Channel Vikaas Aur Suraksha

Version 1.0.1


Akhri mein anoovad kiya gaya Stazz () se tarikh 2006-05-25

Akhri mein likhwaya gaya PJKevin () se tarikh 2004-03-13

Asal mein likhwaya gaya PJKevin () se tarikh 2004-03-02

Agar apka is document ke bare mein koi suzav ya koi mat Hoto apne suzav hame is email par bheje (sirf ! Koi madat ki Binti nahi!) docs@dal.net. Agar apke koi aise cheeze pe jankari chahiye jo is document mein likhwayi nahi gai hai To kripaya Jankari is website pe dekhiye http://help.dal.net.

Mulakaat

Yeh dastavez channel ke operators ke liye banaya gaya hai,khaas kar ki channel ke founder ke liye, taaki hum unko unke channel ke vikaas ke baare mein aur suraksha ke baare mein gyaan de sake. Ismein yeh bhi hai ki Network AuP kaise channel opearators aur managment ko bandish mein rakhti hai.

Suchi

1 · Channel kya hai?

Channel ek room (kamra) hai jaha par users ek dusre se milke koi mudde per baat cheet karte hai. Koi bhi koi channel bana sakta hai aur register (darj) bhi kar sakta hai. Wo user jo channel ko chanserv ke dwara koi channel register karta hai tab wo user us registered kiye gaye channel ka founder keh layega. Chanserv DALnet ki channel registration service (Seva) hai jiske dwara koi bhi apne mann mutabik apna channel khol ke chala sakta hai.

chainal ko chainal oparetaron dvaara banae rakha jaata hai taaki yah sunishchit ho sake ki chainal chikanee kram mein chalaaya ja sakata hai. ve upayogakartaon ko bina kisee kaaran ke laik karane aur pratibandh lagaane mein saksham hain, isalie chainal ek maah ke bheetar samaapt nahin ho sakata ise dhyaan mein rakha jaana chaahie ki vibhinn chainalon ke vibhinn niyam aur muddon ko sambhaalane ke tareeke hain. chainal niyamon aur neetiyon kee sthaapana chainal prabandhan ke vivek par hai.

2 · Channel Banana aur Register (Darj) Karna

Channel banana aur usko register karna bahut hi aasan kaam hai aur ismein koi mushkilo ka samna nahi karna padta. Ek baar channel register hojaye, tab aapke paas uss channel ki lagaam hogi aur aap uss channel ko kissi bhi tarah chala sakte hai. Channel register karne se pehle, iss cheez ka dhyaan rakkhe ki aapka nick poori tarah se NickServ ke dwara registered hai. Agar aapne iske baare mein nahi pada to yeh dekhiye, http://docs.dal.net/docs/nsemailhi.html. Ek baar aap nick poori tarah se register karle tab aap channel register karne ke liye aap poori tarah se tyiyaar ho jayenge.

Pehle to channel banane se pehle, aap channel ka naam sochiye aur phir type kijiye, /join #channelkaname. Udharan ke tor par, agar aapko yeh channel ka naam #India, register karna hai, toh aap type karenge /join #India. Yeh dekhlena ki aapke nick ke pehle Ops (@) hai ya nahi. Iss baat se nishchint ho jaane ke liye ki channel kissi aur ke naam par register nahi hua, aap yeh command ka istemaal karein /chanserv INFO #channelname. Diye gaye command ke udharan mein aap yeh channel command line pe daalenge /chanserv info #India. Yaad rakhe ki aapko kabhi bhi channel register ya channel ka bhaav badalna pare toh channel naam ke pehle # chinha ka upyog zaroor kare . Aapko milega:

-ChanServ- The channel #India is not registered.

iska matlab ki channel aapke register karne ko khula hai. Channel register karne ke liye aap yeh command istemaal kar sakte hai, /chanserv REGISTER #channelname [password_here] [channel_description]. Iss udharan mein humne #India register kiya hai, jiska password LoVeLoVe rakkha hai, aur description (samjhahav) rakkha hai The Indian Channel. Toh iske liye aap type karenge:

/chanserv register #India LoVeLoVe The Indian Channel .

Kripya yeh yaad rakhein ki passwords bahut baariq hote hai. Jaise, STAR aur star ek nahi hai. Agar aap channel ka password bhool gaye hai tab aap yeh istemaal kar sakte hai /chanserv SENDPASS #channelname [founder’s_email]. Yeh acha se jaan le ki agar aapka MAILBLOCK on hai toh aapko channel ka password iss comand ke dwara bhi nahi mil sakta. Salah ke tor per, mein yeh kehna zaroori samajhta hoon ki aapko apne channel ke password kuck kuch dino ke baad badalte rehne dena chahiye aur kissi aur ko nahi dena chahiye. Password rakhne par sahayta ke liye, dekhiye http://docs.dal.net/docs/passwordshi.html.

Ek baar yeh hojaye tab aapko chanserv se ek suchna milegi ki aapke resgistering kaamyaab hui hai aur bhi kuch jaan kari milegi jo padna aapke liye avyshak hoga. Chanserv ke commands aur options (Vashyata) ke baare mein aur jaankari lene ke liye aap yeh dastavez dekhiya, http://docs.dal.net/docs/chanserv.html.

3 · Main apne channel ko kaise bada bana sakta hoon?

Yeh sawaal channel founders ke liye channel register karne ke baad sabse sarvajanik hai. Channel ke kaamyabi ka raasta hai - dhairiya, sabra, dhiraj aur shanti. Channel ek hi raat mein chowguni tarakki nahi kar sakta aur channel ko ekdum acha banane ke liye aur bhi shetra hai. Mass Inviting (Ekatra nimantran) dena DALnet ke niyammo ke khilaaf hai aur yeh aapka channel band bhi karwa sakta hai. Aap zyada jaankari ke liye Vibhag 5.1 padh sakte hai. Apne aap se puchiye ki aapke channel mein aisa kya khaas hai jo aap users ko de sakte hai. Aisa topic (vishaye) niyukt kijiye ki wo dusre channel users ko lubha jaaye. Koshish kijiye ki aap users se kothor vyavhaar na karein. Ek ache channel founder ko yeh pata hona chahiye ki users ka channel mein kaise abhinandhan karna chahiye. Jab koi user channel mein ghusta hai toh sabse pehle woh channel ka topic (vishaye) dekhta hai. Iss baat ka dhyaan rakke ki aapke channel ka topic koi user ki bhavnao ka ullanghan na hone de aur user channel na chorde. Khyaal sirf yeh hai ki aap users se waise hi pesh aaye jaise aap khud pesh aana chahate ho.

Jab aap channel ke niyam bana rahe ho toh yeh yaad rakhkhe ki aap sabka dhyaan rakhke wo niyam banaye. Ache niyaya dheesh ban-ne ki koshish kijiyega. Kissi ko bekaar log pasand nahi. Kicks aur ban tab hi istemaal kijiye jab unki bahut aavyashakta ho. Wider bans lagana zyaada nuksaanemand ho sakta hai aur aapke channel ko khaali kar sakta hai. Sabse sarvajanik niyam hote hai Flood nahi, spam nahi, advertising/inviting nahi aur op ke liye maang nahi. Baaki sab aapar nirbhar karega; founder aur channel management par.

Channel ko vikhyaat aur prasidh banane ka banane ke bbahut tarike hai. Jaise khel ka bot daalna, ya koi ache sahayta ke liye channel kholna. Channel aapke baat karne ke dhang se jaana jaata hai. Agar aapke mehmaan apne dosto ko channel mein bulaana chahe to unke liye kuch khaas channel mein hona chahahiye jo unko channel ki oor prabhavit kare. Channel ka website bana-iye aur usmein channel ke baare mein aiisi jaan-kariya daaliye jo users ko prabhavit kare. Yeh ek salah hai ki aap koi aur channel ke naam ke jaise hi apna channel na khole taaki aap unka virodh kar sakke, jaise #optraining aur #trainingop. Yeh channel founder ki rachkarta per daag laga sakta hai. Channel mein acha aur nissandeha paristithi, sabke liye honi chahiye.

4 · Channel Suraksha aur Samasya

Ek cheez jo users ko pata honi chahiye hai wo ki, woh apne channel ko kaise surakshit rakhkhe. Iss shetra mein, hum un samasya-on ki baat karenge jo channel management se sabse adhik bhukti jaati hai.

4.1 Chanserv Suraksha Option (Vikalpa)

Sabse se sarvajanik samasya channel founders ke liye unjaan vyaktiyo ka SOps/AOps hona hai. Yeh channel suraksha ke liye ek chetaavni hai. Isliye, DALnet Services (Seva) ne OPGAuRD option Chanserv per nirmaan kiya hai. Jab yeh option laga rahega, tab sirf wo log hi op channel par ho payenge jo chanel list mein nirdharit roop se SOps/AOps hai aur Chanserv dwara opped kiye jayenge.

Dusri option hai IDENT option. Nickserv ki access list ki burayiya bhi hai. Agar user ki dynamic address channel ke access list se match hui tabhi wo channel mein opped hoga chahe uska nick channek ki access list mein ho ya nahi ho. Nickserv ki access list ke baare mein zyaada jaankaari ke liye aur unhe kaise surakshit kiya jaata hai uske liye, dekhiye http://docs.dal.net/docs/nsaccesshi.html. Jab IDENT option laga hai toh user ko Nickserv se identify hona parega (Nickserv ACC 3), channel mein op hone se pehle. OPGUARD aur IDENT option channel surasha badha deta hai aur channel founder ko rahat ki saas deta hai.

Jab aap apna channel register karte hai tab, aapka channel MLOCK (mode lock) khudbekhud +nt-k hojata hai. Salah hai ki +nt ko waise hi rahne diya karein. +n bahari suchnao ko un users se rokta hai jo channek mein nahi hai. Yeh channel flooding rokne ke liye bahut hi laabh dayak hai. +t un users ko channel topic ko cherne se rokti hai jo channel ke operators nahi hai.

Yeh salah hai ki aap LEAVEOPS aur UNSECURE options ka istemaal nahi karein. Jab aap LEAVEOPS lagate hai tab pehla op jo channel mein aayega chanserv ke dwara deopped nahi hoga. Agar UNSECURE laga hua hai tab channel founder ko channel ke aasta badalne per channel founder hone ke tehet identify nahi karna padega. Yeh channel ke liye bura hai aur channel ki suraksha ke liye kharaab hai. LEAVEOPS khaali channel ko surakshit nahi karta hai. Agar UNSECURE laga hai tab koi bhi channel founder ke nick ko identify karke channel ko barbaad karsakta hai ya apna bana sakta hai. Iss options ko agar naa-hi chuye toh acha hai.

4.2 Channel Operators Chunke Niyukt karna

Jaha pe channel management aur surakhsha aati hai yeh tay karna ki channel operators kaun hoge bahut hi zaroori ho jata hai. Channel Operators wo hote hai jinpe channel founder apni anupasthiti mein nirbhar karta hai. Unka kaam hai channel ka dhyaan rakhna . Yaha do tarah ke channel operators hote hai aur bilkul alag alag access hote hai inke paas. Wo SOps aur AOps hote hai.

SOps ya SuperOperators channel ke wo operators hote hai jo kam ya zyaada founder ke kareeb hote hai. Unke paas AKicks (permanent bans) aur AOps (AutoOperators) banane aur hatane ki aazadi hoti hai. Ops ki niyukta baare hi dhyaan se ki jaani chahiye. Salah ke tor per usse op karna chahiye jisse IRC, DALnet Services aur Channel Suraksha ke baare mein bahut ache se gyaan ho, jaise ki mein lol (mazak tha). AOps ya AutoOperators ke paas kuch ginne chunne access hote hai aur wo channel ki access list mein badlaav nahi la sakte. Unke paas zaroori suchna IRC, DALnet Services aur Channek ki Suraksha ke baare mein toh honi hi chahiye.

Channel Operators chunna matlab yeh nahi ki main tumhe acces dunga agar tum mujhe yeh do. Yeh sabse sarvajanik galti zyaada tar Ops karte hai jo channel aur channel management ko barbaad kar dete hai. Apna dimaag lagana jab koi mast operator ko op mein daalne ho toh. Channel mein uske saath kaam karo aur uske tor tariqo ko jaano aur sikho aur parkho. Interview uski vikaasta ko jaane ke liye bhi kaam ayegi aur aap usse kafi kuch seekh sakoge.

4.3 Flooding (Sailaab)

Channel Flood sirf barbadi hi nahi balki baaki cheezo ko bhi dheera kar deta hai. Flooding kayi dhang ke hote hai jaise, text, notice, ctcp aur join/part (aana/jaana) bhi. Yeh users ko pareshaan karta hai aur darata bhi hai. Yaha per hum aapko yeh rokne ke tareeke batayenge. Channel Operator hone se aapke paas channel modes lagane ki shamta aajati hai. Yeh modes turant lagaana agar aap channel flood dekhe toh:

+m Channel Moderate karta hai aur jo users voiced ya op nahi hote wo channel mein chat nahi kar paate.

+M Sirf wo nicks jo registered hai wahi channel mein chat kar paate hai.

+i Invite Only karne se koi bhi jo channel op nahi hai wo channek mein nahi aa payega, matlab channel lock (band).

+R Sirf registered nicks channel mein gus payenge, zyaada flooders ke nick unregistered hote hai.

+c Colours ko channel main mein aane se rokta hai.

Channel Modes ke upar aur jaankari paane ke liye, dekhiye http://docs.dal.net/docs/modeshi.html.Note: Salah hai ki aap inhein MLOCK se naa lagaye (-). Yeh karne se channel modes ko badalna naamumpkin ho jayega jab flood aayega.

4.4 Spam

Spamming aur ek samasya hau jo kayi channel dekhte hai. Spam ko pakarna kabhi aasan toh kabhi kathin hota hai. Saare channel spammers ko Channel ke bots ya operators nahi dundh sakte kyu ki kuch spammers aise set hote hai jo sirf non-ops aur non-voiced users ko message karte hai. Drones ya ‘relay bots’ ko dhundhpana mushkil hai kyuki aap unhe channel mein nahi dhund paoge. Drone ko dundhne ka tareeqa yaha hai.

Udharan lijiye. Aap #India mein ghuste hai aur dekhte hai ki channel mein ek spammer hai per dikhte nahi. (drone). Nick jo apko spam se mila hai, hai UB40. Pehle to aap ye istemaal karein /whois UB40. Parnaam hoga.

UB40 is ~pest@219.94.62.166 * bleh
UB40 using broadway.ny.us.dal.net 42nd Street
UB40 has been idle 29secs, signed on Sat Jan 17 20:37:48
UB40 End of /WHOIS list.

Ab yeh command likhe /who +ch #India 219.94.62.166. Yeh kissi ko bhi dhundega jiska host hai 219.94.62.166 jo #India mein hoga. Aapko aisa kuch milna chahiye:

#India Red`Lobster H+ red@219.94.62.166:0 Silence is License
#India End of /WHO list.

Ab aapko pata hai ki Red`Lobster infected user hai. Spam ke baare mein jaan kari ke liye, delhiye http://docs.dal.net/docs/annoyhi.html#2.

4.5 Channel Desynch

Kuch aise cheeze hai jo aapke channel ko desynched kar de. Sabse sarvajanik kaaran hai ki channel ache se resynched nahi hua netspilt ke baad aur servers ke settings (asta) alag hai tab.

Kayi tariqe hai yeh jaane ke liye ki aapka channel desynched hai. Sabse sarvajanik hai DALnet Channels mein Chanserv ka swabhav dekhna, jaise ki baar baar mode locks lagana aur/ya channel topic badalte rehna ya badalna channel modes. Dusra aap wo nahi dekh payenge jo dusra user keh raha hai. Aap se keh sakte hai ki sab kuch ulta pulta hai.

Agar channel synched theek se nahi hua toh, aapko yeh samasya ko hatane ke liye, apne channels se users ko hatana parega. Aap channels users se baat karke unhe thodi derr ke liye nikalne ko keh sakte hai (agar kam users hai toh) aur agar bahut users hai or mushkil hai unko hatana toh aap channel mein masskick kar sakte hai, masskick ka command hai /chanserv MKICK [#channelname]. Isse saare channel users kick ho jayenge channel se, aur isse channel synchronised aur sambhal jayega. Masskick ke command ke baare mein zyaada jaan kari pane ke liye, dekhiye http://docs.dal.net/docs/chanservhi.html#9.

4.6 Channel Takeovers and Miscellaneous

Sabse badi samasya channel founders ke lioye channel cheen lena hai. Jisse channel password pata ho wo channel cheen sakta hai, bina channel fouunder ke yeh jaane ki usse channel ka password pata hai ya nahi. Iske kayi kaaran ho sakte hai:

1- Channel Founder ke nick ya password ka hissedar

2- Founder ke email ke password ka hissedaar

3- Identification (Tulyakaran) services impersonators pe

4- Scripts aur auto identifiers services ko identify karne ke liye

Channel password kissi aur ko batana achi baat nahi chahe wo aapke jitna hi kareeb kyu na ho. Channel password wo akshar hai jo access hai apke registered channel ka

Agar aap email baatte hai toh koi user SENDPASS ka istemaal karke aapke email se aapke channel ya nick ka password haasil kar sakta hai(Agar MAILBLOCK laga nahi hai toh). MAILBLOCK acha taariqa hai agar aap ka email surakshit nahi hai magar agar aap password bhool jaate hai aur MAILBLOCK laga hai to SENDPASS se password nahi milega aapko.

Aap identify kabhi unko kardete hai jo DALnet ke services nahi hote. DALnet Services Chanserv aur Nickserv hai. Sachi services aath (8) akshar ke hote hai. Pehle chaar service ko dikhlate hai aur aakhir ke Serv ko. Aur ha services sirf services.dal.net par connected hoti hai. Services Impersonation ke baare mein zyaada jaan-ne ke liye, dekhiye http://docs.dal.net/docs/ircimpshi.html.

Jo script aap baat-te hai wo nickserv ua chanserv se identify nahi karwate, balki unmein backdoors hote hai aur woh kissi aur ko password bhej dete hai. Apna channel ya nick khone se acha yeh hai ki aap /nickserv identify aur /chanserv identify command ka upyog karein.

Kabhi, channel operators channel cheene-ne ki koshish karte hai aur saare users, ops , channel founder ko bhi channel se kick ban karke bahar nikaal dete hai. Yeh to shukar hai DALnet Servicesm ka ki unhonein channel ke bahar se hi /chanserv UNBAN #channel command lagu kiya hai taki aap channel mein phir se ghus sakke. Agar aap phir se banned ho gaye ya aapko pata chala ki operator script itemaal kar raha hai jo aapko turrant ban karti hai tab aap bahar se yeh command istemaal karein usko deop karne ke liye /chanserv deop #channelname [nickname].Note: Jo access mein aapse bada hai aap usse deop nahi kar sakte. Jaise, AOps SOps ko deop nahi kar sakte aur na hi SOps founder ko deop ker sakte hai. . Agar aap SOp ya founder hai aur dekhe ki koi sure badmaash aur bandha hai tab aap kabhi bhi uska access hata sakte hai bina channel mein upastith hone ke. Uske baad aap unban hoke channel meinaa jaana. Apne channel opearators dhyaan se chun-na. Yeh yaad rakhkhe, bache rehna galti kapool karne se kayi behetar hai. :-)

Kabhi aisa hota hai ki aap dekhte hai ki koi user channel mein op hai par uska nick channel access list mein nahi hai. Tab yeh jaan-ne ke liye ki woh kis op ka access istemaal kar raha hai aap yeh kareinge, /chanserv WHY #channelname [nickname]. Udharan dekhte hai. Nick DoinkDoink registered nahi hai phir bhi #India mein op hai. Jab maine istemaal kiya yeh /chanserv WHY #India DoinkDoink, maine dekha:

-ChanServ- DoinkDoink has AOp access to #India. Reason: Identification to the nickname Cindrella.

To hume pata hai ki DoinkDoink ke paas AOp access kyu usne Cindrella ke nickname ko identify kiya hai.

Dusra aise hi ke liye command hai ACC command user ka channel mein access level batata hai. Command hai, /chanserv ACC #channelname [nickname]. Udharan, mujhe DoinkDoink ka access #india mein jaan-na hai, main istemaal karunga /chanserv ACC #India DoinkDoink. Mujhe dikhega:

-ChanServ- DoinkDoink ACC #India 2 (AOP)

Jaankari ke liye, channel access ke upar aur levels ke baare mein, dekhiye http://docs.dal.net/docs/csaccesshi.html.

5 · Channels aur DALnet’s AUP

DALnet ne humko mufat Services (Seva) aur bahut cheeze istemaal karne ko di hai. Wo istemaal karna humein aana chahiye. Saare DALnet users jo IRC Network par connect hote hai unko network ki AuP Policy ke anusaar anushashan rakhna parega. Yaad rakhen ki yeh yeh humare upar aasaan hai ki humein aane diya ja raha hai, humar ahdikaar nahi. Hum ab do bhaago ke baare mein baat karenge jo channel operators ko shamil karega. Jo hai Mass Inviting aur Services Abuse.

5.1 Mass Inviting

Mass inviting mein yeh aata hai par ispar yeh seemit nahi hai:

1- /invite command ka ahik tarah se upyog

2- Scripts/ channel notices/ messages dwara apne channel(s) join karwane ke liye mass messaging

3- Adhik /quit aur /part messages jo channel(s) per advetise karti hai

Mass Inviting DALnet per isliye nahi hai, kyuki iss network per 10,000 se zyada registered channel hai users ke liye. Yeh isliye nahi ki aap invite nahi kar sakte balki user ke saath zabardasti nahi karne ke liye hai. Mass messageing har user ko channel mein ya dusre network per DALnet Network ke AuP niyamo ke khilaaf maana jaata hai aur bahut saavdhani se dekha jaata hai, jaise warnings, mass kicks, channel closures.

Mass Advertising policy ke baare mein jaan-ne ke liye, dekhiye http://kline.dal.net/massads/mup.htm.

5.2 Services Abuse

DALnet Services users ko unki manokaamna anusaar channel/nickname register karne ke liye di gayi hai. Users ko usse ache se istemaal karna chahiye naaki unse masti ya khelna. Sevices Abuse mass channel registration toh karta hi hai aur uske elava bhi bahut kuch, *!*@*.* ko access list mein daalna, memoserv dwara flood aur spam karna, services flood karna. DALnet Services Abuse Team jismein kuch Services Root Administrators (SRAs) aur Kline sub- Team ke kuch log hai jo yeh niyamo ko paalan karvatein hai.

Channel restering karna chaiye ache se aur dimaag laga ke. Yeh samjhdaari nahi ki aap channel ko isliye hi register karein taaki koi aur usse istemaal na kar sakein. Channels (Channel Access bhi) bechna ya lenadena karna DALnet mein aagyaatak nahi hai kyuki services yaha par sabke liye mufat hai.

Agar mein *!*@*.* channel access mein add karta hoon, toh har banda jo channel mein aayega uske paas yeh access hoga. Udharan, jaise agar mein *!*@*.* ko channel sop list mein daalta hoon tab har user jo channel mein aayega uske paas channel sop ka access hoga. Yeh services abuse toh hai hi par channel ki suraksha ke liye nuksaan ka bhandaar bhu hai.

Chanserv ko flood karna, MKICK aur MDEOP ke command ka istemaal karke, services se baar baar identify kuch seeemit samay mein karke services flood hoti hai. Mass commands, jaise MKICK sirf ek hi baar istemaal karna chahiye wo bhi jab bahut hi zaroori ho tab. Services per ek hi baar identify kijiye. Chanserv ke jawab ka intezaar kijiye. Baar baar op ko kick karna aur channel mein aake chanserv se baar baar op dilwana bhi services abuse hota hai. Inhein mazaak ke liye bhi na karein.

Galti ki anushashan bhangar ke anusaar sazaa milti hai, channel freeze/close kiya ja sakta hai ya toh user services se bilkul alag kiya ja sakta hai. Services Abuse ke baare mein zyaada jaankari ke liye, dekhiye http://kline.dal.net/sabuse. Sawaal hai toh email kijiye - .

6 · Summary (Saaransh)

sabhee chainal oparetar aur gair-ops ko ek chainal vikasit karane mein milakar kaam karana chaahie. yah donon tareekon se kaam karata hai ops ke bina, chainal ek vinaashakaaree sthiti mein hoga, aur sansthaapak ko apane chainal ko ek aur yaadrchchhik upayogakarta ke balidaan ke lie nishkriyata ke kaaran lene ke lie chalaata hai. upayogakartaon ke bina, yah pahalee jagah mein chainal hone ke uddeshy ko samaapt karata hai ek chainal naam ka chayan buddhimaanee se karana sarvottam hai ek aisa naam jo upayogakartaon ko aakarshit karega dhairy aur rachanaatmakata ek chainal ke vikaas ka mukhy vichaar hai ek achchha host (chainal oparetar) apane mehamaanon ko sahee tareeke se kaise ilaaj karana jaanata hai

Channel mein ho rahe ghatna mein channel founder shamil hota hai aur uspar sab lada hota hai. Channel ko surakshit karna sikhiye. SOps aur AOps ko channel security aur channel management ki sikhcha dijiye. Emergency flood aur takeover ke beech mein liye jaane wali haalo ko acha se yaad karein.

Users network ke niyamko ka paalan karein. Jab aapne network mein connect liye toh hum samajte hai ki aapne Network ke niyammo ko pad liya hai. DALnet agar kissi ko apradhi maanti hai toh uske upar yeh nirbhar karta hai ki DALnet usko nikaal bahar phaike.

Aasha hai ki yeh dastavez ne aapko kuch tarqeebe sikhayi hai ki kya aap dekhenge, kya kya samasya aayengi aur aap unse kaise uljh ke unhe suljhayenge. :o)

7 · Credits (Shreya)

Kuch logo hai jinka main shukriya adaa karna chahata hoon zinhone mujhe yeh dastavez likhne mein madad ki hai. Pehle toh main Documentation TeAm Leader, FredFred, ssr aur Kazoo ko shukriyaada karta hoon mujhe in dastavezo ke outlines dene ke liye. Main squirrel aur LadyDana ka bhi aabhari hoon. #DALnetHelp ke staff ka na bhoolte hue, unho ne mujhe bahut saath aur shiksha di hai. Main yeh document tum logo ke bina khatam nahi kar pata.;)