Kamry(Channel)s ki Fehrist Lena

Version 1.3.0


Akhri bar tarjama kia giya PaheLi () per 2019-01-08

Akhri bar parha giya Fredfred () or h () on 2018-12-29

Asal main likha giya Help WebTeam () per 2000-06-01

Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.

Kamry(Channel) ko Talash karna

ab aap IRC per atay ho too pehla sawal yehi hota hay k kahan jaein? Sab say asan rasta Kamry(Channel) talash karnay ka yeh hay type /list command. Issay aap ko Hazaroo Kamry(Channel)s k name aik Fehrist main ajaingay. abb aap chahty ho aap wohi Kamry(Channel)s ki Fehrist hasil karain jinmain aap ki dilchapsi hay. oska Tareeqa yeh hay

/list *subject*

Farz kartay hain k hamnay aisa Kamry(Channel) search karna hay jo hourses k baray main ho aap type karogay:

/list *horse*

issey aap ko on Kamry(Channel)s ki Fehrist milay gi jinmain "hourse" name hay (misaal k tor per, #horselovers, #ILoveHorses, waghera). agar aap chahtay ho k koi Kamry(Channel) ko register karna chahty ho to aap iss site per ChanServ ki tafsilat dekh sakty ho http://docs.dal.net/docs/chanservur.html. /list command ki mazeed tafseelat k liyeh, aap parh sakty ho http://docs.dal.net/docs/miscur.html#2.

Rahnumaai Ke Liye Official Channel

DALnet intazamia aur Help Committee ne faisala kiya hai ke hamare teen official madad ke liye banaye janay walay channels (#DALnetHelp, #IRCHelp and #Help) ko aik channel #Help mein zamm kar diya jaye. Wo log jo shamil hon ge #DALnethelp + #IRCHelp khud bakhud agay muntaqil kar diye jaen ge yahan#Help.

#Help

Aap amoomi IRC sawalaat aur deegar mozuaat ke baray mein rahnumai hasil kar sakte hain. Hamara amla aur tamam madadgaar aapki rahnumaai kar ke bahut khushi mehsoos karain ge.

#Operhelp

IRC Operator rahnumaai ka kamra, agar aapko apne nick/channel passwords ke silsile mein koi masla darpesh hai tau bara-e-maherbani /join #Operhelp

Muwaad

1 · Imdadi Kamry

Mundarja zail mukhtalif imdadi kamry aur wo tamam mozuaat hain jinka wo ihata kartay hain.

#Aide

French zaban mein madad

#DALnetAyuda

Spanish zaban mein madad

#DALnetYardim

Turkish zaban mein madad

#ArabHelp

Arabi zaban mein madad

#HelpDesk

Bot/Script ke baray mein madad

#ItaliaHelp

Italian zaban mein madad

#Hjelp

Scandinavian madad ke kamray

#Macintosh

Mac Help

#NoHack

Virus/Trojan ki safaai ke silsile mein rahnumai

#NixHelp

Unix aur Linux Operating System ke baray mein madad

#JmIRChelp

jmIrc client ke baray mein madad

#DALnetyardim

Turkish zaban mein madad

#DALnetUrdu

Urdu zaban mein madad

#HTML

Web Help

2 · Ham`Qoom Kamry(Channel)s

English k ilawa dosri zabanoun main Kamry(Channel)s ki Fehrist, yaad rakhain yeh sirf bunyadi Kamry(Channel)s k name oor bhi hazaroo Kamry(Channel)s hay mukhtalif zabano k.

#brasil

Portuguese

#finland

Finnish

#iceland

Icelandic

#india

Indian

#israel

Hebrew

#italia

Italian

#malaysia

Mandarin, Cantonese, Malay

#manila

Tagalog, English

#france and #quebec

French

#norway

Norwegian

#mexico and #spain

Spanish

#pakistan

Pakistani

#poland

Polish

#russia

Russian

#sweden

Swedish

#arab

Arabic

3 · Khail Kay Kamry(Channel)s

The mundarja zail muktalif khail kay kamry ki list hai.

#Uno

UNO! Khailo cards online

#Trivialand

Trivia game kaseer khasosiyat kay sath

4 · DALnet ko connect kerta hai webchat kay through

Aap DALnet ko connect ker saktay ho by *kiwi webclient* aur ya DALnet webclient kay

Kiwi ki taruf say: http://m.dal.net/#channel-name

Aap channel kay naam ko badal saktay ho opper wali list say

Misal kay toor per: http://m.dal.net/#help

Aap is per apnay khayalat day saktay hain dalnet webchat kay through

https://www.dal.net/webchat/

doosray mobile client kay lia aap yeh site visit ker saktay hain http://docs.dal.net/docs/newbieur.html#1 ur malommat kay lia.

5 · References

Neechay diyeh gay URL shayd aap ki Dilchaspi k mutabik hon.

1) http://help.dal.net/HelpCommittee - Maloomat or darkhawast karna Kamry(Channel) manzori k liyeh.

2) http://docs.dal.net/docs/chandevur.html - Kamry(Channel) ki hifazat or osko barahny k liyeh