IRC Operators ============= Version 1.2.0 Akhri bar tarjama kia giya PaheLi (sarahthewarrior at mail.com) per 2018-12-21 Akhri bar parha giya ufo (jud3an at gmail.com) on 2017-07-15 Asal main likha giya LadyDana (ladydana at dal.net) or curve (curve at dal.net) per 2000-12-17 Copyright (C) 2000-2018 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Taa`urf ------- Yahan bohat si Wehmi or Ghalat samjha jata hay IRC Oprators ko, inki zummay dariyan. Yeh dastawizat wazaht karta hay kay IRC Oprators ki kia zumaydariyan hain. or kia woh kar saktay hain or kia nahi kar saktay hain. Agar aap ko kis IRC Oprator ki madad chahiyai, dekhain http://docs.dal.net/docs/findoperur.html. Muwaad ------ 1 * IRCops ki mukhtalif "iqsaam" kya hain? 2 * IRC Operator ke ikhtiaraat ko kaise jancha jaye? 3 * Aik IRCop ki kia ZumyDariyan HAin? 4 * IRCop kia *nahi* karta? 5 * Opering kesay kam karti hay? 6 * IRCops ki Mukhtalif iksaam Kia hain? 6.1 Local Operator 6.2 Global Operator 6.3 Services Administator 6.4 Server Administrator 6.5 Channel Services Operator 6.6 Services Root Administrator 7 * DALnet ki teams main kia farq hay? 7.1 A`ham K-Line 7.2 Help Committee 7.3 Postmaster 7.4 Khud`Mukhtar Group or Teams 8 * Main IRC Operator Kesay Ban Sakta Hon? 8.1 Aaam Malomaat 8.2 Sachaie 8.3 Mashwaray 8.4 Nahi Karna.. 8.5 Dosray Links 9 * Main kesay Aik IRCop ki shakayt kar Sakta hon? 1 * IRCops ki mukhtalif "iqsaam" kya hain? ------------------------------------------ IRCop ko IRC Oprater kehtay hain naa kay IRC Cop yah mIRC COP jesa kay kuch loog samajhtay hain. ( yeh zarori hay kay aap ko pata hona chahiyai kay mIRC aik program hay jismay IRC network say connect howa jata hay. yaha or bhi bohat say CLients hay mIRC kay ilawa bhi) IRCops woh loog hain jinkay pass access/rasaie hoti hay apnay server yah network ko sanbhalna. wesay am tor per yeh bohat ziada tajarba rakhtay hain aik aam Dalnet Network loog ki nisbat. Or yeh baat yaad rakhain yeh Madad karnay walay hotay hain. inko inkay kaam ki koi Pessay nahi miltay. 2 * IRC Operator ke ikhtiaraat ko kaise jancha jaye? ---------------------------------------------------- Taaza tareen Bahamut version ke aane ke baad https://www.dal.net/?page=Bahamut, DALnet ne IRC Operators ke liye aik new lin ka izafa kiya hai /WHOIS OUTPUT, ye batane ke liye ke un ko konsi rasaai ke ikhtiar hasil hain. Isliye, wo sarfeen jo apne gumshuda passwords ke lie CSOp ki rahnumaai ke muntazir hain ya unko apne frozen nick/channel ke silsile mein madad darkar hai, unko jald az jald madad faraham ki jaye gi. Taaham, sarfeen doosre CSOps ke liye dekh sakte hain "/motd services.*" ya phir /join #Operhelp Fredfred is fredfred@staff.dalnet * Fred Meyer Fredfred on @#docsteam @#dalnethilfe Fredfred using *.dal.net DALnet oper-only server run by AOB Fredfred is urfi'naam ki shanakht karwa chukay hain Fredfred aik IRC Operator hain - Services Administrator Fredfred ke paas services ki access hai: CSop Fredfred rukan hain HelpDesk, Docs, HC ke Fredfred has been idle 5mins 24secs, signed on Fri Nov 23 11:41:04 2018 Fredfred End of /WHOIS list. jaisa ke aap dekh sakte hain, Fredfred ke paas services access hai: CSop. jiska matlab hai, ke wo frozen nicknames/channels ko deal kar sakte hain, a~ur doosre kai ervices ke masaail ke silsile mein aapki madar kar sakte hain, jin ka ke aik sarif ko DALnet IRC Network par samna ho sakta hai. NOTE: Aap tamam DALnet IRC Operator ke ikhtiaraat ka jaiza le sakte hain bazariya: His`sa 1. 3 * Aik IRCop ki kia ZumyDariyan HAin? -------------------------------------- Bunyadi Kirdar IRCop ka yeh hota hay kay woh apnay poray server yah network ko control karain or aam tor per chakain. Jismay Ham`Tarz ko remove karna, Chugh`Yani or Ziada Ishtehar bazi or disconnect yah connect servers ot netsplits waghera ko sanbhalna shamil hota hay (netsplist k wazaht k liyeh http://docs.dal.net/docs/netsplitsur.html). Aik IRCop apna waqt logo ki madad karnay per bhi zaya karta hay. jismay sabsey ikta wajohat jiskay liyeh aik IRCop ko dhonda jata hay woh "Passwords ka Bhool jana" hay. aik Server Administrator apnay IRCops say bhi kuch madad mang sakta hay, laikin yeh her server jat saath nahi hota. Yahantakkay aik IRCop in Servers per aik hi hota hay, or inko haq hota hay ksi bhi mada k liyeh inkar kar saktay kisi bhi wajah kay saath. 4 * IRCop kia *nahi* karta? --------------------------- yeh aik common sa yakeen hay, IRCop woh nahi karsaktay jesay woh pasand na karain. Onhey Opers chuna jata hay apnay Server ki bhalaie kay liyeh or, jesa k, siway qanon per amal karna waghera. IRCop Urfi`Naam or Kamray ko apnay shok kay liyeh kabhi khatam nahi karega. yeh sab woh kis bari wajah kay saath hi kar sakta hay. Iska matlab yeh bhi nahi kay woh in tang karny walay logon, spammers, Ham`Tarz, Services taung karny walay kay khilaf koi jawabi karwaie nahi letay. yahan farzi tor per apni taqat ko chupatay hain or zahir nahi kartay. iska matlab hay kay IRCops Urfi`Naams yah Kamray ko drop nahi karega jo zaya honay kay kareeb hon. Services k ghaib honay k doran, woh yeh pasand nah kartay kay aap ko apkay Kamray per OP karain. or aapko onhey apni shanakht karwanay ki bhi zarorat nahi. Woh aap kay Kamray main Chugh`Yani or Ham`Tarz ki mushkilat main aap ki help kartay hain. Apnay zehan main rakhain kay DALnet apnay qanoon main yeh bhi biyan karta hay kay aik Kamray founder jesay chahay apnay Kamray main karay. yahan tak kay woh achay nahi. laikin Dalnet ki Services ko tungg nahi kartay to onko koi kuch nahi kahega. Yahan DALnet main kay qanon main kuch nahi shamil kay Kamray ka founder acha hona chahiyeh yah nahi. Or IRCops Kamray mamlat main kabhi dakhal nahi detay hain. Yeh bhi note karna chahiyai kay IRCops onkay Kamray ki intezamia main kabhi shamil nahi hotay. jab tak woh Network k qanoon ko pamal nahi kartay. Agar koi bhi Kamray main Oprators ghalat kick/ban kartay hain too oski khabart Kamray kay founder ko dain. 5 * Opering kesay kam karti hay? -------------------------------- An O:line (capital 'O') yeh zahir karta hay kay koibhi jo "global oprater" hay. or aik Local "operater" ki access/rasahi o:line (lower-case 'o') sey zahir hoti hay.. kisi khas hadd takk, O:line aik line code hay IRC server (IRCd) ki baniaie huie file main. The O:line kisi IRCop ki IRCop's host, Urfi`Naam and password ki malomat rakhti hay. is main yeh bhi wazeh kar diya jata hay kay woh IRCop kay pass Commands ka konsey darju ki access/rasahi rakhta hay jiskay zariyeh woh logos mode set karta hay jab koi /oper command say mangta hay. logo modes ki or ziada malomat k liyeh yaha jain http://docs.dal.net/docs/modesur.html. Jab aik Server Administrator apnay server's team kay liyeh IRCop select karta hay, woh osko O:line kay liyeh file may Tarteeb karta hay. jab aik dafa yeh line add hojay too, the /Oper Command woh istemal kar sakta hay oss server per IRCop bannay kay liyeh. IRCop ko hamesha IRC sey connect rehna hota hay jismay onko O:line lejati hay jesa kay /Oper or dosri jagah kaam nahi karegi. Iss liyeh, aik IRCop hamesha Server Staff main hosakta hay woh bhi sirf aik hi server per. koi pata woh /Oper kis dosray server per bhi ability rakhta hay jismay woh "Muhafiz" kay tor per janay jatay hain. 6 * IRCops ki Mukhtalif iksaam Kia hain? ---------------------------------------- IRCops aik jesi takty nahi rakhtay hain. Inki mukhtalif Iksaam or mukhtalif commands ki taqat/access rakhtay hain. jesakay, jiskay pass ziada access/rasahi hoti hay oski zumydari or farz bhi otni sakht or ziada hoti hain. neechay kuch types hay jissey aap ko shayedkuch samajh ajay. 6.1 * Local Operator -------------------- Aik local Operator sirf yeh dekhata hay kay woh IRCop hay. Jesay kay aap onkay nick ki /WHOIS lekar dekhtay hoo. yeh sirf logos ko K;line or yah phir apney server say logos ko DisConnect or Connect kartay rehtay hain. or yehbhi dekh saktay hai kay konsey loog per +i mode set hay. 6.2 * Global Operator --------------------- Aik Global Operator bhi dekhnay main Oper hota hay, or aap inhey kisi bhi server say check kar saktay hain. yeh kisi bhi server sey kisi ko bhi DisConnet kar saktay hain. or yeh Kamray main mojod (AOP/SOP/COUNT) yani kay ChanServ access ki list dekh saktay hain. Local oprators ki tarah nahi, Global Operator Poray Network say kisi bhi sakhs ko disconnect kar saktay hain 6.3 * Services Administator --------------------------- aik Services Administator ko SA(logoMode +a) say bhi pehchanay jatay hain. Yeh baghair kisi Kamray main OP banay network-wide bans, masskick channels, NickServ access fehrist lena, Kamray k modes badalna, waghera set kar saktay hain. 6.4 * Server Administrator -------------------------- aik Server Administrator (logo mode +A) DALnet server kay Administrator hotay hain. yeh pehlay walay Opers ko jawabday hotay hain or server ko achi tarah say dekhbhal kartay hain. Yahan 2 Server Administrators bhi hosaktay hain aik server kay liyeh. 6.5 * Channel Services Operator ------------------------------- aik Channel Services Operator ko aam tor per CSops kehtay hain. yeh passwords lay saktay hain or passwords ko bhajtay hain kisi bhi nick kay or Kamray kay. Urfi`Naam ko khatam or Kamray ko band bhi kartay hain. Abhi tak yeh Passwords say mutalliq mushkilat ki bhi madad kartay hain. CSops woh oper hain jinka ka ziada tazkara hota hay. yeh mumkin nahi kay kon CSop hay yah nahi or na hi /WHOIS lenay say pata chalay ga. CSOPs ki fehrist dekhnay k liyeh "/motd services.*". 6.6 * Services Root Administrator --------------------------------- yahan sirf chund aik SRAS (Services Root Administrator) hotay hain. or inkay pass sabsey ziada access/taqat waly hotay hay Services main. onmainsey kuch services Coders hotay hain. or kuch Administrative Oversight Board kay rukan hotay hain. yeh asal main kuch logo ka Group hay joo services ko myari rakhtay hain or kisi bhi Bug/Bigarh ki khabar per karwaie kartay hain. 7 * DALnet ki teams main kia farq hay? -------------------------------------- yahan bohat si teams hain DALnet per. jabkay in sab main IRCops kam nahi. Har kisi ko aik alehda maksad kay liyeh banaya giya hay. jesa kay kuch ziada ishtehar bazi, mailing fehrist ko parakhna, webpages ko parakhna, waghera. teams hain. mukamal teams k arkaan ki fehrist yahan hai http://www.dal.net/admin/teams.php3. Aap is command ke zariye bhi DALnet ke amlay ke arkaan ka jaiza le sakte hain: "/motd teams.*" "NOTE: Online afraad ko BOLD mein zahir kiya jata hai, a~ur aap ye bhi dekh sakte hain ke har team ka Team Leader kon hai. " 7.1 * A`ham K-Line ------------------ Main K-Line team Dalnet ki sabsey Bari Team hay. or yeh har kisam ki shakayto ko jawabdeti hain jesakay network ban to be set. jabkay onkay name: the K-Line Team. Yeh ISPs kay tumam taa`ul`qat ko barkrar kartay hain. or aik hi DOmain say honay wali ghalat kariyo ko dekhtay hay or phir onkay khilaf karwaie karty hay. A`ham K-Line's subteams mein shamil hay: Ham`Tarz, Ishteharbazi, CyberCafe, Bigarhh, Wingate or Services ko tang karna. meharbani say dekhain http://kline.dal.net/ 7.2 * Help Committee -------------------- Help Committee bhi aik a`ham team hain or mukhtalif subteams hain. inka kaam Dalnet per logo ko madad karna hay. sab say a`ham team jo Kamray main madad karti hay, or wahan na`ey mashwary, har na samajh anay wali museebat main logo ki madad karti hay. iss team main User Documentation, Events, HelpDesk or WebTeam, waghera shamil hain. Orr Ziada maloomat k liyeh aap http://help.dal.net/ say hasil kar sakty ho. 7.3 * Postmaster ---------------- Postmasters mailing fehrist ka eh`tmam kartay hain. Inki Subteam, koi bhi ghair munasib mail ko kisi shakhs kay pass janay say rokti hay. 7.4 * Khud`Mukhtar Group or Teams --------------------------------- yahan per or bhi aisi teams hay jinka koi group nahi hota or naa hi koi subteam. yeh azad hotay hain. jesay kay Web Team, the Coders, the Security Team, the Routing Team, the Oper Training Team, the Services Root Administrators, the Administrative Oversight Board, etc. 8 * Main IRC Operator Kesay Ban Sakta Hon? ------------------------------------------ IRC Operator aisa rutba nahi hay jis k liyeh koi`sa bhi shakhs dar`khuwast kar saky . Sirf Server Administrators hi kisi ko IRC Operator banata hay or on logo ko dena pasand karty hian joo IRC per kafi arsay say hon yah phir on ko haqiqi zindgi main janty hon. Agar IRCop ban`na hi aap ka maqsad hay, too aap na khush hoty ho orr ghalat fehmi dor karny ki koshish karty ho har waqt.IRCop ban`na aik nookri hay naa k sirf naam. aap ko madad karni hoti hay network ki or oskay istemal karny walay logo ki.agar aap ki dil`chaspi sirf IRCop ban`nay main hi hy too aap ko thanda rehna hoga, or aap kill bhi kar sakty kisi ko jo aap ko pareshan karay.iss liyeh kabhi aik dam hairan na hona k aap oper nahi ban sakty. yeh khidmat karny wala kaam hay. Iss liyeh thanda rehna hi aap k liyeh mufeed hoga 8.1 * Aaam Malomaat ------------------- Aik assan sa jawab aik sawal ka jab aap IRCop ka pochtay ho or ban`na chahty ho, too kabhi is ghumaan main na rehna k aap hi akely hi sirf ho. yahan koi fehrist nahi tareeqo ki orr na hi koi darkhawast denay ka nizaam. Yahan sirf 2 hi tareeqa yhian IRCop ban`ny k :Apna zati DALnet server banao yah kisi admin ko kaha jay k aap ko IRCop day. Aik Aham cheez joo pata honi chahiye k IRC Operator harr kaam main shamil nahi hotay IRC Operator ban`na koi anokhi sorty haal nahi. yeh aik aisa hissa hay jismay bohat sakht kaam or nazar`andazi orr sabsey aham sabar karna. Operators ziada waqt dosto say batain nahi karty onko kam hi yeh mo`aqa milta hay. isko aisey istemal kia jay, kahin aap kisi medan main khailny nahi gay, balky dosray logo k hansi mazak ko dekhna hota hay.yeh zehan main rakhlain k IRC Operator ban`nay k baad raat ko kisi konay main beydari karna or qanon ko apnay haath main nahi lia jata, yani k befazol kisi zati maqsad k liyeh kisi ko kill karna. Behtar yeh hay k aap apnay aap say pocho k aap kia kar sakty ho DALnet k liyeh. IRCop ka kaam madad karna,bass ap madad kar sakty ho DALnet ki socho, laikin ankho dekha nahi, apnay dimagh say sochain k aap apna waqt DALnet ko dey sakty ho yah nahi. DALnet ko hamesha aisey hi loog chahiyeh joo madad karain, agar aap yeh sab karty huway lutaf`andoz ho sakty ho too koshish karo k kisi officially yah unofficially madagar Kamray ka hissa bano yeh aap ka rasta hoga IRCop ki taraf. 8.2 * Sachaie ------------- Pehlay kabhi yehen achay Kamray huwa karty thay jahan admin IRCops ka inthekhab karty thay. Jald hi jesay hi duniya barhi yeh Kamray mashhore hogay k "Kisi ko IRCop ban`na " kon hay jo sirf "IRCop power" chahty hain baghair kisi tareeqay k or imtehan k. Laikin abb yahan IRCop ban`na bohat mushkil hay laikin aap yeh na sochain k aap madad nahi kar sakty. #DALnetHelp, #Help, #mIRC, or dosray madad`gar kamry , hamesha madad karny walo k liyeh khulay hotay hain baghair kisi 0:line ki lalach. Aap say kafi sawal pochein jaingy jinkay aap jawab dogay bar bar. aap ko hamesha har sawal k jawab ka pata too nahi hota laikin aap ko osko sahi rasta batana hoga madad lenay ka. aap onko yeh nahi keh sakty k kahin bhi chalay jaao yah kisi or ko talash karo jo aap ki madad kary. - aik IRC Operator hay hi 'Koi Oor' and or muaziharat ko matloob karta hay (beshak woh ghair`aham ho)aik nateejay ko jo har kisi ko manzor hota hay.tum dekho gay k loog aap per Chugh`Yani karaingy.tumhay onn logo ko ban karna parayga (jabky aap apnay aapko unban nahi kar sakty). Loog aap k bigry huway naam lengay. Loog aap ko aik keera samjhy gay. Loog aap k email accounts main hamly karaingy.woh aap k shell accounts ko chori karaingy.Yahan tak woh aap ko dhamkiyan deingay.aap ko yeh sab bardasht karna parega. yahan orr dosray bohat achay or izzat dar loog hain joo aap ko shukriya ada karty hian or aap ki madad karty hain.Yeh woh log hotay hain jo inko kaar amad banaty hain.Aik IRCop ban`ny k baad aap sirf chothi c commad /kill istemal karty ho. 8.3 * Mashwaray --------------- *IRC Operator ban`na abb bhi aap bann sakty ho too in muffed mashwaro ko dekhain:* 1.- IRC clients k baray main pata hona chahiyeh. sirf mirc nahi, laikin kuch oor ka too maloom ho.aap ko bunyadi kamo k baray main maloom hona chahiyeh. 2.- yeh bhi sekhain k aap Services ko kesay sanbhal sakty ho.ChanServ, MemoServ or NickServ ki commands k tareeqo ka pata hona chahiyeh. jesa k ham khushkismat hay k hamary paas yeh hain, yeh istemal honay chahiyeh jesa k yeh bohat madadgar hain. HelpErv main inn tumam commands k dastawizat mojood hain joo k ircII client Unix k liyeh, or sab IRC clients main yeh commands kaam karti hain. 3.- Urfi`Naam k modes or kamro k modes pata honay chahiyeh, or sabsey ziada aham, masks (nick!logo@host). 4.- logo ki madad karoo jesa k tum kar sakty ho. Sirf yehi hi nahi naa k tab jab IRCop mojod ho. 5.- Aap ko mukhlis hona chahiyeh IRCop ban`ny k liyeh. Agar aap ko sirf IRCop ka darja hi chahiyeh too bohat achay. 6.- Hamesha khush ikhlaq hona chahiyeh, meharban or insan. aap mizaaj aap ka rawayya hi aap ko aik acha IRC operator bana sakta hay. 7.- Manzor shuda madad`gar kamro main madad karny ki koshish karain. Aap waha OP nahi ho sakty jaldi laikin waqt k saath saath aap ki maharat k mutabiq aap ok yeh bhi nawaza ja sakta hay. 8.- bunyadi raw IRC commands ka pata hona chahiyeh. Yaad Rakhain:Har koi IRCop ban`ny k liyeh nahi poch sakta, Koi mamla nahi k woh kesay agay barh sakta hay. Na`Khush naa hoon. 8.4 * Nahi Karna.. ------------------ *IRCop ban`ny k liyeh jo chezain nahi karni chahiyeh* 1.- bekaar rehna server or karmro main or sirf 0:line honay ka muzahira karna. 2.- IRCop ban`ny k baray main dosry IRCop or admin ko pareshan karna. 3.- Madad karna jo k sirf Admin k hukkam par. Madad karo jab-k aap issey lutaf andoz hon. 4.- Oper k liyeh pochna - yeh aap ko aik mangnay wala bana deta hay. Yeh aap k liyeh kuch aham mashwary thay k aap ko kia karna chahyeh or kia nahi. Laikin yeh sab phir bhi yaqeen nahi dey sakta k aap IRCop bann jaogy. 8.5 * Dosray Links ------------------ Dosray achay links key aap kesay IRC Operator ban sakty ho woh yeh hain http://ahnberg.pp.se/ircop.html, http://www.freewebs.com/kzoo/oper.htm, or http://help.dal.net/dnh/oper.php. 9 * Main kesay Aik IRCop ki shakayt kar Sakta hon? -------------------------------------------------- hum nay change kardia hay ircop search karnay ka server name ab aap nahi dekh saktay irc is command say ("/Whois opername"). aap search kar saktay hain dalnet site per. kisi bhi Ircop ki complaint hamesha direct administrator ko kani chaye ... administrator ka naam dhondnay k lia please visit http://www.dal.net/servers/. aap dekh saktay hain sab dalnet servers aur staff is link main jo mentioned hay http://www.dal.net/admin/teams.php3 Aik server admin say hamesha is adress per rabta kia jata hay *admin-nick@dal.net*. agar server admin ka nick "whatever" hay too aap yeh emailadress per email karogay whatever@dal.net. server admin k khilaaf shakaiyti seedha Administrative Oversight Board ko is adress per karain aob at dal.net. akhir main yeh adress, abuse at dal.net jisper aap apni email kar skty hoo kis ibhi shakayt ki soorat main. jab aap email likh rahay hon too koshish karain k woh pori wazaht k saath hoo jitni mumkin ho sakay. agar aap yeh chahty k aap ki shakaytoo ko ziada ahmiyat dee jay too aap itnay siyanay na banain. DALnet har kisi ki email ko jawab deta hay or har kisi ko aik jesi hi ahmiyat deta hay. or yeh bhi, keh aap DALnet ki harr email adress per email bhejo takay k aap ki shakyto ka ziada dekjha jay too yeh aap ki bhool hay Wesay, aap ko *Sirf* likhny ki zarorat apni shakayto main joo aap Server Administrator ko bhejty ho. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)