IRC per Narazi ka Ahtemam karna

Version 1.2.0


Akhri bar tarjama kia giya PaheLi per 2018-08-12

Akhri bar parha giya Documentation Team () on 2017-10-02

Asal main likha giya Kzoo () or LadyDana () per 2001-01-24

Is mazmoon ke baray main apni ra`ay hum ko bhaayjain (Sirf!Kisi madad ki zarorat nahi!) to docs@dal.net. Agar app in dastaveezaat main kisi bhi mozoo par help chahtay hain jo kay mukalmal nahi hoeen,Bara`aay meherbani yeh link visit karain http://help.dal.net.

Taa`urf

Jo bhi jisnay IRC per waqt guzara hay ossey kaien bar on logo ka samna karna para hoga jo onki khushi ka khiyal nahi rakhty or koi izzat. In dastawizat ka maqsad k aap in naraz karny walay logo ka ahtemam kar sakain taky woh or ziada takleef day na ho. Yaad rakhain, k aap apnay paas kuch commands rakhty ho jo k asar andaz hain. Yahan or bhi kuch hay in DALnet k kharam logo say jan churany k liyeh. Kuch , laikin sab nahi, naraz karny waly ki khabar IRC Operator ko di ja sakti hay.

Meharbani say yeh dastawizat dekhain http://docs.dal.net/docs/findoperur.html seekhny k liyeh k kesay aik oper say rabta kia jay. Yeh dastawizat in topics per malomaat rakhti hain

Muwaad

1 · Aap k Faisly per Commands

Yahan 2 taqat war commands hay jo kafi log rakhty hain DALnet per. Pehli mIRC k logo k liyeh hay. jo k yeh hay

/ignore nick 3.

Agar aap kisi shakhs ko ignore karna chaho jiska urfi`naam HotChique hay, to aap likho gay

/ignore HotChique 3.

Yeh command aam tor per user@host ko ignore kar deti hai, koi mamla hi nahi k woh konsa urfi`naam naam istemal kar rahy hon os waqt aisey hi jesa k aap ki private chat ko osky liyeh ban karty ho. Jesa k naraz karny waly loog apni host mask tabdeel nahi karty hain, too istarah aap ko woh mazeed takleef nahi dey saky ga, aap yeh bhi istemal kar sakty ho /ignore ki khasosiyat mIRC ki kisi dosry tareeqo say. Pocho yahan #mIRC yah likho /help ignore apni status screen per.

Aik ignore ko khatam karny k liyeh, command yeh hay

/ignore -r nick.

/ignore command mIRC client mein jab tak rehti jab tak aap osko khatam na kardo.

Dosri command yeh hay /silence, kuch hisso k saath. Aik jo sabsy khaas or akhri wasee hay kafi logo per asar andaz hoti hay bijay aik naraz karny waly shakhs k aap naraz karny walay ki user@host yeh likhny sey dhond sakty ho:

/whois nick

Misaal k tor per, agar HotChique ap ko takleef dey raha hay or aap /silence command istemal, karna chahty ho too aap sabsey pehlay yeh likho gay:

/whois HotChique

Tum kuch istarah say dekho gay:

HotChique is ~doogs@modem03.spamcity.com * Hot
HotChique is on twisted.ma.us.dal.net
End of /WHOIS list.

Yeh malomaay kaein tareeqo mein istemal ki jati hay, yeh aap ki marzi per hay k aap kesay /silence command ko istemal karna chahty ho. iskay baray mein kuch misalain, asaiy he jesa k karni chahiyeh.

/silence +HotChique!~doogs@modem03.spamcity.com silences Urfi`naam HotChique milty julty address ~doogs@modem03.spamcity.com. k sath hay

/silence +*!*@modem03.spamcity.com silences kardegi har kisi ko address k sath har urfi`naam ko.

/silence +*!*spamcity.com silences anyone using this ISP.

Jab +/- are ko na istemal kia jay, + kabol hoti hay.

aik silence ko istarah khatam kia jata hay

/silence -whatever parameter was set.

Iska matlab hay, agar mikdar *!*@modem03.spamcity.com hay, aap likho gay:

/silence -*!*@modem03.spamcity.com

Sirf /silence likhna aap ki silence settings ko zahir kardegi. yeh aisey hay k aap kesay talash kar saky ho k kia miqdar set thi. tum aap sirf cut or paster karo miqdar ko jisko aap nay khatam karna hay.

/silence command aik IRCd k kaam ka hissa hay, puss jab aap log off hotay ho DALnet say, tumam setting jo /silence sey hay sab khatam hojaygi. Akhir mein or ziada malomat k liyeh yeh dastawizat dekhain http://docs.dal.net/docs/miscur.html.

Jabsey /ignore or /silence hosts ko aik hi tareqay say istemal karti hay jo k kamra ban karta hay, aap aik nazar http://docs.dal.net/docs/banguideur.html dalain aik saaf tasawar k liyeh k kesay aik shakhs k address (user hosts yah user masks bhi kehty hain) kam karti hain.

Yeh commands aap ki pehli line hay naraz karny walo ka mukabla karny k liyeh jo IRC per hotay hain.

2 · Mazeed/Nazarandazi Ke Namoonay

Yahan bahut se asarangez tariqay hain IRC par /ignore ko istemal karne ke liye. Yahan mukhtalif nazarandaaz karne ke majmooye darjzail hain sab tafseelat ke sath ke wo kin kin baton ka ihata kartay hain.

/ignore HotChique

Ye wala tareeqakaar *SIRF* HotChique ke urfi'naam ko nazarandaaz karay ga, is baat se qata'a-nazar ke wo konsa IP/host istemal kar raha/rahi hai: HotChique!*@*: HotChique!*@*

/ignore HotChique 2

Ye wala tareeqakaar HotChique ki MUKAMMAL host ko nazarandaz kar de ga is baat se qata'a-nazar ke wo konsa urfi'naam istemal kar raha/rahi hai: *!*@31.203.9.51

/ignore HotChique 3

Ye wala tariqakaar aik makhsoos *user@host.* ko nazarandaz karay ga, is baat se qata'a-nazar ke wo us wakt konsa urfi'naam istemal karne ja rahay hain:: *!*doogs@31.203.9.*

/ignore HotChique 4

Ye tariqakaar aik makhsoos *!*@host.* ko nazarandaz karay ga, is baat se qata'a-nazar ke us wakt konsa urfi'naam!sarif, wo istemal karne ja rahay hain: *!*@31.203.9.*

/ignore HotChique 5

Ye wala tariqakaar aik makhsoos urfi'naam!*sarif@host (nick!*user@host) ko nazarandaz karay ga, Phir aap is ko kuch aise dekh paen ge: HotChique!doogs@31.203.9.51

/ignore HotChique 6

Ye wala tariqakaar aik makhsoos urfi'naam!*sarif@host (nick!*user@host) ko nazarandaz karay ga, Phir aap is ko kuch aise dekh paen ge: HotChique!*doogs@31.203.9.51

/ignore HotChique 7

Ye wala tariqakaar aik makhsoos nick!*user@host ko nazarandaz karay ga,Phir aap is ko kuch aise dekh paen ge: HotChique!*@31.203.9.51

/ignore HotChique 8

Ye wala tariqakaar aik makhsoos nick!*user@host ko nazarandaz karay ga, Phir aap is ko kuch aise dekh paen ge: HotChique!*doogs@31.203.9.*

/ignore HotChique 9

Ye wala tariqakaar aik makhsoos nick!*@host ko nazarandaz karay ga, Phir aap is ko kuch aise dekh paen ge: HotChique!*@31.203.9.*

/ignore HotChique 10

Ye wala tariqakaar aik makhsoos *!*user@host ko nazarandaz karay ga, Phir aap is ko kuch aise dekh paen ge: *!doogs@31.203.9.51

3 · Spam k sath Bartao

Spam, aik na chahny wali ishtehar bazi hoti hay, or aik sabsey ziada takleef ka baies hoti hain aap k liyeh IRC per. Spam mukhtalif in shaklo mein hoti hay websites ki ishtehar bazi yah kamry ki, yah kisi script ki ishtehar bazi. in spam ki iqsam say, kafi log inki koi parwa nahi karty.

Pehli cheez jo aap ka sakty ho agar aap ko bar bar ishtehar dey raha hay too aap istemal karain /ignore yah /silence command. Aap inko apni marzi k mutabik jesy chahy set kar sakty ho. Agar aap isko khasa tang set karty ho too aap dosray logo ko kho do gay jo on jesi user@host rakhty honday.

Kafi loog spam ki khabar IRC Operator ko dena chahty hain. Agar aik waqt rakhta hay, woh os kamry mein dakhil ho sakty hain jahn spam dekha jata hay or os spam k saath koi bartao karty hain. Sada aik IRCop ko batana k yeh or yeh spam bhaij rahy hain too iska koi asar nahi letay IRC Operator jab tak woh khud na daikhlain. Kiyonk yeh bohat asan aik nakli spam pegham bana k kisi IRC Operator ko diya ja sakta hay. Jesa k yeh bohat lazim hay k aik IRC Operator khud na daikh lay.

Yahan kafi ishtehar bazi or inviting hoti hay kamro mein. yeh bhi DALnet k qawanin k khilaf hay. DALnet koi raviya ikhtiyar karti hay in invitors l khilaf, jo k aik dosri shakal hay spam ki. yahan kamro k khilaf bhi koi amal kia jata hay jo ishtehar bazi or invite kar raha hota hay. agar spammer kamry ka hissa hay hay to.

Kuch dafa aik spammer har kisi ko pegham bhejta hay jo bhi kamry mein dakhil hota hay yahan tak k woh kamry mein nahi hoty hain. isko aik waqfay wali spamming kehty hain. Ziadatar, aik BOT hota hay jo peghamat bhaij raha hota hay urfi`naamo ko jo kamry mein hotay hain bahir sey kamry k. Kafi dafa, yeh dono Bot aik hi IP adress rakhty hotay hain. DALnet ki IRCd asani say ijazat deti hay k aik khaas address aik kamry k andar. dekhain. http://docs.dal.net/docs/miscur.html#5.10 wazaht k liyeh kesa kia jay.

Agar aap thak gay yeh spamming dekh dekh kar to aik copy rakhain spam ki. Aap osko cut or paste kar sakty ho notepad mein jismay isko mehfoz kia ja sakta hay. sirf mouse k right battan ko daba k neechay aienor aik intekhab karain os pegham k shoro say akhir tak ka. phir aap lef-click dabaib mouse ka, is waqt notepad mein sirf paste ko muntakhib karain. agar aap mIRC istemal kar rahay ho too, sirf text ka nazara karain yeh Windows clipboard mein chala jay go pass aap PASTE kar sakty ho notepad mein. directly.

Kuch loog har cheez ko mehfoz rakhty hain. Aik copy jo k aik record hota hayhar chez ka jo kuch kamry mein ho raha hota hay. kafi IRC clients, jesa k mIRC yah pIRCh, har cheez ko apny andar hi mehfoz kary hain Agar aap nay Spam ki window band kardi hay (Agar yeh istarah aya hay /msg) to aap onko mehfozat mein abhi bhi talash kar sakty ho. Meharbani say jain #mIRC yah #pIRCh malomaat k liyeh k is khasiyat ko kesay on kia jayt. Agar aap IRC client istemal kar rahay ho to onsey dosra jo oper dikhaya gia hay too os kamry mein jain joo ap k client k liyeh hay.

Aik jo sabsy ziada mutasir rasta hay spammers ki khabar deny ka k massads team ko khabar di jay. Ziadti k majzan ki waja say k email adresses ko websites per scan karna, massads team sirf online report ko manti hay. Aap yeh aik form ko pur karny kar sakty ho yahan http://www.dal.net/admin/contactmassad.php3. Mehfozat ko lazmi shamil karain, or spammer/ ishtehar baz/ inviter ki /whois bhi.

Aap ki malomat dekhny mein kuch aisi honi chahiyeh:

Time: 11:28 AM
Timezone: US Eastern Standard
Date: May 13, 2000

Join #TeenPleasurePalace and you will get ops!

HotChique is ~doogs@modem03.spamcity.com * Hot
HotChique is on twisted.ma.us.dal.net
End of /WHOIS list.

Explanation: Ops mein aik kamry mein jo spammer tha ... oski /whois yahan hay. yeh spammer ki host sey milti hay.

BullyOp is ~op@modem03.spamcity.com * Hmm
BullyOp is on @#TeenPleasurePalace
BullyOp is on avana.ga.us.dal.net
End of /WHOIS list.

In malomaat say kia hoga? Yeh pehla hawala hota hay MssAd team k arkan ka. Yeh shakhs dekhta hay k spammer ops list mein hai, yah founder hay, karmy ka jahan spam huwa. Puss agar aap yeh malomat dey sakty ho too onka kaam asan hojayga. Agar spammer op hay too, koi amal lazmi oss kamry k khilaf kia jayga. Agar wahan koi spam nazar aya, too woh kamra band kardia jayga.

Agar spam ishtehar bazi waly scripts mein hay, too on scripts ko DALnet say ban kardia jayga.

Agar spam kisi websites mein hay yah kisi or jagah, os shakhs ki ISP jo yeh spamming kar rahi hay ko kuch waqt k liyeh khatam kardia jayga. Spam ko bar bar duhrany say osko mustaqil tor per ban bhi kia ja sakta hay. ISP ko deny walo ko bata diya jayga website ki host ka jiski ishtehar bazi ho rahi thi. Kafi ISP apni services ko istehar bazi k liyeh istemal nahi hona dena chahti or kuch web-hosting services ko aik heran kun naguzeer lagta hay jab woh os sites ki ishtehar bazi k mawad ko dekh lain..

Khulasy mein: behtar hay /ignore yah /silence aik narazi spammer k liyeh. Agar aap chahty ho k IRC Operator dakhal dey, too osko bata do jahan spamming ho rahi hay. Kafi IRC Operator purany spam k liyeh kuch nahi karty hain. Aap k liyeh behtar yehi hay k spamming ko mehfoz karliya jay, /whois lein spammer ki, or sari malomat is form per dein http://www.dal.net/admin/contactmassad.php3. Aap ko jawab nahi dekho gay, yeh DALner massads team ki zum`my dari hay k woh iss k khilaf ko amal karain.

Orr ziada malomat DALnet ki ishtehar bazi k quwaid k liyeh , meharnani say dekhain http://kline.dal.net/massads/mup.htm.

4 · Zati Hifazat or Tashweesh

Kuch gandy loog logo ko pareshan or taokub karty hain, sirf dekhny k liyeh k woh onko dara yah onki zati malomaat hasil kar sakty hain. Pehli baat k aap ko jissey bachna chahiyeh KABHI KISI KO APNI ZATI MALOMAAT NA DEIN IRC PER jab tak aap onko kafi waqt say janty na hon or onper mukamal bharosa na rakhty ho. Apni zati malomaat ko IRC per dena kafi khatarnak or naguzeer waqiat ka baies ban saki hay. Mukamal kahinio ki khabar on logo ki jinho nay yeh kia or onky sath kia huwa nateejan. Jesa k yeh sorty haal nahi hay aik aisi jagah nahi hoti jesa k aik yaqeen kia jay, yeh sab aisa nahi hay khawa yeh ajeeb hay. DALnet on malomaat ka zummey dar nahi hay jo logo k darmiyan aik dosry ko dee jati hain. Aap ko apna hi faisla. Yad rakhainm aap ki zati hifazat aapki apni zum`my dari hay.

Apni zati malomaat computer per na rakhain jahan koi rasahi hasil kar sakta ho. Logo ko yeh na batao k aap kahan rehty ho, school jahan aap jaty ho, aap ki school mein masrofiyat, aap k telephone number, yah dosri shanakhti malomat k bary mein. Agar aap asia karty ho, too aap apny aap ko kisi naguzeer waqie k liyeh chorh do. Yaqenan, agar aap kisi ko kafi waqt say IRC per janty ho or bharosa karty ho in malomat ko deny mein, yeh aap per k aap ko batani chahiyeh yeh nahi.

Yahan koch achy kamry hain ko aap k computer ko mehfoz bna`ny mein aap ki madad karty hain. Meharbani say kuch waqt idhar guzary #NoHack or #Windows95. Akhri kamra Windows k verions ki masail or technical madad ka kamra hay.

Agar aap ko koi tany yah pareshan kar rahay, aap ko iss ko mehfoz karna chahiyeh. Ap ko oss shakhs ki /whois bhi dekhni chahiyeh. Tany bazi or pareshan karna manzor shuda qawaid k khilaf hain ICP k. Jab aap yeh sab malomat rakhty ho, too yeh email karain abuse@their.isp per. misal k tor per aap iss user mask nasty@PP22.supernet.net. say pareshan ho rahy ho too aap apni email bhejo gay, timestamped mehfozat k saath or apny waqt ki shanakht k saath abuse@supernet.net per. agar aap ko koi jawab nahi milta to sabit kadam rahain.

Yeh bohat mushkil hay kisi IRC Operator k liyeh kisi pareshani wali sorty haal mein dakahal andazi kary. Dobara, yeh bohat asan hay k nakli peghamat or mehfozat banana. Kuch IRC Operators in nagawar logo say nibarna k liyeh tayyar ho sakty hain, laikin aik aam qanon k mutabik, pareshani ka samna shakhs per hi hota hay. Aap ki sabsay achi kawish on ko mehfoaz karna jesa k aap ko bataya gia hay oper. Agar yeh sirf aik narazi hay, /ignore yah /silence commands istemal kary.

5 · "Nukes" or dosar Service k Radti Hamly

Kuch log isko IRC ka hissa samajhty hhain jab yeh haqeqatn hota hay kisi DALnet k server per. DALnet inn k liyeh zummay dar nahi ho sakta hay. Yeh shaks ki zummy dari hay k apny aapko khabar dar rakhain in hamlo say, or kuch software rakhny chahiyeh jo nuker ki malomaat rakhain. IRC Operator kabhi bhi nuker ko khatam nahi kar sakty, aik dafa fir, mehfozat nakli ho sakty hain.

Malomat k liyeh k kiya US or Canadian Governments in Service k Hamlo ka inkar karti hain, meharbani say dekhain http://m.dal.net/#NoHack.

Kuch loog firewall ko istemal karna pasand kart uahy jo in chezon say computers ko mehfoz rakh sakty hain. inmein say kuch yahan dhonday ja sakty hain http://www.zonelabs.com. Yahantak or bhi mojod hain jinko Web search say talash kia ja sakta hay..

Or ziada malomaat k liyeh in DoS hamla awar ki yahan mil sakti hay http://www.denialinfo.com.

6 · Clones or Flooding

Flooding aik alfazat or nishanat ko duhrany, ctcp command yah dosri taqat jo shakhs ko disconnect karny ko keht hain. isko 'kisi ko off karny k bahao' kehty hain. yeh sirf aik narazi hi nahi, balky yeh DALnet server k kaam mein bhi mudakhalt karty hain.

Clones kafi ziada DALnet say connections ko kehty hain, is kaam ko sar anjaam denay k liyeh kafi software istemal kiyeh jaty hain. Clones aik hathiyar hain jisko flood mein istemal ki jata hay.

Flooding or cloning k mamlat IRC Operator ko batany chahiyeh kiyon k yeh DALnet k kamo mein mudakhlat karty hain aap aik IRC Operator talash kar sakty hain or os kamry k baray main agahi dey sakty ho jahan yeh ho raha hay. IRC Operator onko kamro mein dakhil hongay or on clones yah flooders say do do hath karty hain.

Agar aap aik op ho, yeh commands set karain /mode #channel +R (Jo sirf darj shuda or shanakht huway urfi`namo o hi kamry main dakhil hony deti hain) clones ko khatam karny k lyeh, jesa k bey tartebi urfi`namo ko darj nahi karty hai. Ap kamry ko muatil kar sakty ho is command say /mode #channel +ml 2 (jo kamry ko muatil karegi jo k sirf ops or voice logo ko hi bat kar sakty hain, or hadd 2 per set hojaygi jo k or ziada clones ko dakhil hony say rokti hain). Ab aap sans ley sakty hi or in cloner/floder ki malomat hasil karain.

Kuch kamry modes MLOCK'd mein rakhty hain jo aap istemal nahi kar sakty ho. is mamly mein, acha tareqa yeh hay k kamry k founder say baat ki jay modelock ki tabdeli k bary main or aik acha flood ka hifazti script hasil karain. Yeh bhi, or dosri malomat k liyeh modes per or Mlocks per yahan jain http://docs.dal.net/docs/modesur.html.

Agar aap OP nahi ho to or aap mIRC istemal kar rahay too aap os shakhs say chutkara hasil karny k liyeh yeh karain /ignore nick 2, jo k aap ko mefoz kar sakti hay or nahi bhi. Agar flooding sirf aik shakhs kar raha hay yeh kaam karegi. Agar clones kar rahay hain too aap yeh likhan /close -m, jo k aap ki tumam message wali winows ko band kardegi jo khuli huie hain.

7 · Virus or Dosra Ganda Saman

Aap aik shakhs k mukabla kar sakty ho jo aap ko viruses or trojans wali files bhejny ki koshish kar raha hota hay. In mein say kuch file ko yeh kaha jata hay Movie.avi.pif, Pretty Park, DMSetup, Links.vbs or dosri. Yahan or bhi mutfariq ala jat hay jesa k 'backdoors' jo aap k computer per rasahi ki ijazat deti hain. Jesa k woh hain, or jesa onko kaha jata hay, woh kar sakty hain or aap k computer ko nuksan puhnchaingy.

Aap iss files ki mosolaat say bach sakty issey Hamesha apni DCC hasil karny ki khasosita ko ignore per set rakhny sey. Is tareeqay say aap ko apni DCC lazmi on karna hogi kisi file ko hasil karny k liyeh. Kabhi manzor or na chalain kisi say jinko aap nahi janty.

Agar aap ko lagta hay k aap mutasir ho meharbani say tumam kamro say bahir ajain. Yeh hifazat hay virus ko philany say. Jaldi say jain #NoHack mein, DALnet ka kamra jahan virus k baray mein madad ley sakty hain. yeh nasihat har kisi ko dein jo virus ko phila raha hay. Agar zati tor per ho to na jao, aik IRC Operator ko talsh karainor osko batain k kis kamry mein woh shakhs virus phila raha hay.

DALnet nay aik hifazti nizam banaya hay jisko DCCALLOW kehty hain jo k kafi files ko rokta hay onki extensions k saath jo aam tor per viruses k liyeh istemal ki jati hain. Kafi loog nahi janty k woh virus bhaij rahy hain. Agar aap kar sakty ho, onsey rabta karain, or onko #nohack mein bulain yah onko computer ko scan karny ka kahain. yeh lazmi nahi k in logo ki IRCop ko khabar di jay. or ziada malomaat k liyeh DCCALLOW per yahan per mojod hay http://docs.dal.net/docs/misc.html.

Or ziada malomat k liyeh or or kuch achay links viruses ko khatam karny k liyeh, yeh hain http://docs.dal.net/docs/exploitsur.html bhi mufeed mawad rakhty hain aap k liyeh.

8 · Khulasa

Sikho or istemal karo /ignore or /silence commands ko.

Spam or invite ki khabar http://www.dal.net/admin/contactmassad.php3 per dein achay mehfozat k sath.

Yeh apki apni zummay dari hay apni hifazat khud karain Apni zati malomaat kisi dosry ko na batain IRC per habtak aap osper bharosa na rakhain.

Aik firewall hasil karain apnay aapk Server k Radti (DoS) hamlo say bachny k liyeh, or NukeNabber yah aisa hi koi program jo aap ko malomat dey saky jo aap ko nuke kar raha hay. In malomat ko nuker ki Internet Service Provider ko dein. Sabit kadam rahain agar aap ko jawab na milay to.

Clones or floods ki khabar IRC Operator ko dein. aap mukhtalif commands ko istemal kar sakty ho apnay aap ko in narazi say bachany k liyeh.

Agar aap k paas virus hay, yah kisi ko janty ho jo virus phila raha hay, meharbani say #NoHack mein jay yah osko bhejain jo virus phela raha hay. Apnay aako virus say bachany k liyeh, kabhi kis unjany say file ko mosol na karain.

In Links ko dekhain jo in dastawizat mein di gaie hay aik mukamal hoshiyar hony k liyeh.