Services or IRCop ki Talbees/Dawa karny walay ============================================= Version 1.0.2 Akhri bar tarjama kia giya Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) or Heroic (Ali_Heroic at Hotmail.com) per 2006-04-19 Akhri bar parha giya Fredfred (Fredfred at dal.net) on 2005-11-12 Asal main likha giya Kzoo (kzoo at dal.net), LadyDana (ladydana at dal.net), or Pyr0s (pyr0s at dal.net) per 2001-01-22 Copyright (C) 2001-2006 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Taa`urf ------- Naie Dalnet k istemal karny walo say onkay Passwords koi IRC Operator ban kar kisi khas chakkar say Poochletay hain. Koi Nakli Services ka urfi`naam rakh kar aap ko notice kartay hain kay onko pegham bhejo apnay password kay saath agar nahi karogay too urfi`naam per kabza ho jaiga. Too naey istemal karny walay apna password dey bethtay hain. or isi tarah koi Nakli IRC Oprator ban kar aap say passwords ka pooch letay hain. yeh sab aik kisam ki bakwas hoti hay aap ko inko nazar`andaz karna chahiyeh yah phir koi jawab na dain. In dastawizat ka Maksad bhi yehi hay kay aap ko on faraib say pehlay say hi khabardar kardia jay. or aap aik asli DalNet Services or IRC Oprator ko kesay pehchan saktay ho. Muwaad ------ 1 * Services ki Talbees/Dawa karny walay 1.1 NickServ say Shanakht karany k Tareeqay 1.2 ChanServ say Shanakht karany k Tareeqay 1.3 Khudkar-Shanakht karany walay Scripts 1.4 'Nakli' DALnet Services k Mashghaly 2 * IRCop ka Talbees/Dawa karny wala 2.1 Passwords ka Batana 2.2 Aik IRC Operator ko Kesay Batain? 2.3 'Nakli' IRC Operator k Mushahday 2.4 Khulasy Main 3 * Bar bar Pochay jany walay Sawalat 1 * Services ki Talbees/Dawa karny walay ---------------------------------------- Woh shakhs jo Nakli Services Naam rakh kar aap say passwords pochnay ki koshish kartay hain zati tor per. Agar aap apna urfi`naam ko Khona nahi chahtay. Too neechay dee gaie kuch malomaat per zara ghor karain. Sabsey pehlay aap ko Dalnet Network kay urfi`naam ka Password kisi dosray Network per istemal na karain. yeh khiyal rakhain kay aap Dalnet Network main Login ho bhi yah nahi. Or apnay urfi`naam kay passwords tabdeel kartay rahain. or on Passwords ko yaad bhi rakhain. Kafi loog apnay urfi`naam k passwords say haath dhoo bethay hain kisi dosray network per ja kar or onki services say ossi password say urfi`naam ki shanakht karany say Or shanakhr karwanay kay liyeh yah koi aisi command jismay aap ko password dena parta hay. too oss command ko Status Window main istemal krain too BEHTAR hay. agar aap Zaati Chat yah phir kamroo ki Window per istemal kartay ho too shayed achanak aap ki command sab k o nazar ajay. Dosri Baat, Yeh bohat zarori hay kay aap ko pata hona chahiyai kay Konsi Nakli Services hoti hay or konsi asli Services hoti hay DALnet ki. 1.1 * NickServ say Shanakht karany k Tareeqay --------------------------------------------- Yahan kafi tareeqay hain kay aap apnay urfi`naam ko shanakht kesay karwa saktay hoo. or konsa mehfoz Tareeqa hay or konsa nahi hay.. Agar aap indraj shuda urfi`naam istemal kar rahay too, aap ko milayga: -NickServ- This nick is owned by someone else. Please choose another. -NickServ- If this is your nick, type: /msg NickServ@services.dal.net IDENTIFY password ENFORCE option ab urfi`naam k indraj k amal k poray hotay hi khud`ba`khud on ho jati hay agar aap k urfi`naam ki ENFORCE option on hay too aap ko teesri line main yeh milayga: -NickServ- Your nick will be changed in 60 seconds if you do not comply. ISliyeh, aap ko istemal karna chahiyeh: /msg NickServ@services.dal.net IDENTIFY orr pehlay say mojod commands k zariyeh NickServ say shanakht karana. Pehlay say client m mojod commands: /nickserv IDENTIFY /identify /services IDENTIFY or onkay liyeh jo woh Urfi`Naam shanakht karwana chahty hain jo woh istemal *nahi* nahi kar rahay hotay os waqt, too onki ta`reef yeh hay: /nickserv IDENTIFY /identify /services IDENTIFY or meharbani say aik baat ko apnay damagh main rakhain kay inmaiy say koi bhi command apkay Cloient per shayed kaam na karay. To oskay liyeh aap command say pehlay "/quote" istemal karna hoga seedha server say shanakht karany k liyeh. Misalain: /quote nickserv IDENTIFY /quote identify /quote services IDENTIFY Akhir main, In Commands ko yaad rakhain, or dosri koi command istemal na karain. In Commands ko istemal karnay kay baad NickServ aap ka ufi`naam tabdeel nahi karega. Or ziada madad kay liyeh aap hamesha #DALnetHelp, #Help yah phir #IRCHelp say madad hasil karain. 1.2 * ChanServ say Shanakht karany k Tareeqay --------------------------------------------- Jesay NickServ tha, Wesay hi Chanserv kay saath bhi kamry shanakht karway jatay hain: /msg chanserv@services.dal.net IDENTIFY <#channel> yahan 3 pehlay say client m mojod commands hain: /chanserv IDENTIFY <#channel> /identify <#channel> /services IDENTIFY <#channel> Aikbar phir, agar aap k yeh command istemal karny main koi mushkil hay too"/quote" ko istemal karain shanakht karany k liyeh: /quote chanserv IDENTIFY <#channel> /quote identify <#channel> /quote services IDENTIFY <#channel> Agar aap ko kisi baat ki samajh nahi arahi hoo too aap DALnet k madad`gar kamroo main jaao. #DALnetHelp, #Help or #IRCHelp haemsha aap k liyeh dastiyab hain. 1.3 * Khudkar-Shanakht karany walay Scripts ------------------------------------------- DALnet kabhi is baat ki ijazat *nahi* deta k Khudkar-Shanakht karany walay Scripts ko istemal karo. Scripts faraib denay wali chezain hain. yahan bohat say loog hain jo inhi faraibi scripts ki wajah say apna urfi`naam or kamroo k password chori karwa chukay hain. Mukhtasir, yeh bohat asan hay kay koi jo aap kay Script per rasahi rakhta hay woh aram say aap kay ufi`naam or kamro ka password ley sakta hay. Kionkay Passwords Os Script main mehfooz hotay hain or jab woh kisi ko apna Script detay hain too woh is bat ko bhol jatay hain. istarah say apnay urfi`naam bhi chori karwa kar beth jatay hain. aik ghair mehfooz scripts hi nakli servises ban k aap k password ko chori karty hain. 1.4 * 'Nakli' DALnet Services k Mashghaly ----------------------------------------- Bar Bar, Makkar loog Dalnet ki Koi Nakli Service ka naam istemal karnay ki koshish kartay hain. yahan aik bohat bara raasta hay kay apnay urfi`naam ko sahi Services kay saath kesay istemal karna chahiyai Yeh Sab karnay say pehlay aap ko pata hona chahiyai kay *asli* istarah ki hoti hain. NickServ is service@dal.net * Nick Registration Service NickServ using services.dal.net DALnet services home base NickServ End of /WHOIS list. ChanServ is service@dal.net * Channel Registration Service ChanServ using services.dal.net DALnet services home base ChanServ End of /WHOIS list. Note: yeh aam toor per dekha jata hay k ChanServ mukhatif Kamry per hota hay "/whois ChanServ", lenay say yeh tab hota hay jab masskick hoti hay ckamry main too yeh dakhil ho jaty hain. misaal k tor per: ChanServ on @#randomchannel #Dragonrealm #chatzone Services k talbees karny walay mukhtalif kisam k urfi`naam rakh kar aap say password chori karty hain asal main woh services say milta julta urfi`naam hi istemal karty hain jinki behtar misalay yeh hain: NickSrve is service@mc-38-214.tm.net.my * Nick Registration Service NickSrve using twisted.ma.us.dal.net Global NAPs - Quincy, MA NickSrve End of /WHOIS list. Jesa k woh chahty hain k aap onko password dain, too woh aap ko notice bhejaingy insay milta julta, yah bilkul aisey hi jesay services deti hay: -NickSeve- This nick is owned by someone else. Please choose another. -NickSeve- If this is your nick, type: /msg NickSeve IDENTIFY password -NickSeve- Your nick will be changed in 60 seconds if you do not comply. Yahan bohat say urfi`naam hain joo har baar tabdeel hokar atay hain. yeh na`mumkin hay k onki fehrist banaie jay, bahar`haal, aap ko khabardar rehna chahiyeh k aap apna Urfi`Naam ki shanakht oper dee gaie command k zariyeh hi shanakht karwain His`sa 1.1. dosra behtar tareeqa nakil services ko pehchany ka k onkay server ko check kia jay k woh kis per mojod hain asli services hamesha services.dal.net. per hoti hain Mushkil waqt per, Services k talbees karny walay dosra kadam uthaty hain k aap ka urfi`naam yah phir kamra drop/khatam ho jay ga agar aap shanakht nahi karwatay. *onper koi tawajjo na dein*. agar aap ko woh asli lagay too aap kisi bhi madad`gaar kamry main ja kar pooch sakty hain. 2 * IRCop ka Talbees/Dawa karny wala ------------------------------------ woh loog jo Jhoti Services kay urfi`naam rakhtay hain, yahan kuch aisey bhi loog hain jo Password hasil karnay kay liyeh Nakli IRC Oprator bantay hain. Phir aap ko daratay hain kay apnay urfi`naam ka password do nahi too main Killed kardonga yah urfi`naam ko band kardonga. yah phir kuch aisi maloomat banatay hain jissey aap bewakoof ban kar onko password detay ho. Too aapko onki kisi baat per ghor nahi karna chahiyai. or koi jawab na dain. Neechay kuch mashwary hain Onko onko meharbani say parhain 2.1 * Passwords ka Batana ------------------------- Kabhi kisi ko apna Password na batao jo aap ko pegham bhejay. Dalnet Staff kabhi kisi shakhs ko pegham nahi bhejta Password pochnay kay liyeh. or Dalnet Password pochnay kay liyeh koi email nahi karta. Agar aap say koi pochay bhi too osko koi jawab na dainain. Ignore kardein osko. 2.2 * Aik IRC Operator ko Kesay Batain? --------------------------------------- jab aik shakhs ko IRC Operator honay kay Ikhtiar detay hain, too yeh IRCd main khaas server say likha hota hay. IRCd aik Program hay jismay Server kay har rutbay kay baray main maloomat hoti hay. Ismain or bhi faraiz hotay jo is dastawizat main likhna lazmi nahi. Jab aik IRC Oprator "opering Up" hota hay aik khaas command say too, IRCd oskay Ikhtiyarat/Pehchan kay liyeh aik Line shamil karti hay jo kay "/whois." ki fehrist main mojood hoti hay or kuch istarah hoti hay, "Heathcliff is an IRC Operator" Jab aap tumam malomaat ko dekh letay hain or aap samajhty k woh aik IRC Operator hay, oski maloomat kuch istarah say hongi: Heathcliff is moi@pp326.sometimes.net * Wherever you go, there you are. Heathcliff using jade.va.us.dal.net Hell hath no fury like a woman scorned for Sega. Heathcliff has identified for this nick Heathcliff is an IRC Operator - Services Administrator Heathcliff End of /WHOIS list. Agar aap ko khud woh line nazar nahi ati "/whois"fehrist main, koi aap ko bewakof bana raha hota hay. Agar aap samajhty hain k woh IRC Operator hay too osko 'oper up' honay k kahain phir aap oss line k liyeh "/whois" fehrist dekkhai. Agar yeh nazar nahi ati, too aap jaldi say osko ignore kardain . 2.3 * 'Nakli' IRC Operator k Mushahday -------------------------------------- yahan kafi tareeqay hain jissay koi shakhs apnay aap ko IRC Oprator zahir karay. Jismay say 1,2 ziada tar aisey hotay hain kay apnay urfi`naam kay saath "OPER" lafz shamil karletay hain., kuch mislain yeh hain. "OperHelper is IRCop@DL34.really.net * IRC Operator" "IRCopper is oper@23673.pretend.net * I'm a IRCop and I'm gonna get you" aik or cheez yeh k woh apnay away pegham main woh line shamil kar letay hain jab "/whois" loo gay too woh line kuch istarah say nazar aiyegi. aik missal aisi hay kuch, OperMan is MircOper@ppp317.wonderful.net * Your busy IRC Operator OperMan using jade.va.us.dal.net Hell hath no fury like a woman scorned for Sega. OperMan is away: IRC Operator - Services Administrator OperMan has been idle 18mins 12secs, signed on Sat Oct 21 19:12:13 OperMan End of /WHOIS list. in doo lino k darmiyan farq dekhain. "Heathcliff is an IRC Operator - Services Administrator (Asli)" "OperMan is away: IRC Operator - Services Administrator (Nakli)" Zehan main rakhain: OperMan aik Nakli IRC Oprator hay dekho oskay Line main "AWAY" Option set hay jismain osnay yeh LINE shamil ki hay. Or Jabkay Heathcliff aik ASLI IRC Oprator hay Jismain IRCD ki taraf say LINE shamil hay. pus muhtat rahain. 2.4 * Khulasy Main ------------------ Yahan kafi achay shakhs nahi hain jo IRC Oprator bannay ki koshish kartay hain Dikhaway kay liyeh. Or phir password hasil karkay urfi`naam ko Yah phir kamry per kabza kartay hain. Logo ko you janna chahiyai kay woh apnay aap ko kesay hifazat karain. Dalnet Kabhi zati tor per pegham nahi bhejta aapsey urfi`naam ka yah kamry ka Password pochnay kay liyeh. Dalnet aap ko kabhi mail nahi karega. Aap sey urfi`naam ka yeh kamry ka password pochnay kay liyeh . IAgar aap ko koi kehta hay kay woh IRC Oprator hay too yeh karain "/whois " command. Or hasil honay wali maloomat main khastor per ossi Line ko Dekhain. Or Yaqeen jab hojay kay osnay koi AWAY Pegham set nahi hay. to woh aik Asli IRC Oprator ho sakta hay . Kabhi apnay urfi`naam ka yah kamry ka Password na Dein.. 3 * Bar bar Pochay jany walay Sawalat ------------------------------------- Q: Main kahan bata sakta hoo agar koi mujeh IRC Oprator honay ka Nakli Natak kar raha hay? A: Too phir aap #OperHelp per khabar dey saktay hoyah phir kisi asli IRC Oprator ko talash karain is Site ki madad say http://docs.dal.net/docs/findoperur.html. Q:aisi koi sada Cheez jissey main apnay urfi`naam ko sahi shanakht karwa sakoo Services talbees/Dawa karny walo say bach kar. A: Han. Agar woh koi dosra urfi`naam istemal kar rahay hoo to woh ASAL nahi hain. Asli Services hamesha services.dal.net per hoti hain. Q: Opss main apna urfi`naam ka password dediya hay. ab main wapis kesay loon? A: Nahi. Password ko ko hifazat say rakhna aap ki apni zummay`dari hay. Or Meray khiyal say agar aisa huwa hay too yeh aapkay liyeh aik sabak hay ainda aap khiyal rakhogay. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)