DALnet password ki Reh`Numaie ============================= Version 2.1.3 Akhri bar tarjama kia giya Leo`King (Leoo.dal at gmail.com) or Heroic (Ali_Heroic at Hotmail.com) per 2006-04-09 Akhri bar parha giya ufo (jud3an at gmail.com) on 2017-07-20 Asal main likha giya Drakkar (drakkar at dal.net) per 1997-02-26 Copyright (C) 1997-2017 DALnet IRC Network kay zariyeh Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf! Taa`Urf ------- yeh bass aap ko Urfi`naam or kamry kay passwords kay baray main aik reh`numa hay Dalnet per,or thori bohat passwords commad kay baray main likha giya hay. ismay yeh bhi bataya giya hay kay aap aik Acha password ka intekhab kesay kar saktay ho or kuch mashwary hain. yeh aik faida hay kay ham apnay urfi`naam or Kamry kay password kesay rakhay yeh sirf Dalnet key liyeh hi nahi balkay har jagah jahan aap nay password set karna hota hay. Muwaad ------ 1 * NickServ or ChanServ k password ki Commands 2 * Aik Password ka Intekhab Karna 3 * NickServ or ChanServ say shanakht karana 4 * Agar aap apna Password Bhool gay ho 5 * Apnay Urfi`naamo or Kamro ko kho dena 1 * NickServ or ChanServ k password ki Commands ----------------------------------------------- sab say pehlay too urfi`naam or Kamry ko darj karnay kay tareeqay kay baray main batata chaloo. urfi`naam k indraj kay liyeh, command yeh hogi: /nickserv register yah /msg nickserv@services.dal.net register KHAAS: command main kahi apnay urfi`naam ko denay ki zarorat nahi yeh command aap kay ossi urfi`naam ko register karay gi jo aap is waqt istemal kar rahay hogay. or apna Email adress ko bhi BILKUL SAHI dein kiyonky aap ko aik tasdeeq k liyeh email bheji jati hay email adress per. Or ziada wazaht is site per mjood hay http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html. Kamry k indraj kay liyeh, command yeh hogi: /chanserv register <#channel> yah /msg chanserv@services.dal.net register <#channel> KHAAS: Description aik lafz hay jahan aap apnay Kamry ki Tareef likhty ho. kuch bhi likh dein, isko shamil karna hi hay. aap or ziada wazaht k liyeh http://docs.dal.net/docs/chanservur.html. 2 * Aik Password ka Intekhab Karna ---------------------------------- yahan yeh janna zarori hay kay aap kia as a password services k zariyeh istemal hosakta hay or kia nahi istemal hosakta. * Password lafzo main hona chahiyai, baghair koi khali jagah diyeh. * app password apna urfi`naam hi nahi rakh sakty. * Or aap lafz "Password" bhi apnay urfi`naam ka password k liyeh nahi rakhsaktay. * Passwords lambaie main 64 ilamto say ziada ho sakta hay. * colon k saath password shoro nahi kar sakty. * Password main koi ilamat nahi honi chahiyai, < 33 ASCII nakshay per. * jab aap apna urfi`naam darj kartay hoo to agar aap nay passwrd Caps LOCK main likha hay too urfi`naam ko shanakht karwanay kay liyeh wesay hi Caps Lock wala password likhna chahiyai. yahan or bhi bohat si chezain hain aik password ka intekhab karnay kay liyeh, jinki wazaht aik aik karky neechay di gaie hay: 1. Aap apna real name, Phone Number, adress yah phir koi bhi zati maloomat ko password k liyeh istemal nahi karna chahye. agar istemal karogay too asani say aap ka password ka tukka lagaya ja sakta hay. 2. apnay urfi`naam kay agay peechay kuch numbers shamil karkay password k liyeh istemal karna hifazti to hay laikin yeh koi acha password nahi hoga misaal k toor per: Jonathon /nickserv register Jonathon1 email@address.com 3. agar ho sakay too password aik english lafz nahi hona chahiya, kiyonkay yahanbohat see chezain jinki madad say yeh os English lafz kay matlab ka pata lagaya ja sakta hay Jabkay Dalnet kay pass bohat ziada Flood k liyeh hifazti intezam hay isi liyeh yeh aapkay password ko crack karnay say bhi bachati hay. 4. mukhtalif kisam k Capital/Baray alfaaz or ilamaat ko password main istemal karnay say Dosray logo kay liyeh mushkil hojata hay Password ka pata kesay karain. Misaal k Liyeh: "Goober" aik acha password hay, laikin "gOoBEr" ossey bhi acha password hay. 5. Capital/baray alfaaz istemal karnay kay sath sath, aap makhsos ilamat bhi istemal kar saktay hain jesay keh ASCII ilamaat hain. aap ko in passwords ko likh lena chahiyeh kiyonk mushkil passwords ko yaad karna bhi mushkil hota hay. misaal k tor per ham passwords main ko shamil kar letay hain ALT+171 ko dabany say 6. dosri zaban main ilamaat, aisay ec, kabile kabool hay. 7. aik behtar password ilamaat ki larhi hoti hay, lekin yeh yaad karna mushkil hota hay jab tak aap isko kahin likh na loo. agar aap bay`tarteeb ilamaat ka intekhab *kartay* ho, kisi k intekhab k liyeh yeh behtar hoga keh *dikhaway* k liyeh bey`tarteeb ho, laikin matlab *Aap* say ho. 8. Kuch loog apnay tumam urfi`naam or Kamry kay aik jesay hi pasword rakhtay hain. kiyonkay yaad rakhna asan hota hay. laikin yeh bhi asan hojata hay kay aik urfi`naam ka password chori honay say tumam rasaie dosrey urfi`naam ki bhi hasil kar sakta hay. 9. jab aap urfi`naam ki shanakht karwanay kay liyeh password detay hoo to aap ko tasdeeq karna chchiyai koi aap ka password dekh too nahi raha, yah koi likh too nahi kar raha. Mashwaray: aik acha tareeqa uljha huwa password ko jumlay say muntakhib kia jay, or phir oss jumlay k akhiri or pehlay alfaz ko kuch darmiyan waly alfaz ko lena chahiyeh. Milnay wala password acha khasa bay`tarteebi hoga, laikin shakhs iss password ko asani say yaad rakh sakta hay. hamesha apnay passwords ko badalty rahain kisi ko pata lagny say pehlay. yeh aik acha mashwara k password ko tabdeel karty rehna. 3 * NickServ or ChanServ say shanakht karana -------------------------------------------- jab aap ko apna passsword ko shanakht karwana hota hay NickServ or ChanServ k zariyeh. to aap ko yeh tasdeek karni chahiyai kay aap sahi NickServ ko pegham bhej rahay hoo yah nahi. kionkay kafi tang karny walay loog NickServ or ChanServ sey miltay jultay dosrey urfi`naam rakh kar aap say password shanakht karwanay ka kehtay hain. DALnet per aik rehnumaie Services or IRC Operator Impersonators yahan milay gi http://docs.dal.net/docs/ircimpsur.html. yeh dekh lain k aap apna password sahi jagah shanakht karwa rahay ho or aap DALnet per hi mojod hon. server ka naam "dal.net" yeh hoga on mein. likho "/whois ChanServ" yah "/whois NickServ", or yeh yaqeen kar lein k jawab yeh aiey "services@dal.net". yahan kafi mehfooz tareeqa hay urfi`naam yah Kamry ko shanakht karwanay kay liyeh: nickserv say shanakht karana, istemal karain: /nickserv identify yah /msg nickserv@services.dal.net identify yah /identify Urfi`naam ko shanakht karny k baray main mazeed rehnumaie in dastaqizat main mojod hay http://docs.dal.net/docs/nickservur.html. ChanServ say shanakht karana, istemal karain: /chanserv identify <#channel Password> yah /msg chanserv@services.dal.net identify <#channel Password> yah /identify <#channel Password> Kamry ko shanakht karny k baray main mazeed rehnumaie in dastaqizat main mojod hay http://docs.dal.net/docs/chanservur.html. 4 * Agar aap apna Password Bhool gay ho --------------------------------------- Agar aap Password bhol gay hay Too Dalnet main yeh ijazat deta hay kay aap ko Password Email adress main email k zariyeh bheja ja sakay or oskay liyeh ham SENDPASS ki command istemal karty hain. Urfu`naam ka password bhejnay k liyeh, istemal karain: /nickserv sendpass Kamry ka password bhejnay k liyeh, istemal karain: /chanserv sendpass <#channel> meharbani say parhain http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html#5.2 mazeed wazaht k liyeh. Agar issey bhi kuch na hoo too aap ko CSop say rabta karna hoga, Wesay yeh logo ki apni zumy`dari hoti hay kay apnay urfi`naamo or kamro kay password ka khud khiyal rakhain. CSop say rabta karnay say pehlay aap ko neechay dee gai maloomat ki janch karlain. 1. Kia aap Sahi Command istemal kar rahay hoo? 2. Kia urfi`naam or kamra aap ka apna hi hay, kahin kamra/urfi`naam khatam too nahi ho gia? 3. Kia aap nay sahi password istemal kia hay. gar inmay sey koi bhi nahi hay too phir aap ko CSop say rabta karna lazmi hota hay. CSop ko talash kanry k liyeh in tareeqo ko dekha jata hay: "/motd services.*" aap ko saray CSops ki fehrist degi, aap "/whois" istemal kar sakty hoo onko online dekhny k liyeh. #operhelp main jain, yeh IRCop ka madad karny wala Kamra hay. CSop bhi wahin hota hay agar woh nahi too koi na koi too hoga hi joo aap ki madad karega. yahan jain http://docs.dal.net/docs/findoperur.html 5 * Apnay Urfi`naamo or Kamro ko kho dena ----------------------------------------- Hum nay humaray nick k ikhtitam kay nizam ka rasta tabdeel kardia hay Aaj. say shorow nick 30 din kay baad khatam ho jayengay us k bajaye un per *GHAIR FAUYAL* toour per nishan laga dia jayega. mazeed maloomat k lia barahekaram https://www.dal.net/kb/view.php?kb=291 check karain. Agar aap ka nick darkhwast ki ja sakta hay aur wo isay mukamal kartay hain tu aap kay nick per tamam registered channel bhi khatam ho jayenge magar is k ilawa is k lia aik successor mojood hay. http://docs.dal.net/docs/chanservur.html#11.16 NOTE: tabdeel karda services online ki shankth khatam karnay k lia nahi yahan tak k agar wo 30 din ki shanakht nahi kartay hain .. note karain k registered.rakhnay kay liya aap ko baqaida tour per nick istimal karna hoga. services aap istimal nahi kartay jo nick name rakhay jatay hain aur 30+ din k lia nick inactive k tor per shanakht nahi karaingay. Bohat *Ziada* muhtat rahain jab aap publin computer istemal karty ho, jesa k internet cafes. yeh computer ghair mehfooz hoty hain, or viruses yah dosray scripts, jinmay aap ka password mehfoz hosakta hay or chori bhi in sortehal main, DALnet Administration aap ki madad NAHI karegi. KABHI BHI apny passwords KISI DOSREY ko na bataao, bshak aap ko osper bharosa hay yah nahi. Kiyon-k woh shakhs kisi bhi tarah yah hadsati tor per kisi dosray shakhs ko dey sakta hay. DALnet in sortey haal main aap ki madad nahi karega. Agar aap ko DALnet passwords k baray main or koi sawal hay too aap iss Kamry per jain, #DALnetHelp yah #OperHelp. dosray dilchasp dastawizat is site per hain http://docs.dal.net/docs/exploitsur.html, http://docs.dal.net/docs/annoyur.html and http://docs.dal.net/docs/ircimpsur.html. ---------------------------------------------------------------------- IRC: /server irc.dal.net 7000 (also port 6667) The Web: http://www.dal.net/ DALnet Help: http://help.dal.net/ IRC FTP: ftp://ftp.dal.net/ Network! Email: help at dal.net (help), docs at dal.net (help documents), suggest at dal.net (suggestions and comments)