1 · IRC say connect hona
Dalne say connect honay kay liyeh aap ko aik IRC client ki zarorat hoti hay. or ziada malomaat or Dalnet sey connect honay kay liyeh http://www.dal.net/software. say softwares ki kismain dekh saktay ho. agar aap IRC client Download nay kar saktay to aap kay lieyh http://www.dal.net per aik Java client mojod hay aap wahan say connect hojain.
p apnay mobile kay lia IRC Client kay sath Dalnet say munsalik kar saktey hain (Yaha kuch asay applications hain jo ap kay har qisam kay mobile kay Operating system kay lia Dalnet say munsalik karnay dengay IOS kay lia bara e meharbani check karein Appendix A Android Appendix B kay lia check karein IRCCloudAppendix C).
2 · Kis Waja Say DALnet Khaas hay?
Dalnet, IRC kay dosrey Networks say bohat mukhtalif hay. jismay sab sey ziada ikhtalaf iski achi or tor tareeqay ki Services hain jo kay NickServ, ChanServ or MemoServ hain. Dalnet's Services aap jesay hi logo kay numaindo nay banaya, jari rakha or barahiya hay. Serices ko aap ki chat ko or ziada enjoyable banaya giya hay.DALnet's services ki or ziada maloomat k liyeh, meharbani say dekhain http://www.dal.net/services.
3 · Bunyadi IRC ki Commands
IRC Server say Connect hona
/server server:port
(misaal: /server irc.dal.net:7000)
IRC say Dast`Bardar hona "pegham k saath"
/quit message
(misaal: /quit Allah Hafiz!)
Muqar`ra Kamry main Dakhil hona
/join #channel
(misaal: /join #Help)
Muqar`ra Kamry ko Chorna
/part #channel message
(misaal: /part #DALnetHelp Thanks for the help!)
Koi Ammal karna - * Urfi`Naam nay Kuch kia
/me action to perform
(misaal: /me waves to everyone in the channel)
Milty huway *Mozoo* ki Fehrist lena
/list *subject*
(misaal: /list *help*)
yeh yaad rakhain k tumam IRC commands ko apnay IRC Client ki command line main hi likhna chahiyhe, wesay kuch clients "popups" or kuch menu ki khasosiat bhi rakhty hain IRC client ko istemal karny ki madad k liyeh, inn kamro main sawal pochny k koshsih karain jin k naam (e.g. #mIRC mIRC k liyeh, #pIRCh pIRCh k liyeh) yah aap yeh bhi likh sakty hoo /help apni IRC client main.
Sab sey ziada naiey loog yehi pochta hay kay woh apnay urfi`naam ka kesay indraj karay. oskay liyeh aap yeh dastawizat parhain http://docs.dal.net/docs/nsemailur.html.
4 · Imdad ko Talash karna
Dalnet kay pass kafi saray madadgar kamry hay jo mukhtalif mozo`at per madad farahm kartay hain. Is liyeh, Kisi silsile mein jab madad darkaar hoti hai tau pehla kaam ye hota hai ke apne maslay ki noi'yat ka tai'yun kar liya jaye.
IRC se mutaliq masaail ke liye, ye jan'na zaruri hai ke kya ye waqai DALnet se mutaliqa sawal hai ya nahi. hum doosre networks ke masaail (wahan ban hone ki soorat mein, identd ke masaail, server downtime, waghera) ke baray me madad faraham nahi kartay. DALnet se mutaliqa sawalaat ke baray mein behtar hai ke #Help mulahiza kar liya jaye.
Agar aapko doosri zabano'n mein madar darkaar hai tau is dastawaiz ka jaiza le sakte hain http://docs.dal.net/docs/channelsur.html#2.
5 · DALnet Ke Official Madadgaar
Aik "official madadgaar", #Help mein DALnet ki IRC baradri ki numaindgi karne ke liye muqarrar kiya gaya hai aur doosre sarkari design kardah chatting ke kamray main bhi jaise ke #DragonRealm. Wo DALnet IRC services commands aur dusre mozuaat ke baray mein sarfeen ko madad faraham karne ke zimmadaar hain.
Wo sarfeen jin ko "official madadgaar" ke taur pe muqarrar kiya jata hai wo IRC Operators nahi hotay. Wo, Dar-haqiqat DALnet ke aam sarfeen hi hain jo ke apne free time mein razakaraana taur par sarfeen ko madad faraham karne ka kaam karte hain. Aik IRC Operator ko talash karne ke liye, darj-zail link par click karain: http://docs.dal.net/docs/operinfour.html.
5.1 Madadgaar Ko Kahan Talash Kiya Jaye
Wo tamam sarfeen jo razakarana taur per apna wakt, sarkari aur ghair-sarkari network ke madar ke kamron mein mojood doosre sarfeen ki madad karne mein surf kartay hain "madadgaar" ke darjay pe faaiz hotay hain. aur unko #Help mein aik khas hesiyat di jati hai. Ye darja Help Committee aur DALnet ki Markazi Intazamia ki taraf se sirf un sarfeen ko diya jata hai jo iski ehliyat rakhtay hain.
DALnet ke tamam sarkari madadgaar is qabil hotay hain ke wo services tools ka istemal kartay huye ba-asaani muyassar aajane wali imdad sarfeen ko faraham kar sakain. Yahan whois command ko aik misaal ke sath wazeh kiya ja raha hai ke sarkari madad-gaaro'n ki /whois output kaisi hogi.
MissPeanut is janice@peanutty.yummy.com * Peanut Butter is the best!
MissPeanut on @#help +#dragonrealm
MissPeanut using koala.vc.au.dal.net Micron21, Australia
MissPeanut has identified for this nick
MissPeanut is an official DALnet Helper.
MissPeanut is using a secure connection (SSL)
MissPeanut End of /WHOIS list.
Jaisa ke upar dekha ja sakta hai, is sarif ki /whois mein aik flag " "MissPeanut aik Official DALnet Madadgaar hai" jo ke network madadgaar ki hesiyat ko bayan karta hai.
Note: Aap doosre official madadgaar talash kar sakte hain is command ko jari kar ke: /motd teams.*
6 · DALnet k IRC Operators
DALnet k IRC Operator madad karty hain oskay server ko sahi rasty par jari rakhny ki or network ko aik hi jagah sahi rakhty hain. IRCops madad karty hain DALnet network k logo ki bhi, DALnet Services or tawasat mein behas kartay hain. yeh dosri bani huie teams main bhi hissa letay hain. meharbani say yeh jaan lain k DALnet koi karobar nahi hay orr naahi woh apnay numaindoo ko kisi kisam k pesay deta hay.
or ziada maloomat k liyeh network's administration k baray main, aap yaha ja sakty ho http://www.dal.net/admin.
7 · Kamry k Operators
jis shakhs k saath @ ka nishan on k urfi`naam k samny hay too onko karmy ka Operater kehty hain, jo kamry ki settings ko badal sakty hain or kisi kisam ka hukam dey sakty hain. on k paas ikhtiyarat hain k woh kisi ko kamry say bhaga sakty hain. DALnet kamry ki intezamiya main koi hissa nahi leta hay, yeh sirf kamry k OPs hi janty hain, or akhir main main kamry ka founder, laikain agar kamry main koi museebat ho too aap ko kamry k founder say hi rabta karna chahiyeh, kamry ka founder hi hatmi faisla karta hay oska kamra kesay chalna chahiyeh aap dekh sakty ho k kamry ka founder kon hay in commands ko istemal karny say:
/chanserv info #channel
/quote chanserv info #channel
/msg chanserv@services.dal.net info #channel
8 · Hifazat
jab IRC istemal kar rahyho, too aap ko apni hifazat ka bhi khiyal rakhna chahiyeh. IRC per kisi file ko lenay k liyeh bohat muhtat rahain, urfi`naam or kamroo k passwords ko kisi dosry shakhs ko na batain or inn dastawizat ko lazmi dekhain http://docs.dal.net/docs/exploitsur.html Agar aap koi c bhi Microsoft ki Window istemal kar rahay ho.
9 · Nateeja
DALnet ki Documentation Team aap ko kafi achay or madad`gar mozo`at k baray main batati hay jinki aap ko talash hoti hay dekhain http://docs.dal.net or ziada malomat k liyeh.
Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.