1 · NickServ aur ChanServ Password ke Commands
Sabse pehle, hum nickname aur channel ko register karne ke syntax ke baare mein dekhte hain.
Nickname Registration ke liye, command hai:
/nickserv register
Password
EmailAddress
ya fir
/msg nickserv@services.dal.net register
Password
EmailAddress
Dhyaan dein: Aapka nickname likhna jaroori nahi hai yahan par, kyunki NickServ aapke us nickname ko register karta hai joh aap haal filhaal istemaal kar rahe hain. Yeh jaroor karein ki, aap ek valid E-Mail address daalein, jispar aapko confirmation email bheja jayega.
Jyada jaankari ke liye niche diye hue link par hayein http://docs.dal.net/docs/nsemailhi.html .
Channel Registration ke liye, command hai:
/chanserv register
#channel
Password
Description
ya fir
/msg chanserv@services.dal.net register
#channel
Password
Description
Dhyaan dein: Description ek muhavara bhi ho sakta hai joh channel ke baarein mein bataye. Isse aap kuch bhi de sakte hain, bus dena jaruri hain.
Adhik jaankari yahan payein http://docs.dal.net/docs/chanservhi.html .
2 · Password ko kaise chunne
Kuch mayine hai yahan par, joh batata hai ki kya password ke liye sveekarit hai aur kya nahi Services dwara. Yeh hain::
-
Passwords ek shabad mein hone chahiye, bina kisi spaces ke.
-
Aap apna nickname apne paasword ke roop mein istemaal nahi kar sakte.
-
Aap word "password" ko apna password nahi rakh sakte.
-
Passwords ko aap 64 characters length tak rakh sakte hain.
-
Passwords colon ';' se shuru nahi ho sakte.
-
Passwords mein aap kisi bhi us character ko shaamil nahi kar sakte joh 33 se niche hain ASCII chart par. (control characters).
-
Passwords case sensitive hain, matlab agar aap register karte samein capital letters ka istemaal karte hain, toh identify karte samein wahi use karein, naa ki small letters.
Kaafi cheezine hain joh aapne dhyaan rakhni hai nickname aur channel ke password rakhte samein, aayein dekhte hain:
-
Kabhi bhi apna naam, address ya phone number password ke roop mei na rakhein. Yeh aasani se koi bhi guess kar sakta hain.
-
Number ya letter add karna aapke password mein joh nickname se mel khata ho, ek valid password hai par fir bhi surakshit nahi hoga. (Udharan: Jonathon1 ) /nickserv register Jonathon1 email@address.com
-
Password aasani se guess ki ja sakte hain, agar woh sadharan english ke shabd ho ya fir dictionary mein se hon. Aise program bane hai joh yeh kaam badi aasani se kar paata hain, isliye aisa paasword na chunne. DALnet ke services ke antarit flood protection istemaal hui hai jisse yeh mumkin nahi hoga, par fir bhi savhdaani bartein.
-
Capital letters ke alag pattern aur bhinn prakar ke characters se aapka password mushkil ban jaata hai jab koi usse todne ki koshish karta hain. Udharan: "Goober" ek theek thaak password hain, par "gOoBEr" istemaal karna jyada behtar hain. Aap alag alag variations ki bana sakte hain is prakar se.
-
Capital letters ke saath saath, aap special character jaise ki ASCII characters ka bhi istemaal kar sakte hain. Jahir si baat hai ki, aapko is tarah ke paasword ko kahi likh ke rakhna padega. Udharan: (ALT+171) aapke paasword mein shaamil ho, bajaye 1/2 ke.
-
Characters dusri bhasha mein, jaise ki é, sveekarti hain.
-
Sabse acha paasword hai ek random string characters ya letters ka, par isse aap likh ke rakhein toh behtar hoga. Agar aap aisa karte hain, toh dhyaan dein ki joh dusron ke liye random ho, par aapke liye bada hi aasan sa ho, jisse aap baadmein yaad kar payein.
-
Kuch users ko apne password re-use karne ki aadat hoti hai. Yeh ek tarike se acha bhi hai, par isse bhi aapke password guess ho sakte hain kisike dwara.
-
Apna password jaroor kahi likh ke rakhein, par yaad rahein usse sidhe sidhe koi post-it par likh ke apne computer pe na chip kayein.
Sujahaav:
Ek aur acha tarika hai, jahan aap ek sentence bana lein aur uske pehle aur dusre shabdon ko aage piche istemaal karlein password mein.
Agar aapko zarasa bhi shak hai, toh apna password turant badal lein.
Password ko thode thode dino mein badalte rahiye.
3 · NickServ aur ChanServ ko identify karna
Kaafi samay aapko NickServ aur ChanServ ko identify karne ki jarurat padegi. Haala ki jab services maintainance mode mein hoti hai, kuch user iska fayda utha ke NickServ ya ChanServ wala nickname dhaarit kar lete hain. Aisa karke woh dusron ke paasword churane ki koshish bhi karte hain. Isliye kaise in dhokebaazon ko pehchaane yahan niche padhein http://docs.dal.net/docs/ircimpshi.html .
Dhyaan dein ki NickServ aur Chanserv ko password bhejne se pehle aap use whois karle, yeh command type karke /whois ChanServ or /whois NickServ , aur uttar mein "services@dal.net" aap yeh dekh payein.
Yeh dekhein kuch surakshit tarike NickServ ko identify karne ke:
NickServ ko identify karna hai toh, likhein:
/nickserv identify
Password
ya
/msg nickserv@services.dal.net identify
Password
ya
/identify
Password
Ek aur vistaar mein di hue tips is vishey par, alag se dastaavez mein yahan payein http://docs.dal.net/docs/nickservhi.html .
ChanServ ko identify karne ke liye, istemaal karein:
/chanserv identify
#channel Password
ya
/msg chanserv@services.dal.net identify
#channel Password
ya fir
/identify
#channel Password
Channels ko identify karne ki adhik jaankari yahan payein http://docs.dal.net/docs/chanservhi.html .
4 · Password bhulne par kya karein
DALnet aapko apna password apne email par mangvaane deta hai abh se. Yeh aap SENDPASS command se haasil kar sakte hain
Nickname ka password email par mangvane ke liye, yeh karein:
/nickserv sendpass
Nick
EmailAddress
Channel ka password mangvane ke liye, yeh karein:
/chanserv sendpass
#channel
Founder's EmailAddress
Isse bhi padein http://docs.dal.net/docs/nsemailhi.html#5.2 adhik jaakari ke liye.
Agar fir bhi koi pareshani aati hai toh koi CSOp se bat karein. Dhyaan rakhein haer user ka farz hai ki woh apne nickname aur channel ke password ko shurakshit aur sabhal kar rakhein.
CSop se baat karne se pehle, yeh cheezon par gaur kar lein:
-
Kya mein sahi command istemaal kar raha hun/kar rahi hun?
-
Kya yeh nickname ya channel abhi mera hai? Ya expire ho chuka hai aur kisi aur dwara liya ja chuka hai
-
Kya mein password sahi tarike se lih raha/rahi hun, aksar case-sensitive bhi hote hain password.
Agar aap yeh sabh kuch kar chuke hain, toh CSOp se baat karein. CSOp ko niche diye hue tarikon se dhundhe
/motd services.* saare CSOp's ki soochi dega aapko, fir aap /whois command chalake dekhein, joh online mile usse karein.
Aap #operhelp bhi join kar sakte hain, joh IRCop help channel hain. Kaafi baar, CSops wahan hote hain, ya fir koi aapko dhundh ke dilwa sakta hai.
Visit karein http://docs.dal.net/docs/findoperhi.html
5 · Nicknames/Channels ko kho dena
Abh se humne nickname expire hone ki prakriya mein badlaav kiya hai. Aaj se, nicknames 30 dino baad expire na hokar 'Inactive' ho jayenge.
Yeh jaroor padein https://www.dal.net/news/shownews.php?id=137 jyada jaankari ke liye "Inactive" nickname ke baare mein.
Agar aapki nickname request poori ho chuki hai, toh fir us nickname se jude saare channel joh register kiye gaye the pehle expire ho jayenge, sivay unke jiske liye successor set kiya gaya tha. Yeh dekhein http://docs.dal.net/docs/chanservhi.html#11.16
Dhyaan dein: Is naye badlaav se, agar koi nickname 30 din se adhik online rehta hai bina identify kiye, toh woh expire ya inactive nahi hoga, fir chahe aap identify na bhi karein. Yaad rakhein, aapko apna nickname yah toh online rakhna hoga ya fir identify karna hoga, warna woh "Inactive" ban jaayega.
Bahut savdhan rahein public computers istemaal karte samein. In mein kis bhi prakar ke software ho sakte hain joh aapke paasword ko log karlein. Aise hone par DALnet aapko madat nahi kar payega.
Kabhi bhi apne passwords share na karein, kisi ke saath bhi nahi, fir chahein aap unhe kitne hi ache tarike se kyun na jaante hon. Agar aap aisa karte hain, toh DALnet aapko password wapas laane mein sahayta nahi kar payega.
Aur koi saval hon passwords ke baare mein, toh yahan niche diye hu channels mein pooche, #DALnetHelp ya fir #OperHelp aur hum aapki sahayta karenge.
Kuch aur dastaavez ko aapko kaam ayenge, yahan par milenge http://docs.dal.net/docs/exploitshi.html , http://docs.dal.net/docs/annoyhi.html aur http://docs.dal.net/docs/ircimpshi.html .
Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.