DALnet XFlags FAQ

Version 1.7.0


Akhri bar tarjama kia giya PaheLi () per 2018-10-23

Akhri bar parha giya Fredfred () or h () on 2018-12-29

Asal main likha giya h () per 2018-10-05

Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.

Taaruf

DALnet pe pucha jane wala aik aam sawal ye hai: "Mein kaise apne channel ko floodbots ke waar se mehfooz rakh sakta hun?". Ye dastawez flooding ko rokne ya kam az kam kafi had tak kam karne ke liye aapki madad karne ki koshish karti hai. Yeh naye tosee'h shuda flags ke ahkaam ki wazahat karti hai, sath hi ye ke yeh kaise kaam karti hai, au~r is baat ki bhi wazahat ke akhir channel mein iski zarurat hi kyunkar par sakti hai.

Muwaad

1 · XFLAG hai kya?

XFLAG aik command hai jo ke floodbots au~r parishan karne walay sarfeen ke napasandeeda peghamaat au~r notices ke hamlo'n se aap ke channel ko bachaati hai. Tosee'h shuda channel flags sirf managers ya founder hi qayam kar saktay hain.

NOTE: Ye Khaasiyat aapke channel par hamla'awaron ke waar se bachao ke liye aapki madad kar sakti au~r ye aap ke channel ko mazeed mehfooz bana sakti hai. Mazeed Maloomat ke liye bara-e-Maherbani is mazmoon ko parhiye https://www.dal.net/kb/view.php?kb=414

2 · Kya mujhe XFLAG ki zarurat hai?

Ziada tar muamlaat mein jawab hai "Nahi". DALnet ke Channel modes pehle se hi aise tyar kiye gaye hein jo ke floodbots ko aapke channel mein shamil hone se au~r unke na-shaista rawayo'n se bachao karne mein madad kartay hain. Dar Haqiqat, aap abhi bhi apne channel ko +RM par qayam kar saktay hain. Channel modes ke baray mein mazeed jan'ne ke liye dekhiye http://docs.dal.net/docs/modesur.html.

Aap ke channel mein, Tosee'h shuda flags ke liye kai options au~r values hain, au~r wo sab aik aik kar ke is FAQ mein wazeh kar diye jaen ge. Hum mazeed aapko ye bataen ge ke aap kaise apne channel XFLAG ko tajweez shuda options par qayam kar sakte hein jo ke aap ke channel ko napasandeeda hamlon se mehfooz rakhay ga, ya phir is (channel) ko pehle se teh shuda option par qayam kar de ga. Bara-e-Maherbani, hamare khas tosee'h shuda Flags yahan dekhiye His`sa 5

3 · Aik channel ke tosee'h shuda flags ko kaise dekha jaye

Aik channel ke XFLAG ko dekhne ke liye, matlooba command ko jari karne keliye, aapko kam az kam aik AOp ke ohde pe hona zaruri hai.

XFLAG Command: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel

Neeche aik misaal di gai hai ke jab aik channel ke liye XFLAG ki malumat jan'ne ke liye darkhuast ki jaye gi tau~ jawab me konsi malumaat faraham ki jaen gi#docsteam:

-ChanServ- XFLAGs for the channel #docsteam:
-ChanServ- JOIN_CONNECT_TIME: 30
-ChanServ- TALK_CONNECT_TIME: 0
-ChanServ- TALK_JOIN_TIME: 60
-ChanServ- NO_NOTICE: On
-ChanServ- NO_CTCP: On
-ChanServ- NO_PART_MSG: On
-ChanServ- NO_QUIT_MSG: On
-ChanServ- NO_VPNS: Off
-ChanServ- NO_SHELLS: On
-ChanServ- NO_NICK_CHANGE: Off
-ChanServ- NO_UTF8: On
-ChanServ- HIDE_MODE_LISTS: On
-ChanServ- EXEMPT_OPPED: On
-ChanServ- EXEMPT_VOICED: On
-ChanServ- EXEMPT_IDENTD: On
-ChanServ- EXEMPT_REGISTERED: On
-ChanServ- EXEMPT_INVITES: On
-ChanServ- AUTOMSG: On
-ChanServ- HIDE_MODE_LISTS: On
-ChanServ- USER_VERBOSE: Off
-ChanServ- End of list.
-ChanServ- AUTOMSG: On
-ChanServ- USER_VERBOSE: Off

NOTE:Is misaal mein, Sarfen sirf 30 seconds tak online rehne ke baad hi channel join karne ke qabil hon ge au~r 60 seconds ke baad hi channel mein baat karne ke qabil honge. (sirf +r'ed Sarfeen au~r identd sarfeen hi in dono bato se mubbara honge, jabke wo sarfeen jo ke voiced+opped hein, wo sirf 30 seconds ki dair se hi mubarra honge). Dar-Haqiqat, aap aik tajweez karda eXtended flags ka istemal kar sakte hein, mazeed malumaat ke liye bara-e-maherbani dekhiye His`sa 5.

4 · XFLAG ki Command kya hai?

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel option:value [...] option:value

Information: Apne channel ke liye, iski hifazat ko barhane ke liye ke liye aik option au~r value ko qayam kar sakte hein.

Note: Sarfeen in ko aik sath (aik seedh mein) shamil kar sakte hain "sab ke sab aik hi command mein". mazeed madad ke liye /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG HELP.

4.1 Join connect time

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel JOIN_CONNECT_TIME:VALUE

Malumaat: Seconds ki tadaad, jab tak ke aik sarif ko lazmi Dalnet networks par online rehna hoga, aap ke channel mein shamooliyat ikhtiarr karne se pehle. Misaal ke tau~r par, Agar aap chahtay hein ke sarif aapka channel join karne se pehle 10 seconds tak qataar mein intezar karain, tau~ aapko word VALUE 10 par tabdeel karni ho gi.

4.2 Talk connect time

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel TALK_CONNECT_TIME:VALUE

Malumaat: Seconds ki tadaad, jab tak ke aik sarif ko lazmi Dalnet networks par online rehna hoga, aap ke channel mein baat karne ke qabil hone ke liye. Misaal ke tau~r par, Agar aap chahtay hein ke sarif aapkay channel mein baat karne se pehle 30 seconds tak intezar karain, tau~ aapko word VALUE 30 par tabdeel karni ho gi.

4.3 Talk Join time

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel TALK_JOIN_TIME:VALUE

Malumaat: Seconds ki tadaad, jab tak ke sarif ko lazmi channel mein mojood hona chahiye is se pehle ke wo aap ke channel pe baat karna shuru kar sakain. Misaal ke tau~r par, Agar aap chahtay hein ke sarfeen aap ke channel mein shamil hone ke baad 15 seconds tak khamosh rahain tau~ aapko word VALUE 15 par tabdeel karni ho gi.

4.4 Notice

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_NOTICE:ON/OFF

Malumaat: Aap kisi ko bhi apne channel par notices bhejne se rok paen ge.

4.5 CTCP

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_CTCP:ON/OFF

Information: Aap sarfeen ko rok sakain ge ke wo aap ke channel par mojood doosre sarfeen ki ping, wakt, version, userinfo ya clientinfo jaisi malumaat CTCP ka istemal kar ke jaan sakein.

4.6 Part Ke Peghamaat

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_PART_MSG:ON/OFF

Information: channel chorh ke jane wale sarfeen ke Part messages, un sarfeen ko nazar nahi aaen ge jo ke aap ke channel mein mojood hein.

4.7 Quit Ke peghamaat

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_QUIT_MSG:ON/OFF

Information: Aap apne channel mein mojood quit kar ke jane wale sarfeen ke quit messages nahi dekh paen ge jab tak ke aap is option ko OFF par qayam nahi kar dete.

4.8 Urfi'naamo ki Tabdeeli

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_NICK_CHANGE:ON/OFF

Information: Jab ye option ON par qayam hoga tau~ Sarfeen ko apna urfi'naam tabdeel karne ki ijazat nahi ho gi.

4.9 Encoding/Unicodes

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_UTF8:ON/OFF

Information: Jab ye option ON par qayam hoga tau~, channel mein ajeeb huroof (Hebrew/Arabic/UTF8) ke sath bheje jane wale tamam peghamaat dabaa diye jaen ge.

4.10 VPNs

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_VPNS:ON/OFF

Information: Jab ye option ON hoga tau~ Public VPN services ki janib se kisi connection ko dakhil hone ki ijazat nahi di jaye gi. Aik virtual niji network (VPN) aik aisi technology hai jo ke aik nisbatan kam mehfooz network par aik mehfooz au~r encrypted connection banata hai.

4.11 Shells

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel NO_SHELLS:ON/OFF

Information: Agar ye option ON par qayam hoga tau~ shell providers ki taraf se kisi bhi connection ko channel me dakhil hone ki ijazat nahi ho gi. Aik shell, remote hosts ke sath, shell provider k connection ko istemal kartay huye DALnet se rabta qayam karne ke liye istemal kiya jata hai.

4.12 Exempt Opped

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel EXEMPT_OPPED:ON/OFF

Information: Aap apne ops ko mubarra kar sakte hain apne channels XFLAG ke options se jo ke aap ne qayam kar rakhay hein.

4.13 Exempt Wo Sarfeen Jo Voice Par Hain

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel EXEMPT_VOICED:ON/OFF

Information: Wo sarfeen jo ke voice par hain, aap unko mubarra kar sakte hein apne channel XFLAG ke options se jo ke aap ne qayam kar rakhay hain.

4.14 Exempt Identd

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel EXEMPT_IDENTD:ON/OFF

Information: Aap ke wo sarfeen jinka ident ON he , wo bhi mubarra hon ge aap ke qayam kardah channel XFLAG options se.

4.15 Exempt Indraaj Shuda Urfi-Naam

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel EXEMPT_REGISTERED:ON/OFF

Information: Wo sarfeen jo ke umode +r mubarra honge aap ke qayam kardah channel XFLAG options se.

4.16 Exempt Mad'ou kiye jane Wale Sarfeen

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel EXEMPT_INVITES:ON/OFF

Information: Wo sarfeen jo channelmode +I par hein, mubarra honge aap ke qayam karda channel XFLAG options se.

4.17 Exempt Webirc Sarfeen

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel EXEMPT_WEBIRC:ON/OFF

Information: Wo sarfeen jo bazariya webirc DALnet se connected hain, mubarra honge dusre channel XFLAG ki tartebaat se jo ke aap ne qayam kar rakhi hain.

4.18 Automsg

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel AUTOMSG:ON/OFF

Information:Sarfeen aik pehle se murattab shuda greetmsg wasool karain ge ("Ye channel mehfooz kiya gaya hai abuse ki waja se, aap ko yahan baat karne se pehle X seconds tak wait karna par sakta hai!") jab bhi wo channel join karain ge, agar aap ne ye mode ON kar rakha hai tau~.

4.19 Mode Fehrist ko Khufya Rakhna

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel HIDE_MODE_LISTS:ON/OFF

Information:Ye mode, darj-zail mode-lists ko khufya kar de ga un tamam sarfeen se jo ke non-ops hain aap ke channel par, agar qayam kiya jaye ON: +b/+I/+e par .

4.20 User Verbose

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel USER_VERBOSE:ON/OFF

Information:Agar ye mode qayam kiya jaye tau~ ye ghalat command messages #channel-relay par bhej de ga.

4.20.1 ·#channel-relay hai kya ?

Jab USER_VERBOSE ka option ON par qayam hoga tau~ aap ke channel mein bheje jane walay nakaam peghamaat au~r channel mein dakhil hone ki nakaam koshishain #channel-relay par nashar kar di jaen gi. Agar #channel-relay ka indraaj nahi kiya gaya hai tau~ markazi #channel ke sirf AOP+ au~r IRC Operators he #channel-relay mein dakhil ho sakte hain Au~r agar #channel-relay indraaj shuda hai tau~ ye aam channel ki terha hi kaam karay ga jis mein k koi bhi #channel-relay join kar sakta hai bashart-ye-ke RESTRICT ko ON par qayam na kiya gaya ho au~r/or mode/MLOCK restrictions (+i, +k, etc.) ON par qayam na kiye gaye hon. #channel-relay sirf air sirf markazi #channel ke Baani ki taraf se darj karaya ja sakta hai.

5 · Khaas XFLAG

Dalnet ne khas qisam ke flags murattab kiye hein un channels ke liye jo ke flooding ka shikaar hein. Dar Haqiqat, aap bhi apne khud ke matlooba options khas eXtended flags ke sath bhi qayam kar sakte hain.

5.1 Tajweez Kardah

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel RECOMMENDED

Information: Tajweez Kardah option napasandeeda sarfeen jo ke flooding ke liye aapka channel join karte hain, unko 30 seconds tak baat karne se roke ga au~r is baat se bhi roke ga ke wo kisi bhi qisam ke notices ya ctcps aap ke channel me mojood wo sarfeen jo ke opped hain ya voiced, indraj shuda urfi-naam walay sarfeen hain ya phir mad'ou kiye jane wale sarfeen hein ko bhejne se roke ga. Ye sab options sirf ye aik command istemal kar ke qayam/murattab kiye ja sakte hein.

5.2 Default

Syntax: /msg ChanServ@services.dal.net XFLAG #channel DEFAULT

Information: Ye option tamam eXtended flags ko pehle se teh shuda tarteeb ke tahet off au~r 0 par qayam kar de ga.

6 · Aksar Puchay Janay Walay Sawalaat

Baroz Itwaar, 25th November 2018, DALnet ne DALnet Services features ke baray mein aik ijlaas murattab kiya tha!. Ye ijlaas XFLAG aur dusre features jinko abhi muta'arif nahi karaya gaya hai ke baray mein tha. Ijlaas ke ikhtitam par DALnet ne "Aksar Puchay Janay Walay Sawalaat" ki bhi aik nashist rakhi thi aur is hissay mein aap wahan sarfeen ki taraf se puchay janay walay chand sawaaat mulahiza karain ge.

Q: JOIN_CONNECT_TIME ki behtareen tarteeb kya hai aur kya iski value seconds mein hai?

A: /ChanServ XFLAG #channel JOIN_CONNECT_TIME:30 aur Ji jaan iski value seconds mein hai.

Q: Kya hum GREETMSG ko tabdeel kar sakte hain?

A: Nahi, aap darj-zail command ke zariye sirf pehle se tay shuda premade greeting he istemal kar sakte hain. /ChanServ XFLAG #channel AUTOMSG:ON

Q: Wakt ki kisi bhi tarteeb ke liye, kya koi ziada se ziada integer value ki koi hadd muqarar hai?

A: 0 se 2592000 ke beech ka koi bhi adad munasib rahay ga

Q: Kya CTCP ko block karne se CTCP ACTION bhi block honge (aka a /me command)?

A: Ji Haan, NO_CTCP actions ko bhi block kar de ga (/me something)

Q: Un channels ke baray mein kya khayal hai jin ke Baani aur Managers mojood nahi hain. Kya wahan ke ops channel ko flooders se bachane ke liye commands ka istemal kar sakte hain??

A: Aik channel ka Baani Bahar-soorat muqarrar hona chahiye, aur aap ke paas usko memo bhejne ka ikhiar hona chahiye. Agar aap kisi bhi soorat Baani tak nahi pahunch paa rahay tau shamil hon #OperHelp mein aur hum aap ki madad karne ki koshish karain ge.

Q: Kya pehle se tarteeb shuda tartebaat(recommended settings) ke baray mein koi madad faraham ki jaye gi, assuming ke ye kya tabdeel karay gi

A: Pehle se tarteeb shuda feature, filhal darj-zail xflags ko fa'aal karay ga:

NO_NOTICE:ON, NO_CTCP:ON, NO_PART_MSG:ON, NO_QUIT_MSG:ON, EXEMPT_OPPED:ON, EXEMPT_VOICED:ON, EXEMPT_REGISTERED:ON, EXEMPT_INVITES:ON, HIDE_MODE_LISTS:ON, AUTOMSG:ON, TALK_JOIN_TIME:30

Q:XFLAG aisa kya kar saktay hain jo ke mera bot nahi kar sakta?

A: Ye muta'addad tareeqon se aap ke channel ko hazaron IP addresses se hazaron drones ko rokta hai aap ke channel mein shamil hone se, bajaye is ke kay aap sirf mode +R (sirf darj-shuda urfi'naamo ke liye) he qayam karne tak mehdood reh jaen.

Q: Kya main XFLAG ke liye pehle se tay shuda tarteeb qayam kar sakta hun aur sath hi EXEMPT_IDENTD ko off bhi ?

A: Ji haan. Aap kar saktay hain /ChanServ XFLAG #channel RECOMMENDED aur phir mukhtalif options tweak kar saktay hain.

Q: no_ctcp ke sath, jo ke kisi ko kisi sarif ki malumat laine se rokay ga, kya sirf ye tab tak hoga jab tak ke wo shakhs channel mein mojood hoga?

A: Nahi, ye niji ctcps ko block nahi karay ga. Ye sirf channel par /ctcp ki darkhuast ko radd karay ga, i.e. /ctcp #channel ping

NOTE: Yahan ijlaas ka link darj-zail hai: https://www.dal.net/kb/view.php?kb=430 .

7 · Nateeja

Wasee'h flood ke doran, ye khaasiyat channels par flooding ke asraat ko kam se kam kar de ga. Flags ka ikhtiar DALnet services ke paas hoga, au~r tamam channes ke paas au~r IRC Operators channel flags ko check karne ke qabil hone.