1 · Modes ki Fehrist
jab aap Dalnet sey connect hotay ho too, aap ko kafi maloomat or tafseel nazar ati hay server sey connect hotay waqt. Urfi`naam or Kamry kay modes chupay huway hotay hain hotay hain. misaal k tor par:
Welcome to the DALnet IRC Network PJKevin!kevin@219.95.43.120
Your host is mesra.kl.my.dal.net, running version bahamut-1.8(02)
This server was created Sun Sep 19 2004 at 13:07:39 MYT
mesra.kl.my.dal.net bahamut-1.8(02) aAbcdefFghiIjkKmnoOrRswxXy bceiIjklLmMnoOprRstv
NETWORK=DALnet SAFELIST MAXBANS=100 MAXCHANNELS=20 CHANNELLEN=32 KICKLEN=307 NICKLEN=30 TOPICLEN=307 MODES=6 CHANTYPES=# CHANLIMIT=#:20 PREFIX=(ov)@+ STATUSMSG=@+ are available on this server
jab aap pehli bar connect hotay ho to oper misaal jesi aap ko tafseel nazar ati hay. Hamay IRCD kay Version kay baad aap 2 majmo`ay nazar aingay lafzon kay aAbcdefFghiIjkKmnoOrRswxXy or bceiIjklLmMnoOprRstv.
Is IRCD Version per, aAbcdefFghiIjkKmnoOrRswxXy urfi`naam k modes hain or bceiIjklLmMnoOprRstv kamry k modes hain. har aik lafz urfi`naam or Kamry ka Mode hay.
2 · Kamry k Modes
Kamry k modes sirf Kamry ko chalany wala hi set kar sakta hay, yani kay jinkay urfi`naam kay saath "@" ka nishan bana hota hay. Kuch Modes apnay intikhabat kay saath kaam kartay hain or kuch nahi.
Yeh bhi mumkin hay aik hi command say kafi saray modes tabdeel kiay ja saktay hain Bahamut IRCD main 6 modes aik hi waqt main aik command k saath tabdeel ho saktay hain.
Tareeqa:
/mode #channelname+/- mode(s)parameters
Misaalain:
/mode #peanutbutter +nt
/mode #peanutbutter -ps
/mode #peanutbutter +nt-R
/mode #peanutbutter +ntv-obb MissPeanut BadTastingPeanut
*!*@loving.peanutbutter.ca *!*@singing.in.moonlight.net
2.1 +A
Jab aik channel auditorium mode main hay tu sirf ops or voice users jo channel main mojood hain aur message jo woh bejhtay hain channel main jo ops nahi aur na he voice user woh jayen #channel-relay. operator aur voice user pori user list bhi join/parts/quits hi na op hain na voice users sirf sent hoga ops or voice user ko ... ya channel mode sirf waqiyat k liya hain aur filhal ya kar saktay hain sirf muqarar karda
2.2 +b
+b aik Kamry k chalany waly ko ijazat hoti hay kay woh kisi bhi shakhs (Logo ka majmua) ki rasaie ban kar sakta hay Kamry say. agar koi Banned hay or woh Kamry main mojood hay too woh Kamry ki MAIN window per baat nahi kar sakta. ossey kuch istarah say bhi kaha jata hay +bkhamosh mode, agar woh bahir hay kamry say too woh dakhil nahi ho sakta Kamry main. +b onper kaam nahi karega joo kay exception/Siwa`ay fehrist main shamil hoon. iskay baray main neechay wazaht mojod hay. Or COmmand yeh hay:
Tareeqa:
/mode #channelname +/-b [hosts]
Misaal:
/mode #peanutbutter +b-bb *!*@annoying.pest.com *!*@*.ca *!~@*.moonlight.net
agar aap koi host istemal nahi kart too khali +b istemal karty ho too aap ko Kamry main mojod logo ban hosts ki fehrist milaygi chahy aap Kamry say bahir hi kio na hon.
A or ziada tafseel k liyeh BAN per http://docs.dal.net/docs/banguideur.html.
2.3 +c
+c mode yeh aik Rangoo Ko Khatam karny ka mode hay. agar yeh mode set hay Kamry main too rang`dar`pegham Kamry main nahi ja sakay ga or pegham rukk jaiga.
agar rang wala yah codes wala pegham (jismain shamil hay Motay Lafz, Lakeer Walay Waghera) bheja jaiga too oss pegham ko rook liya jata hay jesa k agar aik Kamra mua`ttil ho kisi shakhs k liyeh
2.4 +e
+e aik Bajjar/exception mode hay. jin urfi`naam ki Hostmask Bajjar/except (+e) fehrist main shamil hay or woh urfi`naam Kamry sey ban hay too woh Kamry main dakhil ho sakta hay. os per +b (Ban) kaam nahi karegi.
syntaxa:
/mode #channelname +/-e [hosts]
Misaal:
/mode #peanutbutter +e PJKevin!*@*.my
Is misaal say hostmask PJKevin!*@*.my shamil ho jaigi. istarah say agar PJKevin ki Hostmask PJKevin!*@*.my hay too woh Kamry main dakhil ho sakta hay chahay woh Ban hi kioo na ho.
2.5 +h (Ghair Fa'aal Mode)
Aik channel Ka Aadha Operator % ki taraf se namzad kiya jata hai, unke urfi'naam ke bilkul sath. Yeh % +h mode ko qayam karne aur hatane ke liye kaam karta hai.
Syntax:
/mode #channelname +/-h nickname(s)
Example:
/mode #docsteam +hh-h MissPeanut PeanutButterLover CheekyBrat
Aik channel ke half-op ke paas ye qabliyat hoti hai ke wo kamray mein se logo ko bahar nikal sakay jab tak ke wo kampay me op na ho ya bhir voiced na hon. Mazeed-azaa'n, wo kamray ka unwan bhi tabdeel kar sakte hain.
2.6 +i
+i ko mura`tib karnay say Kamra Invite/dawati sirf per mura`tib hojata hay iska matlab yeh hota hay kay sirf woh loog hi dakhil ho saktay hain jinko Oprater Invite karay Kamry main (is command say /invite y ah phir woh Kamry ki invite/dawat wali fehrist mein ho.
Khaas: yeh zehan main rakhay yeh onko ijazat nahi dega jo loog akick hain.
2.7 +I
Yeh mode kamray ke operator ko ijazat deta hai ke wo un sarfeen ki fehrist murattab kar sakay jin ko +i mode pe qayam kamray (sirf mad'ou kiye jane walaon ke liye) mein dakhil hone lo ijazat hasil hai ya phir agar kamra +R (sirf indraaj shuda urfi'naam walay sarfeen ke liye) mode pe qayam kiya gaya hai.
Tareeqa:
/mode #channelname +/-I [hosts]
Misaal:
/mode #peanutbutter +I PJKevin!*@*.my
Is misaal say hostmask PJKevin!*@*.my shamil hogi +I fehrist main. istarah say agar PJKevin ki Hostmask PJKevin!kevin@brk32-kj.jaring.my hay too woh Kamry main dakhil ho sakta hay jabkay Kamry +i (invite only)per mura`tib ho.
Khaas: yeh zehan main rakhay yeh onko ijazat nahi dega jo loog ban hain
2.8 +j
+j mode Kamry main dakhil honay walay logo kay rash ko sanbhalta hay. is Mode ki madad say yeh mura`tib kia ja sakta hay kay kitnay N number on loog kitnay Seconds S main dakhil ho saktay hain.
Tareeqa:
/mode #channelname +/-j N:S
Misaal:
/mode #peanutbutter +j 4:5
Iss misaali command main #peanutbutter main +j mode muratib hojaiga or 4 loog 5 second main Kamry main dakhil ho saktay hain. or in keemat say Kam keemat mura`tib nahi ho sakti. bahamut 2.0.7.
2.9 +k
Kamry ki key (+k) aik lafz hay jo yeh kaam karta hay kay logo ko /join command kay saath Kamry ki Key dey kar dakhil ho sakta hay dosri sorat main woh nahi aa sakta.
Tareeqa:
/mode #channelname +/-k key
Misaal:
/mode #peanutbutter +k jam
jo bhi Kamry main dakhi honay lagay ga osko yeh command k saath key deni hogi /join #channelnamekey . misaal ki sorat main, yeh istrah hogi /join #peanutbutter jam.
2.10 +l
+l iss mode ka matlab Kamry ki hadd hay. aap is mode ki madad say yeh Kamry kay ziada say ziada logo ki tadad ko mehdod kar saktay hain yani kay os`sey ziada Kamry ko koi bhi dakhil na hosaky.
Tareeqa:
/mode #channelname +/-l number
Misaal:
/mode #peanutbutter +l 25
2.11 +L
+L mode abb istemal nahi ho raha DAL.net main iskay bawajod yeh DALnet ki mojoda version main numaya hay. +L muat`dil hay /list ka. agar yeh mura`tib hay , sirf woh hi Kamra /list command say fehrist main nazar atay jinho n yeh mura`tib kia ho. isko zabt karlia gia hay ab.
2.12 +m
+m Mode ka matlab Kamry ko Muatdil karna Kamry is baat ki ijazat sirf @OPs or +voices logo ko hi deta hay k woh Kamry main pegham bhejain baki dosroo k peghamat rook liyeh jaty hain.
2.13 +M
+M mode ka matlab yah hay Sirf indraj shuda urfi`naam hi baat karain. +R mode ki tarah hay keh jesay loog jo sirf indraj huwa or shanakht huwa urfi`naam istemal kar rahay ho dosray lafzo main jinkoo +r mode mila ho wohi Kamry main baat kar sakty hain or jo indraj nahi hain or shanakht bhi nahi hain woh baat nahi kar sakty dekhain yeh hissa His`sa 3.5.
2.14 +n
+n ka matlab yah hay kay koi beroni pegham nahi. agar +n muratib Nahi hay too yeh mumkin hay k bahir mojod koi bhi shakhs channek main pegham bhej sakta hay
2.15 +o
aik Kamry chalnay wala jiskay urfi`naam kay saath @ hota hay Kamry main woh apnay nick ko @ nishaan say remove kar sakta hay yah phir apnay urfi`naam kay saath @ nishan laga sakta hay (laikin @ nishan urfi`naam kay saath lenay kay liyai aap kay pass AOP rasaie honi chahiya Kamry main
Tareeqa:
/mode #channelname +/-o nickname(s)
Misaal:
/mode #peanutbutter +oo-o MissPeanut PeanutButterLover CheekyBrat
aik Kamry ko chalany wala kisi bhi shakh ko Kamry say kick/ban or modes badalny ki silahayt rakhta hay.
2.16 +O
+O mode ka matlab hay oper sirf. Wesay yeh mode kisi Kamry main dakhil honay kay liyeh IRC Opraters istemal kartay hain. or yeh sirf IRC Opraters hi muratib karsaktay hain.
2.17 +p
aik nijji. Aik "nijji" channel /whois ke radd-e-amal ke natije mein zahir kiya jaye ga, magar /list ki darkhuast ke natije mein nahi dikhaya jaye ga.
2.18 +P
Jab aap aik kamray(channel) ka indraaj karwate hain tau +P mode pehle se teh shuda tarteeb ke tahet OFF par hi qayam hota hai. Iska matlab ye hai ke aapka kamra(channel) khudkaar taur par mahfooz hai spammers ki taraf se bheje jane walay ghair zaruri peghamaat se. Agar aap is mode ko ON par qayam kartay hain tau aap ke paas apne channel ko spam se tahaffuz faraham karne wali koi sahoolat muyassar nahi hogi. Mazeed malumaat ke liye bara-e-maherbaani mulahiza kejiye https://www.dal.net/kb/view.php?kb=411.
2.19 +r
+r mode sirf services hi muratib karti hain on kamro k liyeh jo k darj hoty hain. laikin ab yeh khatam kardia gia hay
2.20 +R
+R mode ka matlab yeh hay kay Sirf indraj shuda urfi`naam. yani kay sirf indraj walay urfi`naam hi Kamry main dakhil ho saktay hain or woh bhi tab jab woh apnay urfi`naam ki shanakht karkay dakhla karain. His`sa 3.5.
2.21 +s
+s mode ka matlab hay kay Raaz agar yeh mode Kamry per muratib hay too aap oss Kamry ko kisi skhakhs ki WHOIS fehrist main nahi dekh saktay halankay woh shakhs os Kamry main hota hay. agar aap bhi os Kamry main hoo too aap ko WHOIS fehrist main Kamra nazar aiga or Kamry /list say fehrist lenay per bhi Kamry nazar nahi ata
agar aap nay +s muratib kar rakha hay too +p mode ko muratib karny ki koi zarorat nahi .yeh hisaa dekhain His`sa 2.17.
2.22 +S
Jab kisi kamry(channel) ko +S pe laga hua hai, to sirf wo log(users) jinhon ne +S mode apny urfi`naam(nick) ke sath lagaya hua hai wo iss kamray(channel) mein dakhil ho sakty hain. Aur Umode +S tab ap ke urfi`naam(nick) ke sath lagy ga jab ap Secure Connection(SSL) istamal karein ge. Ye sirf server ki taraf se lagaya jata hai. ap ki whois jo doosry sarfeen(users) ko nazar aaye gi us mein ek nai line nazar aaye gi keh ap SSL istemal ker rahy hain.
2.23 +t
+t mode set karnay say sirf Kamry kay opraters hi Kamry ka topic tabdeel yah muratib kar saktay hain
2.24 +v
Aap ko pehlay say hi bataya giya tha kay jab Kamra +m (moderate) ho too sirf @Ops or +vloog hi chat kar saktay hain (dekhain His`sa 2.12) bass aik shakhs ko +v voice denay kay liyeh +v mode ko istemal kia jata hay or sirf Kamra oprater hi kisi shakhs ko +v de sakta hay or khatam kar sakta hay.
Tareeqa:
/mode #channelname +/-v nickname(s)
Misaal:
/mode #peanutbutter +vv-v MissPeanut PeanutButterLover CheekyBrat
yeh bhi zehan main rakhian k kuch kamro main yeh aisey logo ko diyah jata hay or yah phir OPs ki training main onko dia jata hay.
3 · Sarif k Modes
User modes aapko ijazat detay hain ke aap kai cheezon ki tartebaat ko badal saktay hain jab aap IRC par hotay hain. App inka istemal is baat ki sarahat karne ke liye kar saktay hain ke doosro'n ke liye aap ko dhoondna kitna asan hoga, aap ke baray mein kis qisam ki malumat IRC servers ko agay pass karni chahiyen waghera waghera. Inhe aam taur par umodes ke naam se bhi jana jata hai. umodes.
Modes ko aam taur par iss command ke zariye qayam/murattab kiya jata hai /mode.
/mode urfi'naam+/- mode(s)
Misaal:
/mode PeanutButterLover +iws
/mode PeanutButterLover -H
/mode PeanutButterLover +i-s
Aap sirf apnay hi user modes ko tabdeel kar sakte hain, Isliye urfi'naam sirf usi naam ke liye jana jaye ga jo aap us wakt istemal kar rahay honge.
3.1 +C
jab aik sarif ne mode +C par qayam kiya hota hai tau wo sirf un sarfeen ke peghamaat wasool karay ga jo usi mushtarika kamray mein mojood honge
3.2 +H (Ghair Fa'aal Mode)
yeh wala Usermode sarif ke hostname ko mask kerne ke liye istemal hota hey. ye mode qayam karne par ye sarif ki tafveez shuda IP hifazati wajoohat aur maqasid ki bina par chupa deta hai. Tamam doosre sarfeen sirfeen sirf masked address hi dekh sakain ge.Bara-e-Maherbani apna mojoda status jan'ne ke liye likhiye /whois urfi'naam
MissPeanut is janice@77880b4eab7bbf7f42d610b290cf3edf698fa4.110.83.ip * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is actually janice@83.110.194.2 [83.110.194.2]
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on koala.vc.au.dal.net Micron21, Australia
MissPeanut has identified for this nick
MissPeanut is using a secure connection (SSL)
Note: mode +H pehle se teh shuda tarteeb ke tahet ON par qayam hota hai jab bhi aap DALnet se connect kartay hain.
aap is mode ko UNSET ker saktay hain yeh is terha se: (/mode nickname -H).
3.3 +i
+i +i mode poosheeda mode ke naam se bhi jana jata hai. Jab ke darhaqiqat ye aapko IRC se posheeda nahi karta magar ye aapko talash karne mein kafi mushkil peda kar deta hai. Mukhtasir bayan ye ke posheeda mode logon ko rokta hai aapko dhoond laine se jab tak ke unko aapka bilkul sahi urfi'naam malum na ho ya wo aap ke sath kisi mushtarika kamray mein mojood na hon. Bara-e-Maherbani yaad rahay ke bahut se servers aapka mode pehle se teh shuda tarteeb ke tahet +i par qayam kar dete hain jaise hi aap connect kartay hain.
jab aapka mode +i per qayam nahi hota hai tau doosra koi bhi sarif aap ko /who ka istemal kar ke ya is command ka /names #channelname istemal kar ke talash kar sakta hai. IRC Operators kay pass yeh salahiyat hoti hay kay wo kisi bhi sarif ko dhoond saktay hain is baat se qata'a nazar ke kay who poosheeda mode par hain ya.
3.4 +P
Jab aap aik kamray(channel) ka indraaj karwate hain tau +P mode pehle se teh shuda tarteeb ke tahet OFF par hi qayam hota hai. Iska matlab ye hai ke aapka kamra(channel) khudkaar taur par mahfooz hai spammers ki taraf se bheje jane walay ghair zaruri peghamaat se. Agar aap is mode ko ON par qayam kartay hain tau aap ke paas apne channel ko spam se tahaffuz faraham karne wali koi sahoolat muyassar nahi hogi. Mazeed malumaat ke liye bara-e-maherbaani mulahiza kejiye https://www.dal.net/kb/view.php?kb=411.
3.5 +r
+r mode sirf khidmaat(services) ki taraf se hi qayam kiya ja sakta hai aur ye zahir kerta hai ke aap jo urfi'naam istemal kar rahay hain wo darj shuda hai aur shanakht karaya ja chuka hai.
Jab kisi aise sarif ke liye /whois command istimal kartay hain jo ke pehle se +r mode par qayam ho tau aik izaafi line WHOIS output mein zahir hogi jo ye zahir karay gi ke wo us urfi'naam ko identify kerwa chukay hain jo wo istemal ker rahay hain.
Misaal:
MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut has identified for this nick
3.6 +R
+R mode sirf kisi connect client ki janib se hi qayam kiya ja sakta hai aur kisi aise client ko jo ke umode +r per nahi hai, ko ijazat nahi deta ke wo kisi client ko pegham bhej sakay. Bara-e-Maherbani yaad rahay ke wo client jo umode +R par hain, pegham nahi bhej saktay un client ko jo ke umode +r per nahin hain. Dekhiye section His`sa 3.5 ye cover kar raha hai zaati peghamaat CTCPs ko. A +R client peghaam wasool karne ke qabil honge +o clint ki taraf se .dekhain section His`sa 4.1
3.7 +s
apna mode +s per qayam karne ka matlab server ko aik darkhuast bhejne ka hai ke wo aapko tamam generic server peghamaat aur oper kill ki malumat bhejay. ye flooding ka baais bhi ban sakta hai.
3.8 +S
Ye mode qayam hota hai jab aap aik secure connection (SSL) istimaal ker rahay hotay hain. Ye sirf server ki taraf se hi qayam hota hai. Aik nai line /whois output mein shamil ho jaye gi:
MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator - Server Administator
MissPeanut has identified for this nick
MissPeanut is using a secure connection (SSL)
3.9 +w
Wallops network wide peghamaat hain jo ke Operators aik doosray ko bheejtay hain. koi bhi sarif jo +w per ho ga wo bhi guftagu ka mushahida karne ke qabil hoga. Wallops napaid ho chukka hey dalnet per aur shaz-o-nadir hi istemal hota hai.
4 · Sarif ke Modes (Sirf IRCops ke liye)
Nechay diyeh gay tumam Mode sirf Irc Opraters kay liyeh hain. aap in modes ko istemal nahi kar saktay
4.1 +o
+o mode say yeh pata chalta hay kay. koi Irc Oprater hay yah nahi. yeh mode /mode jesi command say kaam nahi karta.
aik sahi IRC Operator k liyeh command "oper uper honay k liyeh" hay:
/oper nicknameoper password
jabkay -o mode ko kisi dosri command say bhi istemal kar sakty hain, /mode say aik Operator apni ikhtiyarat ko khatam karta hay yah phir "DEOP" hotahay
Tareeqa:
/mode nickname -o
Aap ko agar aik urfi`naam ka pata karna hay kay woh Ircop hay yah nahi. jab woh oper hota hay or aap "/whois" letay hoo too oski whois fehrist main yeh likha huwa ata hay.
Misaal:
MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator
MissPeanut has identified for this nick
Dosri taraf yeh Tafseel wazeh karti hay keh koi Irc OP hay yeh nahi. or aik Irc Oprater kesay "oper up" or "De Opering" hota hay
4.2 +O
Is a local IRC Operator.
4.3 +a
is mode ko karny karnay kay liyeh /samode istemal hoti hay. jissey aik line shamil hoti hay Irc Oprater WhOIS fehrist main. is mode sey yeh name diya jata hay ---> Services Administrator
Misaal:
MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator - Services Administator
MissPeanut has identified for this nick
4.4 +A
yeh mode bhi IRC Oprator ki WHOIS Fehrist main Server Administrator shamil karnay kay liyeh istemal hota hay. aik Server administrator ko yeh ijazat hoti hay keh woh +s (Raazdar) or +p (Zaati) Kamry ko dekh saktay hain. Server Administrator khud`ba`khud +a mode per muratib hojatay hain.
Misaal:
MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut is on @#PeanutButter +#PeanutB
MissPeanut is on coast.fl.us.dal.net
MissPeanut is an IRC Operator - Server Administator
MissPeanut has identified for this nick
4.5 +b
IRC Oprator iss mode ki madad say Oper Chatop peghamat parh saktay hain
4.6 +c
+c mode say aik IRC oprator ko yeh pata chalta hay kay kon Connect or Disconnect ho raha hay server say. yeh mode bass kisi kisi waqt istemal kia jata hay jab kabhi chugh`yani/flood hota hay.
4.7 +C
Jab koi saarif(user) +C mode ka istamal kerta hai, to wo sirf un logon se paigam wasool ker sakta hai jo usi ke join kiye huay kamron(channels) mein mojood ho
4.8 +d
is mode say Bigray huway peghamat dekhay jatay hain.
4.9 +e
+e mode DCCALLOW khasosiyat say ta`ulq rakhta hay or yeh mode dikhaya karay ga kay kon c bheji gaie file ruki huie thi server darjy per.
4.10 +f
+f mode hamesha Irc Oprater ko yeh batata hay kay server main flood/chughyani horahi hay yeh nahi yah phir kitni ziada Urfi`naams disconnect ho rahay hain. Kamrys jo kay mehfoz hay by pehly say mojood chughyani ki rok thaam say, oska bhi bataiga kay kis Kamry kat liyeh yeh hifazat ON huie hay.
4.11 +F
ircd's recvq k ikhraaj ko rafa`dafa karna.
4.12 +g
Is mode ki madad say IRC opraters globel peghamat dekh saktay hain. yeh mode kisi aam urfi`naam say bhi muratib hosakta hay laikin issey muratib karnay say hoga kuch nahi.
4.13 +h
+h mode aik "madadgar" mode hay. isko muratib karnay say /stat p lenay say Oper ka Idle waqt waghera ki malomaat deta hay.
Misaal:
MissPeanut (janice@peanutty.yummy.com) Idle: 30555
PeanutButterLover (butter@loving.peanutbutter.ca) Idle: 46
2 OPERs
End of /STATS report.
4.14 +I
+I mode muratib karnay say Server ki maloomat "/WHOIS" fehrist main dekhi nahi jati hay.
4.15 +j
apnay aap kay nick ko +j per muratib karnay say yeh hota hay kay server aap ko drone connection ko radd honay ka batayga.
4.16 +k
+k ka matlab hay KILL peghamat or issey yeh hoga kay poray server ko KILL pegham bhejna hay.
4.17 +K
+K muratib karnay say Server aap ko KILL ishtehar bhejega U:lined ki taraf say servers ko.
4.18 +m
ishtehar bazi walay bots ko rokna or onki khabar dena
4.19 +n
aik dafa +n muratib hojay, too IRC Opertator server k routing peghamat dekh sakta hay
4.20 +x/X
+x/X mode server ka jawab/Squeslch yah khamosh bhadd. or aik shakhs ko irsaal karnay say roka jata hay. yeh sirf U:line hi sey muratib hota hay
4.21 +y
+y IRC oprator ko ikhtiyar deti hay kisi shakhs ki taraf say bheji gaie commands ko dekha jata hay, Ziada tar stats/links/admin iltija hi dikhaie deti hain.
5 · Akhri Alfaaz
akhir mein, yeh dekhna chahiyeh kay yahan kafi mukhtalif IRCDs hain in dino main. jabkay kafi modes aik jesay hi hay sari IRCDs per. Tarah tarah kay Urfi`naam or Kamry k modes aik hi matlab main hain network say network tak
yeh Modes k dastaqizat DALnet IRCD, Bahamut, version 1.8.* sey likhay gay hain or seedha kisi dosri IRC per apply nahi honay chahiyeh.
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.