DALnet ka Itihaas

Version 1.1.5


Akhri mein anoovad kiya gaya sps () se tarikh 2018-02-12

Akhri mein likhwaya gaya PJKevin () se tarikh 2004-08-24

Asal mein likhwaya gaya Dalila () se tarikh 2000-12-09

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Parichay

Is dastaavez ka samanay roop se udesh DALnet network ke baare mein vichar dena hai, jis IRC network par hum itna waqt bitaate hain, woh aaj ek bade network ke taur par ubhara hai. Syayam-sewekon ki madad se jinone apna keemti aur mulyavaan samay evam sansadhan dekar, DALnet ko aaj sabse bada vibhinn roop ki anek sevaein ubladh karane wala IRC network banaya hai.

Suchi

1 · Ithaas

IRC mool roop se sabse pehle, Jarkko Oikarinen dwara 1988 mein banaya gaya tha. IRCnet woh pehla IRC network tha jisnein krantikari taur par logon ko duniya bhar mein ek dusre se bat karne ka madhyam ublabdh karaya. Ant mein, andhruni sangharshon ki wajah se, kuch servers ne IRCnet se alag hone ka failsa kiya aur ek naya network bana liya joh EFnet kehelaya: EFnet (Eris Free Network) aaj bhi, sabse purana aur bada network hai.

Bhari matra mein users hone ki wajah se EFnet network (adhiktam 7,000 users ek saath, jo us samay ke hisab se bahut jyada the), par kaafi servers ka vibhajan hone laga joh logon ko nakhush karne laga.

DALnet ka janam July 1994 ko hua, (joh dalvenjah ka janamdin bhi hai) joh ek vikalp bana IRC network roopantar un logon ke liye joh EFnet par vibhajan aur adhikaran ke gavah the. Samay ke saath, woh ek pyare phool ki tarah khila, joh aaj: ek bade hi lokpriya IRC networks mein se ek gina jaata hai jahan bhaari matra mein users jude rehte hain.

DALnet ka garv uski anukoolkata, evam uski anek sevaein (joh aur kisi bhi network par uplabdh nahi thi: kyunki woh khud DALnet ne banayi) ke saath servers ka piche chalna aur baar baar vibhajan hona yeh sab bane. Udharan ke taur par, ek Server Administrator jab apna server kisi dusre hub ke saath jodne ki koshish karta, us waqt usse do second piche chalna padta joh usse kabhi kabhi jyada mehsoos hota. Sab log ek dusre ko badi achi tarah pehchaan teh kyunki aur satam sirf 150 users hi us waqt hua karte.

Bahut anya karano ki wajah se DALnet ka vikaas hua, par sabse jyada mahatvapurn kaaran tha ek Windows IRC client: mIRC. Us waqt, Windows ke liye jyada IRC clients mauzood nahi the. Windows95 se pehle, bhaari matra mein log UNIX clients hi istamal kiya karte.

mIRC ne DALnet ke vikas mein bhari yogdan nibhaya kyunki DALnet joh ek chota network mana jaata tha uske servers ki soochi uske default server list ka hissa tha. Soochi varnanukrumak ke aadhar thi aur DALnet ko EFnet, Undernet aur dusre bade networks se pehle rakha gaya tha. Issi karan, jab bhi koi naya IRC user mIRC program ko download karke istamal karta, woh sabse pehle di hui soochi anusar network pe connect hojata. Aisa hone se kaafi naye users ki ginti DALnet par badi aur yeh silsila chalta raha.

DALnet apne vikas se kaafi khush tha kyunki abh log yeh network ko jaante the aur niyamit roop se baar baar yahan chat karne ke liye aane lage. Koshishen hone lagi ki kaise network ko aur naye users ke anukool bana jaye taaki aur user base bad sake. Kaafi bhaari matra mein log yahan san 1995 khatam hone se pehle, aur ek record bana joh ki 1000 users ek saath online hone ka tha.

Yeh ek jashn manane ka mauka tha, par har cheez ki tarah, DALnet mein abhi bhi kuch kamiyaan thi. Jaise jaise users ki matra badti gayi, network samasyaan ke ghere mein aane laga joh karib 1996 ke pehle hisse mein mana jaata hai. Servers ka vibhajan hona aur dheere chalna, yeh sab baatein joh pehle nahi hoti thi abh dheere dheere hone lagi thi. Abh itne log bad chuke the, ki DALnet ko ek "family network" ka darza dena munasib nahi raha jahan har ek insaan dusre ko jaanta tha. Iske alava, services mein autokill function hone ke bavzood, usme coordination ki kami thi. Yeh dekh kar, KLine team banane ka faisla liya gaya.

Undino, jab bhi koi channel mein avaidh roop se gatividhi dekhi jaane par, usse usi waqt band kiya jaata aur lock bhi. Aaj, yeh karna thoda mushkil hogaya hai kyunki users kaafi bad chuke hain. Parantu kaafi policies abhi bhi maujood aur kayam hai, aur kisi bhi natize par pahunch ne se pehle baariki se jaanch hoti hai woh bhi poore saboot samet. Undino joh bhi tang karne wale log the woh badi hi aasani se pakde jaate the, par aaj mushkil hone ki wajah se jyada dhyaan dekar unhe saza ddene ke prabhand kiye gaye hain.

Un dino, keval 7 servers hi the, aur saare nirnaye sabhi server administrators voting ke madhyam se liya karte. Par jaise hi network badne laga yeh karna mushkil hhogaya, aur fir Executive Board ka nirmaan hua: JoelKatz, Kestral, MirclMax, Sentinele, Webmaster, Aetobatus aur WillRiker; ke saath dalvenjah CEO bane. Us waqt se DDALnet par teams banani shuri hui, jab bhi koi vikas se judi mushkil aati toh ek nayi team banakar uska samadhan kiya jaata.

Dheere dheere, DALnet badne laga tha aur uski servers chalane ki shamta nayi technology ke saath saath badne lagi thi.

Anek sevauon ka parichay joh ki 1995 mein hua, issi bal par users ko apni maujudgi ka sahi maeno mein vishwas dikhne laga jahan woh apne channel hathiye jaane ya fir tang kiye jaane ke darr se mukt the, aur yeh mool karan vikas ka bana. DALnet aisa pehla network bana jahan services sabse pehle uplabdh karagayi thi.

DALnet servers dwara bata hua hai. Servers aur hubs ek dusre se jude hue hai, joh badi matra ki soochna sambhal ne ki shamta rakhte hai, aur chote leaf servers ko bhi sambhal te hain. Sabhi servers ek dusre se connected hai, joh aage jaake fir channels dwara jode gaye hain.

Kuch aise bhi mauke DALnet par gujre hai joh sharamnaak keh laye jaate hai aur itihaas unka gava hai. 1998 mein ek *!*@*.* ka autokill galti se do alag baar hua, pehle dalvenjah se aur fir mittens se. Kabhi kabhi aisi badi galtiyon se bhi bahut kuch sikhne ko milta hai, aur usdin se yeh pravadhan hua ki *!*@*.* autokill karna naamunkin kiya gaya.

Kaafi unchi aur naami hastiyaan ne bhi DALnet ka rukh kiya hai itihaas mein. Sabse pehla celebrity joh publicly DALnet par aaya woh BB King tha, uske baad the jazz legend, bhi aaya aur kuch sawalon ka jawab Tuesday, January 16, 1997 at 19:30 EST #jazzirc mein diya.

Tito Puente ne bhi ek moderated conference #jazzirc mein Tuesday, February 13th at 19:30 EST ko ki. Wes Craven, director popular Scream series, ne April 20, 2000 ne ko bhi apni maujoodgi dikhayi. aur kaafi anya log yahan aaye, alag alag tarike ke Events organize aur general classes bhi DALnet users ke liye auyojat ki gayi.

Jaise jaise network badta gaya, yeh decide hua ki abh ek nayi IRCD (IRC server program) banane ki jaroorat hai aur tab DALnet ne Dreamforge se Bahamut ki taraf rasta apnaya. (dfhybrid ke naam se pehle jaana jaata tha) karib June 1999 ke aas paas.

Dreamforge mein kuch kamiyaan thi joh badti userbase ko sambhal ne shamta nahi nahi rakhta tha, aur anya dusri simayein bhi thi. Tab nirnaen liya gaya ki EFnet wali IRCd ko liya jaaye aur usmein badi matra se modification kiya jaa joh DALnet ke hith mein ho. Is waqt Bahamut ka janam hua. White_Dragon, lucas, Raistlin_Majere, Rakarra aur anya mahatvapurn log the, aur abhi bhi, is project mein lpt hai. Is nayi new ircd se 2000 users ka userbase handle hone ka sabhi ko vishwas tha joh pehle mumkin nahi tha. Adhik jaankari joh Bahamut se judi hui hai aapko yahan par mil jayegi http://bahamut.dal.net.

March 22nd 2000 ko, dalvenjah CEO (Chief Executive Officer) ne apni kursi taz ko di, kyunki abh unke paas itna samay nahi tha joh woh DALnet ko de paate. dalvenjah ne bada hi acha kaam kiya apne karyakaal dauran, joh taz ne badi hi khushalta se nibhaya. taz ne January 2003 mein yeh zimedaari MirclMax ko saupi aur woh Director of Network Operations bane, jahan CEO and the COO ke padh khatam kiye gaye. Fir June 8th ko, MirclMax ne apni DNO position Ahnberg ko saupi joh abh yeh padh sambhal rahe hain.

aur abh dus saalon baad, ek user record bana joh ki 140,000 simultaneous users ka hai, usi anya sevaoun aur ache environment ko barkarar rakhte hue chal raha hai.

2 · Kaise hui shuruvaat

Badi hi purani baat hai, jahan ek baar ek doston ka group EFnet par ek channel #StarTrek mein baatein kar rahe thet. Woh vibhajan aur dheeme servers ki pareshaniyon se thak chuke the aur kaafi samay apne doston se online baat nahi kar pate. Unhe ek aisi jagah ki zarrorat thi jahan yeh sab pareshaniyaan na dekhni padein.

Us samein, dalvenjah ke paas ek server tha joh Star Trek RPGs (Role Playing Games) and SIMs: mindijari ke liye tha. Morpher ke paas bhi ek server tha, uncc, joh jyada karke bot testing ke liye use kiya jaata. dalvenjah ne salah di ki yeh dono servers ko link kiya jaye, jis se baaki dost #StarTrek mein sehmat the. Thode dino mein, Watchman and MirclMax ne bhi xgw.dal.net aur davis.dal.net namak servers is mini-network se jode.

Bahut saare logon ke mann mein yeh sawal hai ki is network ko TrekNet naam dena chahiye tha na ki DALnet. Iska jawab bada hi saral hai. dalvenjah woh pehla vyakti tha jiske dimag mein yeh vichar sabse pehle aaya, aur ja bhi uske dosth is network ki baat karte toh "Dal's net" kehte, chalo Dal's net chalte hain. Iske uparant MirclMax ne sujhav diya ki is network ko DALnet naam diya jaana chahiye. Har ek yeh khayal rakhe ki DALnet ko likhne ka sahi tarika "DAL" capital aksharon mein hai aur "net" chote aksharon mein.

Madhya 1994 (DALnet ka janam July 1994 mein hua tha), mein kuch do dozen users the; aur unke saath EFnet ke bhi kaafi users yahan aaye, joh ant mein 80-100 users ki ginti mein ek saath ek dusre se usi samein baatein karte. Abh baari thi ek achi shaant jagah ki jagah log apni mann ki baatein aaram se kar sakein aur tabh is baat par gaur hone laga ki hum un Services ki ayojyana ka pravadhan karein joh humne soch rakhi thi(kyunki bots se chalne waali kuch cheeze bharose mand nahi lag rahi thi).

Morpher ne sabse pehle chunauti lete NickServ aur ChanServ ka code likha, yeh do services bot concept par thi joh MirclMax dwara chalaya ja raha tha. Mirclmax ka bot ircII, RunABot, joh #StarTrek pe tha ek bada hi shaktishali channel ka niyantran rakhne mein saksham tha jismein alag access levels operators ke liye banaye gaye the. Founder level bhi dala gaya tha taaki agar koi channel hatiyane ki koshish kare toh usse wapas le saka ja sake. Isi ke saath naye commands bhi diye gaye the joh channel ko badi hi aasani aur ache tarike se chalane mein madat karein.

ChanServ woh pehli service thi joh DALnet dwara banayi gayi thi aur uska janam January 19, 1995 mein hua. Sabse pehla channel joh register hua DALnet par who tha #DS9 (Deep Space 9). EFnet par MirclMax in channels mein rehte #StarTrek and #DS9. Jab woh DALnet par aaye, toh unhone sabse pehle unhi channels ko register karna theek samjha. MirclMax ne yeh teen channels sabse pehle register kiye: #DS9 #dragonrealm, joh DALnet ka official hangout aur help channel tha, aur #StarTrek. Chautha registered channel bana dalvenjah ka #AFD (alt.fan.dragons), joh is group par adhaarit tha; #PBride (Princess Bride) agla channel tha joh register hua aur anya channels register hone lage iske baad.

NickServ ka janam do mahine baad hua karib March 1, 1995 mein. Sabse pehla nick joh register hua woh Morph tha aur jaise jaise samay badla woh Morph se Morpher hogaya jis karan uski tarik ka koi maiyne nahi hai aur na sahi tarik ke baare mein thes jankari hai. Joh sbse purane nickname register hue woh hai JoeBlow, WatchMan, MirclMax and dalvenjah, is kram mein.

Un dino ke kuch regular DALnetizens the: Geordie, WillRiker, Jadzia, Data, Worf; abh aapko pata chal gaya hoga ki kitne Startrek fans yahan moujud the us waqt.

Us samein, MirclMax, joh sansthapak the #dragonrealm ke, unohne ek anokha rivaz rakha tha. Woh channel ki limt (mode +l) ko us count par rakhte jitne users us samay network par hote. Mana jata hai ki us waqt 250 log ek saath waha moujud ek saath moujud rehte.

Services us samay uncc.dal.net server ke saath hamesh judi rehti, jispar Morpher apna kaam bhi karte rehte. Jab project poori tarah se khatam hogaya, toh usko mindijari.dal.net par dala gaya jahan ek chote samuh ke log uska code maintain karte the.

HelpServ ki baari un sabke baad. Helpserv apne mool dino mein ircII client ki help files rakhne ki jagah tha. ircII ke liye, aapko uski help files sidhe taur par nahi milti kyunki woh us samay program ka hissa nahi thi balki ek alag package ke saath milti thi. Is kaaran, mool roop se vichar yeh tha ki aisa bot banaya jaye jahan saari help files uplabdh ho and woh netowkr ki apni help files kehlayi jayein.

Abh ek aur vichar ki baat chalne lagi, jahan logon ko laga ki ek aisi service ho jahan hum apne dost ko ek chota sa sandesh bhejkar bata sakein taaki jab woh online aaye toh padkar hamari baat aasani se jaan le. Kaafi soch vichar hone lagi ki is service ka kya naam rakha jaye, kuch logon ne sujhav diya: NoteServ, MsgServ, aur fir akhir mein Lefler ki maa ne sujhav dekar MemoServ ko sabhne apnaya, jahan uska janam bhi hua.

Lefler ko jimmedari saupi gayi jahan unhe MemoServ ka code likhne ke liye kaha gaya. Aetobatus services code maintain karte the jiske baad JoelKatz aaye aur unhone kuch sudhar kiya aur kaafi bugs ko hataya jisse Services badte users ki tadat ko sambhal paaye. jisse aage fir aur bariki se likha taz ne. Services is samay MSofty, Kobi_S, skill aur xPsycho. viksit aur sahi tarah sambhal aevam banaye rakhne ki seva sambhal rahe hain.

Ussi samay se, Services DALnet ka mool hissa ban gaye. Samay ke saath aur jaruratein badti gayi aur ussi hisab se unka vikas hone laga, aur aaj bhi bariki se hota hai.

DALnet ek lama safar tay kar karke aa chuka hai aaj aur ek bada Services pe aadharit network mana jaata hai poori duniya mein jahan users uska pradhan lakshya rehta hai. Issi ke saath, users ke liye offline sevaien bhi di gayi hai, jaise ki mailing lists, channels, websites aur documents.

Aaj agar DALnet is mukam par hai, toh woh apne volunteers ki wajah se hai jinohne apna kimti samay dekar DALnet ko itna vishal network banane mein hissidari di hain.

Hume vishvwas hai ki aage bhi issi tarah hamare volunteers isi tarah apni seva nibhakar DALnet ko aur oochaiyon par lejayeinge, aur hum apne users ka dil se shukriya karta hai jihno ne hume aaj tak itna pyar diya, appka bahut bahut dhanyaad DALnet ko pyar dene ke liye!

Kisi ne ek baar kaha tha: "DALnet ki shuruvat? Ek shabd mein: #StarTrek" Abh aapko pata hai. =) DALnet hamesha jinda rahe aur aage badta rahe eh hi hum sabki dua hai!

3 · Vikas ka Chart.

Day	Month		Year	Number Users	Number Servers
	July		1994	25		2-4
	February	1995	100		5
	November	1995	1,000		7
	June		1996	5,000		8
	December	1996	10,000		12
	July		1997	15,000		20
26th	October		1997	20,000		30
8th	August		1998	30,000		35
19th	August		1998	40,000		Stable since
	October		1999	50,000		Stable since
1st	January		2000	60,000		Stable since
14th	October		2000	70,000		Stable since
2nd	December	2000	80,000		Stable since
	July		2001	90,000		Stable since
	January	        2002	100,000	        Stable since
	June		2002	140,000		Stable since
	October	        2002	95,000	        Stable since
	March		2003	20,000		Stable since
	July		2003	30,000		Stable since
	December	2003	35,000		Stable since
	February	2004	40,000		Stable since
15th    December        2006    30,000           41



Users ki ginti kuch kam hone lagi October 2002 aur March 2003 ke beech. Uska mool karan tha Distributed Denial of Services Attacks joh network ke khilaf h. Par fir bhi log apne pyare se network ko nahi bhule aur DALnet ki lokpriyata kaam nahi hui.

4 · Sanghatnatmak Sarachna

DALnet ki Sanghatna ka dhaacha do vichar dhaaraon par hai: sahyogi aarajakata aur ajay jimmedari.

Har DALnet volunteer apni marzi se voltuneer karta hai. Har ek ko wohi seva sambhal ne liye kaha jaati hai jho woh sambhal na chahtein hai.

Jimmedarian choti ho ya badi, unko sambhal ne ke liye aur supervision ke liye seniors bhi hai. Sevaein sambhal ne ke liye teams banayi gayi hai. Jis bhi team ka joh hissa hai usse poori tarah support milta aur magdarshan bhi.

DALnet ki command in sections dwara chalayi jaati hai. Niche dekhein.

Main Organization

IRC Operators

Channels

Help Channels

4.1 Main Organization:

Mukhya Sanghatan ke teen alag alag pad hai, ek jutt hokar aur milkar seva karna, apne apne shetra mein rehkar jis ki seva sambhal ne ki jimmedari di gayi hai. Mukh udesh hamesha DALnet ke operations aur uski sarachna ko barkarar rakhna hai.

AOB (Administrative Oversight Board- Joh apne purane naam Executive Board(EB) se jana jata tha)

DNO (Director of Network Operations)

Mukh sanghatna ki teen shakhaen hain: Servers, DALnet Services aur User Services.

Prat-ek Server apne Server Administrators aur use IRC Operators staff dwara chalaya jaata hai. Mool roop se udesh use hamesha network se juda rakhna hota hai taaki users unhe connect karkar online reh sake. Har ek Server Administrator ki jimmedari hai ki woh apne server ko theek se banaeye rakhe.

Jitni bhi services hain, chahe woh DALnet services ho, ya fir user ke liye services ho, sabhi users aur network ki jaruraton ko poora karne ke liye teams ka ghatan kiya gaya hai.

Har ek team ka ek leader hai, jo apni team ke pradarshan ke liye uttardayi hai. Kuch teams kaafi badi hai, jiski aage jaake aur shaakaein hai aur unke bhi leader nyukt kiye gaye hai. Yeh shakaein wali team apni mukh team ko jabadehi hai, wahi mukh teams AOB ya fir DNO ko jawab dehi hai.

Anek pag pratek team mein uski jaroorat par nirbhar karti hai. Jyada tar teams ko anek access level ki jarurat hoti hai jo Services (udharan taur par, KLine, Services Abuse aur Services Root Administrators) wali hoti hai, uske alava (Postmasters, Hostmasters, Help Committee sub-teams) bhi hoti hai jinko Services wali access ki jarurat nahi hoti. DALnet ki teams ke baare mein jyada jaankari ke liye, yaha par jayein:http://www.dal.net/admin/teams.php3

4.2 IRC Operators

Kaafi Samay logon ki yehi soch rehti hai ki joh bhi IRCop hota hai woh sarv shaktiman hai, par asal roop mein aisa nahi hota.

IRC Operators ki anek jimmedarian oti hai aur vibhin access levels bhi. Unhe teen categories mein bata ja sakta hai. Jyada jaankari prapt karne ke liye is link par jayein: http://docs.dal.net/docs/operinfo.html

1. Administrative Access:

DNO = Director of Network Operations

AOB = Administrative Oversight Board (Jiska purana naam hai - Executive Board -EB)

2. Services Access:

SRA = Services Root Administrators

CSop = Channel Services Operator

SA = Services Administrator

3. Network Access:

Server Admins

Global Opers

Local Opers

4.3 Channels

Har ek channel DALnet par swayam ek sanghatam ke barabar hota hai. Jaise hi woh registeration se gujarta hai Chanserv dwara, woh sabhi servers dwara pramanit hota hai, aur ek Founder ke tahit gina jaata hai. Founder ya khoji us channel ka (vyakti jisne channel chalu/register kiya), ke paas pura niyantran aur adhikaar evam jimmedari oti hai usse ache aur saaf tarike se chalane ke liye. Founder aur us channel ke staff ki yeh poori jimmedari banti hai ki woh apne channel ko DALnet ke rules ke hisab se hi chalaein.

Kisi bhi channel ka dhaancha, hota hai, Founder, fir SOps aur fir AOps.

Har channel ke paas yeh aazadi hoti hai ki woh apne rule, bhasha, vishay evam anya pasand aap chun sakte hain. Har registered nickname apne liye channel register kar sakta hai joh Chanserv dwara hota hai.

4.4 Help Channels

Yeh shetr alag se soochebadh hone chahiye DALnet ke sarachna ke hisab se. aur, yeh kisi bhi prakar ki galatfahamee duur karegi.

DALnet teams mein se ek team ho ki,Help Committee (HC), ki jimmedari hai ki woh users ko alag alag tarikon se madat karein. Ek tarika yeh hai ki woh help channels ka intazam karien, jaha users apne sawal pooch sakte hain fir woh sawal vibhin visheyon par aur vibhin bhashaon mein ho.

Jyadatar help channels swatantar hai aur unhe manyata prap hue hai (bhari vichar vimarsh ke baad joh Help Committee dwara ayojit kiye jaate hai), aur unhe officially recommended channels mana jata hai DALnet par.

Ek badi hi galatfahmee yeh hai logon ko ki users inhe mein sewa karte karte authority ke haqdaar an jaate hai, jab ki aisa kuch bhi nahi hota.

"Helper" kisi bhi prakar access level nahi hai DALnet par. Yeh helpers apni marzi se kimti samay nikal kar madat karte hain aur badle mein inhe koi authority ya power prapt nahi hoti.

Yeh helpers ko aap yeh samjhein ki kaafi experience hota hai and woh aapko sahi disha dikha sakte hai. Helpers DALnet ke liye bahut moolyavaan log hai.

5 · Kuch log jinohne DALnet ko banaya

Yeh woh log hai jinohne bahut mehnat karke DALnet ko banaya jis karan aaj woh bhi hai inki badolat hai. "Founding Fathers" DALnet ke yeh sab log hain: dalvenjah, Morpher, MirclMax, WatchMan aur kuch samay baad Lefler.

Yeh suchi un logon ki hai jinhone kaafi kuch DALnet ke liye kiya, alphabetical order mein inka naam niche diya gaya hai. Inke alava aur bahut log hai jinki mehnat sadka aaj DALnet ek bada network hai par un sabko yaad rakhna aur yahan darj karna mushkil hai. Hum shukra gujar hai sabhi ka!

5.1 Aetobatus

Inohne thodi bahut coding ki shuruat ke dino mein. Yeh former admin (oahu.*) bhi reh chuke hain, aur usi ke saath Technical Director and EB member bhi. Inhone February 1st, 1998 ko resign kiya aur jyada time na dene ke karan apni niji jindagi mein busy hogaye.

5.2 acire

Yeh former leader reh chuki hai Hostmasters team ki. Thodi bahut routing bhi ki hai. AA bhi reh chuki hain barovia.* ke. Kaafi hoshiyar aur honhaar mahile reh chuki hain yeh..

5.3 Ahnberg

Inhone 1995 mein DALnet mein shuruat ki. Filhaal DNO hain, admin bhi hai mozilla.*, Jyadatar team ke member hai aur hamesha doston jaisa vyavhar rehta hai inka.

5.4 Dakal

Yeh former SRA member, former Leader Routing Team ke reh chuke hain. Training team banane mein inka bbhari yogdan raha White_Dragon samet. Kaafi technical kaam bhi kiya inhone.

5.5 Donwulff

DALnet coding team ke head ki bhoomika nibhayi 1996 aur 1997 jab Dreamforge ircd ki development chal rahi thi. Yeh ek aise project ka bhi hissa the joh kabhi launch nahi ho paya, par yeh background mein apni ircd bhi likhte aur bugs fix karte.

5.6 Fredfred

Yeh filhal leader hain Documentations Team ke san 2002 se, official German translator bhi hain. Ache supporter hai saare docs members ke liye. Inhone yeh pad sambhala jab former leaders Ladydana, Dalila and TheQueen ne resign kardiya is padh se.

5.7 gamma

AA hain yeh server jade.* ke. Inhone shuruvat Exploits team ke leader ki tarah ki. SAbuse aur leader baaki Team ke, baadmein Main Kline bhi sabhali jab LadyMorgaine ne resign kardiya. Haal filhal SRA member hain yeh.

5.8 Geordi

Yeh sabse purane admins mein se ek hai, xanth.dal.net ke server ke saath unka server woh pehle 7 DALnet servers mein se ek tha.

5.9 JoeBlow

Former AOB. Former SRA. Server applications handle karte the joh abh brandon karte hain.

5.10 JoelKatz

Former AOB member, ex Coding Director, aur ex SRA. Original CSOp guides inki likhi hui hain. Former admin bhi hai servers ke (igc.*, enterprise.*, glass.*, wizlink.*, host.*). Abh shayad hi online aate hain, mailing list par kaafi samay active the.

5.11 LadyMorgaine

Yeh #DALnetHelp ki sop bani aur fir director - Kline Team ki jab mittens ko nikala gaya. AA bhi thi sodre.* ki. CaeSpock ne pad sambhala baadmein sodre AA ka inke baad. Uske baad se woh niji jindagi mein busy hogayi.

5.12 lucas

Former SRA member, services ki coding karte the aur leader bhi the Coding team ke. Former admin bhi reh chuke hai (hebron.*) ke.

5.13 Luce

Former Australian oper the glass.* aur armidale/bunyip.* par. Fir staff bani davis.* par. Achi IRCop/CSop thi yeh. Mana jaata hai ki agar inke jaisa attitude/intelligence/commitment hota sabhi ke paas toh system mein koi galti hi nahi hoti. Abh yeh apni niji jingadi mein khush hain.

5.14 mittens

Inhone kline chalana shuru kiya aur kaafi ache kadam uthaye, Oper trainer bhi reh chuki hain yeh.

5.15 MSofty

Current coder and former leader of Routing team (still active) and also an SRA member. Current AOB member. Admin of toronto.*. Maintains and develops services and users.dal.net. Kind of quiet, although he's a great guy when he actually talks.

5.16 Raistlin

Kaafi samary se oper reh chuke hain. Founding member #DALnetHelp (SOp Steering Committee) ke hai yeh. Inhone original #DALnetHelp bot, HelpBot bhi likha hai. Former member operator training team bhi hain yeh. DALnet ke shuruat se hi yeh yahan hai par jyada karke background mein hi rehka kaam karna pasand karte.

5.17 Raistlin_Majere

Purane staff mein se ek hain. toledolink.* ke liye kaam karte jahan where glass.* located tha. Member of KLine, Routing and Testnet Administration, former leader Bahamut aur CyberCafe team.

5.18 Rakarra

Former ircd coder, kaafi coding ki haiu inhone dreamforge stage ke dauraan, co-admin bhi reh chuke hai davis.* ke. Ache insaan hai aur abhi mailing lists mein active hain, kabhi kabhi online bhi aajate hai.

5.19 Russell

Yeh original admin the glass.* server ke. Inhone ne kaafi coding ki pre-dreamforge ircd par aur Services par bhi yogdaan dinya apna. Head bhi reh chuke hai IRC team ke, unke baad Donwulff ne yeh padh sambhala.

5.20 Sentinele

Yeh Eb ki member reh chuki hai (EB secretary). Help Committee ki leader / Human Resources Director bhi reh chuki hain. Kaafi yogdaan diya help channels banane mein joh aaj inki badolat hain. Maintenance bhi ki Staff Directory ki apne samay. EB ke pad se resign kardiya January 1st, 1998 mein, IRCop rahi baad mein kuch samay ke liye aur fir chali gayi nizi zindagi sambhalne.

5.21 Studded

Former COO reh chuke hain; Seedhi baat karne mein kabhi piche nahi the, hamesha sache aur nishpaksh rahe. Hamesha mehnati aur lagan dikhayi apni sevan ke dauran. Anushaan leke aaye DALnet mein joh aaj bhi barkarar hai, ussi ke saath #OperHelp ki setting aur management mein bhi bhaari yogdaan raha inka. June 20th, 1999 ko inhone resign kardiya, nizi zingadi mein busy rehneke kaaran.

5.22 taz

Former CEO, Former SRA, reh chuke hai. Inhone original code bhi likha hai DALnet Services ke liye. 2003 mein inhone resign kardiya.

5.23 toolman

SRA, AOB member hai yeh filhaal. liberty.* ke admin reh chuke hai, is samay diamond.* hub aur broadway.* ke admin hain, Former SOp reh chuke hai #DALnetHelp ke. Interim Leader bhi the Routing Team ke. Brandon yeh padh sambhal rahe hai abh.

5.24 White_Dragon

Bahut ache coder, aur creative mind reh chuke hain. Naye functions ko joda operserv ke saath aur set nomemo option bhi nickserv ke saath. Former SRA, oper on dreamscape.* rahe aur fir admin rahe (opus.*) ke liye. Kaafi technical kaam bhi kiya alag alag shetron mein. Co-Creator reh chule hain nayi Training team ke Dakal se saath saath. Bahamut project ko sahi disha mein chalane ki seva bhi sambhali. Yeh abhi bhi chat karte hai kuch channels mein joh unhe pasand hai.

5.25 Wizzu

IrcII scripter reh chuke hain. Kline team member bhi the (backup, coordinator, acting leader) 1998 tak. Nayi DALnet Operator's Manual, likhi inhone ne Jun-Sep 1997 mein. Founder, team leader bhi the DALnet User Documentation Team ke san 1998 tak. Coding Team ke member bhi the. Help Committee mein inki kaafi bhaagidari rahi (member, Steering committee). Maintenance ki Staff Directory mein. FAQ aur guides maintainer rahe. DALnet late 1998 mein chora, aur kis bhi prakar ka bhag nahi liya uske baad administration ke kaamo mein. CSop hai filhaal (toronto.*), Backup member hai Training team ke, regular member hain Docs team ke, editorial involvement bhi diya hai har ek DALnet help document mein.

5.26 xPsycho

SRA member hai filhaal. Coding aur services maintain ki seva bhi kar rahe hain Former AOB member reh chuke hain.

6 · Founders ke saath interview

Kaafi logon ko DALnet founder's ke baare mein kuch saval hai, isliye humne yeh bhaag aapke liye rakha hai jahan ek chota se interview ki madat se aapko jaankari de sakein, asha kartein hai kuch utsukta kam hogi aapki yeh padne ke baad.

6.1 MirclMax

1.- DALnet aapke liye kya hai? Iske kya mayine hai aapki zindagi mein?

DALnet bada hi special hai mere liye. Bada acha lagta hai dekh kar ki joh humne socha tha woh aaj bakar tayar hai.

2.- Aapne itni mehnat kyu ki is project le liye?

Kyunki mein is project ko chahta tha aur mere dil ke karib tha.

3.- DALnet wali responsibility ka kya asar padta hai aapni nizi jindagi par?

Mein dono ko alag rakhta hun. Kabhi bhi ek dusre ki wajha se mujhe koi farak nahi pada, kyunki mein dono cheezo ke liye alag se time nikalta hun.

4.- Kaisa lagta hai aapki jab log aapko adar aur darr se dekhte hai jahan aap ke unreachable movie star ho DALnet users ke liye?

Adar theek hai. Par mein unreachable bilkul bhi nahi hun. Mein logo se chat karta hun #startrek mein har samay. E-mails ka bhi jawab deta hu jab bhi waqt milta hai. Mujhe sirf us waqt acha nahi lagta jab logon ko mujhe baat karni hoti hai mere status ki wajah se. us waqt mujhe jawab dena thoda pasand nahi aata.

5.- Kab asal jindagi mein kaun ho? (As a person)

Mein apni nizi jindagi ke baare mein jya discuss karna pasand nahi karta, isliye yeh sawal mere liye nahi hai.

6.- DALnet par abh aap agla kya dekhna pasand karenge?

Mein chahta hun DALnet duniya ka sabse bada network bane aur aise hi aage badta chale.

7.- DALnet ki aapko sabse acha cheez kya lagti hai?

Aap logon se mil sakte hain, khaskar unse joh shayad abh zindagi mein bhi kabhi na mil sakein. Duniya ko chota banakar rakh diya hai isne sabke liye. Sabke liye barabar opportunity dene wala network bhi hai. Mein jab kisi se baat karta hun toh, mujhe unki age, religion, gender, nationality ka pata nahi hota aur maze ki baat yeh hai ki sab ko barabar sa dekha jaata hai.

8.- Why did you choose your nick?

Mera nickname character Miracle Max ke reference se liya gaya hai joh book/movie "The Princess Bride" mein se hain. Mein use MirclMax likhta hun kyunki mein jahan pehle chat karta tha wahan sirf 9 characters ka nickname hi hota tha aur tabse meine wahi nickname jaari rakha DALnet par bhi.

9.- Apne kabhi socha tha 1194 mein ki DALnet itna bada ban sakta hai? Apke vichar mein kya expectations thi us samay?

Hamari expectation kaafi oonchi thi us waqt. Humne kuch alag karne ka socha tha joh kabhi kisi ne nahi banaya. Humne "Services" (NickServ/ChanServ/MemoServ) banayi joh ek standard ban chuka tha hamare baad saare aane wale network ke liye. Hun perfect toh nahi the par humne apni poori koshish lagayi isko banane mein.

10.- Aap kuch aur bolna pasand karenge is waqtAnything you'd like to add?

Filhaal abhi ke liye nahi :)

6.2 Morpher

1.- DALnet apke liye kya hai? Uska apki zingadi mein kya mahatvata hai?

Mera rishta DALnet se pehle sirf server link karne ka tha. Meine kabhi nahi socha tha ki yeh itna bada network ban jayega aur mein aaj khush hun yeh sab dekh kar.

2.- Kya aapko kabhi aisa laga tha 1994 mein ki DALnet itna bada network banega?

Nahi, mujhe andaz bhi nahio tha. Hum server link karte the sirf kicks karne ke liye bus aur kuch nahi, dekhte dekhte yeh itna bad jayega humne socha bhi nahi tha.

3.- Aapne DALnet administration ke padh kyu chor diye?

4 saal tak padh sambhalne ke baad, mujhe kuch shaanti ki jarurat thi. Par mein wapis aa sakta hun kabhi kabhi.

4.- Nizi jindagi par kya farak pada DALnet se aapke?

Kaafi dost banaye meine DALnet se, jinko mein nizi jindagi mein mila. Usi karan se abh Finland bhi ja raha hu garmi ki chuttiyon mein.

5.- Kaise lagta hai jabh log aapko izzat dete hain?

Mein unka satkar karta hun par jyada ehmat nahi rakhta mere liye yeh sab.

6.- Asal jindagi mein aap koun ho? (as a person)

Mein ek 27 saal ka ladka hun joh North Carolina, USA mein rehta hun. Mein college attend kar chuka hun computer science padne ke liye, aur abh ek software company ke liye professionally kam kar raha hun.

7.- Abh aap kya aur dekhna pasand karenge DALnet par, joh aaj itne bade mukar par hai?

Thodi bahut joh politics administration mein use hatana chahunga, baki sab theek hai.

8.- DALnet ke baare aapko sabse jyada pasand hai?

Pehle yeh ek chota network hua karta tha, job abh kaafi bada ho chuka hai. Par mein yahan apne doston ko milne aata hun abhi bhi.

9.- Why your nick?

StarTrek se liya hua nick, Morph se shuru hua tha. Baadmein kuch karano se Morpher hua aur wahi bankar reh gaya :)

10.- Aap logon ne itni mehnat kyun aur kya samajh kar ki DALnet ko banane mein?

Yeh ek soch thi jispar hum kuch karna chahte they, par meine baadmein yeh sab chor diya.

11.- Apni taraf se kuch aur bolna chahenge?

Filhaal ke liye sab theek hai.

7 · Conclusion

Ant mein sabhi ka dhanyavaad karna chahunga: MirclMax, CaeSpock, Wizzu, Morpher, azhreia, Pangea, gamma, Pagan999, W0mbat, Ahnberg and RadiX. Aap sabka bahut bahut dhanyaad apne keemti samay aur dhairya banaye rakhne ke liye.