1 · Channel Ban kya hai aur usse kab istemaal karte hai?
Ek ban channel mode hota hai jo channel mein aane wale clients, jo jaane maane IRC identifiers (Specific username, hostname, nickname) ke saath hote hai, ko channel mein aane se rokta hai . Agar clients channel mein pehle se hi hai toh unpe ban set karne se unko channel mein baat karne per paabandhi lagjaati hai aur woh koi kuch bhi text channel mein nahi bhej sakte. Yeh yojna +bquiet ke naam se jaani jati hai.
Bans sirf us channel per aadharit hote hai jo channel ka naam ban ke command line pe likhi gayi ho, matlab ban ek user pe sirf us channel pe lagaya jayega jo channel ka naam command line pe likhi jayegi. Saare bans channel se hat jayenge agar channel khali hogaya. Channel Bans sirf ek channel operator hi laga ya hata sakta hai. A~utoKicks inse kuch hadh tak alag hote hai aur unpe yeh rule lagu nahi hota, yeh A~utoKicks ke bans Chanserv lagate hai jab koi user ka ip/hostname usse milta ho jo Channel ke AKick list mein to usse channel pe ban li jata hai aur wo channel se Chanserv ke dwara kick hojata hai. Yeh yojna tab bhi aadharit hoti hai jab channel mein koi ho ya nahi bhi ho.
Ban kab istemaal kiya jaana chahiye?Iske baare mein to sirf channel operators hi kuch kar sakte hai kyuki channel bans sirf unper hi puri tarah se nirbhar hota hai. Waise toh ban un users pe hi set kiya jaata hai ho channel join karke bahut dimaag kharaab karte hai. Matlab, channel mein flood karna ya channel mein theek tarah se baat nahi karna ya channel mein channel ke rules follow nahi karte. Iska matlab yeh nahi hai ki iske ilava aappar bans nahi lagenge. Aap channel se tab bhi banned ho sakte ho agar aap gande nicknames istemaal karte hue pakre gaye ya koi aur qasoor ke liye bhi. Ban lagana channel operator ka hak hai aur wo puri tarah se uski marzi per nirbhar karta hai.
Aap ko yeh jaan lena chahiye ki ek channel operator kissi ko bhi apne mann motabik ban ker sakta hai aur koi bhi aadhar per. Channel Operator kehne ka matlab channle ki dore unke haatho mein hoti hai. Ek Ghar ke baare mein sochiye. Jaise ghar ki dore aapke paas ho to aapke ke hak anushaar aap kissi ko bhi ghar se nikaal bahaar phek sakte hai aur kissi ko bhi rehne de sakte hai, yeh tab bhi ja-isz hai agar aap kissi ko pasand bhi na karte ho.
Kuch channels mein rules hote hai aur agar hum wo todte hai to ban ki prapti hoti hai. Jab aap channel ke operator ki padh per pahuch gaye ho toh aap channel founder se channel rules ke baare mein jaankari lekar un rules ke aadhar per users per ban laga sakte hai.
2 · Ban lagane ke liye kya jaankariya zaroori hoti hai?
Ban set karne ke liye taaki woh user channel mein na aa sakke ya koi user ko channel mein chup karne ke liye (silence or knows as +bquiet) aapko user ka address maaloom hona bahut zaroori hai. Address jaan-ne ke liye aap WHOIS command ka upyog kar sakte hai.
Agar user ne apna nickname badla hua hai toh aao WHOWAS command bhi use kar ke uske address ki prapti aasani se kar sakte hai. Yeh command aap user ke turant nick badlne per ya network se quit karne per istemaal kiya ja sakta hai. Server user ka address sirf thodi derr tak yaad rak sakta hai. WHOWAS command ka sahi tarah se upyog karne ke liye humme sirf ek minute ya use tees seconds zaada milta hai. Kafi waqt guzarne ke baad yeh command upyogic saabit nahi hota.
Ab mein koi Nick ka nickname istemaal karunga aapko commands ka udharan deneke liye. Koi bhi "Nick" per WHOIS command ka upyog karne ke liye aap yeh command likhenge:
/whois NICK
koi bhi command line per yeh likha ja sakta hai, magar upne IRC Client ke under mein. Clients, Scripts aur filters ke aadhar per main aapko output ke udharan dikha~unga. Output kuch aisa dikhega:
*** Angad is OneLove@cs1p1.ipswich.gil.com.au Angad@dal.net
*** on channels: @#India
*** on irc via server cin.il.us.dal.net
Jaisa aap dekh rahe hai, yaha per ab kafi kuch maalumaat ho rahi, matlab humare paas ab user "Angad" ke bade mein kafi jaankari hai, jaise: user ka address, wo tamaam channels jismein wo user abhi ma~ujood hai, IRC Server jiske dwara user IRC mein connected hai, aur kayi aisi jaankariya jaise ki wo user away hai aur agage (Yaha per Away ki line ke bade mein nahi dikhaya gaya hai, yeh section mein dekhiye Appendix A). Wo jaankari jo humme yaha per zaroori hai woh pehle line peh hai:
*** Angad is OneLove@cs1p1.ipswich.gil.com.au Angad@dal.net
Iss address ko hisso mein todke dekhiye:
nickname!userid@ISP.domain.country
Jo ISP.domain.country section hai wo host name aur domain se bhi jaane jaate hai.
Yeh toh yakeenand main keh sakta hoon ki jaise waqt guzre ga aap ajeeb aur gareeb address ko dekhenge, lekin yeh maalum rakhiye ki jaisa bhi address ho wo upar dikhaye gaye format ki samaanta pe hi bana hoga, domain ya country aakhir mein bhi ho sakte hai aur baaki ki jaankariya @ iske baad, jaise ISP aur computer jo istemaal ho raha hai. Aap kissi per bhi ban laga sakte hai - nickname per, userid ya domain per, aadharit yeh ki aap wo ban ki taakt kaisi banana chahate hai. Yeh cheese aapko hum iss document mein aage bataenge.
Yeh '!' ek separator ke naam se jaana jaata hai jo nickname ko userid field se alag karta hai. Userid aur nickname, dono ek hi ho sakte hai. Yeh '@' ek aur separator hai. '@' userid field ko baki address (hostname) se alag karta hai.
Main aapko bans ke udharan dunga, jo specific ban se lekar general site-wide bans tak honge.Yeh aapke upar nirbhar karte hai ki aap kis tarah ka ban lagana chahate hai aur ban list kaisi rakhna chahate hai. Jo bans aap zaada ter istemaal karenge woh temporary bans honge jo todhi der ke baad hat jaye.
Jaise upar bataya gaya hai, yeh bhi ho sakta hai ki host ek VHost ho. Host matlab Virtual Host jo nakli address hota hai aur zaada ter wo IRC mein gusne ke liye kaam aate hai.
Isliye aap ek ajeeb tarah ka output bhi dekh sakte hai, jaise:
*** Angad is mad@is.the.todays.known.god.in.net Hey hey!
*** on channels: @#India
*** on irc via server shiva.va.us.dal.net
Jab VHosts istemaal kiye jaate hai, aapko yeh dhyaan mein rakhna chahiye ki yaha pe aise kai, ya isse bilkul alag ho sakte hai hosts. Shells Account dene wale (Shell Account Providers) aise dozen hosts banake users ko dete hai. Iss tarah ki stithi mein aapko identd ache se dekh lena chahiye. Agar koi ban lage hue users channels phir enter ker le tab aap koshish karen ki aap unke userid per ban laga sakke. Iske baare mein aage kaha gaye hai.
3 · Bans kaise lagaye jaate hai
Aage istemaal hone wale saare commands mein main <#channel> ko udharan ki tor pe channel ki jagah mein istemaal karunga, taaki main aapko yeh samjha saku ki ban wahi channel ke user pe set hota hai jis channel ka naam aap command line mein daalte hai. Yeh dhyaan rakkhe, command mein ussi channel ka naam daalna jaha ke user per aap ban set karna chahate hai, <#channel> ka upyog main sirf udharan ke tor per kar raha hoon. <#channel> ko command line per mat daalna.
Yaad Karein(Note): Kuch clients ke commands banning ke liye ek hote hai. MODE command saare clients per kaam karta hai. Aapko apne IRC program (IRC Client) ke Seva dastavez (help document) mein bans/banning us client pe, ke vishaye mein jaan kaari leni chahiye, agai seva dastavez ma~ujood ho toh.
Koi nickname ko ban karne ke liye aap yeh command ka istemaal karenge:
/MODE #channel +b Nick
nahi toh puri tarah
/MODE #channel +b Nick!*@*
Ab main aapko ek channel ka naam aur ek nickname ko udharan ke tor per ban karke dikhata hoon:
/MODE #India +b Angad!*@*
Yeh dono commands ban ek jaise ban mask ko hi ban karenge. Agar aap MODE command ke baare mein jaan kari nahi rakhte hai toh, MODE command ke istemaal ke baare mein Appendix A mein dekhiye.
Yeh ek IRC network ke saare IRC Servers mein yet bandish laga deti hai ki koi bhi user jo yeh Nick ka nickname istemaal karta hai usse channel mein gusne ki ijazat nahi hai. Yeh aapko acha se jaan lena chahiye ki bans user ko channel se kick nahi kar sakti. Users jo channel mein banned hai, apna nickname badal nahi sakte aur nahi kuch bhi channel mein behj sakte. Banned users tab tak channel mein rahenge jab tak koi operator unhe kick nahi karta. Agar koi user per channel mein ban hai, aur wo channel chor deta hai, tab jab tak uska ban hataya nahi jata, wo user channel mein dakhil nahi ho payega. Yeh yaad rakhe ki jab tak banned user channel mein hai, wo channel mein kuch bhej nahi sakta lekin sab kuch jo channel mein ho raha hai dekh sakta hai.
Iss tarah ka ban bahut kam istemaal hote hai kyuki ban hone ke baad, banned user apna nickname badal ker channel mein wapis aa sakta hai. (User ke nazar se dekha jaye toh hum yeh keh sakte hai ki yeh dhoka-dhari hai magar iss tarike ka mazar andaaz hona isse dhoka-dhari ke shabdo se mukt karta hai.) Lekin iss tarah ke bans upyogic bhi hote hai kyuki yeh gande nicknames ko channel mein aane se rokte hai, kehne ka bhav yeh hai ki jab tak user apna ganda nickname change nahi kar leta tabtak wo channel join nahi ker payega. (Udharan ke tor per, *sex*!*@* ko koi parivaaric channel se ban karna,)
Upar diye gaye command mein jo "*" prakaar ki nishaani hai usse hum wildcards kehte hai. Wildcards shuniya ya shuniya se zyada akshar ko dikhate hai, us stithi mein. Ek aur wildcard hai "?". Yeh prashan chinnah "?" sirf ek hi akshar ko dikhane ke liye hota hai aur bahut kam istemaal kiya jaata hai. Aap mein se kayi log aise hai jo wildcards ka upyog kosha mein shabd dundne ke liye karte hai, waise hi yaha ban ke mudde per bhi wildcards issi karanvarsh istemaal hote hai. Aap yaha yeh bhi dekh payenge ki in sab wildcards ke istemaal ke bavajood, "!" separator ke tor per ban vAkyavinyAsa mein istemaal kiya jaata hai.
IRC ke liye Wildcards ke udharan:
ni?e = nice, nine, nixe, nife ...... *.gil.com.au = ipswich.gil.com.au, cs1p1.ipswich.gil.com.au, anyvarietywith.gil.com.au
? = Ek akshar uss stithi mein
* = Koi bhi string uss stithi mein
Ab, yeh ban ek faltu kisam ka ban hai, kyuki yeh uss bhaag par ban karta hai jo aasani se badla ja sakta ho. aur "wider" (ek ban jo address ka zyada katara apne tak simit rakkhe, jaise AMO@cs1p1.ipswich.gil.com.au (faltu ban) magar AMO@*.gil.com.au (zyada katara).) Zyada acha ban aise lagaya jaata hai:
/MODE #channel +b
*!User@ISP.domain.country
Is ban ko todte hue dekha jaaye, hum keh rahe hai sabka nickname ban karein aur unko jinka userid User ho ya user (bans zyada sachetana nahi hi), aur ISP.domain.country ke hostname ke saath ho. Iss ban ke jakar ko tod pana kafi mushkil hai lekin sabse aasaan tarika ban ko todne ka yeh hai ki user IRC Network se log off kare aur apna userid badal ker IRC pe olg karein aur ban ko apne se door rakhiye. Phir sab yeh user channel join karna chahega , tab wo ban jo uske nickname per bhi daala gaya tha usko channel mein aane se rokega, lekin sirf thode waqt tak kyuki agar user ban ke baare mein jaanta hai to wo apna nickname change karke ban ko phir se tode ga.
Users jo VHosts ka istemaal karke ban todne ke aadi ho chuke hai, aap koshish karke unko channel mein aane se rok sakte hai, sirf tab agar aap unke userid (identd) per ban lagade, sirf tab:
/MODE #channel +b *!userid@*
WHOIS output ke dwara, jiske baare mein humne pehle pada tha (Angad is OneLove@cs1p1.ipswich.gil.com.au), uske aadhar per sahi command yeh hoga:
/MODE #channel +b *!OneLove@*
Waise agar hum, baar baar identd bans ko istemaal karenge toh hum kabhi na kaamyaab bhi ho sakte hai, isliye aap jab ban lagaye toh kripa karke poore IP Block per lagaye. Aapko yeh jaankari honi chahiye ki yeh ban un saare users ko channel se bahar rakhega jo us IP dene wali company ke VHost istemaal karte hai.
Pehla kaam yeh hona chahiye ki aap wo IP block dhunde jiska bhaag yeh VHost hai:
/DNS hostname
Chalo hum ek udharan leke yeh command ka istemaal ek domain per karte hai, jo hoga love.me.passionately.biz. Aap ko kuch aisi cheez dekhne ko milegi:
Looking up love.me.passionately.biz ..
Resolved love.me.passionately.biz to 66.150.161.136
Hume ab yeh jaankari hai ki host love.me.passionately.biz ka IP address hai 66.150.161.136. Iska matlab, Company ke saare VHosts is IP range ke daire mein honge 66.150.161.kuch (yeh tabhi mumkin hai agar wo company zyaadi badi na ho). IP block ko ban karne ke liye aap yeh command ka istemaal karenge:
/MODE #channel +b *!*@66.150.161.*
Agar aapko inn jaise users se phir bhi dikkat ho toh bas yehi sahi waqt hoga ki aap koi DALnet ke Official Help Channel ki oor prasthaan karen jaise #DALnetHelp, #IRCHelp nahi toh #Help. IRC Operators #OperHelp mein paaye jaa sakte hai.
Agar yeh koi maamuli si sank-kat hai, tab aapke paas ek acha ban set karne ko hai, zyaada tar agar yeh ek temporary ban hai, command yeh hoga:
/MODE #channel +b
*!*@ISP.domain.country
Mujhe yeh bata dena chahiye ki saare users apne user name change nahi kar sakte lekin yeh achi soch humare andar honi chahiye ki jaise din guzar rahe hai, zyaada se zyaada user IRC mein aise clients lekar guste hai jo unhe user name badalne ki anumati poori tarah se deti ho.
Yeh "*!*" ye samjhati hai ki server us nickname ya us userid ko channel mein gusne nahi deti jo us host ya domain se aati hai.
Tazurbe se aap yeh dekhenge ki address ka ISP bhaag un logon ke liye badalta rehta hai jo PPP ya SLIP dial apne accounts mein istemaal karte hai. Kabhi waha per static bhaag hoga to ISP ko saamati dega , magar yaha per ek adhikta bhaag bhi users ke liye hota hai. Ab hum ISP bhaag ko todenge taaki wo yeh bane:
nick!userid@PPP.ISP.DOMAIN.COUNTRY
PPP user ko diya jaata hai jab wo apne ISP pe log on karta hai, aur yeh zyaada tar modem ke dialing ke dwara hota hai, us call/connection ke waqath tak.
Koi user ko kissi halat mein bhi channel mein na gusne dene ke liye yeh ban ka istemaal aap kar sakte hai:
/MODE #channel +b
*!*@*.ISP.domain.country
Yeh ban hume yeh dikhata hai ki aapko ek ISP ke saare nicknames, userid's aur PPP's banned chahiye. Yeh sabse surakshit aur sabse zyaada istemaal ki jaati hai, jo aap koi dik-kat dene wale user ke upar laga sakte hai. Matlab, us ISP se koi bhi user aapke channel mein prakat nahi ho payega. Waise iska tod bhi users ke paas hota hai, wo yeh hota hai ki unke paas ekdum alag sa ISP account hota hai jiske dwara wo phir log on ho sakte hai aur isse ban ko todna kehte hai jiske liye DALnet ne anumati nahi di hui hai. Agar aap aisa hote hue dekhte hai toh aap koi IRCop ko dhundh kar unhe yeh jaan kari de. Upar diye gaye udharan - VHost badal kar ban ko todna bhi ban evasion ke tehet aata hai aur iskeliye DALnet saza de sakti hai.
Dusra ban jo aap temporary ban ke tor per laga sakte hai, jai wide domain ya country ban. Yeh ek jald peymane per kissie dik-kat dene wale user per istemaal ki ja sakti hai. Yeh aise ho sakte hai:
/MODE #channel +b *!*@*.domain.country
/MODE #channel +b *!*@*.country
Yeh bans ki seema bahut aadhik hoti hai, aur isse kafi users ban honge aur aapke channel mein gus nahi payenge, chahe wo qassor waar ho ya na ho. Yeh main batana zaroori samajhta hoon ki ek baar yeh ban lag jaye, tab aap phir se iske upar aisa hi ban nahi laga sakte ho jo sam range ko seemit kare. Toh agar aap isper ban lagate hai *!*@*.ISP.DOMAIN.COUNTRY tab aap isper ban nahi laga sakte *!*@*.DOMAIN.COUNTRY (wider ban) ya ispe *!NickID@PPP.ISP.DOMAIN.COUNTRY (narrower / more specific ban).
Yeh aapke liye kya hai? Acha agar aapne koi userid aur nickname (*!*@PPP.ISP.DOMAIN.COUNTRY) ko channel mein na gusne dene ke liye ban kiya hai tab aapko yeh ban hatana parega agar aap poore ISP per ban lagana chahate hai (*!*@*.ISP.DOMAIN.COUNTRY) ya toh kuch aisa.
Isliye yeh acha hoga ki pehle aap apne channel ka ban list achche se dekh ke sudhar le. Aisa karne se aapko 2 bans mil sakte hai jo ek jaise dikhte hai magar ek jaise hote nahi. Hum niche diye gaye addresses ko ban udharan ke tor per istemaal karenge:
Nick1!userid1@NewISP.NewDomain.COUNTRY
Nick2!userid2@OldISP.OldDomain.COUNTRY
Ab yeh kehte hai ki yeh ban nickname aur userid per tha
*!*@NewISP.NewDomain.COUNTRY
*!*@OldISP.OldDomain.COUNTRY
So isko aur bahetareen aur ban list ko ache yeh sudharne ke liye aap aise ban lagaye
*!*@*ISP.*Domain.COUNTRY
Dono tarah lagane ke liye.
Kyu thode bade bans kyu nahi rakhte hai? Dekha jaye toh, chote ba list hamesha se ache se sambhale jaa sakte hai aur hataye jaa sakte hai agar zaroorat mehsus pari toh. Yeh aapko jaan lena chahiye ki DALnet ek channel mein zyaada se zyaada ek time per 200 bans ki anumati deta hai.
Ek aur cheez jo aap ek tarah ke ban ke saath kar sakte hai, hai screw ban. Screw ban wildcard "?" ka istemaal karta hai. Screw bans zyaada laabh dayak toh nahi hote, aur bahut kam istemaal kiye jaate hai. Jaise aapke paas do ISP hai ek hi naam ke:
*!*@New1ISP.Domain.COUNTRY
*!*@New2ISP.Domain.COUNTRY
Ban ke liye aap yeh ban lagayenge:
/MODE #channel +b
*!*@New?ISP.Domain.COUNTRY
Yeh yaad rakhkhe ki "?" sirk ek akshar ke liye istemaal hota hai, tab agar aap zyaada aksharo ko block kerna chahate hai to aap "*" iske istemaal karein. Wildcards kahi bhi lagaye ja sakte hai, jaise sabdo se pehle ya baad mein ya shabdo ke beecho beech. Aap wildcards country field ke liye bhi istemaal kar sakte hai. Yeh addresses mein dekhiye:
Nick1!userid1@ISP.DOMAIN.net
Nick2!userid2@ISP.DOMAIN.com
Aap ban aisa laga sakte hai:
/MODE #channel +b
*!*@ISP.Domain.*
jo nicknames , userid aur country fields ko bhi ban karde. Magar yeh ban phir se laabhdayak nahi hai. Bans waise hi hote hai jaise aap unhe banana chahate hai. Tazurbe ke saath aap user ke address ko dekhkar yeh bata payenge ki iss user ko aap kis prabhav se kaise ban kar sakte hai. Darein nahi, kishich karke har case mein parinaam dekhiye. Bans lagana kayi logo ko bhayanak sapno jaisa lagta hai, lekin agar aap isko samajh le tab koi mushkil nahi hogi aur aap tab tak channel sambhal sakte hai jabtak koi zyaada anubhavi Operator channel mein nahi aajaye. Agar aapka koi dost IRC meinhai to usse in bans ke baare mein jaan kari le aur zyaada ache se samjhne ki koshish karein. Quick Check List banning ke liye aap "Quick Ban Guide", Vibhag 7 iss mein aage dekhe.
ur kafi cheeze ban mein hoti hai jismein main jaa sakta hoon, jaise:
/MODE #channel +b
*!*user@*.isp.net
magar aapko inki zaroorat bilkul nahi paregi kyuki anubhav ke saath aap ko yeh maalumaat ho jayegi ki kab kis tarah ka ban lagana chahiye. Dusro ko dekhna aur unse unke lagaye jaane wale bans ke upar prashan karna bhi ek acha skihne ka tareeka ho sakta hai. Punctuation ka aap ache se dyaan rakhe, *!*user@*isp.net ikdum alag hai is-se *!*user@*.isp.net (yaad karein dots/periods), shayad ban karne ke baad apko aisa kuch dekhne ko mile jo aapne kabhi dekhi hi na ho.
Kabhi kabhi aap aise users ko dekhenge jine ke address (hostname) mein shabdo ki jagah ank lage ho. Yeh aap jaanle , karano ke kaaran unke paas IP ank na ho addresses ke badle mein.
Yeh jaan le, har hostname ke saath koi na koi IP address juda hota hai (VHosts Udharan). Ahar IP Address ban ho tab agar unke hostname badal bhi diye jaaye to bhi wo channel mein gus nahi payenge- agar Ip badla nahi ho to. Address reesolve tab hota hai jab lag hota hai ISP aur IRC server ke beech mein, jab wo DALnet mein connect hote hai toh. Tab IRC Server ko "name lookup" se jawaab nahi milta aur iske kaaran IP address istemaal ho jata hai.
Uss /WHOIS Ouput ke udharan ke liye aap Appendix A mein IP address ke liye dekhe.
Jaisa ki aap dekh sakte hai, "text" hostname ke badle mein chaar anko ka set istemaal ho raha hai. Kuch ke liye yeh wiasa hi rahega aur kuch ke liye bilkul bhi nahi badlega. Aakhri digit ko badalna kuch kaam kar sakta hai.Agar aapke paas static hostname hai toh aapke paas IP bhi ek hi tarah ka hoga. Jaise humne wildcard pehle user kerke ban kiya tha ab hum wildcard aakhri digit ke badle hata kar laga denge, jaise:
/MODE #channel +b *!*user@254.253.252.*
Aap time ban bhi laga sakte hai , matlab kuch set kiye hue minto baad wo user apne aap unban ho jayega. Jaise, agar mujhe Angad ko 20 seconds ke liye #India se ban karna hai toh mein, iska istemaal karunga:
/ban -u20 #India Angad*!*@*
Ek command aur hai jo hum kick aur ban ek saath hi karne ke liye istemaal kar sakte hai naaki 2 baar alag alag command daalna. Jaise, Agar mujhe Angad ko #India se ban kick karna hai toh mein type karunga:
/ban -k #India Angad reason
Yeh uske IP address/host mein ban lagaye ga aur Angad ko channel se kick karega.
4 · Ban List se bans hatane aur badalne ka tarika
Bans ko hatana bahut hi aasaan kam hai, set karne se aasaan toh ban hatana hi aasaan hai. Pehle toh aapko yeh jaan-na hoga ki aapko ka~un sa ban mask apne channel se hatana hai. Yeh kafi applications mein yeh command yeh nikal sakta hai:
/MODE #channel b
Dusre Clients, jaise ki mIRC mein, ban list ko nikalna aur ban remove karna toh aur bhi aasaan hai. Aapko bas itna karna hoga ki aap channel ke text area mein apna mouse lejakar left button ko double click karna aur aapko channel ki ban list ki prapti hogi.
Ekbar aapko channel ka ban list milgaya, phir aap usko dekhkar yeh tay kar lena ki aapko ka~un sa ban mask apne channel se delete karna hai. Ekbar agar aap decide kar le tab aap ban mask to hatane ke liye yeh command ka istemaal kijiye:
/MODE #channel -b banmask
Aapko yeh jaan lena chahiye ki agar aapka channel valid nahi hai, matlab agar aapke channel mein ek bhi ser nahi hai toh aapke channel ka ban list khud be khud delete ho jaati hai aur usko wapis lane ke liye jab aap channel phir se banaynge (channel ko join karenge) aapko saare ban masks phir se daalne parenge. DALnet ne yeh kami ko hatane ke liye Chanserv ki vishehta, AKICK command ke dwara hatayi hai, lekin yeh AKICK command sirf registered channels mein hi uplabdh hoti hai.
Aapko ek aur cheez jaan leni chahiye ki agar aapko wide ban (eg. *!*@*.com.au) hata kar kissi par narrow ban (eg. *!*@cs1p1.ipswich.gil.com.au) lagana hai tab aapko pehle toh apne channel ki balist se us wide ban ko hatana parega aur phir aap narrow ban laga sakenge. Narrow ban lagane se pehle wide ban ko hatayiye.
5 · Bans ko aasaan banana
Kabhi kabaar, aap chahate hai ki jo nicknames spambots use karte ho jo standard naam ke saath aur aank unke nickname ke aakhir mein hote hai. Aap nick ban set karna chahate hai, taaki aapko 100 bans apne ban list mein nahi daalna pade. Niche diye agaye udharan main gaur farmayiye:
5 (paanch) users alag alag OPs/Hosts ke saath #India mein yeh nicks lekar aaye Andrea521, Andrea522, Andrea523, Andrea524 aur Andrea525. 5 bans unke hosts mein lagane ke bajaye, aap sirf un nicks par wildcard istemaal kiye gaya nick ban laga sakte hai, jiske baare mein humne pehle bhi baat ki thi. Tab aap kuch aisa command istemaal karenge:
/mode #India +b Andrea???!*@*
jo un saaro ko channel se bahar rakhega. Samasya yeh hai ki agar wo nick ke baad 3 se zyaada akshar lagaye, toh yeh ban unpar lagu nahi hoga. Isliye, isske liye aapko unpar wider ban set karna parega taaki wo channel se bilkul bahar rahe. Tab niche diya gaya ban mask aise set hoga:
/mode #India +b Andrea*!*@*
yeh command un saare nicks ko ban mein rakhega jo kitne bhi akshar apne nick ke baad laga le. Magar aapka koi dost agar uss ban ka shikar hua hai jaise Andrea_Simon, tab aapko ban mask mein kuch visarjan(exception) karna padega. Iske baare mein jaan-ne ke liye Vibhag 8 dekhe.
6 · Dusre mile hue DALnet Services
DALnet registered channels ko sambhalne ke liye Chanserv ka upyog karti hai. Yeh ban list ka bhi dhyaan rakhti hai apne kram se. Samjha jaye toh, jab aap koi host mask per AKICK lagate hai, tab Chanserv aapke registered channel mein aane wale har user ko niharta hai, aur agar koi user ka host mask us host mark se mil jata hai jo channel ke AKICK list per hai toh Chanserv us user ke host mark per ban lagakar uss user ko channel se turant kick kar deta hai.
Channel mein AKICK add karne ke liye, aapke channel ko registered hona bahut zaroori hai, dusra yeh ki channel mein AKICK sirf SOP ya founder hi laga sakta hai, toh agar aap kissi ko kissi channel mein AKICK mein daalna chahate hai, toh aapko uss channel mein SOP ya Founder hona parega. SOP channel ka SuperOp hota hai, SOP ke baare mein jaan-ne ke liye yeh command ka upyog karein /ChanServ help SOP.
Note: Kuch clients aapko /ChanServ istemaal karne nahi deta, isske liye aap yeh bhi istemaal kar sakte hai /msg ChanServ@services.dal.net.
AKICK daalne ke liye command hai:
/ChanServ AKICK #channel ADD
nickname or host mask
Iss command par zyaada jaankari paane ke liye, dekhiye http://www.dal.net/services, nahi toh Chanserv Ki Seva Pranali per nazar daliye:
/ChanServ Help AKICK
AKICKs tabtak rehte hai jabtak unhe hataya nahi jaata, isliye aapko AKICK list ko achche se rakhna chahiye aur pichli entries per nazar daalni chahiye aur agar chaho tof pichli entries bhi hata sakte ho.
7 · Quick Ban Guide
-
Yeh nirnay le lijiye ki ban temporary hoga yah lambe arsz take hoga.
-
User ke baare mein jaan kari le liye, ya toh /WHOIS command ka istemaal karke ya /WHOWAS command ka upyog karke.
-
Agar ban temporary hoga, toh aap narrow ban ka istemaal kijiye jaise, nickname!*@* ya *!userid@*
-
Agar ban lambe waqt ka hai toh, wider AKICK daaliye jaise, *!*@*.host
-
Ban ko achese parakh lijiye, yeh jaan-ne ke liye ki aapka ban sahi hai aur beqasoor logo ko channel mein aane se nahi rok raha.
-
Agar woh temporary ban hai, toh usse kuch samay ke baad hatana nahi bhoolna jaise, keh lijiye 10 minutes.
8 · Exception Mode (+e)
Yeh +e ya exception mode tab laya gaya tha jab Bahamut 1.8.* pehli baar nikli thi. Iss ka kaam yeh hai ki yeh un logo ko uss ban se bachata hai jo ban unke liye nahi lagaya gaya tha taaki woh channel mein reh sakke. Udharan, agar main iss mask par ban set karta hoon *!*@219.94.* on #India lekin main apne dost Ishaa ko channel mein aane dena chahata hoon jiska mask hai Ishaa!Ishh@219.94.25.63, tab main yeh likh kar exception laga~unga:
/mode #channelname +e Ishaa!*@219.94.*
jo Ishaa ko channel mein aane degi. Exception mode bahut hi laabh dayak hai agar aap koi nirday host/domain/ISP ko ban karna chahate ho par kuch logo ko channel mein enter kerne dena chahate ho. Exception mode par zyaada se zyaada jaan kari ke liye aap usse iss link per dekh sakte hai http://docs.dal.net/docs/modeshi.html#2.3.
Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.