1 · Kamry ki Ban kia hay or Kab Istemal kanra hay?
Aik ban kamry ka mode hota hay jo baz rakhta hay clients ko onki shanakh (usernaam, hostnaam, urfi`naam) ko kamry mein dakhil honay say. Agar woh pehlay say kamry mein mojod hain, to woh onko bolnay say baz rakhta hay( jisa k +m ki tarah sab k liyeh jo +o or +v nahi) yah onko urfi`naam tabdeel karny say. is khasiyat ko +bkhamosh say jana jata hay.
Bans kamry k muqara hain, jo k, aik ban waqy hoti hay aik muqarar kamry ki ban command line mein. Sab bans ghaib ho jati hain jab kamra khali hota hay. Kamry ki ban sirf operators hi laga or khatam kar sakty hain. Autokick qanon say hat k hay or ChanServ say ki jati hay jab aik shakhs ki address milti hay ban mein jab woh kamry mein dakhil hota hay.
Kab aap ko ban isteam karni chahiyeh? yeh aap per hay aik kamry k operator honay k natay. Aam tor per ban os waqt istemal ki jati hay jab koi shakhs kisi mushkil ko paida kar raha ho. Jo k, kamry mein flood karna yah akarna ho sakta hay. Iska matlab yeh nahi k sirf waqt k liyeh ban rakhi jati hay. aap kamry say ban ho sakty ho kisi naguzer urfi`naam yah koi dosri wajah k. Ban ko set karna pora haq hay or faisla hota hay kamry k Operators ka.
Yeh yaad rakhna chahiyeh k aik kamy ka operator k pass ikhtiyar hay k kisi ko ban krny ka onki marzi say. Aik kamry ka operator honay k natay, asal mein kamry k malik hotay hain. Aik apnay ghar ki tarah samajhty hain. Agar aap ko yeh izzat milay too aap k pass ikhtiyar k kisi ko khatam karny ka aap ki apni marzi k tehat, yeh tabi hota jab aap onko pasand na karty hon.
Kuch kamry kuch qanon rakhty hain ban ko istemal karny k liyeh. Jab aap aik operator ka rutba hasil karty ho kisi kamry mein too oss kamry k founder say pochna chahiyeh k agar osnay koi qawanin set kar rakhain hain, agar aap nahi janty ho..
2 · Ban karny k Liyeh kin Malomaat ki zarorat hay?
Aik ban ko set karny k liye, aap ko oss shakhs k address ka pata hona chahiyeh jisko aap bas rakhna chahiyeh kamry say yah khamosh. In malomaat ko talash karny k liyeh WHOIS command istemal karain.
Agar shakhs urfi`naam tabdeel karna, too aap WHOWAS istemal kar sakty ho. Yeh command sirf osi waqt istemal karny k kabil hoti hay jesay hi woh urfi`naam tabdeel karta hay yah network say jata hay. Server shakhs k address ko yaad karny say qasir hay jesay hi woh urfi`naam ko tabdeel yah chaly jaty hain. puss aap k paas aik minute hota hay WHOWAS command ko istemal karny k liyeh.
Mein urfi`naam ka naam istemal karonga nichay di gaie misalon mein. Ab WHOIS command ko "Nick" per istemal karny k liyeh yeh likhonga:
/whois NICK
Kisi command line per aapk IRC clien k andar. Yeh bais karta hay aap k istemal karny per, yah konsa script or filter aap chala rahy ho, yeh aap ko kuch istarah ka jawab dega:
*** Aysmonte is AMO@cs1p1.ipswich.gil.com.au Aysmonte@dal.net
*** on channels: @#gryphons
*** on irc via server cin.il.us.dal.net
Jesa k aap daikh sakty hi, yahan kafi malomaat hay, jimay shamil hay: user ka address, kamra jismay woh shakhs mojod hay, IRC server jo istemal horaha hota hay, or dosri malomaat jesa k agar shakhs away hain or jesa k (yahan kuch nahi, dekhain Appendix A). Malomaat yeh k hamy pehli line ko dekhna chahiyeh:
*** Aysmonte is AMO@cs1p1.ipswich.gil.com.au Aysmonte@dal.net
Is address ko in hisso mein taqseem kia jata hay:
nickname!userid@ISP.domain.country
ISP.domain.country ko ham host ka naam yah domain bhi keh sakty hain.
Yaqenan aap dekho gay kuch ajeeb addresses waqt k sath sath, laikain aam tor per yeh oper diyeh howi shakal mein hi hotay hain, domain k saath yah akhri mulk k sath or kuch malomaat @ k baad hissa hoti hay ISP k baray mein jo k computer istemal kar raha hota hay. Aap aap kick urdfi`naam, userid or domain ko ban kar sakty jesa aap ko osnay majbor kia hay. Inkay baray mein wazaht baad mein dastawizat mein dee jaingi.
'!' aik alehda karny wala hay jo urfi`naam or userid ko alehda karta hay. Userid or urfi`naam aik jesay ho sakty hain. '@' aik or alheda karny wala hay. '@' alehda karnay wala userid say baki rehnay wala address(hostnaam) ka hissa hay.
Mein aap ko misaal donga nechay bans ki, bohat muqarara ban jo aam tor per sab hi ban k tor per istemal karty hain. yeh aap per munhasir karta hay k aap ko kiss hissay ko ban karna hay or ban fehrist ko banay rakhna jo k hamesha jagah mein rahain. Ban ki ziadti ko arzi ban ki jagah or or kuch waqfy bad khatam kara ja sakta hay.
Jesa k pehlay bataya hay, yaha yeh bhi mumkin hay host k sawal mein k woh aik Vhost ho sakti hay. Vhost ko Nakli host kehtay hain or yeh aik address hi hota hay jo khas tor per banaya jata hay IRC per.
Iss liyeh, aap ko aisa kuch dikhaie deyga:
*** Nick is god@dancing.with.wolves.in.moonlight.net Hey hey!
*** on channels: @#faqsfordalnet
*** on irc via server shiva.va.us.dal.net
VHosts k mamly mein, aap ko zehan main rakhna chahiyeh k yaha bohat si aik jisi hoti hain, yah mukamal mukhtalif hosts hoti hay. Sheel account in vhosts ko banata hay or deta hay apny istemal karny walo k. in Mamlo mein jesa k yeh, bohat ahtiyat say oski ident ko note kar lena chahiyeh. Agar ban chali jay, phir sirf ban ko shakhs ki userid per ban karna chaiyeh. or ziada malomaat neechay dey gaie hain.
3 · BAns ko Kesay Qaim kia jay?
In sab milsaon mein main <#channel> istemal karonga kamry ki nishandehi k liyeh jahan ban karna hay. Yeh yakin karlain k aap nay mode command main sahi kamray ka naam diya hay or yeh nahi<#channel>.
Khaas: Kuch clients muqarara commands rakhty hain ban karny k liyeh, MODE command har client per kaam karti hay. Aap ko apna IRC program (Client) ki madadi dastawizat ko dekhna chahiyeh bans k bary mein or talash karain k kesay clien mein muqarar command ko, Agar koi hay.
Kick urfi`naam ko ban karny k liyeh Sird aap ko yeh command istemal karni hay:
/MODE #channel +b Nick
yah mukamal mein
/MODE #channel +b Nick!*@*
Aik ban ki misal haqiqi kamry mein istemal karny k liuej pr urfi`naam mein istarah istemal hogi:
/MODE #Gryphons +b Aysmonte!*@*
Yeh dono commands aik hi kaam or nateja dekngi. Agar aap ko zara pata nahi hay /MODE command ko istemal karny ka, dekhain Appendix A or malomaat k liyeh is command per.
yeh IRC network mein sab IRC servers ko batati hay k koi urfi`naam ko istemal kar raha hay oski ijazat nahi hay kamry mein dakhil honay ki. DALnet per, baz rakha jata hay onka urfi`naam ko tabdeel karny or peghamat ko kamry mein bhejny say, laikin yeh kamry mein rahiangy, or kamry k tumam peghamat mosol karaingay jab tak operator onko kick nahi kardeta kamry say.
Yeh ban istarah istemal hoti hay, aik ban shakhs ko urfi`naam ko mazi mein tabdel karny say. (Takneeki tor per yeh shakhs ka hisa hay is ban k huliya mein, laikin ban k kushada honay ki wajah say kafi loog isko asal ban ka huliya nahi kahaingy). Baharhal, yeh kuch faiday rakhti hay naguzerr urfi`namo ko istemal karny sa. (Misal k tor per, *sex*!*@* ko aik achay kamry mein ban karna.)
Asterisks, "*", oper wali command mein aik wildcard kehlata hay. Wildcard istemal hotay hain zero ko zahir karny k liyeh yah ziada alfaaz ko kisi halat mein, yeh kisi miltay julty number ki halat hoti hay na k sab per. Dosra wildcard hay "?". Sawailiya nishaan "?" istemal hota hay aik lafz ko mutiyan karna kisi ki halar mein or aam tor per bohat faidey mand hay. Kuch directory ki talash mein istemal hoty hain files ko talash karny k liyeh or aisay hi yeh kaam karty hain. aap yeh bhi dekho gay "!" yeh tareeqa kar ko alehda karny k liyeh istemal hota hay.
Wildcards ki Misalain IRC k liyeh hain:
ni?e = nice, nine, nixe, nife ...... *.gil.com.au = ipswich.gil.com.au, cs1p1.ipswich.gil.com.au, anyvarietywith.gil.com.au
? = Aik Ilamat is Sorat mein
* = Koi Lari is Sorat mein
Ab, yeh misaal kisi nuktay ko ban karay gi, bohat khas hony ki wajah say is jagah per jo k asani say badli ja sakti hay. Aik "phailany wala" (aik ban jo kafi badalty huay address ko dhanpti hay, maslan AMO@cs1p1.ipswich.gil.com.au khaas hay jahan k AMO@*.gil.com.au or ziada kushada hay or achi ban kuch istarah ki honi chahiyeh:
/MODE #channel +b
*!User@ISP.domain.country
is ban ko istarah say yaqseen karna, ham yeh kahaingy k har urfi`naam ko ban karna jo os shakhs ki ISP.domain.country user id say hay. Yeh aik thori mushkil gay laikin yeh huliya badal jata hay IRC network say jany k baad, apni userid ko badal k wapis anay say. Laikn yeh dobara os urfi`naam ko rokay gi aap k kamry mein dakhil honay say.
Logo k jo Vhosts ki iqsam ko istemal karna pasand karny hain. aap onko onki userid say ban karky rokny ki koshish kar sakty ho:
/MODE #channel +b *!userid@*
Whois k nateejay k sath jo hay ham nay is tareeqay k shoro mein ki thi (Nick is god@dancing.with.wolves.in.moonlight.net), to asal command kuch Istarah say hogi:
/MODE #channel +b *!god@*
Agar, aisaho, duharana ident bans ko kamyabi nahi hay, aap ko oski jagah IP ko ban kardena chahiyeh. Aap ko zehan mein rakhna chahiyeh yeh sab logo ko bahir rakhay gi jo oss comapny say li huie vhost ko istemal kar rahy hotay hain.
Pehli cheez IP k hissay ko talas h karny k liyeh Vhost k hisay mein:
/DNS hostname
Aap is missal k sath is command ko istemal karny ki koshish kart hain dancing.with.wolves.in.moonlight.net domain per. Too aap ko mumkina tor per kuch istarah sa milayga:
Looking up dancing.with.wolves.in.moonlight.net ..
Resolved dancing.with.wolves.in.moonlight.net to 222.666.999.555
Ab ham nay yeh liya hay k dancing.with.wolves.in.moonlight.net ki host 222.666.999.555 ka IP address rakhti hay. Iska matlab yeh k tumam dosri Vhosts jo 222.666.999.something iskay muhtat hay woh sab ban hojaingy Too IP k hissay ko ban karny k liyeh, ham likhain gay:
/MODE #channel +b *!*@222.666.999.*
Agar aap ko ab bhi is shakhs say musibat dar paish hay too yeh waqt hay k kisi official madad gar kamry say rabta karny ka jesa ka #DALnetHelp, #IRCHelp yah #Help. IRC Operators aap ko #OperHelp mein milaingay.
Or ziada 'hasb`e`mamol' halat , behtar hay aik khas ban rakhi jay arzi tor per, istarah say honi chahiyeh:
/MODE #channel +b
*!*@ISP.domain.country
Mein yaha yeh batanga k tumam loog apnay user naam badal sakty hain laikin yeh acha hay k in dino mein zummay dari banana ziada say ziada or zida log connect hon.
"*!*" yeh batai hay k server kisi urfi`naam ko or userid ko ijazat nahi deta kisi host/domain ko kamry mein dakhil hony say.
Tajarby k saath aap dekho gay k ISP ka hisa badalta hay logo k liyeh PPP yah accounts ko istemal karny say. Yeh aik mutiyan hissa hta hay jo ISP ko jata hay , baharhal yaha or kuch bhi hay in logo k liyej. Ham ISP ko kuch hisso mein taqseem karaingy or yeh banayingy:
nick!userid@PPP.ISP.DOMAIN.COUNTRY
PPP hawala hay aik shakhs ka jab woh ISP per online hoty hain, aam tor per modem say dial karny per.
Aik shakhs ko rokny k liyeh ziada kushada karna kamry mein dakhil honay say too aap ban ko istarah say istemal karogay onper:
/MODE #channel +b
*!*@*.ISP.domain.country
Yeh, jesa k aap dekh sakty ho, yeh kahaygi k aap sary urfi`namo ko ban karna chahtyho, userid or PPP ki ISP say. Yeh mumkina hay or bohat dor tak istemal hoti hay, ban say aap kisi shakhs ko museebat main dal sakty ho. bunyadi tor per koi bhi os ISP say aap ka kamry mein dakhil honay k qabil nahi hoga. Bahahal, Woh koi dosra account rakh sakty ain or mukamal mukhtalif ISP jisay woh asakta hay or aap ki ban ko zaya kartu hain. Yeh aik ban k huliyeh mein shamil hoti hay jis ki DALnet per ijazat nahi hay. Aik IRCop ko dekho agar aisa ho.
Yaqinan dosri ban aap osko arzi tor per bohat kushada Domain k tor per ley sakty ho. yeh istemal hoti ho pareshani peda karny waly k liyeh jo bar bar tang kar raha hon. inki shakalain kuch aisi hain:
/MODE #channel +b *!*@*.domain.country
/MODE #channel +b *!*@*.country
yeh bohat kushada hain baharhal, or aap kafi logo ko is ban mein pakar logay jo k ban honay ka baies bhi nahi banty aap k kamry say. Is hisay per yeh aik acha hota hay waqt k liyeh kisi ko matwajo karny k liyeh k aap nay ban rakhi hay jo kisi dosri ban say nahi badali ja sakti, Agar aap aik ban is per karty ho *!*@*.ISP.DOMAIN.COUNTRY to aap yeh ban nahi kar sakty ho: *!*@*.DOMAIN.COUNTRY yah *!NickID@PPP.ISP.DOMAIN.COUNTRY.
Iska kia matlab huwa apsey? Agar aap nay userid or urfi`naam ban kia huwa hay (*!*@PPP.ISP.DOMAIN.COUNTRY) apnay kamry ki janib say too aap ko pori ISP (*!*@*.ISP.DOMAIN.COUNTRY) ko khatam karna hoga yah dosri aisi kisi ko.
yeh aik acha khiyal hay apnay ban fehrist ko dekhany or barqarar rakhny k liyeh. jab aap 2 bans dekhty ho too ossay milti julti onko jagah karo naky aik jesi. Ham uej addresses istemal karaingay apni bans mein is misal mein:
Nick1!userid1@NewISP.NewDomain.COUNTRY
Nick2!userid2@OldISP.OldDomain.COUNTRY
Ab ham kehtay hain k ban urfi`naam or userid ko karti hay onkay
*!*@NewISP.NewDomain.COUNTRY
*!*@OldISP.OldDomain.COUNTRY
Puss chezo ko or ziada qabil banan or apni ban fehrist ko or ziada ahtemam karny k liyeh.
*!*@*ISP.*Domain.COUNTRY
dono ko dhanp ley gi.
Kiyo rakhain kuch lambi band ko mumkina tor per? Asal mein, choti fehrist hamesha asan hoti hay ahtemam karny or dobara set karny k liyeh agar zarorat paray to. Aap yeh bhi dekho gay k DALnet sirf 200 bans ki ijazat deta hay aik kamry mein kisi bhi waqt per.
Dosri cheez jo aap kar sakty ho aik jesi ban ki bajay aik kushada ban istemal karain. Aik kushada/parehsan ban asal mein wildcard "?" istemal hota hay. yeh bohat ziada faida mand hay, or yeh bohat ziafa or dor tak istemal hoti hain. Misal k tor per aap k pas 2 ISP hain in namo k sath:
*!*@New1ISP.Domain.COUNTRY
*!*@New2ISP.Domain.COUNTRY
Aik ban k liyeh ham yahan rakhaingay aisey:
/MODE #channel +b
*!*@New?ISP.Domain.COUNTRY
Yad rakhain k "?" sirf aik ilamat k liyeh kaam karega, agar aap nay issey ziada ilamat ko ban karna hay too "*" yeh isteam l karain. Dosri iqsam mumkin hain in sab ban k liyeh. Wildcards apas mein mil saktry hain or darmiyan say hi kisi lafz ko hath marty hain lafs k samny sey or yah darmiyan say. Aap wild cardko aisi jagah istemal kar sakty ho. yeh doo addresses lein:
Nick1!userid1@ISP.DOMAIN.net
Nick2!userid2@ISP.DOMAIN.com
Aab iski jagah yeh ban rakh sakty ho:
/MODE #channel +b
*!*@ISP.Domain.*
tumam urfi`namo ko pakarny k lieh, userid or country jagoh ko bhi. dobara yeh ban ziada faidey mand nahi hay. taqneqi tor per yeh kuch waqt k sath a sakti hain, baharhal muejh khadsha hay aap ko dosri ban iski jagah rakhni hogi. Or yeh tajarba mangti hain inko istemal karny k liyeh. Ghabray mat agar aap ko is bary mein pata nahi, to hasil karain k kia cheez achi hay, pass kuch karny ki koshish karain, or dekhain yeh kesay kam karaygi. Kuch logo k liyeh jo bans ko aik daraona samajhty hain, laikin aap ko aik aam samajhdari rakhni hogi aap kamry ki daikh bhal kar sakogay kuch tajarby k saath. Agar aap ka koi dost hay IRC per too aap ossay madad ley sakty ho. Jaldi ban ki fehrist ko dekhny k liyeh "Jald Ban Karny k Rehnumaie" k liyeh, His`sa 7 bad mein hay is dastawizat k.
Yaha or kuch tareeqay hain bans k jesa k yeh hain:
/MODE #channel +b
*!*user@*.isp.net
Laikin yahan koi zarorat nahi in sab ko lenay ki. Tajarby k saath aap mehsos karogay aap ko kia zarorat hay kissay badalny ki. Dosro ko dekho or onksay pocho k onho nay kiyo ban qaim ki hay. Aap ko yeh bhi yad rakhna chahiyeh jab *!*user@*isp.net ban karny k liyeh *!*user@*.isp.net mukamal mukhtalif hay, puss yeh mojod hayjab aap ban kar rahy ho yah koi naguzeer nateeja hasil karty ho.
Waqt per aap dekho gay logo ko IP address k saath, woh numbers rakhty hain lafzo ki bajay onki hostname k liyeh ! yeh aam hi hota hay, too pareshan na hon. Hamay apni khiyal ko peda karna hoga jab koi shakhs apnay khiyalat ko banata hay to yeh logo per asar andaz hotay hain. Main aap ko yeh batat hon k woh hamesha IP nahi rakhty hain addresses k liyeh mukhtalif wajohat ki wajah say.
Yeh dhiyan mein rakhna chahiyeh k har or sab hotname IP address ko hi ham nasheen rakhti hain. Jab aap kuch ban karty ho jabky woh IP address istemal kar raha hay phir woh bas rah sakta hay kamy ko dobara dakhil honay say beshak oski hostmask dosri dafa kuch or ho, yaqenan, woh IP address tabdeel nahi hoga. Aam tor per yeh IRC server or ISP k darmiyan pichraho say hota hay jab woh DALnet mein aray hai. Yeh nateeja IRC Server mein jawab na hasil karnay say ho ta hay "naam ko dekhty" huway, puss woh IP adress istemal karty hain oski bajay.
See Appendix A Misaal k tor per whois ka jawab aik shakhs ka IP address k sath sata hay.
Jesa k aap dekho k k alfaz ki bajay 4 numbers ka set hota hay. Kuch logo k liyeh yeh aik ho hota hay or kuch k liyeh yeh badalta rehta hay. Hissa jo k nambro ko badalta hay (jesa k yeh har baar ka mamla nahi hay, laikin aam tor per aisa hota hay or iskay siway kuch karny ki zarorat nahi hoti). Yeh yaad rakhna chahiyeh k agar woh yah aap aik na badalti huie hostname rakhty ho too phir IP har bar aik hi rahaygi. To wildcard istemal karny say pehlay pehlay hissay ko ban karna pasand karaingy or akhir hissay ko khatam kark oski jagah wildcard istemal karaingy kuch istarah say:
/MODE #channel +b *!*user@254.253.252.*
Aap aik waqti ban bhi laga sakty ho jahan ban qaim ki hay khud ba khud khatam hojay ki kuch seconds baad. Misaal k tor per, agar aap urfi`naam Aysmonte ko 20 seconds k liyeh ban karna chahty ho #fleetstreet per, mein likhonga:
/ban -u20 #fleetstreet Aysmonte*!*@*
Yahan aik or command hay jo ban bhi karay or kick bhi karay shaksh ko aik sath bijay 2 commands ko typer karny k. Misal k tor per, agar aap chahty ho too mein likhonga:
/ban -k #fleetstreet Aysmonte reason
Yeh aik ban ko qaim kary gi IP address/host per oski or kick karegi Aysmonte ko kamry say.
4 · Khatam karna or Banan Ban Fehrist ko
Ban ko khatam karna nisbat rakhta hay fehrist ki setting ko. Sabsey pehlay aap jaan chukay ho k konsi ban mask aap ko khatam karni chahiyeh apnay kamry say. yeh ziada tar istemal is command say hota hay:
/MODE #channel b
Dosr clients, misal k tor per mIRC, jab aap text ki jagah per do dafa click karogay too aap ko ban ki fehrist mil jaygi.
Jab aap aik dafa ban ki fehrist ley letay ho, or khatam karny wali mask ko chondletay ho too yeh likhain:
/MODE #channel -b banmask
Aap ko yeh yaad rakhna chahiyeh k aap ka kamra ziada nahi hay. maslan sary loog kamry ko chorh detay hain too mohjoda ban ki fehrist khatam ho jaygi or aap ko yeh dobara say banana hogi jab aap dobara say bana letay ho too kamry mein dakhil hon. DALnet aik cheez rakhta hay ChanServ ki Akick command kjo k darj shuda karmo k liyeh mojod hoti hay.
Yeh bhi yaad rakhan cahioyeh k agar aap k paas aik kushada ban ahy (maslan. *!*@*.com.au) or aap ko isko zara bara karna chahty ho (maslan. *!*@cs1p1.ipswich.gil.com.au ) per koi (kamry mein dakhil nahi hoga pehlay wali say). Kushada ban ko khatam karay or aik bari ban ko set karain.
5 · Bans ko Sadha karna
Kuch dafa, aap kuch mutaiyan urfi`naam ko rakhna chahty hoo jo ishtehar bazi walay bot rakhty hain jo k mukhtalf numbro say atay hain or kuch ala naam rakhty hain onkay urfi`naam k akhir mein numbro k saath. aap ko aik urfi`naam ko jamah karna hoga jo k 100 bans ko jamah karlay aap ki ban fehrist mein. Chalo misaal per atay hain:
5 loog mukhtalif IPs/hosts say #fleetstreet atay hain in urfi`namo k saath Andrea521, Andrea522, Andrea523, Andrea524 or Andrea525. Bajay pancho ko ban karnay k, sadha sab ban karainunkay urfi`naam ko wildcard ko istemal karty huay. Puss aap likho gay yeh command:
/mode #fleetstreet +b Andrea???!*@*
Jo in sabko bahir rakhay gi. Museebat yeh hay, Agar 3 ilamat say ziada yah kam ko istemal karany say urfi`naam k baad, yeh ban asar andaz ban ka hawala dey gi. Isi liyeh, aap ko zarorat hay aik kushada ban ki onko mukamal tor per bahir rakhny k liyeh. Puss aap yeh mask istemal karogay:
/mode #fleetstreet +b Andrea*!*@*
Jo k sab ko bahi rakhy gi urfi`naam Andrea k saath kisi bhi numbe per kamry say bahir. Baharhal, agar aap ka aik dost hay jo Adrea_Simon say hay or ban say muasir huwa ha, too aap ko iski mask ko badalna hogha. Aap yahan ja sakty hoo His`sa 8 jan`ny k liyeh k kesay siway fehrist mein shamil kartyhain.
6 · Dosri DALnet ki Hamnasheen Services
DALnet ChanServ ko istemal karta hay kamro ki daikhbhaal k liyeh. yeh barqarari aik ban fehrist hi hoti hay. Asal mein, jab aap Akick jamah karty ho, ChanServ dekhan hay logo ko kamry mein dakhil hotay hai. Jab aik shakhs aik host k saath jo k ChanServ ki AKICK fehrist main hay, yeh kick karega os shakhs ko kamry say or ban kardega oss ki host ko dobara dakhil honay say.
Aik AKICK ko jamah karny k liyeh, Sabsey pehlay kamra darj hona chahiyhe, dosri bat aap ko zarorat hay SOP (yah founder) ki Akick ko jamah karny k liyeh SOP aik kamry ka SuperOP hota hay. or ziada malomaat k liyeh yeh command istemal karain: /ChanServ help SOP.
Khas: Kuch clients /ChanServ k istemal ki ijazat nahi detay. Agar aisa ho too yeh istemal karny ki koshish karain /msg ChanServ@services.dal.net oski jagah.
Aik AKICK ko jamah karny ki command yeh hay:
/ChanServ AKICK #channel ADD
nickname or host mask
Is command k bary mein or ziada malomat k liyeh http://www.dal.net/services yah ChanServ ka help nizam:
/ChanServ Help AKICK
AKICKs jab tak rehti jab tak onko khatam na kardia jay, puss yeh lazmi hay k ki purani dakhly ko khatam kardena chahiyeh.
7 · Jaldi say Ban ki Rehnumaie
-
Faisla karo k ban arzi hay yah mustaqil.
-
User ki malomaat k liyeh /WHOIS command istemal karain yah /WHOWAS command
-
Agar ban arzi hay too isko aisey ban karain nickname!*@* or *!userid@*
-
Agar ban mustakil hay, too yeh kushada AKick istemal karain *!*@*.host
-
Dobara ban ko dekhnay k liyeh yeh yaqeen karian yeh qabil hay or kafi logo ko rook too nahi rahi kamy main anay say.
-
Agar ban arzi hay, isko khatam karna yad rakhain, kuch waq k baad, 10 minute kaho.
8 · Exception/Siway Mode (+e)
+e yah exception/siway mode tab mutarif karaya giya tha jab Bahamut 1.8.* aie thi. is mode ka kaam yeh hay k on logo ko ijazat dena jinki host agar ban fehrist mein bhi hay too woh kamry main dakhil ho jain. Maslan agar mein nay *!*@219.94.* ko ban kia huwa hay #fleetstreet per laikin mein apnay dost Ting ko ijazat dena chahta hon jiski mask Ting!kluv@219.94.25.63 hay apnay kamry mein, too main aik exception banaonga yeh likhny say:
/mode #channelname +e Ting!*@219.94.*
Jo k Ting ko ijazat dey gi meray kamry mein anay ki. yeh mode kafi mufeed hay khas tor per aap koi kushada ban rakhna chahoyeh ay kisi host/domain/ISP k liyeh lekin kuch khaas logo ko inkay sath anay dena chahtay ho. Or ziada malomaat k liyeh is mode k baray main, aap yeh dastawizat parh sakty hain is link per http://docs.dal.net/docs/modesur.html#2.3.
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.