah Ana/Jany say hoti hayt. Yeh sab heebat or darmiyani darjy k logo say wajod mein ata hay. Yeh his`sa aap ko batayga k kesay in masaiel say chutkara hasil kar sakty hain. Aik kamry ki Haysiyat say, aap ko kamry k modes ko set karny ki qabliyat honi chahiyeh. Nechay diyeh gay kamry k modes qabilay qabol hain aik flood ko rokny k liyeh: +m Kamry ko muatil karna har kisi ki bato say bachny k liyeh jo OP or voice nahi hay. +M Sirf Darj shuda urfi`naam hi baat karskty hain MAIN per +i Invite sir flooders ko rok deti hay jo k kamry mein dakhil nahi huway hotay. +R Sirf Darj shuda urfi`naam hi dakhil ho sakty hian jesa k flooders k urfi`naam darj nahi hoty hain. +c Colours ko rokna jo k kamry ki MAIN per bhaijty hain. Or ziada malomat k liyeh kamry k modes per. meharbani say jain http://docs.dal.net/docs/modesur.html.KHAAS: Yeh aik nasihat k in modes ko MLOCK per (-) mein na rakhain. Aisa krnay say aap in modes ko set nahi kar saky gay jahan flood ho raha ho. 5.4 * Spam ---------- *Spamming* aik or mussebat ho k kamro ko paish hoti hay. Kuch waqt, yeh asani say pakry jary hain or kuch waqt mushkil say or dekhan mushkil hojata hayk yeh loog kon hain. Tumam spam ko asani say kamry k operators or bots nahi pakar sakty jesa k yeh kuch waqfay say hoty hain or onko pegham nahi bhejty jo OP hain or voice. Drones yah ‘waqfy waly bots’ mushkil say pakry jaty hain kiyonk k aap asal spammer ko nahi dekh paty ho. Yahan yeh hay jo aap kar sakty ho inko pakarny k liyeh. Aao aik misaal letay hain. Aap #DALnetHelp mein dakhil huway or aik spammer ko dekhty ho laikin (drone) ko nahi dekh sakty ho. Jo urfi`naam aap ko milta hay spammer ka woh UB40 hay. Sabsey pehlay, yeh karain "/whois" lein UB40 ki. Yeh aap ko aisa nateeja dikhaygi. UB40 is ~pest@219.94.62.166 * bleh UB40 using broadway.ny.us.dal.net 42nd Street UB40 has been idle 29secs, signed on Sat Jan 17 20:37:48 UB40 End of /WHOIS list. Ab yeh command istema karain "/who +ch #DALnetHelp 219.94.62.166". Yeh command dhonday gi jo bhi iss 219.94.62.166 say hay #DALnetHelp per. To aap kuch aisa dekho gay: #dalnethelp Road_Runner H+ kevin@219.94.62.166:0 Silence is Golden #dalnethelp End of /WHO list. Puss jan lain k Road_Runner hi asar andaz hay. Or ziada malomat spam say nibarny k lieyh, aap ja sakty ho, http://docs.dal.net/docs/annoyur.html#2. 5.5 * Channel Desynch --------------------- Yahan kuch mukhatlif chezain hain jo aap k kamry ki bay naseebi ka baies banti hain. Iski sabsey ziada wajah yeh hay k kamry ko sahi tarah say dobara barqrar na karna netsplit k baad or setting mukhtalif hoti hain servers per. Yahan kafi maeiny hain jisay aap ja sakty hi k aap ka kamra bay naseebi hay. Pehli aam cheez yeh k kafi DALnet k kamro mein ChaneServ ka rawaiya dekhny ko milta hay. Misaal k tor per. jesa k modes lock ki setting hay aik alag waqt k liyeh or kamro k mozoat ko badalty rehna yah modes ko badalty rehna bar bar. aap yeh nahi dekh sakty k kon kia keh raha hay. Bunyadi tor per aap inko yeh keh sakty ho k yeh hukam k mutabiq nahi hay. Agar aapka channel sahi tariqay se synched nahi hai tau, shamil hon #operhelp. DALnet ka amla aap ke channel ko dobara synch karne mein aapki madad karay ga. 5.6 * Kamry ka Chin`na or Mutfariqat ------------------------------------ Aik masla yeh hay k kafi kamro k founder kisi ka apny kamry k chin`ny ka masla rakhty hain. Jo janta hay or kamry ka password rakhta hay founder ko pata ho yah na hotoo woh aram say cheen sakta hay. YAha kuch sortay hain is ki: 1- Founder k Urfi`naam ko batna or password kisi ko batana 2- Founder ki email account ka password baatna 3- Nakili Services say shanakht karwana 4- Scripts ka istemal karna yah khud`kar shanakht rakhna services say shanakht k liyeh Yeh aik acha khiyal nahi hay k apnay password ko batna kisi k saath koi mamla nahi agar woh aap k kitna qareeb hay. Password kuch zati cheez hoti hay or yeh aik rasahi k alfaz hotay hain jo k madad karti hay kamry mein rasahi hasil karny mein. Jab aap apna email ka password bant`ty ho to, koi bhi, woh shakhs ko ikhtiyar hota hay SENDPASS ko istemal karny ka aap k password ko hasil karny k liyeh. (Agar kamry ki MAILBLOCK on nahi hay to). MAILBLOCK ko set karna aik acha khiyal hay agar aap k paas koi mehfoz email account nahi hay too agar aap nay MAILBLOCK on kar rakhi hay too aap kabhi bhi apnay kamry ka password hasil nahi kar sakogay agar aap ossey bhol katy ho. Nakli services say shanakht karna matlab yeh k woh ChanServ or NickServ na hon. @ aam rasty hain aap ko batany k yeh asal services hay to services k sirf 8 alfaz hotay hain pehlay 4 alfaz services ka bataty hain or baki k 4 *Serv* hotay hain. yeh bhi yaad rakhain k services sirf services.dal.net say connect hoti hain. Or ziada malomat k liyeh services k beh`ropiyo k, meharbani say yeh parhain http://docs.dal.net/docs/ircimpsur.html. Khud`kar-shanakhr waly scripts yeh khas tor per mehfoz nahi hotay hain jab aap apna script kisi ko detay ho. Kuch scripts backdoors rakhty hain jo k aap ka password asal services k paas nahi leyjaty. yeh behtar hay k istemal karain "/nickserv identify" yah "/chanserv identify" apnay urfi`naam yah kamry ko bachany k liyeh. Kuchdafa, kamry k operators aap ka kamra cheen sakty hay sada kick or ban karnu say dosray kamry k operators ko yah founder ko bhi or onko bahir band kar detay hain. Jesa ka, Services kuch apni commands rakhti hain jinko baghair kamry mein rahy istemal kia ja sakta hay. Agar aap kamry say kick or ban ho gay ho too, aap ko apny aap ko UNBAN karny k liyeh yeh command isteam karna chahiyeh ChanServ mein shamil kar k or aap andar asakty ho. likhain "/chanserv UNBAN <#channel>" Agar aap dobara ban ho jaty ho too os operator ko dhondy script istemal karny k sawal main k kick ban kar raha hay aap ko khud`ba`khud, istemal karain "/chanserv deop <#channelname> []". Yeh os operator ko deop kar degi. KHAAS: Aap osko deop nahi kar sakty jo k aap say ziada rasahi rakhta ho. Agar aap aik SOP ho yah Founder or os tang karny walay shakhs ko talash karain, aap haemsha oski rasahi ko khatam kar sakty ho kamry mein baghair aiey. Aik dafa aap khatam kardetay ho os shakhs ko too apnay aako unban karo, aap dobatra dakhil ho saktu ho. Yad rakhain kabhi kisi ko OP na karain jisay aap na janty hoor muhtat rakhain apnay kamry k arkan ko chunty huway. Kuch dafa, Kisi or ko talash kar letay jo k rasahi fehrist mein hay nahi laikin oper hay or heran ho jaty ho k yeh kesay rasahi rakhta hay. Aik shakhs aik OP urfi`naam ko shanakhr kara sakta hay kisi or kisi dosray ko. Talash karain k osnay kesay rasahi li hay, aap istemal karo gay "/chanserv WHY <#channelname> <[nickname]>". Aao aik misaal dekhty hain. Urfi`naam dungunban darj nahi hay or phirbhi woh rasahi rakhta hay #Fleetstreet mein. Jab mein likhonga "/chanserv WHY <#fleetstreet> ", To yeh dikhaiy dega: -ChanServ- dungunban has SOp access to #fleetstreet. Reason: Identification to the nickname Road_Runner. Puss, ab ham janty hai k dungunban SOp ki rasahi rakhta hay or Road_Runner urfi`naam ko shanakht karwaya huwa hay. Dosri milti julti ACC command command jo yeh hamay batati hay k shakhs ki rasahi ka darja kia hay os kamry k liyeh. Command yeh hay "/chanserv ACC <#channelname> <[nickname]>". Maslan, Mein chahta hon k Road_Runner ki rasahi rakhta hay #fleetstreet mein, mein istemal karonga "/chanserv ACC <#fleetstreet> ". Neechay yeh dikhai dey ga: -ChanServ- Road_Runner ACC #fleetstreet 2 (SOP) For more information on channel access and their levels, please refer to http://docs.dal.net/docs/csaccessur.html. 6 * Kamry or DALnet ki AUP -------------------------- DALnet nay hamay muft Services di hain or achay zaray hamary liyeh banay hain. Hamay yeh jan`na chahiyeh k ham in zarao ko kesay sahi tarah say istemal kar sakty hain. Tumam DALnet k lood jo IRC Network say connect hotay hain woh network ki AUP k taby hotay haim. Yaad rakhain yeh aik ikhtiyar hay haqq nahi.. Aap yeh qawaid yaha parh sakty hain http://www.dal.net/aup/ . Ab ham qawaid k 2 hisso ki baat karaingay jo kamry k kamo mein asar andaz hoty hain. Yeh Sabko Bulana or Service say Badsaloki hay. 6.1 * Sabko Aik Sath Bulana --------------------------- Sab ko dawat dena mein yeh hadain shamil nahi hain: 1- Bey Shumar /invite command ka istemal 2- Bohat Sary Peghamat scripts/ kamry k notices/ peghamat k zariyeh kamry mein dakhil hony waly ko 3- Bay Shumar /quit or /part peghamat jo kamry ki ishtehar bazi karain Sab ko dawat dena DALnet per ijazat nahi hay haqeeqat ki waja say k yeh network 10,000 say ziada darj kamry logo k liyeh rakhta hay jinko muntakhib kia gia hay. Yeh aisa nahi hay k aap kisi ko dawat nahi dey sakty apnay kamry mein laikin kisi shakhs ko zabardasti majbor karna, Bohat sary peghamat behjna har shaksh ko kisi dosray kamry per yah network per jo k network ki AUP k khilaf tasawur kia jata hay or insay kafi sakhti say nibra jata hay inmay Khabardar, aik sath kicks or kamry ko band karna shamil hay. Or Ziada bohat si ishtehar bazi k qawaid k liyeh, meharbani say dekhain http://kline.dal.net/massads/mup.htm. 6.2 * Services say Badsaloki ---------------------------- DALnet services asaish farahm karti hay apnay logo ko jinmain urfi`naam ka darj karna or kamro k barkar rakhna waghera. Logo ko lazmi isko aihtiyat say istemal karna chahiyeh baghair koi badsaloki k. Sarives say Badsaloki mein kamry ki ishteahr bazi, flooding, bohat sary kamry darj karna, *!*@*>* ko rasahi fehrist mein jamah karna, Spamming, or MemoServ k zariyeh logo per flood karna waghera shamil hay laikin mehdod nahi.DALnet Services ki Abuse Team which mojod hoti hay Services Root Administrators (SRAs)k saath or sub- team KLine ki jo k in baqaidkiyo ki jawab dey hoti hain. Kamro ko darj karna ko aitdal or aam zehan istemal karna chahiyhe. Yahan koi zarorat nahi k kamro ko darj karna baichny k maqsad say or dosro ko iss kamry ko istemal karny say rokna. Baichna or tijarat kamro ki DALnet per ijazat nahi hay jesa k services muft hain sab k liyeh. *!*@*.* ko jamah karna access lists mein iska matlab aap apnay kamry main har kisi ko khule rasahi dey rahai hay jesa k * aik wildcard hay jiska matlab aik bari miqdar hay. Maslam, agar mein *!*@*.* jamah karta hon SOp ki fehrist mein #FleetStreet ki, Jo bhi kamry ko join karay ga (darjshuda or baghair darj shuda) sab SOP ki rasahi hasil kar lein gay. yeh na sirf badsaloki mein hay, bulkay kamry ki hifazat k liyeh kharanak bhi hay. ChanServ ki Floodind mein shamil hay ghalat istemal MKICK or MDEOP commands ka or shanakht ko duhrana duhrana services say kam waqt mein. Kafi ziada commands jesa k MKICK aik dafa istemal karni chaiyeh jab zarorat ho. aap ko aik dafa services say shanakht karani chaiyeh. Or meharbani say sabar karain agar Chanserv jawab nahi deta. kamry k OPs ko kick karna jesa k ChanServ onko phir bar bar OP karna hay jab woh kamry mein wapis aty hain. Meharbani say aisa na karain yeh koi mazak nahi hay. Jurm ki had per hay yeh k, aik kamra band ho sakta hay yah aik shakhs ko ban kia ja sakta hay Services say. Or ziada malomat k liyeh Services ki Badsaloki k bary mein, meharbani say parhain http://kline.dal.net/sabuse/. Aagar aap k pas ko sawal hay services k badsaloki k bary mein, aap email kar sakty ho sabuse at dal.net. 7 * Khulasa ----------- Tumam kamro k operator or jo nahi hain ko ikhata kaam karna chahiyeh kamry ki taraki k liyeh. Yeh dono janib kam kara hay. Baghair opsk, kamra museebat mein asakat ahy, aur founder ko yeh apnay channel ki qurbani ki kisi bhe users ko mil sakti hai bawaja ghair falee ki waja say. Baghair logo k, yeh os maqsad ko khatam karta hay k aap aik kamra rakhty ho. Aik naam jo logo ki kashish ka baeis banay. Kamry ko naam say hi muntakib karain. Sabar aik acha khiyal haykamry ki taraqi k liyeh. Aik achi host (kamry ka Operator) janta hay k kesay logo say paish ana hay. Kamry ka founder jawabdeh hay jo kuch oksay kamry mein ho raha hota hay. Sekho k kesay kamry ko mehfoz kia ja sakta hay. Apnay SOPs or AOPs ko sikhao kamry ki hifazat or kamry ki intezamiya k liyeh. Seekhna lazmi hay kisi hadsati flood or chin`ny jesi sortay haal per qabo pany k liyeh. Tumam loog network k qawaid k tabay hain. jab aap network say connect hotay ho, ham yehi samajhty hain k aap nay network k qawaid ko paraha hay or achi tarah samjha hay. Isko nazar andaz ki koi mafi nahi hay. DALney haqoq bahaq rakhta hay kisi ko khatam karny ki jo qawanin ko torta paya giya. Inshallah, yeh dastawizat aap ko kuch khiyalat deingay k aapko kia karna chahiyeh or kesay masaile ka samna karain or onko kesay hall karain :O) 8 * Shukarguzar --------------- Yahan kuch log hain jinho ney meri madad ki in dastawizat ko likhnay mein. Pehlay, mein Documentation Team Leader; Fredfred ko shukriya kehna chahonga, ssr or Kzoo ko jinho ney mujeh aonau khiyalat diyeh in dastawizat k bary mein or khaas shukriya or LadyDana ka jinho nay meri kafi madad ki. Nahi bholonga #DALnetHelp k arkaan ko jinho nay meri hosla afzaie ki or mujeh sikhaya. Mein yeh dastawizat aap logo k baghair nahi likh sakta tha ;) ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)