Naiey Shaks kliyeh DALnet ki Rehnumai ===================================== Version 1.2.0 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi (sarahthewarrior at mail.com) per 2019-01-13 Akhri bar parha giya Fredfred (Fredfred at dal.net) or h (AHFR at Email.com) on 2018-12-29 Asal main likha giya Wuher (wuher at swrpg.net) per 2000-12-11 Copyright (C) 2000-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Ta'aruf ------- IRC ko Internet Relay Chat kehtay hain. Jismay Chat karnay ka nizaam hota hay. Dalnet's Services nay takreban 10,000 say ziada logo ko free main chat k nizaam ko aap k liyeh laya gia. Muwaad ------ 1 * IRC say connect hona 2 * Kis Waja Say DALnet Khaas hay? 3 * Bunyadi IRC ki Commands 4 * Imdad ko Talash karna 5 * DALnet Ke Official Madadgaar 5.1 Madadgaar Ko Kahan Talash Kiya Jaye 6 * DALnet k IRC Operators 7 * Kamry k Operators 8 * Hifazat 9 * Nateeja Appendix A * ISO kay sarifeen (Iphone/iPads/iPOD touch) A.1 Dalnet say kesay rabta karein A.2 Colloquy khaa download karna hay Appendix B * Android istemal karnay waley (Samsung Galaxy/HUAWEI/LG/HTC) B.1 Dalnet say rabitah kesay karein B.2 AndroIRC kha utarna (download) karna hay Appendix C * IRCCloud C.1 website kay zarea Dalnet say rabeta karein 1 * IRC say connect hona ------------------------ Dalne say connect honay kay liyeh aap ko aik IRC client ki zarorat hoti hay. or ziada malomaat or Dalnet sey connect honay kay liyeh http://www.dal.net/software/. say softwares ki kismain dekh saktay ho. agar aap IRC client Download nay kar saktay to aap kay lieyh http://www.dal.net per aik Java client mojod hay aap wahan say connect hojain. p apnay mobile kay lia IRC Client kay sath Dalnet say munsalik kar saktey hain (Yaha kuch asay applications hain jo ap kay har qisam kay mobile kay Operating system kay lia Dalnet say munsalik karnay dengay IOS kay lia bara e meharbani check karein Appendix A Android Appendix B kay lia check karein IRCCloudAppendix C). 2 * Kis Waja Say DALnet Khaas hay? ---------------------------------- Dalnet, IRC kay dosrey Networks say bohat mukhtalif hay. jismay sab sey ziada ikhtalaf iski achi or tor tareeqay ki Services hain jo kay NickServ, ChanServ or MemoServ hain. Dalnet's Services aap jesay hi logo kay numaindo nay banaya, jari rakha or barahiya hay. Serices ko aap ki chat ko or ziada enjoyable banaya giya hay.DALnet's services ki or ziada maloomat k liyeh, meharbani say dekhain http://www.dal.net/services/. 3 * Bunyadi IRC ki Commands --------------------------- IRC Server say Connect hona /server <:port> (misaal: "/server irc.dal.net:7000") IRC say Dast`Bardar hona "pegham k saath" /quit (misaal: "/quit Allah Hafiz!") Muqar`ra Kamry main Dakhil hona /join <#channel> (misaal: "/join #Help") Muqar`ra Kamry ko Chorna /part <#channel> (misaal: "/part #DALnetHelp Thanks for the help!") Koi Ammal karna - * Urfi`Naam nay Kuch kia /me (misaal: "/me waves to everyone in the channel") Milty huway *Mozoo* ki Fehrist lena /list <*subject*> (misaal: "/list *help*") yeh yaad rakhain k tumam IRC commands ko apnay IRC Client ki command line main hi likhna chahiyhe, wesay kuch clients "popups" or kuch menu ki khasosiat bhi rakhty hain IRC client ko istemal karny ki madad k liyeh, inn kamro main sawal pochny k koshsih karain jin k naam (e.g. #mIRC mIRC k liyeh, #pIRCh pIRCh k liyeh) yah aap yeh bhi likh sakty hoo "/help" apni IRC client main. Sab sey ziada naiey loog yehi pochta hay kay woh apnay urfi`naam ka kesay indraj karay. oskay liyeh aap yeh dastawizat parhain http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html. 4 * Imdad ko Talash karna ------------------------- Dalnet kay pass kafi saray madadgar kamry hay jo mukhtalif mozo`at per madad farahm kartay hain. Is liyeh, Kisi silsile mein jab madad darkaar hoti hai tau pehla kaam ye hota hai ke apne maslay ki noi'yat ka tai'yun kar liya jaye. IRC se mutaliq masaail ke liye, ye jan'na zaruri hai ke kya ye waqai DALnet se mutaliqa sawal hai ya nahi. hum doosre networks ke masaail (wahan ban hone ki soorat mein, identd ke masaail, server downtime, waghera) ke baray me madad faraham nahi kartay. DALnet se mutaliqa sawalaat ke baray mein behtar hai ke #Help mulahiza kar liya jaye. Agar aapko doosri zabano'n mein madar darkaar hai tau is dastawaiz ka jaiza le sakte hain http://docs.dal.net/docs/channelsur.html#2. 5 * DALnet Ke Official Madadgaar -------------------------------- Aik "official madadgaar", #Help mein DALnet ki IRC baradri ki numaindgi karne ke liye muqarrar kiya gaya hai aur doosre sarkari design kardah chatting ke kamray main bhi jaise ke #DragonRealm. Wo DALnet IRC services commands aur dusre mozuaat ke baray mein sarfeen ko madad faraham karne ke zimmadaar hain. Wo sarfeen jin ko "official madadgaar" ke taur pe muqarrar kiya jata hai wo IRC Operators nahi hotay. Wo, Dar-haqiqat DALnet ke aam sarfeen hi hain jo ke apne free time mein razakaraana taur par sarfeen ko madad faraham karne ka kaam karte hain. Aik IRC Operator ko talash karne ke liye, darj-zail link par click karain: http://docs.dal.net/docs/operinfour.html. 5.1 * Madadgaar Ko Kahan Talash Kiya Jaye ----------------------------------------- Wo tamam sarfeen jo razakarana taur per apna wakt, sarkari aur ghair-sarkari network ke madar ke kamron mein mojood doosre sarfeen ki madad karne mein surf kartay hain "madadgaar" ke darjay pe faaiz hotay hain. aur unko #Help mein aik khas hesiyat di jati hai. Ye darja Help Committee aur DALnet ki Markazi Intazamia ki taraf se sirf un sarfeen ko diya jata hai jo iski ehliyat rakhtay hain. DALnet ke tamam sarkari madadgaar is qabil hotay hain ke wo services tools ka istemal kartay huye ba-asaani muyassar aajane wali imdad sarfeen ko faraham kar sakain. Yahan whois command ko aik misaal ke sath wazeh kiya ja raha hai ke sarkari madad-gaaro'n ki "/whois" output kaisi hogi. MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best! MissPeanut on @#help +#dragonrealm MissPeanut using koala.vc.au.dal.net Micron21, Australia MissPeanut has identified for this nick MissPeanut is an official DALnet Helper. MissPeanut is using a secure connection (SSL) MissPeanut End of /WHOIS list. Jaisa ke upar dekha ja sakta hai, is sarif ki /whois mein aik flag " "MissPeanut aik Official DALnet Madadgaar hai" jo ke network madadgaar ki hesiyat ko bayan karta hai. NOTE: Aap doosre official madadgaar talash kar sakte hain is command ko jari kar ke: /motd teams.* 6 * DALnet k IRC Operators -------------------------- DALnet k IRC Operator madad karty hain oskay server ko sahi rasty par jari rakhny ki or network ko aik hi jagah sahi rakhty hain. IRCops madad karty hain DALnet network k logo ki bhi, DALnet Services or tawasat mein behas kartay hain. yeh dosri bani huie teams main bhi hissa letay hain. meharbani say yeh jaan lain k DALnet koi karobar nahi hay orr naahi woh apnay numaindoo ko kisi kisam k pesay deta hay. or ziada maloomat k liyeh network's administration k baray main, aap yaha ja sakty ho http://www.dal.net/admin/. 7 * Kamry k Operators --------------------- jis shakhs k saath @ ka nishan on k urfi`naam k samny hay too onko karmy ka Operater kehty hain, jo kamry ki settings ko badal sakty hain or kisi kisam ka hukam dey sakty hain. on k paas ikhtiyarat hain k woh kisi ko kamry say bhaga sakty hain. DALnet kamry ki intezamiya main koi hissa nahi leta hay, yeh sirf kamry k OPs hi janty hain, or akhir main main kamry ka founder, laikain agar kamry main koi museebat ho too aap ko kamry k founder say hi rabta karna chahiyeh, kamry ka founder hi hatmi faisla karta hay oska kamra kesay chalna chahiyeh aap dekh sakty ho k kamry ka founder kon hay in commands ko istemal karny say: /chanserv info <#channel> /quote chanserv info <#channel> /msg chanserv@services.dal.net info <#channel> 8 * Hifazat ----------- jab IRC istemal kar rahyho, too aap ko apni hifazat ka bhi khiyal rakhna chahiyeh. IRC per kisi file ko lenay k liyeh bohat muhtat rahain, urfi`naam or kamroo k passwords ko kisi dosry shakhs ko na batain or inn dastawizat ko lazmi dekhain http://docs.dal.net/docs/exploitsur.html Agar aap koi c bhi Microsoft ki Window istemal kar rahay ho. 9 * Nateeja ----------- DALnet ki Documentation Team aap ko kafi achay or madad`gar mozo`at k baray main batati hay jinki aap ko talash hoti hay dekhain http://docs.dal.net or ziada malomat k liyeh. Appendix A * ISO kay sarifeen (Iphone/iPads/iPOD touch) ------------------------------------------------------- Riwayati tor par Mac par clients ko chat karnay kay siwa kuch bhi glamourus nahi hay. Colloquy ak aala darjay ki IRC SILC or ICB client hay jin ka maqsad ya Khali bharnay ka hay. Mac OXS interface conventions,colloquy mayaar kay MAC ki darkhuwat ki nazar or ahsas rakhta hay. Apple script Asan script kay lia taqatwar lugat Application taza tareen hay or Muft Nahi hay. A.1 * Dalnet say kesay rabta karein ----------------------------------- 1. Application store kay zariya is ko Download karein 2. Darkhuwast daraj karein. 3. Intizam karein. 4. Naye connection may shamil karein —> IRC Connection shamil karein. 5. Address field, shamil karein Dalnet ki srevices ka pataa irc.dal.net daraj karein. 6. Newwork ki shanakhti field may apna Urfi Naam or Haqiqi Naam daraj karein. 7. Tap karein agey barhnay kay lia. a) Server port field may Dalnet server port (pehlay say tay shuda) 6667, SSL kay lia pelay say tay shuda port 6697).daraj karein. b) Agar ap Dalnet server SSL ka istemal kartey hain tou istemal SSL ko tabdel karein.. c) Azmaishi SASL ko band karein. d) apnay Sarif Name ki jaga par apnay IRC Sarif ka naam or shanakhat darj karein. e) Passward ki jaga ko khali chor dein. f) Nick pass ki jaga par ap kay Urfi pass ko likhnay ya isay khali chornay ka ikhtiyar. g) Encoding field ko wesa hi chor do jesay ya hay. Arab dalnet waley isay arabic may tabdel karein gay)”. "***Arabic(Windows) ak microsoft windows kay tehat Arabic likhnayh kayh liya istemal kia jta hay.****" 8. Ab wapis jayein or rabta qaim karein. A.2 * Colloquy khaa download karna hay -------------------------------------- Ittilaqat Istore (Apps Store) say ap colloquy kay barey may talash kar saktey hain or apnay aaley (device) may download kar sakey hain yah ap isay sarkari website (official website) may talash kar saktey hain http://colloquy.info/downloads.html Appendix B * Android istemal karnay waley (Samsung Galaxy/HUAWEI/LG/HTC) ------------------------------------------------------------------------ AndroIRC ak Load utarna Android IRC client hay jis may ak hi waqt may kai server say munsalik ho sakta hay. Darkhuwat muuft "Free" hay or bhot say zubano ki himayt karta hay. Bara e meharbani mulahiza karein. http://www.AndroIRC.com Mazeed malumat kay liya. B.1 * Dalnet say rabitah kesay karein ------------------------------------- 1. Google/Play store kay zareyah isy Download karein. 2. Ak bar jab ap nay "App" install kia hay tou Tartibat kay ICON yani nishan par clik karein or tarteeb say diyah gaye may say mutakhab karein. 3. Tab Urfi naam/shanakhat/asli naam kay shobay may bharein. 4. Tab Khidmaat or naye server ko shamil karnay or agley hidayat par amal karnay kay liya Tarteebat kay Icon par click karein. a) Naam par click karein or IRC server kay naam kay toor par Dalnet likhain or OK daba dein b) Address Patah par click karein or likhain irc.dal. ab OK ka button daba dein "c) * Is port ko isi terha default* kay tor par chor dein " "d) Password ki jaga khali chor dein*" e) Urfi Naam par click karein or is may ap ka IRC Urfi naam likhain f) Ident yani shanakht par click karein or koi shanakhati alamat wala naam likhein. *charset Hassas hay isay isi terha chor dein jesy UTF-8. Arab dalnetizens kay liya ya windows-1256*ma tabdel hay "***WINDOWS-1256 Microsoft Windows kay tehat arabic likhnay kay lia isteam kia jata hay encoding hay.***" 5. ab wapis jayein or plus(+) par click karein app page ko upar karein or dalnet say rabetah ka intekhab karein. B.2 * AndroIRC kha utarna (download) karna hay ---------------------------------------------- Google/Play store say Ap AndroIRC kay barey may talash kar saktey hain apney mobile device may isay download kar saktey hain yah ap in kay sarkari official website dekh saktey hain. http://www.AndroIRC.com mazeed malumat kay liya. "NOTE: Tamam pichlay mobile device applications irc ki bunyadi command ka istemal kartey huway..o" Appendix C * IRCCloud --------------------- IRCCloud ak IRC client hay mustaqbil may juray rahnay kay lia , Kisi bhi jaga say chat karein, or kabhi pegham nahi chutay. Ap ka account mita dia gaya hay. Mufg Account kay lia signup karein / Qemat ka taiyyun. ya dalnet ki services say jorta hay, Apnay silsilay ya rabtey ko zinda (jari) rakhein , Apni chat ki Tareekh (history) ko jama kar rakhain. Ap jadeed web browser kay zarea rasai hasil kar saktey hain https://www.IRCCloud.com, ya in kay mobile say juray apps say . C.1 * website kay zarea Dalnet say rabeta karein ------------------------------------------------ 1. Click https://www.IRCCloud.com. 2. Ap ko farm bhar kar signup karna hoga: - Name - Valid Email address ap ka durut Email pata - Password "***click email ki tasdeeq hasil karnay kay lia signup karein . Apnay Email ki tasdeeq kay bad , DALnet say munsalik honay kay lia agli hidayat par amal karein:" a) HostName ki field may ap Dalnet ka intekhab kartey hain. ipv6.dal.net b) identify yani shanakht wali jaga par, Apnay Naam or Urfi naam say khali jaga bhar dein c) press prein Dalnet may shamuliyat ikhtiyar karein or lutf andoz ho jayein ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)