DALnet History ============== Version 1.1.5 Akhri bar tarjama kia giya Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) per 2006-12-16 Akhri bar parha giya ufo (jud3an at gmail.com) on 2017-07-20 Asal main likha giya Dalila (dalila at dalnetayuda.org) per 2000-12-09 Copyright (C) 2000-2017 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Taa`urf ------- In dastawizat ka maqsad aap ko DALnet ka aam tawar dena hay, IRC network jismain ham itna waqt guzarty hain, shoro karty hain or barahty hain jo kuch aaj kiya hay. Bohat say logo ki madad sayjinho nay apnay zaray or waqt diya, DALnet aaj sabsey bara IRC Network iski services k saath bana hay. Muwaad ------ 1 * Tareekhi Tazkara 2 * yeh Sab kesay Shoro huwa? 3 * Nashonuma ka Naqsha. 4 * Tanzeemi Sakht 4.1 Aham Tanzeem: 4.2 IRC Operators 4.3 Kamry 4.4 Madadgar Kamry 5 * Kuch Log Jinko nay DALnet ko banany mein madad ki jo kuch woh hay ab 5.1 Aetobatus 5.2 acire 5.3 Ahnberg 5.4 Dakal 5.5 Donwulff 5.6 Fredfred 5.7 gamma 5.8 Geordi 5.9 JoeBlow 5.10 JoelKatz 5.11 LadyMorgaine 5.12 lucas 5.13 Luce 5.14 mittens 5.15 MSofty 5.16 Raistlin 5.17 Raistlin_Majere 5.18 Rakarra 5.19 Russell 5.20 Sentinele 5.21 Studded 5.22 taz 5.23 toolman 5.24 White_Dragon 5.25 Wizzu 5.26 xPsycho 6 * Founders k Sath Guftago 6.1 MirclMax 6.2 Morpher 6.3 WatchMan 7 * Nateeja 1 * Tareekhi Tazkara -------------------- IRC asal mein Jarkko Oikarinen nay banaie thi 1988 mein. IRCnet pehla IRC network tha or aik niya rasta tha dosray duniya mein rehnay waly logo say batain karny ka. Yahan tak k, androni tasadum, kuch servers juda jaty IRCnet say or aik niya network bana: EFnet (Eris Free Network) jok abhi bhi hay, sabsey purana or barah IRC network hay. Logo ki ziada tadad EFnet honay ki waja ( 7,000 say ziada aik hi waqt mein online hona, jo k tawajo talab tha kisi ziada waqt per), wahan kuch achi tadad thi netsplits ki or jo k mayoos kun bana. DALnet July 1994 mein bana, (dalvenjah ki birthday say milty julty din) aik mutbadil IRC network tha jisnay pecha churaya lag, netsplit or chin`ny say EFnet per. Waqt k guzarny k sath sath, yeh badal giya jo k aaj hay: Aik sabsey ziada mashoor IRC Network hay jismay loog barhty hi ja rahy hain. DALnet nay dosto mein inko liya, iski Services (jo k koi dosra network nahi rakhta tha: jo k DALnet nay ijad kien) lag k kam honay or netsplit ko kam kiya. DALnet mein nambro ki tadad barhti hi rehti hay, laikin sabsey ziada aham bat yeh hay k aik niya Windows IRC client aya: mIRC wapis aya, wahan ziada IRC clients nahi tha windows k liyeh. Pichli Windows95 k liyeh ziada tar UNIX clients thay. mIRC phail gia DALnet k barhny kiyonk DALnet aik chotha network tha or mIRC apni server fehrist mein isko rakhta tha. Yeh list tarteeb war hay, jismain DALnet ko EFnet, Undernet or dosray baray network k samny rakha gia. Jabsey, jab kabhi koi niya IRC prohgram download kartah ay, too sabsey pehlay server ki fehrist hi dekhai ga or connect hoga. Ye aik flood sa ata hay "Naye mIRC logo" ka jo DALnetki taraf ata hay. DALnet apni is barhty ho mashhori say kafi khush tha. isko Dostana or madadgar banany k liyeh koshish ki gaie naey anay walook liyeh jitna mumkin tha. Kafi log DALnet ki taraf 1995 k akhir tak atay rahay jo k 1000 ki sorat mein record thi. Yeh hi iski shohrat ki wajah hay, laikin jesay k tumam chezain zindgi mein, DALnet ka apna nuqta kam hogia tha. Is barhti huie tadad k sath sath, network ko 1996 main tajarba kar masaiel ka samna karna para. Pichraho or netsplits, jo isset pehlay hissa leh rahay thay, onho nay apna kaam dikhana shoro kardiya, iskay barhy huway naap ki wajah say, DALnet ziada dair "Khandani network" na raha aik dosray k liyeh. Jesa k Services a~utokill ki khasiyat rakhti hay, waha koi tarteeb denay wala nahi hota tha. Phir yeh wapis aya, Jab kabhi aik kamry mein koi ghalat harqat dikhaie deti, osko foran band kardiya jata tha. Aaj, yeh barhti huie tadad nambro main bohat ziada hay. Kuch qawaid abhi tak wesay hi hay, barhal, aik muhtata tafteesh k baad in mamly ki. On dino, pareshani peda karny walay asani say pakry jaty thay jabsey aik dosray ko sab janty thay. yahan kafi aisey loog dey thay jo dosro ko sirf pareshan hi karna chahty thay. Jabsey yeh zorarat bani onko saza dena or onkay moun band karny k liyeh. Ab isi dino mein, jab yahan sirf 7 servers thay, tumama baray faislay voting k zariyeh hoti thi server administrators ki janib say. Jesa k network barah, jimsay say yeh loog aik board ki sorat mein samny aye: JoelKatz, Kestral, MirclMax, Sentinele, Webmaster, Aetobatus or WillRiker; dalvenjah k saath CEO ki tarah. Jabsey team DALnet per banaie gaie, jabsey network mein loog barh rahay thay or onko zarorat thi. Thoray say Thora, Aman say aman, DALnet naap mein barah or apny IRC servers ki karkardagi ko behtar banaya. Services ko 1995 mein mutarif kiya gia, iss tasawur per k logo ko haq hasil hona chahiyeh k apny kamry rakhain or baghair kisi say dara or khoof yah dhamki k yah kisi chori k darset, DALnet sabsey pehla network tha jisnay Services ko mutarif kia jesa k ham janty hain. DALnet network server mein taqseem hogia. Servers apas mein hub k zariryah milnay lagay, jismein kuch server ko sanbhalny ki salahiyat thji jo malomaat k zakhier ko sanbhalay huway tha, orr chotay server ko leaves ki shakal mein barahawa detay thain. Tumama Server aik network k tor per ikhatay hotay hain, kafi chat rakhty hain jinko kamry kehtay hain. DALnet ki tareekh mein orr bhi khushguwar lamhay hain. 1998 mein, aik a~uto kill *!*@*.* ki set hogaie thi do alehda mushkilat ko sanbhalny k liyeh ghalti say: aik dafa dalvenjah say or aik bar mittens say. Jesay k kafi loog ghaltia karty hain, laikin ziada aham, ghltiyah hi sab kuch sikhati hain. Jabsey yeh na mumkin hay k *!*@*.* ko a~uto kill mein set karna. Kafi logo nay DALnet ko dekha, yahan tak k kuch jashan manany waly bhi thay. Pehla jashan jo manaya gia DALney aik BB KIng k sorat mein th, jazz mahir , jisnay aik sawal ka jawab zahir kiya Tuesday, January 16, 1997 at 19:30 EST per #jazzirc mein. Tito Puente nay bhi aik jashan manaya tha #jazzirc mein Tuesday, February 13th at 19:30 EST per. Wes Craven, aik mashoor insan tha, April 20, 2000 per aya tha. Or bohat say doray kiyeh, yahan aik Hadsati team hay jo k hadsat ko dekhti hay DALnet k istemal karny walo ki iksam kay. Jesa k network barna shoro huwa, yeh faisla kia giya k aik naie IRCd (IRC server program) banani chahiyeh or too DALnet ko badla giya Dreamforge sey Bahamut per June 1999 mein. Dreamforge bohat ziada bhai ror mushkil ban rahi thi logo ki tadad barhny k sath sath; yeh kafi mehdodat rakhti thi. Pusstoo iss khiyal ka aghaz huwa aik code ko bana k istemal kia EFnet say, barhal bohat ziada banawat k saath zoarart thi aik kamyaab kaam ki DALnet per. Yeh Bahamut ki paidaish thi.White_Dragon, lucas, Raistlin_Majere, Rakarra or kuch khaas loog thay, or abhi tak hain, joo is mansoby mein hsamil thay. Yeh IRCd server meain 10,000 say ziada logo ko sanbhalny ki salaiyhat thi os waqt aam tor per 2000 hi liyeh gaya. or ziada malomaat k bahamut per yahan hay http://bahamut.dal.net. 22 March 2000 ko dalvenjah nay CEO ( Cheif Executive Officer) ki jaga Taz ko di Asal zindagi kay khayalat ki waja say jis nay bana dia bohat mushkil tha Us k lia k woh DALnet attend karay jitna us ki zurort the. dalvenjah nay hairat anghez kaam kiye aur phir taz nay riwayat jari rakhi. taz nay 2003 main apni jaga MirclMax ko di aik naye batch k sath. CEO or COO k batch ko khatam karnay k network operator k Director 8 June ko MirclMax nay DNO ki hasiyat day di Ahnberg ko jo ab tak mojoda DNO hay. Or ab ham yahan hain, 10 saal baad 140,000 logo ki tadad liyeh howay ko kisi network ki sabsey bari record tadad thi. 2 * yeh Sab kesay Shoro huwa? ----------------------------- Aik dafa ka zikar hay , aik dosto ka tola huwa karta tha jo k baat cheet k liyeh #StarTrek istemal karty thay EFnet per. Woh tnag agay thay netwplits waghera say inho nay network ko chorh diya or kiyon k woh apnay dosto tak nahi pohanch sak rahay thay kafi dafa. Woh aik jagah chahty thay jahan yeh mudakhlat na ho. Oss Waqte, dalvenjah aik server pehlay say rakhta tha jo woh chala raha tha Star Trek RPGs (Role Playing Games) k liyeh or SIMs: mindijari. Morpher k paas bhi aik server tha, uncc, jo k bots ko check karny k liyeh istemal hota tha. dalvenjah nay mashwar adiya k in server ko apas mein jorha jay yeh khiyal aik acha tasawur tha #StarTrek ki baqaidgi ka. Watchman or MirclMax nay bhi xgw.dal.net or davis.dal.net ko jorha is chotay say network k sath. Kafi loog pareshan thay k server ka naam DALnet kiyo hay TrekNet kiyo nahi. Iski wazaht asan hay. Jabsey dalvenjah is khiyal k saath aya tha, jab kabhi oska tola osko barahwa detay, woh hamesha yeh kehta thay"Dal ka Net". Asal mein yeh MirclMax tha jisnay yeh mashwara diye DALnet ka. Yeh dhiyan mein rakhna chahiyeh k sahi naam DALnet hay: "DAL" baray lafzo mein or "net" chothay lafzo mein. Jab aap kisi k aname lo too oska sahi naam liya or likha karo. Meharbani say iski izat karain. Os waqt, 1994 k darmiyan (DALnet paida huwa July 1994 per), yahan kuch loog that' baki sab EFnet say bhagay aye thay, or istarah say logo ki tadad 80-100 hogie.too phir jagny ki zarorat huie: Ok, ab han achay, khush, puaman jagah rakhty hain baat cheet ki. Or han hamny Services ko kesay set kiya tha? Han! Kuch behtar kar sakta tha too woh Bot hi tha. Morpher nay yeh challenge ko manzor kia or coding NickServ or ChanServ ki ki, do services jo k buniyad thi aik bot ki jo MirclMax chala chuka tha. #StarTrek per, MirclMax ka ircII bot, RunABot, kamy ko pora sanbhalay huway thay or operators ki rasahi k darjy waghera. Founder ka darj shamil kia gia jiskay paas pora ikhtiyar hona chahiyeh. Morpher nay kuch naie commands bhi shamil ki joi k osko seedha or aram say chalany mein madad krti hain. ChanServ asal mein pehla DALnet ki services thi or yeh January 19, 1995 per paida huie. Pehla kamra jo darj huwa tha #DS9 (Deep Space 9)tha. MirclMax EFnet k #StarTrek ko istemal karta raha or #DS9. jab woh DALnet per aya, osnay adatan yeh socha k inko pehlay darj karain. MirclMax nay pehlay 3 kamry register karay: #DS9 #dragonrealm, jo k DALnet k uhda`dar kamry kehlay gay or madadgar kamry or #StarTrek. Chotha kamra dalvenjah nay darj kiya #AFD (alt.fan.dragons), iska naam newsgroup k baad badal giya; #PBride (Princess Bride) yeh aya or bohat say. Nickserv kuch arsay baad 1st march 1995 ko wajood main aya sab say phela nick jo registered howa wo Morph tha but kuch saalon k baad us nay badal liya Moph say Morphers is waja say tareekh ab durust nahi hay. Aaj kal say say purani registration main nick jo hain wo JoeBlow, Watchman, MirclMax aur dalvenjah is tarteeb main hain. or jo baqaida DALnetizens thay ondino woh yeh hain: Geordie, WillRiker, Jadzia, Data, Worf; aap ko foran samajh aya hoga k yeh Star Trek ko pasand karny waly thay. os waqt, MirclMax, #dragonrealm ka founder tha, kuch dilchaspi liyeh huway. Osnay kamry ko hadein istemal ki (mode +l) j ok mukamal loog thay net per. Yeh kaha ja sakta hay k yeh 250 tak puhanch gay thay. Services asal mein server uncc.dal.net say ghari k tarah connect hoti thay around the clock, har machine ko aik hin Morpher chala raha tha kaam karny k liyeh. Jab mansoba mukamal hogia yeh mindijari.dal.net ki taraf chali gaie whan kuch log thay jo code ko barqrar rakhty thay. Agay HelpServ aya. yeh asal mein ircII client i madad gar malomat rakhta tha. ircII k liyeh, aap ko zaorat nahi madad gar files hasil karny ki program, k sath jesa k woh alehda alehda package rakhty hain. Isliyeh, asal khiyal aik bot ko rakhny ka tha. Puss ham nay ab set kardia! "Oh, oh! pata lagao kia, mein waqie mein batna chahta hon dosto k jo kuch hamny online hasil kia. Jesa k main agar yahan na hon phir? kiyon na aisi service banaie jay jo logo k peghamat ko mehfoz kar k rakhay or oskay online aty hi onko dey diyeh jain. Too Bohat achay too isko ham kiya kahega. kafi logo nay apnay khiyalat diyeh kisi nay kahah... NoteServ, MsgServ, akhir kar yeh MemoServ k naam sey aie har kisi ko yeh pasand hay. Lefler phir memoserv ko code karnay k lia muqarar kia gaya tha aetobatus. is k baad khidmat code ko barqarar rakha aur baad main joelkatz main shamil hogaya. Achi tarah say aur kuch behtri k bina per bohat say bugs say chutkara aur taz bana dia. Services sarfeen ki barhti hoi taadad nimatnay k lia taz ki taraf say aik bar phir. MSofty، Kobi_S ki taraf say tayar aur khidmat ko barqarar rakha ja raha hay maharat ayr xPsycho. Jabsey phir, Services DALnet ka aham hissa hay. yeh mukhatlif maqasid k liyeh banaie gaie. network ki badalti hue zarorat k mutabiq. DALnet kafi arsay tak networks ka sabsey bari services rakhny wala raha. yeh hamesha apnay logo k saath acha raha. yeh khiyal nay iski taraqi mein aham kirdar ada kia. Or phir yeh khiyal aya k logo ko zarorat hay; (mailing lists, kamro, websites or dastawizat). DAlnet ka wajood kafi acha hay dosro k liyeh. Bandwish jo har server k liyeh istemal hoti hay service k liyeh hay jo k Internet ki mawaslat k liyeh hain. DALnet ka tumam amla raza kar hain jinho n apna waqt isko diye or iskay logo ko. DALnet ka mustaqbil inho razakaro per hay or in logo ki buniyad per. Ham yaqeen rakhty hain k kuch achi or azeem chezain aie, or umeed hain woh apni line onkay saath share karain. Shukriyan DALnet per anay ka! Kisi nay aik dafa kaha tha : "DALnet ki shurwat? aik lafz: #StarTrek" Ab tum janty ho kiyo. =) hamesha abad raho or khush! 3 * Nashonuma ka Naqsha. ------------------------ Day Month Year Number Users Number Servers July 1994 25 2-4 February 1995 100 5 November 1995 1,000 7 June 1996 5,000 8 December 1996 10,000 12 July 1997 15,000 20 26th October 1997 20,000 30 8th August 1998 30,000 35 19th August 1998 40,000 Abhi tak hay October 1999 50,000 Abhi tak hay 1st January 2000 60,000 Abhi tak hay 14th October 2000 70,000 Abhi tak hay 2nd December 2000 80,000 Abhi tak hay July 2001 90,000 Abhi tak hay January 2002 100,000 Abhi tak hay June 2002 140,000 Abhi tak hay October 2002 95,000 Abhi tak hay March 2003 20,000 Abhi tak hay July 2003 30,000 Abhi tak hay December 2003 35,000 Abhi tak hay February 2004 40,000 Abhi tak hay 15th December 2006 30,000 41 Logo ka zawal October 2002 or March 2003 k darmiyan aya jiski wajah Services per hamly thay network k khilaf. DALnet nay himmat nahi hari or yeh sab wapis agay. 4 * Tanzeemi Sakht ------------------ Tanzeemi sakht DALnet ki ki buniyad khiyalat per hay: tawan karny walay or zum`my dar loog hain. Har DALnet ka amla aimandari say chalata hay. Agarcha yaha zum`my dariyan hain joh yeh hawal jat lay, asal mein yeh k yeh razakar in kamo ko karty hain jinka matlab yeh k h maskhara hay gugmud ka. DALnet ka amla kam karny k siwa issay lutaf andoz nahi hota. Yeh "gudmud," barhal, daleil nahi deti DALnet ki tanzeem mein kami ki. DALnet k kaam mukhtalif teamain anjam deti hain, or orr zum`may dariyo k khiyalat ki aik larhi hay, or achi tarah say mukhtalis kaam ko sanbhal rahy hain. Logo k yaqeen ki zidd, Yahan or hay commands ki larhi DALnet per. Jo k neechay hain. Aham Tanzeem IRC Operators Kamry Madadgar Kamry 4.1 * Aham Tanzeem: ------------------- Aham Tanzeem teen sorty halon mein alehda alehda hay, ikhaty kaam karty hain aik itehad k sath, Jabk onkay apnay hi hissay mein rehna aik hi waqt per. inka maqsad DALnet ki sakht ko barqrar rakhna hay. AOB (Administrative Oversight Board- Janay jaty hain Executive Board(EB)) DNO (Director of network operations) Aham tanzeem ki teen mukhtalif shakhain hain: Servers, DALnet ki Services or User ki Services. Servers ko Server Administrators chalaty hain or nka IRC Operators ka amla. Network ka bunyadi amal server ko jurahy rakhna or sahi tarah say kaam karny dena. Har Server Server Administrator zum`my dar hay sahin kaam ka or oski androni administration onkay server ki. Services, DALnet ki Services bani yah logo k liyeh hay, team ban chuku hay, logo ki zaroriyat ko pora karny k liyeh or network ki. Har team aik team ka rehnuma rakhta hay, jo k zum`my dar hay shandar karkardgi ka or oski team ki behtari ka. Kuch temain insay ziada tafseeli hain dosro ki nisbat, or isi liyeh sub-team rakhty hain, jo k apnay rehnuma rakhti hain, jabky aham team jo AOB yah DNO ko jawab dey. Badalti huie sorty hal mein team har dosri team ki zarorat hay. Aam tor per, in teamo ko ghor kar sakty ho aik logo k tolay ki tarah, Kuch in teamo mein kuch rukan ki rasahi mangti hay Services say (Misal k tor per, KLine, Services Root Administrators, or Coders), jesa k dosri (Misal k tor per, KLine, Services Abuse and Services Root Administrators). Or ziada malomat k liyeh DALnet ki teamo ki, meharbani say jain:http://www.dal.net/admin/teams.php3 4.2 * IRC Operators ------------------- Yeh aam tor per yaqeen hay k yeh woh log hain jo k IRCop hay khud`ba`khud kuch taqat rakhty hain. Sach puss nahi hay. IRC Operators mukhtalif zum`my dariyan rakhty hain or rasahi k darjy. inki 3 hisso mein taqseem kia ja sakta hay. Agar aap or ziada malomaat hasil karna chahty ho too meharbani say jain: http://docs.dal.net/docs/operinfour.html 1.- Administrative Access: DNO (Director of network operations) AOB = Administrative Oversight Board (Aam tor per jana jata hay issey Executive Board -EB) 2.- Services Access: SRA = Services Root Administrators CSop = Channel Services Operator SA = Services Administrator 3.- Network Access: Server Admins Global Opers Local Opers 4.3 * Kamry ----------- Har kamra DALnet per khud say hi hota hay aik bari tanzeem ki taraf mein. Woh lamha jab kamra darj hota hay ChanServ k zariyeh, yeh iska ilam khud`ba`khud sab servers ko chala jata hay network per, iskay Founder k saath, Founder (Jisny kamry ko darj kiya) mukmala ikhtiyar rakhta hay kamry mein or oski zum`my dari hay. Founder or oskay kamry ka amla oskay operator DALney k qawanin k tabay hotay hain. Asli kamry ki banwat, jesa k ham janty hain, jimsay Founder, SOps or AOps shamil hain. Har kamra azad hay apnay qawanin set karny per oski apni zabad or topis or dosri chezain waghera. Tumam loog darj shuda urfi`naam k saath azad hay ChanServ k zariyeh kamry darj karny k. 4.4 * Madadgar Kamry -------------------- Yeh aik aisi jagah hay jo k DALnet k banany waly ki fehrist per. abhi tak, yeh bana hay kuch ghalat fehmiyo ko dor karny k liyeh. DALnet ki Teams mein say aik, Help Committee (HC), zum`my dar hain logo ko madad denay k liyeh mukhtalif tareqo say. Inmein say kafi kamry hain jo mukhtalif tareqo per madad karty hain, jahan log asakty hain or apny sawal pooch sakty hain mukhtalif mozoat per or mukhtalif zabano mein. Bohat say kamry khud mukhtar hain or ilam rakhty hain (kuch nuqtoo per tahqiqat Help Committee say), or uhday dar manzor shuda kamry DALnet per. Aam ghalti jo yaqeen kar k karty hai in kamro mein kaam karny walo ki k woh kuch rasahi rakhty hain DALnet per. Woh nahi hain. "Madadgar" DALnet per rasahi ka koi darja nahi hay. yeh madadgar baqaida log hain, jo apna waqt detay hain dosro ki madad karny k liyeh, or khud koi rasahi nahi rakhty network per. Woh bass log hain, hosakta hay, kuch tajarba or ilam rakhty ho kuch jagho per, or woh khushi say madad karny haih aapki jo kuch woh janty hain. Yeh DALnet ka bohat aham his`sa hain. 5 * Kuch Log Jinko nay DALnet ko banany mein madad ki jo kuch woh hay ab ------------------------------------------------------------------------ Yahan *bohat say* loog hay jinko nay sakh mehnat ki or DALnet ko aaj tak banany mein madad ki. Ham pehlay say hi janty hain "Founding Fathers" ko DALnet k jo hain: dalvenjah, Morpher and MirclMax, WatchMan or -a bit later- Lefler. yaha kuch log hay jinho Ney DALnet k liyeh bohat kuch ki ahay, fehrist banae alphabetical order mein. Abhi tak, woh tak woh dosro k saath munsalik hain ko shukriya k mustahiq hain or abb ziada dikhai nahi detay jesay k ziada tar inko dhondna mushkil hay, laikin ham sab azeem hain onkay k liyeh. Shukriya sab kuch DALnet ko denay k liyeh 5.1 * Aetobatus --------------- Isnay coding k sath madad ki shoro mein. Purana admin (oahu.*) hay. Technical Director or EB ka rukan. isnay astefa diya February 1st, 1998 or chala gia waqt ki kami k baies. 5.2 * acire ----------- Purana rehnuma Hostmasters team ka. aik chothi routing ki hay. AA barovia.* k liyeh. Bohat aqalmand, or woh apnay kaam janti hay. 5.3 * Ahnberg ------------- 1995 main DALnet main shamil howa filhal DNo Mozilla k muntazim hay sab say zaida teams ka rukun. hamesha dostana aur hamesha jab aap ko us ki zurort parti ho 5.4 * Dakal ----------- Sabqa SRA rukun Routing team ka sabiq rehnuma naya tashkeel day dia white dragon k sath training team k sath bohat takniki kaam kiye DALnet per. 5.5 * Donwulff -------------- DALnet ki coding team ka sarbarah traha 1996 or 1997 salo tak ja tak Dreamforge ircd ko banata raha. Yeh DALnet k mansobo mein bhi shamil raha (jo abhi tak khatam nahi huway) isnay code mein kafi saray Bigarh per qabo paya tha, agarcha osi nay code kiyeh tha apni hi ircd per per jo k kafi masaiel ko sahi kia. Bunyadi tor per, aik samajhdar coder larka tha jo k kafi log nahi janty. 5.6 * Fredfred -------------- 2002 main dastawaizi team k mojooda rahnuma sarkari german tarjuman tamam dastawaiz kay rukun kay liya aik acha haami unhon nay is jaga ko sabiq rahnumaoun kay baad lay liya jo ya thay Ladydana, Dalila and TheQueen. 5.7 * gamma ----------- AA server jade.* ka Exploits Team k liyeh rehnumaie shoro ki, sabuse ka rukan or closers Team ka rukan, isnay asli Kline li LadyMorgaine k chorhny k baad . Mojoda SRA ka rukan hay. 5.8 * Geordi ------------ yeh aik asal mein DALnet per admin tha, xanth.dal.net wapis aya tha jab 7 server thay. 5.9 * JoeBlow ------------- Sabiq AOB rukun, Sabiq SRA. yeh aik asal mein DALnet per coders for applications. Now Ahnberg 5.10 * JoelKatz --------------- Sabiq AOB ka rukan, ex Coding Director, or ex SRA. osnay asal mein CSOp ki rehnumaie likhi. kuch services ka rukan hay (igc.*, enterprise.*, glass.*, wizlink.*, host.*) Bunyadi tor per isnay sird yeh chezain karna chorh di, or isi liyeh woh or koi kuch nahi hay. online ata hay kabhi kabhi. kuch kaam karta hay mailing lists per. 5.11 * LadyMorgaine ------------------- Yeh aik #DALnetHelp sop thi pehlay Kline Team ki director ban`ny say pehlay. AA k liyeh istemal huie sodre.*. per CaeSpock sodre ki AA layli oskay badr. yeh abhi tak hay or jaa rahi hay. 5.12 * lucas ------------ Purana rehnuma Coders Team ka or Purana rukan SRA team ka. purana admin (hebron.*). 5.13 * Luce ----------- Purana Australian oper glass.* or armidale/bunyip.*. per. phir yeh davis.* k amly ka hissa bani. Yeh aik zbardast IRCop/CSop thi. Isnay kah atha k agar hamara sara amla aik hi rawiya/samajhdari aisey hi rakhay jesay onsny ki too amly mein kabhii koi kharabi nahi hogi. Ab woh haqiq zindagi ki wajah say amly mein nahi hay. 5.14 * mittens -------------- isnay kline ko chalan shoro kia or mukhtalif tareqay say sanbhal rahi hay. yeh aik oper trainer bhi hay. 5.15 * MSofty ------------- Mojoda coder or purana rehnuma Routing team ka (abhi tak hay) or aik SRA rukan tha or ab mojooda AOB ka rukan hay. toronto.*. ka admin. Barqrar or services ko banana or users.dal.net ka rukan. Khamoshi ka meharban, agarcha woh aik azeem larka hay jab woh asal mein baat karta hay. 5.16 * Raistlin --------------- Kafi arsey tak oper raha. #DALnetHelp k arkan ko talash karta hay (SOp Committee ko chalany wala). #DALnetHelp ka haqiqi bot, HelpBot likha. Purana operator training team ka rukan. Jabsey raha jab DALnet shoro huwa, or isnay abhi tak apnay aap ko bacha rakha hay DALnet administration per, woh har kisi ki hosla afzaie karta hay jo bhi wahan hay. 5.17 * Raistlin_Majere ---------------------- Sabsey DALnet k amly ka purana rukan. toledolink.* k liyeh kaam kiya glass.* jahan tha. KLine ka rukan hay, Routing or Testnet Administration. Purana Bahamutand the CyberCafe team ka rehnuma bhi tha. 5.18 * Rakarra -------------- Purana ircd coder, coding team k liyeh kafi kaam kia dreamforge k marahil per, purana co-admin davis.* ka . Acha larka hay. Abhi tak yahin hay mailing lists per or IRC per waqt k sath sath. 5.19 * Russell -------------- yeh haqiqi admin hay glass.* ka Isnay pre-dreamforge ircd per codin ka bohat kaam kia or Services ka kaam bhi kia. Asal mein yeh ircd code ka rehnuma tha kuch arsy k liyeh Donwulff kay lenay say pehlay. 5.20 * Sentinele ---------------- Woh rukan thi EB (EB secretary). Help Committee / Human Resources Director ki rukan. Isnay DALnet per madad`gar kamry ban`ny mein mdad ki jo kuch woh aj hain. Amlay ki Directory ko barqrar rakhay. EB ko January 1st, 1998 per chorha, thoray arsey k liyeh IRCop rahi phir chorh gaie. 5.21 * Studded -------------- Purana COO; Yeh sakht ir seedha kisam ka larka tha, laikin hamesha imandar or acha tha. Woh sakht kam karta tha or nazar karta tha. Yeh kafi achi chezain DALper per laya, Jo abhi tak mojod hay. Setting karny k zum`my dar or intezamiya mein hay #OperHelp ki. yeh June 20th, 1999 mein chorh gia, waqt ki kami k baies. 5.22 * taz ---------- Purana CEO, Purana SRA, haqeeqi codes likhay thay DALnet Services k liyeh. Isnay 2003 main chorh diya apni Post ko. 5.23 * toolman -------------- Mojoda SRA, AOB ka rukan. liberty.* ka rukan, purana SOp #DALnetHelp per tha. Routing Team ka androni rukan tha. Ahnberg nay iski jagah leli hay ab. 5.24 * White_Dragon ------------------- Azeem coder, bohat ziada ban`ny wala. Isnay kuch kamalat shamil kiyeh thay operserv mein or nomemo option set ki thi nickserv mein. Purana SRA tha. Oper hay dreamscape.* per haqiqatan woh admin (opus.*) bana tha. Isnay kafi takneeqi kaam kiyeh DALnet k liyeh mukhtalif jagho per. Co-Creator Naie Training team ka Dakal k sath akela. Woh aik zum`my dar tha bahamut mansobat ka. Woh abhi tak baat cheet karna hay kuch kamro mein. 5.25 * Wizzu ------------ IrcII ka scripter. Yeh aik Haqiqan Kline team ka rukan tha (Wapislana, tarteeb denay wala, or aik rehnuma) 1998 tak. Isnay naiey Operator ki rehnumaie likhi, Jun-Sep 1997 per. Founder, DALnet team ka rehnuma User Documentation Team 1998 tak. Coding Team ka rukan. Help Committee mein shamil tha (Rukan, Committee ko chalana). FAQ or rehnumai ko barqrar rakhny wala. DALnet ko baad mein 1998 mein chorha 1998, or har administration k kamo mein his`sa lena chorh diya. Mojoda woh aik CSop (toronto.*) hay, Training team ka rukan, Docs team ka baqaidaa rukan. 5.26 * xPsycho -------------- Filhal SRA rukun. coding ko barqarar rakhnay ki kidhmat sabiq AOB rukun. 6 * Founders k Sath Guftago --------------------------- I know most of you guys out there, probably wonder a few things about DALnet's founders, so, well, here is a small interview, hopefully it will satisfy some of your curiosity. 6.1 * MirclMax -------------- 1.- DALnet aap k liyeh kia hay? Issey kia matlab hay aapka? *DALnet meray liyeh khaas hay. Is tasawurr ko dekhna acha khiyal hay k aap akelay aye or koi haqiqat ban gay.* 2.- Kabhi sakht kaam karny mein aapko koi pareshani huie? *Yeh woh kuch ho jismein mein ahtiyat karta hon. * 3.- DALnet ki zum`my dariyo nay haqiqi zindgi mein kia asar kiya? *Mein hamesha 2 chezo ko alehda alehda rakhta hon. Sabsey ziaa hissay nay meri haqiqi zindgi ko mutasir nahi kia. Aik taraf haqiqat hay k Mein apna waqt nikalta tha DALnet k mamlat suljhanay mein. * 4.- Dar/izzat ko kesay mehsos karty ho aik filmy star ki tarah na puhanch mein hona aisa hi kuch DALnet logo k saath ho? *Izat karna acha hay. Mein har kisi ki na puhanch mein nahi hon. Mein logo say #startrek mein har waqt batain karta hon. Mein emails ka jawab det ahon, mein har pegham ka jawab deny ki koshish kar karta ho jab mumkin ho. Meray khiyal say narazi ka hissa jab loog "Mahaz" kisi khawaish k tor per bolty hain meray darjy k mutabik network per. Yeh mujeh afsurda kar eta hay onsay wapis baat karny per. * 5.- Aap kon ho? (Aik shakhs k tor per) *Jesa k pehlay batay ahay, Mein apni "haqiqi zindgi" DALnet say alehda rakhna chahta hon. Kiyon k mein zati wazaht mein nahi jana chahta. * 6.- Agay DALnet per aap kia dekhna pasand karogay? *Mein is barahwy ko jari dekhna chahonga or achi baat cheet ko network per jari rakha jay. * 7.- Aap nay DALnet per kiya lutaf uthaya? *Mein logo say milna pasand karta tha or aap aam tor per milny ka moka bhi rakhty thay. Yeh yaqeeni duniya ko haqiqat mein chotha bana detay hain. mein nay is haqiqat ko bhi enjoy kia k yeh aik jesi hi "behtreen moqay" jesay thi jesay k tum hasil kar sakty ho. jab mein kisi say baat karta tha mein onki umar nahi janta tha, onka ta~uluq, jins, komiyat yah yahan tak k buraie. Meray khiyal say yeh azeem hay k har log barabri k saath mazay karty hain. * 8.- Aap nay apna urfi`naam kesay muntakhib kia? *Mera naam Miracle Max say muatbqat rakhta hay aik kitab/film "The Princess Bride" say. Isko aisa likha gia tha MirclMax Kiyonk mein nay issay DALnet k ban`ny say pehlay liya tha or oswaqt ham sirf 9 alfaz tak mehdod thay apnay urfi`naam k. * 9.- Aap kabhi 1994 mein wapis aye ho k yeh baraho kesay hoga? Aap ka shoq kiya huwa karta tha? *Meray khiyal say hamay bohat ziada shor or umeed thi. Ham nay bahir jana chaha or or kuch niya bana`na chaha Hamny "Services"(NickServ/ChanServ/MemoServ) banie jo bohat jald hi mahsoor hogie kisi dosry network ki nisbat. Ham nay kiya fesla kiya kiya karny ko, IRC per ab kia karna tha. Ham abhi bilkul mahir nahi hay, laikin ham behtar kar rahay jesa k kar sakty hain. * 10.- or kuch jo aap shamil karna chaho? *Nahi :) * 6.2 * Morpher ------------- 1.- DALnet aap k liyeh kia hay? yeh aap say kia matlab rakta hay? *Haqiqatan DAL or mein nay sever ko apas mein milaya tha... magar yeh barah IRC k barhy k sath sath jo k heran kun tha jab mein nay aisa socha tha hahha. * 2.- Kabhi aap 1994 k baad wapis aie or jo aap k liyeh azeem ho? aap ki umeed or shoq kiya tha? *Koi khiyal nahi; server ko apas mein milana wapsi ikhaty jo k sirf kuch tha ham nay kicks ki thi; iskay ilawa ham kuch nahi janty they or yeh banta hi giya. * 3.- Aap na DALnet ki administration ko kiyo chorha, barhaal aap kiya kehna chaho gay? *4 saal honay k baad ismein, aik khamoshi or aman ka faisla kiya th.. mein wapis asakta hon, agarcha. * 4.- DALnet ki zum`mydariyon nay kesay aap ki zati zindgi mein asar kiya? *Acha...Kafi ziada dost banay jab tak mein DALnet k arkan mein tha, kafiyoo ko mein asali zindgi mein bhi mila bass yehi. * 5.- Darna/Izzat ko kesay mehsos karty ho, jesay kisi filmy star tak na pohanchna ho aisa hi kuch DALnet per huwa ho? *Bas kuch Bewafaie k izhar ko khatam karna :p * 6.- Aap kon ho? (aik shakhs k tor per) *hmm... mein 27 sal ka hon (jesa k ab mein hon)... North Carolina me, USA mein rehta hon... computer science ki parahi k liyeh college jata tha, kisi mozo per apnay aap ko sikhana class mein, progammin aik shok hay, or ab mein aik software company k liyeh kaam karta hon :) * 7.- Aap DALnet mein agay kiya dekhna pasand karogay, Ab aap janty ho k yeh kesa azeem ban giya hay? *Aik taraf administration ko bartaraf karna kuch siyasat ki wajah say ( jo k kuch kisi hissay mein janay jesa lagta hay), bohata ziada nahi. heheheh* 8.-Aap nay DALnet per sabsey ziada kisey lutaf andoz huway? *Haqiqatan yeh aik haqiqat hay k yeh aik chotha sa network tha, laikin hamny isko itna ziada ahi kiya tha :) puss, aam wajah mein abhi tak yahan arah ahon kiyonk yahan kafi dost hain. * 9.- Aap ka Urfi`naam kiya tha? *Morph say shoro kiya tha, X-Men k baad, lekin phir kafi tabdeliyan ki urfi`naam k killers say bachnay k liyueh EFnet per (Pehlay protection hoti thi kuch istarah ki) mojoda version thora mukhtalif hay :)* 10.- Aap sab sochty ho k yeh aik chota network tha... jab yeh barhna shoro huwa.. too aap ko kaam karny mein mushkil kiyoo huie? *Yeh sirf dilchasp tha, waqt k guzarny k sath sath barhna.. iskay shoro honay k baad os waqt mein nay amlay ko chorh diya tha. * 11.- Or kuch jo aap shamil karna chaho? *Nahi kuch nahi* 6.3 * WatchMan -------------- 1.- DALnet aap k liyeh kiya hay? Or kiya maini rakhta hay aap say? *Yeh kuch hay jo salo k sath sath barhta gia, agarcha aik sakht mehnat hay or kafi ghaltiya hain or kafi fazool cheez hay, or akhri nateeja yeh k kia aap dekhty ho jab aap aty ho. Yaha koi bhi sahi nahi hay, laikin kafi behtar hay jesa k kafi loog samajhty hain. Iska akhri nateeja yeh huwa k kafi loog kaam kar rahay hain. Yeh nateeja hay sal k sath sath guzarny ka.* *Meray liyeh, Zati tor per, yeh aisa kuch hay jo k meri zindgi ka hissa hay kafi waqt k liyeh. Afsos, yeh taqat ko zay akarna hi tha yeh aik lehar hay Mein larna nahi rok sakta yahan tak mein karna chahta hon. Yeh kuch mnakhan jesa zaiqa hay -- yeh meetha or naram or acha hay. Jesa k aksar nahi, laikin kuch waqt .* * Nuqty k mamly mein: mein nay aik shakhs ki tarah say e-mail wasol ki -- osnay mujeh bataya k woh apnay shohar say mili DALNet per or aap ko shukriya kehna chahti hay jo mein nay mumkin banaya. Mein nahi janta agar yeh aisa hi kuch banta rahay or sab pareshan kun banta jay sirdki bhi mil sakta hay kisi achay larky say, laikin han, mein dastak nahi dey sakta. Yeh mujeh khushi deta hay.* 2.- Kiya aap nay 1994 mein wapis anay ka socha hayyeh aik azeem hoga kiya? would become this great? phir uswaqt aap ka shoq kia tha? * Mein nahi janta. Mein or ziada nahi bula sakta. Yeh tha.. Yeh naap nahi hay. mein khiyalat k saath sabit qadam ho k mein aik chotha network rakhon jo k bara kaam karain jo nahi karta.* 3.- Aap ki asal zindgi mein DALnet ki zum`my dari kesay asar andaz hoti hay? *Mein jab ziada waqt deta hon gandagi ko dor karny k liyeh, yeh bohat ziada mutasir karti hay. is baray nmein kam kehna hi behtar hay...* 4.- Darnay/izzat kesay mehsos hoti hay, jesa k aik filmy star tak na puhanchna aisey hi kuch DALnet per hay? *Oh, Badshaho, Mein aisa nahi hon. Mein yeh yaqeen rakhta hon k hero ko dekhna ppjna aik kamzori hay or pagal pan hay, aap keh sakty ho, keh mein napasand karta hon logo ko aisey bulana, nahi koi pagal sa tanbga daftar ka. Agar loog waqie mein meri izzat karna chahty hain. mujeh umeed hay woh izzat karty hain k mein kia karta hon or kiya kehta hon. Barhal yahan ki taqat hair mainy hay asal duniya mein. mein heran hota hon yeh dekh k loog ahmiyat detay hain or IRCop lenay say matlab rakhty hon, Misal k tor per, aik bohata bara nishan lena, or yeh asal mein koi kisi k liyeh mainay nahi rakhta jo aisa karty hain too onko aisa nah karna chahiyeh. Jo keh yeh nahi kehna k IRCop or dosray arkan taqat waqr nahi hain hamary kamo main. Woh hain; Ham nuqsan mein hain in logo k baghair Kuch loog tasawa~ur bhi nahi kar sakty k woh kiya hain hamary liyeh or kiyo ahmiyat rakhty hain... * 5.- Aap kon ho? (Aik shakhs k tor per) *Mein likhnay wala hon.* * Or meri sabsey bara raz or shanakht yeh hay k mein aik Captain Disdain ho -- Mein Mr. ki tarah hon ghazabnak Razdar Admi, siway mein asan hon bharkana.* 6.- Aap DALnet per agay kia dekhna pasand karogay? *Mujeh nahi lagta k agay koi umeed ho. mein nay logo ki tadad barhty huway dekha hay, iska matlab aik taqat war khail say hay or or iss jagah ko or ziada zoor amad bana diya hay or internet mein yeh aam tor per hay, gandi laraiyoh main apna waqt zaya karna urfi`naam yah kamry k bary main to yeh bewakofi hi hay.* *Yeh pasadeda hay... ham is jagah ko lgo k mawaslat k liyeh pur aman banain or ham kuch achay grouh banain jo oss baat say inkar kar dain or hamary pas aien or batain k hamay in logo ko khatam karna chahiyeh joo ghaklat or bey haya kaam kar rahay hain.* *Yeh loog or ziada khatarnak ho jaty hain jab ham onko bataty hain k hamay onki is darjy ki masaiel say koi sarokar nahi, yani k issay hamara koi matlab nahi, kiyon k ham aisey daikh bhal nahi karty hain.* *Yeh aik dil raiz hay, kiya ham yeh akelay nahi kar sakty? yaqenan, ham aisi orr ikhalaqi masaile chalaty hain bolny ki azadi k saath. mein sabit qadam hon k " mein soch sakta hon k aap ko yeh bura laga lekin meray khiyal say hamay insay khud nimatna chahiyeh" yeh dekhna bohat mushkil hay k kiya karain. yeh aik mushkil milap hay -- jo k ziada zarori hay, yeh yaqeen kar lein k woh loog ghair yaqeeni azad baat cheet say, or yeh yaqeen kar lein k onho nay yeh sab dosro logo mein nahi philaya. Duniya koi safaid or kali nahi hay, nahi lambi mukhtasir. laikin yahan kuch aisey loog hain jo aisa kuch karty or sochty hain. Main nay samajhta k yeh koi rasta hay, haqiqatan.. * *Yeh afsurda hay yeh sar dara ikhata ho raha hay peechay. yeh waqie mein dil dhikni ha, laikin mein logo say kehna chahonga. k woh yahan rahay or lamby arsay tak rahain...* *Puss main DALnet mein agay kiya dekhna pasan karonga? mein pasand karonga k loog aien or ziada aien.Laikin mein apni sand ko pakar nahi sakta, or na hi is duniya ko. * 7.-Aap DALnet per sabsey ziada kiya tutaf andoz hotay ho? *Onn lamho mein jab jab mein nay mehsoso kia k ham waqie kuch kar rahy hain or yeh acha hay or yeh kaam karta hay. yeh batana mushkil ha, ziada pareshan or ishteal hasil karny k barabar tha.* 8.- Aap nay apnai urfi`naam ka intekhab kiyo kia? *Yeh kuch aisa hay meainay koi purana say liya, purani cheez jo mein nay likhi hay peechay jab pehlay DALnet khiyal ka amal or IRC pehla~u IRC aijad ho chuki thi. Main issay ziada or kuch nahi rakhta -- main nahi sochta k kuch huwa hay, halanky koi bhi abhi tak purana hi chall raha hon. Mujeh umeed hay nahi, aimandar hona; yeh aik waqar hona chahiyeh.* 9.- Aap kiyo sakht kaam per itna pareshan hoty ho? *Mein jawan tha or mujeh peson ki zarorat thi. Yaqenan, wahan koi pesay nahi hotay, jo hamesha yeh sabit karty thay k main pagal hon... Nahi, ziada sanjeeda na hon, ham aik dosray k bohat kareeb thay, dalvenjha or main or dosray loog, or yeh aik tolay ki shakal hoti thi. Ham mazay k liyeyh karty thay kiyon k ham kar sakty thay, or wesay -- aisa hona lazmi hay -- kiyon k ham sabit karna chahty hain k yeh ho sakta hay; ham nay kuch asool banay jo k jo k dosray networks say bohat mukhtalif thay. Yah inko mukhtalif rakha giya, ham kuch kar dikhanay chahty thay jo mushkil tha kisi ko jan`na mushkil tha. yeh waqie koi dilchasp na tha, agar sach bola jay, too main yeh nahi keh sakta k main udas tha * *Yaqenat, bohat si tasawriyat saiban ho chuky thay aik taraf salo k guzarny k sath, laikin kuch reh gay. Ham or ziada nahi pata k ham nay kia set kia, zindgi mein kabhi kabhi kaam hi aik rasta jo k ham kaam karty hain. yeh koi aik cheez hay k aik misali 80 yah 800 logo ko barkrar rakhna, or kuch ziada mukhtalif ho jata hay yeh karna 80,000 logo k saath. * *Nahi, ham yaqen rakhty hain inko wapis phirse lana, or yeh waqie main aik lutaf tha, or ham yeh achay dosto ki badolat kia. Ab ham yeh aik ajeeb sa network rakty hain, or kafi loog jo is kaam mein hissa liya, laikin ham logo ko apasa main baat karta hasil kar sakty hain -- or mera matlab sirf _baat_ karny say hay, kisi say koi ziadti nahi karni or gandy scripts k saath gandy mazak per 'HANSNA'; mein khiyalat k tabadly ki baat kar raha hon or or matalabi mawaslaat ki baat kar raha ho.. agar loog aisa karty hain. yeh sab koi sahi harkaat nahi hain. * *Kiya mein yeh aisi hi chezain karon to?Nahi, bilkul nahi. Aaj ki IRC in kamo k liyeh nahi hay. yeh istemal hoti hay logo k mawaslat k liyeh woh kisi matlab k saath. yeh istemal hoti logo ko ikhata karny or aik dosray say baat karny k liyeh. Or yeh sakoon k liyeh hoti hay --" Ohh meray khudaya, woh larka jo dosri taraf hay woh dekh sakta hay k ein kia likh raha hon jesa k mein enter karta hon!" yeh bari chezo k liyeh istemal hoti hay, yeh mamlat k luiyeh istemal hoti hay. * *In dino yeh aik hajoom ki tarah hay, ghar matlabi batain or gandi batain baat cheet mein shamil hoti hay, aap poch sakty ho joo aap k saath hay jisny IRC kabhi istemal ki ho -- kisi bhi network per -- 5 saal say ziada, or woh aap ko yehi cheez batayga. Ganday mazak per 'HANSNA' aam hi hogia har jagah qawaid ko torha jata hay. * *Yeh karh karh hay, laikin online hona in dino bohat asan hay. Loog isko izzat k saath letay hain. Aisa kabhi onkay saath nahi huwa k woh asal main kissay kiss baray mein baat kar rahay hain jesa k TV per hon. * *Or han, yahan kafi loog _hain_ joo damagh or khaas mahartain or zum`my dariyan rakhty hain, or jab kabhi mein kisi say milta hon, main hamesha khushi hi mehsos karta ho. Yeh woh loog hain jinko hamnay sabsey pehlay yahan paya. * 10.- Or kuch jo aap shamil karna chahty ho? *Ufff, itna kafi nahi hay kiya?* 7 * Nateeja ----------- Khas tor per shukriya logo ko jinho nay meri bharpor madad ki malomaat k saath jo is dastawizat mein ikhatti hain: MirclMax, CaeSpock, Wizzu, Morpher, azhreia, Pangea, gamma, Pagan999, W0mbat, Ahnberg or RadiX. Aap k Sabar or Waqt ka bohat bohat shukriya. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)